| Surat-Younus
10 |
| (Sura-Younus Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-nou (109) Aayatain hain) |
| |
10.01 Alif-laam-raa
ye pur hikmat kitab ki aayaten hain. 10.02
Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay hum ney
inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di kay sab aadmiyon
ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko yeh khushkhabri suniye
kay inn kay rab kay pass inn ko poora ajar-o-martaba milay ga.
Kafiron ney kaha yeh shaks to bila shuba sareeh jadoogar hai.
10.03 Bila shuba tumhara rab Allah hi
hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya
phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss
ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala
nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya
tum phir bhi nasihat nahi pakartay. 10.04
Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha
wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai
phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo
kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza
dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani
peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki
waja say. 10.05 Woh Allah Taalaa
aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko
noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay
tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa
ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn
ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain.
10.06 Bila shuna raat aur din kay yakay baad
deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur
zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel
hain jo Allah ka darr rakhtay hain. 10.07
Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai
aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss mein ji
laga bethay hain aur jo log humari aayaton say ghafil hain.
10.08 Aisay logon ka thikana unn kay
aemaal ki waja say dozakh hai. 10.09 Yaqeenan
jo log emaan laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn
ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga
nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi.
10.10 Unn kay mun say yeh baat niklay
gi “Subhan Allah” (Allah Pak hai) aur unn ka bahumi
salam yeh hoga “Assalam-o-Alaikum” (Aap per Salamti
ho) aur unn ki akheer baat yeh hogi "Alhamd-o-Lillah-e-Rab-ul-Aalameen"
(tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaano ka rab
hai). 10.11 Aur agar Allah logon
per jaldi say nuksan waaqay ker diya kerta jiss tarah woh faeeday
kay liye jaldi machatay hain to unn ka wada kabhi ka poora ho
chuka hota. So hum unn logon ko jin ko humaray pass aaney ka
yaqeen nahi hai unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni
sirkashi mein bhataktay rahen. 10.12 Aur
jab insan ko koi takleef phonchti hai to hum ko pukarta hai
letay bhi bethay bhi kharay bhi. Phir jab hum uss ki takleef
uss say hata detay hain to woh aisa hojata hai kay goya uss
ney apni takleef kay liye jo ussay phonchi thi kabhi humen pukara
hi na tha inn hadd say guzarney walon kay aemaal ko unn kay
liye issi tarah khushnuma bana diya gaya hai. 10.13
Aur hum ney tum say pehlay boht say girohon ko halak
ker diya jabkay unhon ney zulm kiya halankay unn kay pass unn
kay payghumber bhi dalaeel ley ker aaye aur woh aisay kab thay
kay eman ley aatay? Hum mujrim logon ko aisi hi saza diya kertay
hain. 10.14 Phir unn kay baad
hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay
hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho.
10.15 Aur jab inn kay samney humari aayaten
parhi jati hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray
pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay siwa
koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem ker dijiye.
Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay mein apni taraf say
iss mein tarmeem kerdoon bus mein to issi ki ittabaa keroon
ga jo meray pass wahee kay zariye say phoncha hai agar mein
apney rab ki na farmani keroon to mein aik baray din kay azab
ka andesha rakhta hun. 10.16 Aap
yun keh dijiye kay agar Allah ko manzoor hota to na to mein
tum ko woh parh ker sunata aur na Allah Taalaa tum ko iss ki
itlaa deta kiyon kay mein iss say pehlay to aik baray hissay
umar tak mein tum mein reh chuka hun. Phir kiya tum aqal nahi
rakhtay. 10.17 So uss shaks say
ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot bandhay ya uss ki
aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay mujrimon ko aslan falah
na hogi. 10.18 Aur yeh log Allah
kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar
phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain
kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye
kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah
Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh
pak aur bartar hai inn logon kay shirk say. 10.19
Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney
ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay
rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein
yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka
hota. 10.20 Aur yeh log yun kehtay
hain kay inn per inn kay rab ki janib say koi nishani kiyon
nahi nazil hoti? So aap farma dijiye kay ghaib ki khabar sirf
Allah ko hai so tum bhi muntazir raho mein bhi tumharay sath
munatazir hun. 10.21 Aur jab hum
logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat parr chuki
ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to woh foran hi humari
aayaton kay baray mein caalen chalney lagtay hain aap keh dijiye
kay Allah chaal chalney mein tum say ziyada tez hai bil yaqeen
humaray farishtay tumhari sab chaalon ko likh rahey hain.
10.22 Aur Allah aisa hai kay tum ko
khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti
mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye
ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn
per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn
per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay (buray)
aa ghiray (ussa waqat) sab khalis aetiqaad ker kay Alla hi ko
pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor
shukar guzaar bann jayen. 10.23 Phri
jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to foran hi woh zamin
mein na haq sirkashi kerney lagtay hain aey logo! Yeh tumhari
sirkashi tumharay liye wabaal honey wali hai dunyawi zindagi
kay (chand) faeeday hain phir humaray pass tum ko aana hai phir
hum sab tumhara kiya hua tum ko batla den gay.
10.24 Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi
hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin
ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan
ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora
hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay
malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho
chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi
hukum (azab) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay
goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf
saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain.
10.25 Aur Allah Taalaa salamti kay ghar
ki taraf tum ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast
per chalney ki tofiq deta hai. |
| |