| Parah-Wama-Ubarriyo
13 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Yousuf
12 |
| (Sura-Yousuf Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-giyara (111) Aayatain hain) |
| |
12.53
Mein apney nafs ki pakeezgi biyan nahi kerta.
Be-shak nafs to buraee per ubharney wala hi hai magar
yeh kay mera perwerdigar hi apna reham keray yaqeenan
mera paalney wala bari bakhsish kerney wala aur boht meharbani
farmaney wala hai. 12.54
Badshah ney kaha issay meray pass lao kay mein
ussay apney khas kaamon kay liye muqarrar ker loon phir
jab uss say baat cheet ki to kehney laga kay aap humaray
haan aaj say zee izzat aur amant daar hain.
12.55 (Yousuf
ney) kaha aap mujhay mulk kay khazano per muqarrar ker
dijiye mein hifazat kerney wala aur ba khabar hun.
12.56
Issi tarah hum ney yousuf (alh-e-salam) ko mulk
ka qabza dey diya. Kay woh jahan kahin chahaiye rahey
sahey hum jisay chahayen apni rehmat phoncha detay hain.
Hum neko kaaron ka sawab zaya nahi kertay.
12.57 Yaqeenan
eman daron aur perhezgaron ka ukhrawi ajar boht hi behtar
hai. 12.58
Yousuf kay bhai aaye aur yousuf kay pass gaye
to uss ney unhen pehchan liya aur unhon ney ussay na pehchana.
12.59
Jab unhen unn ka asbaab muhayya ker diya to kaha
kay tum meray pass apney uss bhai ko bhi lana j tumharay
baap say hai kiya tum ney nahi dekha kay mein poora naap
ker deta hun aur mein hun bhi behtareen maizbaani kerney
walon mein. 12.60
Pus agar tum ussay ley ker pass na aaye to meri
taraf say tumhen koi naap bhi na milay bulkay tum meray
qarib bhi na phatakna.
12.61 Unhon
ney kaha acha hum uss kay baap ko uss ki babat phuslayen
gay aur poori kosish keren gay. 12.62
Apney khidmat garon say kaha kay inn ki poonji
enhi ki boriyon mein rakh do kay jab lot ker apney ehal-o-ayal
mein jayen aur poonjiyon ko pehchan len to boht mumkin
hai kay yeh phir lot ker aayen. 12.63
Jab yeh log lot ker apney walid kay pass gaye
to kehney lagay kay hum say to ghallay ka naap rok liye
gaya. Abb aap humaray sath humaray bhai ko bhejiye kay
hum paymana bhar ker layen hum uss ki nigehbani kay zimmay
daar hain. 12.64
(Yaqoob alh-e-salam) ney kaha mujhay to iss ki
babat tumhara waisa hi aitbaar hai jaisa kay iss say pehlay
iss kay bhai kay baray mein tha bus Allah hi behtareen
hafiz hai aur woh sab meharbano say bara meharban hai.
12.65
Jab unhon ney apna asbaab khola to to apna sarmaya
mojood paya jo unn ki janib lota diya gaya tha. Kehney
lagay aey humaray baap humen aur kiya chahaiye. Dekhiye
to yeh humara sarmaya bhi humen wapis lota diya gaya hai.
Hum apney khaandan ko rasad laa den gay aur apney bhai
ki nigrani bhi rakhen gay aur aik oont kay bojh ka ghalla
ziyada layen gay. Yeh naap to boht aasan hai.
12.66 Yaqoob
(alh-e-salam) ney kaha! Mein to issay hergiz hergiz tumharay
sath nahi bhejon ga jabtak tum Allah ko beech mein rakh
ker mujhay qol-o-qarar na do kay tum issay meray pass
phoncha do gay siwaye uss aik soorat kay tum sab giriftaar
ker liye jao. Jab enhon ney pakka qol-o-qarar dey diya
to enhon ney kaha kay hum jo kuch kehtay hain Allah uss
per nigehban hai. 12.67
Aur (yaqoob alh-e-salam) ney kaha aey meray bacho!
Tum sab aik darwazay say na jana bulkay kaee juda juda
darwazon mein say dakhil hona. Mein Allah ki taraf say
aaney wali kissi cheez ko tum say nahi taal sakta. Hukum
sirf Allah hi ka chalta hai. Mera kaamil bharosa ussi
per hai aur her aik bharosa kerney walay ko ussi per bharosa
kerna chahaiye. 12.68
Jab woh unhi raaston say jin ka hukum unn kay
walid ney unhen diya tha gaye kuch na tha kay Allah ney
jo baat muqarrar ker di hai woh iss say unhen zara bhi
bacha ley. Magar yaqoob (alh-e-salam) kay dil mein aik
khayal (peda hua) jissay uss ney poora ker liya bila shuba
woh humaray sikhlaye huye ilm ka aalim tha lekin aksar
log nahi jantay. 12.69
Yeh sab jab yousuf kay pass phonch gaye to uss
ney apney bhai ko apney pass bitha liya aur kaha kay mein
tera bhai (yousuf) hun pus yeh jo kuch kertay rahey uss
ka kuch ranj na ker. 12.70
Phir jab unhen unn ka saman asbaab theek thaak
ker kay diya to apney bhai kay asbaab mein pani ka piyala
rakh diya. Phir aik aawaz denay walay ney pukar ker kaha
aey qafilay walo! Tum log to chor ho.
12.71 Enhon
ney unn ki taraf mun pher ker kaha kay tumhari cheez khoi
gaee hai? 12.72
Jawab diya kay shahi paymana gumm hai jo issay
ley aaye ussay aik oont kay bojh ka ghalla milay ga. Iss
waday kay mein zaamin hun. 12.73
Enhon ney kaha Allah ki qasam! Tum ko khoob ilm
hai kay hum mulk mein fasad phelaney kay liye nahi aaye
aur na hum chor hain. 12.74
Enhon ney kaha acha chor ki kiya saza hai agar
tum jhootay ho? 12.75
Jawab diya kay uss ki saza yehi hai kay jiss
kay asbaab mein say paya jaye wohi uss ka badla hai. Hum
to aisay zalimon ko yehi saza diya kertay hain.
12.76
Pus yousuf ney inn kay saman ki talash kerna
shuroo ki apney bhai kay saman ki talashi say pehlay phir
uss paymaney ko apnay bhai kay saman (zanbeel) say nikala.
Hum ney yousuf kay liye issi tarah yeh tadbeer ki. Uss
badshah kay qanoon ki roo say yeh apney bhai ko na ley
sakta tha magar yeh kay Allah ko manzoor ho. Hum jiss
kay chahayen darjay buland ker den her zee ilm per foqiyat
rakhney wala doosra zee ilm mojood hai. 12.77
Enhon ney kaha kay agar iss ney chori ki (to
koi tajjub ki baat nahi) iss ka bhai bhi pehlay chori
ker chuka hai yousuf (alh-e-salam) ney iss baat ko apney
dil mein rakh liya aur inn kay samney bilkul zahir na
kiya. Kaha kay tum bad tar jagah mein ho aur jo tum biyan
kertay ho ussay Allah hi khoob janta hai.
12.78 Enhon
ney kaha aey aziz-e-misir! Iss kay walid boht bari umar
kay bilkul boorhay shaks hain. Aap iss kay badlay hum
mein say kissi ko ley lijiye. Hum dekhtay hain kay aap
baray nek nafs hain. 12.79
Yousuf (alh-e-salam) ney kaha hum ney jiss kay
pass apni cheez paee hai uss kay siwa doosray ki giriftari
kerney say Allah ki panah chahatay hain aisa kerney say
to hum yaqeenan na insafi kerney walay hojayen gay.
12.80
Jab yeh iss say mayus hogaye to tanahee mein
beth ker mashwara kerney lagay. Inn mein jo sab say bara
tha uss ney kaha tumhen maloom nahi kay tumharay walid
ney tum say Allah ki qasam ley ker pukhta qol-o-qarar
liya hai aur iss say pehlay yousuf kay baray mein tum
kotahi ker chukay ho. Pus mein to iss sir zamin say na
taloo ga jabtak walid shab khud mujhay ijazat na den ya
Allah Taalaa meray iss moamlay ka faisla ker den wohi
behtareen faisla kerney wala hai.
12.81 Tum
sab walid shab ki khidmat mein wapis jao aur kaho kay
abba ji! Aap kay shabzaday ney chori ki aur hum ney wohi
gawahi di thi jo hum jantay thay. Hum kuch ghaib ki hifazat
kerney walay na thay. 12.82
Aap uss shehar kay logon say daryaft farma len
jahan hum thay aur uss qafilay say bhi pooch len jiss
kay sath hum aaye hain aur yaqeenan hum bilkul sachay
hain. 12.83
(Yaqoob alh-e-salam ney) kaha yeh to nahi bulkay
tum ney apni taraf say baat bana li pus abb sabar hi behtar
hai. Qarib hai kay Allah Taalaa inn sab ko meray pass
hi phoncha dey. Wohi ilm-o-hikmat wala hai.
12.84 Phir
unn say mun pher liya aur kaha haaye yousuf! Inn ki aankhen
ba waja ranj-o-ghum kay safaid ho chuki thin aur woh ghum
ko dabaye huye thay. 12.85
Beton ney kaha wallah! Aap hamesha yousuf ki
yaad mein hi lagay rahen gay yahan tak kay ghul jayen
ya khatam hi ho jayen. 12.86
Unhon ney kaha mein to apni pareshaniyon aur
ranj ki faryad Allah hi say ker raha hun mujhay Allah
ki taraf say woh baaten maloom hain jo tum nahi jantay.
12.87
Meray piyaray bacho! Tum jao aur yousuf (alh-e-salam)
ki aur uss kay bhai ki poori talash kero aur Allah ki
rehmat say na umeed na ho. Yaqeenan rab ki rehmat say
na umeed wohi hotay hain jo kafir hotay hain.
12.88 Phir
jab yeh log yousuf (alh-e-salam) kay pass phonchay to
kehney lagay aey aziz! Hum ko aur humaray khaandan ko
dukh phoncha hai. Hum haqeer poonji laye hain pus aap
humen pooray ghallay ka naap dijiye aur hum per kheyraat
kijiye Allah Taalaa kheyraat kerney walon ko badla deta
hai. 12.89
Yousuf ney kaha kay jantay bhi ho kay tum ney
yousuf aur uss kay bhai kay sath apni nadani ki halat
mein kiya kiya? 12.90
Unhon ney kaha kiya (waqaee) tu hi yousuf (alh-e-salam)
hai. Jawab diya kay haan mein yousuf (alh-e-salam) hun
aur yeh mera bhai hai. Allah ney hum per fazal-o-karam
kiya. Baat yeh hai kay jo bhi perhezgari aur sabar keray
to Allah Taalaa kissi neko kaar ka ajar zaya nahi kerta.
12.91 Unhon
ney kaha Allah ki qasam! Allah Taalaa ney tujhay hum per
bartari di hai aur yeh bhi bilkul sach hai kay hum khata
kaar thay. 12.92
Jawab diya aaj tum per koi malamat nahi. Allah
tumhen bakhshay woh sab meharbano say bara meharban hai.
12.93
Mera yeh kurta tum ley jao aur issay meray walid
kay mun per daal do kay woh dekhney lagen aur aajayen
aur apney tamam khaandan ko meray pass ley aao.
12.94
Jab yeh qafila juda hua to unn kay walid ney
kaha mujhay to yousuf ki khushboo aarahi hai agar tum
mujhay sathyaya hua qarar na do. 12.95
Woh kehney lagay kay wallah apney issi puraney
khabt mein mubtila hain. 12.96
Jab khushkhabri denay walay ney phonch ker unn
kay mun per woh kurta dala ussi waqt woh phir say beena
hogaye. Kaha! Kiya mein tum say na kaha kerta tha kay
mein Allah ki taraf say woh baaten janta hun jo tum nahi
jantay. 12.97
Enhon ney kaha abba ji! Aap humaray liye gunahon
ki bakhsish talab kijiye be-shal hum qusoor waar hain.
12.98
Kaha acha mein jald hi tumharay liye apney perwerdigar
say bakhsish maangoo ga woh boht bara bakhshney wala aur
nihayat meharbani kerney wala hai. 12.99
Jab yeh sara gharana yousuf kay pass phonch gaya
to yousuf ney apney maa baap ko apney pass jagah di aur
kaha kay Allah ko manzoor hai to aap sab aman-o-amaan
kay sath misir mein aao. 12.100
Aur apney takht per apney maa baap ko ooncha
bithaya aur sab uss kay samney sajday mein girr gaye.
Tab kaha kay abba ji! Yeh meray pehlay kay khuwab ki tabeer
hai meray rab ney ussay sacha ker dikhaya uss ney meray
sath bara ehsan kiya jab kay mujhay jail khaney say nikala
aur aap logon ko sehra say ley aaya uss ikhtilaaf kay
baad jo shetan ney mujh mein aur meray bhaiyon mein daal
diya tha. Mera rab jo chahaye uss kay liye behtareen tadbeer
kerney wala hai. Aur woh boht ilm-o-hikmat wala hai.
12.101
Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata
farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey
aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur
aakhirat mein mera wali (dost) aur kaar saaz hai tu mujhay
islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey.
12.102
Yeh ghaib ki khabron mein say hai jiss ki hum
aap ki taraf wahee ker rahey hain. Aap unn kay pass na
thay jab kay unhon ney apni baat thaan li thi aur woh
fareb kerney lagay thay. 12.103
Go aap laakh chahayen lekin aksar log eman daar
na hongay. 12.104
Aap inn say iss per koi ujrat talab nahi ker
rahey hain. Yeh to tamam duniya kay liye niri naseehat
hi naseehat hai. 12.105
Aasmanon aur zamin mein bhot si nishaniyan hain.
Jin say yeh mun moray guzr rahey jatay hain.
12.106
Inn mein say aksar log ba-wajood Allah per eman
rakhney kay bhi mushrik hi hain. 12.107
Kiya woh iss baat say bey khof hogaye hain kay
inn kay pass Allah kay azabon mein say koi aam azab aajaye
ya inn per achanak qayamt toot paray aur woh bey khabar
hi hon. 12.108
Aap keh dijiye kay meri raah yehi hai. Mein aur
meray muttabeyeen Allah ki taraf bula rahey hain pooray
yaqeen aur aetmaad kay sath. Aur Allah pak hai aur mein
mushrikon mein nahi. 12.109
Aap say pehlay basti walon mein hum ney jitney
rasool bhejay hain sab mard hi thay jinki taraf hum wahee
nazil farmatay gaye. Kiya zamin mein chal phir ker enhon
ney dekha nahi kay inn say pehlay kay logon ka kaisa kuch
anjam hua? Yaqeenan aakhirat ka ghar perhezgaron kay liye
boht hi behtar hai kiya phir bhi tum nahi samajhtay.
12.110
Yahan tak kay jab rasool na umeed honey lagay
aur woh (qom kay log) khayal kerney lagay kay unhen jhoot
kaha gaya foran hi humari madad unn kay pass aa phonchi
jissay hum ney chaha ussay nijat di gaee. Baat yeh hai
kay humara azab gunehgaron say wapis nahi kiya jata.
12.111
Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan
naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat
nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say
pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her
cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon
kay liye. |
| |
| Surat-Raad
13 |
| (Sura-Raad Madina mai
Nazil hui, is mai taintalees (43) Aayatain hain) |
| |
13.01
Alif -laam-meem-raa yeh quran ki aayaten hain
aur jo kuch aap ki taraf aap kay rab ki janib say utara
jata hai sab haq hai lekin aksar log eman nahi latay.
13.02
Allah woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon
kay buland ker rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho.
Phir woh arsh per qarar pakray huye hai ussi ney sooraj
aur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen
per gasht ker raha hai wohi kaam ki tadbeer kerta hai
woh apney nishanaat khol khol ker biyan ker raha hai kay
tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen kerlo.
13.03 Ussi
ney zamin phela ker bicha di hai aur iss mein pahar aur
nehren peda ker di hain. Aur iss mein her qisam kay phalon
kay joray dohra dohray peda ker diye hain woh raat ko
din say chupa deta hai. Yaqeenan ghor-o-fikar kerney walon
kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
13.04 Aur
zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay
hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron
kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey
shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi
hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss
mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain.
13.05
Agar tujhay tajjub ho to waqaee unn ka yeh kehna
ajeeb hai kay kiya jab hum mitti hojayen gay to kiya hum
naee pedaeesh mein hongay? Yehi woh log hain jnhon ney
apney perwerdigar say kufur kiya. Yehi hain jin ki gardano
mein toq hongay. Aur yehi hain jo jahannum kay rehney
walay hain jo iss mein hamesha hamesh rahen gay.
13.06
Aur jo tujh say (saza ki talbi mein) jaldi ker
rahey hain rahat say pehlay hi yaqeenan inn say pehlay
sazayen (bator misal) guzar chuki hain aur be-shak tera
rab albata bakhshney wala hai logon kay bey jaa zulm per
bhi. Aur yeh bhi yaqeeni baat hai kay tera rab bari sakht
saza deney wala bhi hai. 13.07
Aur kafir kehtay hain kay iss per iss kay rab
ki taraf say koi nishani (moajzza) kiyon nahi utari gaee.
Baat yeh hai kay aap to sirf aagah ker denay walay hain
aur her qom kay liye hadi hai. 13.08
Mada apney shikam mein jo kuch rakhti hai ussay
Allah bakhoobi janta hai aur pet ka ghatna barhna bhi
her cheez uss kay pass andazay say hai. 13.09
Zahir-o-posheeda ka woh aalim hai (sab say) bara
aur (sab say) buland-o-bala. 13.10
Tum mein say kissi ka pani baat ko chupa ker
kehna aur ba-aawaz-e-buland ussay kehna aur jo raat ko
chupa ho aur jo din mein chal raha ho sab Allah per barabar-o-yaksan
hain.
13.11 Uss
kay pehray daar insan kay aagay peechay muqarrar hain
jo Allah kay hukum say iss ki nigehbani kertay hain. Kissi
qom ki halat Allah Taalaa nahi badalta jabtak kay woh
khud ussay na badlen jo unn kay dilon mein hai. Allah
Taalaa jab kissi qom ki saza ka irada ker leta hai to
woh badla nahi kerta aur siwaye uss kay koi bhi unn ka
kaar saaz nahi. 13.12
Woh Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney
aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhari baadlon
ko peda kerta hai. 13.13
Garj iss ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay
bhi iss kay khof say. Wohi aasman say bijliyan girata
hai aur jiss per chahata hai uss per dalta hai kuffaar
Allah ki babat larr jhagar rahey hain aur Allah sakht
qooat wala hai. 13.14
Ussi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko iss
kay siwa pukartay hain woh unn (ki pukar) ka kuch bhi
jawab nahi detay magar jaisay koi shaks apney dono hath
pani ki taraf phelaye huye ho kay uss kay mun mein parr
jaye halankay woh pani uss kay mun mein phonchney wala
nahi inn munkiron ki jitni pukar hai sab gumrahi mein
hai. 13.15
Allah hi kay liye zamin aur aasmanon ki sab makhlooq
khushi aur na aur na khushi say sajda kerti hai aur unn
kay saye bhi subha-o-shaam. 13.16
Aap poochiye kay asmanon aur zamin ka perwerdigar
kaun hai? Keh dijiye! Allah. Keh dijiye! Kiya tum phir
bhi iss kay siwa auron ko himayati bana rahey ho jo khud
apni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyar nahi rakhtay.
Keh dijiye kay kiya andha aur beena barabar hosakta hai?
Ya kiya andheriyan aur roshni barabar hosakti hai. Kiya
jinhen yeh Allah kay shareek thehra rahey hain unhon ney
bhi Allah ki tarah makhlooq peda ki hai kay inn ki nazar
mein pedaeesh mushtaba hogaee ho keh dijiye kay sirf Allah
hi tamam cheezon ka khaliq hai woh akela hai aur zabardast
ghalib hai. 13.17
Ussi ney aasman say pani barsaya phir apni apni
wusat kay mutabiq nalay beh niklay. Phir pani kay railay
ney upper charhay jhaag ko utha liya aur uss cheez mein
bhi jiss ko aag mein daal ker tapatay hain zewar ya saaz-o-saman
kay liye issi tarah jay jhaag hain issi tarah Allah Taalaa
haq-o-batil ki misal biyan farmata hai abb jhaag to nakara
hoker chala jata hai lekin jo logon ko nafa denay wali
cheez hai woh zamin mein thehri rehti hai Allah Taalaa
issi tarah misalen biyan farmata hai. 13.18
Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri
ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum
bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai
sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh
sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay
liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo
boht buri jagah hai. 13.19
Kiya woh aik shaks jo yeh ilm rakhta ho kay aap
ki taraf aap kay rab ki janib say jo utara gaya hai woh
haq hai uss shaks jaisa ho sakta hai jo andha ho naseehat
to woh qabool kertay hain jo aqal mand hon.
13.20 Jo
Allah kay ehad (o-paymaan) ko poora kertay hain aur qol-o-qarar
ko tortay nahi.
13.21 Aur
Allah ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai woh
ussay jortay hain aur woh apney perwerdigar say dartay
hain aur hisab ki sakhti ka andesha rakhtay hain.
13.22
Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay
liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay
hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay
khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say
taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai.
13.23
Hamesha rehnay kay baghaat jahan yeh khud jayen
gay aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur auladon mein
say bhi jo neko kaar hongay inn kay pass farishtay her
her darwazay say aayen gay. 13.24
Kahen gay tum per salamti ho sabar kay badlay
kiya hi acha (badla) hai iss daar-e-aakhirat ka.
13.25
Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay
baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah
ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad
phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye
bura ghar hai. 13.26
Allah Taalaa jiss ki rozi chahata hai barhata
hai aur ghatata hai yeh to duniya ki zindagi mein mast
hogaye halankay duniya aakhirat kay muqablay mein nihayat
(haqeer) poonji hai. 13.27
Kafir kehtay hain kay iss per koi nishani (moajzza)
kiyon nahi nazil nahi kiya gaya? Jawab dey dijiye kay
jisay Allah gumrah kerna chahaye ker deta hai aur jo uss
ki taraf jhukay ussay raasta dikha deta hai.
13.28 Jo
log emaan laye unn kay dil Allah kay zikar say itminan
hasil kertay hain. Yaad rakho Allah kay zikar say hi dilon
ko tasalli hasil hoti hai. 13.29
Jo log eman laye aur jinhon ney nek kaam bhi
kiye unn kay liye khushali hai aur behtareen thikana.
13.30
Issi tarah hum ney aap ko iss ummat mein bheja
hai jiss say pehlay boht si ummaten guzar chuki hain kay
aap enhen humari taraf say jo wahee aap per utri hai parh
ker sunaiye yeh Allah rehman kay munkir hain aap keh dijiye
kay mera paalney wala to wohi hai uss kay siwa dar-haqeeqat
koi bhi laeeq-e-ibadat nahi ussi kay upper mera bharosa
hai aur ussi ki janib mera rujoo hai.
13.31 Agar
(bil farz) kissi quran (aasmani kitab) kay zariye pahar
chala diye jatay ya zamin tukray tukray ker di jati ya
murdon say baaten kerwa di jatin (phir bhi woh eman na
latay) baat yeh hai kay sab kaam Allah kay hath mein hai
to kiya eman walon ko iss baat per dil jamaee nahi kay
agar Allah Taalaa chahaye to tamam logon ko hidayat dey
dey. Kuffaar ko to inn kay kufur kay badlay hamesha hi
koi na koi sakht saza phonchti rahey gi ya inn kay makano
kay qarib nazil hoti rahey gi ta-waqt-e-kay wada-e-elahi
aa phonchay. Yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta.
13.32
Yaqeenan aap say pehlay kay payghumber ka mazaq
uraya gaya tha aur mein ney bhi kafiron ko dheel di thi
phir unhen pakar liya tha pur mera azab kaisa raha?
13.33
Aaya woh Allah jo nigehbani kerney wala hai her
shaks ki uss kay kiye huye aemaal per inn logon ney Allah
kay shareek thehraye hain keh dijiye zara unn kay naam
to lo kiya tum Allah ko woh baten batatay ho jo woh zamin
mein janta hi nahi ya sirf oopri oopri baaten bata rahey
ho baat asal yeh hai kay kufur kerney walon kay liye unn
kay makar saja diye gaye hain aur woh sahih raah say rok
diye gaye hain aur jiss ko Allah gumrah ker dey uss ko
raha dikhaney wala koi nahi. 13.34
Inn kay liye duniya ki zindagi mein bhi azab
hai aur aakhirat ka azab to boht hi ziyada sakht hai enhen
Allah kay ghazab say bachaney wala koi bhi nahi.
13.35
Uss jannat ki sift jiss ka wada perhezgaron ko
diya gaya hai yeh hai kay uss key neechay nehren beh rahi
hain. Uss ka mewa hameshgi wala hai aur uss ka saya bhi.
Yeh hai anjam perhezgaron ka aur kafiron ka anjam kaar
dozakh hai. 13.36
Jinhen hum ney kitab di hai woh to jo kuch aap
per utara jata hai uss say khush hotay hain aur doosray
fiqay iss ki baaz baaton say munkir hain. Aap ailaan ker
dijiye kay mujhay to sirf yehi hukum diya gaya hai kay
mein Allah ki ibadat keroon aur uss kay sath shareek na
keroon mein ussi ki taraf bula raha hun aur ussi ki janib
mera lotna hai. 13.37
Issi tarah hum ney iss quran ko arabi zaban ka
farman utara hai. Agar app ney inn ki khuwaishon ki pairwi
kerli iss kay baad kay aap kay pass ilm aa chuka hai to
Allah (kay azabon) say aap ko koi himayati milay ga aur
na bachaney wala. 13.38
Hum aap say pehlay bhi boht say rasool bhej chukay
hain aur hum ney unn sab ko biwi bachon wala banaya tha
kissi rasool say nahi hosakta kay koi nishani baghair
Allah ki ijazat kay ley aaye her muqarrara waday ki aik
likhat hai. 13.39
Allah jo chahaye mita dey aur jo chahaye sabit
rakhay loh-e-mehfooz ussi kay pass hai. 13.40
Inn say kiye huye wadon mein say koi agar hum
aap ko dikha den ya aap ko hum fot ker len to aap per
to sirf phoncha dena hi hai. Hisab to humaray zimmay hi
hai. 13.41
Kiya woh nahi dekhtay? Kay hum zamin ko iss kay
kinaron say ghatatay chalay aarahey hain Allah hukum kerta
hai koi uss kay ehkaam peechay dalney wala nahi woh jald
hisab leney wala hai. 13.42
Inn say pehlay logon ney bhi apni makkari mein
kami na ki thi lekin tamam tadbeeren Allah hi ki hain
jo shaks jo kuch ker raha hai Allah kay ilm mein hai.
Kafiron ko abhi maloom hojaye ga kay (uss) jahaan ki saza
kiss kay liye hai? 13.43
Yeh kafir kehtay hain kay aap Allah kay rasool
nahi. Aap jawab dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah
gawahi denay wala kafi hai aur woh jiss kay pass kitab
ka ilm hai.
|
| Surat-Ibrahim
14 |
| (Sura-Ibrahim Makka mai
Nazil hui, is mai bawan (52) Aayatain hain) |
| |
14.01
Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab hum ney aap
ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron say ujalay
ki taraf layen inn kay perwerdigar kay hukum say zabardast
aur tareefon walay Allah ki taraf. 14.02
Jiss Allah ka hai jo kuch aamano aur zamin mein
hai.aur kafiron kay liye to sakht azab ki kharabi hai.
14.03
Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi
ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain
aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi
log parli darjay ki gumrahi mein hain. 14.04
Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein
hi bheja hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker
dey. Abb Allah Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur
jisay chahaye raah dikha dey woh ghalba aur hikmat wala
hai. 14.05
(yaad rakho jabkay) hum ney musa ko apni nishaniyan
dey ker bheja kay tu apni qom ko andheron say roshni mein
nikal aur enhen Allah kay ehsanaat yaad dila. Iss mein
nishaniyan hain her aik sabar shukar kerney wlay kay liye.
14.06
Jiss waqt musa ney apni qom say kaha kay Allah
kay woh ehsanaat yaad kero jo uss ney tum per kiye hain
jabkay uss ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen
baray dukh phonchatay thay. Tumharay larkon ko qatal kertay
thay aut tumhari larkiyon ko zinda chortay thay iss mein
tumharay rab ki taraf say tum per boht bari aamaeesh thi.
14.07
Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen aagah
kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak
mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero
gay to yaqeenan mera azab boht sakht hai.
14.08 Musa
(alh-e-salam) ney kaha kay agar tum sab aur ruy-e-zamin
kay tamam insan Allah ki na shukri keren to bhi Allah
bey niyaz aur tareefon wala hai. 14.09
Kiya tumharay pass tum say pehlay kay logon ki
khabren nahi aaen? Yani qom-e-nooh ki aur aad-o-samood
ki aur unn kay baad walon ki jinhen siwaye Allah Taalaa
kay aur koi nahi janta unn kay pass unn kay rasool moajzzay
laye lekin unhon ney apney hath apney mun mein daba liye
aur saaf keh diya kay jo kuch tumhen dey ker bheja gaya
hai hum uss kay munkir hain aur jiss cheez ki taraf tum
humen bula rahey ho humen to iss mein bara bhari shuba
hai. 14.10
Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq
taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin
ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai
kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara
waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay
tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen
unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray
baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli
daleel paish kero.
14.11 Unn
kay payghumbaron ney unn say kaha yeh to sach hai kay
hum tum jaisay hi insan hain lekin Allah Taalaa apney
bandon mein say jiss per chahata hai apna fazal kerta
hai. Allah kay hukum kay baghair humari majal nahi kay
hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur emaan walon ko
sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye.
14.12
Aakhir kiya waja hai kay hum Allah Taalaa per
bharosa na rakhen jabkay ussi ney humen humari rahen sujhaee
hain. Wallah jo ezayen tum humen do gay hum unn per sabar
hi keren gay. Tawakkal kerney walon ko yehi laeeq hai
kay Allah hi per tawakkal keren. 14.13
Kafiron ney apney rasoolon say kaha kay hum tumhen
mulk badar ker den gay ya tum phir say humaray mazhab
mein lot aao. To unn kay perwerdigar ney unn ki taraf
waahee bheji kay hum inn zalimon ko hi ghaarat ker den
gay. 14.14
Aur inn kay baad hum khud tumhen iss zamin mein
basayen gay. Yeh hai unn kay liye jo meray samney kharay
honey ka darr rakhen aur meri waeed say khofzada rahen.
14.15
Aur unhon ney faisla talab kiya aur tamam sirkash
ziddi log na murad hogaye. 14.16
Uss kay samney dozakh hai jahan woh peep ka pani
pilaya jaye ga. 14.17
Jisay ba mushkil ghoont ghoont piye ga. Phir
bhi ussay galay say utaar na sakay ga aur ussay her jagah
say maut aati dikhaee dey gi lekin woh marney wala nahi.
Phir uss kay peechay bhi sakhta azab hai.
14.18 Unn
logon ki misal jihon ney apney paalney walay say kufur
kiya unn kay aemaal misil uss raakh kay hain jiss per
tez hawa aandhi walay din chalay. Jo bhi unhon ney kiya
uss mein say kissi cheez per qadir na hongay yehi door
ki gumrahi hai. 14.19
Kiya tu ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney aasmano
ko aur zamin ko behtareen tedbeer kay sath peda kiya hai.
Agar woh chahaye to tum sab ko fana ker dey aur naee makhlooq
laye. 14.20
Allah per yeh kaam kuch bhi mushkil nahi.
14.21 Sab
kay sab Allah kay samney roo-baroo kharay hongay uss waqt
kamzor log baraee walon say kahen gay hum to tumharay
tabeydaar thay to kiys tum Allah kay azabon mein say kuch
azab hum say door ker sakney walay ho? Woh jawab den gay
kay agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor tumhari
rehnumaee kertay abb to hum per bey qarari kerna aur sabar
kerna dono hi barabar hai humaray liye koi chutkara nahi.
14.22
Jab aur kaam ka faisla ker diya hayega to shetan
kahey ga kay Allah ney to tumhen sacha wada diya tha aur
mein ney tum say jo waday kiye thay unn ka khilaf kiya
mera tum per koi dabao to tha hi nahi haan mein ney tumhen
pukara aur tum ney meri maan li pus tum mujhay ilzam na
lagao bulkay khud apney aap ko malamat kero na mein tumhara
faryad rus aur na tum meri faryad ko phonchney walay mein
to siray say manta hi nahi kay tum mujhay iss say pehlay
Allah ka shareek mantay rahey yaqeenan zalimon kay liye
dard naak azab hai. 14.23
Jo log eman laye aur nek amal kiye woh inn jannaton
mein dakhil kiye jayen gay jin kay neechay chashmay jari
hain jahan unhen hameshgi hogi apney rab kay hukum say.
Jahan unn ka khair maqdam salam say hoga.
14.24 Kiya
aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki
misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht
kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman
mein hain. 14.25
Jo apney perwerdigar kay hukum say her waqt apney
phal laata hai aur Allah Taalaa logon kay samney misalen
biyan farmata hai takay woh nasheehat hasil keren.
14.26
Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi
hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay
kuch sabaat to hai hi nahi. 14.27
Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath
mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat
mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur
Allah jo chahaye ker guzray. 14.28
Kiya aap ney unn ki taraf nazar nahi daali jinhon
ney Allah ki nemat kay badley na shukri ki aur apni qom
ko halakat kay ghar mein laa utara. 14.29
Yani dozakh mein jiss mien yeh sab jayen gay
jo bad tareen thikana hai. 14.30
Enhon ney Allah kay humsar bana liye kay logon
ko Allah ki raah say behkayen. Aap keh dijiye kay khair
mazay kerlo tumhari baaz gasht to aakhir jahannum hi hai.
14.31 Meray
eman walay bandon say keh dijiye kay namazon ko qaeem
rakhen aur jo kuch hum ney dey rakha hai uss mein say
kuch na kuch posheeda aur zahir kharach kertay rahen iss
say pehlay kay woh din aajaye jiss mein na kharid-o-farokht
hogi na dosti aur mohabbat. 14.32
Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko
peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay
zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur
kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon
mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan
aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain.
14.33 Ussi
ney tumharay liye sooraj chand ko musakhar kerdiya hai
kay barabar hi chal rahey hain aur raat din ko bhi tumharay
kaam mein laga rakha hai. 14.34
Ussi ney tumhen tumhari mun mangi kul cheezon
mein say dey rakha hai. Agar tum Allah kay ehsan ginna
chahao to unhen pooray ginn bhi nahi saktay. Yaqeenan
insan bara hi bey insaf aur na shukra hai.
14.35 (Ibrahim
ki yeh dua bhi yaad kero) jab unhon ney kaha kay aey meray
perwerdigar! Iss shehar ko aman wala bana dey aur mujhay
aur meri aulad ko butt parasti say panah dey.
14.36 Aey
meray paalney walay mabood! Enhon ney boht say logon ko
raah say bhatka diya hai. Pus meri tabeydaari kerney wala
mera hai aur jo meri na farmani keray to tu boht hi moaf
aur karam kerney wala hai. 14.37
Aey humaray perwerdigar! Mein ney apni kuch aulad
iss bey kheti ki wadi mein teray hurmat walay ghar kay
pass basaee hai. Aey humaray perwerdigar! Yeh iss liye
kay woh namaz qaeem rakhen pus to kuch logon kay dilon
ko inn ki taraf maeel ker dey. Aur enhen phalon ki roiziyan
inayat farma takay yeh shukar guzari keren.
14.38 Aey
humaray perwerdigar! Tu khoob janta hai jo hum chupayen
aur jo zahir keren. Zamin-o-aasman ki koi cheez Allah
per posheeda nahi. 14.39
Allah ka shukar hai jiss ney mujhay iss burhapay
mein ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) ata
farmaye. Kuch shak nahi kay mera palanhaar Allah duaon
ka sunnay wala hai. 14.40
Aey meray paalney walay! Mujhay namaz ka paband
rakh aur meri aulad say bhi aey humaray rab meri dua qabool
farma.
14.41 Aey
humaray perwerdigar! Mujhay bakhsh dey aur meray maa baap
ko bhi bakhsh aur digar momino ko bhi bakhsh jiss din
hisab honey lagay. 14.42
Na insafon kay aemaal say Allah ko ghafil na
samajh woh to enhen uss din tak mohlat diye huye hai jiss
din aankhen phati ki phati reh jayen gi.
14.43 Woh
apney sir upper uthaye dor bhaag ker rahey hongay khud
apni taraf bhi inn ki nighayen na loten gi aur inn kay
dil khali aur array huye hongay. 14.44
Logon ko uss din say hoshiyaar ker dey jab kay
unn kay pass azab aajaye ga aur zalim kahen gay aey humaray
rab humen boht thoray qarib kay waqt tak ki hi mohlat
dey kay hum teri tableegh maan len aur teray payghumbaron
ki tabeydaari mein lagg jayen. Kiya tum iss say pehlay
bhi qasmen nahi kha rahey thay? Kay tumharay liye duniya
say talna hi nahi. 14.45
Aur kiya tum inn logon kay gharon mein rehtay
sehtay na thay jinhon ney apni jano per zulm kiya aur
kiya tum per woh moamla khula nahi kay hum ney unn kay
sath kaisa kuch kiya. Hum ney (to tumharay samjhaney ko)
boht si misalen biyan ker di thin. 14.46
Yeh apni apni chalen chal rahey hain aur Allah
ko inn ki tamam chalon ka ilm hai aur inn ki chalen aisi
na thin kay unn say pahar apni jagah say tal jayen.
14.47
Aap hergiz yeh khayal na keren kay Allah apney
nabiyon say wada khilafi keray ga Allah bara hi ghalib
aur badla lenay wala hai. 14.48
Jiss din zamin iss zamin kay siwa aur hi badal
dijayegi aur aasman bhi aur sab kay sab Allah wahid ghalbay
walay kay roo-baroo hongay. 14.49
Aap uss din gunehgaron ko dekhen gay kay zanjeeron
mein milay julay aik jagah jakray huye hongay.
14.50 Unn
kay libad gandhak kay hongay aur aag unn kay chehron per
bhi charhi hui hogi.
14.51 Yeh
iss liye kay Allah Taalaa her shaks ko uss kay kiye huye
aemaal ka badla dey be-shak Allah Taalaa ko hisab letay
kuch dair nahi lagney ki. 14.52
Yeh quran tamam logon kay liye itlaa naama hai
kay iss kay zariye say woh hoshiyaar ker diye jayen aur
bakhoobhi maloom kerlen kay Allah aik hi mabood hai aur
takay aqal mand log soch samajh len. |
| |
|