| 02.76
Jab eman walon
say miltay hain
to apni eman
daari zahir
kertay hain
aur jab aapas
mein miltay
hain to kehtay
hain kay musalmanon
ko kiyon woh
baaten phonchatay
ho jo Allah
Taalaa ney tumhen
sikhaee hain
kiya jantay
nahi kay yeh
to Allah Taalaa
kay pass tum
per inn ki hujjat
hojaye gi. |
| |
| 02.77
Kiya yeh nahi
janatay kay
Allah Taalaa
inn ki posheedgi
aur zahri daari
sab ko janta
hai? |
| |
| 02.78
Inn mein say
baaz un parh
aisay bhi hain
kay jo kitab
kay sirf zahiri
alfaaz ko hi
jantay hain
aur sirf guman
aur atkal hi
per hain. |
| |
| 02.79
Unn logon kay
liye well hai
jo apni haathon
ki likhi hui
kitab ko Allah
Taalaa ki taraf
ki kehtay hain
aur iss tarag
duniya kamatay
hain inn ki
haathon ki likhaee
ko aur inn ki
kamaee ko well
(halakat) aur
afsos hai. |
| |
| 02.80
Yeh log kehtay
hain kay hum
to sirf chand
roz jahannum
mein rahen gay
inn say kaho
kay kiya tumharay
pass Allah Taalaa
ka koi parwana
hai? Agar hai
to yaqeenan
Allah Taalaa
apney waday
kay khilaf nahi
keray ga (hergiz
nahi) bulkay
tum to Allah
kay zimmay woh
baaten lagatay
ho jinhen tum
nahi jantay. |
| |
|
|
| |
| 02.81
Yaqeenan jiss
ney bhi buray
kaam kiye aur
uss ki na farmaniyon
ney ussay gher
liya woh hamesha
kay liye jahannumi
hai. |
| |
| 02.82
Aur jo log eman
laye aur nek
kaam keren woh
jannati hain
jo jannat mein
hamesha rahen
gay. |
| |
| 02.83
Aur jab hum
ney bani israeel
say wada liya
kay tum Allah
Taalaa kay siwa
doosray ki ibadat
na kerna aur
maa baap kay
sath acha sulook
kerna issi tarah
qarabat daron
yateemon aur
miskeenon kay
sath aur logon
ko achi baaten
kehna namazen
qaeem rakhna
aur zakat detay
raha kerna lekin
thoray say logon
kay ilawa tum
sab phir gaye
aur mun mor
liya. |
| |
| 02.84
Aur jab hum
ney tum say
wada liya kay
aapas mein khoon
na bahana (qatal
na kerna) aur
aapas walon
ko jila watan
na kerna tum
ney iqrar kiya
aur tum iss
kay shahid banay. |
| |
| 02.85
Lekin phir bhi
tum ney aapas
mein qatal kiya
aur aapas kay
aik firqay ko
jila watan bhi
kiya aur gunah
aur ziyadti
kay kaamon mein
inn kay khilaf
doosray ki taraf
daari ki haan
woh jab qaidi
ho ker tumharay
pass aaye to
tum ney unn
kay fidye diye
lekin inn ka
nikalna jo tum
per haram tha
(uss ka kuch
khayal na kiya)
kiya baaz ehkaam
per eman rakhtay
ho aur baaz
kay sath kufur
kertay ho? Tum
mein say jo
bhi aisa keray
uss ki saza
iss kay siwa
kiya ho kay
duniya mein
ruswaee aur
qayamat kay
din sakht azab
ki maar aur
Allah Taalaa
tumharay aemaal
say bey khabar
nahi. |
| |
| 02.86
Yeh woh log
hai jinhon ney
duniya ki zindagi
ko aakhirat
kay badlay khareed
liya hai inn
kay na to azab
halkay hongay
aur na inn ki
madad ki jaye
gi. |
| |
| 02.87
Hum ney (hazrat)
musa ko kitab
di aur inn kay
peechay aur
rasool bhejay
aur hum ney
(hazrat) essa
ibn-e-marium
ko roshan daleelen
din aur rooh-ul-qudus
say unn ki taeed
kerwaee. Lekin
jab kabhi tumharay
pass rasool
woh cheez laye
jo tumhari tabiyaton
kay khilaf thi
tum ney jhat
say takabbur
kiya pus baaz
ko to jhutla
diya aur baaz
ko qatal bhi
ker dala. |
| |
| 02.88
Yeh kehtay hain
kay humaray
dil ghilaaf
walay hain nahi
nahi bulkay
inn kay kufur
ki waja say
enhen Allah
Taalaa ney malaoon
ker diya hai
inn ka eman
boht hi thora
hai. |
| |
| 02.89
Aur inn kay
pass jab Allah
Taalaa ki kitab
inn ki kitab
ko sacha kerney
wali aaee halankay
pehlay yeh khud
(iss kay zariye)
kafiron per
fatah chahatay
thay to ba wajood
aajaney aur
ba wajood pehchan
lenay kay phir
kufur kerney
lagay Allah
Taalaa ki laanat
ho kafirion
per. |
| |
| 02.90
Boht buri hai
woh cheez jiss
kay badlay enhon
ney apney aap
ko baich dala
woh inn kay
kufur kerna
hai. Allah Taalaa
ki taraf say
nazil shuda
cheez kay sath
mehaz iss baat
say jal ker
kay Allah Taalaa
ney apna fazal
apney jiss banday
per chaha nazil
farmaya iss
kay baees ye
log ghazab per
ghazab kay mustahiq
hogaye aur inn
kafiron kay
liye ruswa kerney
wala azab hai. |
| |
|
|
| |
| 02.91
Aur jab inn
say kaha jata
hai kay Allah
Taalaa ki utari
hui kitab per
eman lao to
keh detay hain
kay jo hum per
utari gaee uss
per humara eman
hai. Halankay
iss kay baad
wali kay sath
jo inn ki kitab
ki tasdeeq kerney
wali hai kufur
kertay hain
acha inn say
yeh to daryaft
keren kay agar
tumhara eman
pehli kitabon
per hai to phir
tum ney aglay
anbiya ko kiyon
qatal kiya? |
| |
| 02.92
Tumharay pass
to musa yehi
daleelen ley
ker aaye lekin
phir bhi tum
ney bachra pooja
tum ho hi zalim. |
| |
| 02.93
Jab hum ney
tum say wada
liya aur tum
per toor ko
khara ker diya
(aur keh diya)
kay humari di
hui cheez ko
mazboot thaamo
aur suno! To
enhon ney kaha
hum ney suna
aur na famani
ki aur inn kay
dilon mein bachray
ki mohabbat
(goya) pila
di gaee ba sabab
inn kay kufur
kay. Inn say
keh dijiye kay
tumhara eman
tumhen bura
hukum dey raha
hai agar tum
momin ho. |
| |
| 02.94
Aap keh dijiye
kay agar aakhirat
ka ghar sirf
tumharay liye
hai Allah kay
nazdeek aur
kissi kay liye
nahi to aao
apni sachaee
kay saboot mein
maut talab kero. |
| |
| 02.95
Lekin apney
kartooton ko
dekhtay huye
kabhi bhi maut
nahi maangen
gay Allah Taalaa
zalimon ko khoob
janta hai. |
| |
| 02.96
Bulkay sab say
ziyada duniya
ki zindagi ka
harees aey nabi!
Aap enhin ko
paayen gay.
Yeh hirs-e-zindagi
mein mushrikon
say bhi ziyada
hai inn mein
say to her shaks
aik aik hazar
saal ki umar
chahata hai
go yeh umar
diya jana bhi
enhen azab say
nahi chura sakta
Allah Taalaa
inn kay kaamon
ko bakhoobi
dekh raha hai. |
| |
| 02.97
(aey nabi!)
aap keh dijiye
kay jo jibraeel
ka dushman ho
jiss ney aap
kay dil per
paygham-e-baari
taalaa utaara
hai jo paygham
inn kay pass
ki kitab ki
tasdeeq kerney
wala aur mominon
ko hidayat aur
khushkhabri
denay wala hai. |
| |
| 02.98
(To Allah bhi
uss ka dushman
hai) jo shaks
Allah ka aur
uss kay farishton
aur uss kay
rasoolon aur
jibraeel aur
mikaeel ka dushman
ho aisay kafiron
ka dushman khud
Allah hai. |
| |
| 02.99
Aur yaqeenan
hum ney aap
ki taraf roshan
daleelen bheji
hain jin ka
inkar siwaye
bad kaaron kay
koi nahi kerta. |
| |
| 02.100
Yeh log jab
kabhi koi ehad
kertay hain
to inn kay aik
na aik jamat
issay tor deti
hai bulkay inn
mein say aksar
eman say khali
hain. |
|
| |
|
|
| |
| 02.101
Jab kabhi inn kay
pass Allah ka koi
rasool inn ki kitab
ki tasdeeq kerney
wala aaya inn ehal-e-kitab
kay aik firqay ney
Allah ki kitab ko
iss tarah peeth peechay
daal diya goya jantay
hi na thay. |
| |
| 02.102
Aur uss cheez kay
peechay parr gaye
jissay shayateen (hazrat)
suleman ki hukoomat
mein parhtay thay.
Suleman ney to kufur
na kiya tha bulkay
yeh kufur shetanon
ka tha woh logon ko
jadoo sikhaya kertay
thay aur babul mein
haroot maroot do farishton
per jo utaara gaya
tha woh dono bhi kissi
shaks ko uss waqt
tak nahi sikhatay
thay jab tak yeh na
keh den kay hum to
aik aazmaeesh hain
tu kufur na ker phir
log inn say woh seekhtay
jiss say khawind-o-biwi
mein judaee daal den
aur dar-asal woh baghair
Allah Taalaa ki marzi
kay kissi ko koi nuksan
nahi phoncha saktay
yeh log woh seekhtay
hain jo enhen nuksan
phonchaye aur nafa
na phoncha sakay aur
woh bil yaqeen jantay
hain kay iss key lenay
walay ka aakhirat
mein koi hissa nahi.
Aur woh bad tareen
cheez hai jiss kay
badlay mein woh apney
aap ko farokht ker
rahey hain kaash kay
yeh jantay hotay. |
| |
| 02.103
Agar yeh log sahib-e-eman
mutaqqi bann jatay
to Allah Taalaa ki
taraf say behtareen
sawab enehn milta
agar yeh jantay hotay. |
| |
| 02.104
Aey eman walo! Tum
nabi (PBUH ko) Raaeena
na kaha kero un-zurna
kaho yani humari taraf
dekhiye aur suntay
raha kero aur kafiron
kay liye dard naak
azab hai. |
| |
| 02.105
Na to ehal-e-kitab
kay kafir aur na mushrikeen
chahatay hain kay
tum per tumharay rab
ki koi bhalaee nazil
ho (inn kay iss hasad
say kiya hua) Allah
Taalaa jissay chahaye
apni rehmat-e-khusoosiyat
say ata farmaye Allah
Taalaa baray fazal
wala hai. |
| |
| 02.106
Jiss aayat ko hum
mansookh ker den ya
bhula den iss say
behtar ya iss jaisi
aur latay hain kiya
tu nahi janta kay
Allah Taalaa her cheez
per qadir hai. |
| |
| 02.107
Kiya tujhay nahi maloom
kay zamin-o-aasman
ka mulk Allah hi kay
liye hai aur Allah
kay siwa tumhara koi
wali aur madadgar
nahi. |
| |
| 02.108
Kiya tum apney rasool
say yehi poochna chahatay
ho jo iss say pehlay
musa (alh-e-salam)
poocha gaya tha? (suno)
eman ko kufur say
badalney wala seedhi
raah say bhatak jata
hai. |
| |
| 02.109
Inn ehal-e-kitab kay
aksay log ba wajood
haq wazeh ho janey
kay mehaz hasad-o-bughz
ki bina per tumhen
bhi eman say hata
dena chahatay hain
tum bhi moad kero
aur choro yahan tak
kay Allah Taalaa apna
hukum laye. Yaqeenan
Allah Taalaa her cheez
per qudrat rakhta
hai. |
| |
| 02.110
Tum namazen qaeem
rakho aur zakat detay
raha kero aur jo kuch
bhalaee tum apney
liye aagay bhejo gay
sab kuch Allah kay
pass paa lo gay be-shak
Allah Taalaa tumharay
aemaalon ko khoob
dekh raha hai. |
| |
| Top |
|
| |
| 02.111
Yeh kehtay hain kay
jannat mein yahud-o-nasaaraa
kay siwa aur koi na
jayega yeh sirf inn
ki aarzooyen hain
inn say kaho agar
tum sachay ho to koi
daleel to paish kero. |
| |
| 02.112
Suno! Jo bhi apney
aap ko khuloos kay
sath Allah kay samney
jhuka dey. Be-shak
ussay uss ka rab poora
badla dey ga iss per
na to koi khof hoga
na ghum aur udasi. |
| |
| 02.113
Yahud kehtay hain
kay nasrani haq per
nahi aur nasrani kehtay
hain kay yahudi haq
per nahi halankay
yeh sab log toraat
parhtay hain issi
tarah inn hi jaisi
baat bey ilm bhi kehtay
hain. Qayamat kay
din Allah inn kay
iss ikhtilaf ka faisla
inn kay darmiyan ker
dey ga. |
| |
| 02.114
Uss shaks say barh
ker zalim kaun hai
jo Allah Taalaa ki
masjidon mein Allah
Taalaa kay zikar kiye
janey ko rokay aur
unn ki barbadi ki
kosish keray aisay
logon ko khof khatay
huye hi iss mein jana
chahaiye inn kay liye
duniya mein bhi ruswaee
hai aur aakhirat mein
bhi bara azab hai. |
| |
| 02.115
Aur mashriq aur maghrib
ka maalik Allah hi
hai. Tum jidhar bhi
mun kero udhar hi
Allah ka mun hai Allah
Taalaa kushadgi aur
wusat wala aur baray
ilm wala hai. |
| |
| 02.116
Yeh kehtay hain kay
Allah Taalaa ki aulad
hai (nahi bulkay)
woh pak hai zamin-o-aasman
ki tamam makhlooq
uss ki milkiyat mein
hai aur her aik uss
ka farmanbardar hai. |
| |
| 02.117
Woh zamin aur aasmanon
ka ibtida’an
peda kerney wala hai
woh jiss kaam ko kerna
chahye keh deta hai
kay hoja bus woh wahin
hojata hai. |
| |
| 02.118
Issi tarah bey ilm
logon ney bhi kaha
kay khud Allah Taalaa
hum say baaten kiyon
nahi kerta ya humaray
pass koi nishani kiyon
nahi aati? Issi tarah
aisi hi baat inn kay
aglon ney bhi kahi
thi unn kay aur inn
kay dil yaksan hogaye.
Hum ney to yaqeen
kerney walon kay liye
nishaniyan biyan ker
den. |
| |
| 02.119
Hum ney aap ko haq
kay sath khushkhabri
denay wala aur daraney
wala bana ker bheja
hai aur jahannumiyon
kay baray mein aap
say pursish nahi hogi. |
| |
| 02.120
Aap say yahud-o-nasaaraa
hergiz razi nahi hongay
jab tak kay aap inn
kay mazaahib kay tabey
na bann jayen aap
keh dijiye kay Allah
ki hidayat hi hidayat
hai aur agar aap ney
apney pass ba wajood
ilm aajaney kay phir
inn ki khuwaishon
ki pairwee ki to Allah
kay pass aap ka na
to koi wali hoga aur
na madadgar. |
| |
|
|
| |
| 02.121
Jinhen hum ney kitab
di hai aur woh issay
parhney kay haq kay
sath parhtay hain
woh iss kitab per
bhi eman rakhtay hain
aur jo iss kay sath
kufur keray woh nuksan
wala hai. |
| |
| 02.122
Aey aulad-e-yaqoob!
Mein ney jo nematen
tum per inam ki hain
unhen yaad kero aur
mein to tumhen tamam
jahanon per fazilat
dey rakhi thi. |
| |
| 02.123
Uss din say daro jiss
din koi nafss kissi
nafss ko kuch faeeda
na phoncha sakay ga
na kissi shaks say
koi fidya qabool kiya
jayega na ussay koi
shifaat nafa dey gi
na unn ki madad ki
jayegi. |
| |
| 02.124
Jab ibrhim (alh-e-salam)
ko unn kay rab ney
kaee kaee baaton say
aazmaya aur unhon
ney sab ko poora ker
diya to Allah ney
farmaya mein tumhen
logon ka imam bana
doon ga araz kerney
lagay aur meri aulad
ko farmaya mera wada
zalimon say nahi. |
| |
| 02.125
Hum ney bait-ullah
ko logon kay liye
sawab aur aman-o-aman
ki jagah banaee tum
muqam-e-ibrahim ko
jaye namaz muqarrar
ker lo hum ney ibrahim
(alh-e-salam) aur
ismail (alh-e-salam)
say wada liya kay
tum meray ghar ko
tawaf kerney walon
aur aeytikaaf kerney
walon aur rukoo sajda
kerney walon kay pak
saaf rakho. |
| |
| 02.126
Jab ibrahim
ney kaha aey
perwerdigar!
Tu iss jagah
ko aman wala
shehar bana
aur yahan kay
bashindon ko
jo Allah Taalaa
per aur qayamat
kay din per
eman rakhney
walay hon phalon
ki roziyan dey.
Allah Taalaa
ney farmaya:
mein kafiron
ko bhi thora
faeeda doon
ga phir unhen
aag kay azab
ki taraf bey
bus ker doon
ga yeh phonchney
ki jagah buri
hai. |
| |
| 02.127
Ibrahim (alh-e-salam)
aur ismail (alh-e-salam)
kaaba ki bunyaden
aur deewaren
uthatay jatay
thay aur kehtay
jaa rahey thay
kay humaray
perwerdigar!
Tu hum say qabool
farma tu hi
sunnay wala
aur janney wala
hai. |
| |
| 02.128
Aey humaray
rab! Humen apne
farmanbardar
bana ley aur
humari aulad
mein say bhi
aik jamat ko
apni ita’at
guzaar rakh
aur humen apni
ibadaten sikha
aur humari tauba
qabool farma
tu tauba qabool
farmaney wala
aur reham-o-karam
kerney wala
hai. |
| |
| 02.129
Aey humaray
rab! Inn mein
inhi mein say
rasool bhej
jo inn kay pass
teri aayaten
parhay enhen
kitab-o-hikmat
sikhaye aur
enhen pak keray
yaqeena tu ghalbay
wala aur hikmat
wala hai. |
| |
| 02.130
Deen-e-ibrahim
say wohi bey
raghabti keray
ga jo mehaz
bey waqoof ho
hum ney to ussay
duniya mein
bhi bar gazeedah
kiya tha aur
aakhirat mein
bhi woh nekon
kaaron mein
say hai. |
| |
|
|
| |
| 02.131
Jab kabhi bhi
unhen unn kay
rab ney kaha
farmanbardar
hoja unhon ney
kaha mein ney
rab-ul-aalameen
ki farmanbardari. |
| |
| 02.132
Issi ki wasiyat
ibrahim aur
yaqoob ney apni
aulad ko ki
kay humaray
bacho! Allah
Taalaa ney tumharay
liye iss deen
ko pasand farma
liya hai khabradar!
Tum musalman
hi marna. |
| |
| 02.133
Kiya (hazrat)
yaqoob kay intiqal
kay waqt tum
mojood thay?
Jab unhon ney
apni aulad ko
kaha kay meray
baad tum kiss
ki ibadat kero
gay? To sab
ney jawab diya
kayk aap kay
mabood ki aur
aap kay aaba-o-ajdaad
ibrahim (alh-e-salam)
aur ismail (alh-e-salam)
aur ishaq (alh-e-salam)
kay mabood ki
jo mabood aik
hi hai aur hum
ussi kay farmanbardar
rahen gay. |
| |
| 02.134
Yeh jamat to
guzar chuki
jo unhon ney
kaha woh unn
kay liye hai
aur jo tum kero
gay woh tumharay
liye hai. Unn
kay aemaal kay
baray mein tum
nahi poochay
jao gay. |
| |
| 02.135
Yeh kehtay hain
kay yahud-o-nasaaraa
bann jao to
hidayat pao
gay. Tum kaho
bulkay sahih
raah per millat-e-ibrahimi
walay hain aur
ibrahim khalis
Allah kay paristaar
thay aur mushrik
na thay. |
| |
| 02.136
Aey musalmano!
Tum sab kaho
kay hum Allah
per eman laye
aur uss cheez
per bhi jo humari
taraf utari
gaee aur jo
cheez ibrahim
ismail ishaq
yaqoob (aleyhim-us-salam)
aur inn ki aulad
per utari gaee
aur jo kuch
Allah ki janib
say musa aur
essa (aleyhim-us-salam)
aur doosray
anbiya (aleyhim-us-salam)
diye gaye. Hum
inn say mein
say kissi kay
darmiyan farq
nahi kertay
hum Allah kay
farmanbardar
hain. |
| |
| 02.137
Agar woh tum
jaisa eman layen
to hidayat payen
aur agar mun
moren to woh
sareeh ikhtilaf
mein hain Allah
Taalaa inn say
un qarib aap
ki kifayat keray
ga aur woh khoob
sunnay aur janney
wala hai. |
| |
| 02.138
Allah ka rang
ikhtiyar kero
aur Allah Taalaa
say acha rang
kiss ka hoga?
Hum to ussi
ki ibadat kerney
walay hain. |
| |
| 02.139
Aap keh dijiye
kay kiya tum
hum say Allah
kay baray mein
jhagartay ho
jo humara aur
tumhara rab
hai humaray
liye humaray
aemaal hain
aur tumharay
liye tumharay
aemaal hum to
ussi kay liye
mukhlis hain. |
| |
| 02.140
Kiya tum kehtay
ho kay ibrahim
aur ismail aur
ishaq aur yaqoob
(aleyhim-us-salam)
aur unn ki aulad
yahudi ya nasrani
thay? Keh do
kiya tum ziyada
jantay ho ya
Allah Taalaa?
Allah kay pass
shahdat chupney
walay say ziyada
zalim aur kaun
hai? Aur Allah
tumharay kaamon
say ghafil nahi. |
| |
|
|
| |
| 02.141
Yeh ummat hai
jo guzar chuki
jo unhon ney
kiya unn kay
liye hai aur
jo tum ney kiya
tumharay liye
tum unn kay
aemaal kay baray
mein sawal na
kiye jao gay. |
|
|
|