| Parah-Rubama
14 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Hijir
15 |
| (Sura-Hijir Makka mai
Nazil hui, is mai ninanway (99) Aayatain hain) |
| |
15.01
Alif -laam-raa yeh kitab-e-elahi ki aayaten hain
aur khullay aur roshan quran ki. 15.02
Woh bhi waqt hoga kay kafir apney musalman honey
ki aarzoo keren gay. 15.03
Aap unhen khata nafa uthata aur (jhooti) umeedon
mein masghool hota chor dijiye yeh khud abhi jaan len
gay. 15.04
Kissi basti ko hum ney halak nahi kiya magar
yeh kay uss kay liye muqarrar navishta tha.
15.05 Koi
giroh apni maut say na aagay barhta hai na peechay rehta
hai. 15.06
Enhon ney kaha aey woh shaks jiss per quran utara
gaya hai yaqeenan tu to koi deewana hai.
15.07 Agar
tu sacha hi hai to humaray pass farishton ko kiyon nahi
laata. 15.08
Hum farishton ko haq kay sath hi utartay hain
aur uss waqt woh mohlat diye gaye nahi hotay.
15.09 Hum
ney iss quran ko nazil farmaya hai aur hum hi uss kay
mohafiz hain. 15.10
Hum ney aap say pehlay agli ummaton mein bhi
apney rasool (barabar) bhejay.
15.11 Aur
(lekin) jo bhi rasool aata woh uss ka mazaq uratay.
15.12
Gunehgaron kay dilon mein hum issi tarah yehi
racha diya kertay hain. 15.13
Woh iss per eman nahi latay aur yaqeenan aglon
ka tareeqa guzra hua hai. 15.14
Aur agar hum inn per aasman ka darwaza khol bhi
den aur yeh wahan charhney bhi lag jayen.
15.15 Tab
bhi yehi kahen gay humari nazar bandi ker di gaee hai
bulkay hum logon per jadoo ker diya gaya hai.
15.16 Yaqeenan
hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon
kay liye ussay saja diya gaya hai. 15.17
Aur issay her mardood shetan say mehfooz rakha
hai. 15.18
Haan magar jo chori chuppay sunnay ki kosish
keray uss kay peechay dehakta hua (khulla shola) lagta
hai. 15.19
Aur zamin ko hum ney phela diya hai aur iss per
(atal) pahar bana diye hain aur iss mein hum ney her cheez
aik moyyan miqdar say uga di hai. 15.20
Aur issi mein hum ney tumhari roziyan bana di
hain aur jinhen tum rozi denay walay nahi ho.
15.21 Aur
jitni bhi cheezen hain unn sab kay khazaney humaray pass
hain aur hum her cheez ko uss kay muqarrar andaz say utartay
hain. 15.22
Aur hum bhejtay hain bojhal hawayen phir aasman
say pani barsa ker woh tumhen pilatay hain aur tum iss
ka zakheera kerney walay nahi ho. 15.23
Hum hi jilatay aur maartay hain aur hum hi (bil-aakhir)
waris hain. 15.24
Aur tum mein say aagay barhney walay aur peechay
hatney walay bhi humaray ilm mein hain. 15.25
Aap ka rab sab logon ko jama keray ga yaqeenan
woh bari hikmaton wala baray ilm wala hai.
15.26 Yaqeenan
hum ney insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti
say peda farmaya hai. 15.27
Aur iss say pehlay jinnat ko hum ney low wali
aag say peda kiya. 15.28
Aur jab teray perwerdigar ney farishton say farmaya
kay mein aik insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti
say peda kerney wala hun. 15.29
To jab mein ussay poora bana chukon aur iss mein
apni rooh phoonk doon to tum sab iss kay liye sajday mein
girr parna. 15.30
Chunacha tamamam farishton ney sab kay sab ney
sajda ker liya.
15.31 Magar
iblees kay. Kay uss ney sajda kerney walon mein shamooliyat
kerney say (saaf) inkar kerdiya. 15.32
(Allah Taalaa ) ney farmaya aey iblees tujhay
kiya hua kay tu sajda kerney walon mein shamil na hua?
15.33
Woh bola kay mein aisa nahi kay iss insan ko
sajda keroon jissay tu ney kali aur sarhi hui khankhanati
mitti say peda kiya hai. 15.34
Farmaya abb tu bahisht say bikal jaa kiyon kay
tu raand-e-dargah hai. 15.35
Aur tujh per meri phitkaar hai qayamat kay din
tak. 15.36
Kehney laga aey meray rab! Mujhay uss din tak
dheel dey kay log doobara utha kharay kiye jayen.
15.37
Farmaya acha tu unn mein say hai jinhen mohlat
milli hai. 15.38
Roz-e-muqarrara kay waqt tak ki.
15.39 (shetan
ney) kaha aey meray rab! Chun kay tu ney mujhay gumraah
kiya hai mujhay bhi qasam hai kay mein bhi zamin mein
inn kay liye ma’asi ko muzayyan keroon ga aur inn
sab ko behkaon ga. 15.40
Siwaye teray unn bandon kay jo muntakhib ker
liye gaye hain.
15.41 Irshad
hua kay haan yehi mujh tak phonchney ki seedhi raah hai.
15.42
Meray bandon per tujhay koi ghalba nahi lekin
haan jo gumrah log teri pairwi keren. 15.43
Yaqeenan inn sab kay waday ki jagah jahannum
hai. 15.44
Jiss kay saat darwazay hain, her darwazay kay
liye inn ka bara hissa bata hua hai. 15.45
Perhezgaar jannati log baghon aur chashmon mein
hongay. 15.46
(unn say kaha jayega) salamti aur aman kay sath
iss mein dakhil hojao. 15.47
Unn kay dilon mein jo kuch ranjish-o-keena tha
hum sab kuch nikal den gay woh bhai bhai banay huye aik
doosray kay aamney samney takhton per behtay hongay.
15.48
Na to unhen wahan koi rakleef chu sakti hai aur
na wahan say kabhi nikalen jayegay. 15.49
Meray bandon ko khabar dey do kay mein boht hi
bakhshney wala aur bara hi meharban hun.
15.50 Aur
sath hi meray azab bhi nihayat dard naak hain.
15.51 Enhen
ibrahim kay mehmanon ka (bhi) haal suna do.
15.52 Kay
jab unhon ney unn kay pass aaker salam kiya to unhon ney
kaha kay hum ko tum say darr lagta hai. 15.53
Unhon ney kaha daro nahi hum tujhay aik saahib-e-ilm
farzand ki bisharat detay hain. 15.54
Kaha kiya iss burhapay kay aajaney kay baad tum
mujhay khushkhabri detay ho! Yeh khushkhabri tum kaisay
dey rahey ho? 15.55
Unhon ney kaha hum aap ko bilkul sachi khushkhabri
sunatay hain aap mayus logon mein shamil na hon.
15.56
Kiya apney rab taalaa ki rehmat say na umeed
to sirf gumrah aur behkay huye log hi hotay hain.
15.57
Poocha kay Allah kay bhejay huye (farishto!)
tumhara aisa kiya eham kaam hai? 15.58
Unhon ney jawab diya kay hum mujrim qom ki taraf
bhejay gaye hain. 15.59
Magar khaandan-e-loot kay hum unn sab ko to zaroor
bacha len gay. 15.60
Siwaye uss (loot) ki biwi kay kay hum ney ussay
rukney aur baqi reh janey walon mein muqarrar ker diya
hai.
15.61 Jab
bhejay huye farishtay aal-e-loot kay pass phonchay.
15.62
To unhon (loot alh-e-salam) ney kaha tum log
to kuch anjan say maloon horahey ho. 15.63
Unhon ney kaha nahi bulkay hum teray pass woh
cheez laye hain jiss mein yeh log shak-o-shuba ker rahey
thay. 15.64
Hum to teray pass (sareeh) haq laye hain aur
hain bhi bilkul sachay. 15.65
Abb tu apney khaandan samet iss raat kay kissi
hissay mein chal dey aur aap inn kay peechay rehna aur
(khabardaar) tum mein say koi (peechay) murr ker bhi na
dekhay aur jahan ka tumhen hukum kiya jaraha hai wahan
chalay jana. 15.66
Aur hum ney uss ki taraf iss baat ka faisla ker
diya kay subha hotay hotay inn logon ki jaren kaat di
jayen gi. 15.67
Aur shehar walay khushiyan manatay huye aaye.
15.68
(loot alh-e-salam ney) kaha yeh log meray mehaman
hain tum mujhay ruswa na kerna. 15.69
Allah Taalaa say daro aur mujhay ruswa na kero.
15.70
Woh bolay kiya hum ney tujhay duniya bhar (ki
thekaydaari) say mana nahi ker rakha?
15.71 (loot
alh-e-salam ney) kaha agar tumhen kerne hi hai to yeh
meri bachiyan mojood hain. 15.72
Teri umar ki qasam ! woh to apni bad-masti mein
sir gardan thay. 15.73
Pus sooraj nikaltay nikaltay unhen aik baray
zor ki aawaz ney pakar liya. 15.74
Bil aakhir hum ney iss shehar ko upper talay
kerdiya aur inn logon per kankar walay pathar barsaye.
15.75
Bila shuba basirat walon kay liye iss mein boht
si nishaniyan hain. 15.76
Yeh basti aisi raah per hai jo barabar chalti
rehti (aam guzargaah) hai. 15.77
Aur iss mein eman walon kay liye bari nishani
hai. 15.78
Aeeka basti key rehney walay bhi baray zalim
thay. 15.79
Jin say (aakhir) hum ney intiqam ley hi liya.
Yeh dono shehar khullay (aam) raastay per hain.
15.80
Aur hijr walon ney bhi rasoolon ko jhutalaya.
15.81 Aur
hum ney unn ko apni nishaniyan bhi ata farmaeen (lekin)
tahum woh inn say roo gardani hi kertay rahey.
15.82 Yeh
log paharon ko tarash tarash ker ghar banatay thay bey
khof hoker. 15.83
Aakhir enhen bhi subha hotay hotay chinghaar
ney aa dabocha. 15.84
Pus inn ki kissi tadbeer-o-amal ney unhen koi
faeeda na diya. 15.85
Hum ney aasmanon aur zamin ko aur inn kay darmiyan
ki sabb cheezon ko haq kay sath peda farmaya hai aur qayamat
zaroor zaroor aaney wali hai. Pus tu husn-o-khoobi (aur
achai) say dar guzar kerley. 15.86
Yaqeenan tera perwerdigar hi peda kerney wala
aur jannay wala hai. 15.87
Yaqeenan hum ney aap ko saat aayaten dey rakhi
hain kay dohraee jati hain aur azeem quran bhi dey rakha
hai. 15.88
Aap hergiz apni nazren uss cheez ki taraf na
dorayen jiss say hum ney inn mein say kaee qisam kay logon
ko behra mand ker rakha hai na inn per aap afsos keren
aur momino kay liye apney bazoo jhukaye rahen.
15.89 Aur
keh dijiye kay mein to khullam khulla daraney wala hun.
15.90
Jaisay kay hum ney unn taqseem kerney walon per
utara.
15.91 Jinhon
ney iss kitab-e-elahi kay tukray tukray ker diye.
15.92
Qasam hai teray paalney walay ki! Hum unn sab
say zaroor baaz purs keren gay. 15.93
Her uss cheez ki jo woh kertay thay.
15.94 Pus
aap iss hukum ko jo aap ko kiya jaa raha hai khol ker
suna dijiye! Aur mushrikon say mun pher lijiye.
15.95
Aap say jo log maskhra pann kertay hain unn ki
saza kay liye hum kafi hain. 15.96
Jo Allah kay sath doosray mabood muqarrar kertay
hain unhen un-qarib maloom hojayega. 15.97
Humen khoob ilm hai inn baaton say aap ka dil
tang hota hai. 15.98
Aap apney perwerdigar ki tasbeeh aur hamd biyan
kertay rahen aur sajda kerney walon mein shamil hojayen.
15.99
Aur apney rab ki ibadat kertay rahen yahan tak
kay aap ko maut aajaye. |
| |
| Surat-Nahal
16 |
| (Sura-Nahal Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-ahaees (128) Aayatain hain) |
| |
16.01
Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao.
Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say
jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain.
16.02
Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney
bandon mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum
logon ko aagah kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi
pus tum mujh say daro. 16.03
Ussi ney aasmanon aur zamin ko haq kay sath peda kiya
hai woh iss say bari hai jo mushrik kertay hain.
16.04
Uss ney insan ko nutfay say peda kiya phir woh sareeh
jhagraloo bann betha. 16.05
Ussi ney chopaye peda kiye jin mein tumharay liye garmi
kay libas hain aur bhi boht say nafay hain aur baaz tumharay
khaney kay kaam aatay hain. 16.06
Aur inn mein tumhari ronaq bhi hai jab chara ker laao
tab bhi aur jab charaney ley jao tab bhi.
16.07
Aur woh tumharay bojh unn shehron tak utha ley jatay hain
jahan tum baghair aadhi jaan kiye phonch hi nahi saktay
thay. Yaqeenan tumhara rab bara hi shafiq aur nihayat
meharbaan hai. 16.08
Ghoron ko khacharon ko gadhon ko uss ney peda kiya kay
tum unn ki sawari lo aur baees-e-zeenat bhi hain. Aur
bhi woh aisi boht cheezen peda kerta hai jin ka tumhen
ilm bhi nahi. 16.09
Aur Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi
raahen hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast
per laga deta. 16.10
Wohi tumharay faeeday kay liye aasman say pani barsata
hai jissay tum peetay bhi ho aur ussi say ugay huye darakhton
ko tum apney janwaron ko charatay ho.
16.11
Issi say woh tumharay liye kheti aur zaitoon aur khujoor
aur angoor aur her qisam kay phal ugata hai be-shak unn
logon kay liye iss mein bari nishani hai jo ghor-o-fikar
kertay hain. 16.12
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey
ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat
hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee
aik nishaniyan mojood hain. 16.13
Aur bhi boht si cheezen tarah tarah kay rang roop ki uss
ney tumharay liye zamin per phela rakhi hain. Be-shak
naseehat qabool kerney walon kay liye iss mein bari bhari
nishani hai. 16.14
Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain
kay tum iss mein say (nikla hua) taza gosht khao aur iss
mein say apney pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum
dekhtay ho kay kashtiyan iss mein pani cheerti hui (chalti)
hain aur iss liye bhi kay tum uss ka fazal talash kero
aur hosakta hai kay tum shukar guzari bhi kero.
16.15
Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen
ley ker hilay na aur nehren aur raahen bana den takay
tum manzil-e-maqsood ko phoncho. 16.16
Aur bhi boht si nishaniyan muqarrar farmaeen. Aur sitaron
say bhi log raah hasil kertay hain. 16.17
To kiya woh jo peda kerta hai uss jaisa hai jo peda nahi
ker sakta? Kiya tum bilkul nahi sochtay?
16.18
Aur agar tum Allah ki nematon ka shumar kerna chahao to
tum ussay nahi ker saktay. Be-shak Allah bara bakhshney
wala meharban hai. 16.19
Aur jo kuch tum chupao aur zahir kero Allah Taalaa sab
kuch janta hai. 16.20
Aur jin jin ko yeh log Allah Taalaa kay siwa pukartay
hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh
khud peda kiye huye hain.
16.21
Murdey hain zinda nahi unhen to yeh bhi shaoor nahi kay
kab uthayen jayen gay. 16.22
Tum sab ka mabood sirf Allah Taalaa akela hai aur aakhirat
per eman na rakhney walon kay dil munkir hain aur woh
khud takabbur say bharay huye hain. 16.23
Bey shak-o-shuba Allah Taalaa her uss cheez ko jissay
woh log chupatay hain aur jissay zahir kertay hain bakhoobi
janta hai. Woh ghuroor kerney walon ko pasand nahi farmata.
16.24
Inn say jab daryaft kiya jata hai kay tumharay perwerdigar
ney kiya nazil farmaya hai? To jawab detay hain kay aglon
ki kahaniyan hain. 16.25
Issi ka natija hoga kay qayamat kay din yeh log apney
pooray bojh kay sath hi unn kay bojh kay bhi hissay daar
hongay jinhen bey ilmi say gumraah kertay rahey. Dekho
to kaisa bura bojh utha rahey hain. 16.26
Inn say pehlay kay logon ney bhi makar kiya tha (aakhir)
Allah ney (unn kay mansoobon) ki emarton ko jaron say
ukher diya aur unn (kay saron) per (unn ki) chaten upper
say gir paren aur unn kay pass azab wahan say aagaya jahan
ka unn ko weham-o-guman bhi na tha.
16.27 Phir
qayamat walay din bhi Allah unn ko ruswa keray ga aur
farmaye gay kay meray woh shareek kahan hain jin kay baray
mein tum lartay jhagartay thay jinhen ilm diya gaya tha
woh pukar uthen gay kay aaj to kafiron ko ruswaee aur
buraee chimat gaee. 16.28
Woh jo apni jano per zulm kertay hain farishtay jab unn
ki jaan qabz kerney lagatay hain uss waqt woh jhuk jatay
hain kay hum buraee nahi kertay thay. Kiyon nahi? Allah
Taalaa khoob jannay wala hai jo kuch tum kertay thay.
16.29
Pus abb to hameshgi kay tor per tum jahannum kay darwazon
mein dakhil hojao pus kiya hi bura thikana hai ghuroor
kerney walon ka. 16.30
Aur perhezgaron say poocha jata hai kay tumharya perwerdigar
ney kiya nazil farmaya hai? Wo woh jawab detay hain kay
achay say acha. Jin logon ney bhalee ki unn kay liye iss
duniya mein bhalee hai aur yaqeenan aakhirat ka ghar to
boht hi behtar hai aur kiya hi khoob perhezgaron ka ghar
hai.
16.31
Hameshgi walay baghaat jahan woh jayen gay jin kay neechay
nehren beh rahi hain jo kuch yeh talab keren gay wahan
unn kay liye mojood hoga. Perhezgaron ko Allah Taalaa
issi tarah badlay ata farmata hai. 16.32
Aur jin ki janen farishtay iss haal mein qabz kertay hain
kay woh pak saaf hon kehtay hain kay tumharay liye salamti
hi salamti hai jao jannat mein apney unn aemaal kay badlay
jo tum kertay thay. 16.33
Kiya yeh issi baat ka intizar ke rahey hain kay inn kay
pass farishtay aajayen ya teray rab ka hukum aajaye? Aisa
hi unn logon ney bhi kiya tha jo inn say pehlay thay.
Unn per Allah Taalaa ney koi zulm nahi kiya bulkay woh
khud apni janon per zulm kertay rahey. 16.34
Pus unn kay buray aemaal kay natijay unhen mill gaye aur
jiss ki hansi uratay thay uss ney unn ko gher liya.
16.35
Mushrik logon ney kaha kay agar Allah Taalaa chahata to
hum aur humaray baap daday uss kay siwa kissi aur ki ibadat
hi na kertay na uss kay farman kay baghair kissi cheez
ko haram kertay. Yehi fail inn say pehlay kay logon ka
raha. To rasoolon per to sirf khullam khulla paygham phoncha
dena hai. 16.36
Hum ney her ummat mein rasool bheja kay (logo!) sirf Allah
ki ibadat kero aur uss kay siwa tamam maboodon say bacho.
Pus baaz logon ko to Allah Taalaa ney hidayat di aur baaz
per gumrahi sabit hogaee pus tum khud zamin mein chal
phir ker dekh lo kay jhutlaney walon ka anjam kaisa kuch
hua? 16.37
Go aap inn ki hidayat kay khuwaish mand rahey hain lekin
Allah Taalaa ussa hidayat nahi deta jissay gumrah kerdey
aur na unn ka koi madadgar hota hai. 16.38
Woh log bari sakht sakht qasmen kha kha ker kehtay hain
kay murdon ko Allah Taalaa zinda nahi keray ga. Kiyon
nahi zaroor zinda keray ga yeh to uss ka bar haq lazmi
wada hai leki aksar log jantay nahi. 16.39
Iss liye bhi kay yeh log jiss cheez mein ikhtilaf kertay
thay ussay Allah Taalaa saaf biyan kerdey aur iss liye
bhi kay khud kafir apna jhoota hona jaan len.
16.40
Hum jab kissi cheez ka irada kertay hain to sirf humara
yeh keh dena hota hai kay ho jaa pus woh hojati hai.
16.41
Jin logon ney zulm bardasht kerney kay baad Allah ki raah
mein tark-e-watan kiya hai hum unhen behtar say behtar
thikana duniya mein ata farmyen gay aur aakhirat ka sawab
to boht hi bara hai kaash kay log iss say waqif hotay.
16.42
Woh jinhon ney daman-e-sabar na chora aur apney palney
walay hi per bharosa kertay rahey. 16.43
Aap say pehlay bhi hum mardon ko hi bhejtay rahey jin
ki janib wahee utara kertay thay pus agar tum nahi jantay
to ehl-e-ilm say daryaft kerlo. 16.44
Daleelon aur kitabon kay sath yeh zikar (kitab) hum ney
aap ki taraf utara hai kay logon ki janib jo nazil farmaya
gaya hai aap ussay khol khol ker biyan ker den shayad
kay woh ghoro-o-fikar keren. 16.45
Bad tareen dao paich kerney walay kiya iss baat
say bey khof hogaye hain kay Allah Taalaa unhen zamin
mein dhansa dey ya unn kay pass aisi jagah say azab aajaye
jahan ka unhen weham-o-guman bhi na ho. 16.46
Ya unhen chaltay phirtay pakar ley. Yeh kissi soorat mein
Allah Taalaa ko aajiz nahi ker saktay. 16.47
Ya unhen dara dhamka ker pakar ley pus yaqeenan tumhara
perwerdigar aala shafqat aur intehaee reham wala hai.
16.48
Kiya enhon ney Allah ki makhlooq mein kissi ko bhi nahi
dekha? Kay uss kay saye dayen bayen jhuk jhuk ker Allah
Taalaa kay samney sir ba sujood hotay aur aajzi ka izhar
kertay hain. 16.49
Yaqeenan aasman-o-zamin kay kul jandar aur tamam farishtay
Allah Taalaa kay samney sajday kertay hain aur zara bhi
takabbur nahi kertay. 16.50
Aur apney rab sau jo unn kay upper hai kapkapatay rehtay
hain aur jo hukum mill jaye uss ki tameel kertay hain.
16.51 Allah
Taalaa irshad farma chuka hai kay do mabood na banao.
Mabood to sirf wohi akela hai pus tum sab mera hi darr
khof rakho. 16.52
Aasmanon mein aur zamin mein jo kuch hai sab
ussi ka hai aur ussi ki ibadat lazim hai kiya phir tum
uss kay siwa auron say dartay ho? 16.53
Tumharay pass jitni bhi nematen hain sab ussi
ki di hui hain abb bhi jab tumhen koi museebat paish aajaye
to ussi ki taraf nala-o-faryad kertay ho.
16.54 Aur
jahan uss ney woh museebat tum say dafa ker di tum mein
say kuch log apney rab kay sath shirk kerney lag jatay
hain. 16.55
Kay humari di hui nematon ki na shukri keren.
Acha kuch faeeda utha lo aakhir kaar tumhen maloom ho
hi jaye ga. 16.56
Aur jisay jantay boojhtay bhi nahi uss ka hissa
humari di hui rozi mein say muqarrar kertay hain wallah
tumharay iss bohtan ka sawal tum say zaroor hi kiya jayega.
16.57
Aur woh Allah subhana hu wa-Taalaa kay liye larkiyan
muqarrar kertay hain aur apney liye woh jo apni khuwaish
kay mutabiq ho. 16.58
Inn mein say jab kissi ko larki honey ki khabar
di jaye to uss ka chehra seeha hojata hai aur dil hi dil
mein ghutney lagta hai. 16.59
Iss buri khabar say logon say chupa chupa phirta
hai. Sochta hai kay kiya iss zillat ko sath liye huye
hi rahey ya issay mitti mein daba dey aah! Kiya hi buray
faislay kertay hain? 16.60
Aakhirat per eman na rakhney walon ki hi buri
misal hai Allah kay liye to boht hi buland sift hai woh
bara hi ghalib aur ba hikmat hai.
16.61 Agar
logon kay gunah per Allah Taalaa unn ki girift kerta to
roy-e-zamin per aik jandar baqi na rehta lekin woh to
enhen aik waqt muqarrara tal dheel deta hai jab inn ka
woh waqt aajata hai to woh aik sa’at na peechay
reh saktay hain aur na aagay barh saktay hain.
16.62 Aur
woh apney liye jo jo na pasand rakhtay hain Allah kay
liye sabit kertay hain aur inn ki zabanen jhooti baten
biyan kerti hain kay inn kay liye khoobi hai. Nahi nahi
dar-asal inn kay liye aag hai aur yeh dozakhiyon kay paish
ro hain. 16.63
Wallah! hum ney tumjh say pehlay ki ummaton ki
taraf bhi apney rasool bhejay lekin shetan ney unn kay
aemaal-e-bad unn ki nighaon mein aaraasta ker diye woh
shetan aaj bhi unn ka rafiq bana hua hai aur unn kay liye
dard naak azab hai. 16.64
Iss kitab ko hum ney aap per iss liye utara hai
kay aap inn kay liye her uss cheez ko wazeh kerden jiss
mein woh ikhtilaf ker rahey hain aur yeh eman daron kay
liye rehnumaee aur rehmat hai. 16.65
Aur Allah aasman say pani barsa ker iss say zamin
ko uss ki maut kay bad zinda ker deta hai. Yaqeenan iss
mein unn logon kay liye nishani hai jo sunen.
16.66 Tumharay
liye to chopayon mein bhi bari ibrat hai kay hum tumhen
uss kay pait mein jo kuch hai ussi mein say gobar aur
lahoo kay darmiyan say khalis doodh pilatay hain jo peenay
walon kay liye sehta pachta hai. 16.67
Aur khujoor aur angoor kay darakhton kay phalon
say tum sharab bana letay ho aur umdah rozi bhi. Jo log
aqal rakhtay hain unn kay liye to iss mein boht bari nishani
hai. 16.68
Aap kay rab ney shehad ki makhi kay dil mein
yeh baat daal di kay paharon mein darakhton logon ki banaee
hui unchi unchi tatiyon mein apney ghar (chattay) bana.
16.69
Aur her tarah kay meway kha aur apney rab ki
aasan raahon mein chalti phirti reh inn kay pait say rang
barang ka mashroob nikalta hai jiss kay rang mukhtalif
hain aur jiss mein logon kay liye shifa hai ghor-o-fiker
kerney walon kay liye iss mein boht bari nishani hai.
16.70
Allah Taalaa ney hi tum sab ko peda kiya hai
wohi phir tumhen fot keray ga tum mein aisay bhi hain
jo bad tareen umar ki taraf lotaye jatay hain kay boht
kuhc jannay boojhney kay baad bhi na janen. Be-shak Allah
dana aur tawana hai.
16.71 Allah
Taalaa hi ney tum mein say aik ko doosray per rozi mein
ziyadti dey rakhi hai pus jinhen ziyadti di gaee hai woh
apni rozi apney matehat ghulamon ko nahi detay kay woh
aur yeh iss mein barabar hojayen to kiya yeh log Allah
ki nematon kay munkir ho rahey hain? 16.72
Allah Taalaa ney tumharay liye tum mein say hi
tumhari biwiyan peda kin aur tumhari biwiyon say tumharay
liye tumharay betay aur potay peda kiye aur tumhen achi
achi cheezen khaney ko den. Kiya phir bhi log baatil per
eman layen ga? Aur Allah Taalaa ki nematon ki na shukri
keren gay? 16.73
Aur woh Allah Taalaa kay siwa unn ki ibadat kertay
hain jo aasmanon aur zamin say unhen kuch bhi to rozi
nahi dey saktay aur na kuch qudrat rakhtay hain.
16.74
Pus Allah Taalaa kay liye misalen mat banao Allah
Taalaa khoob janta hai aur tum nahi jantay.
16.75 Allah
Taalaa aik misal biyan farmata hai kay aik ghulam hai
doosray ki milkiyat ka jo kissi baat ka ikhtiyar nahi
rakhta aur aik aur shaks hai jissay hum ney apney pass
say maqool rozi dey rakhi hai. Kiya yeh sab barabar ho
saktay hain? Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai bulkay
inn mein say aksar nahi jantay. 16.76
Allah Taalaa aik aur misal biyan farmata hai
do shakson ki jin mein say aik to goonga hai aur kissi
cheez per ikhtiyar nahi rakhta bulkay woh apney malik
per bojh hai kahin bhi ussay bhejay woh koi bhalaee nahi
lata kiya yeh aur woh jo adal ka hukum deta hai aur hai
bhi seedhi raah per barabar ho saktay hain?
16.77 Aasmanon
aur zamin ka ghaib sirf Allah Taalaa hi ko maloom hai
aur qayamat ka amar to aisa hi hai jaisay aankh ka jhapakna
bulkay iss say bhi ziyada qarib. Be-shak Allah Taalaa
her cheez per qadir hai. 16.78
Allah Taalaa ney tumhen tumhari maaon kay peton
say nikala hai kay uss waqt tum kuch bhi nahi jantay thay
ussi ney tumharay kaan aur aankhen aur dil banaye kay
tum shukar guzari kero. 16.79
Kiya inn logon ney parindon ko nahi dekha jo
tabey farman ho ker fiza mein hain jinhen ba-juz Allah
Taalaa kay koi aur thamay huye nahi be-shak iss mein eman
laney walay logon kay liye bari nishaniyan hain.
16.80
Aur Allah Taalaa ney tumharay liye tumharay gharon
mein sakoonat ki jagah bana di hai aur ussi ney tumharay
liye chopayon ki khalon kay ghar bana diye hain jinhen
tum halka phulka patay ho apney kooch kay din aur apney
theharney kay din bhi aur unn ki oon aur roo’on
aur baalon say bhi uss ney boht say saman aur aik waqt
muqarrara tak kay liye faeeday ki cheezen banaeen.
16.81 Allah
hi ney tumharay liye apni peda kerda cheezon mein say
saye banaye hain aur ussi ney tumharay liye paharon mein
ghaar banaye hain aur ussi ney tumharay liye kurtay banaye
hain jo tumhen garmi say bachayen aur aisay kuraty bhi
jo tumhen laraee kay waqt kaam aayen. Woh issi tarah apni
poori poori nematen dey raha hai kay tum hukum bardaar
bann jao. 16.82
Phir bhi agar yeh mun moray rahen to aap per
sirf khol ker tableegh ker dena hi hai. 16.83
Yeh Allah ki nematen jantay pehchantay huye bhi
unn kay munkie horahey hain bulkay inn mein say aksar
na shukray hain. 16.84
Aur jiss din hum her ummat mein say gawah khara
keren gay phir kafiron ko na ijazat di jaye gi aur na
unn say toba kerney ko kaha jayega. 16.85
Aur jab yeh zalim azab dekh len gay phir na to
unn say halka kiya jayega aur na woh dheel diye jayen
gay. 16.86
Aur jab mushrikeen apney sharikon ko dekh len
gay to kahen gay aey humaray perwerdigar! Yehi humaray
woh shareek hain jinhen hum tujhay chor ker pukara kertay
thay pus woh unhen jawab den gay kay tum bilkul hi jhootay
ho. 16.87
Uss din woh sab (aajiz ho ker) Allah kay samney
ita’at ka iqrar paish keren gay aur jo bohtan bazi
kiya kertay thay woh sab unn say gumm hojayega.
16.88
Jinhon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka
hum unhen azab per azab barhatay jayen gay yeh badla hoga
unn ki fitna pardaziyon ka. 16.89
Aur jiss din hum her ummat mein unhi mein say
unn kay muqablay mein gawah khara keren gay aur tujhay
inn sab per gawah bana ker layen gay aur hum ney tujh
per yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka
shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri
say musalmanon kay liye. 16.90
Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron
kay sath salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee
kay kaamon na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say
rokta hai woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay
tum naseehat hasil kero.
16.91 Aur
Allah kay ehad ko poora kero jabkay tum aapas mein qol-o-qarar
aur qasmon ko unn ki pukhtagi kay baad mat toro halankay
tum Allah Taalaa ko apna zaamin thehra chukay ho tum jo
kuch kertay ho Allah uss ko bakhoobi jaan raha hai.
16.92
Aur uss aurat ki tarah na hojao jiss ney apna
soot mazboot kaatney kay baad tukray tukray ker kay tor
dala kay tum apni qasmon ko aapas kay makar ka baees thehrao
iss liye kay aik giroh doosray giroh say barha charha
jaye. Baat sirf yehi hai kay iss ehad say Allah tumhen
aazma raha hai. Yaqeenan Allah Taalaa tumharay liye qayamt
kay din her uss cheez ko khol ker biyan ker dey ga jiss
mein tum ikhtilaf ker rahey thay. 16.93
Agar Allah chahata to tum sab ko aik hi giroh
bana deta lekin woh jisay chahaye gumrah kerta hai aur
jisay chahaye hidayat deta hai yaqeenan tum jo kuch ker
rahey ho uss kay baray mein baaz purs ki janey wali hai.
16.94
Aur tum apni qasmon ko aapas ki dagha baazi ka
bahana na banao. Phir to tumharay qadam apni mazbooti
kay baad dagmaga jayen gay aur tumhen sakht saza bardasht
kerna paray gi kiyon kay tum ney Allah ki raah say rok
diya aur tumhen bara sakht azab hoga. 16.95
Tum Allah kay ehad ko thoray mol kay badley na
bech diya kero. Yaad rakho Allah kay pass ki cheez hi
tumharay liye behtar hai ba-shart-e-kay tum mein ilm ho.
16.96
Tumharay pass jo kuch hai sab faani hai aur Allah
Taalaa kay pass jo kuch hai baqi hai. Aur sabar kerney
walon ko hum bhalay aemaal ka behtareen badla zaroor ata
faramayen gay. 16.97
Jo shaks nek amal keray mard ho ya aurat lekin
ba-eman ho to hum ussay yaqeenan nihayat behtar zindagi
ata farmyen gay. Aur unn kay nek aemaal ka behtareen badla
bhi unhen zaroor zaroor den gay. 16.98
Quran parhney kay waqt randay huye shetan say
Allah ki panah talab kero. 16.99
Eman walon aur apney perwerdigar per bharosa
rakhney walon per uss ka zor mutlaqan nahi chalta.
16.100
Haan iss ka ghalba unn per to yaqeenan hai jo
issi say rafaqat keren aur issay Allah ka shareek thehrayen.
16.101 Aur
jab hum kissi aayat ki jagah doosri aayat badal detay
hain aur jo kuch Allah Taalaa nazil farmata hai ussay
woh khoob janta hai to yeh kehtay hain kay tu to bohtan
baaz hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar jantay hi
nahi. 16.102
Keh dijiye kay issay aap kay rab ki taraf say
jibraeel haq kay sath ley ker aaye hain takay eman walon
ko Allah Taalaa istaqamat ata farmaye aur musalmanon ki
rehnumaee aur bisharat ho jaye. 16.103
Humen bakhoobi ilm hai kay yeh kafir kehtay hain
kay issay to aik aadmi sikhata hai uss ki zaban jiss ki
taraf yeh nisbat ker rahey hain ajami hai aur yeh quran
to saaf arabi mein hai. 16.104
Jo log Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi
rakhtay unhen Allah ki taraf say bhi rehnumaee nahi hoti
aur unn kay liye alam naak azab hain. 16.105
Jhoot iftra to wohi bandhtay hain jinhen Allah
Taalaa ki aayaton per eman nahi hota. Yehi log jhootay
hain. 16.106
Jo shaks apney eman kay baad Allah say kufur
keray ba-juz uss kay jiss per jabar kiya jaye aur uss
ka dil eman per bar qarar ho magar jo log khullay dil
say kufur keren to unn per Allah ka ghazab hai aur unhi
kay liye boht bara azab hai. 16.107
Yeh iss liye kay enhon ney duniya ki zindagi
ko aakhirat per ziyada mehboob rakgha. Yaqeenan Allah
Taalaa kafir logon ko raah-e-raast nahi dikhata.
16.108
Yeh woh log hain jin kay dilon per aur jin kay
kanon per aur jin ki aankhon per Allah ney mohar laga
di hai aur yehi log ghafil hain. 16.109
Kuch shak nahi kay yehi log aakhirat mein sakht
nuksan uthaney walay hain. 16.110
Jin logon ney fitnon mein dalay janey kay baad
hijrat ki phir jihad kiya aur sabar ka saboot diya be-shak
tera perwerdigar inn baton kay baad unhen bakhshney wala
aur meharbaniyan kerney wala hai.
16.111 Jis
din her shaks apni zaat kay liye larta jhagarta aaye aur
her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka poora badla diya
jaye ga aur logon per (mutlaqan) zulm na kiya jaye ga.
16.112
Allah Taalaa uss basti ki misal biyan farmata
hai jo pooray aman-o-itminan say thi uss ki rozi uss kay
pass ba faraghat her jagah say chali aarahi thi. Phir
uss ney Allah Taalaa ki nematon ka kufur kiya to Allah
Taalaa ney ussay bhook aur darr ka maza chakhaya jo badla
tha unn kay kartooton ka. 16.113
Unn kay pass unhin mein say rasool phoncha phir
bhi unhon ney ussay jhutlaya pus unhen azab ney aa dabocha
aur woh thay hi zalim. 16.114
Jo kuch halal aur pakeeza rozi Allah ney tumhen
dey rakhi hai ussay khao aur Allah ki nemat ka shukar
kero agar tum ussi ki ibadat kertay ho. 16.115
Tum per sirf murdaar aur khoon aur sooar ka gosht
aur jiss cheez per Allah kay siwa doosray ka naam pukara
jaye haram hain phir agar koi shaks bey bus ker diya jaye
na woh khuwaish mand ho aur na hadd say guzrney wala ho
to yaqeenan Allah bakhshney wala reham kerney wala hai.
16.116
Kissi cheez ko apni zaban say jhoot moot na keh
diya kero kay yeh halal hai aue yeh haram hai kay Allah
per jhoot bohtan bandh lo samjh lo kay Allah Taalaa per
bohtan baazi kerney walay kaamyabi say mehroom hi rehtay
hain. 16.117
Enhen boht mamooli faeeda milta hai aur inn kay
liye dard naak azab hai. 16.118
Aur yahudiyon per hum ney jo kuch haram kiya
tha ussay hum pehlay hi say aap ko suna chukay hain hum
ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon
per zulm kertay rahey. 16.119
Jo koi jahalat say buray amal keray phir toba
kerley aur islaah bhi kerley to phir aap ka rab bila shak-o-shuba
bari bakhsish kerney wala aur nihayat hi meharban hai.
16.120
Be-shak ibrahim paishwa aur Allah Taalaa kay
farmanbardaar aur yak tarfa muslim thay. Woh mushriko
mein say na thay.
16.121 Allah
Taalaa ki nematon kay shukar guzaar thay Allah ney unhen
apna bar gazeedah ker liya tha aur uhen raah-e-raast sujha
di thi. 16.122
Hum ney ussay duniya mein bhi behtri di thi aur
be-shak woh aakhirat mein neko kaaron mein say hain.
16.123
Phir hum ney aap ki janib wahee bheji kay aap
millat-e-ibrahim-e-hanif ki perwi keren jo mushrikon mein
say na thay. 16.124
Haftay kay din ki azmat to sirf unn logon kay
zimmay hi zaroori ki gaee thi jinhon ney uss mein ikhtilaf
kiya tha baat yeh hai kay aap ka perwerdigar khud hi unn
mein unn kay ikhtilaf ka faisla qayamat kay din keray
ga. 16.125
Apney rab ki raah ki taraf logon ko hikmat aur
behtareen naseehat kay sath bulaiye aur unn say behtareen
teriqay say guftugoo kijiye yaqeenan aap ka rab apni raah
say behakney walon ko bhi bakhoobi janta hai aur woh raah
yafta logon say bhi poora waqif hai. 16.126
Aur agar badla lo bhi to bilkul utna hi jitna
sadma tumhen phonchaya gaya ho aur agar sabar kerlo to
be-shak sabiron kay liye yehi behtar hai.
16.127 Aap
sabar keren baghair tofiq-e-elahi kay aap sabar ker hi
nahi saktay aur inn kay haal per ranjeeda na hon aur jo
makar-o-faraib yeh kertay rahey hain unn say tang dil
na hon. 16.128
Yaqeen mano kay Allah Taalaa perhezgaron aur
nek kaaron kay sath hai. |
|
|