| Surat-Tauba
09 |
| (Sura-Tauba Madina mai Nazil
hui, is mai aikso-unattees (129) Aayatain hain) |
| |
09.01 Allah
aur uss kay rasool ki janib say beyzaari ka ailaan hai unn mushrikon
kay baray mein jinn say tum ne yehad-o-paymaan kiya tha.
09.02 Pus (aey mushriko!) tum mulk mein
char maheenay tak to chal phir lo jaan lo kay tum Allah ko aajiz
kerney walay nahi ho aur yeh (bhi yaad rahey) kay Allah kafiron
ko ruswa kerney wala hai. 09.03 Allah
aur uss kay rasool ki taraf say logon ko baray hajj kay din
saaf itlaa hai kay Allah mushrikon say beyzaar hai aur uss ka
rasool bhi agar abb bhi tum tauba kerlo to tumharay haq mein
behtar hai aur agar tum roo gardaani kero to jaan lo kay tum
Allah ko hara nahi saktay. Aur kafiron ko dukh ki maar ki khabar
phonca dijiye. 09.04 Ba-juz unn
mushrikon kay jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai aur unhon
ney tumhen zara sa bhi nuksan nahi phonchaya na kissi ki tumharay
khilaf madad ki hai to tum bhi unn kay mohaeeday ki muddat unn
kay sath poori kero Allah Taalaa perhezgaron ko dost rakhta
hai. 09.05 Phir hurmat walay maheenon
kay guzartay hi mushrikon ko jahan pao qatal kero unhen giriftar
kero unn ka mahasra kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein
ja betho haan agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen
aur zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan
Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai. 09.06
Agar mushrikon mein say koi tujh say panah talab keray
to tu ussay panah dey dey yahan tak kay woh kalam Allah sunn
ley phir ussay apni jaye amaan tak phoncha dey. Yeh iss liye
kay yeh log bey ilm hain. 09.07 Mushrikon
kay liye ehad Allah aur uss kay rasool kay nazdeek kaisay reh
sakta hai siwaye unn kay jin say tum ney ehad-o-paymaan masjid-e-haram
kay pass kiya hai jab tak woh log tum say wada nibhayen tum
bhi unn say wafa daari kero Allah Taalaa muttaqiyon say mohabbat
rakhta hai. 09.08 Unn kay wadon
ka kiya aitbaar unn ka agar tum per ghalba hojaye to na yeh
qarabat daari ka khayal keren na ehad-o-paymaan ka apni zabanon
say to tumhen parcha rahey hain lekin unn kay dil nahi mantay
inn mein say aksar to fasiq hain. 09.09
Enhon ney Allah ki aayaton ko boht kam qeematon mein
baich diya aur uss ki raah say roka. Boht bura hai jo yeh ker
rahey hain. 09.10 Yeh to kissi
musalman kay haq main kissi rishtay daari ka ya ehad ka mutlaq
lehaz nahi kertay yeh hain hi hadd say guzarney walay.
09.11 Abb bhi agar yeh tauba kerlen
aur namaz kay paband hojayen aur zakat detay rahen to tumharay
deeni bhai hain. Hum to jannay walon kay liye aayaten khol khol
ker biyan ker rahey hain. 09.12 Agar
yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni qasmon ko tor den aur
tumharay deen mein taana zani keren to tum bhi unn sardaraan-e-kufur
say bhir jao. Unn ki qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss
tarah woh baaz aajayen. 09.13 Tum
inn logon ki sirkoobi kay liye kiyon tayyar nahi hotay jinhon
ney apni qasmon ko tor diya aur payghumbar ko jila watan kerney
ki fikar mein hain aur khud hi awwal baat unhon ney tum say
cher ki hai. Kiya tum inn say dartay ho? Allah hi ziyada mustahiq
hai kay tum uss ka darr rakho ba-shart-e-kay tum eman walay
ho. 09.14 Inn say tum jang kero
Allah Taalaa enhen tumharay hathon azab dey ga enhen zaleel-o-ruswa
keray ga tumehn inn per madad dey ga aur musalmanon kay kalejay
thanday keray ga. 09.15 Aur unn
kay dil ka ghum-o-gussa door keray ga aur woh jiss ki taraf
chahata hai rehmat say tawajja farmata hai. Allah khoob janta
boojhta hikmat wala hai. 09.16 Kiya
tum yeh samajh bethay ho kay tum chor diye jao gay halankay
kay abb tak Allah ney tum mein unhen mumtaz nahi kiya jo mujahid
hain aur jinhon ney Allah kay aur uss kay rasool kay aur mominon
kay siwa kissi ko wali dost nahi banaya Allah khoob khabar daar
hai jo tum ker rahey ho. 09.17 Laeeq
nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon ko abad keren. Daran
halanakay woh khud apney kufur kay aap hi gawah hain inn kay
aemaal gharat-o-ikarat hain aur woh daeemi tor per jahannumi
hain. 09.18 Allah ki masjidon
ki ronaq-o-abadi to unn kay hissay mein hai jo Allah per aur
qayamat kay din per eman rakhtay hain namazon kay paband hon
zakat detay hon Allah key siwa kissi say na dartay hontawaqqa
hai kay yehi log yaqeenan hidayat yafta hain. 09.19
Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram
ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah per aur
aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah mein jihad
kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi aur Allah Taalaa
zalimon ko hidayat nahi deta. 09.20 Jo
log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal aur apni
jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray martabay walay
hain aur yehi log murab paney walay hain. 09.21
Enhen unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki
aur raza mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami
nemat hai. 09.22 Wahan yeh hamesha
rehney walay hain Allah kay pass yaqeenan boht baray sawab hain.
09.23 Aey eman walo! Apney baapon ko
aur apney bhaiyon ko dost na banao agar woh kufur ko eman say
ziyada aziz rakhen. Tum mein say jo bhi inn say mohabbat rakhay
ga woh poora gunehgar zalim hai. 09.24
Aap keh dijiye kay agar tumharay baap aur tumharay
larkay aur tumharay bhai aur tumhari biwiyan aur tumharay kunbay
qabeelay aur tumharay kamaye huye maal aur woh tijarat jiss
ki kami say tum dartay ho aur woh hawayliyan jinehn tum pasand
kertay ho agar yeh tumhen Allah say aur uss kay rasool say aur
uss ki raah mein jihad say bhi ziyada aziz hain to tum intizar
kero Allah Taalaa apna azab ley aaye. Allah Taalaa fasiqon ko
hidayat nahi deta. 09.25 Yaqeenan
Allah Taalaa ney boht say maidanon mein tumhen fatah di hai
aur hunain ki laraee walay din bhi jabkay tumhen apni kasrat
per naaz hogaya tha lekin uss ney tumhen koi faeeda na diya
bulkay zamin bawajood apni kushadgi kay tum per tang hogaee
phir tum peeth pher ker murr gaye. |
| |