| Surat-ul-Baqara
02 |
| (Sura-e-Baqara Madina mai Nazil
hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain) |
| |
| Page 5, Aayat 101-125 |
| |
| 02.101 Jab
kabhi inn kay pass Allah ka koi rasool inn ki kitab ki tasdeeq
kerney wala aaya inn ehal-e-kitab kay aik firqay ney Allah ki
kitab ko iss tarah peeth peechay daal diya goya jantay hi na
thay. |
| |
| 02.102 Aur
uss cheez kay peechay parr gaye jissay shayateen (hazrat) suleman
ki hukoomat mein parhtay thay. Suleman ney to kufur na kiya
tha bulkay yeh kufur shetanon ka tha woh logon ko jadoo sikhaya
kertay thay aur babul mein haroot maroot do farishton per jo
utaara gaya tha woh dono bhi kissi shaks ko uss waqt tak nahi
sikhatay thay jab tak yeh na keh den kay hum to aik aazmaeesh
hain tu kufur na ker phir log inn say woh seekhtay jiss say
khawind-o-biwi mein judaee daal den aur dar-asal woh baghair
Allah Taalaa ki marzi kay kissi ko koi nuksan nahi phoncha saktay
yeh log woh seekhtay hain jo enhen nuksan phonchaye aur nafa
na phoncha sakay aur woh bil yaqeen jantay hain kay iss key
lenay walay ka aakhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad tareen
cheez hai jiss kay badlay mein woh apney aap ko farokht ker
rahey hain kaash kay yeh jantay hotay. |
| |
| 02.103 Agar
yeh log sahib-e-eman mutaqqi bann jatay to Allah Taalaa ki taraf
say behtareen sawab enehn milta agar yeh jantay hotay. |
| |
| 02.104 Aey
eman walo! Tum nabi (PBUH ko) Raaeena na kaha kero un-zurna
kaho yani humari taraf dekhiye aur suntay raha kero aur kafiron
kay liye dard naak azab hai. |
| |
| 02.105 Na
to ehal-e-kitab kay kafir aur na mushrikeen chahatay hain kay
tum per tumharay rab ki koi bhalaee nazil ho (inn kay iss hasad
say kiya hua) Allah Taalaa jissay chahaye apni rehmat-e-khusoosiyat
say ata farmaye Allah Taalaa baray fazal wala hai. |
| |
| 02.106 Jiss
aayat ko hum mansookh ker den ya bhula den iss say behtar ya
iss jaisi aur latay hain kiya tu nahi janta kay Allah Taalaa
her cheez per qadir hai. |
| |
| 02.107 Kiya
tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye
hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi. |
| |
| 02.108 Kiya
tum apney rasool say yehi poochna chahatay ho jo iss say pehlay
musa (alh-e-salam) poocha gaya tha? (suno) eman ko kufur say
badalney wala seedhi raah say bhatak jata hai. |
| |
| 02.109 Inn
ehal-e-kitab kay aksay log ba wajood haq wazeh ho janey kay
mehaz hasad-o-bughz ki bina per tumhen bhi eman say hata dena
chahatay hain tum bhi moad kero aur choro yahan tak kay Allah
Taalaa apna hukum laye. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per
qudrat rakhta hai. |
| |
| 02.110 Tum
namazen qaeem rakho aur zakat detay raha kero aur jo kuch bhalaee
tum apney liye aagay bhejo gay sab kuch Allah kay pass paa lo
gay be-shak Allah Taalaa tumharay aemaalon ko khoob dekh raha
hai. |
| |
| 02.111 Yeh
kehtay hain kay jannat mein yahud-o-nasaaraa kay siwa aur koi
na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum
sachay ho to koi daleel to paish kero. |
| |
| 02.112 Suno!
Jo bhi apney aap ko khuloos kay sath Allah kay samney jhuka
dey. Be-shak ussay uss ka rab poora badla dey ga iss per na
to koi khof hoga na ghum aur udasi. |
| |
| 02.113 Yahud
kehtay hain kay nasrani haq per nahi aur nasrani kehtay hain
kay yahudi haq per nahi halankay yeh sab log toraat parhtay
hain issi tarah inn hi jaisi baat bey ilm bhi kehtay hain. Qayamat
kay din Allah inn kay iss ikhtilaf ka faisla inn kay darmiyan
ker dey ga. |
| |
| 02.114 Uss
shaks say barh ker zalim kaun hai jo Allah Taalaa ki masjidon
mein Allah Taalaa kay zikar kiye janey ko rokay aur unn ki barbadi
ki kosish keray aisay logon ko khof khatay huye hi iss mein
jana chahaiye inn kay liye duniya mein bhi ruswaee hai aur aakhirat
mein bhi bara azab hai. |
| |
| 02.115 Aur
mashriq aur maghrib ka maalik Allah hi hai. Tum jidhar bhi mun
kero udhar hi Allah ka mun hai Allah Taalaa kushadgi aur wusat
wala aur baray ilm wala hai. |
| |
| 02.116 Yeh
kehtay hain kay Allah Taalaa ki aulad hai (nahi bulkay) woh
pak hai zamin-o-aasman ki tamam makhlooq uss ki milkiyat mein
hai aur her aik uss ka farmanbardar hai. |
| |
| 02.117 Woh
zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh
jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin
hojata hai. |
| |
| 02.118 Issi
tarah bey ilm logon ney bhi kaha kay khud Allah Taalaa hum say
baaten kiyon nahi kerta ya humaray pass koi nishani kiyon nahi
aati? Issi tarah aisi hi baat inn kay aglon ney bhi kahi thi
unn kay aur inn kay dil yaksan hogaye. Hum ney to yaqeen kerney
walon kay liye nishaniyan biyan ker den. |
| |
| 02.119 Hum
ney aap ko haq kay sath khushkhabri denay wala aur daraney wala
bana ker bheja hai aur jahannumiyon kay baray mein aap say pursish
nahi hogi. |
| |
| 02.120 Aap
say yahud-o-nasaaraa hergiz razi nahi hongay jab tak kay aap
inn kay mazaahib kay tabey na bann jayen aap keh dijiye kay
Allah ki hidayat hi hidayat hai aur agar aap ney apney pass
ba wajood ilm aajaney kay phir inn ki khuwaishon ki pairwee
ki to Allah kay pass aap ka na to koi wali hoga aur na madadgar. |
| |
| 02.121 Jinhen
hum ney kitab di hai aur woh issay parhney kay haq kay sath
parhtay hain woh iss kitab per bhi eman rakhtay hain aur jo
iss kay sath kufur keray woh nuksan wala hai. |
| |
| 02.122 Aey
aulad-e-yaqoob! Mein ney jo nematen tum per inam ki hain unhen
yaad kero aur mein to tumhen tamam jahanon per fazilat dey rakhi
thi. |
| |
| 02.123 Uss
din say daro jiss din koi nafss kissi nafss ko kuch faeeda na
phoncha sakay ga na kissi shaks say koi fidya qabool kiya jayega
na ussay koi shifaat nafa dey gi na unn ki madad ki jayegi. |
| |
| 02.124 Jab
ibrhim (alh-e-salam) ko unn kay rab ney kaee kaee baaton say
aazmaya aur unhon ney sab ko poora ker diya to Allah ney farmaya
mein tumhen logon ka imam bana doon ga araz kerney lagay aur
meri aulad ko farmaya mera wada zalimon say nahi. |
| |
| 02.125 Hum
ney bait-ullah ko logon kay liye sawab aur aman-o-aman ki jagah
banaee tum muqam-e-ibrahim ko jaye namaz muqarrar ker lo hum
ney ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) say wada
liya kay tum meray ghar ko tawaf kerney walon aur aeytikaaf
kerney walon aur rukoo sajda kerney walon kay pak saaf rakho. |
| |