| Surat-Al-e-Imran
03 |
| (Sura-Al-e-Imran Madina mai
Nazil hui, is mai doso (200) Aayatain hain) |
| |
| 03.01 Alif
Laam meem. |
| |
| 03.02 Allah
Taalaa woh hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab
ka nigehban hai. |
| |
| 03.03 Jiss
ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney
say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay
toraat aur injeel ko utara tha. |
| |
| 03.04 Iss
say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur quran bhi
ussi ney utara jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay
hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Taalaa ghalib hai
badla lenay wala hai. |
| |
| 03.05 Yaqeenan
Allah Taalaa per zamin-o-aasman ki koi cheez posheeda nahi. |
| |
| 03.06 Woh
maa kay pet mein tumhari soorten jiss tarah ki chahta hai banata
hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh ghalib hai hikmat
wala hai. |
| |
| 03.07 Wohi
Allah Taalaa hai jiss ney tujh per kitab utari jiss mein wazeh
mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh
aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai woh to iss ki
mutashabeh aayaton kay peechay lag jatay hain fitney ki talab
aur inn kay murad ki justujoo kay liye halankay inn ki haqeeqi
murad ko siwaye Allah Taalaa kay koi nahi janta aur pukhta aur
mazboor ilm walay yehi kehtay hain kay hum to inn per eman laa
chukay yeh humaray rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf
aqal mand hi hasil kertay hain. |
| |
| 03.08 Aey
humaray rab! Humen hidayat denay kay baad humaray dil tehray
na ker dey aur humen apney pass say rehmat ata farma yaqeena
tu hi boht bari ata denay wala hai. |
| |
| 03.09 Aey
humaray rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama kerney wala hai
jiss kay aaney mein koi shak nahi yaqeenan Allah Taalaa wada
khilafi nahi kerta. |
| |
| 03.10 Kafiron
ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah Taalaa (kay azab) say
churaney mein kuch kaam na aayen gi yeh to jahannum ka endhan
hi hain. |
| |
| 03.11 Jaisa
aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay unhon
ney humari aayaton ko jhutlaya phir Allah Taalaa ney bhi unhen
unn kay gunahon per pakar liya aur Allah Taalaa sakht azab wala
hai. |
| |
| 03.12 Kafiron
say keh dijiye! Kay tum un-qarib maghloob kiye jao gay aur jahannum
ki taraf jama kiye jao gay aur woh bura thikana hai. |
| |
| 03.13 Yaqeenan
tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaton mein jo guth
gaee thin aik jamat to Allah Taalaa ki raah mein larr rahi thi
aur doosra giroh kafiron ka tha woh unhen apni aankhon say apney
say dugna dekhtay thay aur Allah Taalaa jisay chahaye apni madad
say qavi kerta hai. Yaqeenan iss mein aankhon walon kay liye
bari ibrat hai. |
| |
| 03.14 Marghoob
cheezon ki mohabbat logon kay liye muzayyen ker di gaee hai
jaisay aurten aur betay aur soney aur chandi kay jama kiye huye
khazaney aur nishandaar ghoray aur chopaye aur kheti yeh duniya
ki zidagi ka saman hai aur lotney ka acha thikana to Allah Taalaa
hi kay pass hai. |
| |
| 03.15 Aap
keh dijiye! Kiya mein tumhen iss say boht hi behat cheez bataon?
Taqwa walon kay liye unn kay rab taalaa kay pass jannaten hain
jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen
gay aur pakeeza biwiyan aur Allah Taalaa ki raza mandi hai sab
banday Allah Taalaa ki nigah mein hain. |
| |
| 03.16 Jo kehtay
hain kay aey humaray rab! Hum eman laa chukay iss liey humaray
gunah moaf farma aur humen aag kay azab say bacha. |
| |
| 03.17 Jo sabar
kerney walay aur sach bolney walay aur farmanbardari kerney
walay aur Allah ki raah mein kharach kerney walay aur pichli
raat ko baksish maangney walay hain. |
| |
| 03.18 Allah
Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain
kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney
wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay
laeeq nahi. |
| |
| 03.19 Be-shak
Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab
ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad
ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton
kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay
wala hai. |
| |
| 03.20 Phir
bhi agar yeh aap say jhagren to aap keh den kay mein aur meray
tabey daaron ney Allah Taalaa kay samney apna sir tasleem khum
ker diya hai aur ehal-e-kitab say aur un-parh logon say keh
dijiye! Kay kiya tum bhi ita’at kertay ho? Pus agar yeh
bhi tabye daar bann jayen to yaqeenan hidayat walay hain aur
agar yeh roo gardani keren to aap per sirf phoncha dena hai
aur Allah bandon ko khoob dekh bhaal raha hai. |
| |
| 03.21 Jo log
Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain aur na haq nabiyon
ko qatal ker daaltay hain aur jo log adal-o-insaf ki baat kahen
unhen bhi qatal ker daaltay hain to aey nabi! Enhen dard naak
azab ki khabar dey dijiye!. |
| |
| 03.22 Inn
kay aemaal duniya-o-aakhirat mein ghaarat hain aur inn ka koi
madadgar nahi. |
| |
| 03.23 Kiya
aap ney unhen nahi dekha jinhen aik hissa kitab ki diya gaya
hai woh apney aapas kay faislon kay liye Allah Taalaa ki kitab
ki taraf bulaye jatay hain phir bhi aik jamat inn ki mun pher
ker lot jati hai. |
| |
| 03.24 Iss
ki waja inn ka yeh kehna hai kay humen to ginay chuney chand
din hi aag jalaye gi inn ki ghari gharaee baaton ney enhen inn
kay deen kay baray mein dhokay mein daal rakha hai. |
| |
| 03.25 Pus
kiya haal hoga jabkay hum enhen uss din jama keren gay? Jiss
kay aaney mein koi shak nahi aur her shaks apna apna kiya poora
poora diya jayega aur inn per koi zulm na kiya jaye ga. |
| |