| Parah-Waalamoo
10 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Anfaal
08 |
| (Sura-Anfaal Madina mai
Nazil hui, is mai pichettar (75) Aayatain hain) |
| |
08.41
Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat
hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur
rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon
ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur
uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara
hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen
bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai.
08.42
Jabkay tumharay pass walay kinaray per thay aur
woh door walay kinaray per thay aur qafila tum say neechay
tha. Agar tum aapas mein waday kertay to yaqeenan tum
waqt moyyen per phonchney mein mukhtalif hojatay. Lekin
Allah ko to aik kaam ker hi daalna tha jo muqarrar ho
chuka tha takay jo halak ho zaleel per (yani yaqeen jaan
ker) halak ho aur zinda rahey woh bhi daleel per (haq
pehchan ker) zinda rahey. Be-shak Allah boht sunnay wala
khoob jannay wala hai. 08.43
Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein
unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata
to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas
mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya
woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai.
08.44 Jabkay
uss ney ba-waqt-e-mulaqat unhen tumhari nighaon mein boht
kum dikhaye aur tumhen unn ki nighaon mein kum dikhaye
takay Allah Taalaa iss kaam ko anajm tak phoncha dey jo
kerna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pheray jatay
hain. 08.45
Aey eman walo! Jab tum kissi mukhalif foj say
bhirr jao to sabit qadam raho aur ba kasrat Allah ko yaad
kero takay tumhen kaamyabi hasil ho. 08.46
Aur Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardari
kertay raho aapas mein ikhtilaf na kero werna buzdil hojao
gay aur tumhari hawa ukhar jaye gi aur sabar-o-sahaar
rakho yaqeenan Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath
hai. 08.47
Unn logon jaisay na bano jo itratay huye aur
logon mein khud numaee kertay huye apney gharon say chalay
aur Allah ki raah say roktay thay jo kuch woh ker rahey
hain Allah ussay gher lenay wala hai. 08.48
Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha
raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj
tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati
hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon
kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say
bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey.
Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab
wala hai. 08.49
Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin
kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay
mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah
Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala
hai. 08.50
Kaash kay tu dekhta jabkay farishtay kafiron
ki rooh qabz kertay hain unn kay mun aur sareenon per
maar maartay hain (aur kehtay hain) tum jalney ka maza
chakho.
08.51 Yeh
ba-sabab unn kaamon kay jo tumharay haathon ney pehlay
hi bhej rakha hai be-shak Allah apney bandon per zulm
kerney wala nahi. 08.52
Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon
kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya
pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya.
Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai.
08.53
Yeh iss liye kay Allah aisa nahi kay kissi qom
per koi nemat inam farma ker phir badal dey jab tak kay
woh khud apni uss halat ko na badal den jo kay unn ki
apni thi aur yeh kay Allah sunnay wala hai.
08.54 Misil
halat firaoniyon kay aur unn say pehlay kay logon kay,
kay unhon ney apney rab ki baaten jhutlaeen. Pus unn kay
gunahon kay baees hum ney unhen barbaad kiya aur firaoniyon
ko dobo diya. Yeh saray zalim thay. 08.55
Tamam jaandaron say badtar Allah kay nazdik woh
hain jo kufur keren phir woh eman na layen.
08.56 Jin
say aap ney ehad-o-paymaan ker liya phir bhi woh apney
ehad-o-paymaan ko her martaba tor detay hain aur bilkul
perhez nahi kertay. 08.57
Pus jab kabhi tu laraee mein inn per ghalib aajaye
enhen aisi maar maar kay inn kay pichlay bhi bhaag kharay
hon ho sakta hai kay woh ibrat keren. 08.58
Aur agar tujhay kissi qom ki khayanat ka darr
ho to barabari ki haalat mein unn ka ehad naama tor dey
Allah Taalaa khayanat kerney walon ko pasand nahi farmata.
08.59
Kafir yeh khayal na keren kay woh bhaag niklay.
Yaqeenan woh aajiz nahi ker saktay. 08.60
Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar
qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki
kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh
sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay
Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah
mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega
aur tumhara haq na maara jayega.
08.61 Agar
woh sulah ki taraf jhuken to tu bhi sulah ki taraf jhuk
jaa aur Allah per bharosa rakh yaqeenan woh boht sunnay
jannay wala hai. 08.62
Agar woh tujh say dagha baazi kerna chahayen
gay to Allah tujhay kafi hai ussi ney apni madad say aur
mominon say teri taaeed ki hai. 08.63
Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney
dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi
kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila
sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai
woh ghalib hikmaton wala hai. 08.64
Aey nabi! Tujhay Allah kafi hai aur inn mominon
ko jo teri pairwee ker rahey hain. 08.65
Aey nabi! Eman walon ko jihad ka shoq dilao agar
tum mein bees (20) bhi sabar kerney walay hongay to do
so per ghalib rahey gay. Aur agar tum mein aik so hongay
to aik hazar kafiron per ghalib rahen gay iss wastay kay
woh bey samajh log hain. 08.66
Acha abb Allah tumhara bojh halka kerta hai woh
khoob janta hai kay tum mein na tawani hai pus agar tum
mein say aik so sabar kerney walay hongay to woh do so
per ghalib rahen gay aur agar tum mein aik hazar hongay
to woh Allah kay hukum say do hazar per ghalib rahen gay
Allah sabar kerney walon kay sath hai. 08.67
Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak
kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to
duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat
ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai.
08.68 Agar
pehlay hi say Allah ki taraf say baat likhi hui na hoti
to jo kuch tum ney liya hai iss baray mein tumhen koi
bari saza hoti. 08.69
Pus jo kuch halal aur pakeezah ghanimat tum ney
hasil ki hai khoob khao piyo aur Allah say dartay raho
yaqeenan Allah ghafoor-o-rahim hai. 08.70
Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh
do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati
dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar
tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah
bakhshney wala meharban hai hi. 08.71
Aur agar woh tujh say khayanat ka khayal keren
to yeh to iss say pehlay khud Allah ki khayanat ker chukay
hain aakhir iss ney enhen giriftar kera diya aur Allah
ilm-o-hikmat wala hai. 08.72
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon
aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon
ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik
doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin
hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi
jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say
deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad
kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur
inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah
khoob dekhta hai. 08.73
Kafir aapas mein aik doosray kay rafiq hain agar
tum ney aisa na kiya to mulk mein fitna hoga aur zabardast
fasaad hojayega. 08.74
Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah
mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee.
Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur
izzat ki rozi. 08.75
Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat
ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi
tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein
say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein
be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai. |
|
| Surat-Tauba
09 |
| (Sura-Tauba Madina mai
Nazil hui, is mai aikso-unattees (129) Aayatain hain) |
| |
09.01
Allah aur uss kay rasool ki janib say beyzaari ka ailaan
hai unn mushrikon kay baray mein jinn say tum ne yehad-o-paymaan
kiya tha. 09.02
Pus (aey mushriko!) tum mulk mein char maheenay
tak to chal phir lo jaan lo kay tum Allah ko aajiz kerney
walay nahi ho aur yeh (bhi yaad rahey) kay Allah kafiron
ko ruswa kerney wala hai. 09.03
Allah aur uss kay rasool ki taraf say logon ko
baray hajj kay din saaf itlaa hai kay Allah mushrikon
say beyzaar hai aur uss ka rasool bhi agar abb bhi tum
tauba kerlo to tumharay haq mein behtar hai aur agar tum
roo gardaani kero to jaan lo kay tum Allah ko hara nahi
saktay. Aur kafiron ko dukh ki maar ki khabar phonca dijiye.
09.04
Ba-juz unn mushrikon kay jin say tumhara mohaeeda
ho chuka hai aur unhon ney tumhen zara sa bhi nuksan nahi
phonchaya na kissi ki tumharay khilaf madad ki hai to
tum bhi unn kay mohaeeday ki muddat unn kay sath poori
kero Allah Taalaa perhezgaron ko dost rakhta hai.
09.05
Phir hurmat walay maheenon kay guzartay hi mushrikon
ko jahan pao qatal kero unhen giriftar kero unn ka mahasra
kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein ja betho haan
agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur
zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan
Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai.
09.06 Agar
mushrikon mein say koi tujh say panah talab keray to tu
ussay panah dey dey yahan tak kay woh kalam Allah sunn
ley phir ussay apni jaye amaan tak phoncha dey. Yeh iss
liye kay yeh log bey ilm hain. 09.07
Mushrikon kay liye ehad Allah aur uss kay rasool
kay nazdeek kaisay reh sakta hai siwaye unn kay jin say
tum ney ehad-o-paymaan masjid-e-haram kay pass kiya hai
jab tak woh log tum say wada nibhayen tum bhi unn say
wafa daari kero Allah Taalaa muttaqiyon say mohabbat rakhta
hai. 09.08
Unn kay wadon ka kiya aitbaar unn ka agar tum
per ghalba hojaye to na yeh qarabat daari ka khayal keren
na ehad-o-paymaan ka apni zabanon say to tumhen parcha
rahey hain lekin unn kay dil nahi mantay inn mein say
aksar to fasiq hain. 09.09
Enhon ney Allah ki aayaton ko boht kam qeematon
mein baich diya aur uss ki raah say roka. Boht bura hai
jo yeh ker rahey hain. 09.10
Yeh to kissi musalman kay haq main kissi rishtay
daari ka ya ehad ka mutlaq lehaz nahi kertay yeh hain
hi hadd say guzarney walay.
09.11 Abb
bhi agar yeh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen
aur zakat detay rahen to tumharay deeni bhai hain. Hum
to jannay walon kay liye aayaten khol khol ker biyan ker
rahey hain. 09.12
Agar yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni
qasmon ko tor den aur tumharay deen mein taana zani keren
to tum bhi unn sardaraan-e-kufur say bhir jao. Unn ki
qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss tarah woh baaz
aajayen. 09.13
Tum inn logon ki sirkoobi kay liye kiyon tayyar
nahi hotay jinhon ney apni qasmon ko tor diya aur payghumbar
ko jila watan kerney ki fikar mein hain aur khud hi awwal
baat unhon ney tum say cher ki hai. Kiya tum inn say dartay
ho? Allah hi ziyada mustahiq hai kay tum uss ka darr rakho
ba-shart-e-kay tum eman walay ho. 09.14
Inn say tum jang kero Allah Taalaa enhen tumharay
hathon azab dey ga enhen zaleel-o-ruswa keray ga tumehn
inn per madad dey ga aur musalmanon kay kalejay thanday
keray ga. 09.15
Aur unn kay dil ka ghum-o-gussa door keray ga
aur woh jiss ki taraf chahata hai rehmat say tawajja farmata
hai. Allah khoob janta boojhta hikmat wala hai.
09.16
Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum chor diye
jao gay halankay kay abb tak Allah ney tum mein unhen
mumtaz nahi kiya jo mujahid hain aur jinhon ney Allah
kay aur uss kay rasool kay aur mominon kay siwa kissi
ko wali dost nahi banaya Allah khoob khabar daar hai jo
tum ker rahey ho. 09.17
Laeeq nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon
ko abad keren. Daran halanakay woh khud apney kufur kay
aap hi gawah hain inn kay aemaal gharat-o-ikarat hain
aur woh daeemi tor per jahannumi hain. 09.18
Allah ki masjidon ki ronaq-o-abadi to unn kay
hissay mein hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman
rakhtay hain namazon kay paband hon zakat detay hon Allah
key siwa kissi say na dartay hon tawaqqa hai kay yehi
log yaqeenan hidayat yafta hain. 09.19
Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram
ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah
per aur aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah
mein jihad kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi
aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta.
09.20 Jo
log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal
aur apni jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray
martabay walay hain aur yehi log murab paney walay hain.
09.21 Enhen
unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki aur raza
mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami nemat
hai. 09.22
Wahan yeh hamesha rehney walay hain Allah kay
pass yaqeenan boht baray sawab hain. 09.23
Aey eman walo! Apney baapon ko aur apney bhaiyon
ko dost na banao agar woh kufur ko eman say ziyada aziz
rakhen. Tum mein say jo bhi inn say mohabbat rakhay ga
woh poora gunehgar zalim hai. 09.24
Aap keh dijiye kay agar tumharay baap aur tumharay
larkay aur tumharay bhai aur tumhari biwiyan aur tumharay
kunbay qabeelay aur tumharay kamaye huye maal aur woh
tijarat jiss ki kami say tum dartay ho aur woh hawayliyan
jinehn tum pasand kertay ho agar yeh tumhen Allah say
aur uss kay rasool say aur uss ki raah mein jihad say
bhi ziyada aziz hain to tum intizar kero Allah Taalaa
apna azab ley aaye. Allah Taalaa fasiqon ko hidayat nahi
deta. 09.25
Yaqeenan Allah Taalaa ney boht say maidanon mein
tumhen fatah di hai aur hunain ki laraee walay din bhi
jabkay tumhen apni kasrat per naaz hogaya tha lekin uss
ney tumhen koi faeeda na diya bulkay zamin bawajood apni
kushadgi kay tum per tang hogaee phir tum peeth pher ker
murr gaye. 09.26
Phir Allah ney apni taraf ki taskeen apney nabi
per aur mominon per utari aur apney woh lashkar bhejay
jinhen tum dekh nahi rahey thay aur kafiron ko poori saza
di. Inn kuffaar kay yehi badla tha. 09.27
Phir iss kay baad bhi jiss per chahaye Allah
Taalaa apni rehmat ki tawajja farmaye ga Allah hi bakhsish-o-meharbani
kerney wala hai. 09.28
Aey eman walo! Be-shak mushrik bilkul hi na pak
hain woh iss saal kay baad masjid-e-haram kay pass bhi
na phatakney payen agar tumhen muflisi ka khof hai to
Allah tumhen dolat mand ker dey ga apney fazal say agar
chahaye Allah ilm-o-hikmat wala hai. 09.29
Unn logon say laro jo Allah per aur qayamat kay
din per emaan nahi latay jo Allah aur uss kay rasool ki
haram kerda shey ko haram nahi jantay na deen-e-haq ko
qabool kertay hain unn logon mein say jinhen kitab di
gaee hai yahan tak kay woh zaleel-o-khuwar hoker apney
hath say jizya ada keren. 09.30
Yahood kehtay hain kay uzair Allah ka beta hai
aur nasrani kehtay hain kay maseeh Allah ka beta hai yeh
qol sirf unn kay mun ki baat hai. Aglay munkiron ki baat
ki yeh bhi naqal kerney lagay Allah enehn ghaarat keray
woh kaisay paltaye jatay hain.
09.31 Inn
logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon
ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko
halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum
diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai
unn kay shareek muqarrar kerney say. 09.32
Woh chahatay hain kay Allah kay noor ko apne
mun say bujha den aur Allah Taalaa inkari hai magar issi
baat ka kay apna noor poora keray go kafir na khush hon.
09.33
Ussi ney apney rasool ko hidayat aur sachay deen
kay sath bheja hai kay issay aur tamam mazhabon per ghalib
ker dey agar cheh mushrik bura manen. 09.34
Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka
maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay
hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur
Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak
azab ki khabar phoncha dijiye. 09.35
Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein
tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo
aur peethen daaghi jayengi (unn say kaha jayega) yeh hai
jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney
khazanon ka maza chakho. 09.36
Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah
mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin
ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab
kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni
janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad
kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho
kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai.
09.37 Meheenon
ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say
woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik
saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko
hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi
hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay
halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn
kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar
ki Allah rehnumaee nahi farmata. 09.38
Aey emaan walon tumhen kiya hogaya hai kay jab
tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein
kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat
kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno!
Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun
hi si hai. 09.39
Agar tum ney kooch na kiya to tumhen Allah Taalaa
dard naak saza dey ga aur tumharay siwa aur logon ko badal
laye ga tum Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay
aur Allah her cheez per qadir hai. 09.40
Agar tum inn (nabi PBUH) ki madad na kero yo
Allah hi ney inn ki madad ki uss waqt jabkay enhen kafiron
ney (dess say) nikal diya tha do mein say doosra jabkay
woh dono ghaar mein thay jab yeh apney sathi say keh rahey
thay kay ghum na ker Allah humaray sath hai pus janab-e-baari
ney apni taraf say taskeen uss per nazil farma ker unn
lashkaron say unn ki madad ki jinhen tum ney dekha hi
nahi uss ney kafiron ki baat pust ker di aur buland-o-aziz
to Allah ka kalma hi hai Allah ghalib hai hikmat wala
hai.
09.41 Nikal
kharay hojao hulkay phulkay ho to bhi aur bhari bharkum
ho to bhi aur raah-e-rab mein apni maal-o-jaan say jihad
kero yehi tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho.
09.42
Agar jald wasool honey wala maal-o-asbaab hota
aur halka sa safar hota to yeh zaroor aap kay peechay
ho letay lekin unn per doori aur daraz ki mushkil parr
gaee. Abb ato yeh Allah ki qasmen khayen gay kay agar
hum mein qooat-o-taqat hoti to hum yaqeenan aap kay sath
nikaltay yeh apni janon ko khud hi halakat mein daal rahey
hain inn kay jhootay honey ka sacha ilm Allah ko hai.
09.43
Allah tujhay moaf farma dey tu ney enhen kiyon
ijazat dey di? Baghair iss kay, kay teray samney sachay
log khul jayen aur tu jhootay logon ko bhi jaan ley.
09.44
Allah kay din per aur qayamat kay din per eman-o-yaqeen
rakhney walay to maali aur jaani jihad say ruk rehney
ki kabhi bhi tujh say ijazat talab nahi keren gay aur
Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai.
09.45 Yeh
ijazat to tujh say wohi talab kertay hain jinhen na Allah
per eman hai na aakhirat kay din ka yaqeen hai jin kay
dil shak mein paray huye hain aur woh apney shak mein
hi sir-gardan hain. 09.46
Agar inn ka irada jihad kay liye nikalney ka
hota to woh iss safar kay liye saman ki tayyari ker rakhtay
lekin Allah ko inn ka uthna pasand hi na tha iss liye
enhen harkat say hi rok diya aur keh diya gaya kay tum
bethney walon kay sath bethay hi raho. 09.47
Agar yeh tum mein mill ker nikaltay bhi to tumharay
liye siwaye fasad kay aur koi cheez na barhatay bulkay
tumharay darmiyan khoob ghoray dora detay aur tum mein
fitney dalney ki talash mein rehtay inn kay mannay walay
khud tum mein mojood hain aur Allah inn zalimon ko khoob
janta hai. 09.48
Yeh to iss say pehlay bhi fitnay ki talash kertay
rahey hain aur teray liye kaamon ko ulat pulat kertay
rahey hain yahan tak kay haq aa phoncha aur Allah ka hukum
ghalib aagaya bawajood yeh kay woh na khushi mein hi rahey.
09.49
Inn mein say koi to kehta hai mujhay ijazat dijiye
mujhay fitnay mein na daliye aagah raho woh to fitnay
mein parr chukay hain aur yaqeenan dozakh kafiron ko gher
leney wali hai. 09.50
Aap ko agar koi bhalaee mill jaye to unhen bura
lagata hai aur koi buraee phonch jaye to yeh kehtay hain
hum ney to apna moamla pehlay say hi durust ker liya tha
phir to baray hi itratay huye lottay hain.
09.51 Aap
keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein
likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara
kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak
per hi bharosa kerna chahaiye. 09.52
Keh dijiye kay tum humaray baray mein jiss cheez
ka intizar ker rahey ho woh do bhalaeeyon mein say aik
hai aur hum tumharay haq mein iss ka intizar kertay hain
kay ya to Allah Taalaa apney pass say koi saza tumhen
dey ya humaray hathon say pus aik taraf tum muntazir raho
doosri janib tumharay sath hum bhi muntazir hain.
09.53
Keh dijiye kay tum khushi ya na khushi kissi
tarah bhi kharach kero qabool to hergiz na kiya jayega
yaqeenan tum fasiq log ho. 09.54
Koi sabab unn kay kharach ki qabooliyat kay na
honey ka iss kay siwa nahi kay yeh Allah aur uss kay rasool
kay munkir hain aur bari kaahili say hi namaz ko aatay
hain aur buray dil say hi kharach kertay hain.
09.55 Pus
aap ko inn kay maal-o-aulad tajjub mein na daal den. Allah
ki chahat yehi hai kay iss say enhen duniya ki zindagi
mein hi saza dey aur inn kay kufur hi ki halat mein inn
ki janen nikal jayen. 09.56
Yeh Allah ki qasam kha kha ker kehtay hain yeh
tumhari jamat kay log hain halankay woh dar-asal tumharay
nahi baat sirf itni hai kay yeh darpok log hain.
09.57
Agar yeh koi bachao ki jagah ya koi ghaar ya
koi bhi sir ghusaney ki jagah paa len to abhi uss taraf
lagam tor ker ultay bhaag chooten. 09.58
Inn mein woh bhi hain jo kheyraati maal ki taqseem
kay baray mein aap per aib rakhtay hain agar enhen iss
mein say mill jaye to khush hain aur agar iss mein say
na mila to foran hi bigar kharen huye. 09.59
Agar yeh log Allah aur uss kay rasool kay diye
huye per khush rehtay aut keh detay kay Allah humen kafi
hai Allah humen apney fazal say dey ga aur uss ka rasool
bhi hum to Allah ki zaat say hi tawaqqa rakheny walay
hain. 09.60
Sadqay sirf faqeeron kay liye hain aur miskeenon
kay liye aur inn kay wasool kerney walon kay liye aur
unn kay liye jin kay dil parchaye jatay hon aur gardan
churaney mein aur qaraz daron kay liye aur Allah ki raah
mein aur raah ro musafiron kay liye farz hai Allah ki
taraf say aur Allah ilm-o-hikmat wala hai.
09.61 Inn
mein say woh bhi hain jo payghumbar ko ezza detay hain
kehtay hain kay kaan ka kacha hai aap keh dijiye kay woh
kaan tumharay bhalay kay liye hai woh Allah per eman rakha
hai aur musalamanon ki baaton ka yaqeen kerta hai aur
tum mein say jo ehal-e-eman hain yeh unn kay liye rehmat
hai rasool Allah (PBUH) ko jo log ezze detay hain unn
kay liye dukh ki maar hai. 09.62
Mehaz tumhen khush kerney kay liye tumharay samney
Allah ki qasmen kha jatay hain halankey agar yeh eman
daar hotay to Allah aur uss ka rasool raza mand kerney
ka ziyada mustahiq thay. 09.63
Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur
uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay
liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala
hai yeh zabardast ruswaee hai. 09.64
Mufiqon ko her waqt iss baat ka khutka laga rehta
hai kay kahin musalmanon per koi surat na utray jo inn
kay dilon ki baaten unhen batla dey. Keh dijiye kay tum
mazaq uratay raho yaqeenan Allah Taalaa ussay zahir kerney
wala hai jiss say tum darr dubak rahey ho.
09.65 Agar
aap inn say poochen to saaf keh den gay kay hum to yun
hi aapas mein hans bol rahey thay. Keh dijiye kay Allah
ussi ki aayaten aur uss ka rasool hi tumharay hansi mazaq
kay liye reh gaye hain? 09.66
Tum bahaney na banao yaqeenan tum apney eman
kay baad bey eman hogaye agar hum tum mein say kuch logon
say dar guzar bhi kerlen to kuch logon ko unn kay jurm
ki sangeen saza bhi den gay. 09.67
Tamam munafiq mard-o-aurat aapas mein aik hi
hain yeh buri baaton ka hukum detay hain aur bhali baaton
say roktay hain aur apni muthi band rakhtay hain yeh Allah
ko bhool gaye enhen bhula diya be-shak munafiq hi fasiq-o-ba-dkirdar
hain. 09.68
Allah Taalaa inn munafiq mardon aurton aur kafiron
say jahannum ki aag ka wada ker chuka hai jahan yeh hamesha
rehney walay hain wohi enhen kafi hai inn per Allah ki
phitkar hai aur inn hi kay liye daeemi azab hai.
09.69
Misil unn logon kay jo tum say pehlay thay tum
mein say woh ziyada qooat walay thay aur ziyada maal-o-aulad
walay thay pus woh apna deeni hissa barat gaye phir tum
ney bhi apna hissa barat liya jaisay tum say pehlay kay
log apney hissay say faeeda mand huye thay aur tum ney
bhi issi tarah mazaqan behas ki jaisay kay unhon ney ki
thi. Unn kay aemaal duniya aur aakhirat mein ghaarat hogaye
yehi log nuksan paney walay hain. 09.70
Kiya enhen apney say pehlay logon ki khabren
nahi phonchin qom-e-nooh aur aad aur samood aur qom-e-ibrajhim
aur ehal-e-madiyen aur ehal-e-motafiqaat (ulti hui bastiyon
kay rehney walay) ki unn kau pass unn kay payghumbar daleel
ley ker phonchay Allah aisa na tha kay unn per zulm keray
bulkay unhon ney khud hi apney upper zulm kiya.
09.71 Momin
mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay (madadgar-o-maavin
aur) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon
say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain
zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat
maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald
reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala
hai. 09.72
Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney
unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren
lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay
hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn
hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi
sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.
09.73
Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad jari
rakho aur inn per sakht hojao inn ki asli jagah dozakh
hai jo nihayat bad tareen jagah hai. 09.74
Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon
ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki
zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir
hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo
poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley
rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss
kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba
ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun
moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein
dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati
aur madadgar na khara hoga. 09.75
Inn mein woh bhi hain jinhon ney Allah say ehad
kiya tha kay agar woh humen apney fazal say maal dey ga
to hum zaroor sadqa-o-kheyraat keren gay aur neko kaaron
mein hojayen gay. 09.76
Lekin jab Allah ney apney fazal say enhen diya
to yeh iss mein bakheeli kerney lagay aur taal matol ker
kay mun mor liya. 09.77
Pus iss ki saza mein Allah ney inn kay dilon
mein nafaq daal diya Allah say milney kay dinon tak kiyon
kay enhon ney Allah say kiye huye waday ka khilaf kiya
aur kiyon kay jhoot boltay rahey. 09.78
Kiya woh nahi jantay kay Allah Taalaa ko unn
kay dil ka bhed aur unn ki sirgoshi sab maloom hai aur
Allah Taalaa ghaib ki tamam baaton say khabardaar hai.
09.79
Jo log inn musalmanon per taanaa zani kertay
hain jo dil khol ker kheyraat kertay hain aur unn logon
per jinhen siwaye apni mehnat mazdoori kay aur kuch mayyasar
hi nahi pus yeh unn ka mazaq uratay hain Allah bhi inn
say tamaskhur kerta hai enhi kay liye dard naak azab hai.
09.80
Inn kay liye istaghfaar ker ya na ker. Agar tu
satter martaba bhi inn kay liye istaghfaar keray to bhi
Allah enhen hergiz na bakhshay ga yeh iss liye kay enhon
ney Allah say aur uss kay rasool say kufur kiya hai aisay
fasiq logon ko rab karim hidayat nahi deta.
09.81 Peefchay
reh janey walay log rasool Allah (PBUH) kay janey kay
baad apney bethay rehney per khush hain enhon ney Allah
ki raah mein apney maal aur apni janon say jihad kerna
na pasand rakha aur enhon ney keh diya kay iss garmi mein
mat niklo. Keh dijiye kay dozakh ki aag boht hi sakht
garam hai kaash kay woh samajhtay hotay.
09.82 Pus
enhen chahaiye kay boht kum hansen aur boht ziyada royen
badlay mein uss kay jo yeh kertay hain. 09.83
Pus agar Allah Taalaa aap ko inn ki kissi jamat
ki taraf lota ker wapis ley aaye phir yeh aap say maidan-e-jang
mein nikalney ki ijazat talab keren to aap keh dijiye
kay tum meray hergiz chal nahi saktay aur na meray sath
tum dushmanon say laraee ker saktay ho. Tum ney pehli
martaba hi beth rehney ko pasand kiya tha pus tum peechay
reh janey walon mein hi bethay raho. 09.84
Inn mein say koi marr jaye to aap uss kay janazay
ki hergiz namaz na parhen aur na uss ki qabar per kharay
hon. Yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur
martay dum tak bad kaar bey ita’at rahen hain.
09.85
Aap ko inn kay maal-o-aulad kuch bhi bhalay na
lagen! Allah ki chahat yehi hai kay enhen inn cheezon
say dunyawi saza dey aur yeh apni janen nikalney tak kafir
hi rahen. 09.86
Jab koi surat utari jati hai kay Allah per eman
lao aur uss kay rasool kay sath mill ker jihad kero to
inn mein say dolat mandon kay aik tabqa aap kay pass aaker
yeh keh ker rukhsat ley leta hai kay humen to bethay rehney
walon mein hi chor chor dijiye. 09.87
Yeh to khana nasheen aurton ka sath denay per
reejh gaye aur inn kay dilon per mohar laga di gaee abb
woh kuch samajh aqal nahi rakhtay. 09.88
Lekin khud rasool Allah (PBUH) aur iss kay sath
kay eman walay apney maalon aur janon say jihad kertay
hain yehi log bhalaiyon walay hain aur yehi log kaamyabi
hasil kerney walay hain. 09.89
Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki
hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha
rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai.
09.90 Badiya
nasheenon mein say uzur walay log hazir huye kay enhen
rukhsat dey di jaye aur woh beth rahey jinhon ney Allah
say aur uss kay rasool say jhooti baaten banaee thin,
abb to inn mein jitney kuffaar hain enhen dukh denay wali
maar phonch ker rahey gi. 09.91
Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay
pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay
woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen
aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa
bari maghfirat-o-rehmat wala hai. 09.92
Haan unn per bhi koi haraj nahi jo aap kay pass
aatay hain kay aap unhen sawari mohiyya ker den to aap
jawab detay hain kay mein to tumahri sawari kay liye kuch
bhi nahi pata to woh ranj-o-ghum say apni aakhon say aansoo
bahatay huye lot jatay hain kay enhen kharach kerney kay
liye kuch bhi mayyasar nahi. 09.93
Be-shak unhin logon per raah-e-ilzam hai jo bawajood
dolat mand honey kay aap say ijazat talab kertay hain.
Yeh khana nasheen aurton ka sath denay per khush hain
aur inn kay dilon per mohar-e-khudawandi lagg chuki hai
jiss say woh mehaz bey ilm hogaye hain. |
| |
|