| Parah-Wa-Iza-Samay-oo
07 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Maeeda
05 |
| (Sura-Maeeda
Madina mai Nazil hui, is mai aikso-bees (120) Aayatain
hain) |
| |
05.83
Aur jab woh rasool ki taraf nazil
kerda (kalaam) ko suntay hain to aap unn ki
aankhen aansoo say behti hui dekhtay hain
iss sabab say kay enhon ney haq pehchan liya
woh kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman
ley aaye pus tu hum ko bhi unn logon kay sath
likh ley jo tasdeeq kertay hain.
05.84
Aur humaray pass konsa uzur hai kay hum Allah
Taalaa per aur jo haq hum ko phoncha hai uss
per eman na layen aur hum iss baat ki umeed
rakhtay hain kay humara rab hum ko nek logon
ki rafaqat mein dakhil ker dey ga.
05.85
Iss liye inn ko Allah Taalaa inn kay iss qol
ki waja say aisay baagh dey ga jin kay neechay
nehren jari hongi yeh inn mein hamesha hamesha
rahen gay aur nek logon ka yehi badla hai.
05.86
Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaat
ko jhutlatay rahey woh log dozakh walay hain.
05.87
Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo pakeezah
cheezen tumharay wastay halal ki hain unn
ko haram mat kero aur hadd say aagay mat niklo
be-shak Allah Taalaa hadd say nikalney walon
ko pasan nahi kerta. 05.88
Aur Allah Taalaa ney jo cheezen tum ko di
hain unn mein say halal marghoob cheezen khao
aur Allah Taalaa say daro jiss per tum eman
rakhtay ho. 05.89
Allah Taalaa tumhari qasmon mein laghv qasam
per tum say moaakhiza nahi farmata lekin moaakhiza
uss per farmata hai kay tum jin qasmon ko
mazboot ker do. Iss ka kaffaara das mohtajon
kko khana dena hai osat darjay ka jo apney
ghar walon ko khilatay ho ya unn ko kapra
dena ya aik ghulam ya londi aazad kerna hai
aur jiss ko maqdoor na ho to teen din kay
rozay hain yeh tumhari qasmon ka kaffaara
hai jabkay tum qasam kha lo aur apni qasmon
ka khayal rakho1 issi tarah Allah Taalaa tumharay
wastay apney ehkaam biyan farmata hai takay
tum shukar kero. 05.90
Aey eman walo! Baat yehi hai kay
sharab aur juaa aur thaan aur faal nikalney
ka paansay kay teer yeh sab gandi baaten shetani
kaam hain inn say bilkul alag raho takay tum
falah yaab ho.
05.91
Shetan to yun chahata hai kay sharab aur juaey
kay zariye say tumharay aapas mein adawat
aur bughz waqey kera dey aur Allah Taalaa
ki yaad say aur namaz say tum ko baaz rakhay
so abb bhi baaz aajao. 05.92
Aur tum Allah Taalaa ki ita’at kertay
raho aur rasool ki ita’at kertay raho
aur ehtiyaat rakho. Agar aeyraaz kero gay
to yeh jaan rakho kay humaray rasool kay zimmay
sirf saaf saaf phoncha dena hai.
05.93
Aisay logon per jo kay eman rakhtay hon aur
nek kaam kertay hon iss cheez mein koi gunah
nahi jiss ko woh khatay peetay hon jabkay
woh log taqwa rakhtay hon aur eman rakhtay
hon aur nek kaam kertay hon phir perhezgari
kertay hon aur khoob nek amal kertay hon Allah
aisay neko kaaron say mohabbat rakhta hai.
05.94
Aey eman walo! Allah Taalaa qadray shikar
say tumhara imtehan keray ga jin tak tumharay
haath aur tumharay naizay phonch saken gay
takay Allah Taalaa maloom ker ley kay kaun
shaks iss say binn dekhay darta hai so jo
shaks iss kay baad hadd say niklay ga uss
kay wastay dard naak saza hai.
05.95
Aey eman walo! (wehshi) shikar ko qatal mat
kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur
jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker
qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga
jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko
iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum
mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh
fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay
tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa
kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa
iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay
apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah
Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo
shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah
Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast
hai intiqam lenay wala. 05.96
Tumharay liye dariya ka shikar pakrna aur
iss ka khana halal kiya gaya hai. Tumharay
faeeday kay wastay aur musafiron kay wastay
aur khushki ka shikar pakarna tumharay liye
haram kiya gaya hai jab tak tum halat-e-ehraam
mein raho aur Allah Taalaa say daro jiss kay
pass jama kiye jao gay. 05.97
Allah ney kaaba ko jo kay adab ka makan hai
logon kay qaeem rehney ka sabab qarar dey
diya aur izzat walay maheeney ko bhi aur haram
mein qurbani honey walay janwar ko bhi aur
unn janwaron ko bhi jin kay galay mein pattay
hon yeh iss liye takay tum iss baat ka yaqeen
ker lo kay be-shak Allah tamam aasmanon aur
zamin kay andar ki cheezon ka ilm rakhta hai
aur be-shak Allah sab cheezon ko khoob janta
hai. 05.98
Tum yaqeen jano kay Allah Taalaa
saza bhi sakht denay wala hai aur Allah Taalaa
bari maghfirat aur bari rehmat wala bhi hai.
05.99
Rasool kay zimmay to sirf phonchana
hai. Aur Allah Taalaa sab janta hai jo kuch
tum zahir kertay ho aur jo kuch tum posheedah
rakhtay ho. 05.100
Aap farma dijiye kay na pak aur pak
barabar nahi go aap ko na pak ki kasrat bhali
lagti ho Allah Taalaa say dartay raho aey
aqal mando! Takay tum kaamyaab ho.
05.101
Aey eman walo!aisi baaten mat poocho kay kay
agar tum per zahir ker di jayen to tumhen
na gawar ho aur agar tum zamaanaay-e-nuzool-e-quran
mein inn baaton ko poocho gay to tum per zahir
ker di jayen gi sawalaat-e-guzishta Allah
ney moaf ker diye aur Allah bari maghfirat
wala bara hilm wala hai. 05.102
Aisi baaten tum say pehlay aur logon
ney bhi poochi thin phir inn baaton kay munkir
hogaye. 05.103
Allah Taalaa ney na bahiyyra ko mashroo
kiya hai aur na saaeeba ko na waseela ko aur
na haam ko lekin jo log kafir hain woh Allah
Taalaa per jhoot lagatay hain aur kasay kafir
aqal nahi rakhtay. 05.104
Aur jab inn say kaha jata hai kay
Allah Taalaa ney jo ehkaam nazil farmay hain
unn ki taraf aur rasool ki taraf rujoo kero
to kehtay hain hum ko wohi kafi hai jiss per
hum ney apney baron ko paya kiya agar cheh
inn kay baray na kuch samajh rakhtay hon aur
na hidayat rakhtay hon. 05.105
Aey eman walo! Apni fiker kero jab tum raah-e-raast
per chal rahey ho to jo shaks gumrah rahey
uss say tumahara koi nuksan nahi. Allah hi
kay pass tum sab ko jana hai phir woh tum
sab ko batla dey ga jo kuch tum sab kertay
thay. 05.106
Aey eman walo! Tumharay aapas mein do shaks
ka gawah hona munasib hai jabkay tum mein
say kissi ko maut aaney lagay aur waseeat
kerney ka waqt ho woh do shaks aisay hon kay
deen daar hon khuwa tum mein say hon ya ghair
logon mein say do shaks hon agar tum kahin
safar mein gaye ho aur tumhen maut aajaye
agar tum ko shuba hoto inn dono ko baad namaz
rok lo phir dono Allah ki qasmen khayen kay
hum iss qasam kay ewaz koi nafa nahi lena
chahatayagar cheh koi qarabat daar bhi ho
aur Allah Taalaa ki baat ko hum posheedah
keren gay hum iss halat mein sakht gunehgar
hongay. 05.107
Phir gar iss ki itlaa ho kay woh dono gawah
kissi gunah kay murtakib huye hain to inn
logon mein say jin kay muqablay mein gunah
ka irtakaab hua tha woh do shaks jo sab mein
qareeb tar hain jahan woh dono kharay huye
thay yeh dono kharay hon phir dono Allah ki
qasam khayen kay bil yaqeen humari yeh qasam
inn dono ki uss qasam say ziyada raast hai
aur hum ney zara tajawuz nahi kiya hum iss
halat mein sakht zalim hongay.
05.108
Yeh qareeb zariya hai iss amar ka kay woh
log waqiya ko theek tor per zahir keren ya
iss baat say darr jayen kay inn say qasmen
lenay kay baad qasmen ulti parr jayen gi aur
Allah Taalaa say daro aur suno! Aur Allah
Taalaa faasiq logon ko hidayat nahi kerta.
05.109
Jiss roz Allah Taalaa tamam payghumbaron ko
jama keray ga phir irshad farmaye ga tum ko
kiya jawab mila tha woh arz keren gay kay
hum ko kuch khabar nahi tu hi be-shak posheedah
baaton ko poora jannay wala hai.
05.110
Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay
aey essa bin marium mera inam yaad kero jo
tum per aur tumhari walida per hua hai jab
mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di.
Tum logon say kalaam kertay thay godd mein
bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein
ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur
toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay
tum meray hukum say gaaray say aik shakal
banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti
hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay
thay jiss say woh parind bann jata tha meray
hukum say aur tum acha ker detay thay maadar
zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say
aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker
letay thay meray hukum say aur jab kay mein
ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab
tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay
phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha
tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch
bhi nahi.
05.111
Aur jabkay mein ney hawareen ko hukum diya
kay tum mujh per aur meray rasool per eman
laao unhon ney kaha hum eman laye aur aap
shahid rahiye kay hum pooray farman bardaar
hain. 05.112
Woh waqt yaad kay qabil hai jab kay hawariyon
ney arz kiya kay essa bin marium! Kiya aap
ka rab aisa ker sakta hai kay hum per aasman
say aik khuwaan nazil farma dey? Aap ney farmaya
Allah say daro agar tum eman laye ho.
05.113
Woh bolay kay hum yeh chahatay hain kay uss
mein say khayen aur humaray dilon ko poora
itminaan hojaye aur humaray yeh yaqeen aur
barh jaye kay aap ney hum say sach bola hai
aur hum gawahi denay walon mein say hojayen.
05.114
Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah
aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say
khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani
hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain
sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur
teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum
ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney
walon say acha hai. 05.115
Haq Taalaa ney irshad farmaya kay mein woh
khana tum logon per nazil kerney wala hun
phir jo shaks tum mein say iss kay baad na
haq shanasi keray ga to mein uss ko aisi saza
doon ga kay woh saza duniya jahaan walon mein
say kissi ko na doon ga. 05.116
Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay
Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium
kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay
mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay
mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay
mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko
kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat
kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi
agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka
ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat
bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo
kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon
ka jannay wala tu hi hai. 05.117
Mein ney to inn say aur kuch nahi kaha magar
sirf wohi jo tu ney mujh say kehney ko farmaya
tha kay tum Allah ki bandagi ikhtiyar kero
jo mera bhi rab hai aur tumhara bhi rab hai.
Mein inn per gawah raah jab tak inn mein raah.
Phir jab tu ney mujh ko utha liya to tu hi
inn per mutlaa raha. Aur tu her cheez ki poori
khabar rakhta hai. 05.118
Agar tu inn ko saza dey to yeh teray banday
hain aur agar tu inn ko moaf farma dey to
tu zabardast hai hikmat wala hai.
05.119
Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai
kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn
kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin
kay neechay nehren jari hongi jin mein woh
hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa
inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi
aur khush hain yeh bari (bhaari) kamyaabi
hai. 05.120
Allah hi ki hai saltanat aasmanon ki aur zamin
ki aur unn cheezon ki jo inn mein mojood hain
aur woh her sheh per poori qudrat rakhta hai.
|
|
|
| |
|
| Surat-Aanam
06 |
| (Sura-Aanam
Makka mai Nazil hui, is mai aikso-pansath (165) Aayatain
hain) |
| |
06.01
Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon
aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya
phir bhi kafir log (ghair Allah ko) apney rab kay barabar
qarar detay hain. 06.02
Woh aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik
waqt moyyen kiya aur (doosra) moyyen waqt khaas Allah
hi kay nazdeek hai phir bhi tum shak rakhtay.
06.03
Aur wohi hai mabood-e-bar haq aasmanon mein bhi aur zamin
mein bhi woh tumharay posheeda ehwaal ko bhi aur tumharay
zahir ehwaal ko bhi janta hai aur tum jo kuch amal kertay
ho uss ko bhi janta hai. 06.04
Aur inn kay pass koi nishani bhi unn kay rab ki nishaniyon
mein say nahi aati magar woh iss say aeyraaz hi kertay
hain. 06.05
Enhon ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn
kay pass phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi
uss cheez ki jiss kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay.
06.06
Kiya enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni
jamaton ko halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya
mein aisi qooat di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur
hum ney unn per khoob barishen barsaeen aur hum ney unn
kay neechay say nehren jari kin. Phir hum ney unn ko unn
kay gunahon kay sabab halak ker daala aur unn kay baad
doosri jamaton ko peda ker diya. 06.07
Aur agar hum kaghaz per likha hua koi navishta aap per
nazil farmatay phir uss ko yeh log apney haathon say chu
bhi letay tab bhi yeh kafir log yeh kehtay kay yeh kuch
bhi nahi magar sareeh jadoo hai. 06.08
Aur yeh log yun kehtay hain kay inn kay pass koi farishta
kiyon nahi utara gaya aur agar hum koi farishat bhej detay
to sara qissa hi khatam ho jata. Phir inn ko zara mohlat
na di jati. 06.09
Aur agar hum iss ko farishta tajveez kertay to hum uss
ko aadmi hi banatay aur huamray iss fail say phir inn
per wohi ashkaal hota jo abb ashkaal ker rahey hain.
06.10
Aur waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn
kay sath bhi istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney
unn say mazaq kiya tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss
kay tamaskhur uratay thay.
06.11
Aap farma dijiye kay zara zamin mein chalo phiro phir
dekh lo kay takzeeb kerney walon ka kiya anjam hua.
06.12
Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein
mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye
kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana
apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat
kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon
ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi
layen gay. 06.13
Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur
din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay
wala hai. 06.14
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur
zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta
hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood
qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua
hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu
mushrikeen mein say hergiz na hona. 06.15
Aap keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna
na manon to mein aik baray din kay azab say darta hun.
06.16
Jiss shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss
per Allah ney bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi
hai. 06.17
Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to
uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi
nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye
to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai.
06.18
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar
hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney
wala hai. 06.19
Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye
kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah
gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja
gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur
jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum
sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath
kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee
nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood
hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.
06.20
Jin logon ko hum ney kitab di hai woh log rasoolon ko
pehchantay hain jiss tarah apney beton ko pehchantay hain.
Jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh
eman nahi layen gay.
06.21
Aur uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa
per jhoot bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye
aisay bey insafon ko kaamyabi na hogi. 06.22
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jiss
roz hum unn tamam khaleeq ko jama keren gay phir hum mushrikeen
say kahen gay kay tumharay woh shurka jin kay mabood honey
ka tum dawa kertay thay kahan gaye? 06.23
Phir unn kay shirk ka anjam iss kay siwa aur kuch bhi
na hoga kay woh yun kahen gay kay qasam Allah ki apney
perwerdigar ki hum mushrik na thay. 06.24
Zara dekho to enhon ney kiss tarah jhoot bola apni janon
per aur jin cheezon ko woh jhoot moot tarasha kertay thay
woh sab ghaeeb hogaye. 06.25
Aur inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf
kaan lagatay hain aur hum ney inn kay dilon per parda
daal rakha hai iss say kay woh iss ko samjhen aur inn
kay kanon mein daat dey rakhi hai aur agar woh log tamam
dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi eman na layen
yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain to aap
say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain
yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad
baaten hain jo pehlon say chali aarahi hain.
06.26 Aur
yeh log iss say doosron ko bhi roktay hain aur khud bhi
iss say door door rehtay hain aur yeh log apney hi ko
tabah ker rahey hain aur kuch khabar nahi raktay.
06.27
Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh dozakh kay pass kharay
kiye jayen to kahen gay haaye kiya achi baat ho kay hum
phir wapis bhej diye jayen aur agar aisa hojaye to hum
apney rab ki aayaat ko jhoota na batlayen aur hum eman
walon mein say hojayen. 06.28
Bulkay jiss cheez ko iss say qabal chupaya kertay
thay woh inn kay samney aagaee hai aur gar yeh log phir
wapis bhej diye jayen tab bhi yeh wohi kaam keren gay
jiss say inn ko mana kiya gaya tha aur yaqeenan yeh bilkul
jhootay hain. 06.29
Aur yeh kehtay hain kay sirf yeh dunyawi zindagi humari
zindagi hai aur hum zinda na kiye jayen gay.
06.30
Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh apeny rab kay samey
kharay kiye jayen gay. Allah farmaye ga kay kiya yeh amar
waqaee nahi hai? Woh kahen gay be-shak qasam apney rab
ki. Allah Taalaa farmaye ga to abb apney kufur kay ewaz
azab chakho.
06.31
Be-shak khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah say
milney ki takzeeb ki yahan tak kay jab woh moyyen waqt
unn per dafatan aa phonchay ga kahen gay kay haaye afsos
humari kotahi per jo iss kay baray mein hui aur halat
inn ki yeh hogi kay woh apney baar apni peethon per laaday
hongay khoob sunn lo kay buri hogi woh cheez jiss ko woh
laaden gay. 06.32
Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab
kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai.
Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho. 06.33
Hum khoob jantay hain kay aap ko inn kay aqwaal maghmoom
kertay hain so yeh log aap ko jhoota nahi kehtay lekin
yeh zalim to Allah ki aayaton ka inkar kertay hain.
06.34
Aur boht say payghumbar jo aap say pehlay huye hain unn
ki bhi takzeeb ki jaa chuki hai so unhon ney iss per sabar
hi kiya unn ki takzeeb ki gaee unn ko ezza phonchaee gaeen
yahan tak kay humari imdad unn ko phonchi aur Allah ki
baaton ka koi badalney wala nahi aur aap kay pass baaz
payghumbaron ki baaz khabren phonch chuki hain.
06.35
Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta
hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang
ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley
aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab
ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein
say na ho jaiye. 06.36
Wohi log qabool kertay hain jo suntay hain. Murdon ko
Allah zinda ker kay uthaye ga phir sab Allah hi ki taraf
laye jayen gay. 06.37
Aur yeh log kehtay hain kay inn per koi moajza kiyon nahi
nazil kiya gaya inn kay rab ki taraf say aap farma dijiye
kay Allah Taalaa ko bey shak poori qudrat hai iss per
kay woh moajza nazil farma dey lekin inn mein aksar bey
khabar hain. 06.38
Aur jitney qisam kay jaandaar zamin per chalney walay
hain aur jitney qisam kay parind janwar hain kay apnay
dono baazoo’on per urtay hain inn mein koi qisam
aisi nahi kay jo kay tumhari tarah kay giroh na hon hum
ney daftar mein koi cheez nahi chori phir sab apney perwerdigar
kay pass jama kiye jayen gay. 06.39
Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to
tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain
Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko
chahaye seedhi raah laga dey. 06.40
Aap kahiye kay apney haal to batlao kay agar tum per Allah
ka koi azab aa paray ya tum per qayamat hi aa phonchay
to kiya Allah kay siwa kissi aur ko pukaro gay. Agar tum
sachay ho.
06.41
Bulkay khaas ussi ko pukaro gay phir jiss kay liye tum
pukaro gay agar woh chahaye to uss ko hata bhi dey aur
jin ko tum shareek thehratay ho unn sab ko bhool bhaal
jao gay. 06.42
Aur hum ney aur ummaton ki taraf bhi jo kay aap say pehlay
guzar chuki hain payghumbar bhejay thay so hum ney unn
ko tangdasti aur beemari say pakra takay woh izhar-e-ijz
ker saken. 06.43
So jab unn ko humari saza phonchi thi to unhon
ney aajzi kiyon nahi ikhtiyar ki? Lekin unn kay quloob
sakht hogaye aur shetan ney unn kay aemaal ko unn kay
khayal mein aaraasta ker diya. 06.44
Phir jab woh log unn cheezon ko bhoolay rahey jin ki unn
ko naseehat ki jati thi to hum ney unn per her cheez kay
darwazay kushada ker diye yahan tak kay jab unn cheezon
per jo kay unn ko mili thin woh khoob itra gaye hum ney
unn ko dafatan pakar liya phir to woh bilkul mayyus hogaye.
06.45
Phir zalim logon ki jarr kat gaee aur Allah Taalaa ka
shukar hai jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
06.46
Aap kahiye kay yeh batlao agar Allah Taalaa tumhari sama’at
aur basarat biluk ley ley aur tumhary dilon per mohar
ker dey to Allah Taalaa kay siwa aur koi mabood hai kay
yeh tum ko phir dey dey. Aap dekhiye to hum kiss tarah
dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say paish ker rahey
hain phir bhi yeh aeyraaz kertay hain. 06.47
Aap kahiye kay yeh batlao agar tum per Allah
Taalaa ka azab aa paray khuwa achanak ya aelaaniya to
kiya ba-juz zalim logon kay aur bhi koi halak kiya jaye
ga. 06.48
Aur hum payghumbaron ko sirf iss wastay bheja kertay hain
kay woh bisharat den aur darayen phir jo eman ley aaye
aur durusti ker ley so unn logon per koi andesha nahi
aur na woh maghmoom hongay. 06.49
Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab
phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay
hain. 06.50
Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay
meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta
hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta
hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss
ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin
barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay?
06.51
Aur aisay logon ko daraiye jo iss baat say andesha rakhtay
hain kay apney rab kay pass aisi halat mein jama kiye
jayen gay kay jitney ghair Allah hain na koi unn ka madadgar
hoga aur na koi shafi hoga iss umeed per kay woh darr
jayen. 06.52
Aur unn logon ko na nikaliye jo subha-o-shaam apney perwerdigar
ki ibadat kertay hain khaas ussi ki raza ka qasad rakhtay
hain. Unn ka hisab zara bhi aap kay mutalliq nahi aur
aap ka hisab zara bhi unn kay mutalliq nahi kay aap unn
ko nikal den. Werna aap zulm kerney walon mein say hojayen
gay. 06.53
Aur issi tarah say hum ney baaz ko baaz kay zariye say
aazmaeesh mein daal rakha hai takay yeh log kaha keren
kiya yeh log hain kay hum sab mein say inn per Allah Taalaa
ney fazal kiya hai. Kiya yeh baat nahi hai kay Allah Taalaa
shukar guzaron ko khoob janta hai. 06.54
Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per
eman rakhtay hain to (yun) keh dijiye kay tum per salamti
hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar
ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay
jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah
rakhay to Allah (ki shaan hai kay woh) bari maghfirat
kerney wala aur bari rehmat wala hai. 06.55
Issi tarah hum aayaat ki tafseel kertay rehtay hain aur
takay mujrimeen ka tareeqa zahir hojaye.
06.56
Aap keh dijiye kay mujh ko iss say moomaniyat ki gaee
hai kay unn ki ibadat keroon jin ko tum log Allah Taalaa
ko chor ker pukartay ho. Aap keh dijiye kay mein tumhari
khuwaishaat ki ittabaa na keroon kiyon kay iss halat mein
to mein bey raah hojaoon ga aur raah-e-raast per chalney
walon mei na rahoon ga. 06.57
Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai
meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho
jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass
nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah
Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha
faisla kerney wala wohi hai. 06.58
Aap keh dijiye kay agar meray pass woh cheez hoti jiss
ka tum taqaza ker rahey ho to mera aur tumhara bahumi
qissa-e-faisal ho chuka hota aur zalimon ko Allah Taalaa
khoob janta hai. 06.59
Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan (khazaney)
inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam
cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo
kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar
woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek
hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush
cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain.
06.60
Aur woh aisa hai kay raat mein tumhari rooh ko
(aik gona) qabz ker deta hai aur jo kuch tum din mein
kertay ho uss ko janta hai phir tum ko jaga uthata hai
takay miyaad-e-moyyen tamam ker di jaye phir ussi ki taraf
tum ko jana hai phir tum ko batlaye ga jo kuch tum kiya
kertay thay.
06.61
Aur wohi apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai
aur tum per nigehdaasht rakhney wala bhejta hai yahan
tak kay jab tum mein say kissi ko maut aa phonchti hai
uss ki rooh humaray bhejay huye farishtay qabz ker letay
hain aur woh zara kotahi nahi kertay. 06.62
Phir sab apney maalik-e-haqeeqi kay pass laye jayen gay.
Khoob sunn lo faisla Allah hi ka hoga aur woh boht jald
hisab ley ga. 06.63
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko khushki
aur darya ki zulmat say nijat deta hai. Tum uss ko pukartay
ho girr girra ker aur chupkay chupkay kay agar tu hum
ko inn say nijat dey dey to hum zaroor shukar kerney walon
mein say ho jayen gay. 06.64
Aap keh dijiye kay Allah hi tum ko inn say nijat
deta hai aur her ghum say tum phir bhi shirk kerney lagtay
ho. 06.65
Aap kahiye kay iss per bhi wohi qadir hai kay
tum per koi azab tumharay upper say bhej dey ya tumharay
paon talay say ya kay tum ko giroh giroh ker kay sab ko
bhira dey aur tumharay aik doosray ki laraee chakha dey.
Aap dekhiye to sahi hum kiss tarah dalaeel mukhtalif pehloo’on
say biyan kertay hain shayad woh samajh jayen.
06.66
Aur aap ki qom iss ki takzeeb kerti hai halankay woh yaqeeni
hai. Aap keh dijiye kay mein tum per taaeenaat nahi kiya
gaya hun. 06.67
Her khabar (kay waqoo) ka aik waqt hai aur jald hi tum
ko maloom hojaye ga. 06.68
Aur jab aap unn logon ko dekhen jo humari aayaat mein
aib joee ker rahey hain to inn logon say kinara kash hojayen
yahan tak kay woh kissi aur baat mein lagg jayen aur agar
aap ko shetan bhula dey to yaad aaney kay baad phir aisay
zalim logon kay sath mat bethen. 06.69
Aur jo log perhezgar hain unn per inn ki baaz
purs ka koi asar na phonchay ga aur lekin inn kay zimmay
naseehat ker dena hai shayad woh bhi taqwa ikhtiyar keren.
06.70
Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney
apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi
zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran
kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks
apney kirdaar kay sabab (iss tarah) na phans jaye kay
koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur
yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey
daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay
apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat
tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza
hogi apney kufur kay sabab.
06.71
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi
cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur
na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen
iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di
hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin
jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta
ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay
ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye
kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah
hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam
kay pooray mootee hojayen. 06.72
Aur yeh kay namaz ki pabandi kero aur iss say daro aur
wohi hai jiss kay pass tum jama kiye jao gay.
06.73
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda
kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho
ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai.
Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein
phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon
ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala
poori khabar rakhney wala. 06.74
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jab ibrahim
(alh-e-salam) ney apney baap aazar say farmaya kay kiya
tu button ko mabood qarar deta hai? Be-shak mein tujh
ko aur teri sari qom ko sareeh gumrahi mein dekhta hun.
06.75
Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim (alh-e-salam)
ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay
kaamil yaqeen kerney walon say hojayen.
06.76
Phir jab raat ki tareeki unn per cha gaee to unhon ney
aik sitara dekha aap ney farmaya kay yeh mera rab hai
magar jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay mein
ghuroob ho janey walon say mohabbat nahi rakhta.
06.77
Phir jab chand ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh
mera rab hai lekin jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya
kay agar mujh ko meray rab ney hidayat na ki to mein gumrah
logon mein shamil ho jaon ga. 06.78
Phir jab aftab ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh
mera rab hai yeh to sab say bara hai phir jab woh bhi
ghuroob hogaya to aap ney farmaya be-shak mein tumharay
shirk say bey zaar hun. 06.79
Mein apna rukh uss ki taraf kerta hun jiss ney aasman-o-zamin
ko peda kiya yaksoo hoker aur mein shirk kerney walon
mein say nahi hun. 06.80
Aur unn say unn ki qom ney hujjat kerna shuroo kiya aap
ney farmaya kiya tum Allah kay moamlay mein mujh say hujjat
kertay ho halankay uss ney mujhay tareeqa batla diya hai
aur mein unn cheezon say jin ko tum Allah kay sath shareek
banatay ho nahi darta haan agar mera perwerdigar hi koi
amar chahaye mera perwerdigar her cheez ko apney ilm mein
gheray huye hai kiya tum phir bhi khayal nahi kertay.
06.81
Aur mein inn cheezon say kaisay darron jin ko tum ney
shareek banaya hai halankay tum iss baat say nahi dartay
kay tum ney Allah kay sath aisi cheezon ko shareek thehraya
hai jin per Allah Taalaa ney koi daleel nazil nahi farmaee
so inn do jamaton mein say aman ka ziyada mustahiq kaun
hai agar tum khabar rakhtay ho. 06.82
Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath
makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi
raah-e-raast per chal rahey hain. 06.83
Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim
(alh-e-salam) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum
jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain.
Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai.
06.84
Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum
ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko
hodayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman
ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko
aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya
kertay hain. 06.85
Aur (naiz) zakriya ko aur yahya ko aur essa ko aur ilyas
ko sab nek logon mein say thay. 06.86
Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko
aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat
di. 06.87
Aur naiz inn kay kuch baap dadon ko aur kuch aulad ko
aur kuch bhaiyon ko aur hum ney unn ko maqbool banaya
aur hum ney unn ko raah-e-raast ki hidayat ki.
06.88
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein
say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar
farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal
kertay thay woh sab ikaarat ho jatay. 06.89
Yeh log aisay thay kay hum ney unn ko kitab aur
hikmat aur naboowat ata ki thi so agar yeh log naboowat
ka inkar keren to hum ney iss kay liye aisay boht say
log muqarrar ker diye hain jo iss kay munkir nahi hain.
06.90
Yehi log aisay thay jin ko Allah Taalaa ney hidayat ki
thi so aap bhi inn hi kay tareeq per chaliye aap keh dijiye
kay mein tum say iss per koi maawza nahi chahata yeh to
sirf tamam jahaan walon kay wastay aik naseehat hai.
06.91
Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi
wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss
bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay
woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay
jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay
liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq
mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si
baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee
gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray.
Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn
ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye.
06.92
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya
hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki
tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko
aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka
yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain
aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.
06.93
Aur uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa
per jhoot tohmar lagaye ya yun kahey kay mujh per wahee
aati hai halankay uss kay pass kissi baat ki bhi wahee
nahi aaee aur jo shaks yun kahey kay jaisa kalaam Allah
ney nazil kiya hai ussi tarah ka mein bhi laata hun aur
agar aap uss waqt dekhen jabkay yeh zalim log maut ko
sakhtiyon mein hongay aur farishtay apney haath barha
rahey hongay kay haan apni jaanen nikal lo. Aaj tum ko
zillat ki saza di jaye gi iss sabab say kay tum Allah
Taalaa kay zimmay jhooti baaten lagatay thay aur tum Allah
Taalaa ki aayaat say takabbur kertay thay.
06.94 Aur
tum humaray pass tanha tanha aagaye jiss tarah hum ney
awwal baar tum ko peda kiya tha aur jo kuch hum ney tum
ko diya tha uss ko apney peechay hi chor aaye aur hum
to tumharay humrah tumharay inn shafaat kerney walon ko
nahi dekhtay jin ki nisbat tum dawa rakhtay thay kay woh
tumharay moamlay mein shareek hain. Waqaee tumharay aapas
mein to qata talluq hogaya aur woh tumhara sab tum say
gaya guzra hua. 06.95
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney
wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai
aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah
Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.
06.96
Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat
ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say
rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir
hai baray ilm wala hai. 06.97
Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay
tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur
darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney
dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon
kay liye jo khabar rakhtay hain. 06.98
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko aik shaks say peda kiya
phir aik jagah ziyada rehney ki hai aur aik jagah chanday
rehney ki be-shak hum ney dalaeel khoob khoob khol khol
ker biyan ker diye unn logon kay liye jo samajh boojh
rakhtay hain. 06.99
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir
hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala
phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum
upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor
kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay
hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay
baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay
jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay
nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai
aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn
logon kay liye jo eman rakhtay hain. 06.100
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar
dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda
kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur
betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar
hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
06.101
Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad
kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi
aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her
cheez ko khoob janta hai. 06.102
Yeh hai Allah Taalaa tumhara rab! Uss kay siwa koi ibadat
kay laeeq nahi her cheez ka peda kerney wala hai to tum
uss ki ibadat kero aur woh her cheez ka kaar saaz hai.
06.103
Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh
sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek
been ba khabar hai. 06.104
Abb bila shuba tumharay pass tumharay rab ki janib say
haq beeni kay zaraye phonch chukay hain so jo shaks dekh
ley ga woh apna faeeda keray ga aur jo shaks andha rahey
ga woh apna nuksan keray ga aur mein tumhara nigaraan
nahi hun. 06.105
Aur hum iss tor per dalaeel ko mukhtalif pehloo’on
say biyan kertay hain takay yeh yun kahen kay aap ney
kissi say parh liya hai aur takay hum iss ko danish mandon
kay liye khoob zahir ker den. 06.106
Aap khud iss tareeq per chaltay rahiye jiss ki wahee aap
kay rab ki taraf say aap kay pass aaee hai Allah Taalaa
kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi aur mushrikeen ki taraf
khayal na kijiye. 06.107
Aur agar Allah Taalaa ko manzoor hota to yeh shirk na
kertay aur hum ney aap ko inn ka nigraan nahi banaya.
Aur na aap inn per mukhtaar hain! 06.108
Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko
chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal
hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi
keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn
ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay
pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch
bhi woh kiya kertay thay. 06.109
Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah
Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani
aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap
keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain
aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss
waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay.
06.110
Aur hum bhi inn kay dilon ko aur inn ki nigahon ko pher
den gay jaisa kay yeh log iss per pehli dafa eman na laye
aur hum inn ko inn ki sirkashi mein heyraan rehney den
gay. |
| |
|