| Surat-Aanam
06 |
| (Sura-Aanam Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-pansath (165) Aayatain hain) |
| |
| 06.01 Tamam
tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin
ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir
log (ghair Allah ko) apney rab kay barabar qarar detay hain. |
| |
| 06.02 Woh
aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik waqt moyyen
kiya aur (doosra) moyyen waqt khaas Allah hi kay nazdeek hai
phir bhi tum shak rakhtay. |
| |
| 06.03 Aur
wohi hai mabood-e-bar haq aasmanon mein bhi aur zamin mein bhi
woh tumharay posheeda ehwaal ko bhi aur tumharay zahir ehwaal
ko bhi janta hai aur tum jo kuch amal kertay ho uss ko bhi janta
hai. |
| |
| 06.04 Aur
inn kay pass koi nishani bhi unn kay rab ki nishaniyon mein
say nahi aati magar woh iss say aeyraaz hi kertay hain. |
| |
| 06.05 Enhon
ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn kay pass
phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi uss cheez ki jiss
kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay. |
| |
| 06.06 Kiya
enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni jamaton ko
halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya mein aisi qooat
di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur hum ney unn per khoob
barishen barsaeen aur hum ney unn kay neechay say nehren jari
kin. Phir hum ney unn ko unn kay gunahon kay sabab halak ker
daala aur unn kay baad doosri jamaton ko peda ker diya. |
| |
| 06.07 Aur
agar hum kaghaz per likha hua koi navishta aap per nazil farmatay
phir uss ko yeh log apney haathon say chu bhi letay tab bhi
yeh kafir log yeh kehtay kay yeh kuch bhi nahi magar sareeh
jadoo hai. |
| |
| 06.08 Aur
yeh log yun kehtay hain kay inn kay pass koi farishta kiyon
nahi utara gaya aur agar hum koi farishat bhej detay to sara
qissa hi khatam ho jata. Phir inn ko zara mohlat na di jati. |
| |
| 06.09 Aur
agar hum iss ko farishta tajveez kertay to hum uss ko aadmi
hi banatay aur huamray iss fail say phir inn per wohi ashkaal
hota jo abb ashkaal ker rahey hain. |
| |
| 06.10 Aur
waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn kay sath bhi
istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney unn say mazaq kiya
tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss kay tamaskhur uratay thay. |
| |
| 06.11 Aap
farma dijiye kay zara zamin mein chalo phiro phir dekh lo kay
takzeeb kerney walon ka kiya anjam hua. |
| |
| 06.12 Aap
kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab
kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat
hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya
hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi
shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so
woh eman nahi layen gay. |
| |
| 06.13 Aur
Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein
rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai. |
| |
| 06.14 Aap
kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka
peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko
koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma
dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein
islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona. |
| |
| 06.15 Aap
keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna na manon to mein
aik baray din kay azab say darta hun. |
| |
| 06.16 Jiss
shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss per Allah ney
bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi hai. |
| |
| 06.17 Aur
agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door
kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh
ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori
qudrat rakhney wala hai. |
| |
| 06.18 Aur
wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur
wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai. |
| |
| 06.19 Aap
kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai
aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur
meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein
iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay
unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay
Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye
kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh
to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey
zaar hun. |
| |
| 06.20 Jin
logon ko hum ney kitab di hai woh log rasoolon ko pehchantay
hain jiss tarah apney beton ko pehchantay hain. Jin logon ney
apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay. |
| |
| 06.21 Aur
uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot
bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye aisay bey insafon
ko kaamyabi na hogi. |
| |
| 06.22 Aur
woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jiss roz hum unn tamam
khaleeq ko jama keren gay phir hum mushrikeen say kahen gay
kay tumharay woh shurka jin kay mabood honey ka tum dawa kertay
thay kahan gaye? |
| |
| 06.23 Phir
unn kay shirk ka anjam iss kay siwa aur kuch bhi na hoga kay
woh yun kahen gay kay qasam Allah ki apney perwerdigar ki hum
mushrik na thay. |
| |
| 06.24 Zara
dekho to enhon ney kiss tarah jhoot bola apni janon per aur
jin cheezon ko woh jhoot moot tarasha kertay thay woh sab ghaeeb
hogaye. |
| |
| 06.25 Aur
inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf kaan lagatay hain
aur hum ney inn kay dilon per parda daal rakha hai iss say kay
woh iss ko samjhen aur inn kay kanon mein daat dey rakhi hai
aur agar woh log tamam dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi
eman na layen yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain
to aap say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain
yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten
hain jo pehlon say chali aarahi hain. |
| |