| Parah-Yaataziroon
11 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Tauba
09 |
| (Sura-Tauba Madina mai
Nazil hui, is mai aikso-unattees (129) Aayatain hain) |
| |
09.94
Yeh log tumharay samney uzur paish keren gay
jab tum inn kay pass wapis jaogay. Aap keh dijiye kay
yeh uzur paish mat kero hum kabhi tum ko sacha na samjhen
gay Allah Taalaa hum ko tumhari khabar dey chuka hai aur
aaenda bhi Allah aur uss ka rasool tumhari kaar guzari
dekh len gay phir aisay kay pass lotaye jaogay jo posheeda
aur zahir sab ka jannay wala hai phir woh tum ko bata
dey ga jo kuch tum kertay thay. 09.95
Haan woh abb tumharay samney Allah ki qasmen
kha jayen gay jab tum unn kay pass wapis jaogay takay
tum unn ko unn ki halat per chor do. So tum unn ko unn
ki halat per chor do. Woh log bilkul ganday hain aur unn
ka thikana dozakh hai unn kaamon kay badlay jinhen woh
kiya kertay thay. 09.96
Yeh iss liye qasmen khayen gay kay tum inn say
razi hojao to Allah Taalaa to aisay fasiq logon say razi
nahi hota. 09.97
Dehati log kufur aur nifaq mein boht hi sakht
hain aur unn ko aisa hona hi chahaiye kay unn ko inn kay
ehkaam ka ilm na ho jo Allah Taalaa ney apney rasool per
nazil farmaye hain aur Allah bara ilm wala bari hikmat
wala hai. 09.98
Aur inn dehatiyon mein baaz aisay hain kay jo
kuch kharach kertay hain uss ko jurmana samajhtay hain
aur tum musalmanon kay wastay buray waqt kay muntazir
rehtay hain bura waqt inn hi per parney wala hai aur Allah
sunnay wala aur jannay wala hai. 09.99
Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo
Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay
hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb
hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay
hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak
inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor
apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat
wala bari rehmat wala hai. 09.100
Aur jo mohajreen aur ansaar sabiq aur muqaddam
hain aur jitney log ikhlaas kay sath unn kay pairo hain
Allah unn sab say razi hua aur woh sab uss say razi huye
aur Allah ney unn kay liye aisay baagh mohiyya ker rakhay
hain jin kay neechay nehren jaari hongi jin mein hamesha
rahen gay yeh bari kaamyabi hai.
09.101 Aur
kuch tumharay gird-o-paish walon mein aur kuch madinay
walon mein aisay munafiq hain kay nifaq per aray huye
hain aap inn ko nahi jantay inn ko hum jantay hain hum
inn ko dohri saza den gay phir woh baray bhari azab ki
taraf bhejay jayen gay. 09.102
Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari
hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay
aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool
farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari
rehmat wala hai. 09.103
Aap inn kay maalon mein sadqa ley lijiye jiss
kay zariye say aap inn ko pak saaf ker den aur inn kay
liye dua kijiye bila shuba aap ki dua inn kay liye mojib-e-itminaan
hai aur Allah Taalaa khoob sunta hai khoob janta hai.
09.104
Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney
bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool
farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein
aur rehmat kerney mein kaamil hai. 09.105
Keh dijiye kay tum amal kiye jao tumharay amal
Allah khud dekh ley ga aur uss ka rasool aur eman walay
(bhi dekh len gay) aur zaroor tum ko aisay kay pass jana
hai jo tamam chupi aur khuli cheezon ka jannay wala hai.
So woh tum ko tumhara sab kiya hua batla dey ga.
09.106
Aur kuch aur log hain jin ka moamla Allah kay
hukum aaney tak mulatawee hai unn ko saza dey ga ya unn
ki toba qabool ker ley ga aur Allah khoob jannay wala
hai bara hikmata wala hai. 09.107
Aur baaz aisay hain jinhon ney inn aghraaz kay
liye masjid banaee hai kay zarrar phonchayen aur kufur
ki baaten keren aur eman daron mein tafreeq dalen aur
uss shaks kay qayam ka saman keren jo iss say pehlay say
Allah aur rasool ka mukhalif hai aur qasmen kha jayen
gay kay ba-juz bhalaee kay aur humari kuch neeyat nahi
aur Allah gawah hai kay woh bilkul jhootay hain.
09.108
Aap iss mein kabhi kharay na hon. Albatta jiss
masjid ki bunyaad awwal din say taqwa per rakhi gaee hai
woh iss laeeq hai kay aap iss mein kharay hon iss mein
aisay aadmi hain kay woh khoob pak honey ko pasand kertay
hain aur Allah Taalaa khoob pak honey walon ko pasand
kerta hai. 09.109
Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni
emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi
per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki
bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi
ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh
mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh
hi nahi deta. 09.110
Inn ki yeh emaarat jo enhon ney banaee hai hamesha
inn kay dilon mein shak ki bunyaad per (kaanta bann ker)
khutakti rahey gi haan magar inn kay dil hi agar paash
paash hojayen to khair aur Allah Taalaa bara ilm wala
bari hikmat wala hai.
09.111 Bila
shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko
aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya
hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah
mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal
kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat
mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada
apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni
iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi
manao aur yeh bari kaamyabi hai. 09.112
Woh aisay hain jo tauba kerney walay ibadat kerney
walay hamd kerney walay roza rakhney walay (yaa raah-e-haq
mein safar kerney walay) rukoo aur sajda kerney walay
nek baaton ki taleem kerney walay aur buri baaton say
baaz rakhney walay aur Allah ki haddon ka khayal rakhney
walay hain aur aisay momineen ko aap khushkhabri suna
dijiye. 09.113
Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez
nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen
agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho
janey kay baad kay yeh log dozakhi hain.
09.114 Aur
ibrahim (alh-e-salam) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat
maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss
say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir
hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz
mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim (alh-e-salam) baray
naram dil aur burd baar thay. 09.115
Aur Allah aisa nahi kerta kay kissi qom ko hidayat
ker kay baad mein gumrah kerdey jab tak kay unn cheezon
ko saaf saaf na batla dey jin say woh bachen be-shak Allah
Taalaa her cheez ko khoob janta hai. 09.116
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin
mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay
siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
09.117 Allah
Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur
mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi
tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay
inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho
chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee.
Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban
hai. 09.118
Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla
multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood
apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud
apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay
Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay
ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja
farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak
Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham
wala hai. 09.119
Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur sachon
kay sath raho. 09.120
Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn
kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay
rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh
kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss
sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi
aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi
aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua
ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn
kay naam (aik aik) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah
Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta.
09.121 Aur
jo kuch chota bara enhon ney kharach kiya aur jitney maidan
inn ko tey kerney paray yeh sab bhi inn kay naam likha
gaya takay Allah Taalaa inn kay kaamon ka achay say acha
badla dey. 09.122
Aur musalmanon ko yeh na chahaiye kay sab kay
sab nikal kharay hon so aisa kiyon na kiya jaye kay inn
ki her bari jamat mein say aik choti jamat jaya keray
takay woh deen ki samajh boojh hasil keren aur takay yeh
log apni qom ko jabkay woh inn kay pass aayen darayen
takay woh darr jayen. 09.123
Aey eman walon! inn kuffaar say laro jo tumharay
aas pass hain aur inn ko tumharay andar sakhti pana chahaiye
aur yeh yaqeen rakho kay Allah Taalaa muttaqi logon kay
sath hai. 09.124
Aur jab koi surat nazil ki jati hai to baaz munafiqeen
kehtay hain kay iss surat ney tum mein say kiss kay eman
ko ziyada kiya hai so log jo eman walay hain iss surat
ney unn kay eman ko ziyada kiya hai aur woh khush horahey
hain. 09.125
Aur jin kay dilon mein rog hai iss surat ney
unn mein unn ki gandagi kay sath aur gandagi barha di
aur woh halat-e-kufur hi mein marr gaye.
09.126 Aur
kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik
baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay
hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay
hain. 09.127
Aur jab koi surat nazil ki jati hai to aik doosray
ko dekhney lagtay hain kay tum ko koi dekhta to nahi phir
chal detay hain Allah Taalaa ney inn ka dil pher diya
hai iss waja say kay woh bey samajh log hain.
09.128 Tumharay
pass aik aisay payghumber tashreef laye hain jo tumhari
jinss mein say hain jin per tumhari takleef boht hi dushwaar
guzarti hai jo tumhari bhalaee kay khuwan hain. Jo musalmanon
per baray hi shafiq aur meharban hain. 09.129
Phir agar roo gardaani keren to aap keh dijiye
kay meray liya Allah kafi hai iss kay siwa koi mabood
nahi. Mein ney issi per bharosa kiya aur woh baray arsh
ka maalik hai. |
|
| Surat-Younus
10 |
| (Sura-Younus Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-nou (109) Aayatain hain) |
| |
10.01
Alif-laam-raa ye pur hikmat kitab ki aayaten
hain. 10.02
Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay
hum ney inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di
kay sab aadmiyon ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko
yeh khushkhabri suniye kay inn kay rab kay pass inn ko
poora ajar-o-martaba milay ga. Kafiron ney kaha yeh shaks
to bila shuba sareeh jadoogar hai. 10.03
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney
aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir
arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai.
Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney
wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat
kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.
10.04 Tum
sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada
ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta
hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon
ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf
kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay
wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak
azab hoga unn kay kufur ki waja say. 10.05
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta
hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye
manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab
maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey
faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf
batla raha hai jo danish rakhtay hain. 10.06
Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray
aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin
mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel
hain jo Allah ka darr rakhtay hain. 10.07
Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi
hai aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss
mein ji laga bethay hain aur jo log humari aayaton say
ghafil hain. 10.08
Aisay logon ka thikana unn kay aemaal ki waja
say dozakh hai. 10.09
Yaqeenan jo log emaan laye aur unhon ney nek
kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn
kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin
key neechay nehren jari hongi. 10.10
Unn kay mun say yeh baat niklay gi “Subhan
Allah” (Allah Pak hai) aur unn ka bahumi salam yeh
hoga “Assalam-o-Alaikum” (Aap per Salamti
ho) aur unn ki akheer baat yeh hogi "Alhamd-o-Lillah-e-Rab-ul-Aalameen"
(tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaano ka
rab hai).
10.11 Aur
agar Allah logon per jaldi say nuksan waaqay ker diya
kerta jiss tarah woh faeeday kay liye jaldi machatay hain
to unn ka wada kabhi ka poora ho chuka hota. So hum unn
logon ko jin ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai
unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni sirkashi mein
bhataktay rahen. 10.12
Aur jab insan ko koi takleef phonchti hai to
hum ko pukarta hai letay bhi bethay bhi kharay bhi. Phir
jab hum uss ki takleef uss say hata detay hain to woh
aisa hojata hai kay goya uss ney apni takleef kay liye
jo ussay phonchi thi kabhi humen pukara hi na tha inn
hadd say guzarney walon kay aemaal ko unn kay liye issi
tarah khushnuma bana diya gaya hai. 10.13
Aur hum ney tum say pehlay boht say girohon ko
halak ker diya jabkay unhon ney zulm kiya halankay unn
kay pass unn kay payghumber bhi dalaeel ley ker aaye aur
woh aisay kab thay kay eman ley aatay? Hum mujrim logon
ko aisi hi saza diya kertay hain. 10.14
Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye
unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum
kiss tarah kaam kertay ho. 10.15
Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati
hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray
pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay
siwa koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem
ker dijiye. Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay
mein apni taraf say iss mein tarmeem kerdoon bus mein
to issi ki ittabaa keroon ga jo meray pass wahee kay zariye
say phoncha hai agar mein apney rab ki na farmani keroon
to mein aik baray din kay azab ka andesha rakhta hun.
10.16
Aap yun keh dijiye kay agar Allah ko manzoor
hota to na to mein tum ko woh parh ker sunata aur na Allah
Taalaa tum ko iss ki itlaa deta kiyon kay mein iss say
pehlay to aik baray hissay umar tak mein tum mein reh
chuka hun. Phir kiya tum aqal nahi rakhtay.
10.17 So
uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot
bandhay ya uss ki aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay
mujrimon ko aslan falah na hogi. 10.18
Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat
kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn
ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay
pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum
Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa
ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh
pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.
10.19 Aur
tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf
peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab
ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein
yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho
chuka hota. 10.20
Aur yeh log yun kehtay hain kay inn per inn kay
rab ki janib say koi nishani kiyon nahi nazil hoti? So
aap farma dijiye kay ghaib ki khabar sirf Allah ko hai
so tum bhi muntazir raho mein bhi tumharay sath munatazir
hun.
10.21 Aur
jab hum logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat
parr chuki ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to
woh foran hi humari aayaton kay baray mein caalen chalney
lagtay hain aap keh dijiye kay Allah chaal chalney mein
tum say ziyada tez hai bil yaqeen humaray farishtay tumhari
sab chaalon ko likh rahey hain. 10.22
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya
mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay
ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye
ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain
inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf
say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay
hain kay (buray) aa ghiray (ussa waqat) sab khalis aetiqaad
ker kay Alla hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss
say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.
10.23
Phri jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to
foran hi woh zamin mein na haq sirkashi kerney lagtay
hain aey logo! Yeh tumhari sirkashi tumharay liye wabaal
honey wali hai dunyawi zindagi kay (chand) faeeday hain
phir humaray pass tum ko aana hai phir hum sab tumhara
kiya hua tum ko batla den gay. 10.24
Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay
hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki
nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan
ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka
poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee
aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per
bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per
humari taraf say koi hukum (azab) aa para so hum ney uss
ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay
hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay
logon kay liye jo sochtay hain. 10.25
Aur Allah Taalaa salamti kay ghar ki taraf tum
ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast per
chalney ki tofiq deta hai. 10.26
Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi
hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi
chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay
hain woh iss mein hamesha rehen gay. 10.27
Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki
saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye
gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya
unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet
diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain
woh iss mein hamesha rahen gay. 10.28
Aur woh din bhi qabil-e-ziker hai jiss roz hum
inn sab ko jama keren gay phir mushrikeen say kahen gay
kay tum aur tumharay shareek apni jagah thehro phir hum
inn kay aapas mein phoot daal den gay aur inn kay woh
shurka kahen gay kay tum humari ibadat nahi kertay thay.
10.29
So humaray tumharya darmiyan Allah kafi hai gawah
kay tor per kay hum ko tumhari ibadat ki khabar bhi na
thi. 10.30
Uss muqam per her shaks apney aglay kiye huye
kaamon ki jaanch ker ley ga aur yeh log Allah ki taraf
jo inn ka malik-e-haqeeqi hai lotaye jayen gay aur jo
kuch jhoot bandha kertay thay sab unn say ghaeeb hojayen
gay.
10.31 Aap
kahiye kay woh kaun hai jo tum ko aasman aur zamin say
rizq phonchata hai ya woh kaun hai jo kanon aur aankhon
per poora ikhtiyar rakhta hai aur woh kaun hai jo zinda
ko murda say nikalta hai aur murda ko zinda say nikalta
hai aur woh kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeeren kerta
hai? Zaroor woh yehi kahen gay kay “Allah”
to unn say kahiye phir kiyon nahi dartay.
10.32 So
yeh hai Allah Taalaa jo tumahra rab haqeeqi hai. Phir
haq kay baad aur kiya reh gaya ba-juz gumrahi kay phir
kahan phiray jatay ho. Issi tarah aap kay rab ki yeh baat
kay yeh eman na layen gay tamam fasiq logon kay haq mein
sabit ho chuki hai. 10.33
Aap yun kahiye kay kiya tumharay shurka mein
koi aisa hai jo pehli baar bhi peda keray phir doobara
bhi peda keray? Aap keh dijiye kay Allah hi pehli baar
peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga. Phir
tum kahan phiray jatay ho? 10.34
Aap kahiye kay tumharay shurka mein koi aisa
hai kay haq ka raasta batata ho? Aap keh dijiye kay Allah
hi haq ka raasta batata hai. To phir aaya jo shaks haq
ka raasta batata ho woh ziyada ittabaa kay laeeq hai ya
woh shaks jiss ko baghair bataye khud hi raasta na soojhay?
Pus tum ko kiya hogaya hai tum kaisay faislay kertay ho.
10.35
Aur inn mein say aksar log sirf gumaan per chal
rahey hain. Yaqeenan gumaan haq (ki maarfat) mein kuch
bhi kaam nahi dey sakta yeh jo kuch ker rahey hain yaqeenan
Allah ko sab khabar hai. 10.36
Aur yeh quran aisa nahi hai kay Allah (ki wahee)
kay baghair (apney hi say) gharr liya gaya ho. Bulkay
yeh to (unn kitabon ki) tasdeeq kerney wala hai jo iss
kay qabal (nazil) ho chuki hain aur kitab (ehkaam-e-zarooriya)
ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak
ki nahi kay rab-ul-aalameen ki taraf say hai.
10.37 Kiya
yeh log yun kehtay hain kay aap ney iss ko gharr liya
hai? Aap keh dijiye kay phir tum iss ki misil aik hi surat
lao aur jin jin ghair Allah ko bula sako bula lo agar
sachay ho. 10.38
Bulkay aisi cheezon ki takzeeb kerney lagay jiss
ko apney ehaat-e-ilmi mein nahi laye aur hanooz inn ko
iss ka akheer nateeja nahi mila. 10.39
Jo log inn say pehlay huye hain issi tarah unhon
ney bhi jhutlaya tha so dekh lijiye unn zalimon ka anjam
kaisa hua? 10.40
Aur inn mein say baaz aisay hain jo iss per eman
ley aayen gay aur baaz aisay hain kay iss per eman na
layen gay. Aur aap ka rab mufisdon ko khoob janta hai.
10.41 Aur
agar aap ko jhutlatay rahen to yeh keh dijiye kay meray
liye mera amal aur tumhara liye tumhara amal tum meray
amal say bari ho aur mein tumharay amal say bari hun.
10.42
Aur inn mein say baaz aisay hain jo aap ki taraf
kaan lagaye bethay hain. Kiya aap behron ko sunatay hain
go unn ko samajh bhi na ho? 10.43
Aur inn mein baaz aisay hain jo aap ko takk rahey
hain. Phir kiya aap andhon ko raasta dikhlana chahatay
hain go inn ko baseerat bhi na ho? 10.44
Yeh yaqeeni baat hai kay Allah logon per kuch
zulm nahi kerta lekin log khud hi apni janon per zulm
kertay hain. 10.45
Aur inn ko woh din yaad dulaiye jiss mein Allah
inn ko (apney huzoor) jama keray ga (to inn ko aisa mehsoos
hoga) kay goya woh (duniya mein) saray din ki aik aadh
ghari rahey hongay aur aapas mein aik doosray ko pehchanney
ko thehray hon. Waqaee khasaray mein paray woh log jinhon
ney Allah kay pass janey ko jhutlaya aur woh hudayat paney
walay na thay. 10.46
Aur jiss ka inn say hum wada ker rahey hain uss
mein say kuch thora sa agar hum aap ko dikhla den ya (unn
kay zahoor say pehlay) hum aap ko wafat dey den so humaray
pass to inn ko aana hi hai. Phir Allah inn kay sab afaal
per gawah hai. 10.47
Aur her ummat kay liye aik rasool hai so jab
unn kay woh rasool aa chukta hai unn ka faisla insaf kay
sath kiya jata hai aur unn per zulm nahi kiya jata.
10.48
Aur yeh log kehtay hain kay yeh wada kab hoga?
Agar tum sachay ho. 10.49
Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye
to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta
hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay
liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa
phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain
aur na aagay sirak saktay hain. 10.50
Aap farma dijiye kay yeh batlao kay agar tum
per Allah ka azab raat ko aa paray ya din ko to azab mein
konsi cheez aisi hai kay mujrim log iss ko jaldi maang
rahey hain.
10.51 Kiya
phir jab woh aa hi paray ga uss per eman lao gay. Haan
abb mana! Halankay tum iss ki jaldi machaya kertay thay.
10.52
Phri zalimon say kaha jayega ka hamesha ka azab
chakho. Tum ko to tumharay kiye ka hi badla mila hai.
10.53
Aur woh aap say daryaft kertay hain kay kiya
azab waqaee sach hai? Aap farma dijiye kay haan qasam
hai meray rab ki woh waqaee sach hai aur tum kissi taraf
Allah ko aajiz nahi ker saktay. 10.54
Aur agar her jaan jiss ney zulm (shirk) kiya
hai kay pass itna ho kay sari zamin bhar jaye tab bhi
uss ko dey ker apni jaan bachaney lagay aur jab azab ko
dekhen gay tp pasheymani ko posheeda rakhen gay. Aur inn
ka faisla insaf kay sath hoga. Aur inn per zulm na hoga.
10.55
Yaad rakho kay jitni cheezen aasmanon aur zamin
mein hain sab Allah hi kay mulk mein hain. Yaad rakho
kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin boht say aadmi
ilm nahi rakhtay. 10.56
Wohi jaan dalta hai aur wohi jaan nikalta hai
aur tum sab ussi kay pass laye jaogay. 10.57
Aey logo! Tumharay pass tumhara rab ki taraf
say aik aisi cheez aaee hai jo naseehat hai aur dilon
mein jo rog hain unn kay liye shifa hai aur rehnumaee
kerney wali hai aur rehmat hai eman walon kay liye.
10.58
Aap keh dijiye kay bus logon ko Allah key iss
inam aur rehmat per khush hona chahaiye. Woh iss say ba-darjaha
behtar hai jiss ko woh jama ker rahey hain.
10.59 Aap
kahiye kay yeh to batao kay Allah ney tumharay liye jo
kuch rizq bheja tha phri tum ney uss ka kuch hissa haram
aur kuch halal qarar dey liya. Aap poochiye kay kiya tum
ko Allah ney hukum diya tha ya Allah per iftra hi kertay
ho? 10.60
Aur jo log Allah per jhoot iftrra bandhtay hain
unn ka qayamat ki nisbat kiya gumaan hai? Waqaee logon
per Allah Taalaa ka bara hi fazal hai lekin aksar aadmi
shukar nahi kertay.
10.61 Aur
aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap
kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon
hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool
hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar
bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na
koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh
sab kitab-e-mubin mein hai. 10.62
Yaad rakho kay Allah kay doston per na koi andesha
hai aur na woh ghumgeen hotay hain. 10.63
Yeh woh log hain jo eman laye aur (buraiyon say)
perhez rakhtay hain. 10.64
Inn kay liye dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat
mein bhi khushkhabri hai Allah Taalaa ki baaton mein kuch
farq hua nahi kerta. Yeh bari kaamyabi hai.
10.65 Aur
aap ko inn ki baaten ghum mein na daalen. Tamam tar ghalba
Allah hi kay liye hai woh sunta janta hai.
10.66 Yaad
rakho kay jitney kuch aasman mein hain aur jitney zamin
mein hain yeh sab Allah hi kay hain aur jo log Allah ko
chor ker doosray shurka ki ibadat ker rahey hain kiss
cheez ki ittabaa ker rahey hain aur mehaz atkalen laga
rahey hain. 10.67
Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee
takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per
banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein
dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain.
10.68
Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan
Allah! Woh to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai
jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay
pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi
baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay.
10.69 Aap
keh dijiye kay jo log Allah per jhoot iftra kertay hain
woh kaamyab na hongay. 10.70
Yeh duniya mein thora sa aish hai phir humaray
pass inn ko aana hai phir hum inn ko inn kay kufur kay
badlay sakht azab chakhayen gay.
10.71 Aur
aap inn ko nooh (alh-e-salam) ka qissa parh ker sunaiye
jab kay unhon ney apni qom say farmaya kay aey meri qom!
Agar tum ko mera rehna aur ehkaam-e-elahi ki naseehat
kerna bhari maloom hota hai to mera to Allah hi per bharosa
hai. Tum apni tadbeer maaye apney shurka kay pukhta kerlo
phir tumhari tadbeer tumhari ghuttan ka baees nahi honi
chahaiye. Aur phir meray sath ker guzro aur mujh ko mohlat
na do. 10.72
Phir bhi agar tum aeyraaz hi kiye jao to mein
ney tum say koi maawza to nahi maanga mera maawza to sirf
Allah hi kay zimmay hai aur mujh ko hukum kiya gaya hai
kay mein musalmanon mein say rahon. 10.73
So woh log inn ko jhutlatay rahey pus hum ney
inn ko aur jo inn kay sath kashti mein thay unn ko nijat
di aur unn ko janasheen banaya aur jinhon ney humari aayaton
ko jhutlaya tha unn ko gharq ker diya. So dekhna chahaiye
kaisa anjam hua unn logon ka jo daraye jaa chukay thay.
10.74
Phir nooh (alh-e-salam) kay baad hum ney aur
rasoolon ko unn ki qom ki taraf bheja so woh unn kay pass
roshan daleelen ley ker aaye pus jiss cheez ko unhon ney
awwal mein jhoota keh diya yeh na hua ka phir uss ko maan
letay. Allah Taalaa issi tarah hadd say barhney walon
kay dilon per band laga deta hai. 10.75
Phir inn payghumbaron kay baad hum ney musa (alh-e-salam)
aur haroon (alh-e-salam) ko firaon aur uss kay sardaron
kay pass apni nishaniyan dey ker bheja. So unhon ney takabbur
kiya aur woh log mujrim qom thay. 10.76
Phir jab unn ko humaray pass say sahih daleel
phonchi to woh log kehney lagay kay yaqeenan yeh sareeh
jadoo hai. 10.77
Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay kiya tum iss
sahih daleel ki nisbat jabkay woh tumharay pass phonchi
aisi baat kehtay ho kiya yeh jadoo hai halankay jadoogar
kaamyab nahi hua keray. 10.78
Woh log kehney lagay kiya tum humaray pass iss
liye aaye ho kay hum ko iss tareeqay say hata do jiss
per hum ney apney baap dadon ko paya hai aur tum dono
ko duniya mein baraee mill jaye aur hum tum dono ko kabhi
na manen gay. 10.79
Aur firaon ney kaha meray pass tamam maahir jadoogaron
ko hazir kero. 10.80
Phir jab jadoogar aaye to musa (alh-e-salam)
ney unn say farmaya kay dalo jo kuch tum dalney walay
ho.
10.81 So
jab unhon ney dala to musa (alh-e-salam) ney farmaya kay
yeh jo kuch tum laye ho jadoo hai. Yaqeeni baat hai kay
Allah iss ko abhi darhum barhumkiye deta hai Allah aisay
dasadiyon ka kaam bannay nahi deta. 10.82
Aur Allah Taalaa haq ko apney farmaan say sabit
ker deta hai go mujrim kaisa hi na gawar samjhen.
10.83
Pus musa (alh-e-salam) per unn ki qom mein say
sirf qadray qaleel aadmi eman laye woh bhi firaon say
aur apney hukkaam say dartay dartay kay kahin unn ko takleef
phonchaye uss mulk mein firaon tha bhi sirkash aur tha
bhi woh insaf ki hadd say guzar janey walon mein.
10.84
Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya aey meri qom!
Agar tum Allah per eman rakhtay ho to ussi per tawakkal
kero agar tum musalman ho. 10.85
Unhon ney arz kiya kay hum ney Allah hi per tawakkal
kiya. Aey humaray perwerdigar! Hum ko inn zalimon kay
liye fitna na bana. 10.86
Aur hum ko apni rehmat say inn kafir logon say
nijat dey. 10.87
Aur hum ney musa (alh-e-salam) aur unn kay bhai
kay pass wahee bheji kay tum dono apney unn logon kay
liye misir mein ghar bar-qarar rakho aur tum sab apney
enhi gharon ko namaz parhney ki jagah qarar dey lo aur
namaz kay paband raho aur aap musalmanon ko bisharat dey
den. 10.88
Aur musa (alh-e-salam) ney arz kiya aey humaray
rab! Tu ney firaon ko aur uss kay sardaron ko saman-e-zeenat
aur tarah tarah kay maal dunayawi zindagi mein diye. Aey
humaray rab! (issi wastay diye hain kay) woh teri raah
say gumrah keren. Aey humaray rab! Unn kay malon ko neest-o-nabood
ker dey aur unn kay dilon ko sakht ker dey so yeh eman
na laa payen yahan tak kay dard naak azab ko dekh len.
10.89
Haq Taalaa ney farmaya kay tum dono ki dua qabool
ker li gaeeso tum sabit qadam raho aur unn logon ki raah
na chalna jin ko ilm nahi. 10.90
Hum ney bani israeel ko darya say paar ker diya
phir unn kay peechay peechay firaon apney lashkar kay
sath zulm aur ziyadti kay iraday say chala yahan tak kay
jab dobney laga to kehney laga mein eman lata hun kay
jiss per bani israeel eman laye hain uss kay siwa koi
mabood nahi aur mein musalman mein say hun.
10.91 (jawab
diya gaya kay) abb eman lata hai? Aur pehlay sirkashi
kerta raha aur mufsidon mein dakhil raha.
10.92 So
aaj hum sirf teri laash ko nijat den gay takay tu unn
kay liye nishan-e-ibrat ho jo teray baad hain aur haqeeqat
yeh hai kay boht say aadmi humari nishaniyon say ghafil
hain. 10.93
Aur hum ney bani israeel ko boht acha thikana
rehney ko diya aur hum ney unhen pakeezah cheezen khaney
ko den. So unhon ney ikhtilaf nahi kiya yahan tak kay
unn kay pass ilm phonch gaya. Yaqeeni baat hai kay aap
ka rab unn kay darmiyan qayamat kay din unn umoor mein
faisla ker dey ga jinn mein woh ikhtilaf kertay thay.
10.94
Phir agar aap iss ki taraf say shak mein hon
jiss ko hum ney aap kay pass bheja hai to aap unn logon
say pooch dekhiye jo aap say pehlay kitabon ko parhtay
hain. Be-shak aap kay pass aap kay rab ki taraf say sachi
kitab aaee hai. Aap hergiz shak kerney walon mein say
no hon. 10.95
Aur na unn logon mein say hon jinhon ney Allah
Taalaa ki aayaton ko jhutalaya kahin aap khasara paaney
walon mein say na hojayen. 10.96
Yaqeenan jin logon kay haq mein aap kay rab ki
baat sabit ho chuki hai woh eman na layen gay.
10.97 Go
inn kay pass tamam nishaniyan phonch jayen jab tak kay
woh dard naak azab ko na dekh len. 10.98
Chunacha koi basti eman na laee kay eman lana
uss ko nafey hota siwaye younus (alh-e-salam) ki qom kay.
Jab woh eman ley aaye to hum ney ruswaee kay azab ko dunyawi
zindagi mein unn per say taal diya aur unn ko aik waqt
(khas) tak kay liye zindagi say faeeda uthaney (ka moqa)
diya. 10.99
Aur agar aap ka rab chahata to tamam roy-e-zamin
kay log sab kay sab eman latay to kiya aap logon per zabardasti
ker saktay hain yahan tak kay woh momin hi ho jayen.
10.100
Halankay kissi shaks ka eman lana Allah kay hukum
kay baghair mumkin nahi. Aur Allah Taalaa bey aqal logon
per gandagi daal deta hai. 10.101
Aap keh dijiye kay tum ghor kero kay kiya kiya
cheezen aasmanon mein aur zamin mein hain aur jo log eman
nahi latay unn ko nishaniyan aur dhamkiyan kuch faeeda
nahi phonchatin.
10.102
So woh log sirf unn logon kay say waqiyaat ka
intizar ker rahey hain jo inn say pehlay guzr chukay hain.
Aap farma dijiye kay acha to tum intizar mein raho mein
bhi tumharay sath intizar kerney walon mein hun.
10.103
Phir hum apney payghumbaron ko aur eman walon
ko bacha letay thay issi tarah humaray zimmay hai kay
hum eman walon ko nijat diya kertay hain.
10.104
Aap keh dijiye kay aey logo! Tum meray deen ki
taraf say shak mein ho to mein inn maboodon ki ibadat
nahi kerta jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay
ho lekin haan uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari
jaan qabz kerta hai. Aur mujh ko yeh hukum hua hai kay
mein eman laney walon mein say hun. 10.105
Aur yeh kay apna rukh yaksoo hoker (iss) deen
ki taraf ker lena aur kabhi mushrikon mein say na hona.
10.106
Aur Allah ko chor ker aisi cheez ki ibadat mat
kerna jo tujh ko na koi nafa phoncha sakay aur na koi
zarrar phoncha sakay. Phir agar aisa kiya to tum iss halat
mein zalimon mein say ho jao gay. 10.107
Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to
ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai
aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss
kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney
bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh
bari maghfirat bari rehmat wala hai. 10.108
Aap keh dijiye kay aey logo! Tumharay pass haq
tumharay rab ki taraf say phonch chuka hai iss liye jo
shaks raah-e-raast per aajaye so woh apney wastay raah-e-raast
per aaye ga aur jo shaks bey raah rahey ga uss ka bey
raah hona ussi per paray ga aur mein tum per musallat
nahi kiya gaya. 10.109
Aur aap uss ki ittabaa kertay rahiye jo kuch
aap kay pass wahee bheji jati hai aur sabar kijiye yahan
tak kay Allah faisla ker dey aur woh sab faisla kerney
walon mein acha hai. |
| |
| Surat-Hood
11 |
| (Sura-Hood Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-taees (123) Aayatain hain) |
| |
11.01
Alif-laam-raa yeh aik aisi kitab hai kay iss
ki aayaten mohkum ki gaee hain phir saaf saaf biyan ki
gaee hain aik hakeem ba khabar ki taraf say.
11.02 Yeh
kay Allah kay siwa kissi ki ibadat mat kero mein tum ko
Allah ki taraf say daraney wala aur bisharat denay wala
hun. 11.03
Aur yeh kay tum apney gunah apney rab say moaf
kerao phir ussi ki taraf mutawajja raho woh tum ko waqt-e-muqarrara
tak acha saman (zindagi) dey ga aur her ziyada amal kerney
walay ko ziyada sawab dey ga. Aur agar tum log aeyraaz
kertay rahey to mujh ko tumharay liye aik baray din kay
azab ka andesha hai. 11.04
Tum ko Allah hi kay pass jana hai aur woh her
shey per poori qudrat rakhta hai. 11.05
Yaad rakho woh log apney seenon ko dohra kiye
detay hain takay apni baaten (Allah) sau chupa saken.
Yaad rakho kay woh log jiss waqt apney kapray lapettay
hain woh uss waqt bhi sab janta hai jo kuch chupatay hain
aur jo kuch woh zahir kertay hain. Bil yaqeen woh dion
kay andar ki baaten janta hai. |
|