| Surat-Maeeda
05 |
| (Sura-Maeeda Madina mai Nazil
hui, is mai aikso-bees (120) Aayatain hain) |
| |
05.01 Aey
eman walo! Ehad-o-paymaan pooray kero tumharay liye maweshi
chopaye halal kiye gaye hain ba-juz unn kay jin kay naam parh
ker suna diye jayen gay magar halat-e-ehraam mein shikar ko
halal jannay walay na banna yaqeenan Allah jo chahaye hukum
kerta hai.
05.02 Aey eman walo!
Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay
maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye
gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki
jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss
ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar
dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram
say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na
keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik
doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein
madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah
Taalaa sakht saza denay wala hai.
05.03 Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer
ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara
gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say
marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo
kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney
phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi
aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa
kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah
hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar!
Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney
tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam
bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per
raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar
hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na
ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban
hai.
05.04 Aap say daryaft kertay
hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay
tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar
khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen
tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney
tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar
ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa
kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay
raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
05.05 Kul pakeezah cheezen aaj tumharay
liye halal ki gaeen aur ehal-e-kitab ka zabeeha tumharay liye
halal hai aur tumhara zabeeha unn kay liye halal hai aur pak
daaman musalman aurten aur jo log tum say pehlay kitab diye
gaye hain unn ki pak daaman aurten bhi halal hain jabkay tum
unn kay mehar ada kero iss tarah kay tum unn say ba-qaeeda nikkah
kero yeh nahi kay aelaaniya zinna kero ya posheedah bad kaari
kero munkireen-e-eman kay aemaal zaya aur ikaarat hain aur aakhirat
mein woh haarney walon mein say hain.
05.06 Aey eman walo! Jab tum namaz kay liye utho to apney
mun ko aur apney haathon ko kohniyon samet dho lo aur apney
siron ka masah kero aur apney paon ko takhnon samet dho lo aur
agar tum janabat ki halat mein ho to ghusul kerlo haan agar
tum beemar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein say koi
hajat zaroori say farigh ho ker aaya ho ya tum aurton say milay
ho aur tumhen pani na milay to tum pak mitti say tayammum kerlo
issay apney chehron per aur haathon per mall lo Allah Taalaa
tum per kissi qisam ki tangi nahi daalna chahata bulkay uss
ka irada tumhen pak kerney ka aur tumhen apni bharpoor nemat
denay ka hai takay tum shukar ada kertay raho.
05.07 Tum per Allah Taalaa ki jo nematen nazil
hui hain unhen yaad rakho aur uss kay uss ehad ka bhi jiss ka
tum say mohida hua hai jabkay tum ney kaha hum ney suna aur
maana aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa
dilon ki baaton ka jannay wala hai.
05.08 Aey eman walo! Tum Allah ki khatir haq per qaeem hojao
raasti aur insaf kay sath gawahi denay walay bann jao kissi
qom ki adawat tumhen khilaf-e-adal per aamaada na ker dey adal
kiya kero jo perhezgari kay ziyada qarib hai aur Allah Taalaa
say dartay raho yaqeen mano kay Allah Taalaa tumharay aemaal
say ba khabar hai.
05.09 Allah
Taalaa ka wada hai jo eman layen aur nek kaam keren unn kay
liye wasee maghfirat aur boht bara ajar-o-sawab hai.
05.10 Aur jin logon ney kufur kiya aur humaray
ehkaam ko jhutlaya woh dozakhi hain.
05.11 Aey
eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya hai ussay
yaad kero jabkay aik qom ney tum per dast darazi kerni chahai
to Allah Taalaa ney unn kay haathon ko tum tak phonchney say
rok diya aur Allah Taalaa say dartay raho aur mominon ko Allah
Taalaa hi per bharosa kerna chahaiye.
05.12 Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan
liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye
aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath
hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay
aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay
raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan
mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn
jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey
hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari
ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya.
05.13 Phir unn ki ehad shikni ki waja say hum
ney unn per apni laanat nazil farma di aur unn kay dil sakht
ker diye kay woh kalaam ko uss ki jagah say badal daaltay hain
aur jo kuch naseehat unhen ki gaee thi uss ka boht bara hissa
bhula bethay unn ki aik na aik khayanat per tujhay itlaa milti
hi rahey gi haan thoray say aisay nahi bhi hain pus tu unhen
moaf kerta jaa aur dar guzar kerta reh be-shak Allah Taalaa
ehsan kerney walon say mohabbat kerta hai.
05.14 Aur jo apney aap ko nasrani kehtay hain hum ney unn
say bhi ehad-o-paymaan liya unhon ney bhi iss ka bara hissa
faramosh ker diya jo unhen naseehat ki gaee thi to hum ney bhi
unn kay aapas mein bughz-o-adawat daal di jo ta-qayamat rahey
gi aur jo kuch yeh kertay thay un-qarib Allah Taalaa unhen sab
bata dey ga.
05.15 Aey ehal-e-kitab!
Tumhara pass humara rasool (PBUH) aa chuka hai jo tumahray samney
kitab-ullah ki bakasrat aisi baaten zahir ker raha hai jinhen
tum chupa rahey thay aur boht si baaton say dar guzar kerta
hai tumharay pass Allah Taalaa ki taraf say noor aur wazeh kitab
aa chuki hai.
05.16 Jiss kay zariye say
Allah Taalaa unhen jo raza-e-rab kay darpay hon salamti ki raahen
batlata hai aur apni tofiq say andheron say nikal ker noor ki
taraf laata hai aur raah-e-raast ki taraf unn ki rehbari kerta
hai.
05.17 Yaqeenan woh log kafir
hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai
aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur
uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena
chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta
ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah
Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah
Taalaa her cheez per qadir hai.
05.18 Yahud-o-nasaara
kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap
keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah
kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein
say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay
chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan
ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf
lotna hai.
05.19 Aey ehal-e-kitab!
Bil yaqeen humara rasool tumharay pass rasoolon ki aamad kay
aik waqfay kay baad aa phoncha hai. Jo tumharay liye saaf saaf
biyan ker raha hai takay tumhari yeh baat na reh jaye kay humaray
pass to koi bhalaee buraee sunaney wala aaya hi nahi pus abb
to yaqeenan khushkhabri sunaney wala aur aagah kerney wala aa
phoncha aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
05.20 Aur yaad kero musa (alh-e-salam) ney
apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Allah Taalaa kay uss
ehsan ka zikar kero kay uss ney tum mein say payghumbar banaye
aur tumhen badshah bana diya aur tumhen woh diya jo tamam aalam
mein kissi ko nahi diya.
05.21 Aey
meri qom walo! Iss muqaddas zamin mein dakhil ho jao jo Allah
Taalaa ney tumharay naam likh di hai aur apni pusht kay ball
roo gardaani na kero kay phir nuksan mein jaa paro.
05.22 Unhon ney jawab diya kay aey musa wahan
to zor aawar sirkash log hain aur jab tak woh wahan say na nikal
jayen hum to hergiz wahan na jayen gay haan agar woh wahan say
nikal jayen phir to hum (ba khushi) chalay jayen gay.
05.23 Do shakson ney jo khuda taras
logon mein say thay jin per Allah Taalaa ka fazal tha kaha kay
tum unn kay pass darwazay mein to phonch jao darwazay mein qadam
rakhtay hi yaqeenan tum ghalib aajao gay aur agar tum momin
ho to tumhen Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahaiye.
05.24 Qom ney jawab diya kay aey musa!
Jab tak woh wahan hain tab tak hum hergiz wahan na jayen gay
iss liye tum aur tumhara perwerdigar jaa ker dono hi larr bhiro
hum yahin bethay huye hain.
05.25 Musa
(alh-e-salam) kehney lagay elahee! Mujhay to ba-juz apney aur
meray bhai kay kissi aur per koi ikhtiyar nahi pus tu hum mein
aur inn na farmanon mein judaee ker dey. |
| |