| Parah-Iqtaraba
17 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Anbiya
21 |
| (Sura-Anbiya Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-bara (112) Aayatain hain) |
| |
21.01
Logon kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi
woh bey khabri mein mun pheray huye hain.
21.02 Inn
kay pass inn kay rab ki taraf say jo bhi naee naee naseehat
aati hai issay woh khel kood mein hi suntay hain.
21.03
Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon
ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa
insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo
mein aajatay ho. 21.04
Payghumber ney kaha mera perwerdigar her uss
baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai
woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai.
21.05 Itna
hi nahi bulkay yeh to kehtay hain kay yeh quran peraganda
khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney az-khud issay ghar
liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray samney yeh
koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber bhejay
gaye thay. 21.06
Inn say pehlay jitni bastiyan hum ney ujarin
sab eman say khali thin. To kiya abb yeh eman layen gay.
21.07
Tujh say pehlay bhi jitney payghumber hum ney
bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay
thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen
ilm na ho. 21.08
Hum ney inn kay aisay jism nahi banaye thay kay
woh khana na khayen aur na woh hamesha rehney walay thay.
21.09
Phir hum ney unn say kiye huye sab waday sachay
kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee
aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya.
21.10
Yaqeenan hum ney tumhari janib kitab nazil farmaee
hai jiss mein tumharay liye zikar hai kiya phir bhi tum
aqal nahi rakhtay?
21.11 Aure
boht si bastiyan hum ney tabah ker din jo zalim thin aur
unn kay baad hum ney doosri qom ko peda ker diya.
21.12
Jab unhon ney humaray azab ka ehsas ker liya
to lagay uss say bhagney. 21.13
Bhag dor na kero aur jahan tumhen aasoodgi di
gaee thi wahin wapis loto aur apney makanaat ki taraf
jao takay tum say sawal to ker liya jaye.
21.14 Kehney
lagay haaye humari kharabi! Be-shak hum zalim thay.
21.15
Phir to unn ka yehi qol raha yahan tak kay hum
ney unhen jarr say kati hui kheti aur bujhi pari aag (ki
tarah) ker diya. 21.16
Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki
cheezon ko kheltay huye nahi banaya. 21.17
Agar hum yun hi khel tamashay ka irada kertay
to to ussay apnay pass say hi bana letay agar hum kerney
walay hi hotay. 21.18
Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay hain
pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood
ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye
baees-e-kharabi hain. 21.19
Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai
aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi
kertay hain aur na thaktay hain. 21.20
Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain aur zara
si bhi susti nahi kertay.
21.21 Kiya
inn logon ney zamin (ki makhlooqaat mein) say jinhen mabood
bana rakha hai woh zinda ker detay hain.
21.22 Agar
aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood
hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa
arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan
kertay hain. 21.23
Woh apney kaamon key liye (kissi kay aagay) jawab
deh nahi aur sab (uss kay aagay) jawab deh hain.
21.24
Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur mabood
bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish
kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say
aglon ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar
log haq ko nahi jantay issi waja say mun moray huye hain.
21.25
Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss
ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood
bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero.
21.26 (Mushrik
log) kehtay hain kay rehman aulad wala hai (ghalat hai)
uss ki zaat pak hai bulkay woh sab uss kay ba-izzat banday
hain. 21.27
Kiss baat mein Allah per paish dasti nahi kertay
bulkay uss kay farmaan per kaar band hain.
21.28 Woh
inn kay aagay peechay kay tamam umoor say waqif hai woh
kissi ki bhi sifarish nahi kertay ba-juz unn kay jin say
Allah khush ho woh to khud haibat-e-elahee say larzan-o-tarsan
hain. 21.29
Inn mein say agar koi bhi keh day kay Allah kay
siwa mein laeeq-e-ibadat hun to hum ussay dozakh ki saza
den hum zalimon ko issi tarah saza detay hain.
21.30 Kiya
kafir logon ney yeh nahi dekha kay aasman-o-zamin ba-hum
milay julay thay phir hum ney unhen juda kiya aur her
zinda cheez ko hum ney pani say peda kiya kiya yeh log
phir bhi emaan nahi latay.
21.31 Aur
hum ney zamin mein pahar bana diye takay woh makhlooq
ko hila na sakay aur hum ney iss mein kushada raahen bana
den takay woh raasta hasil keren. 21.32
Aasman ko mehfooz chat bhi hum ney hi banaya hai. Lekin
log iss ki qudrat kay namoono per dehan hi nahi dhartay.
21.33
Wohi Allah hai jiss ney raat aur din aur sooraj
aur chand ko peda kiya hai. Inn mein say her aik apney
apney madaar mein tertay phirtay hain. 21.34
Aap say pehlay kissi insan ko bhi hum ney hameshgi
nahi di kiya agar aap marr gaye to woh hamesha kay liye
reh jayen gay. 21.35
Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum
ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein
mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye
jaogay. 21.36
Yeh munkireen tujhay jab bhi dekhtay hain to
tumhara mazaq hi uratay hain kay kiya yehi woh hai jo
tumharay maboodon ka zikar buraee say kerta hai aur woh
khud hi rehman ki yaad kay bilkul hi munkir hain.
21.37
Insan jald baaz makhlooq hai. Mein tumhen apni
nishaniyan abhi abhi dikhaoon ga tum mujh say jald baazi
na kero. 21.38
Kehtay hain kay agar sachay ho to bata do kay
yeh wada kab hai. 21.39
Kaash! Yeh kafir jantay kay uss waqt na to yeh
kafir aag ko apney chehron say hata saken gay aur na apni
peethon say aur na unn ki madad ki jayegi.
21.40 (Haan
haan!) waday ki ghari unn kay pass achanak aajayegi aur
enhen hakka bakka ker dey gi phir na to yeh log ussay
taal saken gay aur na zara si mohlat diye jayengay.
21.41 Aur
tujh say pehlay rasoolon kay sath bhi hansi mazaq kiya
gaya pus hansi kerney walon ko hi uss cheez ney gher liya
jiss ki woh hansi uratay thay. 21.42
Inn say poochiye kay rehman say din aur raat
tumhari hifazat kaun ker sakta hai? Baat yeh hai kay yeh
log apnay rab kay zikar say phiray huye hain.
21.43 Kiya
humaray siwa inn kay aur mabood hain jo enhen musibaton
say bacha len. Koi bhi khud apni madad ki taqat nahi rakhta
aur na koi humari taraf say rafaqat diya jata hai.
21.44
Bulkay hum ney enhen aur inn kay baap dadon ko
zindagi kay saro saman diye yahan tak kay unn ki muddat-e-umar
guzar gaee. Kiya woh nahi dekhtay kay hum zamin ko iss
kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain abb kiya
wohi ghalib hain? 21.45
Keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah
ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay
unhen aagah kiya jaye. 21.46
Agar enhen teray rab kay kissi azab ka jhonka
bhi lag jaye to pukar uthen kay haye humari bad-bakhti!
Yeqeenan hum gunehgar thay. 21.47
Qayamat kay din hum darmiyan mein laa rakhen
gay theek theek tolney wali tarazoo ko. Phir kissi per
kuch bhi zulm na kiya jayega. Aur agar aik raaee kay daney
kay barabar bhi amal hoga hum ussay laa hazir keren gay
aur hum kafi hain hisab kerney walay. 21.48
Yeh bilkul sach hai kay hum ney musa-o-haroon
ko faislay kerney wali noorani aur perhezgaron kay liye
waaz-o-naseehat wali kitab ata farmaee hai.
21.49 Woh
log jo apney rab say bin dekhay khof khatay hain aur qayamat
(kay tasawwur) say kaanptay rehtay hain.
21.50 Aur
yeh naseehat-o-barkat wala quran bhi humin ney nazil farmaya
hai kiya phir bhi tum iss kay munkir ho.
21.51 Yaqeenan
hum ney iss say pehlay Ibrahim ko iss ki samajh boojh
bakhshi thi aur hum iss kay ehwaal say ba-khoobi waqif
thay. 21.52
Jabkay uss ney apney baap say aur pani qom say
kaha kay yeh moortiyan jin kay tum mujawar bann bethay
ho kiya hain? 21.53
Sab ney jawab diya kay hum ney apnay baap dada
ko enhi ki ibadat kertay huye paya. 21.54
Aap ney farmaya! Phir to tum aur tumharay baap
dada sabhi yaqeenan khulli gumrahi mein mubtila rahey.
21.55
Kehnay lagay kiya aap humaray pass sach much
haq laye hain ya yun hi mazaq ker rahey hain.
21.56 Aap
ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to
woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn
peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun.
21.57
Aur Allah ki qasam mein tumharay inn maboodon
kay sath jab tum alehda peeth pher ker chal do gay aik
chaal chalon ga. 21.58
Pus uss ney unn sab kay tukray tukray ker diye
haan sirf baray butt ko chor diya yeh bhi iss liye kay
woh sab uss ki taraf hi loten. 21.59
Kehney lagay kay humaray khudaon kay sath yeh
kiss ney kiya? Aisa shaks to yaqeenan zalimon mein say
hai. 21.60
Bolay hum ney aik no-jawan ko innk a tazkara
kertay huye suna tha jissay ibrahim (alh-e-salam) kaha
jata hai.
21.61 Sab
ney kaha acha ussay majmay mein logon ki nigahon kay samney
lao takay sab dekhen. 21.62
Kehnay lagay! Aey ibrahim (alh-e-salam) kiya
tu ney hi humaray khudaon kay sath yeh harkat ki hai.
21.63
Aap ney jawab diya bulkay iss kaam ko inn kay
baray ney kiya hai tum apney khudaon say hi pooch lo agar
yeh boltay chaltay hon. 21.64
Pus yeh log apney dilon mein qaeel hogaye aur
kehney lagay waqaee zalim to tum hi ho. 21.65
Phir apney saron kay bal ondhay hogaye (aur kehnay
lagay kay) yeh to tujhay bhi maloom hai kay yeh bolney
chaalney walay nahi. 21.66
Allah kay khalil ney ussi waqt farmaya afsos!
Kiya tum Allah kay ilawa unn ki ibadat kertay ho jo na
tumhen kuch bhi nafa phoncha saken na nuksan.
21.67 Tuff
hai tum per aur inn per jin ki tum Allah kay siwa ibadat
kertay ho. Kiya tumhen itni si aqal bhi nahi?
21.68 Kehney
lagay issay jala do aur apney khudaon ki madad kero agar
tumhen kuch kerna hi hai. 21.69
Hum ney farma diya aey aag! Tu thandi parr jaa
aur ibrahim (alh-e-salam) kay liye salamti (aur aaram
ki cheez) bann jaa! 21.70
Go unhon ney ibrahim (alh-e-salam) ka bura chaha
lekin hum ney unhen nakaam bana diya.
21.71 Aur
hum Ibrahim aur Loot ko bacha ker uss zamin ki taraf ley
chalay jiss mein hum ney tamam jahan walon kay liye barkat
rakhi thi. 21.72
Aur hum ney ussay Ishaq ata farmaya aur Yaqoob
iss per mazeed. Aur her aik ko hum ney saleh banaya.
21.73
Aur hum ney unehn paishwa bana diya kay humaray
hukum say logon ki rehbari keren aur hum ney unn ki taraf
nek kaamon kay kerney aur namazon kay qaeem rakhney aur
zakat denay ki wahee (talqeen) ki aur woh sab kay sab
humaray ibadat guzaar banday thay. 21.74
Hum ney loot (alh-e-salam) ko bhi hukum aur ilm
diya aur ussay uss basti say nijat di jahan kay log ganday
kaamon mein mubtila thay. Aur thay bhi woh bad-tareen
gunehgaar. 21.75
Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko apni rehmat
mein dakhil ker liya bey shak woh neko kaar logon mein
say tha. 21.76
Nooh kay uss waqt ko yaad kijiye jabkay uss ney
iss say pehlay dua ki hum ney uss ki dua qabool farmaee
aur ussay aur uss kay ghar walon ko baray karb say nijat
di. 21.77Aur
jo log humari aayaton ko jhutla rahey thay unn kay muqablay
mein hum ney uss ki madad ki yaqeenan woh buray log thay
pus hum ney unn sab ko dobo diya. 21.78
Aur dawood (alh-e-salam) aur suleman (alh-e-salam)
ko yaad kijiye jabkay woh khet kay moamlay mein faisla
ker rahey thay kay kuch logon ki bakriyan raat ko iss
mein char chug gaee thin aur unn kay faislay mein hum
mojood thay. 21.79
Hum ney iss ka sahih faisla suleman ko samjha
diya. Haan her aik ko hum ney hukum-o-ilm dey rakha tha
aur dawood kay tabey hum ney pahar ker diye thay jo tasbeeh
kertay thay aur parind bhi. Hum kerney walay hi thay.
21.80
Aur hum ney ussay tumharay liye libaas bananey
ki kaari gari sikhaee takay laraee kay zarar say tumhara
bachao ho. Kiya tum shukar guzar bano gay?
21.81 Hum
ney tund-o-tez hawa ko suleman (alh-e-salam) kay tabey
ker diya jo uss kay farmaan kay mutabiq uss zamin ki taraf
chalti thi jahan hum ney barkat dey rakhi thi aur hum
her cheez say ba-khabar aur dana hain. 21.82
Issi tarah say boht say shayateen bhi hum ney
uss kay tabey kiye thay jo uss kay farmaan say ghotay
lagatay thay aur iss kay siwa bhi boht say kaam kiya kertay
thay inn kay nigehbaan hum hi thay. 21.83
Ayub (alh-e-salam) ki uss halat ko yaad kero
jabkay uss ney apney perwerdigar ko pukara kay mujhay
yeh beemari lag gaee hai aur tu reham kerney walon say
ziyada reham kerney wala hai. 21.84
To hum ney uss ki sunn li aur jo dukh unhen tha
ussay door ker diya aur uss ko ehal-o-ayaal ata farmaye
bulkay unn kay sath waisay hi aur apni khaas meharbaani
say takay sachay bandon kay liye sabab naseehat ho.
21.85
Aur ismail (alh-e-salam) aur idress (alh-e-salam)
aur zulkifl (alh-e-salam) yeh sab sabir log thay.
21.86
Hum ney unhen apni rehmat mein dakhil ker liya.
Yeh sab log nek thay. 21.87
Machli walay (hazrat younus alh-e-salam) ko yaad
kero! Jabkay woh gussay say chal diya aur khayal kiya
kay hum ussay na pakar saken gay. Bil-aakhir woh andheron
kay andar say pukar utha kay elahee teray siwa koi mabood
nahi tu pak hai be-shak mein zalimon mein say tha.
21.88
To hum ney uss ki pukar sunn li aur ussay ghum
say nijat dey di aur hum emaan walon ko issi tarah bacha
liya kertay hain. 21.89
Aur zakariya (alh-e-salam) ko yaad kero jab uss
ney apney rab say dua ki aey meray perwerdigar! Mujhay
tanah na chor tu sab say behtar waris hai.
21.90 Hum
ney uss ki dua ko qabool farma ker ussay yahya (alh-e-salam)
ata farmaya aur unn ki biwi ko unn kay liye durust ker
diya. Yeh buzrug log nek kaamon ki taraf jaldi kiya kertay
thay aur humen lalach tama aur darr khof say pukartay
thay. Aur humaray samney aajzi kerney walay thay.
21.91 Aur
woh pak daman bibi jis ney apni asmat ki hifazat ki hum
ney uss kay andar apni rooh say phoonk di aur khud unhen
aur unn kay larkay ko tamam jahan kay liye nishani bana
diya. 21.92
Yeh tumhari ummat hai jo haqeeqat mein aik hi
ummat hai aur mein tum sab ka perwerdigar hun pus tum
meri hi ibadat kero. 21.93
Magar logon ney aapas mein apney deen mein firqa
bandiyan ker len sab kay sab humari hi taraf lotney walay
hain. 21.94
Phir jo bhi nek kaam keray aur woh momin (bhi)
ho to uss ki kosish ki bey qadri nahi ki jayegi. Hum to
iss kay likhney walay hain. 21.95
Aur jis basti ko hum ney halak ker diya uss per
lazim hai kay wahan kay log palat ker nahi aayen gay.
21.96
Yahan tak kay yajooj aur majooj khol diye jayen
gay aur woh her bulandi say dortay huye aayen gay.
21.97
Aur sacha wada qareeb aa lagay ga uss waqt kafirion
ki nigahen phati ki phati reh jayen gi kay haye afsos!
Hum iss haal say ghafil thay bulkay fil-waqey hum qusoor
waar thay. 21.98
Tum aur Allah kay siwa jin jin ki tum ibadat
kertay ho sab dozakh ka endhan bano gay tum sab dozakh
mein janey walay ho. 21.99
Agar yeh (sachay) mabood hotay to jahannum mein
dakhil na hotay aur sab kay sab ussi mein hamesha rehnay
walay hain. 21.100
Aur woh wahan chilla reahey hongay aur wahan
kuch bhi na sunn saken gay. 21.101
Albatta bey-shak jin kay liye humari taraf say
neki pehlay hi ther chuki hai. Woh sab jahannum say door
hi rakhay jayen gay.
21.102Woh
to dozakh ki aahat tak na sunen gay aur pani mann bhati
cheezon mein hamesha rehney walay hongay.
21.103
Woh bari ghabrahat (bhi) unhen ghumgeen na ker
sakay gi aur farishtay unhen hathon haath len gay kay
yehi tumhara woh din hai jiss kay tum wada diye jatay
rahey. 21.104
Jiss din hum aasman ko yun lapet len gay jaisay
toomaar mein auraaq lapet diye jatay hain jaisay kay hum
ney awwal dafa pedaeesh ki thi issi tarah doobara keren
gay. Yeh humarayu zimmay wada hai aur hum issay zaroor
ker kay (hi) rahen gay. 21.105
Hum zaboor mein pind-o-naseehat kay baad yeh
likh chukay hain kay zamin kay waris meray nek banday
(hi) hongay. 21.106
Ibadat guzaar bandon kay liye to iss mein aik
bara payghaam hai. 21.107
Aur hum ney aap ko tamam jahan walon kay rehmat
bana ker hi bheja hai. 21.108
Keh dijiye! Meray pass to pus wahee ki jati hai
kay tum sab ka mabood aik hi hai to kiya tum bhi uss ki
farmanbardaari kerney walay ho? 21.109
Phir agar yeh mun mor len to keh dijiye kay mein
ney tumhen yaksan tor per khabardaar ker diya hai. Mujhay
ilm nahi kay jiss ka wada tum say kiya jaraha hai woh
qareeb hai ya door. 21.110
Albatta Allah Taalaa to khulli aur zahir baat
ko bhi janta hai aur jo tum chupatay ho ussay bhi janta
hai. 21.111
Mujhay iss ka bhi ilm nahi mumkin hai yeh tumhari
aazmaeesh ho aur aik muqarrara waqt tak ka faeeda (phonchana)
hai. 21.112
Khud nabi ney kaha aey rab! Insaf kay sath faisla
farma aur humara rab bara meharbaan hai jiss say madad
talab ki jati hai unn baaton per jo tum biyan kertay ho.
|
| |
| Surat-Hajj
22 |
| (Sura-Hajj Madani mai
Nazil hui, is mai atthattar (78) Aayatain hain) |
| |
22.01
Logo! Apnay perwerdigar say daro! Bilshuba qayamat
ka zalzala boht hi bari cheez hai. 22.02
Jiss din tum ussay dekh lo gay her doodh pilaney
wali apnay doodh peetay bachay ko bhool jayegi aur tamam
hamal waliyon kay hamal girr jayen gay aur tu dekhay ga
kay log madhosh dikhaee den gay halankay dar-haqeeqat
who matwalay na hongay lekin Allah ka azab bara hi sakht
hai. 22.03
Baaz log Allah kay baray mein batein banatay
hain aur woh bhi bey ilmi kay sath aur her sirkash shetan
ki pairwee kertay hain. 22.04
Jiss per (qazay-e-elahee) likh di gaee hai kay
jo koi uss ki rafaqat keray ga woh ussay gumrah ker dey
ga aur ussay aag kay azab ki taraf ley jayeg.
22.05 Logo
agar tumhen marney kay baad ji uthney mein shak hai to
socho hum ney tumhen mitti say peda kiya phir nutfay say
phir khoon basta say phir gosht kay lothray say jo soorat
diya gaya tha aur bey naqsha tha. Yeh hum tum per zahir
ker detay hain aur hum jissay chahayen aik thehraye huye
waqt tak reham-e-madir mein rakhtay hain phir tumhen bachpan
ki halat mein duniya mein latay hain phir takay tum apni
poori jawani ko phoncho tum mein say baaz to woh hain
jo fot ker liye jatay hain aur baaz bey gharz umar ki
taraf phir say lota diye jatay hain kay woh aik cheez
say ba-khabar honey kay baad phir bey khabar hojaye. Tu
dekhta hai kay zamin (banjar aur) khusk hai phir jab hum
uss per barishen barsatay hain to woh ubharti hai aur
phoolti hai aur her qisam ki ronaq daar nabataat ugati
hai. 22.06
Yeh iss liye kay Allah hi haq hai aur wohi murdon
ko jilata hai aur woh her her cheez per qudrat rakhney
wala hai. 22.07
Aur yeh kay qayamt qata’an aaney wali hai
jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Taalaa
qabron walon ko doobara zinda farmaye ga.
22.08 Baaz
log Allah kay baray mein baghari ilm kay aur baghair hidayat
kay aur baghair roshan kitab kay jhagartay hain.
22.09
Jo apni pehloo morney wala bann ker iss liye
kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein bhi
ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum
mein jalney ka azab chakhayen gay. 22.10
Yeh unn aemaal ki waja say hai jo teray hathon
ney aagay bhej rakhay thay. Yaqeen mano kay Allah Taalaa
apnay bando per zulm kerney wala nahi.
22.11 Baaz
log aisay bhi hain kay aik kinaray per (kharay) ho ker
Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi nafa mill gaya to
dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi aafat aagaee
to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono jahan
ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai.
22.12
Allah kay siwa unhen pukara kertay hain jo na
unhen nuksan phoncha saken na nafa. Yehi to door daraz
ki gumrahi hai. 22.13
Ussay pukartay hain jiss ka nuksan uss kay nafay
say ziyada qareeb hai yaqeenan buray wali hain aur buray
sathi. 22.14
Emaan aur nek aemaal walon ko Allah Taalaa lehren
leti hui nehron wali jannaton mein ley jaye ga. Allah
jo irada keray ussay ker kay rehta hai. 22.15
Jiss ka yeh khayal ho kay Allah Taalaa apnay
rasool ki madad dono jahan mein na keray ga woh unchaee
per aik rassa bandh ker (apnay halaq mein phanda daal
ker apna gala ghont ley) phir dekh ley kay uss ki chalakkiyon
say woh baat hat jati hai jo ussay tarpa rahi hai?
22.16
Hum ney issi tarah iss quran ko wazeh aayaton
mein utara hai. Jissay Allah chahaye hidayat naseeb farmata
hai. 22.17
Be-shak ehal-e-emaan aur yahoodi aur saabi aur
nasrani aur majoosi aur mushtikeen inn sab kay darmiyan
qayamat kay din khud Allah Taalaa faislay ker dey ga Allah
Taalaa her her cheez per gawah hai. 22.18
Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay samney sajday
mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay aur sooraj
aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur janwar
aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain jin
per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel
ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata
hai kerta hai. 22.19
Yeh dono apnay rab kay baray mein ikhtilaf kerney
walay hain pus kafiron kay liye to aag kay kapray beywant
ker katay jayen gay aur unn kay siron kay upper say sakht
kholta hua pani bahaya jayega. 22.20
Jiss say unn kay pet ki sab cheezen aur khalen
gala di jayen gi.
22.21 Aur
unn ki saza kay liye lohay kay hathoray hain.
22.22 Yeh
jab bhi wahan kay ghum say nikal bhagney ka irada keren
gay wahin lota diye jayen gay aur (kaha jayega) jalney
ka azab chakho! 22.23
Emaan walon aur nek kaam walon ko Allah Taalaa
inn jannaton mein ley jayega jin kay darakhton talay say
nehren lehren ley rahi hain jahan woh soney kay kanggan
pehnaye jayen gay aur sachay moti bhi. Wahan unn ka libas
khlis resham hoga. 22.24
Unn ko pakeeza baat ki rehnumaee kerdi gaee aur
qabil-e-sadd tareef raah ki rehnumee kerdi gaee.
22.25
Jin logon ney kufur kiya aur Allah ki raah rokney
lagay aur uss hurmat wali masjid say bhi jissay hum ney
tamam logon kay liye masavi ker diya hai wahin kay rehney
walay hon ya bahir kay hon jo bhi zulm kay sath wahan
ilhaad ka irada keray hum ussay dard-naak azab chakhayen
gay. 22.26
Aur jabkay hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko kaba
kay makan ki jagah muqarrar kerdi iss shart per kay meray
sath kissi ko shareek na kerna aur meray ghar ko tawaf
qayam rukoo sajda kerney walon kay liye pak saaf rakhna.
22.27
Aur logon mein hajj ki manadi ker dey log teray
pass paa piyada bhi aayen gay aur dublay patley oonton
per bhi door daraz ki tamam rahon say aayen gay.
22.28
Apnay faeeday hasil kerney ko aajyen aur unn
muqarrara dino mein Allah ka naam yaad keren unn chopayon
per jo paltoo hain pus tum aap bhi khao aur bhookay faqeeron
ko bhi khilao. 22.29
Phir woh apna mail kuchail door keren aur apni
nazren poori keren aur Allah kay qadeem ghar ka tawaf
keren. 22.30
Yeh hai aur jo koi Allah ki hurmaton ki tazeem
keray uss kay apnay liye uss kay rab kay pass behtari
hai. Aur tumharay liye chopaye janwar halal ker diya gaye
ba-juz unn kay jo tumharay samney biyan kiye gaye hain
pus tumhen buton ki gandagi say bachtay rehna chahiye
aur jhooti baat say bhi perhez kerna chahiye.
22.31 Allah
ki toheed ko mantay huye uss kay sath kissi ko shareek
na kertay huye. Suno! Allah kay sath shareek kerney wala
goya aasman say gir para abb ya to ussay parinday uchak
ley jayen gay ya hawa kissi door daraz ki jagah per phenk
dey gi. 22.32
Yeh sunn liya abb aur suno! Allah ki nishaniyon
ki jo izzat-o-hurmat keray uss kay dil ki perhezgari ki
waja say yeh hai. 22.33
Inn mein tumharay liye aik muqarrara waqt tak
faeeda hai phir inn kay halal honey ki jagah khan-e-kaaba
hai. 22.34
Aur her ummat kay liye hum ney qurbani kay tareeqay
muqarrar farmaye hain takay woh inn chopaye janwaron per
Allah ka naam len jo Allah ney unhen dey rakhay hain.
Samajh lo kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf aik hi
hai tum ussi kay tabey farmaan ho jao aajzi kerney walon
ko khuskhabri suna dijiye! 22.35
Unhen kay jab Allah ka zikar kiya jaye unn kay
dil tharra jatay hain unhen jo buraee phonchay uss per
sabar kertay hain namaz qaeem kerney walay hain aur jo
kuch hum ney unhen dey rakha hai woh uss mein say bhi
detay rehtay hain. 22.36
Qurbani kay oont hum ney tumharay liye Allah
Taalaa ki nishaniyan muqarrar ker di hain inn mein tumhen
nafa hai. Pus unhen khara ker kay unn per Allah ka naam
lo phir jab unn kay pehloo zamin say lag jayen ussay (khud
bhi) khao aur miskeen sawal say rukney walon aur sawal
kerney walon ko bhi khilao issi tarah hum ney chopayon
ko tumharay ma-tehat ker diya hai kay tum shukar guzari
kero. 22.37
Allah Taalaa ko qurbaniyon kay gosht nahi phonchtay
na unn kay khoon bulkay ussay to tumharay dil ki perhezgari
phonchti hai. Issi tarah Allah ney inn janwaron ko tumhara
mutee ker diya hai kay tum uss ki rehnumaee kay shuriye
mein uss ki baraiyan biyan kero aur nek logon ko khuskhabri
suna dijiye! 22.38
Sunn rakho! Yaqeenan sachay momino kay duhmano
ko khud Allah Taalaa hata deta hai. Koi khayanat kerney
wala na shukra Allah Taalaa ko hergiz pasand nahi.
22.39
Jin (musalmano) say (kafir) jang ker rahey hain
unhen bhi muqablay ki ijazat di jati hai kiyon kay woh
mazloom hain. Be-shak unn ki madad per Allah qadir hai.
22.40
Yeh woh hain jinhen na-haq apnay gharon say nikala
gaya sirf unn kay iss qol per ker humara perwerdigar faqat
Allah hai. Agar Allah Taalaa logon ko aapas mein aik doosray
say na hatata rehta to ibadat khaney aur girjay aur masjiden
aur yahoodiyon kay maabad aur woh masjiden bhi dha di
jaten jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo
Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor uss ki madad
keray ga. Be-shak Allah Taalaa bari qooaton wala baray
ghalbay wala hai.
22.41 Yeh
woh log hain kay agar hum zamin mein inn kay paaon jama
den to yeh poori pabandi say namazen qaeem keren aur zakaten
den aur achay kaamon ka hukum keren aur burray kaamon
say mana keren. Tamam kaamon ka anjam Allah kay ikhtiyar
mein hai. 22.42
Agar yeh log aap ko jhutlayen (to koi tajjub
ki baat nahi) to inn say pehlay nooh (alh-e-salam) ki
qom aur aad aur samood. 22.43
Aur qom-e-ibrahim aur qom-e-loot.
22.44 Aur
madiyan walay bhi apnay apnay nabiyon ko jhutla chukay
hain. Musa (alh-e-salam) bhi jhutlaye ja chukay hain pus
mein ney kafiron ko yun hi si mohlat di phir dhar dabaya
phir mera azab kaisa hua? 22.45
Boht si bastiyan hain jinhen hum ney teh-o-bala
kerdiya iss liye kay woh zalim thay pus woh apni chaton
kay bal ondhi hui pari hain aur boht say abad koonwen
beykaar paray hain aur boht say pakkay aur buland mehal
weeran paray hain. 22.46
Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi
ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay
ya kano say hi inn (waqeeyaat) ko sunn letay baat yeh
hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil
andhay ho jatay hain jo seeno mein hain.
22.47 Aur
azab ko aap say jaldi talab ker rahey hain Allah hergiz
apna wada nahi talay ga. Haan albata aap kay rab kay nazdeek
aik din tumhari ginti kay aitbar say aik hazar saal ka
hai. 22.48
Boht si zulm kerney wali bastiyon ko mein ney
dheel di phir aakhir unhen pakar liya aur meri hi taraf
lot ker aana hai. 22.49
Ailaan kerdo kay logo! Mein tumhen khullam khulla
chokanna kerney wala hi hun. 22.50
Pus jo emaan laye hain aur jinhon ney nek amal
kiye hain unn hi kay liye bakhsish hai aur izzat wali
rozi.
22.51 Aur
jo log humari nishaniyon ko pust kerney kay darpay rehtay
hain wohi dozakhi hain. 22.52
Hum ney aap say pehlay jiss rasool aur nabi ko
bheja uss kay sath yeh hua kay jab woh apnay dil mein
koi aarzoo kerney laga shetan ney uss ki aarzoo mein kuch
mila diya pus shetan ki milawat ko Allah Taalaa door ker
deta hai phir apni baten pakki ker deta hai. Allah Taalaa
dana aur ba-hikmat hai. 22.53
Yeh iss liye kay shetani milawat ko Allah Taalaa
unn logon ki aazmaeesh ka zariya bana dey jin kay dilon
mein beemari hai aur jin kay dil sakht hain. Be-shak zalim
log gehri mukhalifat mein hain. 22.54
Aur iss liye bhi kay jinhen ilm ata farmaya gaya
hai woh yaqeen kerlen kay yeh aap kay rab hi ki taraf
say sirasir haq hi hai phir woh iss per emaan layen aur
unn kay dil uss ki taraf jhuk jayen. Yaqeenan Allah Taalaa
emaan daron ko raah-e-raast ki taraf rehbari kerney wala
hi hai. 22.55
Kafir iss wahee-e-elahee mein hamesha shak-o-shuba
hi kertay rahen gay hatta kay achanak unn kay saron per
qayamat aajaye ya unn kay pass uss din ka azab aajaye
jo manhoos hai. 22.56
Uss din sirf Allah hi ki badshaat hogi wohi unn
mein faislay farmaye ga. Emaan aur nek amal walay to nematon
say bhari jannaton mein hongay. 22.57
Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton
ko jhutlaya unn kay liye zaleel kerney walay azab hain.
22.58
Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan
kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr
gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga.
Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say
behtar hai. 22.59
Unhen Allah Taalaa aisi jagah phonchaye ga kay
woh iss say razi ho jayen gay be-shak Allah Taalaa ilm
aur burdbari wala hai. 22.60
Baat yehi hai aur jiss ney badla liya ussi kay
barabar jo uss kay sath kiya gaya tha phir agar uss say
ziyadti ki jaye to yaqeenan Allah Taalaa khud uss ki madad
farmaye ga. Be-shak Allah darguzar kerney wala bakshney
wala hai.
22.61 Yeh
iss liye kay Allah raat ko din mein dakhil kerta hai aur
din ko raat mein dakhil kerta hai aur be-shak Allah sunnay
wala dekhney wala hai. 22.62
Yeh sab iss liye kay Allah hi haq hai aur uss
kay siwa jisay bhi yeh pukartay hain woh batil hai aur
be-shak Allah hi bulandi wlaa kibriyaee wala hai.
22.63
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman
say pani barsata hai pus zamin sirsabz ho jati hai. Be-shak
Allah Taalaa meharban aur ba-khabar hai.
22.64 Aasman
aur zamin mein jo kuch hai ussi ka hai aur yaqeenan Allah
wohi hai bey niaz tareefon wala. 22.65
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah hi ney zamin
ki tamam cheezen tumharay liye musakkhar ker di hain aur
uss kay farmaan say pani mein chalti hui kashtiyan bhi.
Wohi aasaman ko thamay huye hai kay zamin per uss ki ijazat
kay baghair girr na paray be-shak Allah Taalaa logon per
shafqat-o-narmi kerney wala aur meharban hai.
22.66 Ussi
ney tumhen zindagi bakhshi phir wohi tumhen maar daley
ga phir wohi tumhen zinda keray ga be-shak insan albatta
na shukra hai. 22.67
Her ummat kay liye hum ney ibadat ka aik tareeqa
muqarrar ker diya hai jissay woh baja laney walay hain
pus enhen iss amar mein aap say jhagra na kerna chahiye
aap apnay perwerdigar ki taraf logon ko buliye. Yaqeenan
aap theek hidayat per hi hain. 22.68
Phir bhi agar yeh log aap say ulajhney lagen
to aap keh den kay tumhary aemaal say Allah ba-khoobi
waqif hai. 22.69
Be-shak tumharay sab kay ikhtilaf ka faisla qayamat
walay din Allah Taalaa aap keray ga.
22.70 Kiya
aap ney nahi jana kay aasman-o-zamin ki her cheez Allah
kay ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitab mein mehfooz
hai. Allah Taalaa per to yeh amar bilkul aasan hai.
22.71
Aur yeh Allah kay siwa unn ki ibadat ker rahey
hain jiss ki koi khudaee daleel nazil nahi hui na woh
khud hi iss ka koi ilm rakhtay hain. Zalimon ka koi madadgar
nahi. 22.72
Jab inn kay samney humaray kalaam ki khulli hui
aayaton ki tilawat ki jati hai to aap kafiron kay chehron
per na khushi kay saaf aasaar pehchan letay hain. Woh
to qareeb hotay hain kay humari aayaten sunaney walon
per hamla ker bethen keh dijiye kay kiya mein tumhen iss
say bhi ziyada bad tar khabar doon. Woh aag hai jiss ka
wada Allah ney kafiron say ker rakha hai aur woh boht
hi buri jagah hai. 22.73
Logo! Aik misal biyan ki jarahi hai zara kaan
laga ker suno! Allah kay siwa jin jin ko tum pukartay
ho woh aik makkhi bhi to peda nahi ker saktay go saray
kay saray hi jama ho jayen bulkay agar makkhi unn say
koi cheez ley bhagay to yeh to ussay bhi uss say cheen
nahi saktay bara boda hai talab kerney wala aur bara boda
hai woh jiss say talab kiya jaraha hai. 22.74
Unhon ney Allah kay martabay kay mutabiq uss
ki qadar jani hi nahi Allah Taalaa bara hi zor-o-qooat
wala aur ghalib-o-zabardast hai. 22.75
Farishton mein say aur insano mein say payghaam
phonchney walon ko Allah hi chaant leta hai be-shak Allah
Taalaa sunnay wala dekhney wala hai. 22.76
Woh ba-khoobi janta hai jo kuch inn kay aagay
hai aur jo kuch inn kay peechay hai aur Allah hi ki taraf
sab kaam lotaye jatay hain. 22.77
Aey emaan walo! Rukoo sajda ketay raho aur apnay
perwerdigar ki ibadat mein lagay raho aur nek kaam kertay
raho takay tum kaamyaab hojao. 22.78
Aur Allah ki raah mein wesa hi jihad kero jesay
jihad ka haq hai ussi ney tumhen bargazeedah banaya hai
aur tum per deen kay baray mein koi tangi nahi daali deen
apnay baap ibrahim (alh-e-salam) ka qaeem rakho ussi Allah
ney tumhara naam musalman rakha hai iss quran say pehlay
aur iss mein bhi takay payghumbar tum per gawah hojaye
aur tum tamam logon kay gawah bann jao. Pus tumhen chahiye
kay namazen qaeen rakho aur zakat ada kertay raho aur
Allah ko mazboor thaam lo wohi tumhara wali aur malik
hai. Pus kiya hi acha malik hai aur kitna hi behtar madadgar
hai. |
|
|