| Parah-Qaalal-Malao
09 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Aeyraaf
07 |
| (Sura-Aeyraaf Makka mai
Nazil hui, is mai doso-chay (206) Aayatain hain) |
| |
07.88
Unn ki qom kay mutakabbir sardaron ney kaha
aey shoaib! Hum aap ko aur jo aap kay humrah eman laye
hain unn ko apni basti say nikal den gay illa yeh kay
tum humaray mazhab mein phir aajao. Shoaib (alh-e-salam)
ney jawab diya kay kiya hum tumharay mazhab mein aajayen
go hum iss ko makrooh hi samajhtay hon. 07.89
Hum Allah Taalaa per bari jhooti tohmat laganey
walay hojayen gay agar hum tumharay deen mein aajayen
iss kay baad kay Allah Taalaa ney hum ko iss say nijat
di aur hum say mumkin nahi kay tumharay mazhab mein phir
aajayen lekin haan yeh kay Allah hi ney humara maalik
hai muqaddar kiya ho. Humaray rab kay ilm her cheez per
moheet hai hum Allah hi per bharosa rakhtay hain. Aey
humaray perwerdigar! Humaray aur humari qom kay darmiyan
haq kay moafiq faisla ker dey aur tu sab say acha faisla
kerney wala hai. 07.90
Aur unn ki qom kay kafir sardaron ney kaha agar
tum shoaib (alh-e-salam) ki raah per chalo gay to be-shak
bara nuksan uthao gay. 07.91
Pus unn ko zalzalay ney aa pakra so woh apney
gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye.
07.92 Jinhon
ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi unn ki yeh
halat hogaee jaisay inn gharon mein kabhi basay hi na
thay. Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi
wohi kahasaray mein parr gaye. 07.93
Uss waqt shoaib (alh-e-salam) unn say mun mor
ker chalay aur farmaney lagay kay aey meri qom! Mein ney
tum ko apney perwerdigar kay ehkaam phoncha diye thay
aur mein ney tumhari khair khuwahi ki. Phir mein inn kafir
logon per kiyon ranj keroon. 07.94
Aur hum ney kissi basti mein koi nabi nahi bheja
kay wahan kay rehney walon ko hum ney sakhti aur takleef
mein na pakra hota kay woh girr girayen.
07.95 Phir
hum ney uss bad haali ki jagah khushaali badal di yahan
tak kay unn ko khoob taraqqi hui aur kehney lagay kay
humaray aaba-o-ajdaad ko bhi tangi aur rahat paish aaee
thi to hum ne unn ko dafatan pkara liya aur unn ko khabar
bhi na thi. 07.96
Aur agar unn bastiyon kay rehney walay eman ley
aatay aur perhezgari ikhtiyar kertay to hum unn per aasman
aur zamin ki barkaten khol detay lekin unhon ney takzeeb
ki to hum ney unn kay aemaal ki waja say unn ko pakar
liya. 07.97
Kiya phir bhi inn bastiyon kay rehney walay iss
baat say bey fikar ho gaye hain kay unn per humara azab
shab kay waqt aa paray jiss waqt woh sotay hon.
07.98
Aur kiya inn bastiyon kay rehney walay iss baat
say bey fikar hogaye hain kay inn per humara azab din
charhay aa paray jiss waqt kay woh apney khelon mein masghool
hon. 07.99
Kiya pus woh Allah ki iss pakar say bey fikar
hogaye. So Allah ki pakar say ba-juz unn kay jin ki shamat
hi aagaee ho aur koi bey fikar nahi hota.
07.100
Aur kiya unn logon ko jo zamin kay waris huye
wahan kay logon ki halakat kay baad (inn waqiyaat-e-mazkoor
ney) yeh baat nahi batlaee kay agar hum chahayen to inn
kay jurm kay sabab inn ko halak ker dalen aur hum inn
kay dilon per band laga denpus woh na sunn saken.
07.101
Inn bastiyon kay kuch kuch qissay hum aap say
biyan ker rahey hain aur inn sab kay pass unn kay payghumbar
mojzaat ley ker aaye phir jiss cheez ko enhon ney ibtidaa
mein jhoota keh diya yeh baat nahi hui kay phir iss ko
maan letay Allah Taalaa issi tarah kafiron kay dilon per
band laga deta hai. 07.102
Aur aksar logon mein hum ney wafay-e-ehad na
rakha aur hum ney aksar logon ko bey hukum hi paya.
07.103
Phir inn kay baad hum ney musa (alh-e-salam)
ko apney dalaeel dey ker firaon aur uss kay umraa kay
pass bheja magar unn logon ney inn kay bilkul haq ada
na kiya. So dekhiye unn mufisdon ka kiya anjam hua?
07.104
Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya kay aey firaon!
Mein rabbul aalameen ki taraf say payghumbr hun.
07.105
Meray liye yehi shayaan hai kay ba-juz sach kay
Allah ki taraf koi baat mansoob na keroonmein tumharay
pass tumhara rab ki taraf say aik bari daleel bhi laya
hun so tu bani israeel ko meray sath bhej dey.
07.106
Firaon ney kaha agar aap koi moajza ley ker aaye
hain to iss ko abb paish kijiye! Agar aap sachay hain.
07.107
Pus aap ney apna asa daal diya so dafatan woh
saaf aik azdaha bann gaya. 07.108
Aur apna haath bhair nikala so woh yakayak sab
dekhney walon kay roo baroo boht hi chamkta hua hogaya.
07.109
Qom-e-firaon mein jo sardar log thay unhon ney
kaha kay waqaee yeh shaks bara maahir jadoogar hai.
07.110
Yeh chahata hai kay tum ko tumhari sir zamin
say bahir ker dey so tum log kiya mashwara detay ho.
07.111
Unhon ney kaha aap inn ko aur inn kay bhai ko
mohlat dijiye aur shehron mein harkaaron ko bhej dijiye.
07.112
Kay woh sab maahir jadoogaron ko aap kay pass
laa ker hazir ker den. 07.113
Aur woh jadoogar firaon kay pass hazir huye kehney
lagay kay agar hum ghalib aaye to hum ko koi bara sila
milay ga? 07.114
Firaon ney kaha kay haan aur tum muqarrab logon
mein shamil hojao gay. 07.115
Unn saahiron ney araz kiya aey musa! Khuwa aap
daaliye aur ya hum hi daalen? 07.116
musa (alh-e-salam) ney farmaya kay tum hi dalo
pur jab unhon ney dala to logon ki nazar bandi ker di
aur unn per haibat ghalib ker di aur aik tarah ka bara
jadoo dikhlaya. 07.117
Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum diya
kay apna asa daal dijiye! So asa ka daalna tha kay uss
ney unn kay saray banay banaye khel ko nigalna shuroo
kiya. 07.118
Pus haq zahir hogaya aur unhon ney jo kuch banaya
tha sab jata raah. 07.119
Pus woh log uss moqay per haar gaye aur khoob
zaleel hoker phiray. 07.120
Aur woh jo saahir thay sajday mein gir gaye.
07.121
Kehney lagay hum eman laye rabbul aalameen per.
07.122
Jo musa aur haroon ka bhi rab hai.
07.123
Firaon kehney laga tum musa per eman laye ho
baghair iss kay kay mein tum ko ijazat doon? Be-shak yeh
saazish thi jiss per tumhara amal daramad hua hai iss
shehar mein takay tum sab iss shehar say yahan kay rehney
walon ko bahir nikal do. So abb tum ko haqeeqat maloom
hui jati hai. 07.124
Mein tumharay aik taraf kay haath aur doosri
taraf kay paon kaaton ga. Phir tum sab ko sooli per latka
doon ga. 07.125
Unhon ney jawab diya kay hum (marr ker) apney
maalik hi kay pass jayen gay. 07.126
Aur tu ney hum mein konsa aib dekha hai ba-juz
isskay kay hum apney rab per eman ley aaye jab woh humaray
pass aaye. Aey humaray rab! Humaray upper sabar ka faizan
farma aur humari jaan halat-e-islam per nikal.
07.127
Aur qom-e-fiaon kay sardaron ney kaha kay kiya
aap musa (alh-e-salam) aur unn ki qom ko yun hi rehney
den gay kay woh mulk mein fasaad kertay phiren aur woh
aap ko aur aap kay maboodon ko tarak kiye rahen. Firaon
ney kaha kay hum abhi inn logon kay beton ko qatal kerna
shuroo ker den gay aur aurton ko zinda rehney den gay
aur hum ko inn per her tarah ka zor hai.
07.128
Musa (alh-e-salam) ney apni qom say farmaya Allah
Taalaa ka sahara hasil karo aur sabar karo yeh zameen
Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahay
woh maalik bana dey aur akhir kamyabi unhi ki hoti hai
jo Allah say dartay hain. 07.129
Qoam kay log kehney lagay kay hum to hamesha
museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal
bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa (alh-e-salam)
ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak
ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sar-zameen ka
khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga.
07.130
Aur hum ney firaon walon ko mubtila kiya qehat
saali mein aur phalon ki kum peda waari mein takay woh
naseehat qabool keren.
07.131
So jab inn per khushali aajati to kehtay kay
yeh to humaray liye hona hi chahaiye aur agar inn ko koi
bad haali paish aati to musa (alh-e-salam) aur unn kay
sathiyon ki nahoosat batlatay. Yaad rakho kay inn nahoosat
Allah Taalaa kay pass hai lekin inn kay aksar log nahi
jantay. 07.132
Aur yun kehtay kaisi hi baat humaray samney lao
kay inn kay zariye say hum per jadoo chalao jab bhi hum
tumhari baat hergiz na maanen gay. 07.133
Phir hum ney unn per toofan bheja aur tiddiyan
aur ghun ka keera aur mendak aur khoon kay yeh sab khulay
khulay moajzay thay. So woh takabbur kertay rahey aur
woh log kuch tha hi jaraeem paisha. 07.134
Aur jab unn per koi azab waqey hota to yun kehtay
kay aey musa! Humaray liye apney rab say iss baat ki dua
ker dijiye! Jiss ka uss ney aap say ehad ker rakha hai
agar aap iss azab ko hum say hata den to hum zaroor zaroor
aap kay kehney say eman ley aayen gay aur hum bani israeel
ko bhi (raah ker kay) aap kay humrah ker den gay.
07.135
Phir jab unn sya iss azab ko aik khaas waqt tak
kay uss tak unn ko phonchna tha hata detayto woh foran
hi ehad shikni kerney lagtay. 07.136
Phir hum ney unn say badla liya yani unn ko darya
mein gharq ker diya iss sabab say kay woh humari aayaton
ko jhutlatay thay aur inn say bilkul hi ghaflat kertay
thay. 07.137
Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor
shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim
ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai
aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein
unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon
kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon
ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay
sab ko darhum barhum ker diya. 07.138
Aur hum ney bani israeel ko darya kay paar utaar
diya. Pus unn logon ka aik qom per guzar hua jo apney
chand button say lagay bethay thay kehney lagay aey musa!
Humaray liye bhi aik mabood aisa hi muqarrar ker dijiye!
Jaisay inn kay yeh mabood hain. Aap ney farmaya kay waqaee
tum logon mein bari jahalat hai. 07.139
Yeh log jiss kaam mein lagay hain yeh tabah kiya
jayega aur inn kay yeh kaam mehaz bey bunyad hai.
07.140
Farmaya kiya Allah Taalaa key siwa aur kissi
ko tumhara mabood tajweez ker doon? Halankay uss ney tum
ko tamam jahaan walon per foqiyat di hai.
07.141
Aur qoh waqt yaad kero jab hum ney tum ko firaon
walon say bacha liya jo tum ko bari sakht takleef phonchatay
thay. Tumharay beton ko qatal ker daaltay thay aur tumhari
aurton ko zinda chor detay thay aur iss mein tumharay
perwerdigar ki taraf say bari bhari aazmaeesh thi.
07.142
Aur hum ney musa (alh-e-salam) say tees raaton
kay wada kiya aur dus raat mazeed say inn tees raaton
ko poora kiya. So inn kay perwerdigar ka waqt pooray chalees
raat ka hogaya. Aur musa (alh-e-salam) ney apney bhai
haroon (alh-e-salam) say kaha kay meray baad inn kay intizam
rakhna aur islah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye
per amal mat kerna. 07.143
Aur jab musa (alh-e-salam) humaray waqt per aaye
aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay
aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye
kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum
mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki
taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha
to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney
pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay
ura diye aur musa (alh-e-salam) bey hosh ho ker girr paray.
Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat
pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein
sab say pehlay aap per eman laney wala hun.
07.144
Irshad hua kay aey musa! Mein ney payghubari
aur apni hum kalaami say aur logon per tum ko imtiaz diya
hai to jo kuch tum ko mein ney ata kiya hai uss ko lo
aur shukar kero. 07.145
Aur hum ney chand takhtiyon per her qisam ki
naseehat aur her cheez ki tafseel unn ko likh ker di tum
inn ko poori qooat say pakar lo aur apni qom ko hukum
kero kay inn kay achay achay ehkaam per amal keren abb
boht jald tum logon ko inn bey hukmon ka muqam dikhlata
hun. 07.146
Mein aisay logon ko apney ehkaam say bar-gashta
hi rakhon ga jo duniya mein takabbur kertay hain jiss
ka unn ko koi haq hasil nahi aur agar tamam nishaniyan
dekh len tab bhi woh inn per eman na layen aur agar hidayat
ka raasta dekhen to iss ko apna tareeqa na banayen aur
agar gumrahi ka raasta dekh len to iss ko apna tareeq
bana len. Yeh iss sabab say hai kay enhon ney humari aayaton
ko jhutlaya aur inn say ghafil rahey. 07.147
Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat
kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye.
Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay.
07.148
Aur musa (alh-e-salam) ki qom ney unn kay baad
apney zewaron ka aik bachra mabood thehra liya jo kay
aik qalib tha jiss mein aik aawaz thi. Kiya enhon ney
yeh na dekha kay woh inn say baat nahi kerta tha aur na
inn ko koi raah batlata tha uss ko enhon ney mabood qarar
diya aur bari bey insafi ka kaam kiya. 07.149
Aur jab naadim huye aur maloom hua kay waqaee
woh log gumrahi mein parr gaye to kehney lagay kay agar
humara rab hum per reham na keray aur humara gunah moaf
na keray to hum bilkul gaye guzray hojayen gay.
07.150
Aur jab musa (alh-e-salam) apni qom ki taraf
wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya
kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya
apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker
li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney
bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay.
Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye! Inn
logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay
mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat
hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar
kero.
07.151
Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray rab! Meri
khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko
apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney
walon say ziyada reham kerney wala hai. 07.152
Be-shak jin logon ney go sala parasti ki hai
unn per boht jald unn kay rab ki taraf say ghazab aur
zillat iss dunyawi zindagi hi mein paray gi aur hum iftra
pardazon ko aisi hi saza diya kertay hain.
07.153
Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh
inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara
rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat
kerney wala hai. 07.154
Aur jab musa (alh-e-salam) ka gussa farad hua
to inn takhtiyon ko utha liya aur inn kay mazameen mein
unn logon kay liye jo apney rab say dartay thay hidayat
aur rehmat thi. 07.155
Aur musa (alh-e-salam) ney sattar aadmi apni
qom mein say humaray waqt-e-moyyen kay liye muntakhib
kiye so jab unn ko zalzalay ney aa pakra to musa (alh-e-salam)
arz kerney lagay kay aey meray perwerdigar! Agar tujh
ko yeh manzoor hota to iss say qabal hi inn ko aur mujh
ko halak ker deta. Kiya tu hum mein say chand bey waqufon
ki harkat per sab ko halak ker dey ga? Yeh waqiya teri
taraf say mehaz aik imtehan hai aisay imtehanaat say jiss
ko tu chahaye gumrahi mein daal dey aur jiss ko chahaye
hidayat per qaeem rakhay. Tu hi to humara kaar saaz hai
pus hum per maghfirat aur rehmat farma aur tu sab moafi
denay walon say ziyada acha hai. 07.156
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali
likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay
hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi
per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet
hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga
jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari
aayaton per eman latay hain. 07.157
Jo log aisay rasool nabi ummi ka ittabaa kertay
hain jin ko woh log apney pass toraat-o-injeel mein likha
hua patay hain. Woh inn ko nek baaton ka hukum farmatay
hain aur buri baaton say mana kertay hain aur pakeezah
cheezon ko halal batatay hain aur gandi cheezon ko inn
per haram farmatay hain aur inn logon per jo bojh aur
toq thay unn ko door kertay hain. So jo log iss nabi per
eman latay hain aur inn ki himayat kertay hain aur inn
ki madad kertay hain aur iss noor ka ittabaa kertay hain
jo inn kay sath bheja gaya hai aisay log poori falah paney
walay hain. 07.158
Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki
taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi
tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat
kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta
hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi
per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman
rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per
aajao. 07.159
Aur qom-e-musa mein aik jamat aisi bhi hai jo
haq kay mutabiq hidayat kerti hai aur issi kay mutabiq
insaf bhi kerti hai. 07.160
Aur hum ney unn ko baara khaandanon mein taqseem
ker kay sab ki alag alag jamat muqarrar ker di aur hum
ney musa (alh-e-salam) ko hukum diya jabkay unn ki qom
ney unn say pani maanga kay apney asa ko falan pathar
per maaro pus foran uss say baara chashmay phoot niklay.
Her her shaks ney apney pani peenay ka moqa maloom ker
liya aur hum ney unn per abar ko saya figan kiya aur unn
ko mann-o-salwa (taran jabeen aur bateren) phonchaen khao
nafees cheezon say jo hum ney tum ko di hain aur unhon
ney humara koi nuksan nahi kiya lekin apna hi nuksan kertay
thay.
07.161
Aur jab inn ko hukum diya gaya kay tum log iss
aabadi mein jaa ker raho aur khao uss say jiss jagah tum
raghbat kero aur zaban say yeh kehtay jana kay tauba hai
aur jhukay jhukay darwazon mein dakhil hona hum tumhari
khatayen moaf ker den gay. Jo log nek kaam keren gay unn
ko mazeed baran aur den gay. 07.162
So badal daala inn zalimon ney aik aur kalma
jo khilaf tha uss kalmay kay jiss ki inn say farmaeesh
ki gaee thi iss per hum ney unn per aik aafat-e-samawi
bheji iss waja say kay woh hukum ko zaya kertay thay.
07.163
Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay
darya-e(-shor) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye!
Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey
thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan
zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay
ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn
ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay
woh bey hukmi kiya kertay thay. 07.164
Aur jab kay unn mein say aik jamat ney yun kaha
kay tum aisay logon ko kiyon naseehat kertay ho jin ko
Allah bilkul halak kerney wala hai ya unn ko sakht saza
denay wala hai? Unhon ney jawab diya kay tumharay rab
kay roo baroo uzur kerney kay liye aur iss liye kay shayad
yeh darr jayen. 07.165
So jab woh iss ko bhool gaye jo inn ko samjhaya
jata tha to hum ney unn logon ko to bacha liya jo iss
buri aadat say mana kiya kertay thay aur unn logon ko
jo kay ziyadti kertay thay aik sakht azab mein pakar liya
iss waja say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.
07.166
Yani jab woh jiss kaam say unn ko mana kiya gaya
tha uss mein hadd say nikal gaye to hum ney unn ko keh
diya tum zaleel bandar bann jao. 07.167
Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay
rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat
tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn
ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila
shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba
woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai.
07.168
Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten
ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur
tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon
say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen.
07.169
Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen
huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani
ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari
zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass
wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay.
Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya
gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi
baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo
kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon
kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum
nahi samajhtay. 07.170
Aur jo log kitab kay paband hain aur namaz ki
pabandi kertay hain hum aisay logon ko jo apni islah keren
sawab zaya na keren gay.
07.171
Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney
pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker
diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur
kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti
kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein
hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao.
07.172
Aur jab aap kay rab ney aulad-e-aadam ki pusht
say unn ki aulad ko nikala aur unn say unn hi kay mutalliq
iqrar liya kay kiya mein tumhara rab nahi hun? Sab ney
jawab diya kiyon nahi! Hum sab gawah bantay hain. Takay
tum log qayamat kay roz yun na kaho kay hum to iss say
mehaz bey khabar thay. 07.173
Ya yun kaho kay pehlay pehlay shirk to humaray
baron ney kiya aur hum unn kay baad unn ki nasal mein
huye so kiya inn ghalat raah walon kay fail per tu hum
ko halakat mein daal dey ga? 07.174
Hum issi tarah aayaat ko saaf saaf biyan kertay
hain aur takay woh baaz ajayen. 07.175
Aur inn logon ko uss shaks ka haal parh ker sunaiye
kay jiss ko hum ney apni aayaten den phir woh inn say
bilkul hi nikal gaya phir shetan uss kay peechay lag gaya
so woh gumrah logon mein shamil hogaya. 07.176
Aur agar hum chahatay to uss ko inn aayaton ki
badolat buland martaba ker detay lekin woh to duniya ki
taraf maeel hogaya aur apni nafsaani khuwaish ki pairwi
kerney laga so uss ki halat kuttay ki si hogaee kay agar
tu iss per hamla keray tab bhi haanpay ya uss ko chor
dey tab bhi haanpay yehi halat unn logon ki hai jinhon
ney humari aayaton ko jhutlaya. So aap iss haal ko biyan
ker dijiye shayad woh log kuch sochen. 07.177
Unn logon ki halat bhi buri halat hai jo humari
aayaat ko jhutlatay hain aur woh apna nuksan kertay hain.
07.178
Jiss ko Allah hidayat kerta hai so hidayat paney
wala wohi hota hai aur jiss ko woh gumrah kerdey so aisay
hi log khasaray mein parney walay hain. 07.179
Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh
kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say
nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi
dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay.
Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi
ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain.
07.180
Aur achay achay naam Allah hi kay liye hain so
unn naamon say Allah hi ko mossom kiya kero aur aisay
logon say talluq bhi na rakho jo uss kay naamon mein kuj
ravi kertay hain unn logon ko unn kay kiye ki zaroor saza
milay gi.
07.181
Aur humari makhlooq mein aik jamat aisi bhi hai
jo haq kay moafiq hidayat kerti hai aur uss kay moafiq
insaf bhi kerti hai. 07.182
Aur jo log humari aayaat ko jhutlatay hain hum
unn ko ba-tadreej (girift mein) liye jarahey hain iss
tor per kay unn ko khabar bhi nahi. 07.183
Aur unn ko mohlat deta hun be-shak meri tadbeer
bari mazboot hai. 07.184
Kiya inn logon ney iss baat per ghor nahi kiya
kay inn kay sathi ko zara bhi junoon nahi woh to sirf
aik saaf saaf daraney walay hain. 07.185
Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon
aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah
ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay
unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad
konsi baat per yeh log eman layen gay? 07.186
Jiss ko Allah Taalaa gumrah kerdey uss ko koi
raah per nahi laa sakta. Aur Allah Taalaa unn ko unn ki
gumrahi mein bhataktay huye chor deta hai.
07.187
Yeh log aap say qayamat kay mutalliq sawal kertay
hain kay iss ka waqoo kabb hoga? Aap farma dijiye kay
iss ka ilm sirf meray rab hi kay pass hai uss kay waqt
per uss ko siwa Allah kay koi aur zahir na keray ga. Woh
aasmanon aur zamin mein bara bhari (haadsa) hoga woh tum
per mehaz achanak aa paray gi. Woh aap say iss tarah poochtay
hain jaisay goya aap iss ki tehqiqaat ker chukay hain.
Aap farma dijiye kay iss ka ilm khaas Allah hi kay pass
hai lekin aksar log nahi jantay. 07.188
Aap farma dijiye kay mein khud apni zaat-e-khaas
kay liye kissi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kissi
zarar ka magar utna hi jitna Allah ney chaha ho aur agar
mein ghaib ki baaten janta hota to mein boht say munafay
hasil ker leta aur koi nuksan mujh ko na phonchta mein
to mehaz daraney wala aur bisharat denay wala hun unn
logon ko jo eman rakhtay hain. 07.189
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney tum ko aik
tan-e-wahid say peda kiya aur iss say uss ka jora banaya
takay woh iss apney joray say unss hasil keray phir jab
miyan ney biwi say qurbat ki to uss ko hamal reh gaya
halka sa. So woh uss ko liye huye phirti rahi phri jab
woh bojhal hogaee to dono miyan biwi Allah say jo unn
ka maalik hai dua kerney lagay kay agar tu ney hum ko
sahih saalim aulad dey di to hum khoob shukar guzari keren
gay.
07.190
So jab Allah ney dono ko sahih saalim aulad dey
di to Allah ki di hui cheez mein woh dono Allah kay shareek
qarar denay lagay so Allah pak hai unn kay shirk say.
07.191
Kiya aison ko shareek thehratay hain jo kissi
cheez ko peda na ker saken aur woh khud hi peda kiye gaye
hon. 07.192
Aur woh inn ko kissi qisam ki madad nahi dey
saktay aur woh khud bhi madad nahi ker saktay.
07.193
Aur agar tum inn ko koi baat batlaney ko pukaro
to tumharay kehney per na chalen tumharay aetbaar say
dono amar barabar hain khuwa tum inn ko pukaro ya tum
khamosh raho. 07.194
Waqaee tum Allah ko chor ker jin ki ibadat kertay
ho woh bhi tum hi jaisay banday hain so tum unn ko pukaro
phir unn ko chahaiye kay tumhara kehna ker den agar tum
sachay ho. 07.195
Kiya inn kay paon hain jin say woh chaltay hon
ya unn kay haath hain jin say woh kissi cheez ko thaam
saken ya unn ki aankhen hain jin say woh dekhtay hon ya
unn kay kaan hain jin say woh suntay hain aap keh dijiye!
Tum apney sab shurka ko bula lo phir meri zarar saani
ki tadbeer kero phir mujh ko zara mohlat mat do.
07.196
Yaqeenan mera madadgar Allah Taalaa hai jiss
ney yeh kitab nazil farmaee aur woh nek bandon ki madad
kerta hai. 07.197
Aur tum jin logon ki Allah ko chor ker ibadat
kertay ho woh tumhari kuch madad nahi ker saktay aur na
woh apni madad ker saktay hain. 07.198
Aur agar inn ko koi baat batlaney ko pukaro to
iss ko na sunen aur inn ko aap dekhtay hain kay goya woh
aap ko dekh rahey hain aur woh kuch bhi nahi dekhtay.
07.199
Aap dar guzar ko ikhtiyar keren nek kaam ki taleem
den aur jahilon say aik kinara hojayen.
07.200
Aur agar aap ko koi waswasa shetan ki taraf say
aaney lagay to Allah ki panah maang liya kijiye bila shuba
woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.
07.201
Yaqeenan jo log khud taras hain jab unn ko koi
khatra shetan ki taraf say aajata hai to woh yaad mein
lag jatay hain so yakayak unn ki aankhen khul jati hain.
07.202
Aur jo shetan kay tabey hain woh inn ko gumrahi
mein kheenchay ley jatay hain pus woh baaz nahi aatay.
07.203
Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi
kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon
na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta
hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya
hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf
say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman
rakhtay hain. 07.204
Aur jab quran parha jaya keray to iss ki taraf
kaan laga diya kero aur khamosh raha kero umeed hai kay
tum per rehmat ho. 07.205
Aur aey shaks! Apney rab ki yaad kiya ker apney
dil mein aajzi kay sath aur khof kay sath aur zor ki aawaz
ki nisbat kum aawaz kay sath subha aur shaam aur ehal-e-ghaflat
mein say mat hona. 07.206
Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss
ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan
kertay hain aur uss ko sajda kertay hain. |
|
| Surat-Anfaal
08 |
| (Sura-Anfaal Madina mai
Nazil hui, is mai pichettar (75) Aayatain hain) |
| |
08.01
Yeh log aap say ghanimaton ka hukum daryaft kertay
hain aap farma dijiye! Kay yeh ghanimaten Allah ki hain
aur rasool ki hain so tum Allah say daro aur apny bahumi
taalluqaat ki ki islaah kero aur uss kay rasool ki ita’at
kero agar tum eman walay ho. 08.02
Bus eman walay to aisay hotay hain kay jab Allah
Taalaa ka zikar aata hai to unn kay quloob darr jatay
hain aur jab Allah ki aayaten unn ko parh ker sunaee jaatin
hain hain to woh aayaten unn kay eman ko aur ziyada ker
deti hain aur woh log apney rab per tawakkal kertay hain.
08.03
Jo kay namaz ki pabandi kertay hain aur hum ney
unn ko jo kuch diya hai woh uss mein say kharch kertay
hain. 08.04
Sachay eman walay yeh log hain inn kay liye baray
darjay hain inn kay rab kay pass aur maghfirat aur izzat
ki rozi hai. 08.05
Jaisa kay aap kay rab ney aap kay ghar say haq
kay sath aap ko rawana kiya aur musalmanon ki aik jamat
iss ko giran samajhti thi. 08.06
Woh iss haq kay baray mein iss kay baad kay uss
ka zahoor hogaya tha aap say iss tarah jhagar rahey thay
kay goya koi unn ko maut ki taraf haankay liye jata hai
aur woh dekh rahey hain. 08.07
Aur tum log uss waqt ko yaad kero! Jab kay Allah
tum say unn do jamaton mein say aik ka wada kerta tha
kay woh tumharay haath aajaye gi aur tum iss tamanna mein
thay kay ghair musallah jamat tumharay haath aajaye aur
Allah Taalaa ko yeh manzoor tha kay apney ehkaam say haq
ka haq hona sabit kerdey aur inn kafiron ki jarr kaat
dey. 08.08
Takay haq ka haq hona aur baatil ka baatil hona
sabit kerdey go yeh mujrim log na pasand hi keren.
08.09
Uss waqt ko yaad kero jab tum apney rab say faryad
ker rahey thay phir Allah Taalaa ney tumhari sunn li kay
mein tum ko aik hazat farishton say madad doon ga jo lagataar
chalen aayen gay. 08.10
Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie
ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho
jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast
hikmat wala hai.
08.11 Uss
waqt ko yaad kero jab kay Allah tum per oongh taari ker
raha tha apni taraf say chain denay kay liye aur tum per
aasman say pani barsa raha tha kay iss pani kay zariye
say tum ko pak ker dey aur tum say shetani waswasay ko
dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey aur tumharay
paon jama dey. 08.12
Uss waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton
ko hukum deta tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman
walon ki himmar barhao mein abhi kuffaar kay dilon mein
rob dalay deta hun so tum gardanon per maaro aur inn kay
por por ko maaro. 08.13
Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah
ki aur uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki
aur uss kay rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah
Taalaa sakht saza denay wala hai. 08.14
So yeh saza chakho aur jaan rakho kay kafiron
kay liye jahannum ka aza muqarrar hi hai.
08.15 Aey
eman walo! Jab tum kafiron say doo badoo muqabil hojao
to unn say pusht mat pherna. 08.16
Aur jo shaks unn say iss moqay per pusht pheray
ga magar haan jo laraee kay liye paintra badalta ho ya
jo (apni) jamat ki taraf panah lenay aata ho woh mustasna
hai. Baqi aur jo aisa keray ga woh Allah kay ghazab mein
aajaye ga. Aur uss ka thikana dozakh hoga woh boht hi
buri jagah hai. 08.17
So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah
Taalaa ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi
nahi phenki bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay
musalmanon ko apni taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz
dey bila shuba Allah Taalaa khoob sunnay wala khoob jannay
wala hai. 08.18
(aik baat to) yeh hui aur (doosri baat yeh hai)
Allah Taalaa ko kafiron ki tadbeer ko kamzor kerna tha.
08.19
Agar tum log faisla chahatay ho to woh faisla
tumharay samney aa mojood hua aur agar baaz ajao to yeh
tumharay liye nihayat khoob hai aur agar tum phir wohi
kaam kero gay to hum bhi phir wohi kaam keren gay aur
tumhari jamiyat tumharay zara bhi kaam na aaye gi go kitni
ziyada ho aur waqaee baat yeh hai kay Allah Taalaa eman
walon kay sath hai. 08.20
Aey eman walo! Allah ka aur uss kay rasool ka
kaha mano aur uss (ka kaha mannay) say roo-gardani mat
kero suntay jantay huye.
08.21 Aur
tum unn logon ki tarah mat hona jo dawa to kertay hain
kay hum ney sunn liya halankay woh suntay (sunatay kuch)
nahi. 08.22
Be-shak bad tareen khaleeq Allah Taalaa kay nazdeek
woh log hain jo behray hain goongay hain jo kay (zara)
nahi samajhtay. 08.23
Aur agar Allah Taalaa inn mein koi khoobi dekhta
to inn ko sunnay ki tofiq dey deta aur agar inn ko abb
suna dey to zaroor roo gardani keren gay bey rukhi kertay
huye. 08.24
Aey eman walo! Tum Allah aur rasool kay kehney
ko baja lao jabkay rasool tum ko tumhari zindagi bakhsh
cheez ki taraf bulatay hon. Aur jaan rakho kay Allah Taalaa
aadmi kay aur uss kay qalb kay darmiyan aarr bann jaya
kerta hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi kay pass
jama hona hai. 08.25
Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas
ker sirf unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn
gunhaon kay muratakib huye hain aur yeh jaan rakho kay
Allah sakht saza denay wala hai. 08.26
Aur uss halat ko yaad kero! Jab tum zamin mein
qaleel thay kamzor shumar kiye jatay thay. Iss andeshay
mein rehtay thay kay tum ko log noch khasot na len so
Allah ney tum ko rehney ki jagah di aur tum ko apni nusrat
say qooat di aur tum ko nafees nafees cheezen ata farmaeen
takay tum shukar kero. 08.27
Aey eman walo! Tum Allah aur rasool (kay huqooq)
mein jantay huye khayanat mat kero aur apni qaabil-e-hifazat
cheezon mein khayanat na kero. 08.28
Aur tum iss baat ko jaan rakho kay tumharay amwaal
aur tumhari aulad aik imtehan ki cheez hai. Aur iss baat
ko bhi jaan rakho kay Allah Taalaa kay pass bara bhari
ajar hai. 08.29
Aey eman walo! Agar tum Allah say dartay raho
gay to Allah Taalaa tum ko aik faislay ki cheez dey ga
aur tum say tumharay gunah door ker dey ga aur tum ko
bakhsish dey ga aur Allah Taalaa baray fazal wala hai.
08.30
Aur uss waqiye ka bhi zikar kijiye! Jabkay kafir
log aap ki nisbat tadbeer soch rahey thay kay aap ko qaid
ker len yaa aap ko qatal ker dalen yaa aap ko kharij-e-watan
ker den aur woh to apni tadbeeren ker rahey thay aur Allah
apni tadbeer ker raha tha aur sab say ziyada mustehkum
tadbeer wala Allah hai.
08.31 Aur
jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain to kehtay
hain kay hum ney sunn liya agar hum chahayen to iss kay
barabar hum bhi keh den yeh to kuch bhi nahi sirf bey
sanad baaten hain jo pehlon say manqool chali aarahi hain.
08.32
Aur jabkay inn logon ney kaha aey Allah! Agar
yeh quran aap ki taraf say waqaee hai to hum per aasman
say pathar barsa ya hum per koi dard naak azab waqey kerdey.
08.33
Aur Allah Taalaa aisa na keray ga inn mein aap
kay hotay huye inn ko azab dey aur Allah inn ko azab na
dey ga iss halat mein kay woh istaghfaar bhi kertay hon.
08.34
Aur inn mein kiya baat hai kay inn ko Allah Taalaa
saza na dey halankay woh log masjid-e-haram say roktay
hain jabkay woh log iss masjid kay mutawalli nahi. Iss
kay mutawalli to siwaye muttaqiyon kay aur ashkhaas nahi
lekin inn mein aksar log ilm nahi rakhtay.
08.35 Aur
unn ki namaz kaaba kay sirf yeh thi seetiyan bajana aur
taaliyan bajana. So apney kufur kay sabab iss azab ka
maza chakho. 08.36
Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye
kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh
lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir
woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay.
Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki
taraf jama kiya jayega. 08.37
Takay Allah Taalaa na pak ko pak say alag ker
dey aur na pakon kay aik doosray say mila dey pus inn
sab ko ikatha dher ker dey phir inn sab ko jahannum mein
daal dey. Aisay log pooray khasaray mein hain.
08.38 Aap
inn kafiron say keh dijiye! Kay agar yeh log baaz aajayen
to inn kay saray gunah jo pehlay ho chukay hain sab moaf
ker diye jayen gay aur agar apni wohi aadat rakhen gay
to (kuffaar) sabeyqeen kay haq mein qanoon nafiz ho chuka
hai. 08.39
Aur tum inn say iss hadd tak laro kay inn mein
fasad aqeedah na rahey. Aur deen Allah hi ka hojaye phir
agar yeh baaz aajayen to Allah Taalaa inn aemaal ko khoob
dekhta hai. 08.40
Aur agar roo gardaani keren to yaqeen rakhen
kay Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai woh boht acha kaar
saaz hai aur boht acha madadgar hai. |
| |
|