 |
| World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Parah-Utloo-Ma-Oohiyaa
21 |
| |
|
| |
|
|
| Surat-Ankaboot
29 |
| (Sura-Ankaboot Makka
mai Nazil hui, is mai unattar (69) Aayatain hain) |
| |
29.45 Jo kitab aap ki taraf wahee ki gaee hai ussay parhiyey
aur namaz qaeem keren yaqeenan namaz bey hayaee aur buraee
say rokti hai be-shak Allah ka ziker boht bari cheez hai
tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah khabardaar hai.
29.46 Aur ehal-kitab kay sath behas-o-mubahisa na kero magar
iss tareeqay per jo umdah ho magar unn kay sath jo unn
mein zalim hain aur saaf aeylaan kerdo kay humara to iss
kitab per bhi emaan hai jo hum per utari gaee hai aur
iss per bhi jo tum per utari gaee hai humara tumhara mabood
aik hi hai. Hum sab ussi kay hukum bardaar hain.
29.47 Aur hum ney issi tarah aap ki taraf apni kitab nazil farmaee
hai pus jinhen hum ney kitab di hai woh iss per emaan
latay hain aur inn (mushrikeen) mein say baaz iss per
emaan rakhtay hain aur humari aayaton ka inkar sirf kafir
hi kertay hain.
29.48 Iss say pehlay to aap koi kitab parhtay na thay aur na
kissi kitab ko apnay hath say likhtay thay kay batil parast
log shak-o-shuba mein partay.
29.49 Bulkay yeh (quran) to roshan aayaten hain jo ehal-e-ilm
kay seeno mein mehfooz hain humari aayaton ka munkir ba-juz
zalimon kay aur koi nahi.
29.50 Unhon ney kaha iss per kuch nishaniyan (moajzzaat) iss
kay rab ki taraf say kiyon nahi utaray gaye. Aap keh dijiye
kay nishaniyan to sab Allah Taalaa kay pass hain mein
to sifr khullam khulla aagah ker denay wala hun.
29.51 Kiya enhen yeh kafi nahi? Kay hum ney aap per kitab nazil
farma di jo inn per parhi ja rahi hai iss mein rehmat
(bhi) hai aur naseehat (bhi) hai unn logon kay liye jo
emaan latay hain.
29.52 Keh dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah Taalaa gawah
hona kafi hai woh aasman-o-zamin ki her cheez ka aalim
hai jo log batil kay mannay walay aur Allah Taalaa say
kufur kerney walay hain woh zabardast nuksan aur ghatay
mein hain.
29.53 Yeh log aap say azab ki jaldi ker rahey hain. Agar meri
taraf say muqarrar kiya hua waqt na hota to abhi tak inn
kay pass azab aa chuka hota yeh yaqeeni baat hai kay achanak
inn ki bey khabri mein inn kay pass azab aa phonchay ga.
29.54 Yeh azab ki jaldi macha rahey hain aur (tasalli rakhen)
jahannum kafiron ko gher lenay wali hai.
29.55 Uss din unn kay upper talay say unhen azab dhaanp raha
hoga aur Allah Taalaa farmaye ga kay abb apnay ( bad)
aemaal ka maza chakho.
29.56 Aey meray emaan walay bando! Meri zamin boht kushada hai
so tum meri hi ibadat kero.
29.57 Her jandaar maut ka maza chakhney wala hai aur tum sab
humari hi taraf lotaye jaogay.
29.58 Aur jo log emaan laye aur nek kaam kiye unhen hum yaqeenan
jannat kay unn bala khano mein jaga den gay jin kay neechay
chashmen beh rahey hain jahan woh hamesha rahen gay kaam
kerney walon ka kiya hi acha ajar hai.
29.59 Woh jinhon ney sabar kiya aur apnay rab taalaa per bharosa
rakhtay hain.
29.60 Aur boht say janwar hain jo apni rozi uthaye nahi phirtay
unn sab ko aur tumhen bhi Allah Taalaa hi rozi deta hai
woh bara hi sunnay jannay wala hai.
29.61 Aur agar aap inn say daryaft keren kay zamin-o-aasman
ka khaliq aur sooraj chand ko kaam mein laganey wala kaun
hai? To inn ka jawab yehi hoga kay Allah Taalaa phir kidhar
ultay jarahey hain.
29.62 Allah Taalaa apnay bandon mein say jissay chahaye farakh
rozi deta hai aur jissay chahaye tang. Yaqeenan Allah
Taalaa her cheez ka jannay wala hai.
29.63 Aur agar aap inn say sawal keren kay aasman say pani utaar
ker zamin ko uss ki maut kay baad zinda kiss ney kiya?
To yaqeenan inn ka jawab yehi hoga Allah Taalaa ney. Aap
keh den kay her tareef Allah hi kay liye saza waar hai
bulkay inn mein say aksar bey aqal hain.
29.64 Aur duniya ki yeh zindagani to mehaz khel tamasha hai
albatta aakhirat kay ghar ki zindagi hi haqeeqi zindagi
hai kaash! Yeh jantay hotay.
29.65 Pus yeh log jab kashti mein sawar hotay hain to Allah
Taalaa hi ko pukartay hain uss kay liye ibadat ko khalis
ker kay phir jab woh enhen khuski ki taraf bacha laata
hai to ussi waqt shirk kerney lagtay hain.
29.66 Takay humari di hui nematon say mukartay rahen aur barattay
rahen. Abhi abhi pata chal jayega.
29.67 Kiya yeh nahi dekhtay kay hum ney haram ko baa-aman bana
diya hai halankay inn kay ird-gird say log uchak liye
jatay hain kiya yeh batil per to yaqeen rakhtay hain aur
Allah Taalaa ki nematon per na-shukri kertay hain.
29.68 Aur uss say bara zalim kaun hoga? Jo Allah Taalaa per
jhoot bandhay ya jab haq uss kay pass aajaye woh ussay
jhutlaye kiya aisay kafiron ka thikana jahannum mein na
hoga?
29.69 Aur jo log humari raah mein mushaqqaten bardasht kertay
hain hum unhen apni rahen zaroor dikha den gay. Yaqeenan
Allah Taalaa neko kaaron ka sathi hai. |
|
| Surat-Room
30 |
| (Sura-Room Makka mai
Nazil hui, is mai satth (60) Aayatain hain) |
| |
30.01 Alif-Laam-Meem
30.02 Roomi maghloob hogaye hain.
30.03 Nazdeek ki zamin per aur woh maghloon honey kay
baad un-qareeb ghalib aajayen gay.
30.04 Chand saal mein hi. Iss say pehlay aur iss kay
baad bhi ikhtiyar Allah Taalaa hi ka hai. Uss roz musalman
shaadmaan hongay.
30.05 Allah ki madad say woh jiss ki chahata hai madad
kerta hai. Asal ghalin aur meharbaan wohi hai.
30.06 Allah
ka wada hai Allah Taalaa apnay waday kay khilaf nahi kerta
lekin aksar log nahi jantay.
30.07 Woh to (sirf) duniyawi zindagi kay zahir ko (hi)
jantay hain aur aakhirat say to bilkul hi bay khabar hain.
30.08 Kiya inn logon ney apnay dil mein yeh ghor nahi
kiya? Kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin aur inn
kay darmiyan jo kuch hai sab ko behtareen qareeney say
muqarrar waqt tak kay liye hi (peda) kiya hai haan aksar
log yaqeenan apnay rab ki mulaqat kay munkir hain.
30.09 Kiya enhon ney zamin mein chal phir ker yeh nahi
dekha kay inn say pehlay logon ka anjam kaisa (bura) hua?
Woh inn say boht zada tawana (aur taqatwar) thay aur unhon
ney (bhi) zamin boee joti thi aur inn say ziyada abad
ki thi aur unn kay pass unkay rasool roshan dalaeel ley
ker aaye thay. Yeh to na mumkin tha kayAllah Taalaa unn
per zulm kerta lekin (dar asal) woh khud apni jano per
zulm kertay thay.
30.10 Phir aakhrish bura kerney walon ka boht hi bura
anjam hua iss liye kay woh Allah Taalaa ki aayaton ko
jhutlatay thay aur inn ki hansi uratay thay.
30.11 Allah
Taalaa hi makhlooq ki ibtida kerta hai phir wohi ussay
doobara peda keray ga phir tum sab ussi ki taraf lotaye
jaogay.
30.12 Aur jiss din qayamat qaeem hogi to gunehgaar
heyrat zada reh jayen gay.
30.13 Aur inn kay tamam tar shareekon mein say aik
bhi inn ka sifarshi na hoga aur (khud yeh bhi) apnay shareekon
kay munkir ho jayen gay.
30.14 Aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din (jamaten)
alag alag hojayen gi.
30.15 Jo emaan laa ker nek aemaal kertay rahey woh
to jannat mein khush-o-khurram ker diyey jayen gay.
30.16 Aur jinhon ney kufur kiya tha aur humari aayaton
ko aur aakhirat ki mulaqat ko jhoota theraya tha woh sab
azab mein pakar ker hazir rakhay jayen gay.
30.17 Pus
Allah Taalaa ki tasbeeh parha kero jab kay tum shaam kero
aur jab subah kero.
30.18 Tamam tareefon kay laeeq aasman-o-zamin mein
sirf wohi hai teesray pehar bhi aur zohar kay waqt bhi
(uss ki pakeezgi biyan kero).
30.19 (wohi) zinda ko murda say aur murda ko zinda
say nikalta hai. Aur wohi zamin ko uss ki maut kay baad
zinda kerta hai issi tarah tum (bhi) nikalay jao gay.
30.20 Allah ki nishaniyon mein say hai kay uss ney
tum ko mitti say peda kiya phir abb insan bann ker (chaltay
phirtay) phel rahey ho.
30.21 Aur
uss ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins say
biwiyan peda ki takay tum inn say aaram pao uss ney tumharay
darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kerdi yaqeenan ghor-o-fiker
kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
30.22 Uss (ki qudrat) ki nishaniyon mein say aasmano
aur zamin ki pedaeesh aur tumhari zabano aur rangaton
ka ikhtilaf (bhi) hai danish mando kay liye iss mein yaqeenan
bari nishaniyan hain.
30.23 Aur (bhi) uss ki (qudrat ki) nishani tumhari
raton aur din ki neend mein hai aur uss kay fazal (yani
rozi) ko tumhara talash kerna bhi hai. Jo log (kaan laga
ker) sunnay kay aadi hain unn kay liye iss mein boht si
nishaniyan hain.
30.24 Aur uss ki nishaniyon mein say aik yeh (bhi)
hai kay woh tumhen daraney aur umeedwaar bananay kay liye
bijliyan dikhata hai aur aasman say barish barsata hai
aur iss say murda zamin ko zinda ker deta hai iss mein
(bhi) aqal mando kay liye boht si nishaniyan hain.
30.25 Uss ki aik nishani yeh bhi hai kay aasman-o-zamin
ussi kay hukum say qaeem hain phir jab woh tumhen awaz
dey ga sirf aik baar ki awaz kay sath hi tum sab zamin
say nikal aao gay.
30.26 Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ussi ki milkiyat
hai aur her aik ussi kay farman kay ma-tehat hai.
30.27 Wohi hai jo awwal baar makhlooq ko peda kerta
hai phir ussay doobara peda keray ga aur yeh to uss per
boht aasaan hai. Ussi ki behtareen aur aalaa sift hai
aasmano aur zamin mein bhi aur wohi ghalbay wala hikmat
wala hai.
30.28 Allah Taalaa ney tumharay liye aik misaal khud
tumhari hi biyan farmaee jo kuch hum ney tumhen dey rakha
hai kiya uss mein tumharay ghulamon mein say bhi koi tumhara
shareek hai? Kiya tum aur woh iss mein barabar darjay
kay ho? Aur tum inn ka aisa khatra rakhtay ho jaisa khud
apno ka hum aqal rakhney walon kay liye issi tarah khol
khol ker aayaten biyan ker detay hain.
30.29 Bulkay baat yeh hai kay yeh zalim to baghair
ilm kay khuwaish parasti ker rahey hain ussay kaun raah
dikhaye jissay Allah Taalaa raah say hata dey unn ka aik
bhi madadgaar nahi.
30.30 Pus aap yeksoo hoker apna mun deen ki taraf mutawajja
ker den. Allah Taalaa ki woh fitrat jiss per uss ney logon
ko peda kiya hai Allah Taalaa kay banaye ko badlna nahi
yehi seedah deen hai lekin aksar log nahi samajhtay.
30.31 (logo!)
Allah Taalaa ki taraf rujoo ho ker uss say dartay raho
aur namaz ko qaeem rakho aur mushrikeen mein say na ho
jao.
30.32 Unn logon mein say jinhon ney apnay deen ko tukray
tukray ker diya aur khud bhi giroh giroh hogaye her giroh
uss cheez per jo uss kay pass hai magan hai.
30.33 Logon
ko jab kabhi koi museebat phonchti hai to apnay rab ki
taraf (poori tarah) rujoo ho ker duyayen kertay hain phir
jab woh apni taraf say rehmat ka maza chakhata hai to
unn mein say aik jamat apnay rab kay sath shirk kerney
lagti hai.
30.34 Takay woh uss cheez ki na-shukri keren jo hum
ney unhen di hai acha tum faeeda utha lo abhi abhi tumhen
maloom hojaye ga.
30.35 Kiya hum ney unn per koi daleel nazil ki hai
jo ussay biyan kerti hai jissay yeh Allah kay sath shareek
ker rahey hain.
30.36 Aur jab hum logon ko rehmat ka maza chakhatay
hain to woh khoob khush ho jatay hain aur agar unhen unn
kay hathon kay kertoot ki waja say koi buraee phonchay
to aik dum woh mehaz na-umeed ho jatay hain.
30.37 Kiya
enhon ney yeh nahi dekha kay Allah Taalaa jissay chahaye
kushada rozi deta hai aur jissay chahaye tang iss mein
bhi unn logon kay liye jo emaan latay hain nishaniyan
hain.
30.38 Pus qarabat daar ko miskeen ko musafir ko her
aik ko uss ka haq dijiye yeh unn kay liye behtar hai jo
Allah Taalaa ka mun dekhna chahatay hon aisay hi log nijat
paney walay hain.
30.39 Tum jo sood per detay ho kay logon kay maal mein
barhta rahey woh Allah Taalaa kay haan nahi barhta. Aur
jo kuch sadqa zakat tum Allah Taalaa ka mun dekhney (aur
khushnoodi kay liye) do to aisay log hi hain apna do chand
kerney walay.
30.40 Allah Taalaa woh hai jiss ney tumhen peda kiya
phir rozi di phir maar dalay ga phir zinda ker dey ga
batao tumharay shareeko mein say koi bhi aisa hai jo inn
say kuch bhi ker sakta ho. Allah Taalaa kay liye paki
aur bar tari hai her uss sharik say jo yeh log muqarrar
kertay hain.
30.41 Khushki
aur tari mein logon ki bad aemaaliyon kay baees fasad
phel gaya. Iss liye kay unhen unn kay baaz kertooton ka
phal Allah Taalaa chakha dey (boht) mumkin hai kay woh
baaz aajayen.
30.42 Zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay aglon
ka anjam kiya hua. Jin mein aksar log mushrik thay.
30.43 Pus aap apna rukh uss sachay aur seedhay deen
ki taraf hi rakhen qabal iss kay kay woh din aajaye jiss
ka tal jana Allah Taalaa ki taraf say hai hi nahi uss
din sab mutafarriq ho jayen gay.
30.44 Kufur kerney walon per unn kay kufur ka wabaal
hoga aur nek kaam kerney walay apni hi aaram gaah sanwaar
rahey hain.
30.45 Takay Allah Taalaa unhen apnay fazal say jaza
dey jo emaan laye aur nek aemaal kiyey woh kafiron ko
dost nahi rakhta hai.
30.46 Uss ki nishaniyon mein say khushkhabriyan denay
wali hawaon ko chalana bhi hai iss liye kay tumhen apni
rehmat say lutf andoz keray aur iss liye kay uss kay hukum
say kashtiyan chalen aur iss liye kay uss kay fazal ko
tum dhondo aur iss liye kay tum shukar guzari kero.
30.47 Aur hum ney aap say pehlay bhi apnay rasoolon
ko unn ki qom ki taraf bheja woh unn kay pass deleelen
laye. Phir hum ney gunehgaaron say intiqam liya. Hum per
momino ki madad kerna lazim hai.
30.48 Allah Taalaa hawayen chalata hai woh abar ko
uthati hain phir Allah Taalaa apni mansha kay mutabiq
ussay aasman mein phela deta hai aur uss kay tukray tukray
ker deta hai phir aap dekhtay hain kay uss kay andar say
qatray nikaltay hain aur jinhen Allah chahata hai unn
bandon per qoh pani barsata hai to woh khush khush ho
jatay hain.
30.49 Yaqeen manna kay barish unn per barasney say
pehlay pehlay to woh na umeed ho rahey thay.
30.50 Pus
aap rehmat-e-elahee kay aasaar dekhen kay zamin ki maut
kay baad kiss tarah Allah Taalaa ussay zinda ker deta
hai? Kuch shak nahi kay wohi murdon ko zinda kerney wala
hai aur woh her her cheez per qadir hai.
30.51 Aur agar hum baad-e-tund chala den aur yeh log inhi kheton
ko (mujahee hui) zard pari hui dekh len to phir iss kay
baad na shukri kerney lagen.
30.52 Be-shak
aap murdon ko nahi suna saktay aur na behron ko (apni)
awaz suna saktay hain jab kay woh peeth pher ker murr
gaye hon.
30.53 Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hidayat
kerney walay hain aap to sirf unhi logon ko sunatay hain
jo humari aayaton per emaan rakhtay hain pus wohi itaat
kerney walay hain.
30.54 Allah Taalaa wohi hai jiss ney tumhen kamzori
ki halat mein peda kiya phir uss kamzori kay baad tawanaee
di phir uss tawanaee kay baad kamzori aur burhapa diya
jo chahata hai peda kerta hai woh sab say poora waqif
aur sab per poora qadir hai.
30.55 Aur jiss din qayamat barpa ho jayegi gunehgaar
log qasmen khayen gay kay (duniya mein) aik ghari kay
siwa nahi theray issi tarah yeh behkay huyey hi rahey.
30.56 Aur jin logon ko ilm aur emaan diya gaya woh
jawab den gay kay tum to jaisa kitab-ul-llah mein hai
yom-e-qayamat tak theray rahey. Aaj ka yeh din qayamat
hi ka din hai lekin tum to yaqeen hi nahi mantay thay.
30.57 Pus uss din zalimo ko unn ka uzur bahana kuch
kaam na aaye ga aur na unn say toba aur amal talab kiya
jayega.
30.58 Be-shak hum ney iss quran mein logon kay samney
kul misaalen biyan ker di hain. Aap inn kay pass koi bhi
nishani laayen yeh kafir to yehi kahen gay kay tum (be-huda
go) bilkul jhootay ho.
30.59 Allah Taalaa unn logon kay dilo per jo samajh
nahi rakhtay yun hi mohar ker deta hai.
30.60 Pus aap sabar keren yaqeenan Allah ka wada sacha
hai. Aap ko woh log halka (bey sabra) na keren jo yaqeen
nahi rakhtay. |
|
| Surat-Luqman
31 |
| (Sura-Luqman Makka mai
Nazil hui, is mai chontees (34) Aayatain hain) |
| |
31.01 Alif-laam-meem
31.02 Yeh hikmat wali kitab ki aayaten hain.
31.03 Jo neko karon kay liye rehbar aur (sirasir) rehmat
hai.
31.04 Jo log namaz qaeem kertay hain aur zakat ada
kertay hain aur aakhirat per (kamil) yaqeen rakhtay hain.
31.05 Yehi log hain jo apnay rab ki taraf say hidayat
per hain aur yehi log nijat paney walay hain.
31.06 Aur
baaz log aisay bhi hain jo laghaw baaton ko mol letay
hain kay bey-ilmi kay sath logon ko Allah ki raah say
behkayen aur ussay hansi banayen yehi woh log hain jin
kay liye ruswa kerney wala azab hai.
31.07 Jab iss kay samney humari aayaten tilawat ki
jati hain to takabbur kerta hua iss tarah say mun pher
leta hai goya uss ney suna hi nahi goya kay uss kay dono
kano mein daat lagay huyey hain aap issay dardnaak azab
ki khabar suna dijiye.
31.08 Be-shak jin logon ney emaan qabool kiya aur kaam
bhi nek (mutabiq sunnat) kiyey unn kay liye nematon wali
jannaten hain.
31.09 Jahan woh humesha rahen gay. Allah ka sacha wada
hai woh boht bari izzat-o-ghalbay wala aur kamil hikmat
wala hai.
31.10 Ussi ney aasmano ko baghair sutoon kay peda kiya
hai tum enhen dekh rahey ho aur iss ney zamin mein paharon
ko daal diya takay woh tumhen junbish na dey sakay aur
her tarah kay jandaar zamin mein phela diyey. Aur hum
ney aasman say pani barsa ker zamin mein her qisam kay
nafees joray uga diyey.
31.11 Yeh
hai Allah ki makhlooq abb tum mujhay iss kay siwa doosray
kisi ki makhlooq to dikhao (kuch nahi) bulkay yeh zalim
khulli gumarhee mein hain.
31.12 Aur hum ney yaqeenan luqman ko hikmat di thi
kay tu Allah Taalaa ka shukar ker her shukar kerney wala
apnay hi nafay kay liye shukar kerta hai jo bhi na shukri
keray woh jaan ley kay Allah Taalaa bey niyaz aur tareefon
wala hai.
31.13 Aur jab kay luqman ney waaz kehtay huyey apnay
larkay say farmaya kay meray piyaray bachay! Allah kay
sath shareek na kerna be-shak shirk bara bhaari zulm hai.
31.14 Hum ney insan ko uss kay maa baap kay mutalliq
naseehat ki hai uss ki maa ney dukh per dukh utha ker
ussay hamal mein rakha aur uss ki doodh chraee do baras
mein hai kay tu meri aur apnay maa baap ki shukar guzari
ker (tum sab ko) meri hi taraf lot ker aana hai.
31.15 Aur agar woh dono tujh per iss baat ka dabao
daalen kay tu meray sath shareek keray jiss ka tujhay
ilm na ho to tu unn ka kehna na manna haan duniya mein
unn kay sath achi tarah basar kerna aur uss ki raah chalna
jo meri taraf jhuka hua ho tumhara sab ka lotna meri hi
taraf hai tum jo kuch kertay ho iss say phir mein tumhen
khabardaar ker doon ga.
31.16 Piayaray betay agar koi cheez raaee kay danay
kay barabar ho phir woh (bhi) khua kissi chattaan mein
ho ya aasmano mein ho ya zamin mein ho ussay Allah Taalaa
zaroor laye ga Allah Taalaa boht bareek been aur khabrdaar
hai.
31.17 Aey meray piyaray betay! Tu namaz qaeem rakhna
achay kaamo ki naseehat kertay rehna buray kamon say mana
kiya kerna aur jo museebat tum per aajaye sabar kerna
(yaqeen maan) kay yeh baray takeedi kaamo mein say hai.
31.18 Logon kay samney apnay gaal na phula aur zamin
per itra ker na chal. Kissi takabbur kerney walay shekhi
khoray ko Allah Taalaa pasand nahi farmata.
31.19 Apni
raftar mein miyana rawi ikhtiyar ker aur pani awaz past
ker yaqeenan awazon mein sab say badtar awaz gadhon ki
awaz hai.
31.20 Kiya
tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa ney zamin-o-aasman ki
her cheez ko tumharay kaam mein laga rakha hai aur tumhen
apni zahiri-o-baatni nematen bharpoor dey rakhi hain baaz
log Allah kay baray mein baghair ilm kay aur baghair hidayat
kay aur baghair roshan kitab kay jhagra kertay hain.
31.21 Aur jab unn say kaha jata hai kay Allah ki utari
hui wahee ki tabey daari kero to kehtay hain kay hum ney
to jiss tareeq per apnay baap dadon ko paya hai ussi ki
tabey daari keren gay agar cheh shetan inn kay baron ko
dozakh kay azab ki taraf bulata ho.
31.22 Aur jo (shaks) apnay aap ko Allah kay tabey ker
dey aur ho bhi woh neko kaar yaqeenan uss ney mazboot
kara thaam liya tamam kaamo ka anjam Allah ki taraf hai.
31.23 Kafiron kay kufur say aap ranjeedah na hon aakhir
inn sab ka lotna humari janib hi hai phir hum inn ko batayen
gay jo enhon ney kiya hai be-shak Allah seeno kay bhedon
tak say waqif hai.
31.24 Hum enhen go kuch yun hi sa faeedah dey den lekin
(bil-aakhir) hum enhen nihayat bey chaargi ki halat mein
sakht azab ki taraf hanka ley jayen gay.
31.25 Agar
aap inn say daryaft keren kay aasman-o-zamin ka khaliq
kaun hai? To yeh zaroor jawab den gay kay Allah to keh
dijiye kay sab tareef kay laeeq Allah hi hai lekin inn
mein kay aksar bey ilm hain.
31.26 Aasmano mein aur zamin mein jo kuch hai woh sab
Allah hi ka hai yaqeenan Allah Taalaa boht bara bey niyaz
aur saza waar hamd-o-sana hai.
31.27 Roy-e-zamin kay (tamam) darkhton ki agar qalamen
hojayen aur tamam samandaron ki seehaee ho aur inn kay
baad sath samnadar aur hon tahum Allah kay kalmaat khatam
nahi ho saktay be-shak Allah Taalaa ghalib aur ba-hikmat
hai.
31.28 Tum sab ki pedaeesh aur marney kay baad jilana
aisa hi hai jesay aik ji ka be-shak Allah Taalaa sunnay
wala dekhney wala hai.
31.29 Kiya
aap nahi dektay kay Allah Taalaa raat ko din mein aur
din ko raat mein khapa deta hai sooraj chand ko ussi ney
farma bardar ker rakha hai kay her aik muqarrara waqt
tak chalta rahey Allah Taalaa her uss cheez say jo tum
kertay ho khabardaar hai.
31.30 Yeh sab (intizamaat) iss waja say hain kay Allah
Taalaa haq hai aur uss kay siwa jin jin ko log pukartay
hain sab batil hain aur yaqeenan Allah Taalaa boht bulandiyon
wala aur bati shaan wala hai.
31.31 Kiya tum iss per ghor nahi kertay kay dariya
mein kashtiyan Allah kay fazal say chal rahi hain iss
liye kay woh tumhen apni nishaniyan dikhaway yaqeenan
iss mein her aik sabar shukar kerney walay kay liye boht
si nishaniyan hain.
31.32 Aur jab unn per mojen saeebanon ki tarah chah
jati hain to woh (nihayat) khuloos kay sath aeytiqaad
kerkay Allah Taalaa hi ko pukartay hain. Phir jab woh
(bari taalaa) unhen nijat dey ker khushki ki taraf phonchata
hai to kuch inn mein say aeytidaal per rehtay hain aur
humari aayaton ka inkar sirf wohi kertay hain jo bad-ehad
aur na shukray hon.
31.33 Logo! Apnay rab say daro aur uss din ka khof
kero jiss din baapo apnay betay ko koi nafa na phoncha
sakay ga aur na beta apnay baap ka zara sa bhi nafa kerney
wala hoga (yaad rakho) Allah ka wada sacha hai (dekho)
tumehn duniya ki zindagi dhokay mein na dalay aur na dhokay
baaz (shetan) tumehn dhokay mein daal dey.
31.34 Be-shak
Allah Taalaa hi kay pass qayamat ka ilm hai wohi barish
nazil farmata hai aur maa kay pet mein jo hai ussay janta
hai. Koi (bhi) nahi janta kay kal kiya (kuch) keray ga?
Na kissi ko yeh maloom hai kay kiss zamin mein maray ga
(yaad rakho) Allah Taalaa ho pooray ilm wala aur sahih
khabron wala hai. |
|
| Surat-Sajdah
32 |
| (Sura-Sajdah Makka mai
Nazil hui, is mai tees (30) Aayatain hain) |
| |
32.01 Alif-laam-meem
32.02 Bila shuba iss kitab ka utarna tamam jahano kay
perwerdigar ki taraf say hai.
32.03 Kiya yeh kehtay hain kay iss ney issay gharh
liya hai. ( nahi nahi) bulkay yeh teray rab Taalaa ki
taraf say haq hai takay aap unhen darayen jin kay pass
aap say pehlay koi daraney wala nahi aaya takay woh raah-e-raast
per aajyen.
32.04 Allah Taalaa woh hai jiss ney aasmano-o- zamin
ko aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ko cheh din mein
pedah ker diya phir arsh per qaeem hua tumharay liye uss
kay siwa koi madadgar aur sifarishi nahi. Kiya phir bhi
tum naseehat hasil nahi kertay.
32.05 Woh aasman say ley ker zamin tak (her) kaam ki
tadbeer kerta hai phir (woh kaam) aik aisay din mein uss
ki taraf charh jata hai jiss ka andaza tumhari ginti kay
aik hazar saal kay barbar hai.
32.06 Yehi hai chupay khullay ka jannay wala zabardast
ghalib boht hi meharban.
32.07 Jiss ney khoob banaee jo cheez bhi banaee aur
insan ki banawat mitti say shuroo ki.
32.08 Phir uss ki nasal aik bey wuqat paani kay nichor
say chalaee.
32.09 Jissay theek thaak ker kay apni rooh phonki ussi
ney tumharay kaan aankhen aur dil banaye (iss per bhi)
tum boht hi thora ehsan mantay ho.
32.10 Aur enhon ney kaha kiya jab hum zamin mein rul
mill jayen gay kiya phir naee pedaeesh mein aajeyn gay?
Bulkay (baat yeh hai) kay woh log apnay perwerdigar ki
mulaqat kay munkir hain.
32.11 Keh
dijiye! kay tumhen maut ka farishta fot keray ga jo tum
per muqarrar kiya gaya hai phir tum sab apnay perwerdigar
ki taraf lotaye jaogay.
32.12 Kaash kay aap dekhtay jab kay gunehgar log apnay
rab Taalaa kay samney sir jhukaye huyey hongay kahen gay
aey humaray rab! Hum ney dekh liya aur sunn liya abb tu
humen wapis lota dey hum nek aemaal keren gay hum yaqeen
kerney walay hain.
32.13 Agar hum chahtay to her shaks ko hidayat naseeb
farma detay lekin meri yeh baat bilkul haq ho chuki hai
kay mein zaroor zaroor jahannum ko insano aur jinno say
pur kerdoon ga.
32.14 Abb tum apnay iss din ki mulaqat kay faramosh
ker denay ka maza chakho hum ney bhi tumhen bhula diya
aur apney kiye huye aemaal (ki shamat) say abdi azab ka
maza chakho.
32.15 Humari aayaton per wohi emaan latay hain jinhen
jab kabhi inn say naseehat ki jati hai to woh sajday mein
gir partay hain aur apnay rab ki hamd kay sath uss ki
tasbeeh parhtay hain aur takabbur nahi kertay hain.
32.16 Inn ki kerwaten apnay bistaron say alag rehti
hain apnay rab ko khof aur umeed kay sath pukartay hain
aur jo kuch hum ney enhen dey rakha hai woh kharach kertay
hain.
32.17 Koi nafs nahi janta jo kuch hum ney unn ki aankhon
ki thandak unn kay liye posheeda ker rakhi hai jo kuch
kertay thay yeh uss ka badla hai.
32.18 Kiya woh jo momin ho misil uss kay hai jo fasiq
ho? Yeh barbar nahi ho saktay.
32.19 Jin logon ney emaan qabool kiya aur nek aemaal
bhi kiye unn kay liye humeshgi wali jannaten hain mehmandari
hai unn kay aemaal kay badlay jo woh kertay thay.
32.20 Lekin jin logon ney hukum adooli ki unn ka thikana
dozakh hai. Jab kabhi iss say bahir nikalna chahyen gay
issi mein lota diyey jayen gay. Aur kah diya jayega kay
apnay jhutlaney kay badlay aag ka azab chakho.
32.21 Bil-yaqeen
hum enhen qareeb kay chotay say baaz azab iss baray azab
kay siwa chakhayen gay takay woh lot aayen.
32.22 Uss
say barh ker zalim kaun hai jissay Allah Taalaa ki aayaton
say waaz kiya gaya phir bhi uss ney unn say mun pher liya
(yaqeen mano) kay hum bhi gunehgaron say intiqam leney
walay hain.
32.23 Be-shak hum ney musa ko kitab di pus aap ko hergiz
uss ki mulaqat mein shak na kerna chahyey aur hum ney
ussay bani israeel ki hidayat ka zariya banaya.
32.24 Aur jab unn logon ney sabar kiya to hum ney unn
mein say aisay paishwa banaye jo humaray hukum say logon
ko hidayat kertay thay aur woh humari aayaton per yaqeen
rakhtay thay.
32.25 Aap ka rab inn (sab) kay darmiyan unn inn (tamam)
baaton ka faisla qayamat kay din keray ga jin mein woh
ikhtilaf ker rahey hain.
32.26 Kiya iss baat ney bhi enhen hidayat nahi di kay
hum ney inn say pehlay boht si ummaton ko halak ker diya
jin kay makano mein yeh chal phir rahey hain. Iss mein
to (bari) bari nishaniyan hain. Kiya phir bhi yeh nahi
sunntay?
32.27 Kiya yeh nahi dekhtay kay hum pani ko banjar
(ghair abad) zamin ki taraf baha ker ley jatay hain phir
iss say hum khetiyan nikaltay hain jissay inn kay chopaye
aur yeh khud khatay hain kiya phir bhi yeh nahi dekhtay?
32.28 Aur kehtay hain kay yeh faisla kab hoga? Agar
tum sachay ho (to batlao).
32.29 Jawab dey do kay faislay walay din emaan lana
bey emaanon ko kuch kaam na aaye ga aur na unhen dheel
di jayegi.
32.30 Abb aap inn ka khayal chor den aur muntazir rahen
yeh bhi muntazir hain.
|
| Surat-Ahzaab
33 |
| (Sura-Ahzaab Makka mai
Nazil hui, is mai tehattar (73) Aayatain hain) |
| |
34.01 Aey nabi Allah Taalaa say dartay rehna aur kafiron
aur munafiqon ki baaton mein na aajana Allah Taalaa baray
ilm wala aur bari hikmat wala hai.
34.02 Jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say
wahee ki jati hai uss ki tabey daari keren (yaqeen mano)
kay Allah tumharay her aik amal say ba-khabar hai.
34.03 Aap Allah hi per tawakkal rakhen woh kaar saazi kay liye
kafi hai.
34.04 Kissi aadmi kay seenay mein Allah Taalaa ney
do dil nahi rakhay aur apni jin biwiyon ko tum maa keh
bethtay ho unhen Allah ney tumhari (sach much ki) maayen
nahi banaya aur na tumharay ley paalak larkon ko (waqaee)
tumharay betay banaya hai yeh to tumharay apnay mun ki
baaten hain Allah Taalaa haq baat farmata hai aur woh
(seedhi) raah sujhata hai.
34.05 Lay palakon ko unn kay (haqeeqi) baapon ki taraf
nisbat kerkay bulao Allah kay nazdeek poora insaf yeh
hi hai. Phir agar tumhen unn kay (haqeeqi) baapon ka ilm
hi na ho to woh tumharay deeni bhai aur dost hain tum
say bhool chook mein jo kuch hojaye uss mein tum per koi
gunah nahi albata gunah woh hai jiss ka tum irada dil
say kero. Allah Taalaa bara hi bakhshney wala meharbaan
hai.
34.06 Payghumber momino per khud unn say bhi ziyada
haq rakhney walay hain aur payghumber ki biwiyan momino
ki maayen hain aur rishtay daar kitabullah ki roo say
ba-nisbat doosray momino aur mohajiron kay aapas mein
ziyada haq daar hain (haan) magar yeh kay tum apnay doston
kay sath husn-e-salook kerna chahao. Yeh hukum kitab (elahee)
mein likha hua hai.
34.07 Jabkay hum ney tamam nabiyon say ehad liya aur
(bil-khusoos) aap say aur nooh say aur ibrahim say aur
musa say aur mariyam kay betay essa say aur hum ney unn
say (pakka aur) pukhta ehad liya.
34.08 Takay Allah Taalaa sachon say unn ki sachaee
kay baray mein daryaft farmaye aur kafiron kay liye hum
ney alamnaak azab tayyar ker rakhay hain.
34.09 Aey
emaan walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya ussay
yaad kero jabkay tumharay muqablay ko fojon per fojen
aaen phir hum ney unn per tez-o-tund aandhi aur aisay
lashker bhejay jinhen tum ney dekha hi nahi aur jo kuch
tum kertay ho Allah Taalaa sab kuch dekhta hai.
34.10 Jabkay (dushman) tumharay pass uper say aur neechay
say charh aaye aur jabkay aankhen pathra gaen aur kalejay
mun ko aagaye aur tum Allah Taalaa ki nisbat tarah tarah
kay gumaan kerney lagay.
34.11 Yehi
momin aazmaye gaye aur poori tarag woh jhanjhor diyey
gaye.
34.12 Aur uss waqt munafiq aur woh log jin kay dilon
mein (shak ka) rog tha kehney lagay Allah Taalaa aur uss
kay rasool ney hum say mehaz dhoka faraib ka hi wada kiya
tha.
34.13 Inn hi ki aik jamaat ney haank lagaee kay aey
madina walon! Tumharay liye thikana nahi chalo lot chalo
aur inn ki aik aur jamaat yeh keh ker nabi say ijazat
maangney lagi kay humaray ghar ghair mehfooz hain halankay
woh (khullat huyey aur) ghair mehfooz na thay (lekin)
unn ka pukhta iradah bhaag kharay honey ka tha.
34.14 Aur agar madiney kay aitraaf say unn per (lashker)
dakhil kiye jatay phir unn say fitna talab kiya jata to
yeh zaroor issay barpa ker detay aur na lartay magar thori
muddat.
34.15 Iss say pehlay to enhon ney Allah say ehad kiya
tha kay peeth na pheren gay aur Allah Taalaa say kiye
huyey waday ki baaz purs zaroor hogi.
34.16 Keh dijiye kay go tum maut say ya khof-e-qatal
say bhago to yeh bhagna tumhen kuch bhi kaam na aaye ga
aur uss waqt tum boht hi kum faeedah uthao gay.
34.17 Poochiye! To kay agar Allah Taalaa tumhen koi
buraee phonchana chahaye ye tum per koi fazal kerna chahaye
to kaun hai jo tumhen bacha sakay (ya tum say rok sakay?)
apnay liye b-juz Allah Taalaa kay na koi humayati payen
gay na madadgar.
34.18 Allah Taalaa tum mein say unhen (ba-khoobi) janta
hai jo doosron ko roktay hain aur apnay bhai bando say
kehtay hain kay humaray pass chalay aao. Au kabhi kabhi
hi laraee mein aajatay hain.
34.19 Tumhari madad mein (pooray) bakheel hain phir
jab khof-o-dehshat ka moqa aajaye to aap enhen dekhen
gay kay aap ki taraf nazar jama detay hain aur inn ki
aankhen iss tarah ghoomti hain jaisay uss shaks ki jiss
per maut ki ghashi taari ho. Phir jab khof jata rehta
hai to tum per apni tez zabano say bari baaten banatay
hain maal kay baray hi harees hain yeh emaan laye hi nahi
hain Allah Taalaa ney inn kay tamam aemaal nabood ker
diye hain aur Allah Taalaa per yeh boht hi aasan hai.
34.20 Samjhtay hain kay abb tak lashkar chalay aur
agar fojen aajayen to tamannayen kertay hain kay kaash!
Woh sehra mein badiya nashiniyon kay sath hotay kay tumhari
khabren daryaft kiya kertay agar woh tum mein mojood hotay
(to bhi kiya?) na lartay magar baraye naam.
34.21 Yaqeenan
tumharay liye rasool Allah mein umdah namoona (mojood)
hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa ki aur qayamat
kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah Taalaa
ki yaad kerta hai.
34.22 Aur emaan daron ney jab (kuffar kay) lashkaron
ko dekha (bay saakhta) keh uthay! Kay enhin ka wada humen
Allah Taalaa ney aur uss kay rasool ney diya tha aur Allah
Taalaa aur uss kay rasool ney sach farmaya aur iss (cheez)
ney unn kay emaan mein aur shewa-e-faman bardari mein
aur izafa ker diya.
34.23 Momino mein (aisay) log bhi hain jinhon ney jo
ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya
baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay
kay) muntazir hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki.
34.24 Takay Allah Taalaa sahon ko unn ki sachaee ka
badla dey aur agar chahaye to munafiqon ko saza dey ya
unn ki toba qabool farmaye Allah Taalaa bara hi bakhshney
wala boht hi meharbaan hai.
34.25 Aur Allah Taalaa ney kafiron ko gussay mein bharay
huyey hi (na murad) lota diya unhon ney koi faeeda nahi
paya aur uss jang mein Allah Taalaa khud hi momino ko
kafi hogaya Allah Taalaa bara hi qooaton wala aur ghalib
hai.
34.26 Aur jin ehal-e-kitab ney unn say saaz baaz kerli
thi unhen (bhi) Allah Taalaa ney unn qilon say nikal diya
aur unn kay dilo mein (bhi) rob bhar diya kay tum unn
kay aik girho ko qatal ker rahey ho aur aik giroh ko qaidi
bana rahey ho.
34.27 Aur uss ney tumhen unn ki zamino ka aur unn kay
gharbaar ka aur unn kay maal ka waris bana ker diya aur
uss zamin ka bhi jiss ko tumharay qadmon ney ronda nahi
Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
34.28 Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum
zindaganiy-e-duniya aur zeenat-e-duniya chahati ho to
aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay
sath tukhsat ker doon.
34.29 Aur agar tumhari murad Allah aur uss ka rasool
aur aakhirat ka ghar hai to (yaqeen mano kay) tum mein
say nek kaam kerney waliyon kay liye Allah Taalaa ney
boht zabardast ajar rakh choray hain.
34.30 Aey nabi ki biwiyo! Tum mein say jo bhi khulli
bey hayaee (ka irtikab) keray gi ussay dohra dohra azab
diya jayega aur Allah Taalaa key nazdeek yeh boht hi sehal
(si baat) hai.
|
|