| Parah-Subhanal-Lazi
15 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Bani-Israeel
17 |
| (Sura-Bani-Israeel Makka
mai Nazil hui, is mai aikso-gyara (111) Aayatain hain) |
| |
17.01
Pak hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat
hi raat mein masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley
gaya jiss kay aas pass hum ney barkat dey rakhi hai iss
liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney deikhayen
yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala hai.
17.02
Hum ney musa ko kitab di aur ussay bani israeel
kay liye hidayat bana diya kay tum meray siwa kissi ko
apna kaarsaaz na banana. 17.03
Aey unn logon ki aulad! Jinhen hum ney nooh kay
sath sawar ker diya tha woh humara bara hi shukar guzaar
banda tha. 17.04
Hum ney bano islraeel kay liye unn ki kitab mein
saaf faisla ker diya tha kay tum zamin mein doobara fasad
barpa kero gay aur tum bari zabardast ziyadtiyan kero
gay. 17.05
Inn dono wadon mein say pehlay kay aatay hi hum
ney tumharay muqabley per apney banday bhej diye jo baray
hi larakay thay. Pus woh tumharay gharon kay andar tak
phel gaye aur Allah ka yeh wada poora hona hi tha.
17.06
Phir hum ney unn per tumhara ghalba dey ker tumharay
din pheray aur maal aur aulad say tumhari madad ki aur
tumehn baray juthay wala bana diya. 17.07
Agar tum ney achay kaam kiye to khud apney hi
faeeday kay liye aur agar tum ney buraiyan kin to bhi
apney hi liye phir jab doosray waday ka waqt aaya (to
hum ney doosray bandon ko bhej diya takay) woh tumharay
chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi masjid
mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen
tor phor ker jarr say ukhar den. 17.08
Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray.
Haan agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara
aisa hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana
jahannum ko bana rakha hai. 17.09
Yaqeenan yeh quran woh raasta dikhata hai jo
boht hi seedha hai aue eman walon ko jo nek aemaal kertay
hain iss baat ki khushkhabri deta hai kay unn kay liye
boht bara ajar hai. 17.10
Aur yeh kay jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay
unn kay liye hum ney dardnaak azab tayyar ker rakha hai.
17.11
Aur insan buraee ki duayen mangney lagta hai
bilkul iss ki apni bhalaee ki dua ki tarah insan hai hi
bara jald baaz. 17.12
Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan
banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker
diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay
tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi
kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her
her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya
hai. 17.13
Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay
galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney
uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper
khulla hua paa ley ga. 17.14
Ley! Khus hi apni kitab aap parh ley. Aaj to
tu aap hi apna khud hisab lenay ko kafi hai.
17.15
Jo raah-e-raast hasil kerley woh khud apney hi
bhalay kay liye raah yafta hota hai aur jo bhatak jaye
uss ka bojh ussi kay upper hai koi bojh wala kissi aur
ka bojh apney upper na laaday ga aur humari sunnat nahi
kay rasool bhejney say pehlay hi azab kerney lagen.
17.16
Aur jab hum kissi basti ki halakat ka irada ker
letay hain to wahan kay khushaal logon ko (kuch) hukum
detay hain aur woh uss basti mein khulli na-farmani kerney
lagtay hain to unn per (azab) ki baat sabit hojati hai
phir hum ussay tabah-o-barbad ker detay hain.
17.17
Hum ney nooh kay baad bhi boht si qomen halak
kin aur tera rab apney bandon kay gunahon say kafi khabardaar
aur khoob dekhney wala hai. 17.18
Jiss ka irada sirf iss jaldi wali duniya (fori
faeeda) ka hi ho ussay hum yahan jiss qadar jiss kay liye
chahayen sirdast detay hain bil aakhir uss kay liye jahannum
muqarrar ker detay hain jahan woh burray halon dhutkara
hua dakhil hoga. 17.19
Aur jiss ka irada aakhirat ka ho aur jaisi kosish
uss kay liye honi chahaye woh kerta bhi ho aur woh baa
eman bhi ho pus yehi log hain jin ki kosish ki Allah kay
haan poori qadar daani ki jaye gi. 17.20
Her aik ko hum ba-hum phonchaye jatay hain enhen
bhi aur unhen bhi teray perwerdigar kay inamaat mein say.
Teray perwerdigar ki bakhsish ruki hui nahi hai.
17.21
Dekhlay kay inn mein aik ko aik per hum ney kiss
tarah fazilat dey rakhi hai aur aakhirat to darjon mein
aur bhi barh ker hai aur fazilat kay aetbaar say bhi boht
bari hai. 17.22
Allah kay sath kissi aur ko mabood na thehra
kay aakhirish tu buray halon bey kus hoker beht rahey
ga. 17.23
Aur tera perwerdigar saaf saaf hukum dey chuka
hai kay tum uss kay siwa kissi aur ki ibadat na kerna
aur maa baap kay sath ehsan kerna. Agar teri mojoodgi
mein inn mein say aik ya yeh dono burhapay ko phonch jayen
to unn kay aagay uff tak na kehna na unhen daant dapat
kerna bulkay unn kay sath adab-o-ehtram say baat cheet
kerna. 17.24
Aur aajzi aur mohabbat kay sath unn kay samney
tawazo ka bazoo pust rakhay rakhna aur dua kertay rehna
kay aey meray perwerdigar! Inn per waisa hi reham ker
jaisa enhon ney meray bachpan mein meri perwerish ki hai.
17.25
Jo kuch tumharay dilon mein hai ussay tumhara
rab bakhoobi janta hai agar tum nek ho to woh to tujoo
kerney walon ko bakhshney wala hai. 17.26
Aur rishtay daaron ka aur miskeenon aur musafiron
ka haq ada kertay raho aur israaf aur bey jaa kharch say
bacho. 17.27
Bey jaa kharch kerney walay shetano kay bhai
hain. Aur shetan apney perwerdigar ka bara hi na shukra
hai. 17.28
Aur agar tujhay inn say mun pher lena paray apney
rab ki iss rehmat ki justujoo mein jiss ki tu umeed rakhta
hai to bhi tujhay chahiye kay umdagi aur narmi say unhen
samjha dey. 17.29
Apna hath apni gardan say bandha hua na rakh
aur na ussay bilkul hi khol dey kay phir malamat kiya
hua dar manda beth jaye. 17.30
Yaqeenan tera rab jiss kay liye chahaye rozi
kushada ker deta hai aur jiss kay liye chahaye tang. Yaqeenan
woh apney bandon say baa khabar aur khoob dekhney wala
hai.
17.31
Aur muflisi kay khof say apni aulado ko naa maar
dalo unn ko aur tum ko hum rozi detay hain . yaqeenan
inn ka qatal kerna kabeera gunah hai. 17.32
Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon
kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai.
17.33
Aur kissi jaan ko jiss ka maarna Allah ney haram
ker diya hai hergiz na haq qatal na kerna aur jo shaks
mazloom honey ki soorat mein maar dala jaye hum ney uss
kay waris ko taqat dey rakhi hai pus ussay chahiye kay
maar dalney mein ziyadti na keray be-shak woh madad kiya
gaya hai. 17.34
Aur yateem kay maal kay qareeb bhi na jao ba-juz
uss tareeqay kay jo boht hi behtar ho yahan tak kay woh
apni balooghat ko phonch jaye aur waday pooray kero kiyon
kay qol-o-qarar ki baaz purs honey wali hai.
17.35
Aur jab naapney lago to bharpoor paymaney say
naapo aur seedhi tarazoo say tola kero. Yehi behtar hai
aur anjam kay lehaz say bhi boht acha hai.
17.36
Jiss baat ki tujhay khabar hi na ho uss kay peechay
mat parr. Kiyon kaan aur aankh aur dil inn mein say her
aik say pooch gooch ki janey wali hai. 17.37
Aur zamin mein akar ker na chal kay na to tu
zamin ko phaar sakta hai aur na lambai mein paharon ko
phonch sakta hai. 17.38
Inn sab kaamon ki buraee teray rab kay nazdeek
(sakht) na pasand hai. 17.39
Yeh bhi munjmila uss wahee kay hai jo teri janib
teray rab ney hikmat say utari hai tu Allah kay sath kissi
aur ko mabood na banana kay malamat khorda aur raand-e-dargah
hoker dozakh mein daal diya jaye. 17.40
Kiya beton kay liye to Allah ney tumhen chant
liya aur khud apney liye farishton ko larkiyan bana lin?
Be-shak tum boht bara bol bol rahey ho.
17.41
Hum ney to iss quran mein her her tarah biyan
farma diya kay log samajh jayen lekin iss say enhen to
nafrat hi barhti hai. 17.42
Keh dijiye! Kay Allah kay siwa aur mabood bhi
hotay jaisay kay yeh log kehtay hain to zaroor woh abb
tak malik-e-arsh ki janib raah dhoond nikaltay.
17.43
Jo kuch yeh kehtay hain iss say woh pak aur bala
tar boht door aur boht buland hai. 17.44
Saton aasman aur zamin aur jo bhi inn mein hai
ussi ki tasbeeh ker rahey hain. Aisi koi cheez nahi jo
ussay pakeezgi aur tareef kay sath yaad na kerti ho.haan
yeh sahih hai kay tum uss ki tasbeeh samajh nahi saktay.
Woh bara burbaar aur bakhshney wala hai.
17.45
Tu jab quran parhta hai hum teray aur unn logon
kay darmiyan jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aik posheeda
hijab daal detay hain. 17.46
Aur inn kay dilon per hum ney pardey daal diye
hain kay woh issay samjhen aur inn kay kano mein bojh
aur jab tu sirf Allah hi ka zikar uss ki toheed kay sath
iss quran mein kerta hai to woh roo gardani kertay peeth
pher ker bhag kharay hotay hain. 17.47
Jiss gharz say woh log issay suntay hain unn
(ki niyaton) say hum khoob aagah hain jab yeh aap ki taraf
kaan lagaye huye hotay hain tab bhi aur yeh mashwara kertay
hain tab bhi jab kay zalim kehtay hain kay tum uss ki
tabeydaari mein lagay huye ho jin per jadoo ker diya gaya
hai. 17.48
Dekhen to sahih aap kay liye kiya kiya misalen
biyan kertay hain pus woh behak rahey hain. Abb to raah
pana inn kay bus mein nahi raha. 17.49
Enhon ney kaha kay kiya jab hum haddiyan aur
(mitti hoker) reza reza hojayen gay to kiya hum azz sir-e-no
peda ker kay phir doobara utha kharay kerdiye jayen gay.
17.50
Jawab dijiye kay tum pathar bann jao ya loha.
17.51
Ya koi aur aisi khulqat jo tumharay dilon mein
boht hi sakht maloom ho phir woh yeh poochen kay kaun
hai jo doobara humari zindagi lotaye? Aap jawab dey den
kay wohi Allah jiss ney tumhen awal martaba peda kiya
iss per woh apney sir hila hila ker aap say daryaft keren
gay kay acha yeh hai kab? To aap jawab dey den kay kiya
ajab kay woh (sa’at) qareeb hi aan lagi ho.
17.52
Jiss din woh tumhen bulaye ga tum uss ki tareef
kertay huye tameel-e-irshad kero gay aur gumaan kero gay
kay tumhara rehna boht hi thora hai. 17.53
Aur meray bandon say keh dijiye kay woh boht
hi achi baat mun say nikala keren kiyon kay shetan aapas
mein fasad dalwata hai. Be-shak shetan insan ka khulla
dushman hai. 17.54
Tumhara rab tum say ba-nisbat tumharay boht ziyada
jannay wala hai woh agar chahaye to tum per reham ker
dey ya agar woh chahaye tumhen azab dey. Hum ney aap ko
inn ka zaimay daar thehra ker nahi bheja.
17.55
Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab
ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz
per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum
ney ata farmaee hai. 17.56
Keh dijiye kay Allah kay siwa jinhen tum mabood
samajh rahey ho unhen pukaro lekin na to woh tum say kissi
takleef ko door ker saktay hain aur na badal saktay hain.
17.57
Jinhen yeh log pukartay hain khud woh apney rab
kay taqarrub ki justujoo mein rehtay hain kay inn mein
say kaun ziyada nazdeek hojaye woh khud uss ki rehmat
ki umeed rakhtay aur uss kay azab say khifzada rehtay
hain (baat bhi yehi hai) kay teray rab ka azab darney
ki cheez hi hai. 17.58
Jitni bhi bastiyan hain hum qayamat kay din say
pehlay pehlay ya to unhen halak ker denay walay hain ya
sakht tar azab denay walay hain. Yeh to kitab mein likha
ja chuka hai. 17.59
Humen nishanaat (mojzaat) kay nazil kerney say
rok sirf issi ki hai kay aglay log enhen jhutla chuken
hain hum ney samoodiyon ko bator baseerat kay oontni di
lekin unhon ney uss per zulm kiya hum to logon ko dhamkaney
kay liye hi nishaniyan bhejtay hain. 17.60
Aur yaad kero jabkay hum ney aap say farma diya
kay aap kay rab ney logon ko gher liya hai. Jo roya (any
royat) hum ney aap ko dikhaee thi woh logon kay liye saaf
aazmaeesh hi thi aur issi tarah woh darakht bhi jiss say
quran mein izhar-e-nafrat kiya gaya hai. Hum unehn dara
rahey hain lekin yeh unhen aur bari sirkashi mein barha
raha hai.
17.61
Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay adam
ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney
kaha kiya mein ussay sajda keroon jissay tu ney mitti
say peda kiya hai. 17.62
Acha dekh ley issay tu ney mujh per buzrugi to
di hai lekin agar mujhay bhi qayamat tak tu ney dheel
di to mein iss ki aulad ko ba-juz boht thoray logon kay
apney bus mein kerloon ga. 17.63
Irshad hua kay jaa inn mein say jo bhi tera tabeydaar
hojayega to tum sab ki saza jahannum hai jo poora poora
badla hai. 17.64
Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka
sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha
laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha
laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi
waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb
hain. 17.65
Meray sachay bandon per tera koi qaboo aur bus
nahi. Tera rab kaarsaazi kerney wala kafi hai.
17.66
Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya
mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash
kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai.
17.67
Aur samandaron mein musibat phonchtay hi jinhen
tum pukartay thay sab gumm hojatay hain sirf wohi Allah
baqi reh jata hai. Phir jab woh tumhen khushki ki taraf
bacha laata hai to tum mun pher letay ho aur insan bara
hi na shukra hai. 17.68
To kiya tum iss say bey khof hogaye ho kay tumhen
khushki ki taraf (ley jaa ker zamin) mein dhansa dey ya
tum per pathron ki aandhi bhej dey. Phir tum apney liye
kissi nigehbaan ko na paa sako. 17.69
Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay
Allah Taalaa phir tumhen doobara darya kay safar mein
ley aaye aur tum per tez-o-tund hawaon kay jhonkay bhej
dey aur tumharay kufur kay baees tumhen dobo dey. Phir
tum apney liye hum per iss ka dawa (peecha) kerney wala
kissi ko na pao. 17.70
Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di
aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza
cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen
fazilat ata farmaee.
17.71
Jiss din hum her jamat ko uss kay paishwa samet
bulayen gay. Phir jin ka bhi aemaal nama dayen hath mein
dey diya gaya woh to shoq say apna naam-e-aemaal parheny
lagen gay aur dhagay kay barabar (zarra barabar) bhi zulm
na kiye jayen gay. 17.72
Aur jo koi iss jahan mein andha raha woh aakhirat
mein bhi andha aur raastay say boht hi bhatka hua rahey
ga. 17.73
Yeh log aap ko iss wahee say jo hum ney aap per
utari hai behkana chahtay hain kay aap iss kay siwa kuch
aur hi humaray naam say ghar ghara len tab to aap ko yeh
log apna wali dost bana letay. 17.74
Agar hum aap ko sabit qadam na rakhtay to boht
mumkin tha kay inn ki taraf qadray qaleel maeel ho hi
jatay. 17.75
Phir to hum bhi aap ko dohra azab duniya ka kertay
aur dohra hi maut ka phir aap to apney liye humaray muqablay
mein kissi ko madadgar bhi na patay. 17.76
Yeh to aap kay qadam iss sir zamin say ukharaney
hi lagay thay kay aap ko iss say nikal den. Phir yeh bhi
aap kay baad boht hi kum thehar patay. 17.77
Aisa hi dastoor unn ka tha jo aap say pehlay
rasool hum ney bhejay aur aap humaray dastoor mein kabhi
radd-o-badal na payen gay. 17.78
Namaz ko qaeem keren aftab kay dhalney say ley
ker raat ki tareeki tak aur fajar ka quran parhna bhi
yaqeenan fajar kay waqt ka quran parhna hazir kiya gaya
hai. 17.79
Raat kay kuch hissay mein tahajjud ki namaz mein
quran ki tilawat keren yeh ziyadti aap kay liye hai un-qarib
aap ka rab aap ko muqam-e-mehmood mein khara keray ga.
17.80
Aur dua kiya keren kay aey meray perwerdigar
mujhay jahan ley jaa achi tarah ley jaa aur jahan say
nikal achi tarah nikal aur meray liye apney pass say ghalba
aur imdad muqarrar farma dey.
17.81
Aur ailaan kerdey kay haq aa chuka aur na haq
nabood hogaya. Yaqeenan baatil tha bhi nabood honey wala.
17.82
Yeh quran jo hum nazil ker rahey hain momino
kay liye to sirasir shifa aur rehmat hai. Haan zalimon
kay ba-juz nuksan kay aur koi ziyadti nahi hoti.
17.83
Aur insan per jab hum apna inam kertay hain to
mun mor leta hai aur kerwat badal leta hai aur jab issay
koi takleef phonchti hai to woh mayus ho jata hai.
17.84
Keh dijiye! Kay her shaks apney tareeqay per
aamil hai jo poori hidayat kay raastay per hain unhen
tumhara rab hi bakhoobi jannay wala hai.
17.85
Aur yeh log aap say rooh ki babat sawal kertay
hain aap jawab dey dijiye kay rooh meray rab kay hukum
say hai aur tumhen boht hi kum ilm diya gaya hai.
17.86
Aur agar hum chahayen to jo wahee aap ki taraf
hum ney utari hai sab salb ker len phir aap ko iss kay
liye humaray muqablay mein koi himayati mayassar na aa
sakay. 17.87
Siwaye aap kay rab ki rehmat kay yaqeenan aap
per uss ka bara hi fazal hai. 17.88
Keh dijiye kay agar tamam insan aur kul jinnat
mill ker iss quran kay misil lana chahayen to inn sab
say iss kay misil lana na mumkin hai qo woh (aapas mein)
aik doosray kay madadgar bhi bann jayen.
17.89
Hum ney to iss quran mein logon kay samjhney
kay liye her tarah say tamam misalen biyan ker di hain
magar aksat log inkar say baaz nahi aatay.
17.90
Enhon ney kaha hum aap per hergiz eman laney
kay nahi ta-waqt-e-kay aap humaray liye zamin say koi
chashma jari na ker den.
17.91
Ya khud aap kay liye hi koi baagh ho khujooron
aur anguron ka aur iss kay darmiyan aap boht si nehren
jari ker dikhayen. 17.92
Ya aap aasman ko hum per tukray tukray ker kay
gira den jaisa kay aap ka guman hai ya aap khud Allah
Taalaa ko aur farishton ko humaray samney laa khara keren.
17.93
Ya aap kay apney liye koi soney ka ghar ho jaye
ya aap aasman per charh jayen aur hum to aap kay charh
janey ka bhi uss waqt tak hergiz yaqeen nahi keren gay
jab tak aap hum per koi kitab na utaar layen jissay hum
khud parh len aap jawab dey den kay mera perwerdigar pak
hai mein to sirf aik insan hi hun jo rasool banaya gaya
hun. 17.94
Logon kay pass hidayat phonch chukney kay baad
eman say rokney wali sirf yehi cheez rahi kay unhon ney
kaha kiya Allah ney aik insan ko hi rasool bana ker bheja?
17.95
Aap keh den kay agar zamin mein farishtay chaltay
phirtay aur rehtay bastay hotay to hum bhi inn kay pass
kissi aasmani farishtay ho ko rasool bana ker bhejtay.
17.96
Keh dijiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah
Taalaa ka gawah hona kafi hai. Woh apney bandon say khoob
aagah aur bakhoobi dekhney wala hai. 17.97
Allah jiss ki rehnumaee keray woh to hidayat
yafta hai aur jissay woh raah say bhatka dey na mumkin
hai kay tu uss ka madadgar uss kay siwa kissi aur ko paye
aisay logon ko hum baroz qayamat ondhay mun hashar keren
gay daran halankay woh andhay goongay aur behray hongay
unn ka thikana jahannum hoga. Jab kabhi woh bujhney lagay
gi hum unn per ussay aur bharka den gay.
17.98
Yeh sab humari aayaton say kufur kerney aur uss
kehney ka badla hai kay kiya jab hum hadiyan aur rezay
rezay hojayen gay phir hum naee pedaeesh mein utha kharay
kiye jayen gay? 17.99
Kiya enhon ney iss baat per nazar nahi ki jiss
Allah ney aasman-o-zamin ko peda kiya hai woh inn jaison
ki pedaeesh per poora qadir hai ussi ney inn kay liye
aik aisa waqt muqarrar ker rakha hai jo shak-o-shubay
say yaksar khali hai lekin zalim log inkar kiye baghair
rehtay hi nahi. 17.100
Keh dijiye kay agar bil farz tum meray rab ki
rehmaton kay khazanon kay malik bann jatay to tum uss
waqt bhi uss kay kharch ho janey kay khof say uss ko rokay
rakhtay aur insan hai hi tang dil.
17.101
Hum ney musa ko no moajzzay bilkul saaf saaf
ata farmaye tu khud hi bani isaeel say pooch ley kay jab
woh inn kay pass phonchay to firaon bola kay aey musa!
Meray khayal mein to tujh per jadoo ker diya gaya hai.
17.102
Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho
chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh
moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey
firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak
kiya gaya hai. 17.103
Aakhri firaon ney pukhta irada ker liya kay unhen
zamin say hi ukher dey to hum ney khud ussay aur uss kay
tamam sathiyon ko gharq ker diya. 17.104
Iss ka baad hum ney bani isaraeel say farma diya
kay iss sir zamin per tum raho saho haan jab aakhirat
ka wada aaye ga hum tum sab ko samet aur lapet ker ley
aayen gay. 17.105
Aur hum ney iss quran ko haq kay sath utara aur
yeh bhi haq kay sath utra. Hum ney aap ko sirf khushkhabri
sunaney wala aur daraney wala bana ker bheja hai.
17.106
Quran ko hum ney thora thora ker kay iss liye
utara hai kay aap issay ba-mohlat logon ko sunayen aur
hum ney khud bhi issay ba-tadreej nazil farmaya.
17.107
Keh dijiye! Tum iss per eman laao ya na laao
jinehn iss say pehlay ilm diya gaya hai unn kay pass to
jab bhi iss ki tilawat ki jati hai to woh thoriyon kay
bal sajda mein gir partay hain. 17.108
Aur kehtay hain kay humara rab pak hai humaray
rab ka wada bila shak-o-shuba poora ho ker rehney wala
hi hai. 17.109
Woh apni thoriyon kay bal rotay huye sajday mein
gir partay hain aur yeh quran unn ki aajzi aur khushoo
aur khuzoo barha deta hai. 17.110
Keh dijiye kay Allah ko Allah keh ker pulkaro
ya rehman keh ker jiss naam say bhi pukaro tamam achay
naam ussi kay hain. Na to tu apni namaz boht buland aawaz
say parh aur na bilkul posheeda balkay iss kay darmiyan
ka raasta talash kerley. 17.111
Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi
kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat
mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh
kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur
tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh. |
| |
| Surat-Kaahaf
18 |
| (Sura-Kaahaf Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-das (110) Aayatain hain) |
| |
18.01
Tamam tareefen ussi Allah kay liye saza waar
hain jiss ney apney bandey per yeh quran utara aur iss
mein koi kasar baqi na chori. 18.02
Bulkay her tarah say theek thaak rakha takay
apney pass ki saza sakht saza say hoshiyar ker dey aur
eman laney aur nek amal kerney walon ko khushkhabriyan
suna dey kay unn kay liye behtareen badla hai.
18.03 Jiss
mein woh hamesha hamesha rahen gay. 18.04
Aur unn logon ko bhi dara dey jo kehtay hain
kay Allah Taalaa aulad rakhta hai. 18.05
Dar-haqeeqat na to khud unhen iss ka ilm hai
na unn kay baap dadon ko. Yeh tohmat bari buri hai jo
inn kay mun say nikal rahi hai woh nira jhoot bak rahey
hain. 18.06
Pus agar yeh log iss baat per eman na layen to
kiya aap inn kay peechay issi ranj mein apni jaan halak
ker dalen gay? 18.07
Rooy-e-zamin per jo kuch hai hum ney ussay zamin
ki ronaq ka baees banaya hai kay hum enhen aazma len kay
inn mein say kaun nek aemaal wala hai. 18.08
Iss per jo kuch hai hum ussay aik humwaar saaf
maidan ker dalney walay hain. 18.09
Kiya tu apney khayal mein ghaar aur katbay walon
ko humari nishaniyon mein say koi boht ajeeb nishani samjha
raha hai? 18.10
Unn chand no-jawano ney jab ghaar mein panah
li to dua ki kay aey humaray perwerdigar! Humen apney
pass say rehmat ata farma aur humaray kaam mein humaray
liye raah yabi ko aasan ker dey.
18.11 Pus
hum ney unn kay kano per ginti kay kaee saal tak issi
ghaar mein pardey daal diye. 18.12
Phir hum ney unehn utha khara kiya kay hum yeh
maloom ker len kay dono giroh mein say uss intehaee muddat
ko jo unhon ney guzari kiss ney ziyada yaad rakhi hai.
18.13
Hum unn ka sahih waqiya teray samney biyan farma
rahey hain. Yeh chand no-jawan apney rab per eman laye
thay aur hum ney unn ki hodayat mein taraqqi di thi.
18.14
Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay
yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar
to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin
hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar
aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi.
18.15
Yeh hai humari qom jiss ney iss kay siwa aur
mabood bana rakhen hain. Inn ki khudaee ki yeh koi saaf
daleel kiyon paish nahi kertay Allah per jhoot iftra bandhney
walay say ziyada zalim kaun hai? 18.16
Jabkay tum unn say aur Allah kay unn kay maboodon
say kinara kash hogaye to abb tum kissi ghaar mein jaa
behto tumhara rab tum per apni rehmat phela dey ga aur
tumharay liye tumharay kaam mein sahoolat mohiyya ker
dey ga. 18.17
Aap dekhen gay kay aftab ba-waqt tuloo unn kay
ghaar say dayne janob ko jhuk jata hai aur ba-waqt-e-ghuroob
unn kay bayen janib katra jata hai aur woh iss ghaar ki
kushada jaga mein hain. Yeh Allah ki nishaniyon mein say
hai. Allah Taalaa jiss ki raahbari farmaye woh raah-e-raast
per hai aur jissay woh gumraah ker dey na mumkin hai kay
aap uss ka koi kaar saaz aur rehnuma paa saken.
18.18
Aap khayal kertay hain kay woh beydaar hain halankay
woh soye huye thay khud hum hi unhen dayen bayen kerwaten
dilaya kertay thay unn ka kutta bhi chokhat per apney
hath paon phelaye huye tha. Agar aap jhank ker unhen dekhna
chahatay to zaroor ultay paon bhag kharay hotay aur unn
kay rob say aap per dehshat chah jati. 18.19
Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha diya kay
aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney kaha
kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney
jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney
lagay kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah
Taalaa hi ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni
yeh chandi dey ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley
kay shehar ka kaun say khana pakeeza tar hai phir ussi
mein say tumharay liye khaney kay liye ley aaye aur boht
ehtiyat aur narmi barttay aur kissi ko tumhari khabar
na honey dey. 18.20
Agar yeh kafir tum per ghalba paa len to tumhen
sangsaar ker den gay ya tumhen phir apney deen mein lota
len gay aur phir tum kabhi bhi kaamyaab na hosako gay.
18.21 Hum
ney iss tarah logon ko unn kay haal say aagah ker diya
kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul sacha hai aur
qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney amar mein
aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn kay
ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal
ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein
ghalba paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass
masjod bana len gay. 18.22
Kuch log to kahen gay kay ashaab-e-kahaf teen
thay aut chotha unn ka kuta tha. Kuch kahen gay kay panch
thay aur chata unn ka kuta tha ghaib ki baton mein atkal
(kay teer tukkay) chalatay hain kuch kahen gay woh saat
hain aur aathwaa unn ka kuta hai. Aap keh dijiye kay mera
perwerdigar unn ki tadaad ko ba-khoobi jannay wala hai
unhen boht hi kum log jantay hain. Pus aap inn kay muqadmay
mein sirf sirsari guftugoo hi keren aur inn mein say kissi
say unn kay baray mein pooch gooch bhi na keren.
18.23
Aur hergiz hergiz kissi kaam yun na kehna kay
mein issay kal keroon ga. 18.24
Magar sath hi inshaAllah keh lena. Aur jab bhi
bhoolay apney perwerdigar ko yaad ker liya kerna aur kehtay
rehna mujhay poosi umeed hai kay mera rab mujhay iss say
bhi ziyada hidayat kay qareeb ki baat ki rehbari keray.
18.25
Woh log apney ghaar mein teen so saal tak rahey
aur no saal aur ziyada guzaray. 18.26
Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney
ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka
ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney
aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar
nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi
kerta. 18.27
Teri janib jo teray rab ki kitab wahee ki gaee
hai ussay parhta reh uss ki baton ko koi badalney wala
nahi tu uss kay siwa hergiz hergiz koi panah ki jagah
na paye ga. 18.28
Aur apney aap ko unhin kay sath rakha ker jo
apney perwerdigar ko subha shaam pukartay hain aur ussi
kay chehray kay iraday rakhtay hain (raza mandi chahatay
hain) khabardaar! Teri nigahen unn say na hatney payen
kay dunyawi zindagi kay thaath kay iraday mein lag jaa.
Dekh uss ka kehna na manna jiss kay dil ko hum ney apney
zikar say ghafil ker diya hai aur jo apni khuwaishon kay
peechay para hua hai aur jiss ka kaam hadd say guzar chuka
hai. 18.29
Aur ailaan ker dey kay yeh sirasar bar-haq quran
tumharay rab ki taraf say hai. Abb jo chahaye eman laye
aur jo chahaye kufur keray. Zalimon kay liye hum ney woh
aag tayyar ker rakhi hai jiss ki qanaten unhen gher len
gi agar woh faryad rasi chahayen gay to unn ki faryad
rasi uss pani say ki jayegi jo tel ki talchat jaisa hoga
jo chehray bhoon dey ga bara hi bura pani hai aur bari
buri aaram gaah (dozakh) hai. 18.30
Yaqeenan jo log eman layen aur nek aemaal keren
to hum kissi nek amal kerney walay ka sawab zaya nahi
kertay.
18.31 Unn
kay liye hameshgi wali jannaten hain inn kay neechay nehren
jari hongi wahan yeh soney kay kangan pehnayen jayen gay
aur sabz rang kay narm-o-bareek aur motay resham kay libas
pehnen gay wahan takhton kay upper takiye lagaye huye
hongay. Kiya khoob badla hai aur kiss qadar umdah aaram
gaah hai. 18.32
Aur enhen unn do shakson ki misal bhi suna dey
jin mein say aik ko hum ney do baagh angooron kay dey
rakhay thay aur jinhen khujooron kay darakhton say hum
ney gher rakha tha aur dono kay darmiyan kheti laga rakhi
thi. 18.33
Dono baagh apna phal khoob laye aur iss mein
kissi tarah ki kami na ki aur hum ney inn baaghon kay
darmiyan nehar jari ker rakhi thi. 18.34
Al-gharz uss kay pass meway thay aik din uss
ney baton hi baton mein apney sathi say kaha kay mein
tujh say ziyada maaldaar hun aur juthay kay aitbaar say
bhi ziyada mazboot hun. 18.35
Aur yeh apney baagh mein gaya aur tha apni jaan
per zulm kerney wala. Kehney laga kay mein khayal nahi
ker sakta kay kissi waqt bhi yeh barbaad hojaye.
18.36
Aur na mein qayamat ko qaeem honey wali khayal
kerta hun aur agar (bil farz) mein apney rab ki taraf
lotaya bhi gaya to yaqeenan mein (uss lotney ki jagah)
iss say bhi ziyada behtar paon ga. 18.37
Uss kay sathi ney uss say baten kertay huye kaha
kay kiya to uss (mabood) say kufur kerta hai jiss ney
tujhay mitti say peda kiya. Phir nutfay say phir tujhay
poora aadmi bana diya. 18.38
Lekin mein to aqeedah rakhta hun kay wohi Allah
mera perwerdigar hai mein apney rab kay sath kissi ko
shareeq na keroon ga. 18.39
Tu ney apney baagh mein jatay waqt kiyon na kaha
kay Allah ka chaha honey wala hai koi taqat nahi magar
Allah ki madad say agar tu mujhay maal-o-aulad mein apney
say kam dekh raha hai. 18.40
Boht mumkin hai kay mera rab mujhay teray iss
baagh say bhi behtar dey aur iss per aasmani azab bhej
dey to yeh chatyal aur chikna maidan bann jaye.
18.41 Ya
iss ka pani neechay utar jaye aur teray bus mein na rahey
kay tu issay dhoond laye. 18.42
Aur uss kay (saray) phal gher liye gaye pus woh
apney uss kharach per jo uss ney iss mein kiya tha apney
hath malney laga aur woh baagh to ondha ulta para tha
aur (woh shaks) yeh keh raha tha kay kaash! Mein apney
rab kay sath kissi ko bhi shareeq na kerta.
18.43 Uss
ki himayat mein koi jamat na uthi kay Allah say uss ka
bachao kerti aur na woh khud hi badla lenay wala bann
saka. 18.44
Yahin say (sabit hai) kay ikhtiyaraat Allah bar-haq
kay liye hain woh sawab denay aur anjam kay aitbaar say
both hi behtar hai. 18.45
Inn kay samney duniya ki zindagi ki misal (bhi)
biyan kero jaisay pani jisay hum aasman say utartay hain
iss say zamin ka sabza mila jula (nikla) hai phir akhir
kaar woh choora choora hojata hai jisay hawayen urayen
liye phirti hain. Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
18.46
Maal-o-aulad to duniya ki hi zeenat hai aur (haan)
albatta baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek
azrooy-e-sawab aur (aaeenda ki) achi tawaqqa kay boht
behtar hain. 18.47
Aur jiss din hum paharon ko chalayen gay aur
zamin ko tu saaf khuli hui dekhay ga aur tamam logon ko
hum ikhatta keren gay inn mein say aik ko bhi baqi na
choren gay. 18.48
Aur sab kay sab teray rab kay samney saff basta
hazir kiye jayen gay. Yaqeenan tum humaray pass ussi tarah
aaye jiss tarah hum ney tumhen pehli martaba peda kiya
tha lekin tum to issi khayal mein rahey kay hum hergiz
tumharay liye koi waday ka waqt muqarrar keren gay bhi
nahi. 18.49
Aur naam-e-aemaal samney rakh diye jayen gay.
Pus tu dekhay ga kay gunhegar iss ki tehreer say khofzada
horahey hongay aur keh rahey hongay haaye humari kharabi
yeh kaisi kitab hai jiss ney koi chota bara baghair gheray
kay baqi hi nahi chora aur jo kuch enhon ney kiya tha
sab mojood payen gay aur tera rab kissi per zulm-o-sitam
na keray ga. 18.50
Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay tum
adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya
yeh jinnon mein say tha uss ney apney perwerdigar ki na-farmani
ki kiya phir bhi tum ussay aur uss ki aulad ko mujhay
chor ker apna dost bana rahey ho? Halankay woh tum sab
ka dushman hai. Aisay zalimon ka kiya hi bura badal hai.
18.51 Mein
ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood
nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur
mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala
bhi nahi. 18.52
Aur jiss woh farmaye ga kay tumharay khayal mein
jo meray shareeq thay unhen pukaro! Yeh pukaren gay lekin
unn mein say koi bhi jawab na dey ga hum unn kay darmiyan
halakat ka saman ker den gay. 18.53
Aur gunehgar jahannum ko dekh ker samajh len
gay kay woh issi mein jhonkay janey walay hain lekin uss
say bachney ki jagah na payen gay. 18.54
Hum ney iss quran mein her her tareeqay say tamam
ki tamam misalen logon kay liye biyan ker di hain lekin
insan sab say ziyada jhagraloo hai. 18.55
Logon kay pass hidayat aa chukney ka baad unhen
eman laney aur apney rab say isataghfaar kerney say sirf
issi cheez ney roka kay aglay logon ka sa moamla unhen
bhi paish aaye ye unn kay samney khullam khulla azab aa
mojood hojaye. 18.56
Hum to apney rasoolon ko sirf iss liye bhejtay
hain kay woh khushkhabriyan suna den aur dara den. Kafir
log baatil kay saharay jhagartay hain aur (chahatay hain
kay) iss say haq ko larkhara den enhon ney meri aayaton
ko aur jis cheez say daraya jaye ussay mazaq bana dala
hai. 18.57
Uss say barh ker zalim kaun hai? Jissay uss kay
rab ki aayaton say naseehat ki jaye woh phir bhi mun moray
rahey aur jo kuch uss kay hathon ney aagay bhej rakha
hai ussay bhool jaye be-shak hum ney unn kay dilon per
parday daal diye hain kay woh issay (na) samajhen aur
unn kay kanon mein girani hai go tu unhen hidayat ki taraf
bulata rahey lekin yeh kabhi bhi hidayat nahi paney kay.
18.58
Tera perwerdigar boht hi baskhsish wala aur meharbani
wala hai woh agar inn kay aemaal ki saza mein pakray to
be-shak enhen jald hi azab ker dey bulkay inn kay liye
aik waday ki ghari muqarrar hai jiss say woh sirakney
ki hergiz jagah nahi payen gay. 18.59
Yeh hain woh bastiyan jinhen hum ney unn kay
mazalim ki bina per ghaarat ker diya aur inn ki tabahi
ki bhi hum ney aik miyaad muqarrar ker rakhi thi.
18.60
Jabkay musa ney apney no-jawan say kaha kay mein
to chalta hi rahoon ga yahan tak kay do dariyaon kay sangum
per phonchon khua mujhay saal-ha-saal chalne paray.
18.61 Jab
woh dono darya kay sangum per phonchay wahan apni machli
bhool gaye jiss ney darya mein surang jaisa apna raasta
bana liya. 18.62
Jab yeh dono wahan say aagay barhay to musa ney
apney no-jawan say kaha laa humara khana dey humen to
apney iss safar say sakht takleef uthani pari.
18.63 Uss
ney jawab diya kay kiya aap ney dekha bhi? Jabkay hum
pathar say take laga ker aaram ker rahey thay wahin mein
machli bhool gaya tha dar-asal shetan ney hi mujhay bhula
diya kay mein aap say iss ka zikar keroon. Uss machli
ney aik anokhay tor per darya mein apna raasta bana liya.
18.64
Musa ney kaha yehi tha jiss ki talash mein hum
thay chunacha wahin say apney qadmon kay nishan dhoondtay
huye wapis lotay. 18.65
Pus humaray bandon mein say aik banday ko paya
jissay hum ney apney pass ki khas rehmat ata farma rakhi
thi aur ussay apney pass say khas ilm sikha rakha tha.
18.66
Iss say musa ney kaha kay mein aap ki tabeydaari
keroon? Kay aap mujhay iss nek ilm ko sikha den jo aap
ko sikhaya gaya hai. 18.67
Uss ney kaha aap meray sath hergiz sabar nahi
ker saktay. 18.68
Aur jiss cheez ko aap ney apney ilm mein na liya
ho uss per sabar ker bhi kaisay saktay hain?
18.69 Musa
ney jawab diya kay inshaAllah aap mujhay sabar kerney
wala payen gay aur kissi baat mein , mein aap ki na-farmani
na keroon ga.
18.70 Uss
ney kaha acha agar aap meray sath hi chalney per israr
kertay hain to yaad rahey kissi cheez ki nisbat mujh say
kuch na poochna jabtak kay mein khud uss ki nisbat koi
tazkara na keroon. 18.71
Phir woh dono chalay yahan tak kay aik kashti
mein sawar huye to uss ney kashti kay takhtay tor diye
musa ney kaha kiya aap issay tor rahey hain takay kashti
walon ko dobo den yeh to aap ney bari (khatarnaak) baat
ker di. 18.72
Uss ney jawab diya kay mein ney to pehlay hi
tujh say keh diya tha kay tu meray sath hergiz sabar na
ker sakay ga. 18.73
Musa ney jawab diya kay meri bhool per mujhay
na pakriye aur mujhay apney kaam mein tangi na daliye.
18.74
Phir dono chalay yahan tak kay aik larkay ko
paya iss ney ussay maar dala musa ney kaha kay kiya aap
ney aik pak jaan ko baghair kissi jaan kay ewaz maar dala?
Be-shak aap ney to bari na pasandeedah harkat ki. |
|
|