| Parah-Wama-Min-Daabbatin
12 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Hood
11 |
| (Sura-Hood Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-taees (123) Aayatain hain) |
| |
11.06
Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar
hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay
rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay
janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood
hai. 11.07
Allah hi woh hai jiss ney cheh din mein aasman-o-zamin
ko peda kiya aur uss ka arsh pani per tha takay woh tumhen
aazmaye kay tum mein say achay amal wala kaun hai agar
aap inn say kahen kay tum log marney kay baad utha kharay
kiye jaogay to kafir log palat ker jawab den gay kay yeh
to nira saaf saaf jadoo hi hai. 11.08
Aur agar hum inn say azab ko gini chuni muddat
tak kay liye peechay daal den to yeh zarror pukar uthen
gay kay azab ko kaun si cheez rokay huye hai suno! Jiss
din woh inn kay pass aayega phir inn say talney wala nahi
phir to jiss cheez ki hansi ura rahey thay woh enhen gher
ley gi. 11.09
Agar hum insan ko apni kissi nemat ka zaeeqa
chakha ker phir ussay iss say ley len to boht hi na umeed
aur bara hi na shukra bann jata hai. 11.10
Aur agar hum ussay koi nemat chakhayen iss sakhti
kay baad jo ussay phonch chuki thi wo woh kehney lagta
hai kay bus buraiyan mujh say jati rahin yaqeenan woh
bara hi itraney wala shekhi khor hai.
11.11 Siwaye
unn kay jo sabar kertay hain aur nek kaamon mein lagay
rehtay hain, enhi logon kay liye bakhsish bhi hai aur
boht bara nek badla bhi. 11.12
Pus shayad kay aap iss wahee kay kissi hissay
ko chor deney walay hain jo aap ki taraf nazil ki jati
hai aur iss say aap ka dil tang hai sirf inn ki iss baat
per kay iss per koi khazana kiyon nahi utra? Ya iss kay
sath koi farishta hi aata sunn lijiye! Aap to sirf daraney
walay hi hain aur her cheez ka zimmay daar Allah Taalaa
hai. 11.13
Kiya yeh kehtay hain kay iss quran ko issi ney
gharha hai jawab dijiye kay phir tum bhi issi ju misil
das surten ghari hui ley aao aur Allah kay siwa jissay
chahao apney sath bula bhi lo agar tum sachay ho.
11.14
Phir agar woh tumhari iss baat ko qabool na keren
to tum yaqeen say jaan lo kay yeh quran Allah kay ilm
kay sath utara gaya hai aur yeh kay Allah kay siwa koi
mabood nahi pus kiya tum musalman hotay ho?
11.15 Jo
shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta
hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal (ka badla)
yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi
kami nahi ki jati. 11.16
Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat
mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney
yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay
aemaal thay sab barbad honey walay hain.
11.17 Kiya
woh shaks jo apney rab kay pass ki daleel per ho aur uss
kay sath Allah ki taraf gawah ho aur iss say pehlay musa
ki kitab (gawah ho) jo paishwa aur rehmat hai (auron kay
barabar ho sakta hai?). yehi log hain jo iss per eman
rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi iss ka munkir
ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai pus tu iss
mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan yeh teray
rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log eman
laney walay nahi hotay. 11.18
Uss say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per
jhoot banadhay aur yeh log apney perwerdigar kay samney
paish kiye jayen gay aur saray gawan kahen gay kay yeh
woh log hain jinhon ney apney perwerdigar per jhoot bandha
khabaradar ho kay Allah ki laanat hai zalimon per.
11.19
Jo Allah ki raah say roktay hain aur iss mein
kuji talash ker letay hain. Yehi aakhirat kay munkir hain.
11.20
Na yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur
na inn ka koi himayati Allah kay siwa hua inn kay liye
azab dugna kiya jayega na yeh sunnay ki taqat rakhtay
thay aur na yeh dekhtay hi thay.
11.21 Yehi
hain jinhon ney apna nuksan aap ker liya aur woh sab kuch
inn say kho gaya jo enhon ney gharr rakha tha.
11.22 Be-shak
yehi log aakhirat mein ziyan kaar hongay.
11.23 Yaqeenan
jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney
paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein
janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain.
11.24
Inn dono firqon ki misal andhay behray aur dekhney
sunnay walay jaisi hai. Kiya yeh dono misal mein barabar
hain? Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay?
11.25
Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki
qom ki taraf rasool bana ker bheja kay mein tumhen saaf
saaf hoshiyar ker denay wala hun. 11.26
Kay tum sirf Allah hi ki ibadat kero mujhay to
tum per dard naak din kay azab ka khof hai.
11.27
Uss ki qom kay kafiron kay sardaron ney jawab diya kay
hum to tujhay apnye jaisa insan hi dekhtay hain aur teray
tabeydaron ko bhi hum dekhtay hain kay yeh log wazeh tor
per siwaye neech logon kay aur koi nahi jo bey sochay
samajhay (tumhari pairwi ker rahey hain) hum to tumhari
kissi qisam ki bartari apney upper nahi dekh rahey bulkay
hum to tumhen jhoota samajh rahey hain. 11.28
Nooh ney kaha meri qom walo! Mujhay batao to
agar mein apney rab ki taraf say kissi daleel per hua
aur mujhay uss ney apney pass ki koi rehmat ata ki ho
phir woh tumhari nigahon mein na aaee to kiya zabardasti
mein ussay tumharay galay mandh doon halankay tum iss
say bey zaar ho. 11.29
Meri qom walo! Mein tum say iss per koi maal
nahi maangta. Mera sawab to sirf Allah Taalaa kay haan
hai na mein eman walon ko apnay pass say nikal sakta hun
unhen apney rab say milna hai lekin mein dekhta hun kay
tum log jahalat ker rahey ho. 11.30
Meri qom kay logo! Agar mein inn mominon ko apney
pass say nikal doon to Allah kay muqablay mein meri madad
kaun ker sakta hai? Kiya tum kuch bhi naseehat nahi pakartay.
11.31 Mein
tum say nahi kehta kay meray pass Allah kay khazaney hain
(suno!) mein ghaib ka ilm bhi nahi rakhta na mein yeh
kehta hun kay mein koi farishta hun na mera yeh qol hai
kay jin per tumhari nigahen zillat say parr rahi hain
unhen Allah Taalaa koi nemat dey ga hi nahi inn kay dil
mein jo hai ussay Allah hi khoob janta hai agar mein aisi
baat kahon to yaqeenan mera shumar zalimon mein ho jaye
ga. 11.32
(Qom kay logon ney) kaha aey nooh! Tu ney hum
say behas ker li. Abb tu jiss cheez say humen dhamka raha
hai wohi humaray pass ley aa agar tu sachon mein hai.
11.33
Jawab diya kay ussay bhi Allah Taalaa hi laye
ga agar woh chahaye aur haan tum ussay haraney walay nahi
ho. 11.34
Tumhen meri khair khuaee kuch bhi nafa nahi dey
sakti go mein kitni hi tumhari khair khuaee kiyon na chahaon
ba-shart-e-kay Allah ka irada tumhen gumrah kerney ka
ho wohi tum sab ka perwerdigar hai aur ussi ki taraf tum
lotaye jaogay. 11.35
Kiye yeh kehtay hain kay issay khud issi nay
gharr liya hai? To jawab dey kay agar mein ney issay gharr
liya ho mera gunah mujh per hai aur mein unn gunhaon say
bari hun jo tum ker rahey ho. 11.36
Nooh ki taraf wahee bheji gaee kay teri qom mein
sa yjo eman laa chukay unn kay siwa aur koi abb eman laye
ga hi nahi pus tu inn kay kaamon per ghumgeen na ho.
11.37
Aur aik kashti humari aankhon kay samney aur
humari wahee say tayyar ker aur zalimon kay baray mein
hum say koi baat cheet na ker woh pani mein dobo diye
janey walay hain. 11.38
Woh (nooh) kashti bananey lagay unn ki qom kay
jo sardar unn ka pass say guzartay woh unn ka mazaq uratay
woh kehtay agar tum humara mazaq uratay ho to hum bhi
tum per aik din hansen gay jaisay tum hum per hanstay
ho. 11.39
Tumhen boht jald maloom hojaye ga kay kiss per
azab aata hai jo ussay ruswa keray aur uss per hameshgi
ki saza utar aaye. 11.40
Yahan tak kay jab humara hukum aa phoncha aur
tanoor ubalney laga hum ney kaha kay iss kashti mein her
qisam kay (jaandaron mein say) joray (yani) do (janwar
aik nurr aur aik mada) sawar kera ley aur apney ghar kay
logon ko bhi siwaye unn kay jin per pehlay say baat parr
chuki hai aur sab eman walon ko bhi uss kay sath eman
laney walay boht hi kum thay.
11.41 Nooh
(alh-e-salam) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah
hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan
mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai.
11.42
Woh kashti unhen paharon jaisi mojon mein ley
ker jaa rahi thi aur nooh (alh-e-salam) ney apney larkay
ko jo aik kinaray per tha pukar ker kaha aey meray piyaray
bachay humaray sath sawar hoja aur kafiron mein shamil
na reh. 11.43
Uss ney jawab diya kay mein to kissi baray pahar
ki taraf panah mein aajaon ga jo mujhay pani say bacha
ley ga nooh (alh-e-salam) ney kaha aaj Allah kay amar
say bachaney wala koi nahi sirf wohi bachen gay jin per
Allah ka reham hua. Ussi waqt unn dono kay darmiyan moj
haeel hogaee aur woh dobney walon mein say ho gaya.
11.44
Farma diya gaya kay aey zamin apney pani ko nigal
jaa aur aey aasman bus ker thum jaa ussi waqt pani sukha
diya gaya aur kaam poora ker diya gaya aur kashti “jodi”
naami pahar per jaa lagi aur farma diya gaya kay zalim
logon per laanat nazil ho. 11.45
Nooh (alh-e-salam) ney apney larkay ko pukara
aur kaha kay meray rab mera beta to meray ghar walon mein
say hai yaqeenan tera wada bilkul sacha hai aur tum tamam
hakimon say behtar haakim hai. 11.46
Allah Taalaa ney farmaya aey nooh yaqeenan woh
teray gharaney say nahi hai uss kay kaam bilkul hi na
shaista hain tujhay hergiz woh cheez na maangni chahaiye
jiss ka tujhay mutlaqan ilm na ho mein tujhay naseehat
kerta hun kay tu jahilon mein say apna shumar keraney
say baaz rahey. 11.47
Nooh ney kaha meray paalanhaar mein teri hi panah
chahata hun uss baat say kay tujh say woh maangoon jiss
ka mujhay ilm hi na ho agar tu mujhay na bakhshay ga aur
tu mujh per reham na farmaye ga to mein khasara paaney
walon mein hojaonga. 11.48
Farma diya gaya kay aey nooh! Humari janib say
salamti aur unn barkaton kay sath utar jo tujh per hain
aur teray sath ki boht si jamaton per aur boht si woh
ummaten hongi jinhen hum faeeda to zaroor phonchayen gay
lekin phir unhen humari taraf say dard naak azab phonchay
ga. 11.49
Yeh khabren ghaib ki khabron mein say hain jin
ki wahee hum aap ki taraf kertay hain enhen iss say pehlay
aap jantay thay aur na aap ki qom iss liye aap sabar kertay
rahiye yaqeen maniye kay anjam kaar perhezgaron kay liye
hi hai. 11.50
Aur qom-e-aad ki taraf inn kay bhai hood ko bheja
uss ney kaha meri qom walo! Allah hi ki ibadat kero uss
kay siwa tumhara koi mabood nahi tum to sirf bohtaan bandh
rahey ho.
11.51 Aey
meri qom! Mein tum say iss ki koi ujrat nahi maangta mera
ajar uss kay zimmay hai jiss ney mujhay peda kiya hai
to kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay.
11.52 Aey
meri qom kay logo! Tum apney paalney walay say apni taqseeron
ki moafi talab kero aur uss ki janib mein toba kero takay
woh barasney walay badal tum per bhej dey aur tumahri
taqat per aur taqat qooat barha dey aur tum jurum kertay
huye roo gardani na kero. 11.53
Unhon ney kaha aey hood! Tu humaray pass koi
daleel to laya nahi aur hum sirf teray kehney say apney
maboodon ko chorney walay nahi aur na hum tujh per eman
laney walay hain. 11.54
Bulkay hum to yehi kehtay hain kay tu humaray
kissi mabood kay buray jhaptay mein aagaya hai. Uss ney
jawab diya kay mein Allah ko gawah kerta hun aur tum bhi
gawah raho kay mein to Allah kay siwa unn sab say bey
zaar hun jinhen tum shareek bana rahey ho.
11.55 Acha
tum sab mill ker meray khilaf chalen chal lo aur mujhay
bilkul mohlat bhi na do. 11.56
Mera bharosa sirf Allah Taalaa per hi hai jo
mera aur tum sab ka perwerdigar hai jitney bhi paon dharney
walay hain sab ki payshani wohi thamay huye hai. Yaqeenan
mera rab bilkul sahih raah per hai. 11.57
Pus agar tum roo garadani kero to kero mein to
tumhen woh paygham phonch chuka jo dey ker mujhay tumhari
taraf bheja gaya tha. Mera rab tumharya qaeem muqam aur
logon ko ker dey ga aur tum uss ka kuch na bigar sakogay
yaqeenan mera perwerdigar her cheez per nigehban hai.
11.58
Aur jab humara hukum aa phoncha to hum ney hood
ko aur uss kay musalman sathiyon ko apni khas rehmat say
nijat ata farmaee aur hum ney unn sab ko sakht azab say
bacha liya. 11.59
Yeh thi qom-e-aad jinhon ney apney rab ki aayaton
ka inkar kiya aur uss kay rasoolon ki na farmani ki aur
her aik sirkash na farman kay hukum ki tabeydari ki.
11.60
Duniya mein bhi inn kay peechay laanat laga di gaee aur
qayamat kay din bhi dekh lo qom-e-aad ney apney rab say
kufur kiya hood ki qom aad per doori ho.
11.61 Aur
qom-e-samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja uss
ney kaha aey meri qom tum Allah ki ibadat kero uss kay
siwa tumahra koi mabood nahi ussi ney tumhen zamin say
peda kiya hai aur ussi ney tumhen iss zamin mein basaya
hai pus tum uss say moafi talab kero aur uss ki taraf
rujoo kero. Be-shak mera rab qarib aur duaon ka qabool
kerney wala hai. 11.62
Unhon ney kaha aey saleh! Iss say pehlay to hum
tujh say boht kuch umeeden lagaye huye thay kiya tu humen
unn ki ibadaton say rok raha hai jinki ibadat humaray
baap dada kertay chalay aaye humen to iss deen mein heyran
kun shaq hai jiss ki taraf tu humen bula raha hai.
11.63
Iss ney jawab diya kay aey meri qom kay logo!
Zara batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi mazboot
daleel per hua aur uss ney mujhay apney pass ki rehmat
ata ki ho phir agar mein ney uss ki na farmani ker li
to kaun hai jo uss kay muqablay mein meri madad keray?
Tum to mera nuksan hi barha rahey ho. 11.64
Aur aey meri qom walo! Yeh Allah ki bheji hui
oontni hai jo tumhary liye aik moajza hai abb tum issay
Allah ki zamin mein khati hui chor do aur issay kissi
tarah ki eza na phonchao werna fori azab tumhen pakar
ley ga. 11.65
Phir bhi inn logon ney iss oontni kay paon kaat
dalay iss per saleh ney kaha acha tum apney gharon mein
teen teen din tak to reh seh lo yeh wada jhoota nahi hai.
11.66
Phir jab humara farman aa phoncha hum ney saleh
ko aur unn per eman laney walon ko apni rehmat say uss
say bacha liya aur uss din ki ruswaee say bhi yaqeenan
tera rab nihayat nihayat tawana aur ghalib hai.
11.67
Aur zlimon ko baray zor ki chinghar ney aa dabocha
phir to woh apney gharon mein ondhay paray huye reh gaye.
11.68
Aisay kay goya woh wahan kabhi abad hi na thay
aagah raho kay qom-e-samood ney apney rab say kufur kiya.
Sunn lo! Inn samoodiyon per phitkaar hai.
11.69 Aur
humaray bhejay huye payghaamber ibrahim kay pass khushkhabri
ley ker phonchay aur salam kaha unhon ney bhi jawab-e-salam
diya aur baghair kissi takheer kay gaye ka bhuna hua bachra
ley aaye. 11.70
Abb jo dekha kay unn kay hath bhi uss ki taraf
nahi phonch rahey to unn say ajnabiyat mehsoos ker kay
dil hi dil mein unn say khof kerney lagay unhon ney kaha
darro nahi hum to qom-e-loot ki taraf bhejay huye aaye
hain.
11.71 Iss
ki biwi jo khari hui thi woh hans pari to hum ney ussay
ishaq ki aur ishaq kay peechay yaqoob ki khushkhabri di.
11.72
Woh kehney lagi haaye meri kum bakhti! Meray
haan aulad kaisay hosakti hai mein khud burhiya aur yeh
meray khawind bhi boht bari umar kay hain yeh to yaqeenan
bari ajeeb baat hai!. 11.73
Farishton ney kaha kiya tu Allah ki qudrat say
tajjub ker rahi hai? Tum per aey iss ghar kay logo Allah
ki rehmat aur uss ki barkat nazil hon be-shak Allah hamd-o-sana
ka saza waar aur bari shaan wala hai. 11.74
Jab ibrahim ka darr khof jata raha aur ussay
bisharat bhi phonch chuki to hum say qom-e-loot kay baray
mein kehney sunnay lagay. 11.75
Yaqeenan ibrahim boht tahammul walay naram dil
aur Allah ki janib jhukney walay thay. 11.76
Aey ibrahim! Iss khayal ko chor dijiye aap kay
rab ka hukum aa phoncha hai aur unn per na taalay janey
wala azab zaroor aaney wala hai. 11.77
Jab humaray bhejay huye farishtay loot kay pass
phonchay to woh inn ki waja say boht ghumgeen hogaye aur
dil hi dil mein kurhney lagay aur kehney lagay kay aaj
ka din bari musibat ka din hai. 11.78
Aur uss ki qom dorti hui uss kay pass aa phonchi
woh to pehlay hi say bad kaariyon mein mubtila thi loot
(alh-e-salam) ney kaha aey qom kay logo! Yeh hain meri
betiyan jo tumharay liye boht hi pakeeza hain Allah say
daro aur mujhay meray mehamnon kay baray mein ruswa na
kero. Kiya tum mein say aik bhi bhala aadmi nahi.
11.79
Unhon ney jawab diya kay tu bakhoobi janta hai
kay humen to teri betiyon per koi haq nahi hai aur tu
humari asli chahat say bakhoobi waqif hai.
11.80 Loot
(alh-e-salam) ney kaha kaash kay mujh mein tum say muqabla
kerney ki qooat hoti ya mein kissi zabardast ka aasra
pakar pata.
11.81 Abb
farishton ney kaha aey loot! Hum teray perwerdigar kay
bhejay huye hain na mumkin hai kay yeh tujh tak phonch
payen pus tu apney ghar walon ko ley ker kuch raat rahey
nikal khara ho. Tum mein say kissi ko murr ker bhi na
dekhna chahaiye ba-juz teri biwi kay iss liye kay ussay
bhi wohi phonchney wala hai jo inn sab ko phonchay ga
yaqeenan inn kay waday ka waqt subha ka hai kiya subha
bilkul qarib nahi. 11.82
Phir jab humara hukum aa phoncha hum ney uss
basti ko zair-o-zabar ker diya upper ka hissa neechay
ker diya aur unn per kankreelay pathar barsaye jo teh
ba teh thay. 11.83
Teray rab ki taraf say nishan daar thay aur woh
inn zalimon say kuch door na thay. 11.84
ur hum ney madiyan walon ki taraf unn kay bhai shoaib
ko bhej a uss ney kaha aey meri qom! Allah ki ibadat kero
aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi aur tum naap
tol mein bhi kami na kero mein to tumhen aasooda haal
dekh raha hun aur mujhay tum per gherney walay din kay
azab ka khof (bhi) hai. 11.85
Aey meri qom! Naap tol insaf kay sath poori poori
kero logon ko unn ki cheezen kum na do aur zamin main
fasad aur kharabi na machao. 11.86
Allah Taalaa ka halal kiya hua jo bach rahey
tumharya liye boht hi behtar hai agar tum eman walay ho
mein tum per kuch nigehban (aur darogha) nahi hun.
11.87
Unhon ney jawab diya kay aey shoaib! Kiya teri
salaat tujhay yehi hukum deti hai kay hum apney baap dadon
kay maboodon ko chor den tu to bara hi ba waqar aur nek
chalan aadmi hai. 11.88
Kaha aey meri qom! Dekho to agar mein apney rab
ki taraf say roshan daleel liye huye hon aur uss ney mujhay
apney pass say behtareen rozi dey rakhi hai mera yeh irada
bilkul nahi kay tumhara khilaf ker kay khud uss cheez
ki taraf jhuk jaon jiss say tmhen rok raha hun meri irada
to apni taqat bhar islaah kerney ka hi hai. Meri tofiq
Allah hi ki madad say hai ussi per mera bharosa hai aur
ussi ki taraf mein rujoo kerta hun. 11.89
Aur aey meri qom (kay logo!) kahin aisa na ho
kay tum ko meri mukhalifat unn azabon ka mustahiq bana
dey jo qom-e-nooh aur qom-e-hood aur qom-e-saleh ko phonchay
hain. Aur qom-e-loot to tum say kuch door nahi.
11.90
Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki
taraf toba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani
wala aur boht mohabbat kerney wala hai.
11.91 Unhon
ney kaha aey shoaib! Teri aksar baaten to humari samajh
mein hi nahi aatin aur hum to tujhay apney andar boht
kamzor patay hain agar teray qabeelay ka khayal na hota
to hum to tujhay sangsaar ker detay aur hum tujhay koi
heysiyat wali hasti nahi gintay. 11.92
Enhon ney jawab diya kay aey meri qom kay logo!
Kiya tumharay nazdik meray qabeelay kay log Allah say
bhi ziyada zee izzat hain tum ney ussay pas-e-pusht daal
diya hai yaqeenan mera rab jo kuch tum ker rahey ho sab
ko gheray huye hai. 11.93
Aey meri qom kay logo! Abb tum apni jagah amal
kiye jao mein bhi amal ker raha hun tumhen un-qarib maloom
hojayega kay kiss kay pass woh azab aata hai jo ussay
ruswa ker dey aur kaun hai jo jhoota hai. Tum intizar
kero mein bhi tumharay sath muntazir hun.
11.94 Jab
humara hukum (azab) aa phoncha hum ney shoaib ko aur unn
kay sath (tamam) mominon ko apni khas rehmat say nijat
bakhshi aur zalimon ko sakht chinghar kay azab ney dhar
dabocha jiss say woh apney gharon mein ondhay paray huye
hogaye. 11.95
Goya kay woh inn gharon mein kabhi basay hi na
thay aagah raho madiyan kay liye bhi waisi hi doori ho
jaisi doori samood ko hui. 11.96
Aur yaqeenan hum ney musa ko apni aayaat aur
roshan daleelon kay sath bheja tha. 11.97
Firaon aur uss kay sardaron ki taraf phir bhi
unn logon ney firaon kay ehkaam ki pairwi ki aur firaon
ka koi hukum durust tha hi nahi. 11.98
Woh to qayamat kay din apni qom ka paish roo
ho ker unn sab ko dozakh mein jaa khara keray ga woh boht
hi bura ghaat hai jiss per laa kharay kiye jayengay.
11.99
Unn per to iss duniya mein bhi laanat chipka
di gaee aur qayamat kay din bhi bura inam hai jo diya
gaya. 11.100
Bastiyon ki yeh baaz khabren jinhen hum teray
samney biyan farma rahey hain inn mein say baaz to mojood
hain aur baaz (ki faslen) kat gaee hain.
11.101 Hum
ney unn per koi zulm nahi kiya bulkay khud unhon ney ho
apney upper zulm kiya aur unhen unn kay maboodon ney koi
faeeda na phonchaya jinhen woh Allah kay siwa pukartay
thay jabkay teray perwerdigar ka hukum aa phoncha bulkay
aur inn ka nuksan hi unhon ney barha diya.
11.102 Teray
perwerdiar ki pakar ka yehi tareeqa hai jabkay woh bastiyon
kay rehney walay zalimon ko pakarta hai beshak uss ki
pakar dukh denay wali aur nihayat sakht hai.
11.103 Yaqeenan
iss mein unn logon kay liye nishan-e-ibrat hai jo qayamat
kay azab say dartay hain. Woh din jiss mein sab log jama
kiye jayen gay aur woh, woh din hai jiss mein sab hazir
kiye jayen gay. 11.104
Issay hum jo multavi kertay hain woh sird aik
muddat moyyen tak hai. 11.105
Jiss din woh aajayegi majal na hogi kay Allah
ki ijazat kay baghair koi baat bhi kerley so inn mein
koi bad bakht hoga aur koi nek bakht. 11.106
Lekin jo bad bakht huye woh dozakh mein hongay
wahan cheekhen gay chillayen gay. 11.107
Woh wahin hamesha rehney walay hain jab tak aasman-o-zamin
bar qarar rahen siwaye uss waqt kay jo tumhara rab chahaye
yaqeenan tera rab jo kuch chahaye ker guzarta hai.
11.108
Lekin jo nek bakht kiye gaye woh jannat mein
hongay jahan hamesha rahen gay jab tak aasman-o-zamin
baqi rahey magar jo tera perwerdigar chahaye. Yeh bey
inteha bakhsish hai. 11.109
Iss liye aap inn cheezon say shak-o-shuba mein
na rahen jinhen yeh log pooj rahey hain inn ki pooja to
iss tarah hai jiss tarah inn kay baap dadon ki iss say
pehlay thi. Hum inn sab ko inn ka poora poora hissa baghair
kissi kami kay denay walay hi hain. 11.110
Yaqeenan hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab
di. Phir iss mein ikhtilaf kiya gaya agar pehlay hi aap
kay rab ki baat sadir na hogaee hoti to yaqeenan inn ka
faisla ker diya jata enhen to iss mein sakht shuba hai.
11.111 Yaqeenan
inn mein say her aik jab unn kay roo baroo jayega to aap
ka rab ussay uss kay aemaal ka poora poora badla dey ga.
Be-shak woh jo ker rahey hain unn say woh ba khabar hai.
11.112
Pus aap jamay rahiye jaisa kay aap ko hukum diya
gaya hai aur woh log bhi jo aap kay sath toba ker chukay
hain khabardaar tum hadd say na barhna Allah tumharay
aemaal ka dekhney wala hai. 11.113
Dekho zalimon ki taraf hergiz na jhukna werna
tumhen bhi (dozakh ki) aag lagg jayegi aur Allah kay siwa
aur tumhara madadgar na khara ho sakay ga aur na tum madad
diye jaogay. 11.114
Din kay dono siron mein namaz barpa rakh aur
raat ki kaee sa’aton mein bhi yaqeenan nekiyan burayion
ko door ker deti hain yeh naseehat hai naseehat pakarney
walon kay liye. 11.115
Aap sabar kertay rahiye yaqeenan Allah Taalaa
neki kerney walon ka ajar zaya nahi kerta.
11.116 Pus
kiyon na tum say pehlay zamaney kay logon mein say aisay
ehal-e-khair log huye jo zamin mein fasad phelaney say
roktay siwaye unn chand kay jinhen hum ney unn mein say
nijat di thi zalim log to uss cheez kay peechay parr gaye
thay jiss mein unhen aasoodgi di gaee thi aur woh gunehgar
thay. 11.117
Aap ka rab aisa nahi kay kissi basti ko zulm
say halak ker dey aur wahan kay log neko kaar hon.
11.118
Agar aap ka perwerdigar chahata to sab logon
ko aik hi raah per aik giroh ker deta. Woh to barabar
ikhtilaf kerney walay hi rahen gay. 11.119
Ba-juz unn per jin per aap ka rab reham farmaye
unhen to issi lie peda kiya hai aur aap kay rab ki yeh
baat poori hai kay mein jahannum ko jinno aur insanon
sab say pur keroon ga. 11.120
Rasoolon kay sab ehwaal hum aap kay samney aap
kay dil ki taskeen kay liye biyan farma rahey hain. Aap
kay pass iss surat mein bhi haq phonch chuka jo nasihat
aur waaz hai mominon kay liye. 11.121
Eman na laney walon say keh dijiye kay tum apney
tor per amal kiye jao hum bhi amal mein mashghool hain.
11.122
Aur tum bhi intizar kero aur hum bhi muntazir
hain. 11.123
Zaminon aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah Taalaa
hi ko hai tamam moamlaat ka rujoo bhi ussi ki janib hai
pus tujhay ussi ki ibadat kerni chahaiye aur ussi per
bharosa rakhan chahaiye aur tum jo kuch kertay ho uss
say Allah Taalaa bey khabar nahi. |
| |
| Surat-Yousuf
12 |
| (Sura-Yousuf Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-giyara (111) Aayatain hain) |
| |
12.01
Alif-laam-raa yeh roshan kitab ki aayaten hain.
12.02
Yaqeenan hum ney iss quran ko arabi nazil farmaya
hai kay tum samajh sako. 12.03
Hum aap kay samney behtareen biyan paish kertay
hain iss waja say kay hum ney aap ki janib yeh quran wahee
kay zariye nazil kiya hai aur yaqeenan aap iss say pehlay
bey khabron mein say thay. 12.04
Jab kay yousuf ney apney baap say ziker kiya
kay abba jaan mein ney giyara sitaron ko aur sooraj chand
ko dekha kay woh sab mujhay sajda ker rahey hain.
12.05
Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha piyaray bachay!
Apney iss khuwab ka ziker apney bhaiyon say na kerna.
Aisa na ho kay woh teray sath koi fareb kaari keren shetan
to insan ka khula dushman hai. 12.06
Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah
keray ga aur tujhay moamla fehmi (ya khuwabon ki tabeer)
bhi sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye
ga aur yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney
iss say pehlay teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq
ko bhi bhar poor apni nemat di yaqeenan tera rab boht
baray ilm wala aur zabardast hikmat wala hai.
12.07 Yaqeenan
yousuf aur uss kay bhaiyon mein daryaft kerney walon kay
liye (bari) nishaniyan hai. 12.08
Jabkay unhon ney kaha kay yousuf aur uss ka bhai
ba-nisbat humaray baap ko boht ziyada piyaray hain halankay
hum (taqatwar) jamat hain koi shak nahi kay humaray abba
sareeh ghalati mein hain. 12.09
Yousuf ko to maar hi dalo yaa ussay kissi (na
maloom) jagah phenk do kay tumharay walid ka rukh sirf
tumhari taraf hi hojaye. Iss kay baad tum nek ho jana.
12.10
Inn mein say aik ney kaha yousuf ko qatal to
na kero bulkay ussay kissi andhay koowen (ki teh) mein
daal aao kay ussay koi (aata jata) qafila utha ley jaye
agar tumhen kerne hi hai to yun kero.
12.11 Unhon
ney kaha abba! Aakhir aap yousuf (alh-e-salam) kay baray
mein hum per aitbaar kiyon nahi kertay hum to iss kay
khair khua hain. 12.12
Kal aap zaroor issay humaray sath bhej dijiye
kay khoob khaye piye aur khelay iss ki hifazat kay hum
zimmay daar hain. 12.13
(yaqoob alh-e-salam ney) kay issay tumhara ley
jana mujhay to sakht sadma dey ga aur mujhay yeh bhi khutka
laga rahey ga kay tumhari ghaflat mein issay bheyriya
kha jaye. 12.14
Unhon ney jawab diya kay hum jaisi (zor aawar)
jamat ki mojoodgi mein bhi agar issay bheyriya kha jaye
to hum bilkul nikammay hi huye. 12.15
Phir jab issay ley chalay aur sab ney mill ker
thaan liya kay issay ghair abad gehray koowen ki teh mein
phenk den hum ney yousuf (alh-e-salam) ki taraf wahee
ki kay yaqeenan (waqt aaraha hai kay) tu enhen iss majray
ki khabar iss haal mein dey ga kay woh jantay hi na hon.
12.16
Aur isha kay waqt (woh sab) apney baap kay pass
rotay huye phonchay. 12.17
Aur kehney lagay kay abba jaan hum to aapas mein
dor mein lagg gaye aur yousuf (alh-e-salam) ko hum ney
asbaab kay pass chora pus ussay bheyriya kha gaya aap
to humari baat nahi manen gay go hum bilkul sachay hi
hon. 12.18
Aur yousuf kay kurtay ko jhoot moot kay khoon
say khoon aalood bhi ker laye thay baap ney kaha yun nahi
bulkay tum ney apney dil hi say aik baat bana li hai.
Pus sabar hi behtar hai aur tumahri banaee hui baaton
per Allah hi say madad ki talab hai. 12.19
Aur aik qafila aaya aur unhon ney apney pani
laney walay ko bheja uss ney apna dol latkaya kehney laga
waah waah khushi ki baat hai yeh to aik larka hai unhon
ney issay maal-e-tijarat qarar dey ker chupa diya aur
Allah Taalaa iss say ba khabar tha jo woh ker rahey thay.
12.20
Aur unhon ney issay boht hi halki qeemat per
ginti kay chand dirhamon per hi baich dala woh to yousuf
kay baray mein boht hi bey raghbat thay.
12.21 Misir
walon mein say jiss ney ussay khareeda tha uss ney apni
biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay sath rakho
boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya issay
hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir
zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki
tabeer ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib
hai lekin aksar log bey ilm hotay hain. 12.22
Aur jab (yousuf) pukhtagi ki umar ko phonch gaye
hum ney ussay qooat-e-faisla aur ilm diya hum neko karon
ko issi tarah badla detay hain. 12.23
Uss aurat ney jiss kay ghar mein yousuf thay
yousuf ko behlana phuslana shuroo kiya kay woh apney nafs
ki nigrani chor dey aur darwazay band ker kay kehney lagi
lo aajao. Yousuf ney kaha Allah ki panah! Woh mera rab
hai mujhay uss ney boht achi tarah rakha hai. Bey insafi
kerney walon ka bhala nahi hota. 12.24
Uss aurat ney yousuf ki taraf qasad kiya aur
yousuf uss ka qasad kertay agar woh apney perwerdigar
ki daleel na dekhtay yun hi hua iss wastay kay hum uss
say buraee aur bey hayaee door ker den. Be-shak woh humaray
chunay huye bandon mein say tha. 12.25
Dono darwazay ki taraf doray aur uss aurat ney
yousuf ka kurta peechay ki taraf say kheench ker phaar
dala aur darwazay kay pass hi aurat ka shohar dono ko
mill gaya to kehney lagi jo shaks teri biwi kay sath bura
irada keray bus uss ki saza yehi hai kay ussay qaid ker
diya jaye ya aur koi dard naak saza di jaye.
12.26 Yousuf
ney kaha yeh aurat hi mujhay phusla rahi thi aur aurat
kay qabeelay hi kay aik shaks ney gawahee di kay agar
iss ka kurta aagay say phata hua ho to aurat sachi hai
aur yousuf jhoot bolney walon mein say hai.
12.27 Aur
agar iss ka kurat peechay ki janib say phaara gaya hai
aur aurat jhooti hai aur yousuf sachon mein say hai.
12.28
Khawind ney jo dekha kay yousuf ka kurta peeth
ki janob say phaara gaya hai to saaf keh diya kay yeh
to tum aurton ki chaal baazi hai be-shak tumhari chaal
baazi both bari hai. 12.29
Yousuf abb iss baat ko aati jati kero aur (aey
aurat) tu apney gunah say toba ker be-shak tu gunehgaron
mein say hai. 12.30
Aur shehar ki aurton mein charcha honey laga
kay aziz ki biwi apney (jawan) ghulam ko apna matlab nikalney
kay liye behlaney phuslaney mein lagi rehti hai inn kay
dil mein yousuf ki mohabbat beth gaee hai humaray khayal
mein to woh sarreh gumrahi mein hai.
12.31 Iss
ney jab unn ki iss pur fareb gheebat ka haal suna to unhen
bulwa bheja aur unn kay liye aik majlis muattab ki aur
unn mein say her aik ko aik churi di. Aur kaha aey yousuf!
Inn kay samney chalay aao inn aurton ney jab ussay dekha
to boht bara jana aur apney hath kaat liye aur zaban say
nikal gaya kay hasha-lillah! Yeh insan to hergiz nahi
yeh to yaqeenan koi boht hi buzurg farishta hai.
12.32
Uss waqt aziz-e-misir ki biwi ney kaha yehi hain
jin kay baray mein tum mujhay tanay dey rahi thin mein
ney her chand iss say apna matlab hasil kerna chaha lekin
yeh baal baal bacha raha aur jo kuch mein iss say keh
rahi hun agar yeh na keray ga to yaqeenan yeh qaid ker
diya jayega aur be-shak yeh boht hi bey izzat hoga.
12.33
Yousuf (alh-e-salam) ney dua ki kay aey meray
perwerdigar! Jiss baat ki taraf yeh aurten mujhay bula
rahi hain uss say to mujhay jail khana boht pasand hai
agar tu ney inn ka fun fareb mujh say door na kiya to
mein to inn ki taraf maeel hojaonga aur bilkul na danon
mein ja milon ga. 12.34
Uss kay rab ney uss ki dua qabool kerli aur inn
aurton kay dao paich uss say pher diye yaqeenan woh sunnay
wala jannay wala hai. 12.35
Phir inn tamam nishaniyon ko dekh lenay kay baad
unhen yehi maslehat maloom hui kay yousuf ko kuch muddat
kay liye qaid khanay mein rakhen. 12.36
Uss kay sath do aur jawan bhi qaid khanay mein
dakhil huye inn mein say aik ney kaha kay mein ney khuwab
mein apney aap ko sharab nichortay dekha hai aur doosray
ney kaha mein ney apney aap ko dekha hai kay mein apney
sir per roti uthaye huye hun jisay parinday kha rahey
hain humen aap iss ki tabeer batiye humen to aap khoobiyon
walay shaks dikhaee detay hain. 12.37
Yousuf ney kaha tumhen jo khana diya jata hai
uss kay tumharay pass phonchney say pehlay hi mein tumhen
iss ki tabeer batla doon ga. Yeh sab uss ilm ki badolat
hai jo mujhay meray rab ney sikhaya hai mein ney unn logon
ka mazhab chor diya hai jo Allah per eman nahi rakhtay
aur aakhirat kay bhi munkir hain. 12.38
Mein apney baap dadon kay deen ka paband hun
yani ibrahim-o-ishaq aur yaqoob kay deen ka humen hergiz
yeh saza waar nahi kay hum Allah Taalaa kay sath kissi
ko bhi shareek keren hum per aur tamam aur logon per Allah
Taalaa ka yeh khas fazal hai lekin aksar log na shukri
kertay hain. 12.39
Aey meray qiad khaney kay sathiyo! Kiya mutafarriq
kaee aik perwerdigar behtar hain? Ya aik Allah zabardast
taqatwar? 12.40
Uss kay siwa tum jin ko pooja paat ker rahey
ho woh sab naam hi naam hain jo tum ney aur tumharay baap
dadon ney khud hi gharr liye hain. Allah Taalaa ney inn
ki koi daleel nazil nahi farmaee farman-rawaee sirf Allah
Taalaa hi ki hai uss ka famaan hai kay rum sab siwaye
uss kay kissi aur ki ibadat na kero yehi deen durust hai
lekin aksar log nahi jantay.
12.41 Aey
meray qaid khaney kay rafiqo! Tum dono mein say aik to
apney badshah ko sharab pilaney per muqarrar hojayega
lekin doosra sooli per charhaya jayega aur parinday uss
ka sir noch noch khayen gay tum dono jiss kay baray mein
tehqeeq ker rahey thay uss kaam ka faisla ker diya gaya.
12.42
Aur jiss ki nisbat yousuf ka guman tha kay inn
dono mein say yeh choot jayega uss say kaha kay apney
badshah say mera ziker bhi ker dena phir ussay shetan
ney apney badshah say ziker kerna bhula diya aur yousuf
ney kaee saal qaid khaney mein hi kaatay.
12.43 Badshah
ney kaha mein ney khuwab mein dekha hai kay saat moti
taza farba gayen hain jin ko saat laaghar dubli patli
gayen kha rahi hain aur saat baliyan hain hari hari aur
doosri saat bilkul khushk. Aey darbariyo! Meray iss khuwab
ki tabeer batlao agar tum khuwab ki tabeer dey saktay
ho. 12.44
Unhon ney jawab diya kay yeh to urtay uratay
pareshan khuwab hain aur aisay shoreedah pareshan khuwabon
ki tabeer jannay walay hum nahi. 12.45
Unn do qadiyon mein say jo raha hua tha ussay
muddat kay baad yaad aagaya aur kehney laga mein tumhen
iss ki tabeer batla doon ga mujhay janay ki ijazat dijiye.
12.46
Aey yousuf! Aey boht baray sachay yousuf! Aap
humen iss khuwab ki tabeer batlaiye kay saat moti taza
gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain
aur saat bilkul sabz khoshay hain aur saat hi doosray
bhi bilkul khushk hain takay mein wapis jaa ker unn logon
say kahon kay woh sab jaan len. 12.47
Yousuf ney jawab diya kay tum saat saal tak pay
dar pay lagataar hasb-e-aadat ghalla boya kerna aur fasal
kaat ker ussay baaliyon samet hi rehney dena siwaye apney
khaney ki thori si miqdaar kay. 12.48
Iss kay baad saat saal nihayat sakht qehat kay
aayen gay woh iss ghallay ko kha jayen gay jo tum ney
unn kay liye zakheera rakh chora tha siwaye uss thoray
say kay jo tum rol rakhtay ho. 12.49
Iss kay baad jo saal aayega uss mein logon per
khoob barish barsaee jayegi aur uss mein (sheera-e-angoor
bhi) khoob nichoren gay. 12.50
Aur badshah ney kaha yousuf ko meray pass lao
jab qasid yousuf kay pass phoncha to enhon ney kaha apney
badshah kay pass wapis jaa aur uss say pooch kay unn aurton
ka haqeeqi waqiya kiya hai jinhon ney apney hath kaat
liye thay? Unn kay heelay ko (sahih tor per) jannay wala
mera perwerdigar hi hai.
12.51 Badshah
ney poocha aey aurto! Uss waqt ka sahih waqiya kiya hai
jab tum dao fareb kerkay yousuf ko uss ki dili manshah
say behkana chahati thi unhon ney saaf jawab diya kay
maaz Allah hum ney yousuf mein koi buraee nahi paee phir
to aziz ki biwi bhi bol uthi kay abb to sachi baat nithar
aaee. Mein ney hi ussay warghalaya tha uss kay ji say
aur yaqeenan woh sachon mein say hai. 12.52
(yousuf alh-e-salam ney kaha) yeh iss wastay
kay (aziz) jaan ley kay mein ney uss ki peeth peechay
uss ki khayanat nahi ki aur yeh bhi kay Allah dagha baazon
kay hathkanday chalney nahi deta. |
|