 |
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Parah-Sayaqool
02 |
| |
|
| |
| Surat-Baqara
02 |
| (Sura-e-Baqara
Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain
hain) |
| |
| 02.142 Un qarib nadan log kahen gay kay jiss qabeelay per
yeh thay iss say enhen kiss cheez na hataya? Aap
keh dijiye kay mashriq-o-maghrib ka maalik Allah
Taalaa hi hai woh jissay chahaye seedhi raah ki
hidayat ker dey. |
| |
| 02.143 Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai
takay tum logon per gawah hojao aur rasool (PBUH)
tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay
say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha
kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar
kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball
palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen
Allah ney hidayat di hai (unn per koi mushkil nahi)
Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah
Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney
wala hai. |
| |
| 02.144 Hum aap kay chehray ko baar baar aasman ki taraf
uthtay uthtay huye dekh rahey hain abb hum aap ko
uss qiblay ki janib mutawajja keren gay jiss say
aap khush hojayen aap apna mun masjid-e-haram ki
taraf pher len aur aap jahan kahin hon apna mun
ussi taraf phera keren. Ehal-e-kitab ko iss baat
kay Allah ki taraf say bar haq honey ka qataee ilm
hai aur Allah Taalaa unn aemaal say ghafil nahi
jo yeh kertay hain. |
| |
| 02.145 Aur aap agar cheh ehal-e-kitab ko tamam daleelen
dey den lekin woh aap kay qiblay ki pairwi nahi
keren gay aur na aap inn kay qiblay ko manney walay
hain aur na yeh aapas mein aik doosray kay qiblay
ko manney walay hain aur agar aap ba wajood yeh
kay aap kay pass ilm aa chuka phir bhi inn ki khuwaishon
kay peechay lag jayen to bil yaqeen aap bhi zalimon
mein say hojayen. |
| |
| 02.146 Jinhen hum ney kitab di hai woh to issay aisa pehchantay
hain jaisay koi apney bachon ko pehchaney inn kay
aik jamat haq ko pehchan ker phri chupati hai. |
| |
| 02.147 Aap kay rab ki taraf say yeh sira sir haq hai khabardaar
aap shak kerney walon mein say na hona. |
| |
| 02.148 Her shaks aik na aik tarf mutawajja horaha hai tum
nekiyon ki taraf doro. Jahan kahin bhi tum hogay
Allah tumhen ley aaye ga. Allah Taalaa her cheez
per qadir hai. |
| |
| 02.149 Aap jahan say niklay apna mun (namaz kay liye) masjid-e-haram
ki taraf ker liya keren yehi haq hai aap kay rab
ki taraf say jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah
Taalaa bey khabar nahi. |
| |
| 02.150 Aur jiss jagah say aap niklen apna mun masjid-e-haram
ki taraf pher len aur jahan kahin tum ho apney chehray
issi taraf kiya kero takay logon ki koi hujjat tum
per baqi na reh jaye siwaye unn logon kay jinhon
ney inn mein say zulm kiya hai tum inn say na daro
mujh hi say daro aur takay mein apni nemat tum per
poori keroon aur iss liye bhi kay tum raah-e-raast
pao. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.151 Jiss tarah hum ney tum mein tumhin mein say rasool
bheja jo humari aayaten tumharay samney tilawat
kerta hai aur tumhen kitab-o-hikmat aur woh cheezen
sikhata hai jin say tum bey ilm nahi. |
| |
| 02.152 Iss liye tum mera ziker kero mein bhi tumhen yaad
keroon ga meri shukar guzari kero aur na shukri
say bacho. |
| |
| 02.153 Aey eman walo! Sabar aur namaz kay zariye madad
chahao Allah Taalaa sabar kerney walon ka sath deta
hai. |
| |
| 02.154 Aur Allah Taalaa ki raah kay shaheedon ko murda
mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay. |
| |
| 02.155 Aur hum kissi na kissi tarah tumhari aazmaish zaroor
keren gay dushman kay darr say bhook piyas say maal-o-jaan
aur phalon ki kami say aur unn sabar kerney walon
ko khushkhabri dey dijiye. |
| |
| 02.156 Jinhen jab koi musibat aati hai to keh diya kertay
hain kay hum to khud Allah Taalaa ki milkiyat hain
aur hum ussi ki taraf lotney walay hain. |
| |
| 02.157 Unn per unn kay rab ki nawazishen aur rehmaten hain
aur yehi log hidayat yaafta hain. |
| |
| 02.158 Safa aur marwa Allah Taalaa ki nishaniyon mein say
hain iss liye bait ullah ka hajj aur umrah kerney
walay per inn ka tawaf ker lenay mein bhi koi gunah
nahi apni khushi say bhalaee kerney walon ka Allah
qadar daan hai aur unhen khoob janney wala hai. |
| |
| 02.159 Jo log humari utari hui daleelon aur hidayat ko
chupatay hain ba wajood yeh kay hum ussay apni kitab
mein logon kay liye biyan ker chukay hain unn logon
per Allah ki aur tamam laanat kerney walon ki laanat
hai. |
| |
| 02.160 Magar woh log jo tauba ker len aur islaah ker len
aur biyan ker den to mein unn ki tauba qabool ker
leta hun aur mein tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam
kerney wala hun. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.161 Yaqeenan jo kuffaar apney kufur mein hi marr
jayen unn per Allah Taalaa ki farishton ki
aur tamam logon ki laanat hai. |
| |
| 02.162 Jiss mein yeh hamesha rahen gay na unn say
azab halka kiya jayega aur na unhen dheel
di jaye gi. |
| |
| 02.163 Tum sab ka mabood aik hi mabood hai uss kay
siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh boht reham
kerney wala aur bara meharban hai. |
| |
| 02.164 Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka
hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay
wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna
aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda
ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko
phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal
jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar
hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee
ki nishaniyan hain. |
| |
| 02.165 Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek
auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat
rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi
chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat
mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik
log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh
ker (jaan len gay) kay tamam taqat Allah hi
ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala
hai (to hergiz shirk na kertay). |
| |
| 02.166 Jiss waqt paishwa log apney tabey daron say
bey zaar hojayen gay aur azab ko apni aankhon
say dekh len gay aur kul rishtay naatay toot
jayen gay. |
| |
| 02.167 Aur tabey daar log kehney lagen gay kaash
hum duniya ki taraf doobara jayen to hum bhi
inn say aisay hi bey zaar hojayen jaisay yeh
hum say hain issi tarah Allah Taalaa unhen
unn kay aemaal dikhaye ga unn ko hasrat dilaney
ko yeh hergiz jahannum say na niklen gay. |
| |
| 02.168 Logn! Zamin mein jitni bhi halal aur pakeezah
cheezen hain unhen khao piyo aur shetani raah
per na chalo woh tumhara khula hua dushman
hai. |
| |
| 02.169 Woh tumhen sirf buraee aur bey hayaee ka aur
Allah Taalaa per unn baaton kay kehnay ka
hukum deta hai jin ka tumhen ilm nahi. |
| |
| 02.170 Aur inn say jab kabhi kaha jata hai kay Allah
Taalaa ki utari hui kitab ki tabeydari kero
to jawab detay hain kay hum to iss tareeqay
ki pairwi keren gay jiss per hum ney apney
baap dadon ko paya go inn kay baap daday bey
aqal aur gum kerda raahon mein hon. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.171 Kuffaar ki misal unn janwaron ki tarah
hai jo apney charwahey ki sirf pukar
aur aawaz hi ko suntay hain (samajhtay
nahi) woh behray goongay andhay hain
enhan aqal nahi. |
| |
| 02.172 Aey eman walo! Jo pajeeza cheezen hum
ney tumhen dey rakhi hain unhen khao
piyo aur Allah Taalaa ka shukar kero
agar tum khaas ussi ki ibadat kertay
ho. |
| |
| 02.173 Tum per murda aur (baha hua) khoon aur
sooar ka gosht aur her woh cheez jiss
per Allah kay siwa doosron ka naam pukara
gaya ho haram hai phir jo majboor hojaye
aur hadd say barhney wala aur ziyadti
kerney wala na ho uss per inn kay khaney
mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish
kerney wala meharban hai. |
| |
| 02.174 Be-shak jo log Allah Taalaa ki utari
hui kitab chupatay hain ussay thori
thori si qeemat per baichtay hain yaqeen
mano kay yeh apney pet mein aag bhar
rahey hain qayamat kay din Allah unn
say baat bhi na keray ga na unhen pak
keray ga bulkay unn kay liye dard naak
azab hai. |
| |
| 02.175 Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi
ko hidayat kay badlay aur azab ko maghfirat
kay badlay khareed liya hai yeh log
aag ka azab kitan bardasht kerney walay
hain. |
| |
| 02.176 Inn azabon ka baees yeh hi hai
kay Allah Taalaa ney sachi kitab
utari aur iss kitab mein ikhtilaf
kerney walay yaqeenan door kay
khilaf mein hain. |
| |
| 02.177 Sari achaee mashriq-o-maghrib
ki taraf mun kerney mein hi nahi
bulkay acha woh shaks hai jo Allah
Taalaa per qayamat kay din per
aur farishton per kitab ullah
per aur nabiyon per eman rakhney
wala ho jo maal say mohabbat kerney
kay bawajood qarabat daron yateemon
miskeenon musafiron aur sawal
kerney walon ko dey ghulamon ko
aazad keray namaz ki pabandi aur
zakat ki adaeegi keray jab wada
keray tab ussay poora keray tangdast
dukh dard aur laraee kay waqt
sabar keray yehi sachay log hain
aur yehi perhezgar hain. |
| |
| 02.178 Aey eman walon! Tum per maqtoolon
ka qisass lena farz kiya gaya
hai aazad aazad kay badlay ghulam
ghulam kay badlay aurat aurat
kay badlay. Haan jiss kissi ko
uss kay bhai kay badlay moafi
dey di jaye ussay bhalaee ki ittaba
kerni chahaiye aur aasani kay
sath deeyat ada kerni chahaiye.
Tumharay rab ki taraf say yeh
takhfeef aur rehmat hai iss kay
baad bhi jo sirkashi keray ussay
dard naak azab hoga. |
| |
| 02.179 Aqal mandon! Qisass mein tumharay
liye zindagi hai iss baees tum
(qatal-e-na haq say) ruko gay. |
| |
| 02.180 Tum per farz ker diya gaya hai
kay jab tum mein say koi marney
lagay aur maal chor jata ho to
apney maa baap aur qarabat daron
kay liye achai kay sath waseeyat
ker jaye perhezgaron per yeh haq
aur sabit hai. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.181 Abb jo shaks issay sunney kay baad badal
dey uss ka gunah badlaney walay per
hi hoga waqaee Allah Taalaa sunney wala
janney wala hai. |
| |
| 02.182 Haan jo shaks waeeyat kerney walay ki
janib daari ya gunah ki waseeyat ker
denay say daray pus woh inn mein aapas
mein islaah kera dey to uss per gunah
nahi Allah Taalaa bakshney wala meharban
hai. |
| |
| 02.183 Aey eman walo! Tum per rozay rakhna
farz kiya gaya jiss tarah tum say pehlay
logon per farz kiye gaye thay takay
tum taqwa ikhtiyar kero. |
| |
| 02.184 Ginti kay chand hi din hain lekin tum
mein say jo shaks beemar ho ya safar
mein ho to woh aur dinon mein ginti
ko poora ker ley aur iss ki taqat rakhney
walay fidiye mein aik miskeen ko khana
den phir jo shaks neki mein sabqat keray
woh ussi kay liye behtar hai lekin tumharay
haq mein behtareen kaam rozay rakhna
hi hai agar tum ba ilm ho. |
| |
| 02.185 Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran
utaara gaya jo logon ko hidayat kerney
wala hai aur jiss mein hidayat ki aur
haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan
hain tum mein say jo shaks iss maheeney
ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan
jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray
dinon mein yeh ginti poori kerni chahaiye
Allah Taalaa ka irada tumharay sath
aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata
hai kay tum ginti poori ker lo aur Allah
Taalaa ki di hui hidayat per uss ki
baraiyan biyan kero aur uss ka shukar
kero. |
| |
| 02.186 Jab meray banday meray baray mein aap
say sawal keren to aap keh den kay mein
boht hi qarib hun her pukarney walay
ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray
qabool kerta hun iss liye logon ko bhi
chahaiye kay woh meri baat maan liya
keren aur mujh per eman rakhen yehi
unn ki bhalaee ka baees hai. |
| |
| 02.187 Rozay ki raaton mein apni biwiyon say
milna tumharay liye halal kiya gaya
woh tumhara libas hain aur tum unn kay
libas ho tumhari posheeda khayanaton
ka Allah Taalaa ko ilm hai uss ney tumhari
tauba qabool farma ker tum say dar guzar
farma liya abb tumhen inn say mubashirat
ki aur Allah Taalaa ki likhi hui cheez
ko talash kerney ki ijazat hai tum khatay
peetay raho yahan tak kay subha ka safaid
dhaga siyah dhagay say zahir hojaye.
Phir raat tak rozay ko poora kero aur
aurton say uss waqt mubashirat na kero
jab kay tum masjidon mein aeytikaaf
mein ho. Yeh Allah Taalaa ki hudood
hain tum unn kay qarib bhi na jao. Issi
tarah Allah Taalaa apni aayaten logon
kay liye biyan farmata hai takay woh
bachen. |
| |
| 02.188 Aur aik doosray ka maal na haq na khaya
kero na hakimon ko rishwat phoncha ker
kissi ka kuch maal zulm-o-sitam say
apna liya kero halankay tum jantay ho. |
| |
| 02.189 Log aap say chaand kay baray mein sawal
kertay hain aap keh dijiye kay yeh logon
(ki ibadat) kay waqton aur hajj kay
mausam kay liye hai (ehraam ki halat
main) aur gharon kay peechay say tumhara
aana kuch neki nahi bulkay neki wala
woh hai jo muttaqi ho. Aur gharon mein
to darwazon say aaya kero aur Allah
say dartay raho takay tum kaamyaab hojao. |
| |
| 02.190 Laro Allah ki raah mein unn say jo tum
say lartay hain aur ziyadti na kero
Allah Taalaa ziyadti kerney walon ko
pasand nahi fermata. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.191 Enhen maaro jahan bhi pao aur enhen
nikalo jahan say enhon ney tumhen nikala
hai aur (suno) fitna qatal say ziyada
sakht hai aur masjid-e-haram kay pass
inn say laraee na kero jabtak kay yeh
khu tum say na laren agar yeh tum say
laren to tum bhi enhen maaro kafiron
ka badla yehi hai. |
| |
| 02.192 Agar yeh baaz aajyen to Allah Taalaa
bakshney wala meharban hai. |
| |
| 02.193 Inn say laro jabtak kay fitna na mitt
jaye aur Allah Taalaa ka deen ghalib
na aajaye agar yeh ruk jayen (to tum
bhi ruk jao) ziyadti to sirf zalimon
per hi hai. |
| |
| 02.194 Hurmat walay maheeney hurmat walay maheenon
kay badlay hain aur hurmaten adlay badlay
ki hain jo tum per ziyadti keray tum
bhi ussi tarah ussi ki misil ziyadti
kero jo tum per ki hai aur Allah Taalaa
say dartay raha kero aur jaan rakho
kay Allah Taalaa perhezgaron kay sath
hai. |
| |
| 02.195 Allah Taalaa ki raah mein kharach kero
aur apney haathon halakat mein na paro
aur sulook-o-ehsan kero Allah Taalaa
ehsan kerney walon ko dost rakhta hai. |
| |
| 02.196 Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye
poora kero haan agar tum rok liye jao
to jo qurbani mayyassar ho ussay ker
daalo aur apney sir na mundwao jabtak
kay qurbani qurban gaah tak na phonch
jaye albatta tum mein say jo beemar
ho ya uss kay sir mein koi takleef ho
(jiss ki waja say sir munda ley) to
uss per diya hai khuwa rozay rakh ley
khuwa sadqa dey dey khuwa qurabi keray
pus tum amann ki halat mein hojao to
jo shaks umray say ley ker hajj tak
tamatto keray pus ussay jo qurabni mayyassar
ho ker dalay jissay taqat hi na ho to
woh teen rozay to hajj kay dinon mein
rakh ley aur saat wapsi mein yeh pooray
das hogaye. Yeh hukum unn kay liye hai
jo masjid-e-haram kay rehney walay na
hon logo! Allah say dartay raho aur
jaan lo kay Allah Taalaa sakht azab
wala hai. |
| |
| 02.197 Hajj kay maheenay muqarrar hain iss
liye jo shaks inn mein hajj lazim ker
ley woh apni biwi say milaap kerney
gunah kerney aur laraee kerney say bachta
rahey tum jo neki kero gay uss say Allah
Taalaa ba khabar hai aur apney sath
safar kharach ley liya kero sab say
behtar tosha Allah Taalaa ka darr hai
aur aey aqal mando! Mujh say dartay
raha kero. |
| |
| 02.198 Tum per apney rab ka fazal ka talash
kerney mein koi gunah nahi jab tum arfaat
say loto to to mash’ar-e-haram
kay pass zikar-e-elahee kero aur uss
ka zikar kero jaisay kay uss ney tumhen
hidayat di halankay tum iss say pehlay
raah bhoolay huye thay. |
| |
| 02.199 Phir tum uss jagah loto jiss jagah sab
log lot’tay hain aur Allah Taalaa
say talab-e-bakshish kertay raho yaqeenan
Allah Taalaa bakshney wala meharban
hai. |
| |
| 02.200 Phir jab tum arkaan-e-hajj ada ker chuko
to Allah Taalaa ka zikar kero jiss tarah
tum apney baap dadon ka zikar kiya kertay
thay bulkay iss say bhi ziyada baaz
log woh bhi hain jo kehtay hain aey
humaray rab! Humen duniya mein dey.
Aisay logon ka aakhirat mein koi hissa
nahi. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.201 Aur baaz log woh bhi
hain jo kehtay hain aey humaray
rab! Humen duniya mein neki dey
aur aakhirat mein bhi bhalaee
ata farma aur humen azab-e-jahannum
say nujat dey. |
| |
| 02.202 Yeh woh log hain jin kay liye
unn kay aemaal ka hissa hai aur
Allah Taalaa jalad hisab lenay
wala hai. |
| |
| 02.203 Aur Allah Taalaa ki yaad unn ginti
kay chand dinon (ayyaam-e-tashreeq)
mein kero do din ki jaldi kerney
walay per bhi koi gunah nahi aur
jo peechay reh jaye uss per bhi
koi gunah nahi yeh perhezgar kay
liye hai aur Allah Taalaa say
dartay raho aur jaan rakho kay
tum sab ussi ki taraf jama kiye
jao gay. |
| |
| 02.204 Baaz logon ki dunyawi gharaz ki
baaten aap ko khush ker deti hain
aur woh apney dil ki baaton per
Allah ko gawah kerta hai halankay
dar asal woh zabardast jhagraloo
hai. |
| |
| 02.205 Jab woh lot ker jata hai to zamin
mein fasad phelaney ki aur kheti
aur nasal ki barbadi ki koshish
mein laga rehta hai aur Allah
Taalaa fasad ko na pasand kerta
hai. |
| |
| 02.206 Aur jab uss say kaha jaye kay
Allah say darr to takabbur aur
ta’assub ussay gunah per
aamada ker deta hai aisay kay
liye bus jahannum hi hai aur yaqeenan
woh badtareen jagah hai. |
| |
| 02.207 Aur baaz log woh bhi hai jo Allah
Taalaa ki raza mandi ki talab
mein apni jaan tak baich detay
daltay hain aur Allah Taalaa apney
bandon per bari meharbani kerney
wala hai. |
| |
| 02.208 Eman walo! Islam mein pooray pooray
dakhil hojao aur shetan kay qadmon
ki tabeydari na kero woh tumhara
khula dushman hai. |
| |
| 02.209 Agar tum bawajoob tumharay daleel
aajaney kay bhi phisal jao to
jaan lo kay Allah Taalaa ghalbay
wala aur hikmat wala hai. |
| |
| 02.210 Kiya logon ko iss baat ka intizar
hai kay unn kay pass khud Allah
Taalaa abar kay sayebanon mein
aajaye aur farishtay bhi aur kaam
inteha tak phoncha diya jaye Allah
hi ki taraf tamam kaam lotaye
jatay hain. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.211 Bani israeel say poocho to kay
hum ney unhen kiss qadar roshan
nishaniyan ata farameen aur jo
shaks Allah Taalaa ki nematon
ko apney pass phonch janey kay
baad badal dalay (woh jaan ley)
kay Allah Taalaa sakht azabon
wala hai. |
| |
| 02.212 Kafiron kay liye duniya ki zindagi
khoob zeenat daar ki gaee hai
woh eman walon say hansi mazaq
kertay hain halankay perhezgar
log qayamat kay din unn say aala
hongay Allah Taalaa jisay chahata
hai bey hisab rozi deta hai. |
| |
| 02.213 Dar-asal log aik hi giroh thay
Allah Taalaa ney nabiyon ko khushkhabri
denay aur daraney wala bana ker
bheja aur unn kay sath sachi kitaben
nazil farmaeen takay logon kay
her ikhtilafi amar ka faisla hojaye.
Aur sirf unhi logon ney jinhen
kitab di gaee thi apney pass dalaeel
aa chukney kay baad aapas kay
bughz-o-aeynaad ki waja say iss
mein ikhtilaf kiya iss liye Allah
pak ney eman walon ki iss ikhtilaf
mein bhi haq ki taraf apni mashiyat
say rehbari ki aur Allah jiss
ko chahaye seedhi raah ki taraf
rehbari kerta hai. |
| |
| 02.214 Kiya tum yeh guman kiye bethay
ho kay jannat mein chalay jao
gay halankay abb tak tum per woh
halaat nahi aaye jo tum say aglay
logon per aaye thay. Unehn beemariyan
aur musibaten phonchi aur woh
yahan tak jhanjoray gaye kay rasool
aur uss kay sath kay eman walay
kehney lagay kay Allah ki madad
kab aaye gi? Sun rakho kay Allah
ki madad qarib hi hai. |
| |
| 02.215 Aap say poochtay hain kay woh
kiya kharach keren? Aap keh dijiye
kay jo maal tum kharach kero woh
maa baap kay liye hai aur rishtay
daron aur yateemon aur miskeenon
aur musafiron kay liye hai aur
tum jo kuch bhalaee kero gay Allah
Taalaa to uss ka ilm hai. |
| |
| 02.216 Tum per jihad farz kiya gaya go
woh tumhen dushwar maloom ho mumkin
hai tum kissi cheez ko buri jano
aur wohi tumharay liye bhali ho
aur yeh bhi mumkin hai kay tum
kissi cheez ko achi samjho halankay
woh tumharay liye buri ho haqeeqi
ilm Allah hi ko hai tum mehaz
bey khabar ho. |
| |
| 02.217 Log aap say hurmat walay maheenon
mein laraee ki babat sawal kertay
hain aap keh dijiye kay inn mein
laraee kerna bara gunah hai lekin
Allah ki raah say rokna uss kay
sath kufur kerna aur masjid-e-haram
say rokna aur wahan kay rehney
walon ko wahan say nikalna Allah
kay nazdeek uss say bhi bara gunah
hai yeh fitna qatal say bhi bara
gunah hai yeh log tum say laraee
bhiraee kertay hi rahen gay yahan
tak kay agar hosakay to tumhen
tumharay deen say murtid ker den
aur tum mein say jo log apney
deen say palat jayen aur issi
kufur ki halat mein maren unn
kay aemaal-e-duyawi aur ukhrawi
sab ghaarat hojayen gay. Yeh log
jahannumi hongay aur hamesha hamesha
jahannum mein hi rahen gay. |
| |
| 02.218 Alabatta eman laney walay hijrat
kerney walay Allah ki raah mein
jihad kerney walay hi rehmat-e-elahee
kay umeedwar hain Allah Taalaa
boht bakshney wala aur boht meharbani
kerney wala hai. |
| |
| 02.219 Log aap say sharab aur juye ka
masla poochtay hain aap keh dijiye
inn dono mein boht bara gunah
hai aur logon ko iss say dunyawi
faeeda bhi hota hai lekin inn
ka gunah unn kay nafay say boht
ziyada hai. Aap say yeh bhi daryaft
kertay hain kay kiya kuch kharach
keren? To aap keh dijiye hajat
say zaeed cheez, Allah Taalaa
issi taraf apney ehkaam saaf saaf
tumharay liye biyan farma raha
hai takay tum soch samajh sako. |
| |
| 02.220 Duniya aur aakhirat kay umoor
ko. Aur tujh say yateemon kay
baray mein bhi sawal kertay hain
aap keh dijiye kay inn ki khair
khuwahi behtar hai tum agar inn
ka maal apney maal mein mila bhi
lo to woh tumharay bhai hain bad
niyat aur nek niyat her aik ko
Allah khoob janta hai aur agar
Allah chahata to tumhen mushaqqat
mein daal deta yaqeenan Allah
Taalaa ghalbay wala hikmat wala
hai. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.221 Aur shirk kerney wali aurton say
tawaqt-e-kay woh eman na layen
tum nikkah na kero eman walo londi
bhi shiek kerney wali aazad aurat
say boht behtar hai go tumhen
mushrika hi achi lagti ho aur
na shirk kerney walay mardon kay
nikkah mein apni aurton ko do
jab tak woh eman na layen eman
wala ghulam aazad mushrik say
behtar hai go mushrik tumhen acha
lagay. Yeh log jahannum ki taraf
bulatay hain aur Allah jannat
ki taraf aur apni bakshish ki
taraf apney hukum say bulata hai
woh apni aayaten logon kay liye
biyan farma raha hai takay woh
naseehat hasil keren. |
| |
| 02.222 Aap say haiz kay baray mein sawal
kertay hain keh dijiyewoh gandagi
hai haiz halaton mein aurton say
alag raho aur jab tak woh pak
na hojayen unn kay qarib na jao
han jab woh pak hojayen o unn
kay pass jao jahan say Allah ney
tumhen ijazat di hai Allah tauba
kerney walon ko aur pak rehney
walon ko pasand farmata hai. |
| |
| 02.223 Tumhari biwiyan tumhari khetiyan
hain apni khetiyon mein jiss tarah
chahao aao aur apney liye (naik
amaal) aagay bhejo aur Allah Taalaa
say dartay raha kero aur jaan
rakho kay tum uss say milney walay
ho aur eman walon ko khushkhabri
suna dijiye. |
| |
| 02.224 Aur Allah Taalaa ko apni qasmon
ka iss tarah nishana na banao
kay bhalaee aur perhezgari aur
logon kay darmiyan ki islaah ko
chor betho aur Allah Taalaa sunney
wala janney wala hai. |
| |
| 02.225 Allah Taalaa tumhen tumhari unn
qasmon per na pakray ga jo pukhta
na hon haan uss ki pakar uss cheez
per hai jo tumharay dilon ka fail
ho Allah Taalaa bakshney wala
aur burdbaar hai. |
| |
| 02.226 Jo log apni biwiyon say
(talluq na rakhney) qasmen
khayen unn kay liye chaar
maheeney ki iddat hai phir
agar woh lot aayen to Allah
Taalaa bhi bakshney wala
meharban hai. |
| |
| 02.227 Aur agar tallaq ka hi qasad
ker len to Allah Taalaa
sunney wala janney wala
hai. |
| |
| 02.228 Tallaq wali aurten apney
aap ko teen haiz tak rokay
rakhen unhen halal nahi
kay Allah ney unn kay reham
mein jo paida kiya ho ussay
chupayen agar unhen Allah
Taalaa per aur qayamat kay
din per eman ho unn kay
khawind iss muddat mein
unhen lota lenay kay pooray
haq daar hain agar unn ka
irada islaah ka ho. Aur
aurton kay bhi wesay hi
haq hain jaisay unn per
mardon kay hain achai kay
sath. Haan mardon ko aurton
per fazeelat hai aur Allah
Taalaa ghalib hai aur hikmat
wala hai. |
| |
| 02.229 Yeh tallaqen do martaba
hain phir ya to achai say
rokna ya umdagi kay sath
chor dena aur tumhen halal
nahi kay tum ney unhen jo
dey diya hai uss mein say
kuch bhi lo haan yeh aur
baat hai kay dono ko Allah
ki hudood qaeem na rakh
sakney ka khof ho iss liye
agar tumhen darr ho kay
yeh dono Allah ki haden
qaeem na rakh saken gay
to aurat rehaee paney kay
liye kuch dey dalay iss
mein dono per gunah nahi
yeh Allah ki hudood hain
khabardar inn say aagay
na barhna aur jo log Allah
ki haddon say tajawuz ker
jayen woh zalim hain. |
| |
| 02.230 Phir agar iss ko (teesri
baar) tallaq dey dey to
abb iss kay liye halal nahi
jab tak kay woh aurat iss
kay siwa doosray say nikkah
na keray phir agar woh bhi
tallaq dey dey to inn dono
ko mail jol ker lenay mein
koi gunah nahi ba shart-e-kay
yeh jaan len kay Allah ki
haddon ko qaeem rakh saken
gay yeh Allah Taalaa ki
hudood hain jinhen woh janney
walon kay liye biyan farma
raha hai. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.231 Jab tum aurton
ko tallaq do
aur woh apni
iddat khatam
kerney per aayen
to abb enehn
achi tarah basao
ya bhalaee kay
sath alag ker
do aur enhen
takleef phonchaney
ki gharaz say
zulm-o-ziyadti
kay liye na
roko jo shaks
aisa keray uss
ney apni jaan
per zulm kiya.
Tum Allah kay
ehkaam ko hansi
khel na banao
aur Allah kay
ehsan jo tum
per hai yaad
kero aur jo
kuch kiab-o-hikmat
uss ney nazil
farmaee hai
jiss say tumehn
naseehat ker
raha hai ussay
bhi. Aur Allah
Taalaa say dartay
raha kero aur
jaan rakho kay
Allah Taalaa
her cheez ko
janta hai. |
| |
| 02.232 Aur jab tum
apni aurton
ko tallaq do
aur woh apni
iddat poori
ker len o unhen
unn kay khawindon
say nikkah kerney
say na roko
jab kay woh
aapas mein dastoor
kay mutabiq
raza mand hon.
Yeh naseehat
unhen ki jati
hai jinhen tum
mein say Allah
Taalaa per aur
qayamat kay
din per yaqeen-o-eman
ho iss mein
tumhari behtareen
safaee aur pakeezgi
hai. Allah Taalaa
janta hai aur
tum nahi jantay. |
| |
| 02.233 Mayen apni aulad
ko do saal kamil
doodh pilayen
jin ka irada
doodh pilaney
ki muddat bilkul
poori kerney
ka ho aur jin
kay bachay hain
unn kay zimmay
unn ka roti
kapra hai jo
mutabiq dastoor
kay ho. Her
shaks utni hi
takleef diya
jata hai jitni
uss ki taqat
ho. Maa ko uss
kay bachay ki
waja say ya
baap ko uss
ki aulad ki
waja say koi
zarar na phonchaya
jaye waris per
bhi issi jaisi
zimmay dari
hai phir agar
dono (yani maa
baap) apni raza
mandi aur bahumi
mashwaray say
doodh churana
chayen to dono
per kuch gunah
nahi aur agar
tumhara irada
apni aulad ko
doodh pilwaney
ka ho to bhi
tum per koi
gunah nahi jab
kay tum unn
ko muabiq dastoor
kay jo dena
ho woh inn kay
hawalay ker
do Allah Taalaa
say dartay raho aur jantay raho
kay Allah Taalaa
tumharay aemaal
ki dekh bhaal
ker raha hai. |
| |
| 02.234 Tum mein say
jo log fot ho
jayen aur biwiyan
chor jayen woh
aurten apney
aap ko chaar
maheeney aur
das (din) iddat
mein rakhen
phir jab muddat
khatam ker len
to jo achai
kay sath woh
apney liye keren
uss mein tum
per koi gunah
nahi aur Allah
Taalaa tumharay
her amal say
khabardar hai. |
| |
| 02.235 Tum per iss
mein koi gunah
nahi kay tum
isharatan kanayatan
inn aurton say
nikkah ki babat
kaho ya apney
dil mein posheeda
irada kero Allah
Taalaa ko ilm
hai kay kay
tum zaroor inn
ko yaad kero
gay lekin tum
inn say posheeda
waday na ker
lo haan yeh
aur baat hai
kay tum bhali
baat bola kero
aur aqad nikkah
jab tak kay
iddat khatam
na hojaye pukhta
na kero jaan
rakho kay Allah
Taalaa ko tumharay
dilon ki baaton
ka bhi ilm hai
tum uss say
khof khatay
raha kero aur
yeh bhi jaan
rakho kay Allah
Taalaa bakshish
aur hilm wala
hai. |
| |
| 02.236 Agar tum aurton
ko baghair haath
lagaye aur baghair
mehar muqarrar
kiye tallaq
dey do to bhi
tum per koi
gunah nahi haan
unhen kuch na
kuch faeeda
do. Khushal
apney andaz
say aur tangdast
apni taqat kay
mutabiq dasatoor
kay mutabiq
acha faeeda
dey. Bhalaee
kerney walon
per yeh lazim
hai. |
| |
| 02.237 Aur agar tum
aurton ko iss
say pehlay tallaq
dey do kay tum
ney unhen haath
lagaya ho aur
tum ney unn
ka mehar bhi
muqarrar ker
diya ho to muqarrar
mehar ka aadha
mehar dey do
yeh aur baat
hai kay woh
khud moaf ker
den ya woh shaks
moaf ker dey
jiss kay haath
mein nikkah
ki girah hai
tumhara moaf
ker dena taqwa
say boht nazdeek
hai aur aapas
ki fazeelat
aur buzrugi
ko faramosh
na kero yaqeenan
Allah Taalaa
tumharay aemaal
ko dekh raha
hai. |
| |
| 02.238 Namazon ki hofazat
kero bilkhusoos
darmiyan wali
namaz ki aur
Allah Taalaa
kay liye ba
adab kharay
raha kero. |
| |
| 02.239 Agar tumhen
khof ho to paidal
hi sahih ya
sawari hi sahih
haan jab aman
hojaye to Allah
ka zikar kero
jiss tarah ka
uss ney tumhen
uss baat ki
taleem di jissay
tum nahi jantay
thay. |
| |
| 02.240 Jo log tum mein
say fot hojayen
aur biwiyan
chor jayen woh
waseeyat ker
jayen kay unn
ki biwiyan saal
bhar tak faeeda
uthayen unhen
koi na nikalay
haan agar woh
khud nikal jayen
to tum per iss
mein koi gunah
nahi jo woh
apney liye achai
say keren Allah
Taalaa ghalib
aur hakeem hai. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.241 Tallaq waliyon
ko achi tarah
faeeda dena
perhezgaron
per lazim hai. |
| |
| 02.242 Allah Taalaa
issi tarah apni
aayaten tum
per zahir ker
raha farma raha
hai takay tum
samjho. |
| |
| 02.243 Kiya tum ney
unhen nahi dekha
jo hazaron ki
tadaad mein
thay aur maut
kay darr kay
maaray apney
gharon say nikal
kharay huye
thay Allah Taalaa
ney unhen farmaya
marr jao phir
unhen zinda
ker diya be-shak
Allah Taalaa
logon per bara
fazal wala hai
lekin aksar
log na shukray
hain. |
| |
| 02.244 Allah ki raah
mein jihad kero
aur jaan lo
kay Allah Taalaa
sunta janta
hai. |
| |
| 02.245 Aisa bhi koi
hai jo Allah
Taalaa ko acha
qarz dey pus
Allah Taalaa
ussay boht barha
charha ker ata
farmaye Allah
hi tangi aur
kushadgi kerta
hai aur tum
sab ussi ki
taraf lotaye
jao gay. |
| |
| 02.246 Kiya aap ney
(hazrat) musa
kay baad wali
bani israeel
ki jamat ko
nahi dekha jab
kay unhon ney
apney payghumbar
say kaha kay
kissi ko humara
badshah bana
dijiye takay
hum Allah ki
raah mein jihad
keren. Payghumbar
ney kaha mumkin
hai jihad farz
hojaney kay
baad tum jihad
na kero unhon
ney kaha bhala
hum Allah ki
raah mein jihad
kiyon na keren
gay? Hum to
apney gharon
say ujaray gaye
hain aur bachon
say door ker
diye gaye hain.
Phir jab unn
per jihad farz
hua to siwaye
thoray say logon
kay sab phir
gaye aur Allah
Taalaa zalimon
ko khoob janta
hai. |
| |
| 02.247 Aur unhen unn
kay nabi ney
farmaya kay
Allah Taalaa
ney taloot ko
tumahra badshah
bana diya hai
to kehney lagay
bhala uss ki
hum per hukoomat
kaisay ho sakti
hai? Uss say
to boht ziyada
haq daar badshaat
kay hum hain
uss ko to maali
kushadgi bhi
nahi di gaee.
Nabi ney farmaya
suno Allah Taalaa
ney ussi ko
tum per bar
gazeedah kiya
hai aur ussay
ilmi aur jismani
bartari bhi
ata farmaee
hai baat yeh
hai kay Allah
jisay chahaye
apna mulk dey
Allah Taalaa
kushadgi wala
aur ilm wala
hai. |
| |
| 02.248 Unn kay nabi
ney unhen phir
kaha kay uss
ki badshaat
ki zahiri nishani
yeh hai kay
tumharay pass
woh sandooq
aa jaye ga jiss
mein tumharay
rab ki taraf
say dil jamaee
aur aal-e-musa
aur aal-e-haroon
ka baqiya tarqa
hai farishtay
ussay utha ker
layen gay. Yaqeenan
yeh to tumharay
liye khuli daleel
hai agar tum
eman laye ho. |
| |
| 02.249 Jab (hazrat)
taloot lashkaron
ko ley ker niklay
to kaha suno
Allah Taalaa
tumhen aik nehar
say aazmaney
wala hai jiss
ney uss mein
say pani pi
liya woh mera
nahi aur jo
ussay na chakhay
woh mera hai
haan yeh aur
baat hai kay
apney haath
say aik chillo
bhar ley. Lekin
siwaye chand
kay baqi sab
ney woh pani
pi liya (hazrat)
taloot momineen
samet jab nehar
say guzar gaye
to woh kehney
lagay aaj to
hum mein taqat
nahi kay jaloot
aur uss kay
lashkaron say
laren. Lekin
Allah Taalaa
ki mulaqat ka
yaqeen rakhney
walon ney kaha
basa oqat choti
aur thori si
jamaten bari
aur boht si
jamaton per
Allah kay hukum
say ghalba paa
leti hain Allah
Taalaa sabar
kerney walon
kay sath hai. |
| |
| 02.250 Jab unn ka jaloot
aur uss kay
lashkar say
muqabla hua
to unhon ney
dua maangi kay
aey perwerdigar
humen sabar
dey sabit qadmi
dey aur qom-e-kuffaar
per humari madad
farma. |
| |
| Top |
Top |
| |
| 02.251 Chunacha Allah Taalaa
kay hukum say unhon
ney jalootiyon ko
shikast dey di aur
(hazrat) dawood (alh-e-salam)
ko mamlikat-o-hikmat
aur jitna kuch chaha
ilm bhi ata farmaya.
Agar Allah Taalaa
baaz logon ko baaz
say dafa na kerta
to zamin mein fasad
phel jata lekin Allah
Taalaa duniya walon
per bara fazal-o-karam
kerney wala hai. |
| |
| 02.252 Yeh Allah Taalaa ki
aayaten hain jinhen
hum haqqaaniyat kay
sath aap per parhtay
hain bil yaqeen aap
rasoolon mein say
hain. |
|