| Parah-Laan-Tanaloo
04 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Imran
03 |
| (Sura-Al-e-Imran
Madina mai Nazil hui, is mai doso (200) Aayatain hain) |
| |
| 03.92
Jab tak tum apni pasandeedah cheez
say Allah Taalaa ki raah mein kharach na kero
gay hergiz bhalaee na pao gay aur tum jo kharach
kero ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai. |
| |
| 03.93
Toraat kay nuzool say pehlay (hazrat)
yaqoob (alh-e-salam) ney jiss cheez ko apney
upper haram ker liya tha uss kay siwa tamam
khaney bani israeel per halal thay aap keh
dijiye kay agar tum sachay ho to toraat ley
aao aur parh sunao. |
| |
| 03.94
Iss kay baad bhi jo log Allah Taalaa
per jhoot bohtan bandhen wohi zalim hain. |
| |
| 03.95
Keh dijiye kay Allah Taalaa sacha
hai tum sab ibrahim hanif kay millat ki pairwi
kero jo mushrik na thay. |
| |
| 03.96
Allah Taalaa ka pehla ghar jo logon
kay liye muqarrar kiya gaya woh hai jo makkah
(sharif) mein hai jo tamam duniya kay liye
barkat-o-hidayat wala hai. |
| |
| 03.97
Jiss mein khuli khuli nishaniyan
hain muqam-e-ibrahim hai iss mein jo aajaye
aman wala hojata hai Allah Taalaa ney unn
logon per jo uss ki taraf raah paa saktay
hon uss ghar ka hajj farz ker diya hai. Aur
jo koi kufur keray to Allah Taalaa (uss sau
bulkay) tamam duniya say bey perwah hai. |
| |
| 03.98
Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab tum
Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kiyon
kertay ho? Jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa
uss per gawah hai. |
| |
| 03.99
Inn ehal-e-kitab say kaho kay tum
Allah Taalaa ki raah say logon ko kiyon roktay
ho? Aur iss mein aib tatoltay ho halankay
tum khud shahid ho Allah Taalaa tumharay aemaal
say bey khabar nahi. |
| |
| 03.100
Aey eman walo! Agar tum ehal-e-kitab
ki kissi jamat ki baaten maano gay to woh
tumhen tumharay eman laney kay baad murtid
kafir bana den gay. |
| |
|
|
|
|
| |
| 03.101
(go yeh zahir hai kay) tum kaisay
kufur ker saktay ho? Bawajood yeh kay tum
per Allah Taalaa ki aayaten parhi jati hain
aur tum mein rasool (PBUH) mojood hain. Jo
shaks Allah Taalaa (kay deen) ko mazboot thaam
ley to bila shuba ussay raah-e-raast dikha
di gaee. |
| |
| 03.102
Aey eman walo! Allah Taalaa say daro
jitna uss say darna chahaiye aur dekho martay
dum tak musalman hi rehna. |
| |
| 03.103
Allah Taalaa ki rassi ko mill ker
sab mazbooti say thaam lo aur phoot na dalo
aur Allah Taalaa ki uss waqt ki nemta ko yaad
kero jab tum aik doosray kay dushman thay
to uss ney tumharay dilon mein ulfat daal
di pus tum uss ki meharbani say bhai bhai
hogaye aur tum aag kay garhay kay kinaray
phonch chukay thay to uss ney tumhen bacha
liya. Allah Taalaa issi tarah tumharay liye
apni nishaniyan biyan kerta hai takay tum
hidayat pao. |
| |
| 03.104
Tum mein say aik jamat aisi honi
chahaiye jo bhalaee ki taraf bulaye aur nek
kaamon ka hukum keray aur burray kaamon say
rokay aur yehil log falah aur nijat paney
walay hain. |
| |
| 03.105
Tum unn logon ki tarah na hojana
jinhon ney apney pass roshan daleelen aajaney
kay baad bhi tafarrqa daala aur ikhtilaf kiya
enhin logon kay liye bara azab hai. |
| |
| 03.106
Jiss din baaz chehray safaid hongay
aur baaz siyah, siyah chehray walon (say kaha
jayega) kay kiya tum ney eman laney kay baad
kufur kiya? Abb apney kufur ka azab chakho. |
| |
| 03.107
Aur safaid chehray walay Allah Taalaa
ki rehmat mein dakhil hongay aur iss mein
hamesha rahen gay. |
| |
| 03.108
Aey nabi! Hum inn haqqani aayaton
ki tilawat aap per ker rahey hain aur Allah
Taalaa ka irada logon per zulm kerney ka nahi. |
| |
| 03.109
Allah Taalaa hi kay liye hai jo kuch
aasmanon aur zamin mein hai aur Allah Taalaa
hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain. |
| |
| 03.110
Tum behtareen ummat ho jo logon kay
liye peda ki gaee ho kay tum nek baaton ka
hukum kertay ho aur buri baaton say roktay
ho aur Allah Taalaa per eman rakhtay ho agar
ehal-e-kitab bhi eman latay to unn kay liye
behtar hota unn mein eman walay bhi hain lekin
aksar to fasiq hain. |
| |
|
|
|
|
| |
| 03.111
Yeh tumhen sataney kay siwa aur ziyada
kuch zarar nahi phoncha saktay agar laraee
kay moqa aajaye to peeth mor len gay phir
madad na kiye jayen gay. |
| |
| 03.112
Inn per her jagah zillat ki maar
pari illa yeh kay Allah Taalaa ki ya logon
ki panah mein hon yeh ghazab-e-elahee kay
mustahiq hogaye aur inn per faqeeri daal di
gaee yeh iss liye kay yeh log Allah Taalaa
ki aayaton say kufur kertay thay aur bey waja
anbiya ko qatal kiya kertay thay yeh badla
hai inn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka. |
| |
| 03.113
Yeh saray kay saray yaksan nahi bulkay
inn ehal-e-kitab mein aik jamat (haq per)
qaeem rehney wali bhi hai jo raaton kay waqt
bhi kalam ullah ki tilawat kertay hain aur
sajday bhi kertay hain. |
| |
| 03.114
Yeh Allah Taalaa per aur qayamat
kay din per eman bhi rakhtay hain bhalaiyon
ka hukum kertay hain aur buraiyon say roktay
hain aur bhalaee kay kaamon mein jaldi kertay
hain. Yeh nek bakht logon mein say hain. |
| |
| 03.115
Yeh jo kuch bhi bhalaiyan keren unn
ki na qadri na ki jaye gi aur Allah Taalaa
perhezgaron ko khoob janta hai. |
| |
| 03.116
Kafiron ko unn kay maal aur unn ki
aulad Allah kay haan kuch kaam na aayen gi
yeh to jahannumi hain jo hamesha issi mein
paray rahen gay. |
| |
| 03.117
Yeh kuffaar jo kharach ikhraajaat
keren uss ki misal yeh hai kay aik tund hawa
chali jiss mein pala tha jo zalimon ki kheti
per para aur ussay tehus nehus ker diya. Allah
Taalaa ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh
khud apni janon per zulm kertay thay. |
| |
| 03.118
Aey eman walo! Tum apna dili dost
eman walon kay siwa kissi ko na banao. (tum
to) nahi dekhtay doosray log tumhari tabahi
mein koi kasar utha nahi rakhtay woh to chahtay
hain kay tum dukh mein paro inn ki adawat
to khud inn ki zaban say zahir ho chuki hai
aur jo inn kay seenon mein posheeda hai woh
boht ziyada hai hum ney tumharay liye aayaten
biyan ker den. |
| |
| 03.119
Agar aqal mand ho (to ghor kero)
haan tum to enhen chahtay ho aur woh tum say
mohabbat nahi rakhtay tum poori kitab ki mantay
ho (woh nahi mantay phir mohabbat kaisi?)
yeh tumharay samney to apney eman ka iqrar
kertay hain lekin tanahi mein maaray gussay
kay ungliyan chabatay hain kehdo kay apney
gussay hi mein marr jao Allah Taalaa dilon
kay raazon ko bakhoobi janta hai. |
| |
| 03.120
Tumhen agar bhalaee milay to yeh
na khush hotay hain haan! Agar buraee phonchay
to khush hotay hain tum agar sabar kero aur
perhezgari kero to inn ka makar tumhen kuch
nuksan na dey ga. Allah Taalaa ney inn kay
aemaal ka ehata ker rakha hai. |
|
| |
|
|
| |
| 03.121
Aey nabi! Uss waqt ko bhi yaad kero
jab subha hi subha aap apney ghar say nikal
ker musalmanon ko maidan-e-jang mein laraee
kay morchon mein bitha rahey thay Allah Taalaa
sunney janney wala hai. |
| |
| 03.122
Jab tumhari do jamaten pust himmati
ka irada ker chuki thin Allah Taalaa unn ka
wali aur madadgar hai. Aur ussi ki pak zaat
per mominon ko bharosa rakhna chahaiye. |
| |
| 03.123
Jang-e-badar mein Allah Taalaa ney
ain uss waqt tumhari madad farmaee thi jabkay
tum nihayat giri hui halat mein thay iss liye
Allah hi say daro!(na kiss aur say) takay
tumhen shukar guzari ki tofiq ho. |
| |
| 03.124
(aur yeh shukar guzari baees-e-nusrat-o-imdad
ho) jab aap momino ko tasalli dey rahey thay
kiya aasman say teen hazar farishtay utaar
ker Allah Taalaa ka tumhari madad kerna tumhen
kafi na hoga. |
| |
| 03.125
Kiyon nahi bulkay agar tum sabar-o-perhezgari
kero aur yeh log ussi dum tumharay pass aajayen
to tumhara rab tumhari imdad paanch hazar
farishton say keray ga jo nishandaar hongay. |
| |
| 03.126
Aur yeh to mehaz tumharay dil
ki khuwaish aur itminan-e-qalb kay liye
hai werna madad to Allah hi ki taraf
say hai jo ghalib aur hikmaton wala
hai. |
| |
| 03.127
(iss imdad-e-elahee ka maqsad
yeh tha kay Allah) kafiron ki aik jamat
ko kaat dey ya unhen zaleel ker dalay
aur (saray kay saray) nu murad ho ker
wapis chalay jayen. |
| |
| 03.128
Aey payghumbar! Aap kay ikhtiyar
mein kuch nahi Allah Taalaa chahaye
to unn ki tauba qabool keray ya azab
dey kiyon kay woh zalim hain. |
| |
| 03.129
Aasmanon aur zamin mein jo
kuch hai sab Allah hi ka hai woh jissay
chahaye bakshay aur jissay chahaye azab
keray Allah Taalaa bakshish kerney wala
meharban hai. |
| |
| 03.130
Aey eman walo! Barha charha
ker sood na khao aur Allah Taalaa say
daro takay tumhen nijat milay. |
|
|
| |
|
|
| |
| 03.131
Aur uss aag say daro jo kafiron
kay liye tayyar ki gaee hai. |
| |
| 03.132
Aur Allah aur uss kay rasool
ki farmanbardari kero takay tum per
raham kiya jaye. |
| |
| 03.133
Aur apney rab ki bakshish ki
taraf aur uss jannat ki taraf doro jiss
ka araz aasamanon aur zamin kay barabar
hai jo perhezgaron kay liye tayyar ki
gaee hai. |
| |
| 03.134
Jo log aasani mein aur sakhti
kay moqay per bhi Allah kay rastay mein
kharach kertay hain gussa peenay walay
aur logon say dar guzar kerney walay
hain Allah Taalaa unn neko kaaron say
mohabbat kerta hai. |
| |
| 03.135
Jab unn say koi na shaista
kaam hojaye ya koi gunah ker bethen
to foran Allah ka zikar aur apney gunahon
kay liye istaghfaar kertay hain fil
waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun
gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh
log ba wajood ilm kay kissi buray kaam
per arr nahi jatay. |
| |
| 03.136
Enhin kay badla unn kay rab
ki taraf say maghfirat hai aur jannaten
hain jin kay neechay nehren behti hain
jin mein woh hamesha rahen gay inn nek
kaamon kay kerney walon ka sawab kiya
hi acha hai. |
| |
| 03.137
Tum say pehlay bhi aisay waqiyaat
guzar chukay hain so zamin mein chal
phir ker dekh lo kay (aasmani taleem
kay) jhutlaney walon ka kiya anjam hua? |
| |
| 03.138
Aam logon kay liye to yeh (quran)
biyan hai aur perhezgari kay liye hidayat-o-naseehat
hai. |
| |
| 03.139
Tum na susti kero aur na ghumgeen
ho tum hi ghalib raho gay agar tum eman
daar ho. |
| |
| 03.140
Agar tum zakhmi huye ho to
tumharay mukhalif log bhi to aisay hi
zakhmi ho chukay hain hum inn dino ko
logon kay darmiyan adaltay badaltay
rehtay hain. (shikast-e-ohod) iss liye
thi kay Allah Taalaa eman walon ko zahir
ker dey aur tum mein say baaz ko shahdat
ka darja ata farmaye Allah Taalaa zalimon
say mohabbat nahi kerta. |
|
| |
|
|
| |
| 03.141
(yeh waja bhi thi)
kay Allah Taalaa eman walon
ko bilkul alag kerdey aur
kafiron ko mita dey. |
| |
| 03.142
Kiya tum yeh samajh
bethay ho kay tum jannat
mein chalay jao gay halankay
abb tak Allah Taalaa ney
yeh zahir nahi kiya kay
tum mein say jihad kerney
walay kaun hain aur sabar
kerney walay kaun hain? |
| |
| 03.143
Jang say pehlay
to tum shahdat ki aarzoo
mein thay abb issay apni
aankhon say apney samney
dekh liya. |
| |
| 03.144
(hazrat) Muhammad
(PBUH) sirf rasool hi hain
inn say pehlay boht say
rasool ho chukay hain kiya
agar inn ka intiqal hojaye
ya yeh shaheed hojayen to
tum islam say apni aeyrhiyon
kay ball phir jaogay? Aur
jo koi phir jaye apni aeyrhiyon
per to hergiz Allah Taalaa
ka kuch na bigaray ga un-qarib
Allah Taalaa shukar guzaron
ko nek badla dey ga. |
| |
| 03.145
Baghair Allah Taalaa
kay hukum kay koi jaandaar
nahi marr sakta muqarrar
shuda waqt likha hua hai
duniya ki chahat walon ko
hum kuch duniya dey detay
hain aur aakhirat ka sawab
chahaney walon ko hum woh
bhi den gay. Aue ehsan manney
walon ko hum boht jald nek
badla den gay. |
| |
| 03.146
Boht say nabiyon
kay hum rakaab ho ker boht
say Allah walay jihad ker
chukay hain unhen bhi Allah
ki raah mein takleefen phonchi
lekin na to unhon ney himmat
haari na sust rahey aur
na dabay aur Allah sabar
kerney walon ko (hi) chahata
hai. |
| |
| 03.147
Woh yehi kehtay
rahey kay aey perwerdigar!
Humaray gunahon ko baksh
dey aur hum say humaray
kaamon mein jo bey jaa ziyadti
hui hai ussay bhi moaf farma
aur humen sabit qadmi ata
farma aur humen kafiron
ki qom per madad dey. |
| |
| 03.148
Allah Taalaa ney
unehn duniya ka sawab bhi
diya aur aakhirat kay sawab
ki khoobi bhi ata farmaee
aur Allah Taalaa nek logon
say mohabbat kerta hai. |
| |
| 03.149
Aey eman walo!
Agar tum kafiron ki baaten
maano gay to woh tumhen
tumhari aeyrhiyon kay ball
palta den gay (yani tumhen
murtid bana den gay) phir
tum na murad ho jao gay. |
| |
| 03.150
Bulkay Allah hi
tumhara mola hai aur woh
behtareen madadgar hai. |
| |
|
|
|
|
|
| |
| 03.151
Hum un-qarib kafiron
kay dilon mein rob daal
den gay iss waja say kay
yeh Allah kay sath unn cheezon
ko sharik kertay hain jiss
ki koi daleel Allah ney
nahi utaari inn ka thikana
jahannum hai aur inn zalimon
ki buri jagah hai. |
| |
| 03.152
Allah Taalaa ney
tum say apna wada sacha
ker dikhaya jabkay tum uss
kay hukum say enhen kaat
rahey thay. Yahan tak kay
jab tum ney pust himmati
ikhtiyar ki aur kaam mein
jhagarney lagay aur na farmani
ki uss kay baad uss ney
tumhari chahat ki cheez
tumhen dikha di tum mein
say baaz duniya chahatay
thay aur baaz ka irada aakhirat
ka tha to phir uss ney tumhen
unn say pher diya kay tum
ko aazmaye aur yaqeenan
uss ney tumhari laghzish
say dar guzar farma diya
aue eman walon per Allah
baray fazal wala hai. |
| |
| 03.153
Jabkay tum charhay
chalay jarahey thay aur
kissi ki taraf tawajja tak
nahi kertay thay aur Allah
kay rasool tumhen tumharay
peechay say aawazen dey
rahey thay bus tumhen ghum
per ghum phoncha takay tum
fot shuda cheez per ghumgeen
na ho aur na phonchney wali
(takleef) per udas ho Allah
Taalaa tumharay tamam aemaal
say khabardaar hai. |
| |
| 03.154
Phir uss ney iss
ghum kay baad tum per aman
nazil farmaya aur tum mein
say aik jamat ko aman ki
neend aaney lagi. Haan kuch
woh log bhi thay kay unhen
apni janon ki pari hui thi
woh Allah Taalaa kay sath
na haq jahalat bhari bad
gumani ker rahey thay aur
kehtay thay kiya humen bhi
kissi cheez ka ikhtiyar
hai? Aap keh dijiye kay
kaam kul ka kul Allah hi
kay ikhtiyar mein hai yeh
log apney dilon kay bhed
aap ko nahi batatay kehtay
hain kay agar humen kuch
bhi ikhtiyar hota to yahan
qatal na kiye jatay. Aap
keh dijiye kay go tum apney
gharon mein hotay phir bhi
jin ki qismat mein qatal
hona tha woh to maqtal ki
taraf chal kharay hotay
Allah Taalaa ko tumharay
seenon ki andar ki cheez
ka aazmana aur jo kuch tumharay
dilon mein hai uss ko pak
kerna tha aur Allah Taalaa
seenon kay bhed say aagah
hai. |
| |
| 03.155
Tum mein say jin
logon ney uss din peeth
dikhaee jiss din dono jamaton
ki mudd bher hui thi yeh
log apney baaz kartooton
kay baees shetan kay phuslaney
mein aagaye lakin yaqeen
jano kay Allah Taalaa ney
unhen moaf ker diya Allah
Taalaa hai bakshney wala
aur tahammul wala. |
| |
| 03.156
Aey eman walo!
Tum unn logon ki tarah na
ho jana jinhon ney kufur
kiya aur apney bhaiyon kay
haq mein jabkay woh safar
mein hon ya jihad mein hon
kaha kay agar yeh humaray
pass hotay to na martay
aur na maaray jatay iss
ki waja yeh thi kay iss
khayal ko Allah Taalaa unn
ki dili hasrat ka sabab
bana dey Allah Taalaa jilata
aur maarta hai aur Allah
tumharay amal ko dekh raha
hai. |
| |
| 03.157
Qasam hai agar
Allah Taalaa ki raah mein
shaheed kiye jao ya apni
maut maro to be-shak Allah
Taalaa ki bakshish-o-rehmat
uss say behtar hai jisay
yeh jama ker rahey hain. |
| |
| 03.158
Bil yaqeen tum
marr jao ya maar dalay jao
jama to Allah Taalaa hi
ki taraf kiye jao gay. |
| |
| 03.159
Allah Taalaa ki
rehmat kay baees aap inn
per naram dil hain aur agar
aap bad zaban aur sakht
dil hotay to yeh sab aap
kay pass say chatt jatay
so aap inn say dar guzar
keren aur inn kay liye istaghfaar
keren aur kaam ka mashwara
inn say kiya keren phir
jab aap ka pukhta irada
hojaye to Allah Taalaa per
bharosa keren be-shak Allah
Taalaa tawakkal kerney walon
say mohabbat kerta hai. |
| |
| 03.160
Agar Allah Taalaa
tumhari madad keray to tum
per koi ghalib nahi aa sakta
aur agar woh tumhen chor
dey to uss kay baad kaun
hai jo tumhari madad keray?
Emal walon ko Allah Taalaa
per hi bharosa rakhan chahaiye. |
| |
|
|
|
|
| |
| 03.161
Na mumkin
hai kay nabi say khayanat
hojaye her khayanat
kerney wala khayanat
ko liye huye qayamat
kay din hazir hoga
phir her shaks apney
aemaal ka poora poora
badla diya jayega
aur woh zulm na kiye
jayen gay. |
| |
| 03.162
Kiya pus
woh shaks jo Allah
Taalaa ki khushnoodi
kay dar pay hain uss
shaks jaisa hai jo
Allah Taalaa ki narazgi
ley ker lot’ta
hai? Aur jiss ki jagah
jahannum hai jo bad
tareen jagah hai. |
| |
| 03.163
Allah Taalaa
kay pass inn kay alag
alag darjay hain aur
inn kay tamam aemaal
ko Allah bakhoobi
dekh raha hai. |
| |
| 03.164
Be-shak musalmanon
per Allah Taalaa ka
bara ehsan hai kay
inn hi mein say aik
rasool inn mein bheja
jo enhen uss ki aayaten
parh ker sunata hai
aur enhen pak kerta
hai aur enhen kitab
aur hikmat sikhata
hai yaqeenan yeh sab
iss say pehlay khuli
gumrahi mein thay. |
| |
| 03.165
(kiya baat
hai kay) kay jab tumhen
aik aisi takleef phonchi
kay tum iss jaisi
do chand phonch chukay
to yeh kehney lagay
kay yeh kahan say
aagaee? Aap keh dijiye
kay yeh khud tumhari
taraf say hai be-shak
Allah Taalaa her cheez
per qadir hai. |
| |
| 03.166
Aur tumhen
jo kuch uss din phoncha
jiss din do jamaton
mein mudd bher hui
thi woh sab Allah
kay hukum say tha
aur iss liye kay Allah
Taalaa eman walon
ko zahiri tor per
jaan ley. |
| |
| 03.167
Aur munafiqon
bhi maloom kerley
jin say kaha gaya
kay aao Allah ki raah
mein jihad kero ya
kafiron ko hatao to
woh kehney lagay kay
agar hum laraee jantay
hotay to zaroor sath
detay woh uss din
ba nisbat eman kay
kufur say boht qarib
thay apney mun say
woh baaten banatay
hain jo inn kay dilon
mein nahi aur Allah
Taalaa khoob janta
hai jisay woh chupatay
hain. |
| |
| 03.168
Yeh woh log
hai jo khud bhi behtay
rahey aur apney bhaiyon
ki babat kaha kay
agar woh bhi humari
baat maan letay to
qatal na kiye jatay.
Keh dijiye! kay agar
tum sachay ho to apni
janon say maut ko
hata do. |
| |
| 03.169
Jo log Allah
ki raah mein shaheed
kiye gaye hain unn
ko hergiz murda na
samjhen bulkay woh
zinda hain apney rab
kay pass say roziyan
diye jatay hain. |
| |
| 03.170
Allah Taalaa
ney jo apna fazal
unhen dey rakha hai
uss say boht khush
hain aur khushiyan
mana rahey hain unn
logon ki babat jo
abb tak unn say nahi
milay unn kay peechay
hain iss per kay unhen
na koi khof hai aur
na woh ghumgeen hongay. |
| |
|
|
|
|
|
| |
| 03.171
Woh khush hotay hain
Allah ki nemat aur fazal say aur
iss say bhi kay Allah Taalaa eman
walon kay ajar ko barbad nahi
kerta. |
| |
| 03.172
Jin logon ney Allah aur
uss kay rasool kay hukum ko qabool
kiya iss kay baad kay unhen pooray
zakham lag chukay thay inn mein
say jinhon ney neki ki aur perezgari
barti unn kay liye boht ziyada
ajar hai. |
| |
| 03.173
Woh log kay jab inn say
logon ney kaha kay kafiron ney
tumharay muqabley mein lashkar
jama ker liye hain tum unn say
khof khao to iss baat ney unhen
eman mein aur barha diya aur kehne
lagay humen Allah kafi hai aur
woh boht acha kaar saaz hai. |
| |
| 03.174
(nateeja yeh hua kay)
Allah ki nemat-o-fazal kay sath
yeh lotay enhen koi buraee na
phonchi enhon ney Allah Taalaa
ki raza mandi ki pairwi ki Allah
boht baray fazal wala hai. |
| |
| 03.175
Yeh khabar denay wala
sird shetan hi hai jo apney doston
say darata hai tum inn kafiron
say na daro aur mera khof rakho
agar tum momin ho. |
| |
| 03.176
Kufur mein aagay
barhney walay log tumhen
ghum naak naa keren yaqeen
maano kay yeh Allah Taalaa
ka kuch na bigar saken gay
Allah Taalaa ka irada hai
kay inn ka liye aakhirat
ka koi hissa ata na keray
aur inn kay liye bara azab
hai. |
| |
| 03.177
Kufur ko eman kay
badlay khareedney walay
hergiz hergiz Allah Taalaa
ko koi nuksan nahi phoncha
saktay aur inn hi kay liye
alam naak azab hai. |
| |
| 03.178
Kafir log humari
di hui mohlat ko apney haq
mein behtar na samjhen yeh
mohlat to iss liye hai kay
woh gunahon mein aur barh
jayen inn hi kay liye zaleel
kerney wala azab hai. |
| |
| 03.179
Jiss haal per tum
ho ussi per Allah eman walon
ko na chor dey ga jab tak
kay pak aur na pak ko alag
alag na ker dey aur na Allah
Taalaa aisa hai kay tumhen
ghaib say aagah ker dey
bulkay Allah Taalaa apney
rasoolon mein say jiss ka
chahaye intikhab ker leta
hai iss liye tum Allah Taalaa
per aur uss kay rasoolon
per eman rakho agar tum
eman lao aur taqwa kero
to tumharay liye bhari ajar
hai. |
| |
| 03.180
Jinhen Allah Taalaa
ney apney fazal say kuch
dey rakha hai woh iss mein
apni kanjoosi ko apney liye
behtar khayal na keren bulkay
woh inn kay liye nihayat
bad tar hai un-qarib qayamat
walay din yeh apni kanjoosi
ki cheez kay toq daalay
jayen gay aasmanon aur zamin
ki meeras Allah Taalaa hi
kay liye aur jo kuch tum
ker rahey ho uss say Allah
Taalaa aagah hai. |
|
|
| |
|
|
| |
| 03.181
Yaqeenan
Allah
Taalaa
ney
unn
logon
ka
qol
bhi
suna
jinhon
ney
kaha
kay
Allah
Taalaa
faqir
hai
aur
hum
to
toongar
hain
unn
kay
iss
qol
ko
hum
likh
len
gay.
Aur
inn
ka
anbiya
ko
bila
waja
qatal
kerna
bhi
aur
hum
inn
say
kahen
gay
kay
jalney
wala
azab
chakho!. |
| |
| 03.182
Yeh
tumharay
paish
kerda
aemaal
ka
badla
hai
aur
Allah
Taalaa
apney
bandon
per
zulm
kerney
wala
nahi. |
| |
| 03.183
Yeh
woh
log
hai
jonhon
ney
kaha
kay
Allah
Taalaa
ney
humen
hukum
diya
hai
kay
kissi
rasool
ko
na
manen
jab
tak
woh
humaray
pass
aisi
qurbani
na
laye
jissay
aag
kha
jaye.
Aap
keh
dijiye
kay
agar
um
sachay
ho
to
mujh
say
pehlay
tumharay
pass
jo
rasool
deegar
moajzon
kay
sath
yeh
bhi
laye
jissay
tum
keh
rahey
ho
to
phir
tum
ney
unhen
kiyon
maar
dala? |
| |
| 03.184
Phir
bhi
agar
yeh
log
aap
ko
jhutlayen
to
aap
say
pehlay
bhi
boht
say
woh
rasool
jhutlaye
gaye
hain
jo
roshan
daleelen
aur
munawar
kitab
ley
ker
aaye. |
| |
| 03.185
Her
jaan
maut
ka
maza
chakhney
wali
hai
aur
qayamat
kay
din
tum
apney
badlay
pooray
pooray
diye
jao
gay
pus
jo
shaks
aag
say
hata
diya
jaye
aur
jannat
mein
dakhil
ker
diya
jaye
be-shak
woh
kaamyaab
hogaya
aur
duniya
ki
zindagi
to
sirf
dhokay
ki
jinss
hai. |
| |
| 03.186
Yaqeenan
tumharay
maalon
aur
tumhari
jaanon
say
tumhari
aazmaish
ki
jaye
gi
aur
yeh
bhi
yaqeen
hai
kay
tumhen
unn
logon
ki
jo
tum
say
pehlay
kitab
diye
gaye
aur
mushrikon
ki
boht
si
dukh
denay
wali
baaten
bhi
sunni
paren
gi
aur
agar
tum
sabar
kerlo
aur
perhezgari
ikhtiyar
kero
to
yaqeenan
yeh
boht
bari
himmat
ka
kaam
hai. |
| |
| 03.187
Aur
Allah
Taalaa
ney
jab
ehal-e-kitab
say
ehad
liya
kay
tum
issay
sab
logon
say
zaroor
biyan
kero
gay
aur
issay
chupao
gay
nahi
to
phir
bhi
inn
logon
ney
iss
ehad
ko
apni
peeth
peechay
daal
diya
aur
issay
boht
kum
qeemat
per
baich
daala.
Inn
kay
yeh
beopaar
boht
bura
hai. |
| |
| 03.188
Woh
log
jo
apney
kartooton
per
khush
hain
aur
chahatay
hain
kay
jo
unhon
ney
nahi
kiya
uss
per
bhi
unn
ki
tareef
ki
jayen
aap
unhen
azab
say
chutkaray
mein
na
samjhiye
inn
kay
liye
to
dard
naak
azab
hai. |
| |
| 03.189
Aasmanon
aur
zamin
ki
badshahi
Allah
hi
kay
liye
hai
aur
Allah
Taalaa
her
cheez
per
qadir
hai. |
| |
| 03.190
Aasmanon
aur
zamin
ki
pedaish
mein
aur
raat
din
kay
hair
pher
mein
yaqeenan
aqal
mandon
kay
liye
nishaniyan
hain. |
| |
|
|
|
|
|
| |
| 03.191
Jo
Allah
Taalaa
ka
zikar
kharay
aur
bethay
aur
apni
kerwaton
per
letay
huye
kertay
hain
aur
aasmanon-o-zamin
ki
pedaish
mein
ghor-o-fiker
kertay
hain
aur
kehtay
hain
aey
humaray
perwerdigar!
Tu
ney
yeh
bey
faeeda
nahi
banaya
tu
pak
hai
pus
humen
aag
kay
azab
say
bacha
ley. |
| |
| 03.192
Aey
humaray
palney
walay!
Tu
jissay
jahannum
mein
dalay
yaqeenan
tu
ney
ussay
ruswa
kiya
aur
zalimon
ka
madadgar
koi
nahi. |
| |
| 03.193
Aey
humaray
rab!
Hum
ney
suna
kay
munadi
kerney
wala
ba-aawaz
buland
eman
ki
taraf
bula
raha
hai
kay
logo!
Apney
rab
per
eman
lao
pus
hum
eman
laye.
Ya
elahee!
Abb
to
humaray
gunah
moaf
farma
aur
humari
buraiyan
hum
say
door
ker
dey
aur
humari
maut
nekon
kay
sath
ker. |
| |
| 03.194
Aey
humaray
palney
walay
mabood!
Humen
woh
dey
jiss
ka
wada
tu
ney
hum
say
apney
rasoolon
ki
zabani
kiya
hai
aur
humen
qayamat
kay
din
ruswa
na
ker
yaqeenan
tu
wada
khilafi
nahi
kerta. |
| |
| 03.195
Pus
unn
kay
rab
ney
unn
ki
dua
qabool
farma
li
kay
tum
say
kissi
kaam
kerney
walay
kay
kaam
ko
khuwa
woh
mard
ho
ya
aurat
mein
hergiz
zaya
nahi
kerta
tum
aapas
mein
aik
doosray
kay
hum
jinss
ho
iss
liye
woh
log
jinhon
ney
hijrat
ki
aur
apney
gharon
say
nikal
diye
gaye
aur
jinhen
meri
raah
mein
izza
di
gaee
aur
jinhon
ney
jihad
kiya
aur
shaheed
kiye
gaye
mein
zaroor
zaroor
unn
ki
buraiyan
unn
say
door
kerdoon
ga
aur
bil
yaqeen
unhen
unn
jannaton
mein
ley
jaon
ga
jin
key
neechay
nehren
beh
rahi
han
yeh
hai
sawab
Allah
Talaa
ki
taraf
say
aur
Allah
Taalaa
hi
kay
pass
behtareen
sawab
hai. |
| |
| 03.196
Tujhay
kafiron
ka
shehron
mein
chalna
phirna
fareb
mein
na
daal
dey. |
| |
| 03.197
Yeh
to
boht
hi
thora
faeeda
hai
iss
kay
baad
unn
ka
thikana
to
jahannum
hai
aur
woh
buri
jagah
hai. |
| |
| 03.198
Lekin
jo
log
apney
rab
say
dartay
rahey
unn
kay
liye
jannaten
hain
jin
kay
neechay
nehren
jari
hain
inn
mein
woh
hamesha
rahen
gay
yeh
mehmani
hai
Allah
ki
taraf
say
aur
nek
kaaron
kay
liye
jo
kuch
Allah
Taalaa
kay
pass
hai
woh
boht
hi
behtar
hai. |
| |
| 03.199
Yaqeenan
ehal-e-kitab
mein
say
baaz
aisay
bhi
hain
jo
Allah
Taalaa
per
eman
latay
hain
aur
tumhari
taraf
jo
utaata
gaya
hai
aur
unn
ki
janib
jo
nazil
hua
uss
per
bhi
Allah
Taalaa
say
dartay
hain
aur
Allah
Taalaa
ki
aayaton
ko
thori
thori
qeemat
per
baichtay
bhi
nahi
inn
ka
badla
inn
kay
rab
kay
pass
hai
yaqeenan
Allah
Taalaa
jald
hisab
lenay
wala
hai. |
| |
| 03.200
Aey
eman
walo!
Tum
sabit
qadam
raho
aur
aik
doosray
ko
thamay
rakho
aur
jihad
kay
liye
tayyar
raho
aur
Allah
Taalaa
say
dartay
raho
takay
tum
murad
ko
phoncho. |
| |
|
|
|
|
| |
|
|
| |
| Surat-Nissa
04 |
| (Sura-Nissa
Madina mai Nazil hui, is
mai aikso-cheyattar (176)
Aayatain hain) |
| |
| 04.01
Aey logo
apney perwerdigar
say daro jiss ney
tumhen aik jaan say
peda kiya aur ussi
say uss ki biwi ko
peda ker kay unn dono
say boht say mard
aur aurten phela den
uss Allah say daro
jiss kay naam per
aik doosray say maangtay
ho aur rishtay naatay
toryney say bhi bacho
be-shak Allah Taalaa
tum per nigehbaan
hai. |
| |
| 04.02
Aur yateemon
ko unn kay maal dey
do aur pak aur halal
cheez kay badlay na
pak aur haram cheez
na lo aur apney maalon
kay sath unn kay maal
mila ker kha na jao
be-shak yeh boht bara
gunah hai. |
| |
| 04.03
Agar tumhen
darr ho kay yateen
larkiyon say nikkah
ker kay tum insaf
na rakh sako gay to
aur aurton mein say
jo bhi tumhen achi
lagen tum unn say
nikkah kerlo do do
teen teen chaar chaar
say lekin agar tumhen
barabari na ker sakney
ka khof ho to aik
hi kafi hai ya tumhari
milkiyat ki londi
yeh ziyada qarib hai
kay (aisa kerney say
na insafi aur) aur
aik taraf jhuk parney
say bach jao. |
| |
| 04.04
Aur aurton
ko unn kay mehar razi
khushi dey do haan
agar woh khud apni
khushi say kuch mehar
chor den to issay
shoq say khush ho
ker kha lo. |
| |
| 04.05
Bey aqal logon ko
apna maal na dey do
jiss maal ko Allah
Taalaa ney tumhari
guzraan kay qaeem
rakhney ka zariya
banaya hai haan unhen
iss maal say khilao
pilao pehnao orahao
aur unhen maqooliyat
say naram baat kaho. |
| |
| 04.06
Aur yateemon
ko unn kay baligh
ho janey tak sidhartay
aur aazmatay raho
phir agar inn mein
tum hoshiyari aur
husn-e-tadbeer pao
to enhen inn kay maal
sonp do aur inn kay
baray ho janey kay
darr say inn kay maalon
ko jaldi jaldi fazool
kharchiyon mein tabah
na kerdo maal daron
ko chahaiye kay (inn
kay maal say) bachtay
rahen haan miskeen
mohtaj ho to dastoor
kay mutabiq wajibi
tor say kha ley phir
jab enhen inn kay
maal sonpo to gawah
bana lo dar asal hisab
lenay wala Allah Taalaa
hi kafi hai. |
| |
| 04.07
Maa baap
aur khawesh-o-aqarib
kay tarkay mein mardon
ka hissa bhi hai aur
aurton ka bhi. (jo
maal maa baap aur
khawesh-o-aqarib chor
maren) khuwa woh maal
kum ho ya ziyada (uss
mein) hissa muqarrar
kiya hua hai. |
| |
| 04.08
Aur jab taqseem
kay waqt qarabat daar
aur yateem aur miskeen
aajayen to tum uss
mein say thor boht
enhen bhi dey do aur
inn sa narmi say bolo. |
| |
| 04.09
Aur chahaiye
kay woh iss baat say
daren kay agar woh
khud apney peechay
(nannhay nannhay)
na tawan bachay chor
jatay jin kay zaya
ho janey ka andesha
rehta hai (to unn
ki chahat kiya hoti)
pus Allah Taalaa say
darr ker jachi tuli
baat kaha kero. |
| |
| 04.10
Jo log na
haq zulm say yateemon
ka maal kha jatay
hain woh apney pet
mein aag hi bhar rahey
hain aur un qarib
woh dozakh mein jayen
gay. |
|
| |
|
|
| |
| 04.11
Allah
Taalaa
tumhen
tumhari
aulad
kay
baray
mein
hukum
kerta
hai
kay
aik
larkay
ka
hissa
do
larkiyon
kay
barabar
hai
aur
agar
sirf
larkiyan
hi
hon
aur
do
say
ziyada
hon
to
unhen
maal
matrooka
ka
do
tehaee
milay
ga.
Aur
agar
aik
hi
larki
ho
to
uss
kay
liye
aadha
hai
aur
mayyat
kay
maa
baap
mein
say
her
aik
kay
liye
uss
kay
choray
huye
maal
ka
chatha
hissa
hai
agar
iss
(mayyat)
ki
aulad
ho
aur
agar
aulad
na
ho
aur
maa
baap
waris
hotay
hon
to
uss
ki
maa
kay
liye
teesra
hissa
hai
haan
agar
mayyat
kay
kaee
bhai
hon
to
phir
uss
ki
maa
ka
chatha
hissa
hai.
Yeh
hissay
uss
wasiyat
(ki
takmeel)
kay
baad
hain
jo
marney
wala
ker
gaya
ho
ya
aday-e-qarz
kay
baad
tumharay
baap
hon
ya
tumharay
betay
tumhen
nahi
maloom
kay
unn
mein
say
kaun
tumhen
nafa
phonchaney
mein
ziyada
qarib
hai
yeh
hissay
Allah
Taalaa
ki
taraf
say
muqarrar
kerda
hain
be-shak
Allah
Taalaa
pooray
ilm
aur
kaamil
hikmaton
wala
hai. |
| |
| 04.12
Tumhari
biwiyan
jo
kuch
chor
maren
aur
unn
ki
aulad
na
ho
to
aadhon
aadh
tumhara
hai
aur
agar
unn
ki
aulad
ho
to
unn
kay
choray
huye
maal
say
tumharay
liye
chothaee
hissa
hai.
Uss
wasiyat
ki
adaayegi
kay
baad
jo
woh
ker
gaee
hon
ya
qarz
kay
baad.
Aur
jo
(tarka)
tum
chor
jao
uss
mein
unn
kay
liye
aik
chothaee
hai
agar
tumhari
aulad
na
ho
aur
agar
tumhari
aulad
ho
to
phir
unhen
tumharay
tarkay
ka
aathwan
hissa
milay
ga
uss
wasiyat
kay
baad
jo
tum
ker
gaye
ho
aur
qarz
ki
adaayegi
kay
baad.
Aur
jin
ki
meerass
li
jati
hai
woh
mard
ya
aurat
kalala
ho
yani
uss
ka
baap
beta
na
ho
aur
uss
ka
aik
bhai
ya
aik
behan
ho
to
inn
dono
mein
say
her
aik
ka
chatha
hissa
hai
aur
agar
iss
say
ziyada
hon
to
aik
tehaee
mein
sab
shareek
hain
uss
wasiyat
kay
baad
jo
ki
jaye
aur
qarz
kay
baad
jabkay
auron
ka
nuksan
na
kiya
gaya
ho
yeh
muqarrar
kiya
hua
Allah
Taalaa
ki
taraf
say
hai
aur
Allah
Taalaa
daana
hai
burdbaar. |
| |
| 04.13
Yeh
hadden
Allah
Taalaa
ki
muqarrar
ki
hui
hain
aur
jo
Allah
Taalaa
ki
aur
uss
kay
rasool
(PBUH)
ki
farmanbardari
keray
ga
ussay
Allah
Taalaa
jannaton
mein
ley
jaye
ga
jin
kay
neechay
nehren
beh
rahi
hain
jin
mein
woh
hamesha
rahen
gay
aur
yeh
boht
bari
kaamyaabi
hai. |
| |
| 04.14
Aur
jo
shaks
Allah
Taalaa
aur
uss
kay
rasool
(PBUH)
ki
na
farmani
keray
aur
uss
ki
muqarrara
haddon
say
aagay
niklay
ussay
woh
jahannum
mein
daal
dey
ga
jiss
mein
woh
hamesha
rahey
ga
aison
hi
kay
liye
ruswa
kun
azab
hai. |
| |
| 04.15
Tumhari
aurton
mein
say
jo
bey
hayaee
ka
kaam
keren
unn
per
apney
mein
say
chaar
gawah
talab
kero
agar
woh
gawahi
den
to
inn
aurton
ko
gharon
mein
qaid
rakho
yahan
tak
kay
maut
unn
ki
umaren
poori
ker
dey
ya
Allah
Taalaa
unn
kay
liye
koi
aur
raasta
nikalay. |
| |
| 04.16
Tum
say
jo
do
fard
aisa
kaam
ker
len
unhen
ezza
do
agar
woh
tauba
aur
islaah
ker
len
to
unn
say
mun
pher
lo
be-shak
Allah
Taalaa
tauba
kerney
wala
aur
reham
kerney
wala
hai. |
| |
| 04.17
Allah
Taalaa
sirf
unhi
logon
ki
tauba
qabool
farmata
hai
jo
ba
waja
nadani
koi
buraee
ker
guzren
phir
jald
uss
sa
baaz
aajayen
aur
tauba
keren
to
Allah
Taalaa
bhi
unn
ki
tauba
qabool
kerta
hai
Allah
Taalaa
beray
ilm
wala
hikmat
wala
hai. |
| |
| 04.18
Unn
ki
tauba
nahi
jo
buraiyan
kertay
chalay
jayen
yahan
tak
kay
jab
inn
mein
say
kissi
kay
pass
maut
aajaye
to
keh
dey
kay
mein
ney
abb
tauba
ki
aur
unn
ki
tauba
bhi
qabool
nahi
jo
kufur
per
hi
marr
jayen
yehi
log
hain
jin
kay
liye
hum
ney
alam
naak
azab
tayyar
ker
rakha
hai. |
| |
| 04.19
Eman
walo!
Tumhen
halal
nahi
kay
zabardasti
aurton
ko
virsay
mein
ley
betho
unhen
iss
liye
rok
na
rakho
kay
jo
tum
ney
unhen
dey
rakha
hai
uss
mein
say
kuch
ley
lo
haan
yeh
aur
baat
hai
kay
woh
koi
khuli
buraee
aur
bey
hayaee
keren
unn
kay
sath
achay
tareeqay
say
bod-o-baash
rakho
go
tum
unhen
na
pasand
kero
lekin
boht
mumkin
hai
kay
tum
kissi
cheez
ko
bura
jano
aur
Allah
Taalaa
iss
mein
boht
hi
bhalaee
ker
dey. |
| |
| 04.20
Aur
agar
tum
aik
biwi
ki
jagah
doosri
biwi
kerna
hi
chahao
aur
inn
mein
say
kissi
ko
tum
ney
khazana
ka
khazana
hi
dey
rakha
ho
to
bhi
uss
mein
say
kuch
na
lo
kiya
tum
issay
na
haq
aur
khula
gunah
hotay
huye
bhi
ley
lo
gay
tum
issay
kaisay
ley
lo
gay. |
| |
|
|
|
| |
| 04.21
Halankay
tum
aik
doosray
say
mill
chukay
ho
aur
inn
aurton
ney
tum
say
mazboot
ehad-o-paymaan
ley
rakh
hai. |
| |
| 04.22
Aur
unn
aurton
say
nikkah
na
kero
jin
say
tumharay
baapon
ney
nikkah
kiya
hai
magar
jo
guzar
chuka
hai
yeh
bey
hayaee
ka
kaam
aur
bughz
ka
sabab
hai
aur
bari
buri
raah
hai. |
| |
| 04.23
Haram
ki
gaeen
tum
per
tumhari
maayen
aur
tumhari
larkiyan
tumhari
behnen
tumhari
phoopiyan
aur
tumhari
khalaayen
aur
bhai
ki
larkiyan
aur
behan
ki
larkiyan
aur
tumhari
woh
maayen
jinhon
ney
tumhen
doodh
pilaya
ho
aur
tumhari
doodh
sharik
behnen
aur
tumhari
saas
aur
tumhari
woh
perwerish
kerda
larkiyan
jo
tumhari
godd
mein
hain
tumhari
unn
aurton
say
jin
say
tum
dakhool
ker
chukay
ho
haan
agar
tum
ney
unn
say
jamaa
na
kiya
ho
to
tum
oer
koi
gunah
nahi
aur
tumharay
salbi
sagay
beton
ki
biwiyan
aur
tumhara
do
behnon
ka
jama
kerna
haan
jo
guzar
chuka
so
guzar
chuka
yaqeenan
Allah
Taalaa
bakshney
wala
meharban
hai. |
|
| |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |