| Parah-Wal-Mohsinaat
05 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Nissa
04 |
| (Sura-Nissa
Madina mai Nazil hui, is mai aikso-cheyattar (176) Aayatain
hain) |
| |
| 04.24
Aur (haram ki gaeen) shoher
wali aurten magar woh jo tumhari milkiyat
mein aajayen Allah Taalaa ney yeh ehkaam
tum per farz ker diye hain aur inn aurton
kay siwa aur aurten tumharay liye halal
ki gaeen kay apney maal kay mehar say
tum inn say nikkah kerna chahao buray
kaam say bachne kay liye na kay shewat
rani kay liye iss liye jin say tum faeeda
uthao unhen unn ka muqarrar kiya hua
mehar dey do aur mehar muqarrar ho janey
kay baad tum aapas ki raza mandi say
jo tey ker lo uss mein tum per koi gunah
nahi be-shak Allah Taalaa ilm wala hikmat
wala hai. |
| |
| 04.25
Aur tum mein say jiss kissi
ko aazad musalman aurton say nikkah
kerney ki poori wus’at-o-taqat
na ho to woh musalman londiyon say jin
kay tum maalik ho (apna nikkah ker ley)
Allah tumharay aemaal ko ba khoobi janney
wala hai tum sab aapas mein aik hi to
ho iss liye unn kay maalikon ki ijazat
say unn say nikkah kerlo aur qaeeday
kay mutabiq unn kay mehar unn ko do
woh pak daaman hon na kay aelaaniya
bad kaari kerney waliyan na khufia aashnaee
kerney waliyan pus jab yeh londiyan
nikkah mein aajayen phir agar woh bey
hayaee ka kaam keren to unhen aadhi
saza hai uss saza say jo aazad aurton
ki hai. Kaneezon say nikkah ka yeh hukum
tum mein say unn logon kay liye hai
jinhen gunah aur takleef ka andesha
ho aur tumhara zabt kerna boht behtar
hai aur Allah Taalaa bara bakshney wala
aur bari rehmat wala hai. |
| |
| 04.26
Allah Taalaa chahata
hai kay tumharay wastay khoob
khol ker biyan keray aur tumhen
tum say pehlay kay (nek) logon
ki raah per chalaye aur tumhari
tauba qabool keray aur Allah Taalaa
janney wala hikmat wala hai. |
| |
| 04.27
Aur Allah chahata hai
kay tumhari tauba qabool keray
aur jo log khuwaishaat kay pairoo
hain woh chahtay hain kay tum
iss say boht door hatt jao. |
| |
| 04.28
Allah chahta hai kay
tum say takhfeef ker dey kiyon
kay insan kamzor peda kiya gaya
hai. |
| |
| 04.29
Aey eman walo! Apney
aapas kay maal na jaeez tareeqay
say mat khao magar yeh kay tumhari
aapas ki raza mandi say ho khareed-o-farokht
aur apney aap ko qatal na kero
yaqeenan Allah Taalaa tum per
nihayat meharban hai. |
| |
| 04.30
Aur jo shaks yeh (na
farmaniyan) sirkashi aur zulm
say keray ga to un qarib hum uss
ko aaga mein dakhil keren gay.
Aur yeh Allah per aasan hai. |
| |
|
|
|
|
|
|
| |
| 04.31
Agar tum unn baray gunahon
say bachtay raho gay jin say tum ko
mana kiya jata hai to hum tumharay chotay
gunah door ker den gay aur izzat aur
buzrugi ki jagah dakhil keren gay. |
| |
| 04.32
Aur uss cheez ki aarzoo na
kero jiss kay baees Allah Taalaa ney
tum mein say baaz ko baaz per buzrugi
di hai. Mardon kay uss mein say hissa
hai jo unhon ney kamaya aur aurton kay
liye uss mein say hain jo unhon ney
kamaya aur Allah Taalaa say uss ka fazal
maango yaqeenan Allah her cheez ka janney
wala hai. |
| |
| 04.33
Maa baap ya qarabat daar jo
chor maren uss kay waris hum ney her
shaks kay muqarrar ker diye hain aur
jin say tum ney apney haathon mohaeeda
kiya hai unhen unn ka hissa do haqeeqatan
Allah Taalaa her cheez per hazir hai. |
| |
| 04.34
Mard aurton per haakim hain
iss waja say kay Allah Taalaa ney aik
ko doosray per fazilat di hai aur iss
waja say kay mardon ney apney maal kharach
kiye hain pus nek farman bardaar aurten
khawind ki adam mojoodgi mein ba hifazat-e-elahee
nigehdasht rakhen waliyan hain aur jin
aurton ki na farmani aur bad dimaghi
ka tumhen khof ho unhen naseehat kero
aur unhen alag biostaron per chor do
aur unhen maar ki saza do phir agar
woh tabey daari keren to unn per koi
raasta talash na kero be-shak Allah
Taalaa bari bulandi aur baraee wala
hai. |
| |
| 04.35
Agar tumhen miyan biwi kay
darmiyan aapas ki ann bann ka khof ho
to aik munsif mard walon mein say aur
aik aurat kay ghar walon mein say muqarrar
kero agar yeh dono sulah kerana chahayen
gay to Allah dono mein milaap kera dey
ga yaqeenan Allah Taalaa pooray ilm
wala poori khabar wala hai. |
| |
| 04.36
Aur Allah Taalaa ki ibadat
kero aur uss kay sath kissi ko shareek
na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan
kero aur rishtay daron say aur yateemon
say aur miskeenon say aur qarabat daar
humsaya say aur ajnabi humsaya say aur
pehloo kay sathi say aur raah kay musafir
say aur unn say jin kay maalik tumharay
haath hain (ghulam kaneez) yaqeenan
Allah Taalaa takabbur kerney walon aur
shekhi khoron ko pasand nahi farmata. |
| |
| 04.37
Jo log khud bakheeli kertay
hain aur doosron ko bhi bakheeli kerney
ko kehtay hain aur Allah Taalaa ney
jo apna fazal unhen dey rakha hai ussay
chupa letay hain hum ney unn kafiron
kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi
hai. |
| |
| 04.38
Aur jo log apna maal logon
kay dikhaway kay liye kharach kertay
hain aur Allah Taalaa per aur qayamat
kay din per eman nahi rakhtay aur jiss
ka humnasheen aur sathi shetan ho woh
bad tareen sathi hai. |
| |
| 04.39
Bhala unn ka kiya nuksan tha
agar yeh Allah Taalaa per aur qayamat
kay din per eman latay aur Allah Taalaa
ney jo unhen dey rakha hai uss mein
say kharach kertay Allah Taalaa unhen
khoob janney wala hai. |
| |
| 04.40
Be-shak Allah Taalaa aik zarra
barabar zulm nahi kerta aur agar neki
ho to ussay doogni ker deta hai aur
khaas apney pass say boht bara sawab
deta hai. |
| |
|
|
|
|
|
| |
| 04.41
Pus kiya haal hoga jiss waqt kay
her ummat mein say aik gawah hum layen gay
aur aap ko inn logon per gawah bana ker layen
gay. |
| |
| 04.42
Jiss roz kafir aur rasool kay na
farman aarzoo keren gay kay kaash! Enhen zamin
kay sath humwaar ker diya jata aur Allah Taalaa
say koi baat na chupa saken gay. |
| |
| 04.43
Aey eman walo! Jab tum nashay mein
mast ho namaz kay qarib bhi na jao jab tak
kay apni baat ko samajhney na lago aur janabat
ki halat mein jab tak kay ghusul na kerlo
haan agar raah chaltay guzar janey walay ho
to aur baat hai aur agar tum beemar ho ya
safar mein ho ya tum mein say koi qazay-e-haajat
say aaya ho ya tum ney aurton say mubashirat
ki ho aur tumhen pani na milay to pak mitti
ka qasad kero aur apney mun aur apney haath
mall lo. Be-shak Allah Taalaa moaf kerney
wala bakshney wala hai. |
| |
| 04.44
Kiya tum ney unhen nahi dekha? Jinhen
kitab ka kuch hissa diya gaya hai woh gumrahi
khareedtay hain aur chahtay hain kay tum bhi
raah say bhatak jao. |
| |
| 04.45
Allah Taalaa tumharay dushmanon ko
khoob jannay wala hai aur Allah Taalaa ka
dost hona kafi hai aur Allah Taalaa ka madadgar
hona bus hai. |
| |
| 04.46
Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek
jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay
hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur
sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur
humari riyayat ker! (lekin iss kay kehney
mein) apni zaban ko paich detay hain aur deen
mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay
kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari
ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh
inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib
tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki
waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht
hi kum eman latay hain. |
| |
| 04.47
Aey ehal-e-kitab! Jo kuch hum ney
nazil farmaya hai jo uss ki bhi tasdeeq kerney
wala hai jo tumharay pass hai iss per eman
lao iss say pehlay hum chehray bigaar den
aur enhen lota ker peeth ki taraf ker den
ya inn per laanat bhejen jaisay hum ney haftay
kay din walon per laanat ki aur hai Allah
Taalaa ka kaam kiya gaya. |
| |
| 04.48
Yaqeenan Allah Taalaa apney sath
sahreek kiye janey ko nahi bakshta aur iss
kay siwa jissay chahaye baksh deta hai aur
jo Allah Taalaa kay sath shareek muqarrar
keray uss ney boht bara gunah aur bohtan bandha. |
| |
| 04.49
Kiya aap ney unhen nahi dekha jo
apni pakeezgi aur sataeesh khud kertay hain?
Bulkay Allah Taalaa jissay chahaye pakeeza
kerta hai kissi per aik dhagay kay barabar
zulm na kiya jaye ga. |
| |
| 04.50
Dekho yeh log Allah Taalaa per kiss
tarah jhoot bandhtay hain aur yeh (harkat)
sareeh gunah honey kay liye kafi hai. |
|
| |
|
|
| |
| 04.51
Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen
kitab ka kuch hissa mila hai? Jo butt ka aur
baatil mabood ka aetiqaad rakhtay hain aur
kafiron kay haq mein kehtay hain kay yeh log
eman walon say ziyada raah-e-raast per hain. |
| |
| 04.52
Yehi woh log hain jinhen Allah Taalaa
ney laanat ki hai aur jissay Allah Taalaa
laanat kerdey tu uss ka koi madadgar na paye
ga. |
| |
| 04.53
Kiya inn ka koi hissa saltanat mein
hai? Agar aisa ho to phir yeh kissi ko aik
khujoor ki guthli kay shigaaf kay barabar
bhi kuch na den gay. |
| |
| 04.54
Ya yeh logon say hasad kertay hain iss per
jo Allah Taalaa ney apney fazal say unhen
diya hai pus hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab
aur hikmat bhi di hai aur bari saltanat bhi
ata farmaee hai. |
| |
| 04.55
Phir inn mein say baaz ney to iss
kitab ko maana aur baaz iss say ruk gaye aur
jahannum ka jalana kafi hai. |
| |
| 04.56
Jin logon ney humari aayaton say
kufur kiya unhen hum yaqeenan aag mein daal
den gay jab unn ki khaalen pakk jayen gi to
hum inn kay siwa aur khaalen badal den gay
takay woh azab chakhtay rahen yaqeenan Allah
Taalaa ghalib hikmat wala hai. |
| |
| 04.57
Aur jo log eman laye aur shaista
aemaal kiye hum un qarib unhen unn jannaton
mein ley jayen gay jin kay neechay nehren
beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha
rahen gay unn kay liye wahan saaf suthri biwiyan
hongi aur hum unhen ghani chahaon (aur poori
rahat) mein ley jayen gay. |
| |
| 04.58
Allah Taalaa tumhen takeedi hukum
deta hai kay amanat walon ki amanaten unhen
phonchao! Aur jab logon ka faisla kero to
adal-o-insaf say faisla kero! Yaqeenan woh
behtar cheez hai jiss ki naseehat tumhen Allah
Taalaa ker raha hai. Be-shak Allah Taalaa
sunta hai dekhta hai. |
| |
| 04.59
Aey eman walo! Farmanbardari kero
Allah Taalaa ki aur farmanbardari kero rasool
(PBUH) ki aur tum mein say ikhtiyar walon
ki. Phir agar kissi cheez mein ikhtilaf kero
to ussay lotao Allah Taalaa ki taraf aur rasool
ki taraf agar tumhen Allah Taalaa per aur
qayamat kay din per eman hai. Yeh boht behtar
hai aur ba aetbaar anjam kay boht acha hai. |
| |
| 04.60
Kiya aap ney unhen nahi dekha? Jin
ka daawa to yeh hai kay jo kuch aap per aur
jo kuch aap say pehlay utara gaya hai uss
per unn ka eman hai lekin woh apney faislay
ghair ullah ki taraf ley jana chahtay hain
halankay unhen hukum diya gaya hai kay shetan
ka inkar keren shetan to yeh chahata hai unhen
behka ker door daal dey. |
|
| |
|
|
| |
| 04.61
Inn say jab kabhi kaha jaye
kay Allah Taalaa kay nazil kerda kalaam
ki aur rasoll lullah (PBUH) ki taraf
aao to aap dekh len gay kay yeh munafiq
aap say mun pher kay rukay jatay hain. |
| |
| 04.62
Phir kiya baat hai kay jab
inn per inn kay kertoot kay baees koi
musibat aa parti hai to phir yeh aap
kay pass aa ker Allah Taalaa ki qasmen
khatay hain kay humara irada to sirf
bhalaee aur mail milaap hi ka tha. |
| |
| 04.63
Yeh woh log hain kay inn kay
dilon ka bhed Allah Taalaa per bakhoobi
roshan hai aap inn say chasham poshi
kijiye enehn naseehat kertay rahiye
aur enhen woh baat kahiye! Jo inn kay
dilon mein ghar kerney wali ho. |
| |
| 04.64
Hum ney her her rasool ko sirf
iss liye bheja kay Allah Taalaa kay
hukum say uss ki farmanbardari ki jaye
aur agar yeh log jab enhon ney apni
janon per zulm kiya tha teray pass aajatay
aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay
aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar
kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa
ko moaf kerney wala meharban patay. |
| |
| 04.65
So qasam hai teray perwerdigar
ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak
kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap
ko haakim na maan len phir jo faisla
aap inn mein ker den inn say apney dil
mein kissi tarah ki tangi aur na khushi
na payen aur farmanbardari kay sath
qabool kerlen. |
| |
| 04.66
Aur agar hum inn per yeh farz
ker detay kay apni janon ko qatal ker
daalo! Ya apney gharon say nikal jao!
To issay inn mein say boht hi kum log
baja latay aur agar yeh wohi kerne jiss
ki enhen naseehat ki jati hai to yaqeenan
yehi inn kay liye behtar aur boht ziyada
mazbooti wala ho. |
| |
| 04.67
Aur tab to enhen hum apney
pass say bara sawab den. |
| |
| 04.68
Aur yaqeenan enhen raah-e-raast
dikha den. |
| |
| 04.69
Aur jo bhi Allah Taalaa ki
aur rasool (PBUH) ki farmanbardari keray
woh unn logon kay sath hoga jin per
Allah Taalaa ney inam kiya hai jaisay
nabi aur siddique aur shaheed aur nek
log yeh behtareen rafiq hain. |
| |
| 04.70
Yeh fazal Allah Taalaa ki taraf
say hai aur kafi hai Allah Taalaa janney
wala. |
|
| |
|
|
| |
| 04.71
Aey musalmano!
Apney bachao ka saman
ley lo phir giroh
giroh bann ker kooch
kero ya sab kay sab
ikhttay ho ker nikal
kharay ho!. |
| |
| 04.72
Aur yaqeenan
tum mein baaz woh
bhi hain jo pus-o-paish
kertay hain phir agar
tumhen koi nuksan
hota hai wo woh kehtay
hain kay Allah Taalaa
ney mujh per bara
fazal kiya kay mein
inn kay sath mojood
na tha. |
| |
| 04.73
Aur agar
tumhen Allah Taalaa
ka koi fazal mill
jaye to iss tarah
kay goya tum mein
inn mein dost thi
hi nahi kehtay hain
kaash! Mein bhi inn
kay humrah hota to
bari kaamyaabi ko
phonchta. |
| |
| 04.74
Pus jo log
duniya ki zindagi
ko aakhirat kay badlay
baich chukay hain
unhen Allah Taalaa
ki raah mein jihad
kerna chahaiye aur
jo shaks Allah Taalaa
ki raah mein jihad
kertay huye shahdat
paa ley ya ghalib
aajaye yaqeenan hum
ussay bara sawab inayat
farmayen gay. |
| |
| 04.75
Bhala kiya
waja hai kay tum Allah
ki raah mein aur inn
na tawan mardon aurton
aur nannhay nannhay
bachon kay chutkaray
kay liye jihad na
kero? Jo yun duayen
maang rahey hain kay
aey humaray perwerdigar!
Inn zalimon ki basti
say humen nijat dey
aur humaray pass khud
apney pass say himayati
muqarrar ker dey aur
humaray liye khaas
apney pass say madadgar
bana. |
| |
| 04.76
Jo
log eman laye
hain woh to
Allah Taalaa
ki raah mein
jihad kertay
hain aur jin
logon ney kufur
kiya hai woh
Allah Taalaa
kay siwa auron
ki raah mein
lartay hain.
Pus tum shetan
kay doston say
jang kero! Yaqeen
maano kay shetani
heela (bilkul
boda aur) sakht
kamzor hai. |
| |
| 04.77
Kiya
tum ney unhen
nahi dekha jinhen
hukum kiya gaya
tha kay apney
haathon ko rokay
rakho aur namazen
parhtay raho
aur zakat ada
kertay raho.
Phir jab unhen
jihad ka hukum
diya gaya to
ussi waqt unn
ki aik jamat
logon say iss
qadar darney
lagi jaisay
Allah Taalaa
ka darr ho bulkay
iss say bhi
ziyada aur kehney
lagay aey humaray
rab! Tu ney
hum per jihad
kiyon farz ker
diya? Kiyon
humen thori
si zindagi aur
na jeenay di?
Aap keh dijiye
kay duniya ki
sood mandi to
boht hi kum
hai aur perhezgaron
kay liye aakhirat
hi behtar hai
aur tum per
aik dhagay kay
barabar bhi
sitam rawa na
rakha jaye ga. |
| |
| 04.78
Tum
jahan kahin
bhi ho maut
tumhen aa pakray
gi go tum mazboor
qilon mein ho
aur gar enhen
koi bhalaee
milti hai to
kehtay hain
kay yeh Allah
Taalaa ki taraf
say hai aur
agar koi buraee
phonchti hai
to to keh uthtay
hain kay yeh
teri taraf say
hai. Enhen keh
do kay yeh kuch
Allah Taalaa
ki taraf say
hai. Enhen kiya
hogaya hai kay
koi baat samajhney
kay bhi qarib
nahi. |
| |
| 04.79
Tujhay
jo bhalaee milti
hai Allah Taalaa
ki taraf say
hai aur jo buraee
phonchti hai
woh teray apney
nafss ki taraf
say hai hum
ney tujhay tamam
logon ko payghaam
phonchaney wala
bana ker bheja
hai aur Allah
Taalaa gawah
kafi hai. |
| |
| 04.80
Iss
rasool (PBUH)
ko jo ita’at
keray ussi ney
Allah Taalaa
ki farmanbardari
ki aur jo mun
pher ley to
hum ney aap
ko kuch inn
per nigehbaan
bana ker nahi
bheja. |
| |
|
|
|
|
|
|
|
| |
| 04.81
Yeh kehtay
to hain kay ita’at
hai phir jab aap kay
pass say uth ker bahir
nikaltay hain to inn
mein ki aik jamat
jo baat aap ney ya
uss ney kahi hai uss
kay khilaf raaton
ko mashwaray kerti
hai inn ki raaton
ki baat cheet Allah
Taalaa likh raha hai
to aap inn say mun
pher len aur Allah
per bharosa rakhen
Allah Taalaa kafi
kaar saaz hai. |
| |
| 04.82
Kiya yeh
log quran mein ghor
nahi kertay? Agar
yeh Allah Taalaa kay
siwa kissi aur ki
taraf say hota to
yaqeenan iss mein
boht kuch ikhtilaf
patay. |
| |
| 04.83
Jahan enhen
koi khabar aman ya
khof ki mili enhon
ney ussay mashoor
kerna shuroo ker diya
halankay agar yeh
log issay rasool (PBUH)
kay aur apney mein
say aisi baaton ki
teh tak phonchney
walon kay hawalay
ker detay to iss ki
haqeeqat woh log maloom
ker letay jo nateeja
akhaz kertay hain
aur agar Allah Taalaa
ka fazal aur uss ki
rehmat tum per na
hoti to maddoday chand
kay ilawa tum sab
shetan kay pairo kaar
bann jatay. |
| |
| 04.84
Tu Allah
Taalaa ki raah mein
jihad kerta reh tujhay
sirf teri zaat ki
nisbat hukum diya
jata hai haan eman
walon ko raghbat dilata
reh boht mumkin hai
kay Allah Taalaa kafiron
ki jang ko rok dey
aur Allah Taalaa sakht
qooat wala hai aur
saza denay mein bhi
sakht hai. |
| |
| 04.85
Jo shaks
kissi neki ya bhalay
kaam ki sifarish keray
ussay bhi uss ka kuch
hissa milay ga aur
jo buraee aur badi
ki sifarish keray
uss kay liye uss mein
say aik hissa hai
aur Allah Taalaa her
cheez per qudrat rakhney
wala hai. |
| |
| 04.86
Aur jab tumhen
salam kiya jaye to
tum uss say acha jawab
do ya unhi alfaaz
ko lota do be-shak
Allah Taalaa her cheez
ka hisab lenay wala
hai. |
| |
| 04.87
Allah woh
hai jiss kay siwa
koi mabood (bar haq)
nahi woh tum sab ko
yaqeenan qayamat kay
din jama keray ga
jiss kay (aaney) mein
koi shak nahi Allah
Taalaa say ziyada
sachi baat wala aur
kaun hoga. |
| |
| 04.88
Tumhen kiya
hogaya hai? Kay munafiqon
kay baray mein do
giroh ho rahey ho?
Unhen to unn kay aemaal
ki waja say Allah
Taalaa ney ondha ker
diya hai. Abb kiya
tum yeh mansoobay
bandh rahey ho kay
Allah Taalaa kay gumrah
kiye huwon ko tum
raah-e-raast per laa
khara kero jissay
Allah Taalaa raah
bhula dey tu hergiz
uss kay liye koi raah
na paye ga. |
| |
| 04.89
Inn ki chahat
to yeh kay jiss tarah
kay kafir woh hain
tum bhi unn ki tarah
kufur kerney lago
aur phir sab yaksan
ho jao pus jab tak
yeh islam ki khatir
watan na choren inn
mein say kissi ko
haqeeqi dost na banao
phir agar yeh mun
pher len to enhen
pakro aur qatal kero
jahan bhi yeh haath
lag jayen khabardaar!
Inn mein say kissi
ko apna rafiq aur
madadgar na samajh
bethna. |
| |
| 04.90
Siwaye unn
kay jo uss qom say
talluq rakhtay hon
jin say tumhara mohaeeda
ho chuka hai ya jo
tumharay pass iss
halat mein aayen kay
tum say jang kerney
say bhi tang dil hain
aur apni qom say bhi
jang kerney say tang
dil hain aur agar
Allah Taalaa chahata
to enhen tum per musallat
ker deta aur woh yaqeenan
tum say jang kertay
pus agar yeh log tum
say kinara kashi ikhtiyar
ker len aur tum say
laraee na keren aur
tumhari janib sulah
ka payghaam dalen
to Allah Taalaa ney
tumharay liye inn
per koi raah laraee
ki nahi ki. |
| |
|
|
|
|
|
| |
| 04.91
Tum
kuch aur logon
ko aisa bhi
pao gay jin
ki (ba zahir)
chahat hai kay
tum say bhi
aman mein rahen.
Aur apni qom
say bhi aman
mein rahen (lekin)
jab kabhi fitna
angezi ki taraf
lotaye jatay
hain to ondhay
mun iss mein
daal diye jatay
hain pus agar
yeh log tum
say kinara kashi
na keren aur
tum say sulah
ka silsila jannbaee
na keren aur
apney haath
na rok len to
unhen pakro
aur maar dalo
jahan kahin
bhi paa lo!
Yehi woh hain
jin per hum
ney tumhen zahir
hujjat inayat
farmaee hai. |
| |
| 04.92
Kissi
momin ko doosray
momin ka qatal
ker dena zaiba
nahi magar ghalati
say hojaye (to
aur baat hai)
jo shaks kissi
musalman ko
bila qasad maar
dalay uss per
aik musalman
ghulam ki gardan
aazad kerna
aur maqtool
kay azizon ko
khoon baha phonchana
hai haan yeh
aur baat hai
kay woh log
bator sadqa
moaf ker denaur
maqtool agar
tumhari dushman
qom ka ho aur
ho woh musalman
to sirf aik
momin ghulam
ki gardan aazad
kerni lazmi
hai. Aur agar
maqtool uss
qom say ho kay
tum mein aur
unn mein ehad-o-paymaan
hai to khoon
baha lazim hai
jo uss kay kunbay
walon ko phonchaya
jaye aur aik
musalman ghulam
ka aazad kerna
bhi (zaroori
hai) pus jo
na paye uss
kay zimmay do
maheeney kay
lagataar raozay
hain Allah Taalaa
say bakshwaney
kay liye aur
Allah Taalaa
bakhoobi janney
wala aur hikmat
wala hai. |
| |
| 04.93
Aur
jo koi kiss
momin ko qasadan
qatal ker dalay
uss ki saza
dozakh hai jiss
mein woh hamesha
rahey ga iss
per Allah Taalaa
ka ghazab hai
issay Allah
Taalaa ney laanat
ki hai aur iss
ka liye bara
azab tayyar
rakha hai. |
| |
| 04.94
Aey
eman walo! Jab
tum Allah ki
raah mein jaa
rahey ho to
tehqeeq ker
liya kero aur
jo tum say salam-alaik
keray tum ussay
yeh na kehdo
kay tu eman
wala nahi. Tum
dunyawi zindagi
kay asbaab ki
talash mein
ho to Allah
Taalaa kay pass
boht si ghanimaten
hain. Pehlay
tum bhi aisay
hi thay phir
Allah Taalaa
ney tum per
ehsan kiya lehaza
tum zaroor tehqeeq-o-tafteesh
ker liya kero
be-shak Allah
Taalaa tumahray
aemaal say ba
khabar hai. |
| |
| 04.95
Apni janon aur
maalon say Allah
ki raah mein
jihad kerney
walay momin
aur baghair
uzur kay beth
rehney walay
momin barabar
nahi apney maalon
aur apni janon
say jihad kerney
walon ko beth
rehney walon
per Allah Taalaa
ney darjon mein
boht fazeelat
dey rakhi ahi
aur yun to Allah
Taalaa ney her
aik ko khoobi
aur achai kay
wada diya hai
lekin mujahideen
ko beth rehney
walon per boht
baray ajar ki
fazeelat dey
rakhi hai. |
| |
| 04.96
Apni
taraf say martabay
ki bhi aur baksish
ki bhi aur rehmat
ki bhi aur Allah
Taalaa bakshish
kerney wala
aur reham kerney
wala hai. |
| |
| 04.97
Jo
log apni janon
per zulm kerney
walay hain jab
farishtay unn
ki rooh qabz
kertay hain
to poochtay
hain tum kiss
haal mein thay?
Yeh jawab detay
hain kay hum
apni jagah kamzor
aur maghloob
thay. Farishtay
kehtay hain
kiya Allah Taalaa
ki zamin kushada
na thi kay tum
hijrat ker jatay?
Yehi log hain
jin ka thikana
dozakh hai aur
woh phonchney
ki buri jagah
hai. |
| |
| 04.98
Magar
jo mard aurten
aur bachay bey
bus hain jinhen
na to kissi
charaa-e-kaar
ki taqat aur
na kiss raastay
ka ilm hai. |
| |
| 04.99
Boht
mumkin hai kay
Allah Taalaa
unn say dar
guzar keray
Allah Taalaa
dar guzar kerney
wala aur moaf
farmaney wala
hai. |
| |
| 04.100
Jo
koi Allah ki
raah mein watan
ko choray ga
woh zamin mein
boht si qayam
ki jagahen bhi
paye ga aur
kushaadgi bhi
aur jo koi apney
ghar say Allah
Taalaa aur uss
kay rasool (PBUH)
ki taraf nikal
khara hua phir
ussay maut ney
aa pakra to
bhi yaqeenan
uss ka ajar
Allah Taalaa
kay zimmay sabit
hogaya aur Allah
Taalaa bara
bakshney wala
meharban hai. |
| |
|
|
|
|
|
|
| |
| 04.101
Jab tum safar mein jaa
rahey ho to tum per namazon kay
qasar kerney mein koi gunah nahi
agar tumhen darr ho kay kafir
tumhen satayen gay yaqeenan kafir
tumharay khulay dushman hain. |
| |
| 04.102
Jab tum inn mein ho aur
inn kay liye namaz khari kero
to chahaiye kay inn ki aik jamat
tumharay sath apney hathyaar liye
khari ho phir jab yeh sajda ker
chuken to yeh hatt ker tumharay
peechay aajayen aur woh doosti
jamat jiss ney namaz nahi parhi
woh aajaye aur teray sath namaz
ada keray aur apna bachao aur
apney hathyaar liye rahey kafir
chahtay hain kay kissi tarah tum
apney hathyaaron aur apney saman
say bey khabar ho jao to woh tum
per achanak dhaawa bol den haan
apney hathyaar utaar rakhney mein
uss waqt tum per koi gunah nahi
jab kay tumhen takleef ho ya ba
waja barish kay ya ba sabab beemar
hojaney kay aur apney bachao ki
cheezen sath liye raho. Yaqeenan
Allah Taalaa ney munkiron kay
liye zillat ki maar tayyar ker
rakhi hai. |
| |
| 04.103
Phir jab tum namaz ada
ker chuko to uthtay bethtay aur
letay Allah Taalaa ka ziker kertay
raho aur jab itminan pao to namaz
qaeem kero! Yaqeenan namaz mominon
per muqarrara waqton per farz
hai. |
| |
| 04.104
Inn logon ka peecha kerney
say haaray dil ho ker beth na
raho! Agar tumhen bey aarami hoti
hai to unhen bhi tumhari tarah
bey aarami hoti hai aur tum Allah
Taalaa say woh umeeden rakhtay
ho jo umeeden unhen nahi aur Allah
Taalaa daana aur hakim hai. |
| |
| 04.105
Yaqeenan hum ney tumhari
taraf haq kay sath apni kitab
nazil farmaee hai takay tum logon
mein iss cheez kay mutabiq faisla
kero jiss say Allah ney tum ko
shanasa kiya hai aur khayanat
kerney walon kay himayati na bano. |
| |
| 04.106
Aur Allah Taalaa say bakshish
maango! Be-shak Allah Taalaa baksish
kerney wala meharbani kerney wala
hai. |
| |
| 04.107
Aur inn ki taraf say
jhagra na kero jo khud apni hi
khayanat kertay hain yaqeenan
dagha baaz gunehgar Allah Taalaa
ko acha nahi lagta. |
| |
| 04.108
Woh logon say to chup jatay hain
(lekin) Allah Taalaa say nahi
chup saktay woh raaton kay waqt
jabkay Allah ki na pasndeedah
baaton kay khufia mashwaray kertay
hain uss waqt bhi Allah unn kay
pass hota hai unn kay tamam aemaal
ko woh gheray huye hai. |
| |
| 04.109
Haan to yeh ho tum log
kay duniya mein tum ney inn ki
himayat ki lekin Allah Taalaa
kay samney qayamat kay din inn
ki himayat kaun keray ga? Aur
woh kaun hai jo inn ka wakeel
bann ker khara ho sakay ga? |
| |
| 04.110
Jo shaks koi buraee keray
ya apni jaan per zulm keray phir
Allah Taalaa say istaghfaar keray
to woh Allah ko bakshney wala
meharbani kerney wala payega. |
|
| |
|
|
| |
| 04.111
Aur
jo
gunah
kerta
hai
uss
ka
bojh
ussi
per
hai
aur
Allah
bakhoobi
janney
wala
aur
poori
hikmat
wala
hai. |
| |
| 04.112
Aur
jo
shaks
koi
gunah
ya
khata
ker
kay
kissi
bey
gunah
kay
zimmay
thop
dey
uss
ney
boht
bara
bohtaan
uthaya
aur
khula
gunah
kiya. |
| |
| 04.113
Agar
Allah
Taalaa
ka
fazal-o-reham
tujh
per
na
hota
to
inn
kay
aik
jamat
to
tujhay
behkaney
ka
qasad
ker
hi
liya
tha
magar
dar
asal
yeh
apney
aap
ko
hi
gumrah
kertay
hain
yeh
tera
kuch
nahi
bigar
saktay
Allah
Taalaa
ney
tujh
per
kitab-o-hikmat
utari
hai
aur
tujhay
woh
sikhaya
hai
jisay
tu
nahi
janta
tha
aur
Allah
Taalaa
ka
tujh
per
bara
bhari
fazal
hai. |
| |
| 04.114
Inn
kay
aksay
khufia
mashwaron
mein
koi
khair
nahi
haan!
Bhalaee
uss
kay
mashwaray
mein
hai
jo
kheyraat
kay
ya
nek
baat
ka
ya
logon
mein
sulah
keraney
ka
hukum
keray
aur
jo
shaks
sirf
Allah
Taalaa
ki
raza
mandi
hasil
kerney
kay
iraday
say
yeh
kaam
keray
ussay
hum
yaqeenan
boht
bara
sawab
den
gay. |
| |
| 04.115
Jo
shaks
ba
wajood
raah-e-hidayat
kay
wazeh
ho
janey
kay
bhi
rasool
(PBUH)
ka
khilaf
keray
aur
tamam
mominon
ki
raah
chor
ker
chalay
hum
ussay
udhar
hi
mutawajja
ker
den
gay
jidhar
woh
khud
mutawajja
ho
aur
dozakh
mein
daal
den
gay
woh
phonchney
ki
boht
hi
buri
jagah
hai. |
| |
| 04.116
Ussay
Allah
Taalaa
qatan
na
bakshay
ga
kay
uss
kay
sath
shareek
muqarrar
kiya
jaye
haan
shirk
kay
ilawa
gunah
jiss
kay
chahaye
moaf
farma
deta
hai
aur
Allah
kay
sath
sharik
kerney
wala
boht
door
ki
gumrahi
mein
jaa
para. |
| |
| 04.117
Yeh
to
Allah
Taalaa
ko
chor
ker
sirf
aurton
ko
pukartay
hain
aur
dar
asal
yeh
sirf
sirkash
shetan
ko
poojtay
hain. |
| |
| 04.118
Jissay
Allah
ney
laanat
ki
hai
aur
uss
ney
baira
utahaya
hai
kay
teray
bandon
mein
say
mein
muqarrar
shuda
hissa
ley
ker
rahon
ga. |
| |
| 04.119
Aur
enhen
raah
say
behkata
rahon
ga
aur
baatil
umeeden
dilata
rahon
ga
aur
enhen
sikhaon
ga
kay
janweron
kay
kaan
cheer
den
aur
inn
say
kahon
ga
kay
Allah
Taalaa
ki
banaee
hui
soorat
ko
bigar
den
suno!
Jo
shaks
Allah
ko
chor
ker
shetan
ko
apna
rafiq
banaye
ga
woh
sareeh
nuksan
mein
doobay
ga. |
| |
| 04.120
Woh
inn
say
zabani
waday
kerta
rahey
ga
aur
sabz
baagh
dikhata
rahey
ga
(magar
yad
rakho!)
shetan
kay
jo
waday
inn
say
hain
woh
sirasir
fareb
kaariyan
hain. |
| |
|
|
|
|
|
|
| |
| 04.121
Yeh
woh
log
hain
jin
ki
jagah
jahannum
hai
jahan
say
enhen
chutkara
na
milay
ga. |
| |
| 04.122
Aur
jo
eman
laye
aur
bhalay
kaam
keren
humen
unhen
unn
jannaton
mein
ley
jayen
gay
jin
kay
neechay
chashmay
jari
hain
jahan
yeh
abad-al-abad
rahen
gay
yeh
hai
Allah
ka
wada
jo
siasir
sacha
hai
aur
kaun
hai
jo
apni
baat
mein
Allah
say
ziyada
sacha
ho? |
| |
| 04.123
Haqeeqat-e-haal
na
to
tumhari
aarzoo
kay
mutabiq
hai
aur
na
ehal-e-kitab
ki
umeedon
per
moqoof
hai
jo
bura
keray
ga
uss
ki
saza
paye
ga
aur
kissi
ko
na
paye
ga
jo
uss
ki
himayat-o-madad
Allah
kay
pass
ker
sakay. |
| |
| 04.124
Jo
eman
wala
ho
mard
ho
ya
aurat
aur
woh
nek
aemaal
keray
yaqeenan
aisay
log
jannat
mein
jayen
gay
aur
khujoor
ki
guthli
kay
shigaf
kay
barabar
bhi
unn
ka
haq
na
maara
jaye
ga. |
| |
| 04.125
Ba-aetbaar
deen
kay
uss
say
acha
kaun
hai?
Jo
apney
ko
Allah
kay
tabey
ker
dey
aur
ho
bhi
neko
kaar
sath
hi
yaksui
walay
ibrahim
kay
deen
ki
pairwee
ker
raha
ho
aur
ibrahim
(alh-e-salam)
ko
Allah
ney
apna
dost
bana
liya
hai. |
| |
| 04.126
Aasamanon
aur
zamin
mein
jo
kuch
hai
sab
Allah
hi
ka
hai
aur
Allah
Taalaa
her
cheez
ko
gherney
wala
hai. |
| |
| 04.127
Aap
say
aurton
kay
baray
mein
hukum
daryaft
kertay
hain
aap
keh
dijiye!
Kay
khud
Allah
unn
kay
baray
mein
hukum
dey
raha
hai
aur
quran
ki
woh
aayaten
jo
tum
per
inn
yateem
larkiyon
kay
baray
mein
parhi
jati
hain
jinhen
inn
ka
muqarrar
haq
tum
nahi
detay
aur
enhen
apney
nikkah
mein
laaney
ki
raghbat
rakhtay
ho
aur
kamzor
bachon
kay
baray
mein
aur
iss
baray
mein
kay
yateemon
ki
kaar
guzari
insaf
kay
sath
kero.
Tum
jo
nek
kaam
kero
bey
shuba
Allah
ussay
poori
tarah
janney
wala
hai. |
| |
| 04.128
Agar
kissi
aurat
ko
apney
shohar
ki
bad
dimaghi
aur
bey
perwahi
ka
khof
ho
to
dono
aapas
mein
jo
sulah
ker
len
uss
mein
kissi
per
koi
gunah
nahi.
Sulah
boht
behtar
cheez
hai
tama
her
her
cheez
mein
shamil
ker
di
gaee
hai.
Agar
tum
acha
sulook
kero
aur
perhezgari
kero
to
tum
jo
ker
rahey
ho
uss
per
Allah
Taalaa
poori
tarah
khabardaar
hai. |
| |
| 04.129
Tum
say
yeh
to
kabhi
na
ho
sakay
ga
kay
apni
tamam
biwiyon
mein
her
tarah
adal
kero
go
tum
iss
ki
kitni
hi
khuwaish-o-kosish
ker
lo
iss
liye
bilkul
hi
aik
ki
taraf
maeel
ho
ker
doosri
ko
udhar
latakti
hui
na
choro
aur
agar
tum
islaah
kero
aur
taqwa
ikhtiyar
kero
to
be-shak
Allah
Taalaa
bari
maghfirat
aur
rehmat
wala
hai. |
| |
| 04.130
Aur
agar
miyan
biwi
huda
hojayen
to
Allah
Taalaa
apni
wusat
say
her
aik
ko
bey
niaz
ker
dey
ga
Allah
Taalaa
wusat
wala
hikmat
wala
hai. |
|
|
|
|
|
| |
|
|
| |
| 04.131
Zamain-o-aasamanon
ki her her cheez Allah
Taalaa hi ki milkiyat
mein hai aur waqaee
hum ney unn logon
ko jo tum say pehlay
kitab diye gaye thay
aur tum ko bhi yehi
hukum kiya hai kay
Allah say dartay raho
aur agar tum kufur
kero to yaad rakho
kay Allah kay liye
hai jo kuch aasmanon
mein hai aur jo kuch
zamin mein hai aur
Allah boht bey niaz
aur tareef kiya gaya
hai. |
| |
| 04.132
Allah kay
ikthiyar mein hain
aasmanon ki sab cheezen
aur zamin ki bhi aur
Allah kaar saaz kafi
hai. |
| |
| 04.133
Agar ussay
manzoor ho to aey
logo! Woh tum sab
ko ley jaye aur doosron
ko ley aaye Allah
Taalaa iss per poori
qudrat rakhney wala
hai. |
| |
| 04.134
Jo shaks
duniya ka sawab chahta
ho to (yaad rakho
kay) Allah Taalaa
kay pass to duniya
aur aakhirat (dono)
ka sawab mojood hai
aur Allah Taalaa boht
sunney wala aur khoob
dekhney wala hai. |
| |
| 04.135
Aey eman
walo! Adal-o-insaf
per mazbooti say jamm
janey walay aur khushnoodi-e-maula
kay liye sachi gawahi
denay walay bann jao
go woh khud tumharay
apney khilaf ho ya
apney maa baap kay
ya rishtay daar azizon
kay woh shaks agar
amir ho to aur faqir
ho to dono kay sath
Allah ko ziyada talluq
hai iss liye tum khuwaish-e-nafss
kay peechay parr ker
insaf na chor dena
aur gar tum ney kajj
biyani ya pehloo tahi
ki to jaan lo kay
jo kuch tum kero gay
Allah Taalaa poori
tarah uss say ba khabar
hai. |
| |
| 04.136
Aey eman
walo! Allah Taalaa
per uss kay rasool
(PBUH) per aur uss
kitab per jo uss ney
apney rasool (PBUH)
per utari hai aur
unn kitabon per jo
iss say pehlay uss
ney nazil farmaee
hain eman lao! Jo
shaks Allah Taalaa
say aur uss kay farishton
say aur uss ki kitabon
say aur uss kay rasoolon
say aur qayamat kay
din say kufur keray
woh to boht baray
door ki gumrahi mein
jaa para. |
| |
| 04.137
Jin logon
ney eman qabool ker
kay phir kufur kiya
phir eman laa ker
phir kufur kiya phir
apney kufur mein barh
gaye Allah Taalaa
yaqeenan unhen na
bakshay ga aur na
unhen raah-e-hidayat
sujhaye ga. |
| |
| 04.138
Munafiqon
ko iss amar ki khabar
phonca do kay unn
kay liye dard naak
azab yaqeeni hai. |
| |
| 04.139
Jin ki yeh
halat hai kay musalmanon
ko chor ker kafiron
ko dost banatay phirtay
hain kiya unn kay
pass izzat ki talash
mein jatay hain? (to
yaad rakhen kay) izzat
to sari ki sari Allah
Taalaa kay qabzay
mein hai. |
| |
| 04.140
Aur Allah
Taalaa tumharay pass
apni kitab mein yeh
hukum utaar chuka
hai kay tum jab kissi
majlis walon ko Allah
Taalaa ki aayaton
kay sath kufur kertay
aur mazaq uratay huye
suno to uss majmay
mein unn kay sath
na betho! Jab tak
kay woh iss kay ilawa
aur baaten na kerney
lagen (werna) tum
bhi uss waqt unhi
jaisay ho yaqeenan
Allah Taalaa tamam
kafiron aur sab munafiqon
ko jahannum mein jama
kerney wala hai. |
|
| |
|
|
| |
| 04.141
Yeh
log
tumharay
anjam
kaar
ka
intizar
kertay
rehtay
hain
phir
agar
tumhen
Allah
fatah
dey
to
yeh
kehtay
hain
kay
kiya
hum
tumharay
sathi
nahi
aur
kafiron
ko
thora
sa
ghlba
mill
jaye
to
(unn
say)
kehtay
hain
kay
hum
tum
per
ghalib
na
aaney
lagay
thay
aur
kiya
hum
ney
tumhen
musalmanon
kay
haathon
say
na
bachaya
tha?
Pus
qayamat
mein
khud
Allah
Taalaa
tumharay
darmiyan
faisla
keray
ga
aur
Allah
Taalaa
kafiron
ko
eman
walon
per
hergiz
raah
na
dey
ga. |
| |
| 04.142
Be-shak
munafiq
Allah
say
chaal
baziyan
ker
rahey
hain
aur
woh
enhen
iss
chaal
bazi
ka
badla
denay
wala
hai
aur
jab
namaz
ko
kharay
hotay
hain
to
bari
kaahili
ki
halat
mein
kharay
hotay
hain
sirf
logon
ko
dikhatay
hain
aur
yaad-e-elahee
to
yun
hi
si
baraye
naam
kertay
hain. |
| |
| 04.143
Woh
darmiyan
mein
hi
moalliq
dagmaga
rahey
hain
na
pooray
unn
ki
taraf
aur
na
sahih
tor
per
unn
ki
taraf
aur
jisay
Allah
Taalaa
gumrahi
mein
daal
dey
to
tu
uss
kay
liye
koi
raah
na
paye
ga. |
| |
| 04.144
Aey
eman
walo!
Mominon
ko
chor
ker
kafiron
ko
dost
na
banao
kiya
tum
yeh
chahtay
ho
kay
apney
upper
Allah
Taalaa
ki
saaf
hujjat
qaeem
kerlo. |
| |
| 04.145
Munafiq
to
yaqeenan
jahannum
kay
sab
say
neechay
kay
tabqay
mein
jayen
gay
na
mumkin
hai
kay
tu
inn
ka
koi
madadgar
paa
ley. |
| |
| 04.146
Haan
jo
tauba
ker
len
aur
islaah
ker
len
aur
Allah
Taalaa
per
kaamil
yaqeen
rakhen
aur
khalid
Allah
hi
kay
liye
deen
daari
keren
to
yeh
log
mominon
kay
sath
hain
Allah
Taalaa
mominon
ko
boht
bara
ajar
dey
ga. |
| |
| 04.147
Allah
Taalaa
tumhen
saza
dey
ker
kiya
keray
ga?
Agar
tum
shukar
guzari
kertay
raho
aur
ba
eman
raho
Allah
Taalaa
boht
qadar
kerney
wala
aur
poora
ilm
rakhney
wala
hai. |
| |
|
|
|
|
| |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |