| Surat-Anfaal
08 |
| (Sura-Anfaal Madina mai Nazil
hui, is mai pichettar (75) Aayatain hain) |
| |
08.01 Yeh
log aap say ghanimaton ka hukum daryaft kertay hain aap farma
dijiye! Kay yeh ghanimaten Allah ki hain aur rasool ki hain
so tum Allah say daro aur apny bahumi taalluqaat ki ki islaah
kero aur uss kay rasool ki ita’at kero agar tum eman walay
ho. 08.02 Bus eman walay to aisay
hotay hain kay jab Allah Taalaa ka zikar aata hai to unn kay
quloob darr jatay hain aur jab Allah ki aayaten unn ko parh
ker sunaee jaatin hain hain to woh aayaten unn kay eman ko aur
ziyada ker deti hain aur woh log apney rab per tawakkal kertay
hain. 08.03 Jo kay namaz ki pabandi
kertay hain aur hum ney unn ko jo kuch diya hai woh uss mein
say kharch kertay hain. 08.04 Sachay
eman walay yeh log hain inn kay liye baray darjay hain inn kay
rab kay pass aur maghfirat aur izzat ki rozi hai.
08.05 Jaisa kay aap kay rab ney aap kay ghar
say haq kay sath aap ko rawana kiya aur musalmanon ki aik jamat
iss ko giran samajhti thi. 08.06 Woh
iss haq kay baray mein iss kay baad kay uss ka zahoor hogaya
tha aap say iss tarah jhagar rahey thay kay goya koi unn ko
maut ki taraf haankay liye jata hai aur woh dekh rahey hain.
08.07 Aur tum log uss waqt ko yaad kero!
Jab kay Allah tum say unn do jamaton mein say aik ka wada kerta
tha kay woh tumharay haath aajaye gi aur tum iss tamanna mein
thay kay ghair musallah jamat tumharay haath aajaye aur Allah
Taalaa ko yeh manzoor tha kay apney ehkaam say haq ka haq hona
sabit kerdey aur inn kafiron ki jarr kaat dey.
08.08 Takay haq ka haq hona aur baatil ka baatil
hona sabit kerdey go yeh mujrim log na pasand hi keren.
08.09 Uss waqt ko yaad kero jab tum
apney rab say faryad ker rahey thay phir Allah Taalaa ney tumhari
sunn li kay mein tum ko aik hazat farishton say madad doon ga
jo lagataar chalen aayen gay. 08.10 Aur
Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho
aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah
hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai.
08.11 Uss waqt ko yaad kero jab kay
Allah tum per oongh taari ker raha tha apni taraf say chain
denay kay liye aur tum per aasman say pani barsa raha tha kay
iss pani kay zariye say tum ko pak ker dey aur tum say shetani
waswasay ko dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey
aur tumharay paon jama dey. 08.12 Uss
waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton ko hukum deta
tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman walon ki himmar barhao
mein abhi kuffaar kay dilon mein rob dalay deta hun so tum gardanon
per maaro aur inn kay por por ko maaro. 08.13
Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah ki aur
uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki aur uss kay
rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah Taalaa sakht
saza denay wala hai. 08.14 So
yeh saza chakho aur jaan rakho kay kafiron kay liye jahannum
ka aza muqarrar hi hai. 08.15 Aey
eman walo! Jab tum kafiron say doo badoo muqabil hojao to unn
say pusht mat pherna. 08.16 Aur
jo shaks unn say iss moqay per pusht pheray ga magar haan jo
laraee kay liye paintra badalta ho ya jo (apni) jamat ki taraf
panah lenay aata ho woh mustasna hai. Baqi aur jo aisa keray
ga woh Allah kay ghazab mein aajaye ga. Aur uss ka thikana dozakh
hoga woh boht hi buri jagah hai. 08.17
So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah Taalaa
ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi nahi phenki
bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay musalmanon ko apni
taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz dey bila shuba Allah Taalaa
khoob sunnay wala khoob jannay wala hai. 08.18
(aik baat to) yeh hui aur (doosri baat yeh hai) Allah
Taalaa ko kafiron ki tadbeer ko kamzor kerna tha.
08.19 Agar tum log faisla chahatay ho to woh
faisla tumharay samney aa mojood hua aur agar baaz ajao to yeh
tumharay liye nihayat khoob hai aur agar tum phir wohi kaam
kero gay to hum bhi phir wohi kaam keren gay aur tumhari jamiyat
tumharay zara bhi kaam na aaye gi go kitni ziyada ho aur waqaee
baat yeh hai kay Allah Taalaa eman walon kay sath hai.
08.20 Aey eman walo! Allah ka aur uss
kay rasool ka kaha mano aur uss (ka kaha mannay) say roo-gardani
mat kero suntay jantay huye. 08.21 Aur
tum unn logon ki tarah mat hona jo dawa to kertay hain kay hum
ney sunn liya halankay woh suntay (sunatay kuch) nahi.
08.22 Be-shak bad tareen khaleeq Allah
Taalaa kay nazdeek woh log hain jo behray hain goongay hain
jo kay (zara) nahi samajhtay. 08.23 Aur
agar Allah Taalaa inn mein koi khoobi dekhta to inn ko sunnay
ki tofiq dey deta aur agar inn ko abb suna dey to zaroor roo
gardani keren gay bey rukhi kertay huye. 08.24
Aey eman walo! Tum Allah aur rasool kay kehney ko baja
lao jabkay rasool tum ko tumhari zindagi bakhsh cheez ki taraf
bulatay hon. Aur jaan rakho kay Allah Taalaa aadmi kay aur uss
kay qalb kay darmiyan aarr bann jaya kerta hai aur bila shuba
tum sab ko Allah hi kay pass jama hona hai. 08.25
Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas ker sirf
unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn gunhaon kay muratakib
huye hain aur yeh jaan rakho kay Allah sakht saza denay wala
hai. |
| |