| Surat-ul-Baqara
02 |
| (Sura-e-Baqara Madina mai Nazil
hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain) |
| |
| 02.01 Alif
laam meem |
| |
| 02.02 Iss
kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi perhezgaron
ko raah dikhaney wali hai. |
| |
| 02.03 Jo log
ghaib per eman latay hain aur namaz ko qaeem rakhtay hain aur
humaray diye huye (maal) mein say kharach kertay hain. |
| |
| 02.04 Aur
jo log eman latay hain uss per jo aap ki taraf utara gaya aur
jo aap say pehlay utara gaya aur woh aakhirat per bhi yaqeena
rakhtay hain. |
| |
| 02.05 Yehi
log apney rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log falah
aur nijat paney walay hain. |
| |
| 02.06 Kafiron
ko aap ka darana ya na darana barabar hai yeh log eman na layen
gay. |
| |
| 02.07 Allah
Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga
di hai aur inn ki aankhon per parda hai aur inn kay liye bara
azab hai. |
| |
| 02.08 baaz
log kehtay hain kay hum Allah Taalaa per aur qayamat kay din
per eman rakhtay hain lekin dar haqeeqat woh eman walay nahi
hain. |
| |
| 02.09 Woh
Allah Taalaa ko aur eman walon ko dhoka detay hain lekin dar-asal
woh khud apney aap ko dhoka dey rahey hain magar samajhtay nahi. |
| |
| 02.10 Unn
kay dilon mein beemari thi Allah Taalaa ney unhen beemari mein
mazeed barha diya aur unn kay jhoot ki waja say unn kay liye
dard naak azab hai. |
| |
| 02.11 Aur
jab inn say kaha jata hai kay zamin mein fasaad na kero o jawab
detay hain kay hum to sirf islaah kerney walay hain. |
| |
| 02.12 Khabardaar
ho! yaqeenan yehi log fasaad kerney walay hain lekin shaoor
(samajh) nahi rakhtay. |
| |
| 02.13 Aur
jab inn say kaha jata hai kay aur logon (yani sahaba) ki tarah
tum bhi eman lao to jawab detay hain kay kiya hum aisa eman
layen jaisa bey waqoof laye hain khabardaar hojao! yaqeenan
yehi bey waqoof hain lekin jantay nahi. |
| |
| 02.14 Aur
jab eman walon say miltay hain to kehtay hain kay hum bhi eman
walay hain aur jab apney baron kay pass jatay hain to kehtay
hain kay hum to tumharay sath hain hum to inn say sirf mazaq
kertay hain. |
| |
| 02.15 Allah
Taalaa bhi inn say mazaq kerta hai aur enhen inn ki sirkashi
aur behkaway mein aur barha deta hai. |
| |
| 02.16 Yeh
woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay mein khareed
liya pus na to inn ki tijarat ney inn ko faeeda phonchaya aur
na yeh hidayat walay huye. |
| |
| 02.17 Inn
ki misal uss shaks ki si hai jiss ney aag jalaee pus aas pass
ki cheezen roshni mein aaee hi thin kay Allah unn kay noor ko
ley gaya aur enhen andheron mein chor diya jo nahi dekhtay. |
| |
| 02.18 Behray
goongay andhay hain. Pus woh nahi lottay. |
| |
| 02.19 Ya aasmani
barsaat ki tarah jiss mein andheriyan aur garaj aur bijli ho
maut ki darr say karakay ki waja say apni ungliyan apney kaanon
mein daal letay hain. Aur Allah Taalaa kafiron ko gherney wala
hai. |
| |
| 02.20 Qareeb
hai kay bijli inn ki aankhen uchak ley jaye jab inn kay liye
roshni kerti hai to chaltay phirtay hain aur jab inn per andhera
kerti hai to kharay hojatay hain aur agar Allah Taalaa chahaye
to inn kay kanon aur aankhon ko bey kaar kerdey. Yaqeenan Allah
Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai. |
| |
| 02.21 Aey
logo! apney uss rab ki ibadat kero jiss ney tumhen aur tum say
pehlay kay logon ko peda kiya yehi tumhara bachao hai. |
| |
| 02.22 Jiss
ney tumharay liye zamin ko farash aur aasman ko chatt banaya
aur aasman say pani utaar ker uss say phal peda ker kay tumhen
rozi di khabardaar bawajood janney kay Allah kay shareek muqarrar
na kero. |
| |
| 02.23 Hum
ney jo kuch apney banday per utara hai uss mein agar tumhen
shak ho aur tum sachay ho to iss jaisi aik surat to bana lao
tumhen ikhtiyar hai kay Allah Taalaa kay siwa apney madadgaron
ko bhi bula lo. |
| |
| 02.24 Pus
agar tum ney na kiya aur tum hergiz nahi ker saktayto (issay
sacha maan ker) uss aag say bacho jiss ka endhan insan aur pathar
hain jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai. |
| |
| 02.25 Aur
eman walon aur nek amal kerney walon ko unn jannaton ki khushkhabriyan
do jin kay neechay nehren beh rahi hain. Jab kabhi woh phalon
ka rizq diye jayen gay aur hum shakal laye jayen gay to kahen
gay yeh wohi hain jo hum iss say pehlay diye gaye thay aur unn
kay liye biwiyan hain saaf suthri aur unn jannaton mein hamesha
rehney walay hain. |
| |