| Parah-Qaala-Alam
16 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Kaahaf
18 |
| (Sura-Kaahaf Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-das (110) Aayatain hain) |
| |
18.75
Woh kehney lagay kay mein ney tum say nahi kaha
tha kay tum meray humraah reh ker hergiz sabar nahi ker
saktay. 18.76
Musa (alh-e-salam) ney jawab diya agar abb iss
kay baad mein aap say kissi cheez kay baray mein sawal
keroon to be-shak aap mujhay apney sath na rakhna yaqeena
aap meri taraf say (hadd) uzur ko phonch chukay.
18.77
Phir dono chalay aik gaaon walon kay pass aaker
unn say khana talab kiya to unhon ney unn ki mehmandaari
say saaf inkar ker diya dono ney wahan aik deewar paee
jo gira hi chahati thi uss ney ussay theek aur durust
ker diya musa (alh-e-salam) kehney lagay agar aap chahatay
to iss per ujrat ley letay. 18.78
Uss ney kaha bus yeh judaee hai meray aur teray
darmiyan abb mein tujhay inn baton ki asliyat bhi bata
doon ga jiss per tujh say sabar na ho saka.
18.79 Kashti
to chand miskeeno ki thi jo daya mein kaam kaaj kertay
thay. Mein ney uss mein kuch tor phor kerney ka irada
ker liya kiyon kay unn kay aagay aik badshah tha jo her
aik (sahih saalim) kashti ko jabran zabt ler leta tha.
18.80
Aur uss larkay kay maa baap eman walay thay.
Humen khof hua kay kahin yeh unhen apni sirkashi aur kufur
say aajiz-o-pareshan na kerdey.
18.81 Iss
liye hum ney chaha kay unhen unn ka perwerdigar iss kay
badlay iss say behtar pakeezgi wala aur iss say ziyada
mohabbat aur piyar wala bacha inayat farmaye.
18.82 Deewar
ka qissa yeh hai kay iss shehar mein do yateem bachay
hain jin ka khazana inn ki iss deewar kay neechay dafan
hai inn ka baap bara nek shaks tha to teray rab ki chahat
thi kay yeh dono yateem apni jawani ki umar mein aaker
apna yeh khazana teray rab ki meharbani aur rehmat say
nikal len mein ney apni raye say koi kaam nahi kiya yeh
thi asal haqeeqat unn waqiyaat ki jin per aap say sabar
na hosaka. 18.83
Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft
ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa
haal tumhen parh ker sunata hun. 18.84
Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi
aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay.
18.85
Woh aik raah kay peechay laga. 18.86
Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch
gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota
hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya
hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen
takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen
ravish ikhtiyar keray. 18.87
Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi
abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya
jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga.
18.88 Haan
jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay
mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani
hi ka hukum den gay. 18.89
Phir woh aur raah kay peechay laga.
18.90 Yahan
tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay
aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum
ney uss say aur koi oat nahi banaee.
18.91 Waqiya
aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka
ehaata ker rakha hai. 18.92
Woh phir aik safar kay saman mein laga.
18.93
Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha
unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney
ka qareeb bhi na thi. 18.94
Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj
iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap
kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per
kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana
den. 18.95
Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray
perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf
qooat taqat say meri madad kero. 18.96
Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana
deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay
jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi
to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki
inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass
laao iss per pighla hua tanbaa daal doon.
18.97 Pus
to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi
aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay.
18.98 Kaha
yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab
ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak
meray rab ka wada sacha aur haq hai. 18.99
Uss din hum enhen aapas mein aik doosray mein
gudd madd hotay huye chor den gay aur soor phoonk diya
jayega pus sab ko ikhatha ker kay hum jama ker len gay.
18.100
Uss din hum jahannum ko (bhi) kafiron kay samney
laa khara keren gay.
18.101
Jin ki aankhen meri yaad say pardey mein thi
aur (amar haq) sunn bhi nahi saktay thay.
18.102
Kiya kafir yeh khayal kiye bethay hain? Kay meray
siwa woh meray bandon ko apna himayati bana len gay? (Suno)
hum ney to inn kuffaar ki mehmani kay liye jahannum ko
tayyar ker rakha hai. 18.103
Keh dijiye kay agar (tum kaho to) mein tumhen
bata doon kay ba-aetbaar aemaal sab say ziyada khasaray
mein kaun hain? 18.104
Woh hain kay jinki dunyawi zindagi ki tamam tar
kosishen bekar hogaeen aur woh issi gumaan mein rahey
kay woh boht achay kaam ker rahey hain. 18.105
Yehi woh log hain jinhon ney apney perwerdigar
ki aayaton aur uss ki mulaqat say kufur kiya iss liye
unn kay aemaal ghaarat hogaye pus qayamat kay din hum
unn ka koi wazan qaeem na keren gay. 18.106
Haal yeh hai kay inn ka badla jahannum hai kiyon
kay enhon nay kufur kiya aur meri aayaton aur meray rasoolon
ko mazaq mein uaraya. 18.107
Jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi achay
kiye yaqeenan unn kay liye al-firdous kay baaghaat ki
mehmani hai. 18.108
Jahan woh humesha raha keren gay jiss jagah ko
badalney ka kabhi bhi unn ka irada hi na hoga.
18.109
Keh dijiye kay agar meray perwerdigar ki baton
kay likhney kay liye samandar sihaee bann jayen to woh
bhi meray rab ki baton kay khatam honey say pehlay hi
khatam hojaye ga go hum issi jaisa aur bhi iss ki madad
ko ley aayen. 18.110
Aap keh dijiye kay mein to tum jaisa hi aik insan
hun. (haan) meri janib wahee ki jati hai kay sab ka mabood
aik hi mabood hai to jisay bhi apney perwerdigar say milney
ki aarzoo ho ussay chahaye kay nek aemaal keray aur apney
perwerdigar ki ibadat mein kissi ko bhi shareeq na keray. |
| |
| Surat-Marium
19 |
| (Sura-Marium Makka mai
Nazil hui, is mai atthanway (98) Aayatain hain) |
| |
19.01
Kaaf haa yaa ain suaad. 19.02
Yeh hai teray perwerdigar ki uss meharbani ka
zikar jo uss ney apney banday zakriya per ki thi.
19.03
Jabkay uss ney apney rab say chupkay chupkay
dua ki thi. 19.04
Kay aey meray perwerdigar! Meri hadiyan kamzor
hogaee hain aur sir burhapay ki waja say bharak utha hai
lekin mein tujh say dua kerkay kabhi bhi mehroom nahi
raha. 19.05
Mujhay apney marney kay baad apney qarabat daron
ka darr hai meri biwi bhi baanjh hai pus tu mujhay apney
pass say waris ata farma. 19.06
Jo mera bhi waris ho aur yaqoob (alh-e-salam)
kay khandan ka bhi ja-nasheen aur meray rab! Tu ussay
maqbool banda bana ley. 19.07
Aey zakriya! Hum tujhay aik bachay ki khushkhabri
detay hain jiss kay naam yahya hai hum ney iss say pehlay
iss ka hum naam bhi kissi ko nahi kiya. 19.08
Zakriya (alh-e-salam) kehney lagay aey meray
rab! Meray haan larka kaisay hoga jabkay meri biwi baanjh
aur mein khud burhapay kay intehaee zoaf ko phonch chuka
hun. 19.09
Irshad hua kay wada issi tarah ho chuka teray
rab ney farma diya hai kay mujh per to yeh bilkul aasan
hai aur tu khud jabkay kuch na tha mein tujhay peda ker
chuka hun. 19.10
Kehney lagay meray perwerdigar meray liye koi
alamat muqarrar farma dey irshad hua kay teray liye alamat
yeh hai kay bawajood bhala changa honey kay tu teen raaton
tak kissi shaks say bol na sakay ga.
19.11 Abb
zakriya (alh-e-salam) apney hujray say nikal ker apni
qom kay pass aaker unhen ishara kertay hain kay tum subha-o-shaam
Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kero. 19.12
“Aey yahya! Meri kitab ko mazbooti say
thaam ley” aur hum ney ussay larakpan hi say danaee
ata farma di. 19.13
Aur apney pass say shafqat aur pakeezgi bhi woh
perhezgar shaks tha. 19.14
Aur apney maa baap say nek salook kerney wala
tha woh sirkash aur gunehgar na tha. 19.15
Uss per salam hai jiss din woh peda hua aur jiss
din woh maray aur jiss din woh zinda kerkay uthaya jaye.
19.16
Iss kitab mein marium ka bhi waqiya biyan ker.
Jabkay woh apney ghar kay logon say alehda hoker mashriqi
janib aaeen. 19.17
Aur unn logon ki taraf say parda ker liya phir
hum ney uss kay pass apni rooh (jibraeel alh-e-salam)
ko bheja pus woh uss kay samney poora aadmi bann ker zahir
hua. 19.18
Yeh kehney lagin mein tujh say rehman ki panah
maangti hun agar tu kuch bhi Allah say darney wala hai.
19.19
Uss ney jawab diya kay mein to Allah ka bheja
hua qasid hun tujhay aik pakeeza larka denay aaya hun.
19.20
Kehney lagin bhala meray haan bacha kaisay ho
sakta hai? Mujhay to kissi insan ka hath tak nahi laga
aur na mein badkaar hun.
19.21 Uss
ney kaha baat to yehi hai lekin teray perwerdigar ka irshad
hai kay woh mujh per boht hi aasan hai hum to ussay logon
kay liye aik nishani bana den gay aur apni khaas rehmat
yeh to aik tey shuda baat hai. 19.22
Pus woh hamal say hogaeen aur issi waja say woh
yaksoo hoker aik door ki jaga chali gaeen.
19.23 Phir
dard-e-zeh ussay aik khajoor kay tanay kay neechay ley
aaya boli kaash! Mein iss say pehlay hi marr gaee hoti
aur logon ki yaad say bhi bhooli bisri hojati.
19.24 Itney
mein ussay neechay say hi awaz di kay aazardah khatir
na ho teray rab ney teray paon talay aik chashma jari
ker diya hai. 19.25
Aur iss khajoor kay tanay ko apni taraf hila
yeh teray samney tar-o-taza pakki khajooren gira dey ga.
19.26
Abb chain say kha pi aur aankhen thandi rakh
agar tujhay koi insan nazar parr jaye to keh dena kay
mein ney Allah rehman kay naam ka roza maan rakha hai.
Mein aaj kissi shaks say baat na keroon gi.
19.27 Abb
hazrat essa (alh-e-salam) ko liye huye woh apni qom kay
pass aaeen. Sab kehney lagay marium tu ney bari buri harkat
ki. 19.28
Aey haroon ki behan! Na to tera baap bura aadmi
tha aur na teri maa badkaar thi. 19.29
Marium ney apney bachay ki taraf ishara kiya.
Sab kehnay lagay kay lo bhala hum goad kay bachay say
baat kaisay keren? 19.30
Bcha bol utha kay mein Allah Taalaa ka banda
hun. Uss ney mujhay kitab ata farmaee aur mujhay apna
payghumber banaya hai.
19.31 Aur
uss ney mujhay ba-barkat kiya hai jahan bhi mein hun uss
ney mujhay namaz aur zakat ka hukum diya hai jab tak bhi
mein zinda rahoon. 19.32
Aur uss ney mujhay apni walida ka khidmat guzaar
banaya hai aur mujhay sirkash aur bad-bakht nahi kiya.
19.33
Aur mujh per meri pedaeesh kay din aur meri maut
kay din aur jiss din kay mein doobara zinda khara kiya
jaon ga salam hi salam hai. 19.34
Yeh hai sahih waiya essa bin marium (alh-e-salam)
ka yehi hai woh haq baat jiss mein log shak-o-shuba mein
mubtila hain. 19.35
Allah Taalaa kay liye aulad ka hona laeeq nahi
woh to bilkul pak zaat hai woh to jab kissi kaam kay sir
anjam denay ka irada kerta hai to ussay keh deta hai kay
hoja woh ussi waqt ho jata hai. 19.36
Mera aur tum sab ka perwerdigar Allah Taalaa
hi hai. Tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai.
19.37
Phir yeh firqay aapas mein ikhtilaf kerney lagay
pus kafiron kay liye “wail” hai aik baray
(sakht) din ki hazri hai. 19.38
Kiya khoob dekhney sunnay walay hongay uss din
jabkay humaray samney hazir hongay lekin aaj to yeh zalim
log sareeh gumrahi mein paray huye hain.
19.39 To
unhen uss ranj-o-afsos kay din ka darr suna dey jabkay
kaam anjam ko phoncha diya jayega aur yeh log ghaflat
aur bey emani mein hi reh jayengay. 19.40
Khud zamin kay aur tamam zamin walon kay waris
hum hi hongay aur sab log humari hi taraf lota ker layen
jayen gay.
19.41 Iss
kitab mein ibrahim (alh-e-salam) ka qissa biyan ker be-shak
woh baray sachaee walay payghumber thay.
19.42 Jabkay
unhon ney apney baap say kaha kay abba jaan! Aap inn ki
pooja paat kiyon ker rahey hain jo na sunen na dekhen?
Na aap ko kuch bhi faeeda phoncha saken.
19.43 Meray
meharban maa baap! Aap dekhiye meray pass woh ilm aaya
hai jo aap kay pass aaya hi nahi to aap meri hi manen
mein bilkul seedhi raah ki taraf aap ki rehbari keroon
ga. 19.44
Meray abba jaan aap shetan ki parastish say baaz
aajayen shetan to reham-o-karam walay Allah Taalaa ka
bara hi na-farman hai. 19.45
Abba jaan! Mujhay khof laga hua hai kay kahin
aap per koi azab-e-elahee na aa paray kay aap shetan kay
sathi bann jayen. 19.46
Uss ney jawab diya kay aey ibrahim! Kiya tu humaray
maboodon say roo gardani ker raha hai. Sunn agar tu baaz
na aaya to mein tujhay pathron say maar dalon ga jaa aik
muddat daraz tak mujh say alag reh. 19.47
Kaha acha tum per salam ho mein to apney perwerdigar
say tumhari bakhsish ki dua kerta rahon ga woh mujh per
hadd darja meharban hai. 19.48
Mein to tumhen bhi aur jin jin ko tum Allah Taalaa
kay siwa pukartay ho unhen bhi sab ko chor raha hun. Sirf
apney perwerdigar ko pukarta rahoon ga mujhay yaqeen hai
kay mein apney perwerdigar say dua maang ker mehroom na
rahoon ga. 19.49
Jab ibrahim (alh-e-salam) unn sab ko aur Allah
kay siwa unn kay sab maboodon ko chor chukay to hum ney
unhen ishaq (alh-e-salam) -o- yaqoob (alh-e-salam) ata
farmaye aur dono ko nabi bana diya. 19.50
Aur inn sab ko hum ney apni boht si rehmaten
ata farmaeen aur hum ney inn kay zikar-e-jamil ko buland
darjay ka ker diya.
19.51 Iss
quran mein musa (alh-e-salam) ka zikar bhi ker jo chuna
hua rasool aur nabi tha. 19.52
Hum ney ussay toor kay dayen janib say nida ki
aur raaz goee kertay huye ussay qareeb ker liya.
19.53
Aur apni khas meharbani say uss kay bhai ko nabi
bana ker ata farmaya. 19.54
Iss kitab mein ismail (alh-e-salam) ka waqiya
bhi biyan ker woh bara hi waday ka sacha tha aur tha bhi
rasool aur nabi. 19.55
Woh apney ghar walon ko barabar namaz aur zakat
ka hukum deta tha aur tha bhi apney perwerdigar ki baargaah
mein pasandeedah aur maqbool. 19.56
Aur iss kitab mein idris (alh-e-salam) ka bhi
zikar ker woh bhi nek kirdaar payghumber tha.
19.57 Hum
ney ussay buland muqam per utha liya. 19.58
Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney
fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn
logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh (alh-e-salam)
kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob
say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah
logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton
ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay
gir partay thay. 19.59
Phir inn kay baad aisay na khalaf peda huye kay
unhon ney namaz zaya ker di aur nafsani khuwishon kay
peechay parr gaye so unn ka nuksan unn kay aagay aayega.
19.60
Ba-juz unn kay jo toba ker len aur eman layen
aur nek amal keren. Aisay log jannat mein jayen gay aur
unn ki zara si bhi haq talfi na ki jayegi.
19.61 Humeshgi
wali jannaton mein jin ka ghaeebana wada Allah meharban
ney apney bandon say kiya hai. Be-shak uss ka wada poora
honey wala hi hai. 19.62
Woh log wahan koi laghaw baat na sunen gay sirf
salam hi salam sunen gay unn kay liye wahan subha shaam
unn ka rizq hoga. 19.63
Yeh hai woh jannat jiss ka waris hum apney bandon
mein say unhen banatay hain jo muttaqi hon.
19.64 Hum
baghair teray rab kay hukum kay utar nahi saktay humaray
aagay peechay aur inn kay darmiyan ki kul cheezen ussi
ki milkiyat mein hain tera perwerdigar bhoolney wala nahi.
19.65
Aasmano ka zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan
hai sab ka rab wohi hai tu ussi ki bandagi ker aur uss
ki ibadat per jamm ja. Kiya teray ilm mein uss ka hum
naam hum palla koi aur bhi hai? 19.66
Insan kehta hai kay jab mein marr jaonga to kiya
phir zinda ker kay nikala jaonga? 19.67
Kiya yeh insan itna bhi yaad nahi rakhta kay
hum ney ussay iss say pehlay peda kiya halankay woh kuch
bhi na tha. 19.68
Teray perwerdigar ki qasam! Hum unhen aur shetano
ko jama ker kay zaroor zaroor jahannum kay ird gird ghutno
kay bal giray huye hazir ker den gay. 19.69
Hum phir her her giroh say unhen alag nikal khara
keren gay jo Allah rehman say boht akray akray phirtay
thay. 19.70
Phir hum unhen bhi khoob jantay hain jo jahannum
kay dakhlay kay ziyada sazawaar hain.
19.71 Tum
say her aik wahan zaroor warid honey wala hai yeh teray
perwerdigar kay zimmay qataee faisal shuda amar hai.
19.72
Phir hum perhezgaron ko to bacha len gay aur
na-farmano ko ussi mein ghutno kay bal gira hua chor den
gay. 19.73
Jab inn kay samney humari roshan aayaten tilwat
ki jati hain to kafir musalamano say kehtay hain batao
hum tum dono jamaton mein say kiss ka martaba ziyada hai?
Aur kiss ki majlis shandaar hai? 19.74
Hum to inn say pehlay boht si jamaton ko ghaarat
ker chukay hain jo saaz-o-saman aur naam-o-numood mein
inn say barh charh ker thin. 19.75
Keh dijiye! Jo gumrahi mein hota Allah rehman
uss ko khoob lambi mohlat deta hai yehan tak kay woh unn
cheezon kay dekh len jin ka wada kiye jatay hain yaani
azab ya qayamat ko uss waqt unn ko sahih tor per maloom
ho jayega kay kaun buray martabay wala aur kiss ka jutha
kamzor hai. 19.76
Aur hidayat yafta logon ko Allah Taalaa hidayat
mein barhata hai aur baqi rehney wali nekiyan teray rab
kay nazdeek sawab kay lehaz say aur anjam kay lehaz say
boht hi behtar hain. 19.77
Kiya tu ney ussay bhi dekha jiss ney humari aayaton
say kufur kiya aur kaha kay mujhay to maal-o-aulad zaroor
hi di jaye gi. 19.78
Kiya woh ghaib per mutla hai ya Allah ka koi
wada ley chuka hai? 19.79
Hergiz nahi yeh jo bhi keh raha hai hum ussay
zaroor likh len gay aur uss kay liye azab barhaye chalay
jayen gay. 19.80
Yeh jin cheezon ko keh raha hai ussay hum iss
kay baad ley len gay. Aur yeh to bilkul akela hi humaray
samney hazir hoga.
19.81 Enhon
ney Allah kay siwa doosray mabood bana rakhay hain kay
woh inn kay liye baees-e-izzat hon. 19.82
Lekin aisa hergiz hona nahi. Woh to inn ki pooja
say munkir honjayen gay aur ultay inn kay dushman bann
jayen gay. 19.83
Kiya tu ney nahi dekha kay hum kafiron kay pass
shetano ko bhejtay hain jo enhen khoob uksatay hain.
19.84
Tu inn kay baray mein jaldi na ker hum to khud
hi inn kay liye muddat shumari ker rahey hain.
19.85 Jiss
din hum perhezgaron ko Allah rehman ki taraf bator mehman
kay jama keren gay. 19.86
Aur gunehgaron ko sakht piyas ki halat mein jahannum
ki taraf haank ley jayen gay. 19.87
Kissi ko shifaat ka ikhtiyar na hoga siwaye unn
kay jinhon ney Allah Taalaa ki taraf say koi qol-o-qarar
ley liya hai. 19.88
Inn ka qol to yeh hai kay Allah rehman ney bhi
aulad ikhtiyar ki hai. 19.89
Yaqeenan tum boht buri aur bhari cheez laye ho.
19.90
Qareeb hai kay iss qol ki waja say aasman phat
jayen aur zamin shaq hojaye aur pahar rezay rezay hojayen.
19.91 Key
woh rehman ki aulad sabit kerney bethay.
19.92 Shaan-e-rehman
kay laeeq nahi kay woh aulad rakhay. 19.93
Aasman-o-zamin mein jo bhi hain sab kay sab Allah
kay ghulam bann ker hi aaney walay hain.
19.94 Inn
sab ko uss ney gher rakha hai aur sab ko poori tarah ginn
bhi rakha hai. 19.95
Yeh saray kay saray qayamat kay din akelay uss
kay pass hazir honey walay hain. 19.96
Be-shak jo eman laye hain aur jinhon ney shaeesta
aemaal kiye hain unn kay liye Allah rehman mohabbat peda
ker dey ga. 19.97
Hum ney iss quran ko teri zaban mein boht hi
aasan ker diya hai kay tu iss kay zariye say perhezgaron
ko khushkhabri dey aur jhagraloo logon ko dara dey.
19.98
Hum ney inn say pehlay boht si jamaten tabah
ker di hain kiya inn mein say aik bhi aahat tu pata hai
ya unn ki awaz ki bhanak bhi teray kaan mein parti hai? |
|
| Surat-Tahaa
20 |
| (Sura-Tahaa Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-paintees (135) Aayatain hain) |
| |
20.01
Taahaa 20.02
Hum ney yeh quran tujh per iss liye nahi utara
kay tu mushaqqat mein parr jaye. 20.03
Bulkay uss ki naseehat kay liye jo Allah say
darta hai. 20.04
Iss ka utarna uss ki taraf say hai jiss ney zamin
ko aur buland aasmano ko peda kiya hai. 20.05
Jo rehman hai arsh per qaeem hai.
20.06 Jiss
ki milkiyat aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan
aur (kurra-e-khak) kay neechay ki her aik cheez per hai.
20.07
Agar tu unchi baat kahey to woh to her aik posheeda
bulkay posheeda say posheeda tar cheez ko bhi ba-khoobi
janta hai. 20.08
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi
behtareen naam ussi kay hain. 20.09
Tujhay musa (alh-e-salam) ka qissa bhi maloom
hai? 20.10
Jabkay uss ney aag dekh ker apney ghar walon
say kaha kay tum zara si dare thehar jao mujhay aag dikhaee
di hai. Boht mumkin hai kay mein iss ka koi angara tumharay
pass laon yaa aag kay pass say rastay ki itlaa paon.
20.11 Jab
woh wahan phonchay to awaz di gaee aey musa!
20.12 Yaqeenan
mein hi tera perwerdigar hun to tu apni jootiyan utar
dey kiyon kay tu pak maidan-e-toowa mein hai.
20.13 Aur
mein ney tujhay muntakhib ker liya hai abb jo wahee ki
jaye ussay kaan laga ker sunn. 20.14
Be-shak mein hi Allah hun meray siwa ibadat kay
laeeq aur koi nahi pus tu meri hi ibadat ker aur meri
yaad kay liye namaz qaeem rakh. 20.15
Qayamat yaqeenan aaney wali hai jissay mein posheeda
rakhna chahata hun takay her shaks ko woh badla diya jaye
jo uss ney kosish ki ho. 20.16
Pus abb iss kay yaqeen say tujhay koi aisa shaks
rok na dey jo iss per emaan na rakhta ho aur apni khuawish
kay peechay para ho werna tu halak ho jaye ga.
20.17 Aey
musa terau iss dayen hath mein kiya hai?
20.18 Jawab
diya kay yeh meri lathi hai jiss per mein take lagata
hun aur jiss say mein apni bakriyon kay liye pattay jhaar
liya kerta hun aur bhi iss mein mujhay boht faeeday hain.
20.19
Farmaya aey musa! Issay hath say neechay daal
dey. 20.20
Daltay hi woh saanp bann ker dorney lagi.
20.21 Farmaya
bey khof ho ker issay pakar ley hum issay ussi pehli si
surat mein doobara laa den gay. 20.22
Aur apna hath apni baghal mein daal ley to woh
safaid chamakta hua ho ker niklay ga lekin baghair kisi
aib (aur rog) kay yeh doosra moajzza hai.
20.23 Yeh
iss liye kay hum tujhay apni bari bari nishaniyan dikhana
chahatay hain. 20.24
Abb tu firaon ki taraf jaa uss ney barri sirkashi
macha rakhi hai. 20.25
Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar!
Mera seena meray liye khol dey. 20.26
Aur meray kaam ko mujh per aasan ker dey.
20.27
Aur meri zaban ki girah bhi khol dey.
20.28
Takay log meri baat achi tarah samajh saken.
20.29 Aur
mera wazir meray kunbay mein say ker dey.
20.30 Yani
mera bhai haroon (alh-e-salam) ko.
20.31 Tu
iss say meri kamar kuss dey. 20.32
Aur ussay mera shareek kaar ker dey.
20.33 Takay
hum dono ba-kasrat teri tasbeeh biyan keren.
20.34 Aur
ba-kasrat teri yaad keren. 20.35
Be-shak tu humen khoob dekhney bhalney wala hai.
20.36
Janab baari taalaa ney farmaya musa teray tamam
sawalaat poora ker diye gaye. 20.37
Hum ney tujh per aik baar aur bhi bara ehsan
kiya hai. 20.38
Jabkay hum ney teri maa ko woh elhaam kiya jiss
ka zikar abb kiya jaa raha hai. 20.39
Kay tu ussay sandooq mein band ker kay darya
mein chor dey pus darya ussay kinaray laa dalay ga aur
mera aur khud uss ka dushman ussay ley ley ga aur mein
ney apni taraf ki khaas mohabbat-o-maqbooliyat tujh per
daal di. Takay teri perwerish meri aankhon kay samney
ki jaye. 20.40
(yaad ker) jabkay teri behan chal rahi thi aur
keh rahi thi kay agar tum kaho to mein ussay bata doon
jo uss ki nigehbani keray iss tadbeer say hum ney tujhay
phir teri maa kay pass phonchaya kay uss ki aankhen thandi
rahen aur woh ghumgeen na ho. Aur tu ney aik shaks ko
maar dala tha iss per hum ney tujhay ghum say bacha liya
gharz hum ney tujhay achi tarah aazma liya. Phir tu kaee
saal tak madiyan kay logon mein thehra raha phir taqdeer-e-elahee
kay mutabiq aey musa! Tu aaya.
20.41 Aur
mein ney tujhay khas apni zaat kay liye pasand farma liya.
20.42
Abb tu apney bhai samet meri nishaniyan humrah
liye huye jaa aur khabdaar meray zikar mein susti na kerna.
20.43
Tum dono firaon kay pass jao uss ney bari sirkashi
ki hai. 20.44
Ussay narmi say samjhao kay shayad woh samajh
ley ya darr jaye. 20.45
Dono ney kaha aey humaray rab! Humen khof hai
kay kahin firaon hum per koi ziyadti na keray ya apni
sirkashi mein barh na jaye. 20.46
Jawab mila kay tum mutlaqan khof na kero mein
tumharay sath hun aur sunta dekhta rahoon ga.
20.47 Tum
iss kay pass jaa ker kaho kay hum teray perwerdigar kay
payghumber hain tu humaray sath bani israeel ko bhej dey
inn ki sazayen moqoof ker. Hum to teray pass teray rab
ki taraf say nishani ley ker aaye hain aur salamti ussi
kay liye hai jo hidayat ka paband ho jaye.
20.48 Humari
taraf wahee ki gaee hai kay jo jhutlaye aur roo gardani
keray uss kay liye azab hai. 20.49
Firaon ney poocha kay aey musa! Tum dono ka rab
kaun hai? 20.50
Jawab diya kay humara rab woh hai jiss ney her
aik ko uss ki khas surat shakal inayat farmaee phir raah
sujha di.
20.51 Uss
ney kaha acha yeh to batao aglay zamaney walon ka haal
kiya hona hai. 20.52
Jawab diya kay inn ka ilm meray rab kay haan
kitab mein mojood hai na to mera rab ghalati kerta hai
na bhoolta hai. 20.53
Ussi ney tumharay liye zamin ko farash banaya
hai aur iss mein tumharay chalney kay raastay banaye hain
aur aasman say paani bhi wohi barsata hai phir iss barasaat
ki waja say mukhtalif qisam ki paidawaar bhi hum hi peda
kertay hain. 20.54
Tum khud khao aur apney chopayon ko bhi charao.
Kuch shak nahi kay iss mein aqalmandon kay liye boht si
nishaniyan hain. 20.55
Issi zamin mein hum ney tumhen peda kiya aur
issi mein phir wapis lotayen gay aur iss say phir doobara
tum sab ko nikal khara keren gay. 20.56
Hum ney ussay apni sab nishaniyan dikha den lekin
phir bhi uss ney jhutalaya aur inkaar ker diya.
20.57
Kehney laga aey musa! Kiya tu iss liye aaya hai
kay humen apnay jadoo kay zor say humaray mulk say bahir
nikal dey. 20.58
Acha hum bhi teray muqablay mein issi jaisa jadoo
zaroor layen gay pus humaray aur apnay darmiyan aik waday
ka waqt muqarrar ker ley kay na hum iss ka khof keren
aur na tu saaf maidan mein muqabla ho. 20.59
Musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay zeenat
aur jashan kay din ka wada hai aur yeh kay log din charhay
hi jama ho jayen. 20.60
Pus firaon lot gaya aur uss ney apnay hath kanday
jama kiye phir aagaya.
20.61 Musa
(alh-e-salam) ney unn say kaha tumhari shamat aa chuki
Allah Taalaa per jhoot aur iftra na bandho kay woh tumhen
azabon say maliya mait ker dey yaad rakho woh kabhi kaamyaab
na hoga jiss ney jhooti baat ghari. 20.62
Pus yeh log aapas kay mashwaron mein mukhtalif
raye ho gaye aur chup ker chupkay chupkay mashwara kerney
lagay. 20.63
Kehney lagay yeh dono mehaz jadoogar hain aur
inn ka pukhta irada hai kay apney jadoo kay zor say tumhen
tumharay mulk say nikal bahir keren aur tumharay behtareen
mazhab ko barbaad ker den. 20.64
To tum bhi apna koi dao utha na rakho phir saff
bandi ker kay aao. Jo ghalib aagaya wohi bazi ley gaya.
20.65
Kehney lagay aey musa! Ya to tu pehlay daal ya
hum pehlay dalney walay bann jayen. 20.66
Jawab diya kay nahi tum hi pehlay dalo. Abb to
musa (alh-e-salam) ko yeh khayal guzrney laga kay unn
ki rasiyan aur lakriyan unn kay jadoo kay zor say dor
bhag rahi hain. 20.67
Pus musa (alh-e-salam) ney apney dil hi dil mein darr
mehsoos kiya. 20.68
Hum ney farmay kuch khof na ker yaqeena tu hi
ghalib aur bartar rahey ga. 20.69
Aur teray dayen hath mein jo hai ussay daal dey
kay unn ki tamam karigari ko woh nigal jaye enhon ney
jo kuch banaya hai yeh sirf jadoogaron kay kartab hain
aur jadoogar kahin say bhi aaye kaamyab nahi hota.
20.70
Abb to tamam jadoogar sajday mein girr paray
aur pukar uthay kay hum to haroon (alh-e-salam) aur musa
(alh-e-salam) kay rab per emaan laye.
20.71 Firaon
kehnay laga kiya meri ijazat say pehlay hi tum iss per
emaan ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara buzrug
hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai (sunn lo) mein
tumharay hath paon ultay seedhay katwa ker tum sab ko
khajoor kay tano mein sooli per latakwa doon ga aur tumhen
poori tarah maloom hojaye ga kay hum mein say kiss ki
maar ziyada sakht aur dairpaa hai. 20.72
Unhon ney jawab diya kay na-mumkin hai kay hum
tujhay tarjeeh den inn daleelon per jo humaray samney
aa chukin aur uss Allah per jiss ney humen peda kiya hai
abb to jo kuch tu kerney wala hai ker guzar tu jo kuch
bhi hukum chala sakta hai wo issi duniyawi zindagi mein
hi hai. 20.73
Hum (iss umeed say) apney perwerdigar per emaan
laye kay woh humari khatayen moaf farma dey aur (khaas
ker) kadoogari (ka gunah) jiss per tum ney humen majboor
kiya hai Allah hi behtar aur hamesha baqi rehney wala
hai. 20.74
Baat yehi hai kay jo bhi gunehagaar bann ker
Allah Taalaa kay haan hazir hoga uss kay liye dozakh hai
jahan na maut hogi na zindagi. 20.75
Aur jo bhi uss kay pass emaan ki halat mein hazir
hoga aur uss ney aemaal bhi nek kiye hongay uss kay liye
buland-o-bala darjay hain. 20.76
Hameshgi wali jannaten jin kay neechay nehren
lehren ley rahi hain jahan woh hamesha (hamesha) rahen
gay. Yehi inaam hai her uss shaks ka jo pak hai.
20.77
Hum ney musa (alh-e-salam) ki taraf wahee nazil
faramee kay tu raton raat meray bandon ko ley chal aur
inn kay liye darya mein khushk raasta bana ley phir na
tujhay kissi kay aa pakarney ka khatra hoga na darr.
20.78
Firaon ney apney lashkaron samet inn ka taaqqub
kiya phir to darya inn sab ko jesa kuch chipa lena chahiye
tha chipa liya. 20.79
Firaon ney apni qom ko gumrahi mein daal diya
aur seedha raasta na dikhaya. 20.80
Aey bani israeel! Dekho hum ney tumhen tumharay
dushman say nijat di aur tum say koh-e-toor ki dayen taraf
ka wada kiya aur tum per mann-o-salwa utara.
20.81 Tum
humari di hui pakeeza rozi khao aur iss mein hadd say
aagay na barho werna tum per mera ghazab nazil hoga aur
jiss per mera ghazab nazil hojaye woh yaqeenan tabah hua.
20.82
Haan be-shak mein unhen bakhsh denay wala hun
jo tauba keren emaan layen nek amal keren aur raah-e-raast
per bhi rahen. 20.83
Aey musa! Tujhay apni qom say (ghafil kerkay)
kaun si cheez jaldi ley aaee? 20.84
Kaha kay woh log bhi meray peechay hi peechay
hain aur mein ney aey rab! Teri taraf jaldi iss liye ki
kay tu khush hojaye. 20.85
Farmaya! Hum ney teri qom ko teray peechay aazmaeesh
mein daal diya aur unhen samri ney behka diya.
20.86 Pus
musa (alh-e-salam) sakht ghazab naak hoker ranj kay sath
wapis lotay aur kehnay lagay kay aey meri qom walo! Kiya
tum say tumharay perwerdigar ney nek wada nahi kiya tha?
Kiya iss ki muddat tumhen lambi maloom hui? Bulkay tumhara
irada hi yeh hai kay tum per tumharay perwerdigar ka ghazab
nazil ho? Kay tum ney meray waday ka khilaf kiya.
20.87
Unhon ney jawab diya kay hum ney apney ikhtiyar
say aap kay sath waday ka khilaf nahi kiya. Bulkay hum
per zewraat qom kay bojh laad diye gaye thay unhen hum
ney daal diya aur issi tarah samri ney bhi daal diye.
20.88
Phir uss ney logon kay liye aik bachra nikal
khara kiya yaani bachray ka butt jiss ki gaye ki si awaz
bhi thi phir kehney lagay kay yehi tumhara bhi mabood
hai aur musa ka bhi lekin musa bhool gaya hai.
20.89 Kiya
yeh gumrah log yeh bhi nahi dekhtay kay woh to inn ki
baat ka jawab bhi nahi dey sakta aur na inn kay kissi
buray bhalay ka ikhtiyar rakhta hai. 20.90
Aur haroon (alh-e-salam) ney iss say pehlay hi
inn say keh diya tha aey meri qom walo! Iss bachray say
to sirf tumhari aazmaeesh ki gaee hai tumahra haqeeqi
perwerdigar to Allah rehman hi hai pus tum sab meri tabey
daari kero. Aur meri baat mantay chalay jao.
20.91 Enhon
ney jawab diya kay musa (alh-e-salam) ki wapsi tak to
hum issi kay mujawar banay bethay rahen gay.
20.92 Musa
(alh-e-salam) kehnay lagay aey haroon! Enhen gumrah hotay
hua dekhtay huye tujhay kis cheez ney roka tha.
20.93
Kay tu meray peechay na aaya. Kiya tu bhi meray
farmaan ka na-farmaan bann betha. 20.94
Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye
bhai! Meri darhi na pakar aur sir kay baal na kheench
mujhay to sirf yeh khayal daaman geer hua kay kahin aap
yeh (na) farmayen kay tu ney bani israeel mein tafarqa
daal diya aur meri baar ka intezar na kiya.
20.95 Musa
(alh-e-salam) ney poocha samri tera kiya moamla hai.
20.96
Uss ney jawab diya kay mujhay woh cheez dikhaee
di jo enhen dikhaee na di to mein ney farstada-e-elahee
kay naqsh-e-qadam say aik muthi bhar li ussay iss mein
daal diya issi tarah meray dil ney yeh baat meray liye
bhali bana di. 20.97
Kaha acha jaa duniya ki zindagi mein teri saza
yehi hai kay tu kehta rehey kay mujhay na choona aur aik
aur bhi wada teray sath hai jo tujh say hergiz na talay
ga aur abb tu apney iss mabood ko bhi dekh lena jiss kay
aetikaaf kiye huye tha kay hum issay jala ker darya mein
raiza raiza ura den gay. 20.98
Asal baat yehi hai kay tum sab ka mabood-e-bar
haq sirf Allah hi hai uss kay siwa koi parastish kay qabil
nahi. Uss ka ilm tamam cheezon per hawi hai.
20.99 Issi
tarah hum teray samney pehlay ki guzri hui waardaaten
biyan farma rahen hain aur yaqeena hum tujhay apney pass
say naseehat ata farma chukay hain. 20.100
Iss say jo mun pher ley ga woh yaqeenan qayamat
kay din apna bhari bojh laday huye hoga.
20.101 Jiss
mein hamesha hi rahey ga aur inn kay liye qayamat kay
din (bara) bojh hai. 20.102
Jiss din soor phonka jayega aur gunehgaron ko
hum uss din (dehshat ki waja say) neeli peeli aankhon
kay sath gher layen gay. 20.103
Woh aapas mein chupkay chupkay keh rahey hongay
kay hum to (duniya mein) sirf dus din hi rahey.
20.104
Jo kuch woh keh rahey hain uss ki haqeeqat say
hum ba-khabar hain inn mein say sab say ziyada acha raah
wala keh raha hoga kay tum to sirf aik hi din rahey.
20.105
Woh aap say paharon ki nisbat sawal kertay hain
to aap keh den kay enhen mera rab raiza raiza ker kay
ura dey ga. 20.106
Aur zamin ko bilkul humwaar saaf maidan kerkay
chor dey ga. 20.107
Jiss mein to na kahin mor tor dekhay ga na oonch
neech. 20.108
Jiss din log pukarney walay kay peechay chalen
gay jiss mein koi kuji na hogi aur Allah rehman kay samney
tamam aawazen pust hojayen gi siwaye khusur phusur kay
tujhay kuch bhi sunaee na dey ga. 20.109
Uss din sifarish kuch kaam na aaye gi magar jisay
rehman hukum dey aur uss ki baat ko pasand farmaye.
20.110
Jo kuch inn kay aagay peechay hai ussay Allah
hi janta hai makhlooq ka ilm uss per hawi nahi hosakta.
20.111 Tamam
chehray uss zinda aur qaeem daeem mudabbir Allah kay samney
kamal aajzi say jhukay huye hongay yaqeenan woh barbaad
hua jiss ney zulm laad liya. 20.112
Aur jo nek aemal keray aur emaan wala bhi ho
to na ussay bey insafi ka khutka hoga na haq talfi ka.
20.113
Issi tarah hum ney tujh per arabi quran nazil
farmaya hai aur tarah tarah say iss mein darr ka biyan
sunaya hai takay log perhezgaar bann jayen ya inn kay
dil mein soch samajh to peda keray. 20.114
Pus Allah aali shaan wala sacha aur haqeeqi badshah hai.
Tu quran parhney mein jaldi na ker uss say pehlay kay
teri taraf jo wajee ki jati hai woh poori ki jaye haan
yeh dua ker kay perwerdigar! Mera ilm barha.
20.115 Hum
ney adam ko pehlay hi takeedy hukum dey diya tha lekin
woh bhool gaya aur hum ney uss mein koi azum nahi paya.
20.116
Aur jab hum ney farishton say kaha kay adam (alh-e-salam)
ko sajjda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney
saaf inkar ker diya. 20.117
To hum ney kaha aey adam! Yeh tera aur teri biwi
ka dushman hai (khayal rakhna) aisa na ho kay woh tum
dono ko jannat say nikalwa dey key tu musibat mein par
jaye. 20.118
Yahan to tujhay yeh aaram hai kay na tu bhooka
hota hai na nanga. 20.119
Aur na tu yahan piayasa hota hai na dhoop say
takleef uthata hai. 20.120
Lekin shetan ney ussay waswasa dala kehney laga kay kiya
mein tujhay daeemi zindagi ka darakht aur badshaat batlaon
kay jo kabhi purani na ho.
20.121 Chunacha
inn dono ney uss darakht say kuch kha liya pus unn kay
satar khul gaye aur bahisht kay pattay apney upper taankney
lagay. Adam (alh-e-salam) ney apney rab ki na-farmani
ki pus behak gaya. 20.122
Phir uss kay rab ney nawaza uss ki toba qabool
ki aur uss ki rehnumaee ki. 20.123
Farmaya tum dono yahan say utar jao tum aapas
mein aik doosray kay dushman ho abb tumharay pass jab
kabhi meri taraf say hidayat phonchay to jo meri hidayat
ki pairwee keray na to woh behkay ga na takleef mein paray
ga. 20.124
Aur (haan) jo meri yaad say roo gardani keray
ga uss ki zindagi tangi mein rahey gi aur hum ussay baroz
qayamat andha ker kay uthayen gay. 20.125
Woh kahey ga kay elahee! Mujhay tu ney andha
bana ker kiyon uthaya? Halankay mein to dekhta bhalta
tha. 20.126
(jawab milay ga kay) issi tarah hona chahye tha
tu meri aaee hui aayaton ko bhool gaya to aaj tu bhi bhula
diya jata hai. 20.127
Hum aisa hi badla her uss shaks ko diya kertay hain jo
hadd say guzar jaye aur apney rab ki aayaton per emaan
na laye aur be-shak aakhirat ka azab nihayat hi sakht
aur baqi rehney wala hai. 20.128
Kiya inn ki rehbari iss baat ney bhi nahi ki
kay hum ney inn say pehlay boht si bastiyan halak ker
di hain jin kay rehney sehney ki jaga yeh chal phir rahey
hain. Yaqeenan iss mein aqal mandon kay liye boht si nishaniyan
hain. 20.129
Agar teray rab ki baat pehlay hi say muqarrar
shuda aur waqt moyyen kerda na hota to issi waqt azab
aa chimatta.
20.130 Pus
inn ki baton per sabar ker aur apney perwerdigar ki tasbeeh
aur tareef biyan kerta reh sooraj nikalney say pehlay
aur uss kay dobney say pehlay raat kay mukhtalif waqton
mein bhi aur din kay hisson mein bhi tasbeeh kerta reh
boht mumkin hai kay tu razi ho jaye. 20.131
Aur apni nighayen hergiz unn cheezon ki taraf
na dorana jo hum ney inn mein say mukhtalif logon ko aaraeesh-e-duniya
ki dey rakhi hain takay unhen iss mein aazma ley teray
rab ka diya hua hi (boht) behtar aur boht baqi rehney
wala hai. 20.132
Apney gharaney kay logon per namaz ki takeed
rakh aur khud bhi iss per jama reh hum tujh say rozi nahi
maangtay bulkay hum khud tujhay rozi detay hain aakhir
mein bol bala perhezgari hi ka hai. 20.133
Enhon ney kaha kay yeh nabi humaray pass apney
perwerdigar ki taraf say koi nishani kiyon nahi laya?
Kiya inn kay pass agli kitabon ki wazeh daleel nahi phonchi?
20.134
Aur agar hum iss say pehlay hi enehn azab say
halak ker detay to yaqeenan yeh keh uthtay kay aey humaray
perwerdigar tu ney humaray pass apna rasool kiyon na bheja?
Kay hum teri aayaton ki tabeydari kertay iss say pehlay
kay hum zaleel-o-ruswa hotay. 20.135
Keh dijiye kay her aik anjam ka muntazir hai
pus tum bhi intezar mein raho. Abhi abhi qata’an
jaan lo gay kay raah-e-raast walay kaun hain aur kaun
raah yafta hain.
|
|