| Parah-Ammann-Khalaq
20 |
| |
|
| |
| |
| |
| Surat-Namal
27 |
| (Sura-Namal Makka mai
Nazil hui, is mai teranway (93) Aayatain hain) |
| |
27.60
Bhala batao to? Kay aasamano ko aur zamin ko
kiss ney peda kiya? Kiss ney aasman say barish barsaee?
Phir uss say haray bharay ba-ronaq baghaat uga diye? Unn
baghon kay darakhton ko tum hergiz na uga saktay kiya
Allah kay sath aur koi mabood bhi hai? Bulkay yeh log
hut jatay hain (seedhi raah say). 27.61
Kiya woh jiss ney zamin ko qarar gaah banaya
aur uss kay darmiyan nehren jari kerdin aur uss kay liye
pahar banaye aur do samandaron kay darmiyan rok bana di
kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai? Bulkay inn
mein say aksar kuch jantay hi nahi. 27.62
Bay kus ki pukar ko jab kay woh pukaray kaun
qabool ker kay sakhti ko door ker deta hai? Aur tumhen
zamin ka khalfa banata hai kiya Allah Taalaa kay sath
koi aur mabood hai? Tum boht kum naseehat-o-ibrat hasil
kertay ho. 27.63
Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon
mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi
khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah
kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay
hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai.
27.64 Kiya
woh jo makhlooq ki awwal dafa pedaeesh kerta hai phir
ussay lotaye ga aur jo tumhen aasman aur zamin say roziyan
dey raha hai kiya Allah kay sath koi aur mabood hai keh
dijiye kay agar sachay hoto apni daleel lao.
27.65 Keh
dijiye kay aasmano walon mein say zamin walon mein say
siwaye Allah kay koi ghaib nahi janta unhen to yeh bhi
nahi maloom kay kab utha kharay kiye jayen gay?
27.66
Bulkay aakhirat kay baray mein unn ka ilm khatam
ho chuka hai bulkay yeh iss ki taraf say shak mein hain.
Bulkay yeh iss say andhay hain. 27.67
Kafiron ney kaha kay kiya jab hum mitti ho jayen
gay aur humaray baap dada bhi kiya hum phir nikalay jayen
gay. 27.68
Hum aur humaray baap dadon ko boht pehlay say
yeh waday diye jatay rahey. Kuch nahi yeh to sirf aglon
kay afsaney hain. 27.69
Keh dijiye kay zamin mein chal phir ker zara
dekho to sahi kay gunehgaron ka kaisa anjam hua?
27.70
Aap inn kay baray mein ghum na keren aur inn
kay dao ghaat say tang dil na hon. 27.71
Kehtay hain kay yeh wada kab hai agar sachay
ho to batla do.
27.72 Jawab
dijiye! kay shayad baaz woh cheezen jin ki tum jaldi macha
rahey ho tum say boht hi qareen hogaee hon.
27.73 Yaqeenan
aap ka perwerdigar tamam logon per baray hi fazal wala
hai lekin aksar log na-shukri kertay hain.
27.74 Be-shak
aap ka rab unn cheezon ko bhi janta hai jinhen unn kay
seenay chupa rahey hain aur jinhen zahir ker rahey hain.
27.75
Aasman-o-zamin ki koi posheeda cheez bhi aisi
nahi jo roshan aur khulli kitab mein na ho.
27.76 Yaqeena
yeh quran bani israeel kay samney unn aksar cheezon ka
biyan ker raha hai jin mein yeh ikhtilaf kertay hain.
27.77
Aur yeh quran emaan walon kay liye yaqeenan hidayat
aur rehmat hai. 27.78
Aap ka rab unn kay darmiyan apnay hukum say sab
faislay ker dey ga woh bara hi ghalib aur dana hai.
27.79
Pus aap yaqeenan Allah hi per bharosa rakhiye
yaqeenan aap sachay aur khullay deen per hain.
27.80 Be-shak
aap murdon ko nahi suna saktay hain aur na behron ko apni
pukar suna saktay hain jabkay woh peeth pheray roo gardaan
ja rahey hon. 27.81
Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hata
ker rehnumaee ker saktay hain aap to sirf unhen suna saktay
hain jo humari aayaton per emaan laye hain phir woh farmanbardaar
ho jatay hain. 27.82
Jab unn kay upper azab ka wada sabit hojaye ga
hum zamin say unn kay liye aik janwar nikalen gay jo unn
say batein kerta hoga kay log humari aayaton per yaqeen
nahi kertay thay.
27.83 Aur
jiss din her ummat mein say unn logon kay giroh ko jo
humari aayaton ko jhutlatay thay gher ghaar ker layen
gay phir woh sab kay sab alaga ker diye jayen gay.
27.84
Jab sab kay sab aa phonchen gay to Allah Taalaa
farmaye ga kay tum ney meri aayaton ko bawajood yeh kay
tumhen unn ka poora ilm na tha kiyon jhutlaya? Aur yeh
bhi batlao kay tum kiya kuch kertay rahey?
27.85 Ba-sabab
iss kay kay unhon ney zulm kiya tha unn per baat jum jayegi
aur woh kuch na bol saken gay. 27.86
Kiya woh dekh nahi rahey hain kay hum ney raat
ko iss liye banaya hai kay woh iss mein aaram hasil kerlen
aur din ko hum ney dikhlaney wala banaya hai yaqeenan
iss mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo emaan-o-yaqeen
rakhtay hain. 27.87
Jiss din soor phooka jayega tum sab kay sab aasmanon
walay aur zmain walay ghabra uthen gay magar jissay Allah
Taalaa chahaye aur saray kay saray aajiz-o-pust ho ker
uss kay samney hazir hongay. 27.88
Aur aap paharon ko dekh ker apni jagah jamay
huye khayal kertay hain lekin woh bhi badal ki tarah urtay
phiren gay yeh hai san’at Allah ki jiss ney her
cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum kertay ho uss
say woh ba-khabar hai. 27.89
Jo log nek amal layen gay unhen uss say behtar
badla milay ga aur woh uss din ki ghabrahat say bey khof
hongay. 27.90
Aur jo buraee ley ker aayen gay woh ondhay mun
aag mein jhonk diye jayen gay. Sirf wohi badla diye jao
gay jo tum kertay rahey. 27.91
Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein
iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss
ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her
cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein
farmanbardaron mein say ho jaon. 27.92
Aur mein quran ki tilawat kerta rahon jo raah-e-raast
per aajaye woh apnay nafay kay liye raah-e-raast per aayega.
Aur jo behak jaye to keh dijiye! kay mein to sirf hoshiyaar
kerney walon mein say hun. 27.93
Keh dijiye! kay tamam tareefen Allah hi ko saza
waar hain woh un-qareeb apni nishaniyan dikhaye ga jinhen
tum (khud) pehchan lo gay aur jo kuch tum kertay ho uss
say aap ka rab ghafil nahi. |
| |
| Surat-Qasass
28 |
| (Sura-Qasass Makka mai
Nazil hui, is mai atthasi (88) Aayatain hain) |
| |
28.01
Tuaa-Seen-Meem 28.02
Yeh aayaten hain roshan kitab ki.
28.03 Hum
aap kay samney musa aur firaon ka sahih waqiya biyan kertay
hain unn logon kay liye jo emaan rakhtay hain.
28.04 Yaqeenan
firaon ney zamin mein sirkashi ker rakhi thi aur wahan
kay logon ko giroh giroh bana rakha tha aur unn mein say
aik firqay ko kamzor ker rakha tha aur unn kay larkon
ko to zibah ker dalta tha aur unn ki larkiyon ko zinda
chor deta tha. Be-shak-o-shuba woh tha hi mufisdon mein
say. 28.05
Phir humari chahat hui kay hum unn per karam
farmayen jinhen zamin mein bey hadd kamzor ker diya gaya
tha aur hum unhin ko paishwa aur (zamin) ka waris banayen.
28.06
Aur yeh bhi kay hum unhen zamin mein qudrat-o-ikhtiyar
den aur firaon aur haamaan aur unn kay lashkeron ko woh
dikhayen jiss say woh darr rahey hain. 28.07
Hum ney musa (alh-e-salam) ki maa ko wahee ki
kay issay doodh pilati reh aur jab tujhay iss ki nisbat
koi khof maloom hoto issay darya mein baha dena aur koi
darr khof ya ranj ghum na kerna hum yaqeenan issay tumhari
taraf lotaney walay hain aur issay apnay payghumbaron
mein bananey walay hain. 28.08
Aakhir firaon kay logon ney iss bachay ko utha
liya kay aakhir kaar yehi bacha inn ka dushman hua aur
inn kay ranj ka baees bana kuch shak nahi kay firaon aur
haamaan aur unn kay lashkar thay hi khata kaar.
28.09
Aur firaon ki biwi ney kaha kay yeh to teri aur
meri aankhon ki thandak hai issay qatal na kero boht mumkin
hai kay yeh humen koi faeeda phonchaye ya hum issay apna
hi beta bana len aur yeh log shaoor hi na rakhtay thay.
28.10
Musa (alh-e-salam) ki walida ka dil bey qarar
hogaya qareeb thin kay iss waqiyey ko zahir ker detin
agar hum unn kay dil ko dharas na dey detay yeh iss liey
kay woh yaqeen kerney walon mein rahey.
28.11 Musa
(alh-e-salam) ki walida ney uss ki behan say kaha kay
tu iss kay peechay peechay ja to woh ussay door hi door
say dekhti rahi aur firaoniyon ko iss ka ilm bhi na hua.
28.12
Unn kay phonchney say pehlay hum ney musa (alh-e-salam)
per daeeiyon ka doodh haram ker diya tha. Yeh kehnay lagi
kay kiya mein tumhen aisa gharana bataon jo iss bachay
ki tumharay liye perwerish keray aur hon bhi woh iss bachay
kay khair khuwa. 28.13
Pus hum ney ussay uss ki maa ki taraf wapis phonchaya
takay uss ki aankhen thandi rahen aur aazardah khatir
na ho aur jaan ley kay Allah Taalaa ka wada sacha hai
lekin aksar log nahi jantay. 28.14
Aur jab musa (alh-e-salam) apni jawani ko phonch
gaye aur pooray tawana hogaye hum ney unhen hikmat-o-ilm
ata farmaya neki kerney walon ko hum issi tarah badla
diya kertay hain. 28.15
Aur musa (alh-e-salam) aik aisay waqt shehar
mein aaye jabkay shehar kay log ghaflat mein thay. Yahan
do shakson ko lartay huyey paya yeh aik to uss kay rafiqon
mein say tha aur yeh doosra uss kay dushmanon mein say
uss ki qom walay ney uss kay khilaf jo uss kay dushmanon
mein say tha uss say faryad ki jiss per musa (alh-e-salam)
ney uss kay mukka mara jiss say woh marr gaya musa (alh-e-salam)
kehnay lagay yeh to shetani kaam hai yaqeenan shetan dushman
aur khullay tor per behkaney wala hai. 28.16
Phir dua kerney lagay aey perwerdigar! Mein ney
khud apnay upper zulm kiya tu mujhay moaf farma dey Allah
Taalaa ney ussay bakhsh diya woh bakhsish aur boht meharbani
kerney wala hai. 28.17
Kehnay lagay aey meray rab! Jesay tu ney mujh
per yeh karam farmaya mein bhi abb hergiz kissi gunehgar
ka madadgar na bano ga. 28.18
Subah hi subah dartay andesha ki halat mein khabren
lenay ko shehar mein gaye kay achanak wohi shaks jiss
ney kal unn say madad talab ki thi unn say faryad ker
raha hai. Musa (alh-e-salam) ney uss say kaha iss mein
shak nahi tu to sareeh bey raah hai. 28.19
Phir jab uss kay aur apnay dushman ko pakarna
chaha woh faryadi kehnay laga kay musa (alh-e-salam) kiya
jissa tarah tu ney kal aik shaks ko qatal kiya hai mujhay
bhi maar dalna chahata hai tu to mulk mein zalim-o-sirkash
hona hi chahata hai aur tera yeh irada hi nahi kay milap
kerney walon mein say ho. 28.20
Shehar kay parlay kinaray say aik shaks dorta
hua aaya aur kehnay laga aey musa! Yahan kay sardar teray
qatal ka mashwara ker rahey hain pus tu boht jald chala
ja mujhay apna khair khuwa maan.
28.21 Pus
musa (alh-e-salam) wahan say khofzada ho ker dekhtay bhaltay
nikal kharay huyey kehnay lagay aey perwerdigar! Mujhay
zlimon kay giroh say bacha ley. 28.22
Aur jab madiyan ki taraf mutawajja huyey to kehnay
lagay mujhay umeed hai kay mera rab mujhay seedhi raah
ley chalay ga. 28.23
Madiyan kay pani per jab aap phonchay to dekha
kay logon ki aik jamat wahan pani pila rahi hai aur do
aurten alag khari apnay (janwaron ko) rokti hui dikhaee
den poocha kay tumhara kiya haal hai woh boleen kay jab
tak yeh charwahey wapis na lot jayen hum pani nahi pilatin
aur humaray walid boht bari umar kay boorhay hain.
28.24
Pus aap ney khud inn janwaron ko pani pila diya
phir saye ki taraf hut aaye aur kehnay lagay aey perwerdigar!
Tu jo kuch bhalaee meri taraf utaray mein uss ka mohtaj
hun. 28.25
Itnay mein dono aurton mein say aik unn ki taraf
sharam-o-haya say chalti hui aaee kehnay lagi kay meray
baap aap ko bula rahey hain takay aap ney humaray (janwaron)
ko jo pani pilaya hai uss ki ujrat den jab hazrat musa
(alh-e-salam) unn kay pass phonchay aur unn say apna sara
haal biyan kiya to woh kehnay lagay abb na darr tu ney
zalim qom say nijat paee. 28.26
Unn dono mein say aik ney kaha abba ji! Aap enhen
mazdoori per rakh lijiyey kiyon kay jinhen aap ujrat per
rakhen unn mein say sab say behtar woh hai jo mazboot
aur amanat daar ho. 28.27
Uss buzrug ney kaha mein apni inn dono larkiyon
mein say aik ko aap kay nikkah mein dena chahata hun iss
(mehar per) kay aap aath saal tak mera kaam kaaj keren.
Haan agar aap dus saal pooray keren to yeh aap ki taraf
say bator ehsan kay hai mein yeh hergiz nahi chahata kay
aap ko kissi mushaqqat mein dalon Allah ko manzoor hai
to aagay chal ker aap mujhay bhala aadmi payen gay.
28.28
Musa (lah-e-salam) ney kaha khair to yeh baat
meray aur aap kay darmiyan pukhta hogaee mein inn dono
muddaton mein say jissay poora keron mujh per koi ziyadti
na ho hum yeh jo kuch ker rahey hain iss per Allah (gawah
aur) kaar saaz hai. 28.29
Jab hazrat musa (alh-e-salam) ney muddat poori
ker liaur apnay ghar walon ko ley ker chalay to koh-e-toor
ki taraf aag dekhi. Apni biwi say kehnay lagay thero!
Mein ney aag dekhi hai boht mumkin hai kay mein wahan
say koi khabar laaon ya aag ka koi angara laon takay tum
seenk lo. 28.30
Pus jab wahan phonchay to uss ba-barkat zamin
kay maidan kay dayen kinaray kay darakht mein say awaz
diyey gaye kay aey musa! Yaqeenan mein hi Allah hun saray
jahano ka perwerdigar.
28.31 Aur
yeh (bhi awaz aaee) kay apni laathi daal dey. Phir jab
ussay dekha kay woh saanp ki tarah phan phana rahi hai
to peeth pher ker wapis hogaye aur murr ker rukh bhi na
kiya hum ney kaha aey musa! Aagay aa darr mat yaqeenan
tu her tarah aman wala hai. 28.32
Apnay hath ko apnay girbaan mein daal woh baghair
kisi qisam kay rog kay chamakta hua niklay ga bilkul safaid
aur khof say (bachney kay liye) apnay bazoo apni taraf
mila ley pus yeh dono moajzzay teray liye teray rab ki
taraf say hain firaon aur uss ki jamat ki taraf yaqeenan
woh sab kay sab bey hukum aur na farman log hain.
28.33
Musa (alh-e-salam) ney kaha perwerdigar! Mein
ney unn ka aik aadmi qatal ker diya tha. Abb mujhay andesha
hai kay woh mujhay bhi qatal ker daalen.
28.34 Aur
mer bhai haroon (alh-e-salam) mujh say boht ziyada faseeh
zaban wala hai tu ussay bhi mera madadgar bana ker meray
sath bhej kay woh mujhay sacha manay mujhay to khof hai
kay woh sab mujhay jhutla den gay. 28.35
Allah Taalaa ney farmaya kay hum teray bhai kay
sath tera bazoo mazboot ker den gay aur tum dono ko ghalba
den gay firaoni tum tak phonch hi na saken gay ba-sabab
humari nishaniyon kay tum dono aur tumhari tabey daari
kerney walay hi ghalib rahen gay. 28.36
Pus jab unn kay pass musa (alh-e-salam) humaray
diyey huyey khullay moajzzay ley ker phonchay to woh kehnay
lagay yeh to sirf ghara gharaya jadoo hai hum ney apnay
aglay baap dadon kay zamaney mein kabhi yeh nahi suna.
28.37
Hazrat musa (alh-e-salam) kehnay lagay mera rab
taalaa issay khoob janta hai jo uss kay pass ki hidayat
ley ker aata hai aur jiss kay liye aakhirat ka (acha)
anjam hota hai yaqeenan bey insafon ka bhala na hoga.
28.38
Firaon kehney laga aey darbariyo! Mein to apnay
siwa kissi ko tumhara mabood nahi janta. Sunn aey haamaan!
Tu meray liye mitti ko aag say pakwa phir meray liye aik
mehal tameer ker to mein musa kay mabood ko jhank loon
ussay mein to jhooton mein say hi gumaan ker raha hun.
28.39
Uss ney aur uss kay lashkar ney na-haq tareeqay
per mulk mein takabbur kiya aur samajh liya kay woh humari
janib lotaye hi na jayen gay. 28.40
Bil-aakhir hum ney ussay aur uss kay lashkaron
ko pakar liya aur darya burd ker diya abb dekh ley kay
unn gunehgaaron ka anjam kaisa kuch hua?
28.41 Aur
hum ney unhen aisay imam bana diyey kay logon ko jahannum
ki taraf bulayen aur roz-e-qayamat mutlaq madad na kiye
jayen. 28.42
Aur hum ney iss duniya mein bhi unn kay peechay
apni laanat laga di aur qayamat kay din bhi woh bad-haal
logon mein say hongay. 28.43
Aur unn aglay zamaney walon ko halak kerney kay
baad hum ney musa (alh-e-salam) ko aisi kitab inayat farmaee
jo logon kay liye daleel aur hidayat-o-rehmat ho ker aaee
thi takay woh naseehat hasil ker len. 28.44
Aur toot kay maghribi janib jab kay hum ney musa
(alh-e-salam) ko hukum ehkaam ki wahee phonchaee thi na
to tu mojood tha aur na tu dekhney walon mein say tha.
28.45
Lekin hum ney boht si naslen peda kin jin per
lambi muddaten guzar gayen aur na tu madiyan kay rehney
walon mein say tha kay unn kay samney humari aayaton ki
tilawat kerta bulkay hum hi rasoolon kay bhejney walay
rahey. 28.46
Aur na tu toor ki taraf tha jab kay hum ney aawaz
di bulkay yeh teray perwerdigar ki taraf say aik rehmat
hai iss liye kay tu unn logon ko hoshiyaar ker dey jin
kay pass tujh say pehlay koi daraney wala nahi phoncha
kiya ajab kay woh naseehat hasil ker len.
28.47 Agar
yeh baat na hoti kay enhen unn kay apnay hathon aagay
bhejay huyey aemaal ki waja say koi naseehat phonchti
to yeh keh uthtay kay aey humaray rab! Tu ney humari taraf
koi rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydaari
kertay aur emaan walon mein say ho jatay.
28.48 Phir
jab unn kay pass humari taraf say haq aa phoncha to kehtay
hain kay yeh woh kiyon nahi diya gaya jesay diyey gaye
thay musa (alh-e-salam) acha to kiya musa (alh-e-salam)
ko jo kuch diya gaya tha uss kay sath logon ney kufur
nahi kiya tha saaf kaha tha kay yeh dono jadoogar hain
jo aik doosray kay madadgaar hain aur hum to inn sab kay
munkir hain. 28.49
Kehdey agar sachay hoto tum bhi Allah kay pass
say aisi kitab ley aao jo inn dono say ziyada hidayat
wali ho mein ussi ki pairwee keroon ga. 28.50
Phir agar yeh teri na maney to tu yaqeen ker
lay kay yeh sirf apni khuwaish ki pairwee ker rahey hain.
Aur uss say barh ker behka hua kaun hai? Jo apni khuwaish
kay peechay para hua ho baghair Allah ki rehnumaee kay
be-shak Allah Taalaa zalim logon ko hidayat nahi deta.
28.51 Aur
hum barabar pay dar pay logon kay liye apna kalaam bhejtay
rahey takay woh naseehat hasil kerlen. 28.52
Jiss ko hum ney iss say pehlay kitab inayat farmaee
woh to uss per bhi emaan rakhtay hain. 28.53
Aur jab uss ki aayaten unn kay pass parhi jati
hain to woh keh detay hain kay iss kay humaray rab ki
taraf say haq honey per humara emaan hai hum to iss say
pehlay hi musalman hain. 28.54
Yeh apnay kiye huyey sabar kay badley dohra dohra
ajar diye jayen gay. Yeh neki say badi ko taal detay hain
aur hum ney enhen jo dey rakha hai iss mein say detay
rehtay hain. 28.55
Aur jab bey huda baat kaan mein parti hai to
uss say kinara ker letay hain aur keh detay hain kay humaray
amal humaray liye aur tumharay amal tumharay liye tum
per salam ho hum jahilon say (ulajhna) nahi chahatay.
28.56
Aap jissay chahayen hidayat nahi ker saktay bulkay
Allah Taalaa hi jissay chahaye hidayat kerta hai. Hidayat
walon say wohi khoob aagah hai. 28.57
Kehney lagay kay agar hum aap kay sath hoker
hidayat kay tabey daar bann jayen to hum to apnay mulk
say uchak liye jayen kiya hum ney unehn aman-o-amaan aur
hurmat walay haram mein jagah nahi di? Jahan tamam cheezon
kay phal khinchay chalay aatay hain jo humaray pass bator
rizk kay hain lekin inn mein say aksar kuch nahi jantay.
28.58
Aur hum ney boht si woh bastiyan tabah kerdin
jo apnay aish-o-ishrat mein itraney lagi thin yeh hain
unn ki rehaeesh ki jaghen jo unn kay baad boht kum hi
abad ki gaeen aur hum hi hain aakhir sab kuch kay waris.
28.59
Tera rab kissi aik basti ko bhi uss waqt tak
halak nahi kerta jab tak kay unn ki kissi bari basti mein
apna koi payghumbar nahi bhej dey jo unehn humari aayaten
parh ker suna deyaur hum bastiyon ko ussi waqt halak kertay
hain jabkay wahan walay zulm-o-sitam per kamar kass len.
28.60
Aur tumhen jo kuch diya gaya hai woh sirf zindag-e-duniya
ka samaan aur ussi ki ronaq hai haan Allah kay pass jo
hai woh boht hi behtar aur dairpaa hai. Kiya tum nahi
samajhtay.
28.61 Kiya
woh shaks jiss say hum ney nek wada kiya hai jissay woh
qata’an paney wala hai misil uss shaks kay ho sakta
hai? Jissay hum ney zindaganiy-e-duniya ki kuch yun hi
si manfa’at dey di phir bil-aakhir woh qayamat kay
roz pakra baandha hazir kiya jayega. 28.62
Aur jiss din Allah Taalaa unhen pukar ker farmaye
ga kay tum jinehn apnay gumaan mein mera shareek thera
rahey thay kahan hain. 28.63
Jin per baat aa chuki woh jawab den gay kay aey
humaray perwerdigar! Yehi woh hain jinhen hum ney behka
rakha tha hum ney enhen issi tarah behkaya jiss tarah
hum behkay thay hum teri sarkar mein apni dast darazi
kertay hain yeh humari ibadat nahi kertay thay.
28.64
Kaha jayega apnay shareekon ko bulao woh bulayen
gay lekin woh jawab tak na den gay aur sab azab dekh len
gay kaash yeh log hidayat paa letay. 28.65
Uss din unn ko bula ker poochay ga kay tum ney
nabiyon ko kiya jawab diya? 28.66
Phir uss din unn ki tamam daleelen gumm hojayen
gi aur aik doosray say sawal tak na keren gay.
28.67 Haan
jo shaks tauba ker ley emaan ley aaye aur nek kaam keray
yaqeen hai kay woh nijat paaney walon mein say hojaye
ga. 28.68
Aur aap ka rab jo chahata hai peda kerta hai
aur jisay chahata hai chun leta hai inn mein say kissi
ko koi ikhtiyar nahi Allah hi kay liye paki hai woh buland
tar hai her uss cheez say kay log shareek kertay hain.
28.69
Unn kay seenay jo kuch chupatay aur jo kuch zahir
kertay hain aap ka rab sab kuch janta hai.
28.70 Wohi
Allah hai uss kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi duniya
aur aakhirat mein ussi ki tareef hai. Ussi kay liye farman
rawaqee hai aur ussi ki taraf tum sab pheray jao gay.
28.71 Keh
dijiye! kay dekho to sahi agar Allah Taalaa tum per raat
hi raat qayamat tak barabar ker dey to siwaye Allah kay
kaun mabood hai jo tumharay pass din ki roshni laye? Kiya
tum suntay nahi ho? 28.72
Poochiye! Kay yeh bhi batado kay agar Allah Taalaa
tum per hamesha qayamat tak din hi din rakhay to bhi siwaye
Allah Taalaa kay koi mabood hai jo tumharay pass raat
ley aaye? Jiss mein tum aaraam hasil kero kiya tum dekh
nahi rahey ho? 28.73
Ussi ney tumharay liye apnay fazal-o-karam say
din raat muqarrar ker diye hain kay tum raat mein aaraam
kero aur din mein uss ki bheji hui rozi talash kero yeh
iss liye kay tum shukar ada kero. 28.74
Aur jiss din unhen pukar ker Allah Taalaa farmaye
ga jinhen tum meray shareek khayal kertay thay woh kahan
hain? 28.75
Aur hum her ummat mein say aik gawah alag ker
len gay kay apni daleelen paish kero pus uss waqt jaan
len gay kay haq Allah Taalaa ki taraf hai aur jo kuch
iftra woh jortay thay sab unn kay pass say kho jaye ga.
28.76
Qaroon tha to qom-e-musa say lekin unn per zulm
kerney laga tha hum ney ussay (iss qadar) khazaney dey
rakhay thay kay kaee kaee taqatwar log ba mushkil uss
ki kunjiyan utha saktay thay aik baar uss ki qom ney uss
say kaha kay itra mat! Allah Taalaa itraney walon say
mohabbat nahi rakhta. 28.77
Aur jo kuch Allah Taalaa ney tujhay dey rakha
hai uss mein say aakhirat kay ghar ki talash bhi rakh
aur apnay dunyawi hissay ko bhi na bhool aur jesay Allah
ney teray sath ehsan kiya hai tu bhi acha salook ker aur
mulk mein fasad ka khuwan na ho yaqeen maan kay Allah
mufsidon ko na pasand rakhta hai. 28.78
Qaroon ney kaha yeh sab kuch mujhay meri apni
samajh ki bina per hi diya gaya hai kiya issay abb tak
yeh nahi maloom kay Allah Taalaa ney uss say pehlay boht
si basti walon ko ghaarat ker diya jo uss say boht ziyada
qooat walay aur boht bari jama poonji walay thay. Aur
gunehgaaron say unn kay gunahon ki baaz purs aisay waqt
nahi ki jati. 28.79
Pus qaroon poori aaraeesh kay sath apni qom kay
majmay mein nikla to dunyawi zindagi kay matwalay kehney
lagay kaash kay humen bhi kissi tarah woh mill jata jo
qaroon ko diya gaya hai. Yeh to bara hi qismat ka dhani
hai. 28.80
Zee ilm log unhen samjhaney lagay kay afsos!
Behtar cheez to woh hai jo bator sawab unhen milay gi
jo Allah per emaan layen aur nek amal keren yeh baat unhi
kay dil mein dali jati hai jo sabar-o-sahaar walay hon.
28.81 (aakhir
kaar) hum ney ussay uss kay mehal samet zamin mein dhansa
diya aur Allah kay siwa koi jamaat uss ki madad kay liye
tayyar na hui na woh khud apnay bachaney walon mein say
ho saka. 28.82
Aur jo log kal uss kay martabay per phonchney
ki aarzoo mandiyan ker rahey thay woh aaj kehney lagay
kay kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa hi apnay bandon
mein say jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai
aur tang bhi? Agar Allah Taalaa hum per fazal na kerta
to humen bhi dhansa deta kiya dekhtay nahi ho kay na-shukron
ko kabhi kaamyabi nahi hoti? 28.83
Aakhirat ka yeh bhala ghar hum unn hi kay liye
muqarrar ker detay hain jo zamin mein unchaee baraee aur
fakhar nahi kertay na fasad ki chahat rakhtay hain. Perhezgaron
kay liye nihayat hi umdaa anjam hai. 28.84
Jo shaks neki laye ga uss uss say behtar milay
ga aur jo buraee ley ker aaye ga to aisay bad-aemaali
kernay walon ko unn kay unhi aemaal ka badla diya jaye
ga jo woh kertay thay. 28.85
Jiss Allah ney aap per quran nazil farmaya hai
woh doobara aap ko pehli jagah laaney wala hai keh dijiye!
kay mera rab ussay bhi ba-khoobi janta hai jo hidayat
laya hai aur uss bhi jo khulli gumrahee mein hai.
28.86
Aap ko kabhi iss ka khayal bhi na guzra tha kay
aap ki taraf kitab nazil farmaee jaye gi lekin yeh aap
kay rab i meharbaani say utra. Abb aap ko hergiz kafiron
ka madadgaar na hona chahaye. 28.87
Khayal rakhiye kay yeh kufaar aap ko Allah Taalaa
ki aayaton ki tableegh say rok na den iss kay baad kay
yeh aap ki janib utari gaeen to apnay rab ki taraf bulatay
rahen aur shirk kerney walon mein say na hon.
28.88 Allah
Taalaa kay sath kissi aur mabood ko na pukarna ba-juz
Allah Taalaa kay koi aur mabood nahi her cheez fana honey
wali hai magar ussi ka mun. (aur zaat ) ussi kay liye
farmanrawaee hai aur tum ussi ki taraf lotaye jaogay.
|
| |
| Surat-Ankaboot
29 |
| (Sura-Ankaboot Makka
mai Nazil hui, is mai unattar (69) Aayatain hain) |
| |
29.01
Alif-Laam-Meem 29.02
Kiya logon ney yeh guman ker rakha hai kay unn kay sirf
iss daway per kay hum emaan laye hain hum unhen baghair
aazmaye huyey hi chor den gay? 29.03
Inn say aglon ko bhi hum ney khoob jancha. Yeqeenan Allah
Taalaa unhen bhi jan ley ga jo sach kehtay hain aur unhen
bhi maloom ker ley ga jo jhootay hain. 29.04
Kiya jo log burayiyan ker rahey hain unhon ney yeh samajh
rakha hai kay woh humaray qaboo say bahir ho jayen gay
yeh log kaisi buri tajweezen ker rahen hain.
29.05
Jisay Allah ki mulaqat ki umeed ho pus Allah ka theraya
hua waqt yaqeenan aaney wala hai woh sab kuch sunnay wala
sab kuch jannay wala hai. 29.06
Aur her aik kosish kerney wala apnay hi bhalay ki kosish
kerta hai. Wesay to Allah Taalaa tamam jahaan walon say
bey niyaz hai. 29.07
Aur jo log emaan laye aur unhon ney mutabiq-e-sunnat
kaam kiye hum unn kay tamam gunahon ko unn say door ker
den gay aur unhen unn kay nek aemaal kay behtareen badlay
den gay. 29.08
Hum ney her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook
kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh kosish keren
kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka aap ko
ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna meri
hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay
thay tumhen khabar doon ga. 29.09
Aur jin logon ney emaan qabool kiya aur nek kaam kiye
unhen mein apnay nek bandon mein shumar ker loon ga.
29.10
Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani kehtay hain kay
hum emaan laye hain lekin jab Allah ki raah mein koi mushkil
aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah Taalaa kay
azab ki tarah bana letay hain haan haan agar Allah ki
madad aajaye to pukar uthtay hain kay hum to tumharay
sathi hi hain kiya duniya jahaan kay seeno mein jo kuch
hai uss say Allah Taalaa dana nahi hai?
29.11
Jo log emaan laye Allah unhen bhi zahir ker kay rahey
ga aur munafiqon ko bhi zahir ker kay rahey ga.
29.12
Kafiron ney emaan walon say kaha kay tum humari raah ki
taby daari kero tumharay gunah hum utha len gay halankay
woh inn kay gunahon mein say kuch bhi nahi uthaney walay
yeh to mehaz jhootay hain. 29.13
Albatta yeh apnay bojh dho len gay aur apnay bojhon kay
sath hi aur bojh bhi. Aur jo kuch iftra perdaziyan ker
rahey hain unn sab ki babat unn say baaz purs ki jaye
gi. 29.14
Aur hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf
bheja woh unn mein sarhay no so saal tak rahey phir to
unhen toofan ney dhar pakra aur woh thay bhi zalim.
29.15
Phir hum ney unhen aur kashti walon ko nijat di aur iss
waqey ko hum ney tamam jahaan kay liye ibrat ka nishan
bana diya. 29.16
Aur ibrahim (alh-e-salam) ney bhi apni qom say farmaya
kay Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss say dartay raho
agar tum mein daanaaee hai to yehi tumharay liye behtar
hai. 29.17
Tum to Allah Taalaa kay siwa buton ki pooja paat ker rahey
ho aur jhooti baatein dil say gharh letay ho. Suno! Jin
jin ki tum Allah Taalaa kay siwa pooja paat ker rahey
ho woh to tumhari rozi kay malik nahi pus tumhen chahayey
kay tum Allah Taalaa hi say roziyan talab kero aur ussi
ki ibadat kero aur ussi ki shukar guzari kero aur ussi
ki taraf tum lotaye jao gay. 29.18
Aur agar tum jhutlao to tum say pehlay ki ummaton ney
bhi jhutlaya hai rasool kay zimmay to sirf saaf tor per
phoncha dena hi hai. 29.19
Kiya enhon ney nahi dekha kay makhlooq ki ibtida kissa
tarah Allah ney ki phir Allah iss ka aey-aada keray ga
yeh to Allah Taalaa per boht hi aasan hai.
29.20
Keh dijiye! kay zamin mein chal phir ker dekho to sahi
kay kiss tarah Allah Taalaa ney ibtida’an pedaeesh
ki. Phir Allah Taalaa hi doosri naee pedaeesh keray ga
Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
29.21
Jissay chahaye azab keray jiss per chahaye reham keray
sab ussi ki taraf lotaye jao gay. 29.22
Tum na to zamin mein Allah Taalaa ko aajiz ker saktay
ho na aasman mein Allah Taalaa kay siwa tumhara koi waali
hai na madadgaar. 29.23
Jo log Allah Taalaa ki aayaton aur uss ki mulaqat ko bhulatay
hain woh meri rehmat say na umeed ho jayen aur unn kay
liye dard naak azab hai. 29.24
Unn ki qom ka jawab ba-juz iss kay kuch na tha kay kehney
lagay kay issay maar dalo ya issay jala do. Aakhirish
Allah ney unhen aag say bacha liya iss mein emaan walay
logon kay liye boht si nishaniyan hain. 29.25
(hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha kay tum ney jin
buton ki parastish Allah kay siwa ki hai unhen tum ney
apni aapas ki duniyawi dosti ki bina thera li hai tum
sab qayamat kay din aik doosray say kufur kerney lago
gay aur aik doosray per lanat kerney lago gay. Aur tumhara
sab ka thikana dozakh hoga aur tumhara koi madadgaar na
hoga. 29.26
Pus hazrat ibrahim (alh-e-salam) per hazrat loot (alh-e-salam)
emaan laye aur kehnay lagay kay mein apnay rab ki taraf
hijrat kerney wala hun. Woh bara hi ghalib aur hakeem
hai. 29.27
Aur hum ney unhen (ibrahim ko) ishaq-o-yaqoob (alheem-us-salam)
ata kiye aur hum ney naboowat aur kitab unn ki aulad mein
hi kerdi aur hum ney duniya mein bhi ussay sawab diya
aur aakhirat mein to woh saleh logon mein say hai.
29.28
Aur hazrat loot (alh-e-salam) ka bhi ziker kero jabkay
unhon ney apni qom say farmaya kay tum to iss bad-kaari
per utar aaye ho jissay tum say pehlay duniya bhar mein
say kissi ney nahi kiya. 29.29
Kiya tum mardon kay pass bad faylee kay liye aatay ho
aur raastay band kertay ho aur apni aam majlison mein
bey hayaeeyon ka kaam kertay ho? Iss kay jawab mein uss
ki qom ney ba-juz iss kay aur kuch nahi kaha kay bus jaa
agar sacha hai to humaray pass Allah ka azab ley aa.
29.30
Hazrat loot (alh-e-salam) ney dua ki kay perwerdigar!
Iss mufsid qom per meri madad farma.
29.31
Aur jab humaray bhejay huyey farishtay hazrat ibrahim
(alh-e-salam) kay pass bisharat ley ker phonchay kehnay
lagay kay iss basti walon ko hum halak kerney walay hain
yaqeenan yahan kay rehney walay gunehgaar hain.
29.32
(hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha iss mein to loot
(alh-e-salam) hain farishton ney kaha yahan jo hain hum
unhen ba-khoobi jantay hain. Loot (alh-e-salam) ko aur
uss kay khandan ko siwaye uss ki biwi kay hum bacha len
gay albatta woh aurat peechay reh janey walon mein say
hai. 29.33
Phir jab humaray qasid loot (alh-e-salam) kay pass phonchay
to woh inn ki waja say ghumgeen huyey aur dil hi dil mein
ranj kerney lagay. Qasidon ney kaha aap na khof khayiey
na aazarda hon hum aap ko maa aap kay mutallaqeen kay
bacha len gay magar aap ki biwi kay woh azab kay liye
baqi reh janey walon mein say hogi. 29.34
Hum iss basti walon per aasmani azab nazil kerney walay
hain iss waja say kay yeh bey hukum ho rahey hain.
29.35
Albaat hum ney uss basti ko sareeh ibrat ki nishani bana
diya unn logon kay liye jo aqal rakhtay hain.
29.36
Aur madiyan ki taraf hum ney unn kay bhai shoaib (alh-e-salam)
ko bheja unhon ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki
ibadat kero qayamat kay din ki tawaqqa rakho aur zamin
mein fasad na kertay phiro. 29.37
Phir bhi unhon ney unhen jhutlaya aakhirish unhen zalzalay
ney pakar liya aur woh apnay gharon mein bethay kay bethay
murda ho ker reh gaye. 29.38
Aur hum ney aadiyon aur samoodiyon ko bhi gharat kiya
jin kay baad makanaat tumharay samney zahir hain aur shetan
ney unhen unn ki bad aemaaliyan aaraasta ker dikhaee thin
aur unhen raah say rok diya tha bawajood yeh kay yeh aankhon
walay aur hoshiyaar thay. 29.39
Aur qaroon aur firaon aur haamaan ko bhi unn kay pass
hazrat musa (alh-e-salam) khulay khulay moajzzay ley ker
aaye thay phir bhi unhon ney zamin mein takabbur kiya
lekin hum say aagay barhney walay na ho sakay.
29.40
Phir to her aik ko hum ney uss kay gunah ka wabaal mein
giriftar ker liya inn mein say baaz per hum ney pathron
ka menh barsaya aur inn mein say baaz ko zor daar awaz
sakht awaz ney daboch liya aur inn mein say baaz ko hum
ney zamin mein dhansa diya aur inn mein say baaz ko hum
ney dobo diya Allah Taalaa aisa nahi kay unn per zulm
keray bulkay yehi log apni jano per zulm kertay thay.
29.41
Jin logon ney Allah Taalaa kay siwa aur kaar saaz muqarrar
ker rakhay hain unn ki misaal makri ki si hai kay woh
bhi aik ghar bana leti hai halankay tamam gharon say ziyada
boda ghar makri ka ghar hi hai kaash! Woh jaan letay.
29.42
Allah Taalaa unn tamam cheezon ko janta hai jinhen woh
uss kay siwa pukar rahey hain woh zabardast aur zee hikmat
hai. 29.43
Hum inn misalon ko logon kay liye biyan farma rahey hain
enhen sirf ilm walay hi samajhtay hain. 29.44
Allah Taalaa ney aasmano aur zamin ko masleyhat aur haq
kay sath peda kiya hai emaan walon kay liye to iss mein
bari bhari daleel hai. |
|
|