 |
| World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-ul-Fateha
01 |
| |
| (Sura-e-Fateha Makka mai Nazil
hui, is mai saat (7) Aayatain hain) |
| |
| 01.01 ALLAH
ke naam se jo bohat maherban bohat raham kerne wala |
| |
| 01.02 Sab
tareef Allah Taalaa kay liye hai jo tamam jahanon ka palney
wala hai. |
| |
| 01.03 Bara
meharban nihayat reham kerney wala. |
| |
| 01.04 Badlay
kay din (yani qayamat) ka maalik hai. |
| |
| 01.05 Hum
sirf teri hi ibadat kertay hain aur sirf tujh hi say madad chahatay
hain. |
| |
| 01.06 Humen
seedhi (aur sachi) raah dikha. |
| |
| 01.07 Unn
logon ki raah jin per tu ney inaam kiya unn ki nahi jin per
ghazab kiya gaya aur nagumrahon ki. |