| Surat-Aeyraaf
07 |
| (Sura-Aeyraaf Makka mai Nazil
hui, is mai doso-chay (206) Aayatain hain) |
| |
07.01 Alif-laam-meem-suaad.
07.02 Yeh aik kitab hai jo aap kay pass
iss liye bheji gaee hai kay aap iss kay zariye say darayen so
aap kay dil mein iss say bilkul tangi na ho aur naseehat hai
eman walon kay liye. 07.03 Tum
log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aaee hai
aur Allah Taalaa ko chor ker mann gharat sir paraston ki ittabaa
mat kero tum log boht hi kum naseehat pakartay ho.
07.04 Aur boht bastiyon ko hum ney tabah ker
diya aur unn per humara azab raat kay waqt phonchaya aisi halat
mein kay woh dophare kay waqt aaram mein thay.
07.05 So jiss waqt unn per humara azab aaya
uss waqt unn kay mun say ba-juz iss kay aur koi baat na nikli
kay waqaee hum zalim thay. 07.06 Phir
hum unn logon say zaroor poochen gay jin kay pass payghumbar
bhejay gaye thay aur hum payghumbaron say zaroor poochen gay.
07.07 Phir hum chunkay poori khabar
rakhtay hain unn kay roo baroo biyan ker den gay. Aur hum kuch
bey khabar na thay. 07.08 Aur
uss roz wazan bhi bar haq hai phir jiss shaks ka palla bhari
hoga so aisay log kaamyab hongay. 07.09
Aur jiss shaks ka palla halka hoga so yeh woh log hongay
jinhon ney apna nuksan ker liya ba-sabab iss kay kay humari
aayaton kay sath zulm kertay thay. 07.10
Aur be-shak hum ney tum ko zamin per rehney ki jagah
di aur hum ney tumaharay liye iss mein samaan-e-rizq peda kiya
tum log boht hi kum shukar kertay ho. 07.11
Aur hum ney tum ko peda kiya phri hum hi ney tumhari
soorat banaee phir hum ney farishton say kaha aadam ko sajda
kero so sab ney sajda kiya ba-juz iblees kay woh sajda kerney
walon mein shamil na hua. 07.12 Haq
Taalaa ney farmayato jo sajda nahi kerta to tujh ko iss say
kaun amr-e-maaney hai jabkay mein tujh ko hukum dey chuka kehney
laga mein iss say behtar hun aap ney mujh ko aag say peda kiya
hai aur iss ko aap ney khaak say peda kiya hai.
07.13 Haq Taalaa ney farmaya tu aasman say
utar tujh ko koi haq hasil nahi kay tu aasman mein reh ker takabbur
keray so nikal bey shak to zaleelon mein say hai.
07.14 Uss ney kaha mujh ko mohlat dijiye qayamat
kay din tak. 07.15 Allah Taalaa
ney farmaya tujh ko mohlat di gaee. 07.16
Uss ney kaha ba-sabab iss kay, kay aap ney mujhay gumrah
kiya hai mein qasam khata hun kay mein inn kay liye aap ki seedhi
raah per bethon ga. 07.17 Phir
inn per hamla keroon ga aur inn kay aagay say bhi aur inn kay
peechay say bhi aur inn ki dhaani janib say bhi aur inn ki bayen
janib say bhi aur aap inn mein say aksar ko shukar guzar na
payiye ga. 07.18 Allah Taalaa
ney farmaya kay yahan say zaleel-o-khuwar hoker nikal jaa jo
shaks inn say mein tera kehna maney ga mein zaroor tum sab say
jahannum ko bhar doon ga. 07.19 Aur
hum ney hukum diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat
mein raho. Phir jiss jagah say chahao dono khao aur uss darakht
kay pass mat jao werna tum dono zalimon mein say hojao gay.
07.20 Phir shetan ney inn dono kay dilon
mein waswasa dala takay inn ki sharamgahen jo aik doosray say
posheeda thi dono kay roo baroo parda kerdey aur kehney laga
kay tumharay rab ney tum dono ko iss darakht say aur kissi sabab
say mana nahi farmaya magar mehaz iss waja say kay tum dono
kahin farishtay hojao ya kahin hamesha zinda rehney walon mein
say na hojao. 07.21 Aur inn dono
kay roo baroo qasam kha li kay yaqeen janiye mein tum dono ka
khair khuwa hun. 07.22 So inn
dono ko fareb say neechay le aaya pus inn dono ney jab darakht
ko chakha dono ki sharamgahen aik doosray kay roo baroo bey
parda hogayen aur dono apney upper jannat kay pattay jor jor
ker rakhne lagay aur inn kay rab ney inn ko pukara mein tum
dono ko iss darakht say mana nahi ker chuka tha aur yeh na keh
chuka kay shetan tumhara sareeh dushman hai? 07.23
Dono ney kaha aey humaray rab! Hum ney apna bara nuksan
kiya aur agar tu humari maghfirat na keray ga aur hum per reham
na keray ga wo waqaee hum nuksan paney walon mein say hojayen
gay. 07.24 Haq Taalaa ney farmaya
kay neechay aisi halat mein aajao kay tum bahum aik doosray
kay dushman hogay aur tumharay wastay zamin mein rehney ki jagah
hai aur nafa hasil kerna hai aik waqt tak. 07.25
Farmaya tum ko wahan hi zindagi basar kerna hai aur
wahan hi marna hai aur issi mein phir nikalay jao gay. |
| |