| Surat-Nissa
04 |
| (Sura-Nissa Madina mai Nazil
hui, is mai aikso-cheyattar (176) Aayatain hain) |
| |
| 04.01 Aey
logo apney perwerdigar say daro jiss ney tumhen aik jaan say
peda kiya aur ussi say uss ki biwi ko peda ker kay unn dono
say boht say mard aur aurten phela den uss Allah say daro jiss
kay naam per aik doosray say maangtay ho aur rishtay naatay
toryney say bhi bacho be-shak Allah Taalaa tum per nigehbaan
hai. |
| |
| 04.02 Aur
yateemon ko unn kay maal dey do aur pak aur halal cheez kay
badlay na pak aur haram cheez na lo aur apney maalon kay sath
unn kay maal mila ker kha na jao be-shak yeh boht bara gunah
hai. |
| |
| 04.03 Agar
tumhen darr ho kay yateen larkiyon say nikkah ker kay tum insaf
na rakh sako gay to aur aurton mein say jo bhi tumhen achi lagen
tum unn say nikkah kerlo do do teen teen chaar chaar say lekin
agar tumhen barabari na ker sakney ka khof ho to aik hi kafi
hai ya tumhari milkiyat ki londi yeh ziyada qarib hai kay (aisa
kerney say na insafi aur) aur aik taraf jhuk parney say bach
jao. |
| |
| 04.04 Aur
aurton ko unn kay mehar razi khushi dey do haan agar woh khud
apni khushi say kuch mehar chor den to issay shoq say khush
ho ker kha lo. |
| |
| 04.05 Bey
aqal logon ko apna maal na dey do jiss maal ko Allah Taalaa
ney tumhari guzraan kay qaeem rakhney ka zariya banaya hai haan
unhen iss maal say khilao pilao pehnao orahao aur unhen maqooliyat
say naram baat kaho. |
| |
| 04.06 Aur
yateemon ko unn kay baligh ho janey tak sidhartay aur aazmatay
raho phir agar inn mein tum hoshiyari aur husn-e-tadbeer pao
to enhen inn kay maal sonp do aur inn kay baray ho janey kay
darr say inn kay maalon ko jaldi jaldi fazool kharchiyon mein
tabah na kerdo maal daron ko chahaiye kay (inn kay maal say)
bachtay rahen haan miskeen mohtaj ho to dastoor kay mutabiq
wajibi tor say kha ley phir jab enhen inn kay maal sonpo to
gawah bana lo dar asal hisab lenay wala Allah Taalaa hi kafi
hai. |
| |
| 04.07 Maa
baap aur khawesh-o-aqarib kay tarkay mein mardon ka hissa bhi
hai aur aurton ka bhi. (jo maal maa baap aur khawesh-o-aqarib
chor maren) khuwa woh maal kum ho ya ziyada (uss mein) hissa
muqarrar kiya hua hai. |
| |
| 04.08 Aur
jab taqseem kay waqt qarabat daar aur yateem aur miskeen aajayen
to tum uss mein say thor boht enhen bhi dey do aur inn sa narmi
say bolo. |
| |
| 04.09 Aur
chahaiye kay woh iss baat say daren kay agar woh khud apney
peechay (nannhay nannhay) na tawan bachay chor jatay jin kay
zaya ho janey ka andesha rehta hai (to unn ki chahat kiya hoti)
pus Allah Taalaa say darr ker jachi tuli baat kaha kero. |
| |
| 04.10 Jo log
na haq zulm say yateemon ka maal kha jatay hain woh apney pet
mein aag hi bhar rahey hain aur un qarib woh dozakh mein jayen
gay. |
| |
| 04.11 Allah
Taalaa tumhen tumhari aulad kay baray mein hukum kerta hai kay
aik larkay ka hissa do larkiyon kay barabar hai aur agar sirf
larkiyan hi hon aur do say ziyada hon to unhen maal matrooka
ka do tehaee milay ga. Aur agar aik hi larki ho to uss kay liye
aadha hai aur mayyat kay maa baap mein say her aik kay liye
uss kay choray huye maal ka chatha hissa hai agar iss (mayyat)
ki aulad ho aur agar aulad na ho aur maa baap waris hotay hon
to uss ki maa kay liye teesra hissa hai haan agar mayyat kay
kaee bhai hon to phir uss ki maa ka chatha hissa hai. Yeh hissay
uss wasiyat (ki takmeel) kay baad hain jo marney wala ker gaya
ho ya aday-e-qarz kay baad tumharay baap hon ya tumharay betay
tumhen nahi maloom kay unn mein say kaun tumhen nafa phonchaney
mein ziyada qarib hai yeh hissay Allah Taalaa ki taraf say muqarrar
kerda hain be-shak Allah Taalaa pooray ilm aur kaamil hikmaton
wala hai. |
| |
| 04.12 Tumhari
biwiyan jo kuch chor maren aur unn ki aulad na ho to aadhon
aadh tumhara hai aur agar unn ki aulad ho to unn kay choray
huye maal say tumharay liye chothaee hissa hai. Uss wasiyat
ki adaayegi kay baad jo woh ker gaee hon ya qarz kay baad. Aur
jo (tarka) tum chor jao uss mein unn kay liye aik chothaee hai
agar tumhari aulad na ho aur agar tumhari aulad ho to phir unhen
tumharay tarkay ka aathwan hissa milay ga uss wasiyat kay baad
jo tum ker gaye ho aur qarz ki adaayegi kay baad. Aur jin ki
meerass li jati hai woh mard ya aurat kalala ho yani uss ka
baap beta na ho aur uss ka aik bhai ya aik behan ho to inn dono
mein say her aik ka chatha hissa hai aur agar iss say ziyada
hon to aik tehaee mein sab shareek hain uss wasiyat kay baad
jo ki jaye aur qarz kay baad jabkay auron ka nuksan na kiya
gaya ho yeh muqarrar kiya hua Allah Taalaa ki taraf say hai
aur Allah Taalaa daana hai burdbaar. |
| |
| 04.13 Yeh
hadden Allah Taalaa ki muqarrar ki hui hain aur jo Allah Taalaa
ki aur uss kay rasool (PBUH) ki farmanbardari keray ga ussay
Allah Taalaa jannaton mein ley jaye ga jin kay neechay nehren
beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur yeh boht bari
kaamyaabi hai. |
| |
| 04.14 Aur
jo shaks Allah Taalaa aur uss kay rasool (PBUH) ki na farmani
keray aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh
jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison
hi kay liye ruswa kun azab hai. |
| |
| 04.15 Tumhari
aurton mein say jo bey hayaee ka kaam keren unn per apney mein
say chaar gawah talab kero agar woh gawahi den to inn aurton
ko gharon mein qaid rakho yahan tak kay maut unn ki umaren poori
ker dey ya Allah Taalaa unn kay liye koi aur raasta nikalay. |
| |
| 04.16 Tum
say jo do fard aisa kaam ker len unhen ezza do agar woh tauba
aur islaah ker len to unn say mun pher lo be-shak Allah Taalaa
tauba kerney wala aur reham kerney wala hai. |
| |
| 04.17 Allah
Taalaa sirf unhi logon ki tauba qabool farmata hai jo ba waja
nadani koi buraee ker guzren phir jald uss sa baaz aajayen aur
tauba keren to Allah Taalaa bhi unn ki tauba qabool kerta hai
Allah Taalaa beray ilm wala hikmat wala hai. |
| |
| 04.18 Unn
ki tauba nahi jo buraiyan kertay chalay jayen yahan tak kay
jab inn mein say kissi kay pass maut aajaye to keh dey kay mein
ney abb tauba ki aur unn ki tauba bhi qabool nahi jo kufur per
hi marr jayen yehi log hain jin kay liye hum ney alam naak azab
tayyar ker rakha hai. |
| |
| 04.19 Eman
walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko virsay mein
ley betho unhen iss liye rok na rakho kay jo tum ney unhen dey
rakha hai uss mein say kuch ley lo haan yeh aur baat hai kay
woh koi khuli buraee aur bey hayaee keren unn kay sath achay
tareeqay say bod-o-baash rakho go tum unhen na pasand kero lekin
boht mumkin hai kay tum kissi cheez ko bura jano aur Allah Taalaa
iss mein boht hi bhalaee ker dey. |
| |
| 04.20 Aur
agar tum aik biwi ki jagah doosri biwi kerna hi chahao aur inn
mein say kissi ko tum ney khazana ka khazana hi dey rakha ho
to bhi uss mein say kuch na lo kiya tum issay na haq aur khula
gunah hotay huye bhi ley lo gay tum issay kaisay ley lo gay. |
| |
| 04.21 Halankay
tum aik doosray say mill chukay ho aur inn aurton ney tum say
mazboot ehad-o-paymaan ley rakh hai. |
| |
| 04.22 Aur
unn aurton say nikkah na kero jin say tumharay baapon ney nikkah
kiya hai magar jo guzar chuka hai yeh bey hayaee ka kaam aur
bughz ka sabab hai aur bari buri raah hai. |
| |
| 04.23 Haram
ki gaeen tum per tumhari maayen aur tumhari larkiyan tumhari
behnen tumhari phoopiyan aur tumhari khalaayen aur bhai ki larkiyan
aur behan ki larkiyan aur tumhari woh maayen jinhon ney tumhen
doodh pilaya ho aur tumhari doodh sharik behnen aur tumhari
saas aur tumhari woh perwerish kerda larkiyan jo tumhari godd
mein hain tumhari unn aurton say jin say tum dakhool ker chukay
ho haan agar tum ney unn say jamaa na kiya ho to tum oer koi
gunah nahi aur tumharay salbi sagay beton ki biwiyan aur tumhara
do behnon ka jama kerna haan jo guzar chuka so guzar chuka yaqeenan
Allah Taalaa bakshney wala meharban hai. |
| |
| 04.24 Aur
(haram ki gaeen) shoher wali aurten magar woh jo tumhari milkiyat
mein aajayen Allah Taalaa ney yeh ehkaam tum per farz ker diye
hain aur inn aurton kay siwa aur aurten tumharay liye halal
ki gaeen kay apney maal kay mehar say tum inn say nikkah kerna
chahao buray kaam say bachne kay liye na kay shewat rani kay
liye iss liye jin say tum faeeda uthao unhen unn ka muqarrar
kiya hua mehar dey do aur mehar muqarrar ho janey kay baad tum
aapas ki raza mandi say jo tey ker lo uss mein tum per koi gunah
nahi be-shak Allah Taalaa ilm wala hikmat wala hai. |
| |
| 04.25 Aur
tum mein say jiss kissi ko aazad musalman aurton say nikkah
kerney ki poori wus’at-o-taqat na ho to woh musalman londiyon
say jin kay tum maalik ho (apna nikkah ker ley) Allah tumharay
aemaal ko ba khoobi janney wala hai tum sab aapas mein aik hi
to ho iss liye unn kay maalikon ki ijazat say unn say nikkah
kerlo aur qaeeday kay mutabiq unn kay mehar unn ko do woh pak
daaman hon na kay aelaaniya bad kaari kerney waliyan na khufia
aashnaee kerney waliyan pus jab yeh londiyan nikkah mein aajayen
phir agar woh bey hayaee ka kaam keren to unhen aadhi saza hai
uss saza say jo aazad aurton ki hai. Kaneezon say nikkah ka
yeh hukum tum mein say unn logon kay liye hai jinhen gunah aur
takleef ka andesha ho aur tumhara zabt kerna boht behtar hai
aur Allah Taalaa bara bakshney wala aur bari rehmat wala hai. |
| |