| Parah-Wa-Qaala-Iazina
19 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Furqaan
25 |
| (Sura-Furqaan Makka mai
Nazil hui, is mai satattar (77) Aayatain hain) |
| |
25.21
Aur jinhen humari mulaqat ki tawaqqa nahi unhon
ney kaha kay hum per farishtay kiyon nahi utaray jatay?
Ya hum apni aankhon say apnay rab ko dekh letay? Inn logon
ney apnay aap ko ho boht bara samajh rakha hai aur sakht
sirkashi ker li hai. 25.22
Jiss din yeh farishton ko dekh len gay uss din
inn gunehgaron ko koi khushi na hogi aur kahen gay yeh
mehroom hi mehroom kiye gaye. 25.23
Aur enhon ney jo amal kiye thay hum ney unn ki
taraf barh ker enhen paraganda zarron ki tarah ker diya.
25.24
Albatta uss din jannatiyon ka thikana behtar
hoga aur khuwab gaah bhi umdah hogi. 25.25
Aur jiss din aasman badal samet phat jayega aur
farishtay laga taar utaray jayengay. 25.26
Uss din sahih tor per mulk sirf rehman ka hi
hoga aur yeh din kafiron per bara bhari hoga.
25.27 Aur
uss din zalim shaks apnay hathon ko chaba chaba ker kahey
ga haye kaash kaye mein ney rasool (PBUH) ki raah ikhtiyar
ki hoti. 25.28
Haye afsos kaash kay mein ney falan ko dost na
banaya hota. 25.29
Iss ney to mujhay iss kay baad gumrah ker diya
kay naseehat meray pass aa phonci thi aur shetan to insan
ko (waqt per) dagha denay wala hai. 25.30
Aur rasool kahey ga kay aey meray perwerdigar!
Be-shak meri ummat ney iss quran ko chor rakha tha.
25.31 Aur
iss tarah hum ney her nabi kay dushman baaz gunehgaron
ko bana diya hai. Aur tera rab hi hidayat kerney wala
aur madad kerney wala kafi hai. 25.32
Aur kafiron ney kaha kay iss per quran sara ka
sara aik sath hi kiyon na utara gaya issi tarah hum ney
(thora thora ker kay) utara takay iss say hum aap ka dil
qavi rakhen hum ney issay thehar thehar ker hi parh sunaya
hai. 25.33
Yeh aap kay pass jo koi misal layen gay hum uss
ka sacha jawab aur umdah tojeeh aap ko bata den gay.
25.34
Jo log apnay mun kay bal jahannum ki taraf jama
kiye jayengay. Wohi bad-tar makaan walay aur gumrah tar
raastay walay hain. 25.35
Aur bila shuba hum ney musa ko kitab di aur unn
kay humrah unn kay bhai haroon ko unn ka wazir bana diya.
25.36
Aur keh diya kay tum dono unn logon ki taraf
jao jo humari aayaton ko jhutla rahey hain. Phir hum ney
unhen bilkul hi paamaal ker diya. 25.37
Aur qom-e-nooh ney bhi jab rasoolon ko jhoota
kaha to hum ney unhen gharaq ker diya aur logon kay liye
unhen nishan-e-ibrat bana diya. Aur hum ney zalimon kay
liye dard-naak azab mohiyya ker rakha hai.
25.38 Aur
aadiyon aur samoodiyon aur koonwen walon ko aur unn kay
darmiyan ki boht si ummaton ko (halak ker diya).
25.39
Aur hum ney unn kay samney misalen biyan ken
phir her aik bilkul tabah-o-barbaad ker diya.
25.40 Yeh
log uss basti kay pass say bhi aatay jatay hain jin per
buri tarah ki barish barsaee gaee kiya yeh phir bhi issay
dekhtay nahi? Haqeeqat yeh hai kay enhen marr ker ji uthney
ki umeed hi nahi.
25.41 Aur
tumhen jab kabhi dekhtay hain to tum say maskhara pann
kerney lagtay hain. Kay kiya yehi woh shaks hain jinehn
Allah Taalaa ney rasool bana ker bheja hai.
25.42 (woh
to kahiye) kay hum iss per jama rahey werna enhon ney
to humen humaray maboodon say behka denay mein koi kasar
nahi chori thi. Aur yeh jab azabon ko dekhen gay to enhen
saaf maloom hojaye ga kay poori tarah raah say bhatka
hua kaun tha? 25.43
Kiya aap ney ussay bhi dekha jo apni khwais-e-nafs
ko apna mabood banaye huye hai kiya aap uss kay zimay
daar ho saktay hain? 25.44
Kiya aap issi khayal mein hain kay inn mein say
aksar suntay ya samajhtay hain. Woh to niray chopayon
jaisay hain bulkay inn say bhi ziyada bhatkay huye.
25.45
Kiya aap ney nahi dekha kay aap kay rab ney saye
ko kiss tarah phela diya hai? Agar chahata to issay thehra
hua hi ker deta. Phir hum ney aftab ko issi per daleel
banaya. 25.46
Phir hum ney ussay aahista aahista apni taraf
khench liya. 25.47
Aur wohi hai jiss ney raat ko tumharay liye parda
banaya aur neend ko rahat banaee aur din ko uth kharay
honey ka waqt. 25.48
Aur wohi hai jo baaraan-e-rehmat say pehlay khush
khabri denay wali hawaon ko bhejta hai aur hum aasman
say pak pani barsatay hain. 25.49
Takay iss kay zariye say murda shehar ko zinda
ker den aur issay hum apni makhlooqaat mein say boht say
chopayon aur insano ko pilatay hain. 25.50
Aur be-shak hum ney issay unn kay darmiyan tarah
tarah say biyan kiya takay woh naseehat hasil keren magar
phir bhi aksar logon ney siwaye na-shukri kay mana nahi.
25.51 Agar
hum chahatay to her her basti mein darney wala bhej detay.
25.52
Pus aap kafiron ka kehna na manen aur quran kay
zariye inn say poori taqat say bara jihad keren.
25.53
Aur wohi hai jiss ney do samandar aapas mein
mila rakhay hain yeh hai meetha aur mazedaar aur yeh hai
khaari kerwa aur inn dono kay darmiyan aik hijab aur mazboot
oot kerdi. 25.54
Woh hai jiss ney pani say insan ko peda kiya
phir issay nasab wala aur susrali rishton wala ker diya.
Bila shuba aap ka perwerdigar (her cheez per) qadir hai.
25.55
Yeh Allah ko chor ker unn ki ibadat kertay hain
jo na to enhen koi nafa dey saken na koi nuksan phonca
saken aur kafir to hay hi apna rab kay khilaf (shetan
ki) madad kerney wala. 25.56
Hum ney to aap ko khush khabri aur darr sunaney
wala (nabi) bana ker bheja hai. 25.57
Keh dijiye kay mein quran kay phonchaney per
tum say koi badla nahi chahata magar jo shaks apnay rab
ki taraf raah pakarna chahye. 25.58
Uss hamesha zinda rehnay walay Allah Taalaa per
tawakkal keren jissay kabhi maut nahi aur uss ki tareef
kay sath pakeezgi biyan kertay rahen woh apnay gunahon
say kafi khabardaar hai. 25.59
Wohi hai jiss aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan
ki sab cheezon ko cheh din mein peda ker diya hai phir
arsh per mustawi hua woh rehman hai aap iss ka baray mein
kissi khabar daar say pooch len. 25.60
Inn say jabb bhi kaha jata hai kay rehman ko
sajda kero to jawab detay hain rehman hai kiya? Kiya hum
ussay sajda keren jiss ka tu humen hukum dey raha hai
aur iss (tableegh) ney unn ki nafrat mein mazeed izafa
ker diya.
25.61 Ba-barkat
hai woh jiss ney aasman mein burj banaye aur iss mein
aftab banaya aur munawar mahtab bhi. 25.62
Aur ussi ney raat aur din ko aik doosray kay
peechay aaney janey wala banaya uss shaks ki naseehat
kay liye jo naseehat hasil kerney ya shukar guzari kerney
ka irada rakhta ho. 25.63
Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin
per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log
inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain
kay salam hai. 25.64
Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam
kertay huye raten guzar detay hain. 25.65
Aur jo yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar!
Hum say dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon kay iss
ka azab chimat janey wala hai. 25.66
Be-shak woh therney aur rehney kay lehaz say
bad-tareen jagah hai. 25.67
Aur jo kharach kertay waqt bhi na to israaf kertay
hain na bakheeli bulkay inn dono kay darmiyan motadil
tareeqay per kharach kertay hain. 25.68
Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi
pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah
Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi
kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi
yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga.
25.69
Issay qayamat kay din dogra azab kiya jayega
aur woh zillat-o-khuwari kay sath hamesha ussi mein rahey
ga.
25.70 Siwaye
unn logon kay jo tuaba keren aur emaan layen aur nek kaam
keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon
say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay
wala hai. 25.71
Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh
to (haqeeqatan) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta
hai. 25.72
Aur jo log jhooti gawahee nahi detay aur jab
kissi laghaw cheez per unn ka guzar hota hai to sharafat
say guzar jatay hain. 25.73
Aur jab enhen unn kay rab kay kalam ki aayaten
sunaee jati hain to woh andhay behray ho ker inn per nahi
girtay. 25.74
Aur yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar!
Tu humen humari biwiyon aur aulad say aankhon ki thandak
ata farma aur humen perhezgaron ka paishwa bana.
25.75
Yehi woh log hain jinhen unn kay sabar kay badlay
jannat kay buland-o-bala khaney diye jayen gay jahan unhen
dua salam phonchaya jayega. 25.76
Uss mein yeh hamesha rahen gay woh boht hi achi
jagah aur umdah moqam hai. 25.77
Keh dijiye! agar tumhari dua iltija (pukarna)
na hoti to mera rab tumhari mutlaq perwa na kerta tum
to jhutla chukay abb un-qareeb iss ki saza tumhen chimat
janey wali hogi. |
| |
| Surat-Shooaraa
26 |
| (Sura-Shooaraa Makka
mai Nazil hui, is mai doso-sataees (227) Aayatain hain) |
| |
26.01
Tuaa-seen-meem 26.02
Yeh aayaten roshan kitab ki hain.
26.03
Inn kay emaan na laaney per shayad aap to apni
jaan kho den gay. 26.04
Agar hum chahatay to inn per aasman say koi aisi
nishani utartay kay jiss kay samney inn ki gardaney khum
ho jatin. 26.05
Aur inn kay pass rehman ki taraf say jo bhi naee
naseehat aaee yeh uss say roo-gardani kerney walay bann
gaye. 26.06
Inn logon ney jhutlaya hai abb inn kay pass
jaldi say iss ki khabren aajyen gi jiss kay sath woh maskhara
pann ker rahey hain. 26.07
Kiya enhon ney zamin per nazaren nahi daalen?
Kay hum ney iss mein her tarah kay nafees joray kiss qadar
ugaye hain? 26.08
Be-shak iss mein yaqeenan nishani hai aur inn
mein kay aksar log momin nahi hain. 26.09
Aur tera rab yaqeenan wohi ghalib aur meharbaan
hai. 26.10
Aur jabb aap kay rab ney musa (alh-e-salam) ko
aawaz di kay tu zalim qom kay pass jaa.
26.11
Qom-e-firaon kay pass kiya woh perhezgari na
keren gay. 26.12
Musa (alh-e-salam) ney kaha meray perwerdigar!
Mujhay to khof hai kay kahin woh mujhay jhutla (na) den.
26.13
Aur mera seena tang horaha hai meri zaban chal
nahi rahi pus tu haroon ki taraf bhi (wahee) bhej.
26.14
Aur unn ka meray aik qasoor ka (dawa) bhi hai
mujhay darr hai kay kahin woh mujhay maar na dalen.
26.15
Janab-e-baari ney farmaya! Hergiz aisa na hoga
tum dono humari nishaniyan ley ker jao hum khud sunnay
walay tumharay sath hain. 26.16
Tum dono firaon kay pass ja ker kaho kay bila
shuba hum rab-ul-aalamaeen kay bhejay huye hain.
26.17
Kay tu humaray sath bani israeel ko rawana ker
dey. 26.18
Fairaon ney kaha kiya hum ney tujhay teray bachpan
kay zamaney mein apnay haan nahi pala tha? Aur tu ney
apni umar kay boht say saal hum mein nahi guzaray?
26.19
Phir tu apna woh kaam ker gaya jo ker gaya aur
tu na shukro mein hai. 26.20
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay
mein ney uss kaam ko uss waqt kiya tha jabkay mein raah
bhoolay huye logon mein say tha.
26.21
Phir tum say khof kha ker mein tum mein say bhaag
gaya phir mujhay meray rab ney hukum-o-ilm ata farmaya
aur mujhay apnay payghumbaron mein say ker diya.
26.22
Mujh per tera kiya yehi woh ehsan hai? Jissay
tu jata raha hai kay tu ney bani israeel ko ghulam bana
rakha hai. 26.23
Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya cheez hai?
26.24
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh aasamano
aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab
hai agar tum yaqeen rakhney walay ho. 26.25
Firaon ney apney ird-gird walon say kaha kay
kiya tum sunn nahi rahey? 26.26
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh tumhara
aur tumharay aglay baap dadon ka perwerdigar hai.
26.27
Firaon ney kaha (logo!) tumhara yeh rasool jo
tumhari taraf bheja gaya hai yeh to yaqeenan deewana hai.
26.28
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya! Wohi
mashriq-o-maghrib ka aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon
ka rab hai agar tum aqal rakhtay ho. 26.29
Firaon kehney laga sunn ley! Agar tu ney meray
siwa kissi aur ko mabood banaya tu mein tujhay qaidiyon
mein daal doon ga. 26.30
Musa (alh-e-salam) ney kaha agar cheh mein teray
pass koi khulli cheez ley aaon?
26.31
Firaon ney kaha agar tum sachon mein say hai
to issay paish ker. 26.32
Aap ney (ussi waqt) apni laathi daal di jo achanak
khullam khulla (zabardast) azdaha bann gaee.
26.33
Aur apna hath khench nikala to woh bhi ussi waqt
her dekhney walay ko safaid chamkeela nazar aaney laga.
26.34
Firaon apnay aas pass kay sardaron say kehney
laga bhaee yeh to koi bara dana jadoogar hai.
26.35
Yeh to chahata hai kay apnay jadoo kay zor say
tumhen tumhari sirzameen say nikal dey batao abb tum kiya
hukum detay ho. 26.36
Unn sab ney kaha aap issay aur iss kay bhai ko
mohlat dijiye aur tamam shehron mein harkaaray bhej dijiye.
26.37
Jo aap kay pass zee ilm jadoogaron ko ley aayen.
26.38
Phir aik muqarrara din kay waday per tamam jadoogar
jama kiye gaye. 26.39
Aur aam logon say bhi keh diya gaya kay tum bhi
majmay mein hazir hojao gay? 26.40
Takay agar jadoogar ghalib aajayen to hum unhi
ki pairwee keren.
26.41
Jadoogar agar firaon say kehney lagay kay agar
hum jeet gaye to humen kuch inam bhi milay ga?
26.42
Firaon ney kaha haan! (bari khushi say) bulkay
aisi soorat mein tum meray khas darbari bann jao gay.
26.43
(hazrat) musa (alh-e-salam) ney jadoogaron say
farmaya jo kuch tumhen dalna hai daal do.
26.44
Unhon ney apni rassiyan aur laathiyan daal den
aur kehney lagay izzat firaon ki qasam! Hum yaqeenan ghalib
hi rahen gay. 26.45
Abb (hazrat) musa (alh-e-salam) ney bhi apni
laathi maidan mein daal di jiss ney ussi waqt unn kay
jhoot moot kay kartab ko nigalna shuroo ker diya.
26.46
Yeh dekhtay hi jadoogar bay ikhtiyar sajday mein
gir gaye. 26.47
Aur unhon ney saaf keh diya kay hum to Allah
rab-ul-aalameen per emaan laye. 26.48
Yani musa (alh-e-salam) aur haroon kay rab per.
26.49
Firaon ney kaha kay meri ijazat say pehlay tum
iss per emaan ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara
(sardar) hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai so
tumhen abhi abhi maloom ho jaye ga qasam hai mein abhi
tumharay haath paon ultay tor per kaat doon ga aur tum
sab ko sooli per latka doon ga. 26.50
Unhon ney kaha koi haraj nahi hum to apnay rab
ki taraf lotney walay hain hi.
26.51
Iss bina per kay hum sab say pehlay emaan walay
banay hain humen umeed parti hai kay humara rab humari
sab khatayen moaaf farma dey ga. 26.52
Aur hum ney musa ko wahee ki kay raaton raat
meray bandon ko nikal ley chal tum sab peecha kiye jao
gay. 26.53
Firaon ney shehron mein harkaaron ko bhej diya.
26.54
Kay yaqeenan yeh giroh boht hi kum tadaad mein
hai. 26.55
Aur iss per yeh humen sakht gazab-naak ker rahey
hain. 26.56
Aur yaqeenan hum bari jamaat hain inn say chokanna
rehnay walay. 26.57
Bil-aakhir hum ney enhen baghaat say aur chashmon
say. 26.58
Aur khazano say. Aur achay achay muqamaat say
nikal bahir kiya. 26.59
Issi tarah hua aur hum ney unn (tamam) cheezon
ka waris bani israeel ko bana diya. 26.60
Pus fiaroni sooraj nikaltay hi unn kay taaqqub
mein niklay.
26.61
Pus jab dono ney aik doosray ko dekh liya to
musa kay saathiyon ney kaha hum to yaqeenan pakar liye
gaye. 26.62
Musa ney kaha hergiz nahi. Yaqeen mano mera rab
meray sath hai jo zaroor mujhay raah dikhaye ga.
26.63
Hum ney musa ki taraf wahee bheji kay darya per
apni laathi maar pus ussi waqt darya phat gaya aur her
aik hissa paani ka misil baray pahar kay hogaya.
26.64
Aur hum ney ussi jagah doosron ko nazdeek laa
khara ker diya. 26.65
Aur musa (alh-e-salam) ko aur uss kay tamam saathiyon
ko nijat dey di. 26.66
Phir aur sab doosron ko dobo diya.
26.67
Yaqeenan iss mein bari ibrat hai aur inn mein
kay aksar log emaan walay nahi. 26.68
Aur be-shak aap ka rab bara hi ghalib aur meharbaan
hai. 26.69
Enhen ibrahim (alh-e-salam) ka waqiya bhi suna
do. 26.70
Jabkay unhon ney apnay baap aur pani qom say
farmaya kay tum kiss ki ibadat kertay ho?
26.71
Unhon ney jawab diya kay ibadat kertay hain buton
ki hum to barbar inn kay mujawar bann bethay hain.
26.72
Aap ney farmaya jab tum enhen pukartay ho to
kiya woh suntay bhi hain? 26.73
Ya tumhen nafa nuksan bhi phoncha saktay hain.
26.74
Unhon ney kaha yeh (hum kuch nahi jantay) hum
ney to apnay baap dadon ko issi tarah kertay paya.
26.75
Aap ney farmaya kuch khabar bhi hai jinhen tum
pooj rahey ho? 26.76
Tum aur tumharay aglay baap dada woh sab meray
dushman hain. 26.77
Ba-juz sachay Allah Taalaa kay jo tamam jahaan
ka palanhaar hai. 26.78
Jiss ney mujhay peda kiya hai aur wohi meri rehbari
farmata hai. 26.79
Wohi hai jo mujhay khilata pilata hai.
26.80
Aur jab mein beemar par jaon to mujhay shifa
ata farmata hai.
26.81
Aur wohi mujhay maar dalay ga phir zinda ker
dey ga. 26.82
Aur jiss say umeed bandhi hui hai kay woh roz-e-jaza
mein meray gunahon ko bakhsh dey ga. 26.83
Aey meray rab! Mujhay qooat-e-faisla ata farma
aur mujhay nek logon mein mila dey. 26.84
Aur mera ziker-e-khair pichlay logon mein bhi
baqi rakh. 26.85
Mujhay nematon wali jannat kay warison mein say
bana dey. 26.86
Aur meray baap ko bakhsh dey yaqeenan woh gumrahon
mein say tha. 26.87
Aur jiss sin kay log doobara jilaye jayen mujhay
ruswa na ker. 26.88
Jiss din kay maal aur aulad kuch kaam na aaye
gi. 26.89
Lekin faeeday wala wohi hoga jo Allah Taalaa
kay samney bay aib dil ley ker jaye. 26.90
Aur perhezgaron kay liye jannat bilkul nazdeek
laa di jaye gi.
26.91
Aur gumrah logon kay liye jahannum zahir ker
di jaye gi. 26.92
Aur unn say poocha jayega kay jin ki tum pooja
kertay rahey woh kahan hain? 26.93
Jo Allah Taalaa kay siwa thay kiya woh tumhari
madad kertay hain? Ya koi badla ley saktay hain.
26.94
Pus woh sab aur kul gumrah log jahannum mein
ondhay mun daal diye jayen gay. 26.95
Aur iblees kay tamam kay tamam lashkar bhi wahan.
26.96
Aapas mein lartay jhagartay huye kahen gay.
26.97
Kay qasam Allah ki! Yaqeenan hum to khulli ghalati
per thay. 26.98
Jabkay tumhen rab-ul-aalameen kay barabar samajh
bethay thay. 26.99
Aur humen to siwa inn badkaaron kay kissi aur
ney gumrah nahi kiya tha. 26.100
Abb to humara koi sifarshi bhi nahi.
26.101
Aur na koi (sacha) ghum khuwar dost.
26.102
Agar kaash kay humen aik martaba phir jana milta
to hum pakkay sachay momin bann jatay. 26.103
Yeh majra yaqeena aik bari zabardast nishani
hai inn mein say aksar log emaan laney walay nahi.
26.104
Yaqeenan aap ka perwerdigar hi ghalib meharbaan
hai. 26.105
Qom-e-nooh ney bhi nabiyon ko jhutlaya.
26.106
Jabkay unn kay bhai nooh (alh-e-salam) ney kaha
kay kiya tumhen Allah ka khof nahi!. 26.107
Suno! Mein tumhari taraf Allah ka amanat daar
rasool hun. 26.108
Pus tumhen Allah say darna chahaye aur meri baat
manni chahaye. 26.109
Mein tum say iss per koi ajar nahi chahata mera
badla to sirf rab-ul-aalameen kay haan hai.
26.110
Pus tum Allah ka khof rakho aur meri farmanbardari
kero.
26.111
Qom ney jawab diya kay kiya hum tujh per emaan
layen! Teri tabey daari to razeel logon ney ki hai.
26.112
Aap ney farmaya! Mujhay kiya khabar kay woh pehlay
kiya kertay rahey? 26.113
Unn ka hisab to meray rab kay zimmay hai agar
tumhen shaoor ho to. 26.114
Mein emaan walon ko dhakkay denay wala nahi.
26.115
Mein to saaf tor per dara denay wala hun.
26.116
Unhon ney kaha aey nooh! Agar tu baaz na aaya
to yaqeenan tujhay sangsaar ker diya jaye ga.
26.117
Aap ney kaha aey meray perwerdigar! Meri qom
ney mujhay jhutla diya. 26.118
Pus tu mujh mein aur inn mein koi qataee faisla
ker dey aur mujha aur meray ba-emaan saathiyon ko nijat
dey. 26.119
Chunacha hum ney ussay aur uss kay saathiyon
ko bhari hui kashti mein (sawar kera ker) nijat dey di.
26.120
Bad-e-azan baqi kay tamam logon ko hum ney dobo
diya.
26.121
Yaqeenan iss mein boht bari ibrat hai. Unn mein
say aksar log emaan laney walay thay bhi nahi.
26.122
Aur be-shak aap ka perwerdigar albatta wohi hai
zabardast reham kerney wala. 26.123
Aadiyon ney bhi rasoolon ko jhutlaya.
26.124
Jabkay unn say unn kay bhai hood ney kaha kay
kiya tum dartay nahi? 26.125
Mein tumhara amanatdaar payghumbar hun.
26.126
Pus Allah say daro aur mera kaha mano!
26.127
Mein iss per tum say koi ujrat talab nahi kerta
mera sawab to tamam jahaan kay perwerdigar kay pass hi
hai. 26.128
Kiya tum aik aik teelay per bator khel tamasha
yaadgar (emaarat) bana rahey ho. 26.129
Aur bari san’at walay (mazboot mehal tameer)
ker rahey ho goya kay tum hamesha yahin raho gay.
26.130
Aur jab kissi per hath daaltay ho to sakhti aur
zulm say pakartay ho.
26.131
Allah say daro aur meri pairwee kero.
26.132
Uss say daro jiss ney unn cheezon say tumhari
imdad ki jinhen tum jantay ho. 26.133
Uss ney tumahri madad ki maal say aur aulad say.
26.134
Baghaat say aur chashmon say. 26.135
Mujhay to tumhari nisbat baray din kay azab ka
andesha hai. 26.136
Unhon ney kaha kay aap waaz kehn ya waaz kehney
walon mein na hon hum per yaksan hai. 26.137
Yeh to bus puraney logon ki aadat hai.
26.138
Aur hum hergiz azab nahi diye jayen gay.
26.139
Chunkay aadiyon ney hazrat hood ko jhutlaya iss
liye hum ney unhen tabah ker diya yaqeenan iss mein nishani
hai aur inn mein say aksar bey emaan thay.
26.140
Be-shak aap ka rab wohi hai ghalib meharbaan.
26.141
Samoodiyon ney bhi payghumbaron ko jhutlaya.
26.142
Unn kay bhai saleh ney unn say farmaya kay kiya
tum Allah say nahi dartay? 26.143
Mein tumhari taraf Allah ka amanatdaar payghumbar
hun. 26.144
To tum Allah say daro aur mera kaha mano.
26.145
Mein iss per tum say koi ujrat nahi mangta meri
ujrat to bus perwerdigar-e-aalam per hi hai.
26.146
Kiya inn cheezon mein jo yahan hain tum aman
kay sath chor diye jao gay. 26.147
Yaani inn baghon aur inn chashmon.
26.148
Aur inn kheton aur inn khajooron kay baghon mein
jin kay shagoofay naram-o-nazuk hain. 26.149
Aur tum paharon ko taraash taraash ker pur takalluf
makannat bana rahey ho. 26.150
Pus Allah say daro aur meri ita’at kero.
26.151
Bey baak hadd say guzar janey walon ki ita’at
say baaz aajao. 26.152
Jo mulk mein fasad phela rahey hain aur islah
nahi kertay. 26.153
Woh bolay kay bus tu unn mein say hai jin per
jadoo ker diya gaya hai. 26.154
Tu to hum jaisa insan hai. Agar tu sachon say
hai to koi moajza ley aa. 26.155
Aap ney farmaya yeh hai oontni pani peenay ki
aik bari iss ki aur aik muqarrar din ki bari pani peenay
ki tumhari. 26.156
(khabardar!) issay buraee say hath na lagana
werna aik baray bhari din ka azab tumhari girift ker ley
ga. 26.157
Phir bhi enhon ney uss ki koonchen kaat daalen bus woh
pasheymaan hogaye. 26.158
Aur azab ney unhen aa dabocha. Be-shak iss mein
ibrat hai. Aur inn mein say aksar log momin na thay.
26.159
Aur be-shak aap ka rab bara zabardast aur meharbaan
hai. 26.160
Qom-e-loot ney bhi nabiyon ko jhutlaya.
26.161
Unn say unn kay bhai loot (alh-e-salam) ney kaha
kiya tum Allah ka khof nahi rakhtay? 26.162
Mein tumhari taraf amanatdaar rasool hun.
26.163
Pus tum Allah Taalaa say daro aur meri ita’at
kero. 26.164
Mein tum say iss per koi badla nahi maangta mera
ajar to sirf Allah Taalaa per hai jo tamam jahaan ka rab
hai. 26.165
Kiya tamam jahaan walon mein say mardon kay sath
shehwat raani kertay ho. 26.166
Aur tumahri jin aurton ko Allah Taalaa ney tumhara
jora banaya hai unn ko chor detay ho bulkay tum ho hi
hadd say guzar janey walay. 26.167
Unhon ney jawab diya kay aey loot! Agar tu baaz
na aaya to yaqeenan nikal diya jayega. 26.168
Aap ney farmaya mein tumharay kaam say sakht
na khush hun. 26.169
Meray perwerdigar! Mujhay aur meray gharaney
ko iss (wabal) say bacha ley jo yeh kertay hain.
26.170
Pus hum ney ussay aur uss kay mutalaqqeen ko
sab ko bacha liya.
26.171
Ba-juz aik burhiya kay kay woh peechay reh jaaney
walon mein ho gaee. 26.172
Phir hum ney baqi aur sab ko halak ker diya.
26.173
Aur hum ney unn per aik khas qisam ka meenh barsaya
pus boht hi bura meenh tha jo daraye gaye logon per barsa.
26.174
Yeh majra bhi sirasir ibrat hai. Inn mein say
bhi aksat musalman na thay. 26.175
Be-shak tera perwerdigar wohi hai ghalbay wala
meharbaani wala. 26.176
Aeeka walon ney bhi rasoolon ko jhutlaya.
26.177
Jabkay inn say shoaib (alh-e-salam) ney kaha
kay kiya tumhen darr khof nahi? 26.178
Mein tumhari tarah amanatdaar rasool hun.
26.179
Allah ka khof khao aur meri farmanbardari kero.
26.180
Mein iss per tum say koi ujrat nahi chahata mera
ajar tamam jahaano kay paalney walay kay pass hai.
26.181
Naap poora bhara kero kum denay walon mein shamooliyat
na kero. 26.182
Aur seedhi sahih tarazoo say tola kero.
26.183
Logon ko unn ki cheezen kami say na do bey baki
kay sath zamin mein fasad machatay na phiro.
26.184
Uss Allah ka khof rakho jiss ney khud tumhen
aur agli makhlooq ko peda kiya hai. 26.185
Unhon ney kaha tu to unn mein say hai jin per
jadoo ker diya jata hai. 26.186
Aur tu to hum hi jaisa aik insan hai aur hum
to tujhay jhoot bolney walon mein say hi samajhtay hain.
26.187
Agar tum sachay logon mein say hai to hum per
aasaman kay tukray gira dey. 26.188
Kaha kay mera rab khoob jannay wala hai jo kuch
tum ker rahey ho. 26.189
Chunkay unhon nay issay jhutlaya to unhen saaibaan
walay din kay azab ney pakar liya. Woh baray bhari din
ka azab tha. 26.190
Yaqeena iss mein bari nishani hai aur inn mein
kay aksar musalman na thay.
26.191
Aur yaqeenan tera perwerdigar albatta wohi hai
ghalbay wala merharbani wala. 26.192
Aur be-shak-o-shuba yeh (quran) rab-ul-aalameen
ka nazil farmaya hua hai. 26.193
Issay amanatdaar farishta ley ker aaya hai.
26.194
Aap kay dil per utra hai kay aap aagah ker denay
walon mein say ho jayen. 26.195
Saaf arabi zaban mein. 26.196
Aglay nabiyon ki kitabon mein bhi iss quran ka
tazkarah hai. 26.197
Kiya enhen yeh nishani kafi nahi kay haqqaniyat
quran ko to bani-israeel kay ulamaa bhi jantay hain.
26.198
Aur agar hum issay kissi ajami shaks per nazil
farmatay. 26.199
Pus woh inn kay samney iss ki tilawat kerta to
yeh issay bawar kerney walay na hotay. 26.200
Issi tarah hum ney gunehgaron kay dilon mein
iss inkar ko dakhil ker diya hai.
26.201
Woh jab tak dard-naal azabon ko mulahiza na kerlen
emaan na layen gay. 26.202
Pus woh azab unn ko na gahan aajaye ga unhen
iss ka shaoor bhi na hoga. 26.203
Uss waqt kahen gay kiya humen kuch mohlat di
jayegi? 26.204
Pus kiya yeh humaray azab ki jaldi macha rahey
hain? 26.205
Acha yeh bhi batao kay agar hum ney enhen kaee
saal bhi faeeda uthaney diya. 26.206
Phir enhen woh azab aa laga jin say yeh dhamkaye
jatay thay. 26.207
To jo kuch bhi yeh barattay rahey iss mein say
kuch bhi faeeda na phoncha sakay ga. 26.208
Hum ney kissi basti ko halak nahi kiya hai magar
issi haal mein kay uss kay liye daraney walay thay.
26.209
Naseehat kay tor per aur hum zulm kerney walay
nahi hain. 26.210
Iss quran ko shetan nahi laye.
26.211
Aur na woh iss qabil hain na unhen iss ki taqat
hai. 26.212
Bulkay woh to sunnay say bhi mehroon ker diye
gaye hain. 26.213
Pus tu Allah kay sath kissi aur mabood ko na
pukar kay tu bhi saza paney walon mein say ho jaye.
26.214
Apnay qareebi rishtay walon ko dara dey.
26.215
Uss kay sath farotni say paisa aa jo bhi emaan
laaney wala ho ker teri tabey daari keray.
26.216
Agar yeh log teri na farmani keren to tu elaan
ker dey kay mein inn kamon say beyzaar hun jo tum ker
rahey ho. 26.217
Apna poora bharosa ghalib meharbaan Allah per
rakh. 26.218
Jo tujhay dekhta rehta hai jabkay tu khara hota
hai. 26.219
Aur sajda kerney walon kay darmiyan tera ghoomna
phirna bhi.
26.220
Woh bara hi sunnay wala aur khoob jannay wala
hai. 26.221
Kiya mein tumhen bataon kay shetan kiss per utartay
hain. 26.222
Woh her aik jhootay gunehgaar per utartay hain.
26.223
(uchat’ti) hui suni sunaee phoncha detay
hain aur inn mein say aksar jhootay hain.
26.224
Shaeeron ki pairwee woh kertay hain jo behkay
huye hon. 26.225
Kiya aap ney nahi dekha kay shaeer aik aik bayabaan
mein sir takratay phirtay hain. 26.226
Aur woh kehtay hain jo kertay nahi.
26.227
Siwaye unn kay jo emaan laye aur nek amal kiye
aur ba-kasrat Allah Taalaa ka ziker kiya aur apni mazloomi
kay baad intiqam liya jinhon ney zulm kiya hai woh bhi
abhi jaan len gay kay kiss kerwat ulat’tay hain. |
| |
| Surat-Namal
27 |
| (Sura-Namal Makka mai
Nazil hui, is mai teranway (93) Aayatain hain) |
| |
27.01
Tua-Seen yeh aayaten hain quran ki (yani wazeh)
aur roshan kitab ki. 27.02
Hidayat aur khushkhabri emaan walon kay liye.
27.03
Jo namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay
hain aur aakhirat per yaqeen rakhtay hain.
27.04 Jo
log qayamat per emaan nahi latay hum ney unhen unn kay
kartoot zeenat daar ker dikhaye hain pus woh bhataktay
phirtay hain. 27.05
Yehi log hain jin kay liye bura azab hai aur
aakhirat mein bhi woh sakht nuksan yaafta hain.
27.06
Be-shak aap ko Allah hakeem-o-aleem ki taraf
say quran sikhaya ja raha hai. 27.07
(yaad hoga) jab musa (alh-e-salam) ney apnay
ghar walon say kaha mein ney aag dekhi hai mein wahan
say ya to koi khabar ley ker ya aag ka koi sulagta hua
angara ley ker abhi tumharay pass aajaonga takay tum seenk
taap kerlo. 27.08
Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay ba-barkat
hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai woh
jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano
ka palney wala hai. 27.09
Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hi Allah hun
ghalib ba-hikmat. 27.10
Tu apni laathi daal dey musa ney jab ussay hilta
julta dekha iss tarah kay goya woh aik saanp hai to mun
moray huye peeth pher ker bhagay aur palat ker bhi na
dekha aey musa! Khof na kha meray huzoor mein payghumber
dara nahi kertay.
27.11 Lekin
jo log zulm keren phir uss kay ewaz neki keren uss buraee
kay peechay to mein bhi bakshney wala meharbaan hun.
27.12
Aur apna hath apney girbaan mein daal woh safaid
chamkeela hoker niklay ga baghair kissi aib kay tu no
nishaniyan ley ker firaon aur uss ki qom ki taraf jaa
yaqeenan woh bad-kaaron ka giroh hai. 27.13
Pus jab unn kay pass aankhen khol denay walay
humaray moajzzay phonchay to woh kehney lagay yeh to sareeh
jadoo hai. 27.14
Unhon ney inkar ker diya halankay unn kay dil
yaqeen ker chukay thay sirf zulm aur takabbur ki bina
per. Pus dekh lijiye kay inn fitna perdaaz logon ka anjam
kaisa kuch hua. 27.15
Aur hum ney yaqeenan dawood aur suleman ko ilm
dey rakha thaaur dono ney kaha tareef uss Allah kay liye
hai jiss ney humen apnay boht say emaan daar bandon per
fazeelat ata farmaee hai. 27.16
Aur dawood kay waris suleman huye aur kehney
lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur
hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul
khula hua fazal-e-elahee hai. 27.17
Suleman kay samney unn kay tamam lashkar jinnaat
aur insan aur perind mein say jama kiye gaye (her her
qisam ki) alag alag darja bandi kerdi gaee.
27.18 Jab
woh chewuntiyon kay maidan mein phonchay to aik chewunti
ney kaha aey chewuntiyon! Apnay apnay gharon mein ghus
jao aisa na ho kay bey khabri mein suleman aur uss ka
lashkar tumhen rond dalay. 27.19
Uss ki iss baat per suleman muskura ker hans
diye aur dua kerney lagay kay aey perwerdigaar! Tu mujhay
tofiq dey kay mein teri inn nematon ka shukar baja laaon
jo tu ney mujh per inam ki hain aur meray maa baap per
aur mein aisay nek amal kerta rahon jin say tu khush rahey
mujhay apni rehmat say nek bandon mein shamil kerlay.
27.20
Aap ney paerindon ka jaeeza liya aur farmaney
lagay yeh kiya baat hai kay mein hud hud ko nahi dekhta?
Kiya waqaee woh ghair hazir hai?
27.21 Yaqeenan
mein ussay sakht saza doon ga ya ussay zibah ker daloon
ga ya meray samney koi sareeh daleel biyan keray.
27.22
Kuch ziyada dare na guzri thi kay aaker uss ney
kaha mein aik aisi cheez ki khabar laya hun kay tujhay
uss ki khabar hi nahi mein saba ki aik sachi khabar teray
pass laya hun. 27.23
Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik aurat
ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch
diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai.
27.24
Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah Taalaa
ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney
unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah
say rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay.
27.25
Kay ussi Allah kay liye sajday keren jo aasmano
aur zaminon ki posheeda cheezon ko bahir nikalata hai
aur jo kuch tum chupatay ho aur zahir kertay ho woh sab
kuch janta hai. 27.26
Uss kay siwa koi mabood bar-haq nahi wohi azmat
walay arsh ka malik hai. 27.27
Suleman ney kaha abb hum dekhen gay kay tu ney
sach kaha hai ya tu jhoota hai. 27.28
Meray iss khat ko ley ja ker unhen dey dey phir
unn kay pass say hut aa aur dekh kay woh kiya jawab detay
hain. 27.29
Woh kehney lagi aey sardaro! Meri taraf aik ba-wuqa’at
khat daala gaya hai. 27.30
Jo suleman ki taraf say hai aur jo bakhsish kerney
walay meharbaan Allah kay naam say shuroo hai.
27.31 Yeh
kay tum meray samney sirkashi na kero aur musalman bann
ker meray pass aajao. 27.32
Uss ney kaha aey meray sardaro! Tum meray iss
moamlay mein mujhay mashwara do. Mein kissi amar ka qataee
faisla jab tak tumhari mojoodgi aur raye na ho nahi kiya
kerti. 27.33
Inn sab ney jawab diya kay hum taqat aur qooat
walay sakht bhirney walay hain. Aagay aap ko ikhtiyar
hai aap khud hi soch lijiye kay humen aap kiya kuch hukum
farmati hain. 27.34
Uss ney kaha badshah jab kissi basti mein ghustay
hain to ussay ujaar detay hain aur wahan kay ba-izzat
logon ko zaleel ker detay hain. Aur yeh log bhi aisa hi
keren gay. 27.35
Mein unhen aik hadiya bhejney wali hun phir dekh
loon gi kay qasid kiya jawab ley ker lot’tay hain.
27.36
Pus jab qasid hazrat suleman kay pass phoncha
to aap ney farmaya kiya tum maal say mujhay madad lena
chahatay ho? Mujhay to meray rab ney iss say boht behtar
dey rakha hai jo uss ney tumhen diya hai pus tum hi apnay
tohfay say khush raho. 27.37
Jaa unn ki taraf wapis lot jaa hum unn (kay muqablay)
per woh lashkar layen gay jin kay samney parney ki unn
mein taqat nahi aur hum unhen zaleel-o-pust ker kay wahan
say nikal bahir keren gay. 27.38
Aap ney farmaya aey sardaro! Tum mein koi hai
jo unn kay musalman ho ker phonchney say pehlay hi uss
ka takht mujhay laa dey. 27.39
Aik qavi hekal jinn kehney laga aap apni majlis
say uthen uss say pehlay mein ussay aap kay pass laa deta
hun yaqeen maniye kay mein iss per qadir hun aur hun bhi
amanat daar. 27.40
Jiss kay pass kitab ka ilm tha woh bol utha kay
aap palak jhapkayen uss say bhi pehlay mein ussay aap
kay pass phoncha sakta hun. Jab aap ney ussay apnay pass
mojood paya to farmaney lagay yehi meray rab ka fazal
hai takay woh mujhay aazmaye kay mein shukar guzari kerta
hun aur jo na shukri keray to mera perwerdigar (bay perwa
aur buzurg) ghani aur kareem hai.
27.41 Hukum
diya kay iss kay takht mein kuch pher badal kerdo takay
maloom hojaye kay yeh raah paa leti hai ya unn mein say
hoti hai jo raah nahi patay. 27.42
Phir jab woh aagaee to uss say kaha (daryaft
kiya) gaya kay aisa hi tera (bhi) takht hai? Uss ney jawab
diya kay yeh goya wohi hai humen iss say pehlay hi ilm
diya gaya tha aur hum musalman thay. 27.43
Ussay unhon ney rok rakha tha jin ki woh Allah
kay siwa perastish kerti rahi thi yaqeenan woh kafir logon
mein say thi. 27.44
Uss say kaha gaya kay mehal mein chali jao jissay
dekh ker yeh samajh ker kay yeh hoz hai uss ney apni pindliyan
khol din farmay yeh to seeshay say mundhi hui emaarat
hai kehnay lagi aey meray perwerdigar! Mein ney apnay
aap per zulm kiya. Abb mein suleman kay sath Allah rab-ul-aalameen
ki mootiy aur farmanbardaar banti hun. 27.45
Yaqeenan hum ney samood ki taraf unn kay bhai
saleh ko bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero phir bhi
woh do fareeq bann ker aapas mein larney jhagarney lagay.
27.46
Aap ney farmaya aey meri qom kay logo! Tum neki
say pehlay buraee ki jaldi kiyon macha rahey ho? Tum Allah
Taalaa say istaghfaar kiyon nahi kertay takay tum per
reham kiya jaye. 27.47
Woh kehnay lagay hum to teri aur teray sathiyon
ki bad-shagooni ley rahey hain? Aap ney farmaya tumhari
bad-shagooni Allah kay haan hai bulkay tum fitney mein
paray huye log ho. 27.48
Uss shehar mein no sardar thay jo zamin mein
fasad phelatay rehtay thay aur islaah nahi kertay thay.
27.49
Unhon ney aapas mein bari qasmen kha kha ker
ehad kiya kay raat hi ko saleh aur uss kay ghar walon
per hum chapa maaren gay aur uss kay warison say saaf
keh den gay kay hum uss kay ehal ki halakat kay waqt mojood
na thay aur hum bilkul sachay hain. 27.50
Unhon ney makar (khufiya tadbeer) aur hum ney
bhi aur woh issay samajhtay hi na thay.
27.51 (abb)
dekh ley unn kay makar ka anjam kaisa kuch hua? Kay hum
ney unn ko aur unn ki qom ko sab ko ghaarat ker diya.
27.52
Yeh hain unn kay makanaat jo unn kay zulm ki
waja say ujray paray hain jo log ilm rakhtay hain unn
kay liye iss mein bari nishani hai. 27.53
Hum ney unn ko jo emaan laye thay aur perhezgaar
thay baal baal bacha liya. 27.54
Aur loot ka (zikar ker) jabkay uss ney apni qom
say kaha kay kiya bawajood dekhney bhalney kay phir bhi
tum bad-kaari ker rahey ho? 27.55
Yeh kiya baat hai kay tum aurton ko chor ker
mardon kay pass shewat say aatay ho? Haq yeh hai kay tum
bari hi nadani ker rahey ho. 27.56
Qom ka jawab ba-juz iss kehnay kay aur kuch na
tha kay aal-e-loot ko apnay shehar say shahar badar kerdo
yeh to baray pak baaz bann rahey hain. 27.57
Pus hum ney ussay aur uss kay ehal ko ba-juz
uss ki biwi kay sab ko bacha liya uss ka andaza to baqi
reh janey walon mein hum laga hi chukay thay.
27.58 Aur
unn per aik (khas qisam ki) barish barsa di pus unn dhamkaye
huye logon per buri barish hui. 27.59
Tu keh dey kay tamam tareef Allah hi kay liye
hai aur uss kay bar-gazeeda bandon per salam hai. Kiya
Allah Taalaa behtar hai ya woh jinhen yeh log shareek
thera rahey hain. |
|
|