| Parah-Iqtaraba
17 |
| |
|
| |
| |
| |
| Parah-Qad-Aflahaa
18 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Mominoon
23 |
| (Sura-Mominoon
Makka mai Nazil hui, is mai aikso-atthara (118)
Aayatain hain) |
| |
23.01
Yaqeenan emaan walon ney falah hasil kerli.
23.02
Jo aoni namaz mein khusoo kertay hain.
23.03
Jo laghwiyaat say mun mor letay hain.
23.04
Jo zakat ada kerney walay hain.
23.05
Jo apni sharamghaon ki hifazat kerney walay
hain. 23.06
Ba-juz apni biwiyon aur milkiyat ki londiyon
kay yaqeenan yeh mala matiyon mein say nahi hain.
23.07
Jo iss kay siwa kuch aur chahayen wohi
hadd say tajawuz ker janey walay hain.
23.08
Jo apni amanaton aur waday ki hifazat kerney
walay hain. 23.09
Jo apni namazon ki nigehbani kertay hain.
23.10
Yehi waris hain.
23.11
Jo firdous kay waris hongay jahan woh hamesha
rahen gay. 23.12
Yaqeenan hum ney insan ko mitti kay johar
say peda kiya. 23.13
Phir ussay nutfa bana ker mehfooz jagah
mein qarar dey diya. 23.14
Phir nutfay ko hum ney jama hua khoon bana
diya phir uss khoon kay lothray ko gosht ka tukra
ker diya. Phir gosht kay tukray ko haddiyan bana
den phir haddiyon ko hum ney gosht pehna diya phir
doosri banawat mein uss ko peda ker diya. Barkaton
wala hai woh Allah jo sab say behtareen peda kerney
wala hai. 23.15
Iss kay baad phir tum sab yaqeenan marr
janey walay ho. 23.16
Phir qayamat kay din bila shuba tum sab
uthaye jaogay. 23.17
Hum ney tumharay upper saat aasman banaye
hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain.
23.18
Hum aik sahih andaz say aasman say paani
barsatay hain phir ussay zamin mein thehra detay
hain aur hum uss kay ley janey per yaqeena qadir
hain. 23.19
Issi pani kay zariyey say hum tumharay
liye khajooron aur angooron kay baghaat peda ker
detay hain kay tumharay liye inn mein boht say meway
hotay hain enhi mein say tum khatay bhi ho.
23.20
Aru woh darakht jo toor-e-seena pahar say
nikalta hai jo tel nikalta hai aur khaney walay
kay liye salan hai.
23.21
Tumhray liye chopayon mein bhi boht bari
bhari ibrat hai. inn kay peton mein say hum doodh
pilatay hain aur bhi boht say nafay tumharay liye
inn mein hain inn mein say baaz baaz ko tum khatay
bhi ho. 23.22
Aur inn per aur kashtiyon per tum sawar
keraye jatay ho. 23.23
Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko
uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja uss ney
kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero
aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi kiya tum
(uss say) nahi dartay. 23.24
Uss ki qom kay kafir sardaron ney saaf
keh diya kay yeh to tum jesa hi insan hai yeh tum
per fazeelat aur baraee hasil kerna chahata hai.
Agar Allah hi ko manzoor hota to kissi farishtay
ko utarta hum ney to issay apnay aglay baap dadon
kay zamaney mein suna hi nahi. 23.25
Yaqeenan iss shaks ko junoon hai pus tum
issay aik waqt-e-muqarrara tak dheel do.
23.26
Nooh (alh-e-salam) ney dua ki aey meray
rab! Inn kay jhutlaney per tu meri madad farma.
23.27
To hum ney unn ki taraf wahee bheji kay
tu humari aankhon kay samney humari wahee kay mutabiq
aik kashti bana. Jab humara hukum aajaye aur tanoor
ubal paray to tu her qisam ka aik aik jora iss mein
rakh ley aur apnay ehal ko bhi magar inn mein say
jin ki babat humari baat pehaly guzar chuki hai.
Khabardar jin logon ney zulm kiya hai unn kay baray
mein mujh say kuch kalaam na kerna woh to sab doboye
jayen gay. 23.28
Jab tu aur teray sathi kashti per ba-itminaan
betha jao to kehna sab tareef Allah kay liye hi
hai jiss ney humen zalim logon say nijat ata farmaee.
23.29
Aur kehna kay aey meray rab! Mujhay ba-barkat
utarna utaar aur tu hi behtar hai utarney walon
mein. 23.30
Yaqeenan iss mein bari bari nishaniyan
hain aur hum be-shak aazmaeesh kerney walay hain.
23.31
Inn kay baad hum ney aur bhi ummat peda
ki. 23.32
Phir unn mein khud unn mein say (hi) rasool
bhi bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero aur uss
kay siwa tumhara koi mabood nahi tum kiyon nahi
dartay? 23.33
Aur sardaraan-e-qom ney jawab diya jo kufur
kertay thay aur aakhirat ki mulaqat ko jhutlatay
thay aur hum ney unhen dunyawi zindagi mein khushal
ker rakha tha kay yeh to tum jesa hi insan hai tumhari
hi khooraq yeh bhi khata hai aur tumharay peenay
ka pani hi yeh bhi peeta hai. 23.34
Agar tum ney apnay jesay hi insan ki tabeydari
kerli to be-shak tum sakht khasaray walay ho.
23.35
Kiya yeh tumhen iss baat ka wada kerta
hai kay jab tum marr ker sirf khak aur haddi reh
jaogay to tum phir zinda kiye jaogay.
23.36
Nahi nahi door aur boht door hai woh jiss
ka tum wada diye jatay ho. 23.37
(zindagi) to sirf duniya ki zindagi hai
hum martay jeetay rehtay hain aur yeh nahi kay hum
phir uthaye jayen gay. 23.38
Yeh to bus aisa shaks hai jiss ney Allah
per jhoot (bohtaan) bandh liya hai hum to iss per
emaan laney walay nahi hain. 23.39
Nabi ney dua ki kay perwerdigar! Inn kay
jhutlaney per tu meri madad ker. 23.40
Jawab mila kay yeh to boht hi jald apnay
kiye per pachtaney lagen gay.
23.41
Bil-aakhir adal kay taqazay kay mutabiq
cheekh ney pakar liya aur hum ney unhen koora karkat
ker dala pus zalimon kay liye doori ho.
23.42
Inn kay baad hum ney aur bhi boht si ummaten
peda kin. 23.43
Na to koi ummat apnay waqt-e-muqarrara
say aagey barhi aur na peechay rahi.
23.44
Phir hum ney lagataar rasool bhejay jab
jab jiss ummat kay pass uss ka rasool aaya uss ney
jhutlaya pus hum ney aik ko doosray kay peechay
laga diya aur unhen afsana bana diya. Unn logon
ko doori ho jo emaan qabool nahi kertay.
23.45
Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko aur
uss kay bhai haroon (alh-e-salam) ko apni aayaton
aur khulli daleel kay sath bheja. 23.46
Firaon aur uss kay lashkaron ki taraf pus
unhon ney takabbur kiya aur thay hi woh sirkash
log. 23.47
Kehney lagay kay kiya hum apnay jesay do
shakhson per emaan aayen? Halankay khud unn ki qom
(bhi) humaray ma-tehat hai. 23.48
Pus unhon ney unn dono ko jhutlaya aakhir
woh bhi halak shuda logon mein mill gaye.
23.49
Hum ney to musa (alh-e-salam) ko kitab
(bhi) di kay log raah-e-raast per aajyen.
23.50
Hum ney ibn-e-marium aur uss ki walida
ko aik nishani banaya aur unn dono ko buland saaf
qarar wali aur jari pani wali jagah mein panah di.
23.51
Aey payghumbaron! Halal cheez khao aur
nek amal kero tum jo kuch ker rahey ho uss say mein
ba-khoobi waqif hun. 23.52
Yaqeenan tumhara yeh deen aik hi deen hai
aur mein hi tum sab ka rab hun pus tum mujh say
dartay raho. 23.53
Phir unhon ney khud (hi) apnay amar (deen)
kay aapas mein tukray tukray ker liye her giroh
jo kuch uss kay pass hai ussi per itra raha hai.
23.54
Pus aap (bhi) enhen unn ki ghaflat mein
hi kuch muddat para rehney den. 23.55
Kiya yeh (yun) samajh bethay hain? Kay
hum jo bhi inn kay maal-o-aulad barha rahey hain.
23.56
Woh inn kay liye bhalayion mein jaldi ker
rahey hain (nahi nahi) bulkay yeh samajhtay hi nahi.
23.57
Yaqeenan jo log apnay rab ki haibat say
dartay hain. 23.58
Aur jo apnay rab ki aayaton per emaan rakhtay
hain. 23.59
Aur jo apnay rab kay sath kissi ko shareek
nahi kertay. 23.60
Aur jo log detay hain jo kuch detay hain
aur unn kay dil kapkapatay hain kay woh apnay rab
ki taraf lotney walay hain.
23.61
Yehi hain jo jaldi jaldi bhalaiyan hasil
ker rahey hain aur yehi hain jo inn ki taraf dor
janey walay hain. 23.62
Hum kissi nafs ko uss ki taqat say ziyada
takleef nahi detay aur humaray pass aisi kitab hai
jo haq kay sath bolti hai inn kay upper kuch bhi
zulm na kiya jayega. 23.63
Bulkay inn kay dil iss taraf say ghaflat
mein hain aur inn kay liye iss kay siwa bhi boht
say aemaal hain jinehn woh kerney walay hain.
23.64
Yahan tak kay jab hum ney inn kay asooda
haal logon ko azab mein pakar liya to woh bilbilaney
lagay. 23.65
Aaj mat bilbilao yaqeenan tum humaray muqabley
per madad na kiye jao gay. 23.66
Meri aayaten tumharay samney parhi jati
thin phir tum apni airhiyon kay bal ultay bhagtay
thay. 23.67
Akartay eenthtay afsana goi kertay issay
chor detay thay. 23.68
Kiya enhon ney iss baat mein ghor-o-fiker
hi nahi kiya? Bulkay inn kay pass woh aaya jo inn
kay aglay baap dadon kay pass nahi aaya tha?
23.69
Ya enhon ney apnay payghubar ko pehchana
nahi kay iss kay munkir ho rahey hain?
23.70
Ya yeh kehtay hain issay junoon hai? Bulkey
woh to inn kay pass haq laya hai. Haan inn mein
aksar haq say chirney walay hain.
23.71
Agar haq hi inn ki khuwaishon ka pairo
ho jaye to zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki
her cheez darhum barhum hojaye. Haq to yeh hai kay
hum ney enhen unn ki naseehat phoncha di hai lekin
woh apni naseehat say mun morney walay hain.
23.72
Kiya aap inn say koi ujrat chahatay hain?
Yaad rakhiye kay aap kay rab ki ujrat boht hi behtar
hai aur woh sab say behtar rozi rasan hai.
23.73
Yaqeenan aap to enhen raah-e-raast ki taraf
bula rahey hain. 23.74
Be-shak jo log aakhirat per yaqeena nahi
rakhtay woh seedhay rastay say murr janey walay
hain. 23.75
Aur agar hum inn per raham farmayen aur
inn ki takleef door ker den to yeh to apni apni
sirkashi mein jamm ker aur behakney lagen.
23.76
Aur hum ney enhen azab mein bhi pakra ta-hum
yeh log na to apnay perwerdigar kay samney jhukay
aur na hi aajzi ikhtiyar ki. 23.77
Yahan tak kay jab hum ney inn per sakht
azab ka darwaza khol diya to ussi waqt foran mayyus
hogaye. 23.78
Woh Allah hai jiss ney tumharay liye kaan
aur aankhen aur dil pehda kiye magar tum boht (hi)
kum shukar kertay ho. 23.79
Aur wohi hai jiss ney tumhen peda ker kay
zamin mein phela diya aur ussi ki taraf tum jama
kiye jaogay. 23.80
Aur wohi hai jo jilata aur maarta hai aur
raat din kay rad-o-badal ka mukhtar bhi wohi hai.
Kiya tum ko samajh boojh nahi?
23.81
Bulkay inn logon ney bhi wesi hi baat kahi
jo aglay kehtay chalay aaye. 23.82
Kay kiya jab hum marr ker mitti aur haddi
hojayen gay kiya phir bhi hum zaroor uthaye jayen
gay? 23.83
Hum say aur humaray baap dadon say pehlay
hi say yeh wada hota chala aaya hai kuch nahi yeh
to sirf aglay logon kay afsaney hain.
23.84
Poochiye to sahih kay zamin aur iss ki
kul cheezen kiss ki hain? Batlao agar tum jantay
ho? 23.85
Foran jawab den gay kay Allah ki keh dijiye
kay phir tum naseehat kiyon nahi hasil kertay.
23.86
Daryaft kijiye kay saaton aasmano ka aur
boht ba-azmat arsh ka rab kaun hai?
23.87
Woh log jawab den gay kay Allah hi hai.
Keh dijiye! kay phir tum kiyon nahi dartay?
23.88
Poochiye kay tamam cheezon ka ikhtiyar
kiss kay hath mein hai? Jo panah deta hai aur jiss
kay muqablay mein koi panah nahi diya jata agar
tum jantay ho to batla do? 23.89
Yehi jawab den gay kay Allah hi hai. Keh
dijiye phir tum kidhar say jadoo ker diye jatay
ho? 23.90
Haq yeh hai kay hum ney unhen haq phoncha
diya hai aur yeh be-shak jhootay hain.
23.91
Na to Allah ney kissi ko beta banaya aur
na uss kay sath aur koi mabood hai werna her mabood
apni makhlooq ko liye liye phirta aur her aik doosray
per charh dorta. Jo osaaf yeh batlatay hain unn
say Allah pak (aur bey-niaz) hai. 23.92
Woh ghaeeb hazir ka jannay wala hai aur
jo shirk yeh kertay hain uss say bala tar hai.
23.93
Aap dua keren kay aey meray perwerdigar!
Agar tu mujhay woh dikhaye jiss ka wada enhen diya
jaraha hai. 23.94
To aey rab! Tu mujhay inn zlimon kay giroh
mein na kerna. 23.95
Hum jo kuch waday enhen dey rahey hain
sab aap ko dikha denay per yaqeenan qadir hain.
23.96
Buraee ko iss tareeqay say door keren jo
sirasir bhalaee wala ho jo kuch yeh biyan kertay
hain hum ba-khoobi waqif hain. 23.97
Aur dua keren kay aey meray perwerdigar!
Mein shetano kay waswason say teri panah chahata
hun. 23.98
Aur aey rab! Mein teri panah chahata hun
kay woh meray pass aajayen. 23.99
Yahan tak kay jab inn mein say kissi ko
maut aaney lagti hai to kehta hai aey meray perwerdigar!
Mujhay wapis lota dey. 23.100
Kay apni chori hui duniya mein jaa ker
nek aemaal ker loon hergiz aisa nahi hoga yeh to
sirf aik qol hai jiss ka yeh qaeel hai inn kay pas-e-pusht
to aik hijab hai inn kay doobara ji uthney kay din
tak.
23.101
Pus jab kay soor phoonk diya jayega uss
din na to aapas kay rishtay hi rahen gay na aapas
ki pooch gooch. 23.102
Jin ki tarazoo ka palla bhari hogaya woh
to nijat walay hogaye. 23.103
Aur jin kay tarazoo ka palla halka hogaya
yeh hain woh jinhon ney apna nuksan aap ker liya
jo hamesha kay liye jahannum wasil huye.
23.104
Unn kay chehron ko aag jhulasti rahey gi
aur woh wahan bad-shakal banay huye hongay.
23.105
Kiya meri aayaten tumharay samney tilawat
nahi ki jati thin? Phir bhi tum enhen jhutlatay
thay. 23.106
Kahen gay kay aey perwerdigar! Humari bad-bakhti
hum per ghalib aagaee (waqaee) hum thay hi gumrah.
23.107
Aey humaray perwerdigar! Humen yahan say
nijat dey agar abb hi hum aisa hi keren to be-shak
hum zalim hain. 23.108
Allah Taalaa farmaye ga phitkaray huye
yahin paray raho aur mujh say kalaam na kero.
23.109
Meray bando ki aik jamat thi jo barbar
yehi kehti rahi kay aey humaray perwerdigar! Hum
emaan laa chukay hain tum humen bakhsh aur hum per
reham farma to sab meharbano say ziyada meharbaan
hai.
23.110
(lekin) tum enhen mazaq mein hi uratay
rahey yahan tak kay (iss mashghalay ney) tum ko
meri yaad (bhi) bhula di aur tum inn say mazaq hi
kertay rahey. 23.111
Mein ney aaj enhen inn kay uss sabar ka
badla dey diya hai kay woh khatir khua apni murad
ko phonch chukay hain. 23.112
Allah Taalaa daryaft farmaye ga kay tum
zamin mein ba-aitbar barson ki ginti kiss qadar
rahey? 23.113
Woh kahen gay aik din ya aik din say bhi
kum ginti ginnay walon say bhi pooch lijiye.
23.114
Allah Taalaa farmaye ga fil-waqey tum wahan
boht hi kum rahey ho aey kaash! Tum issay pehaly
hi say jaan letay? 23.115
Kiya tum yeh gumaan kiye huye ho kay hum
ney tumhen yunhi beykaar peda kiya hai aur yeh kay
tum humari taraf lotaye hi na jao gay.
23.116
Allah Taalaa sacha badshah hai woh bari
bulandi wala hai uss ka siwa koi mabood nahi wohi
buzurg arsh ka malik hai. 23.117
Jo shaks Allah kay sath kissi doosray mabood
ko pukaray jiss ki koi daleel uss kay pass nahi
pus uss ka hisab to uss kay rab kay upper hi hai.
Be-shak kafir log nijat say mehroom hain.
23.118
Aur kaho kay aey meray rab! Tu bakhsh aur
reham ker aur tu sab meharbano say behtar meharbani
kerney wala hai. |
| |
| Surat-Noor
24 |
| (Sura-Noor Madani
mai Nazil hui, is mai chonsath (64) Aayatain hain) |
| |
24.01
Yeh hai woh surat jo hum ney nazil farmaee
hai aur muqarrar ker di hai aur jiss mein hum ney
khulli aayaten (ehkaam) utaray hain takay tum yaad
rakho. 24.02
Zina kaar aurat-o-mard mein say her aik
ko so koray lagao. Inn per Allah ki shareeat ki
hadd jari kertay huye tumhen hergiz tars na khana
chahaye agar tumhen Allah per aur qayamat kay din
per emaan ho. Inn ki saza kay waqt musalmano ki
aik jamatmojood honi chahaye. 24.03
Zaani mard ba-juz zaaniya ya mushrika aurat
kay aur say nikah nahi kerta aur zina kaar aurat
bhi bajuz zaani ya mushrik mard kay aur nikah nahi
kerti aur emaan walon per yeh haram ker diya gaya.
24.04
Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat
lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen
assi koray lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool
na kero. Yeh fasiq log hain. 24.05
Haan jo log iss kay baad toba aur islah
ker len to Allah Taalaa bakshney wala aur meharbani
kerney wala hai. 24.06
Jo log apni biwiyon per bad-kaari ki tohmat
lagayen aur unn ka koi gawah ba-juz khud unn ki
zaat kay na ho to aisay logon mein say her aik ka
saboot yeh hai kay char martaba Allah ki qasam kha
ker kahen kay woh sachon mein say hain.
24.07 Aur
paanchwen martaba kahey kay uss per Allah ki lanat
ho agar woh jhooton mein say ho. 24.08
Aur uss aurat say saza iss tarah door hosakti
hai kay woh char martaba Allah ki qasam kha ker
kahey kay yaqeenan iss ka mard jhoot bolney walon
mein say hai. 24.09
Aur paanchwen dafa kahey kay uss per Allah
Taalaa ka azab ho agar uss ka khawind sachon mein
say ho. 24.10
Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum
per na hota (to tum per mushaqqat utarti) aur Allah
Taalaa toba qabool kerney wala ba-hikmat hai.
24.11 Jo
log yeh boht bara bohtan bandh laye hain yeh bhi
tum mein say hi aik giroh hai. Tum issay apnay liye
bura na samjho bulkay yeh to tumharay haq mein behtar
hai. Haan inn mein say her aik shaks per itna gunah
hai jitna uss ney kamaya hai aur inn mein say jiss
ney iss kay boht baray hissay ko sir anjam diya
hai uss kay liye azab bhi boht hi bara hai.
24.12
Issay suntay hi momin mard-o-aurton ney apnay haq
mein nek gumani kiyon na ki aur kiyon na keh diya
kay yeh to khullam khulla sareeh bohtan hai.
24.13
Woh iss per char gawah kiyon na laye? Aur
jab gawah nahi laye to yeh bohtan baaz log yaqeenan
Allah kay nazdeek mehaz jhootay hain.
24.14 Agar
Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per duniya aur
aakhirat mein na hota to yaqeenan tum ney jiss baat
kay charchay shuroo ker rakhay thay iss baray mein
tumhen boht bara azab phonchta. 24.15
Jabkay tum issay apni zabano say naqal
dar naqal kerney lagay aur apnay mun say woh baat
nikalney lagay jiss ki tumhen mutlaq khabar na thi
go tum issay halki baat samajhtay rahey lekin Allah
Taalaa kay nazdeek woh boht bari baat thi.
24.16
Tum ney aisi baat ko suntay hi kiyon na
keh diya kay humen aisi baat mun say nikalni bhi
laeeq nahi. Ya-Allah! Tu pak hai yeh to boht bara
bohtan hai aur tohmat hai. 24.17
Allah Taalaa tumhen naseehat kerta hai
kay phir kabhi bhi aisa kaam na kerna agar tum sachay
momin ho. 24.18
Allah Taalaa tumharay samney apni aayaten
biyan farma raha hai aur Allah Taalaa ilm-o-hikmat
wala hai. 24.19
Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney
kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya
aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab
kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay.
24.20
Agar tum per Allah Taalaa ka fazal aur
uss ki rehmat na hoti aur yeh bhi kay Allah Taalaa
bari shafqat rakhney wala meharban hai. (to tum
per azab utar jata).
24.21 Emaan
walo! Shetan kay qadam-ba-qadam na chalo. Jo shaks
shetani qadmon ki pairwee keray to woh to bey hayaee
aur buray kaamon ka hi hukum keray ga. Aur agar
Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota to
tum mein say koi bhi kabhi bhi pak saaf na hota.
Lekin Allah Taalaa jissay pak kerna chahaye ker
deta hai aur Allah sab sunnay wala sab jannay wala
hai. 24.22
Tum mein say jo buzurgi aur kushadgi walay
hain unhen apnay qarabat daron aur miskeeno aur
mohajiron ko fi sabeelillah denay say qasam na kha
leni chahaye bulkay moaf ker dena aur dar-guzar
ker lena chahaye. Kiya tum nahi chahtay kay Allah
Taalaa tumharay qasoor moaf farma dey? Allah qasooron
ko moaf farmaney wala meharban hai.
24.23 Jo
log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat
lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon
hain aur unn kay liye bara bhari azab hai.
24.24
Jabkay unn kay muqablay mein unn ki zabaney
aur unn kay hath paon unn kay aemaal ki gawahee
den gay. 24.25
Uss din Allah Taalaa unhen poora poora
badla haq-o-insaf kay sath dey ga aur woh jaan len
gay kay Allah Taalaa hi haq hai (aur wohi) zahir
kerney wala hai. 24.26
Khabees aurten khabees mardon kay laeeq
hain aur khabees mard khabees aurton kay laeeq hain
aur pak aurten pak mardon kay laqeeq hain aur pak
mard pak aurton kay laeeq hain. Aisay pak logon
kay mutalliq jo kuch bakwas (bohtan baaz) ker rahey
hain woh inn say bilkul bari hain inn kay liye bakhsish
hai aur izzat wali rozi. 24.27
Aey emaan walo! Apnay gharon kay siwa aur
gharon mein na jao jab tak kay ijazat na ley lo
aur wahan kay rehney walon ko salam na kerlo yehi
tumharay liye sara sir behtar hai takay tum naseehat
hasil kero. 24.28
Agar wahan tumhen koi bhi na mill sakay
to phir ijazat milay baghair andar na jao. Aur agar
tum say lot janey ko kaha jaye to tum lot hi jao
yehi baat tumharay liye pakeeza hai jo kuch tum
ker rahey ho Allah Taalaa khoob janta hai.
24.29
Haan ghair abad gharon mein jahan tumhara
koi faeeda ya asbaab ho janey mein tum per koi gunah
nahi. Tum jo kuch bhi zahir kertay ho aur jo chupatay
ho Allah Taalaa sab kuch janta hai.
24.30 Musalman
mardon say kaho apni nigahen neechi rakhen aur apni
sharam gahon ki hifazat rakhen. Yeh hi unn kay liye
pakeezgi hai log jo kuch keren Allah Taalaa sab
say khabra daar hai.
24.31 Musalman
aurton say kaho kay woh bhi apni nigahen neechi
rakhen aur apni ismat mein farq na aaney den aur
apni zeenat ko zahir na keren siwaye uss kay hi
zahir hai aur apnay girbano per apni orhniyan dalay
rahen aur apni aaraeesh ko kissi kay samney zahir
na kerensiwaye apnay khawindo kay ya apnay walid
kay ya apnay khusar kay ya apnay larkon kay ya apnay
khawind kay larkon kay ya apnay bhaiyon kay ya apnay
bhatijon kay ya apnay bhanjon kay ya apnay mail
jol ki aurton kay ya ghulamon kay ya aisay naukar
chaakar mardon kay jo shewat walay na hon ya aisay
bachon kay jo aurton kay parday ki baaton kay baray
mein mutlaa nahi.aur iss tarah zor zor say paon
maar ker na chalen kay unn ki posheeda zeenat maloom
ho jaye aey musalmano! Tum sab kay sab Allah ki
janab mein toba kero takay tum nijat pao.
24.32
Tum mein say jo mard-o-aurat bey nikah
kay hon unn ka nikah ker do aur apnay nek bakht
ghulamon aur londiyon ka bhi agar woh muflis bhi
hongay to Allah Taalaa unhen apnay fazal say ghani
ker bana dey ga. Allah Taalaa kushadgi wala aur
ilm wala hai. 24.33
Aur unn logon ko pak daman rehna chahaye
jo apna nikah kerney ka maqdoor nahi rakhtay yahan
tak kay Allah Taalaa unhen apnay fazal say maal
daar bana dey tumharay ghulamon mein say jo koi
kuch tumhen dey ker azadi ki tehreer kerani chahaye
to tum aisi tehreer unhen ker diya kero agar tum
ko inn mein koi bhalaee nazar aati ho aur Allah
ney jo maal tumhen dey rakha hai uss mein sya unhen
bhi do tumhari jo londiyan pak daman rehna chahati
hain unhen duniya ki zindagi kay faeeday ki gharaz
say bad-kaari per majboor na kero aur jo unhen majboor
ker dey to Allah Taalaa unn per jabar kay baad bakhsish
denay wala aur meharbaani kerney wala hai.
24.34
Hum ney tumhari taraf khulli aur roshan
aayaten utar di hain aur unn logon ki kahwaten jo
tum say pehlay guzar chukay hain aur perhezgaron
kay liye naseehat. 24.35
Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka
uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss
mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein
ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray
kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon
kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi
hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap
hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi
chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor
ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon
(kay samjhaney) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan
farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal
say bakhoobi waqif hai. 24.36
Unn gharon mein jin kay buland kerney aur
jin mein apnay naam ki yaad ka Allah Taalaa ney
hukum diya hai wahan subha-o-shaam Allah Taalaa
ki tasbeeh biyan kertay hain. 24.37
Aisay log jinhen tijarat aur khareed-o-farokht
Allah kay zikar say aur namaz kay qaeem kerney aur
zakat ada kerney say ghafil nahi kerti uss din say
dartay hain jiss din boht say dil aur boht si aankhen
ulat pulat hojyen gi. 24.38
Iss iraday say kay Allah unhen unn kay
aemaal ka behtareen badla dey bulkay apnay fazal
say aur kuch ziyadti ata faramye. Allah Taalaa jissay
chahaye bey shumaar roziyan deta hai.
24.39 Aur
kafiron kay aemaal misil uss chamakti hui rait kay
hain jo chatyal maidan mein ho jissay piyasa shaks
door say pani samjhta hai lekin jab uss kay pass
phonchta hai to ussay kuch bhi nahi pata haan Allah
ko apnay pass pata hai jo uss ka hisab poora poora
chuka deta hai. Allah boht jald hisab ker denay
wala hai.
24.40 Ya
misil unn andheron kay hai jo nihayat gehray samandar
ki teh mein hon jissay upper talay ki mojon ney
dhaanp rakha ho phir upper say badal chaye huye
hon. Al-gharz andheriyan hain jo upper talay pay
dar pay hain. Jab apna hath nikalay to ussay bhi
qareeb hai kay na dekh sakay aur (baat yeh hai kay)
jissay Allah Taalaa hi noor na dey uss kay pass
koi roshni nahi hoti. 24.41
Kiya aap ney nahi dekha kay aasmano aur
zamin ki kul makhlooq aur par phelaye urney walay
kul parind Allah ki tasbeeh mein masghool hain.
Her aik ki namaz aur tasbeeh ussay maloom hai log
jo kuch keren uss say Allah bakhoobi waqif hai.
24.42
Zamin-o-aasman ki badshaat Allah hi ki
hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lotna hai.
24.43
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa
badlon ko chalata hai phir unhen milata hai phir
unhen teh ba teh ker deta hai phir aap dekhtay hain
kay unn kay darmiyan mein say meenh barasta hai.
Wohi aasman ki janib say olon kay pahar mein say
olay barsata hai phir jinhen chahaye unn kay pass
unhen barsaye aur jin say chahaye unn say enhen
hata dey.Badal hi say nikalney wali bijli ki chamak
aisi hoti hai kay goya abb aankhon ki roshni ley
chali. 24.44
Allah Taalaa hi din aur raat ko rad-o-badal
kerta rehta hai aankhon walon kay liye to iss mein
yaqeenan bari bari ibraten hain. 24.45
Tamam kay tamam chalney phirney walay jaandaaron
ko Allah Taalaa hi ney pani say peda kiya hai inn
mein say baaz to apnay pet kay bal chaltay hain
baaz do paon per chaltay hain. Baaz char paon per
chaltay hain Allah Taalaa jo chahata hai peda kerta
hai. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
24.46
Bila shak-o-shuba hum ney roshan aur wazeh
aayaten utar di hain Allah Taalaa jissay chahaye
seedhi raah dikha deta hai. 24.47
Aur kehtay hain kay hum Allah Taalaa aur
rasool per emaan laye aur faman bardaar huye phir
unn mein say aik firqa iss kay baad bhi phir jata
hai. Yeh emaan walay hain (hi) nahi.
24.48 Jab
yeh iss baat ki taraf bulaye jatay hain kay Allah
aur iss ka rasool unn kay jharay chuka dey to bhi
inn ki aik jamat mun morney wali bann jati hai.
24.49 Haan
agar inhi ko haq phonchta ho to mutee-o-farma bardaar
ho ker iss ki taraf chalay aatay hain.
24.50 Kiya
inn kay dilon mein beemari hai? Ya yeh shak-o-shuba
mein paray huye hain? Ya enhen iss baat ka darr
hai kay Allah Taalaa aur uss ka rasool inn ki haq
talfi na keren? Baat yeh hai kay yeh log khud hi
baray zalim hain. 24.51
Emaan walon ka qol to yeh hai kay jab unhen
iss liye bulaya jata hai kay Allah aur iss ka rasool
inn mein faisal ker dey to woh kehtay hain kay hum
ney suna aur maan liya. Yehi log kaamyaab honey
walay hain. 24.52
Jo bhi Allah Taalaa ki uss kay rasool ki
farman bardaari keren khof-e-elahee rakhen aur uss
kay azabon say dartay rahen wohi nijat paney walay
hain. 24.53
Bari pukhtagi kay sath Allah Taalaa ki
qasmen kha kha ker kehtay hain kay aap ka hukum
hotay hi nikal kharay hongay. Keh dijiy kay bus
qasmen na khao (tumhari) ita’at ki haqeeqat
maloom hai. Jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa
uss say ba-khabar hai. 24.54
Keh dijiye kay Allah Taalaa ka hukum mano
rasoolullah ki ita’at kero phir bhi agar tum
ney roo gardani ki to rasool kay zimmay to sirf
wohi hai jo iss per lazim ker diya gaya hai aur
tum per iss ki jawab dahee hai jo tum per rakha
gaya hai hidayat to tumhen ussi waqt milay gi jab
rasool ki ma-tehati kero. Suno rasool kay zimmay
to sirf saaf tor per phoncha dena hai.
24.55 Tum
mein say unn logon say jo emaan laye hain aur nek
aemaal kiye hain Allah Taalaa wada farma chuka hai
kay unhen zaroor zamin mein khalifa banaye ga jaisay
kay unn logon ko khalifa banaya tha jo inn say pehlay
thay aur yaqeenan inn kay liye inn kay iss deen
ko mazbooti kay sath mohkum ker kay jama dey ga
jissay unn kay liye woh pasand farma chuka hai aur
inn kay iss khof-o-khatar ko woh aman-o-amaan mein
badal dey ga woh meri ibadat keren gay meray sath
kissi ko bhi shareek na therayen gay. Iss kay baad
bhi jo log na-shukri aur kufur keren yaqeenan fasiq
hain. 24.56
Namaz ki pabandi kero zakat ada kero aur
Allah Taalaa kay rasool ki farman bardaari mein
lagay raho takay tum per reham kiya jaye.
24.57
Yeh khayal kabhi bhi na kerna kay munkir
log zamin mein (idhar udhar bhaag ker) humen hara
denay walay hain inn ka asli thikana to jahannum
hai jo yaqeenan boht hi bura thikana hai.
24.58 Emaan
walo! Tum say tumhari milkiyat kay ghulamon ko aur
unhen bhi jo tum mein say balooghat ko na phonchay
hon (apnay aaney ki) teen waqton mein ijazat hasil
kerni zaroori hai. Namaz-e-fajar say pehlay aur
zohar kay waqt jab kay tum apnay kapray utar rakhtay
ho aur isha ki namaz kay baad yeh teeno waqt tumhari
(khilwat) aur parday kay hain. Inn waqton kay ma-siwa
na to tum per koi gunah hai na unn per. Tum sab
aapas mein aik doosray kay pass ba-kasrat aaney
janey walay ho (hi) Allah iss tarah khol khol ker
apnay ehkaam tum say biyan farma raha hai. Allah
Taalaa pooray ilm aur kamil hikmat wala hai.
24.59
Aur tumharay bachay (bhi) jab balooghat
ko phonch jayen to jiss tarah unn kay aglay log
ijazat mangtay hain unhen bhi ijazat maang ker aana
chahaye Allah Taalaa tum say issi tarah apni aayaten
biyan farmata hai. Allah Taalaa hi ilm-o-hikmat
wala hai. 24.60
Bari boorhi aurten jinhen nikah ki umeed
(aur khuwaish hi) na rahi ho woh apnay agar apnay
kapray utar rakhen to unn per koi gunah nahi ba-shart-e-kay
woh apna banao singhaar zahir kerney waliyan na
hon tahum inn say bhi ehtiyaat rakhen to inn kay
liye boht afzal hai aur Allah Taalaa sunta janta
hai. 24.61
Andhay per langray per beemar per aur khud
tum per (mutlaqan) koi harj nahi kay tum apnay gharon
say khalo ya apnay bapon kay gharon say ya apni
maaon kay gharon say ya apnay bhiyon kay gharon
say ya apni behno kay gharon say ya apnay chachaon
kay gharon say ya apni phoophiyon kay gharon say
ya apnay mamoo’on kay gharon say ya apni khalaon
kay gharon say ya unn kay gharon say jin ki kunjiyon
kay tum malik ho ya apnay doston kay gharon say.
Tum per iss mein bhi koi gunah nahi kay tum sab
sath beht ker khana khao ya alag alag. Pus jab tum
gharon mein janey lago to apnay ghar walon ko salam
ker liya kero duya-e-khair hai jo ba-barkat aur
pakeeza hai Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda
yun hi Allah Taalaa khol khol ker tum say apnay
ehkaam biyan farma raha hai takay tum samajh lo.
24.62
Ba-emaan log to wohi hain jo Allah Taalaa
per aur uss kay rasool per yaqeen rakhtay hain aur
jab aisay moamlay mein jiss mein logon kay jama
honey ki zaroorat hoti hai nabi kay sath hotay hain
to jab tak aap say ijazt na len kahin nahi jatay.
Jo log aisay moqay per aap say ijazat ley letay
hain haqeeqat mein yehi hain jo Allah Taalaa per
aur uss kay rasool per emaan laa chukay hain.pus
jab aisay log aap say apnay kissi kaam kay liye
ijazat talab keren to aap inn mein say jissay chahayen
ijazat dey den aur inn kay liye Allah Taalaa say
baksish ki dua mangen be-shak Allah bakshney wala
meharbaan hai. 24.63
Tum Allah Taalaa kay nabi kay bulney ko
aisa bulawa na kerlo jaisa kay aapas mein aik doosray
ko hota hai. Tum mein say unhen Allah khoob janta
hai jo nazar bacha ker chupkay say sirak jatay hain
suno jo log hukum-e-rasool ki mukhlifat kertay hain
unhen dartay rehna chahaye kay kahin unn per koi
zabardast aafat na aa paray ya unhen dard-naak azab
na phonchay. 24.64
Aagah hojao kay aasma-o-zamin mein jo kuch
hai sab Allah Taalaa hi ka hai. Jiss ravish per
tum ho woh issay bakhoobi janta hai aur jiss din
yeh sab uss ki taraf lotaye jayen gay uss din inn
ko inn kay kiye say woh khabardaar ker dey ga. Allah
Taalaa sab kuch jannay wala hai.
|
| Surat-Furqaan
25 |
| (Sura-Furqaan Makka
mai Nazil hui, is mai satattar (77) Aayatain hain) |
| |
25.01
Bohat ba-barkat hai woh Allah Taalaa jiss
ney apnay banday per furqan utara takay woh tamam
logon kay liye aagah kerney wala bann jaye.
25.02
Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur
zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki
saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez
ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera
diya hai. 25.03
Inn logon ney Allah kay siwa jinhen apnay
mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda
nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye jatay
hain yeh to apni jaan kay nuksan nafay ka bhi ikhtiyar
nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur na doobara
ji uthney kay woh malik hain. 25.04
Aur kafiron ney kaha yeh to bus khud issi
ka ghara gharaya jhoot hai jiss per aur logon ney
bhi iss ki madad ki hai dar-asal yeh kafir baray
hi zulm aur sir-ta-sir jhoot kay murtakib huye hain.
25.05
Aur yeh bhi kaha kay yeh to aglon kay afsaney
hain jo iss ney likha rakhay hain bus wohi subha-o-shaam
iss kay samney parhay jatay hain. 25.06
Keh dijiye kay issay to uss Allah ney utara
hai jo aasman-o-zamin ki tamam posheeda baaton ko
janta hai. Be-shak woh bara hi bakhshney wala meharbaan
hai. 25.07
Aur enhon ney kaha yeh kaisa rasool hai
kay khana khata hai aur bazaron mein chlta phirta
hai iss kay pass koi farishta kiyon nahi bheja jata?
Kay woh bhi iss kay sath ho ker daraney wala bann
jata. 25.08
Ya iss kay pass koi khazana hi daal diya
jata ya iss ka koi baagh hi hota jiss mein say yeh
khata. Aur inn zalimon ney kaha kay tum aisay aadmi
kay peechay ho liye ho jiss per jadoo ker diya gaya
hai. 25.09
Khayal to kijiye! Kay yeh log aap ki nisbat
kaisi kaisi baaten banatay hain. Pus jiss say khud
hi behak rahey hain aur kissi tarah raah per nahi
aa saktay. 25.10
Allah Taalaa to aisa ba-barkat hai kay
agar chahaye to aap ko boht say aisay baghaat inayat
farma dey jo inn kay kahey huye bagh say boht hi
behar hon jin kay neechay nehren lehren ley rahi
hon aur aap ko boht (pukhta) mehal bhi dey dey.
25.11
Baat yeh hai kay yeh log qayamat ko jhoot
samajhtay hain aur qayamat kay jhutlaney walon kay
liye hum ney bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai.
25.12
Jab woh enhen door say dekhay gi to yeh
uss ka gussay say bipharna aur dharna sunen gay.
25.13
Aur jab yeh jahannum ki kissi tang jagah
mein mashken kus ker phenk diye jayengay to wahan
apnay liye maut hi maut pukaren gay.
25.14
(inn say kaha jayega) aaj aik hi maut ko
na pukaro bulkay boht si ammwaat ko pukaro.
25.15
Aap keh dijiye kay kiya yeh behtar hai
ya woh hameshgi wali jannat jiss ka wada perhezgaron
say kiya gaya hai jo inn ka badla hai aur inn kay
lotney ki asli jagah hai. 25.16
Woh jo chahayen gay unn kay liye wahan
mojood hoga hamesha rehney walay. Yeh to aap kay
rab kay zimmay wada hai jo qabil-e-talab hai.
25.17
Aur jiss din Allah Taalaa enhen aur siwaye
Allah kay jinhen yeh poojtay rahey unhen jama keray
ga kay kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya
ya yeh khud hi raah say gumm hogaye.
25.18
Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud
humen hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko
apna kaar saaz banatay baat yeh hai kay tu ney enhen
aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen
yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log
thay hi halak honey walay. 25.19
To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton
mein jhutlaya abb na to tum mein azabon kay pherney
ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss
ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen
gay. 25.20
Hum ney aap say pehlay jitnay rasool bhejay
sab kay sab khana bhi khatay thay aur bazaron mein
bhi chaltay phirtay thay aur hum ney tum say her
aik ko doosray ki aazmaeesh ka zariya bana diya.
Kiya tum sabar kero gay? Tera rab sab kuch dekhney
wala hai. |
|
|
|