| Surat-Hood
11 |
| (Sura-Hood Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-taees (123) Aayatain hain) |
| |
11.01 Alif-laam-raa
yeh aik aisi kitab hai kay iss ki aayaten mohkum ki gaee hain
phir saaf saaf biyan ki gaee hain aik hakeem ba khabar ki taraf
say. 11.02 Yeh kay Allah kay siwa
kissi ki ibadat mat kero mein tum ko Allah ki taraf say daraney
wala aur bisharat denay wala hun. 11.03
Aur yeh kay tum apney gunah apney rab say moaf kerao
phir ussi ki taraf mutawajja raho woh tum ko waqt-e-muqarrara
tak acha saman (zindagi) dey ga aur her ziyada amal kerney walay
ko ziyada sawab dey ga. Aur agar tum log aeyraaz kertay rahey
to mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai.
11.04 Tum ko Allah hi kay pass jana
hai aur woh her shey per poori qudrat rakhta hai.
11.05 Yaad rakho woh log apney seenon ko dohra
kiye detay hain takay apni baaten (Allah) sau chupa saken. Yaad
rakho kay woh log jiss waqt apney kapray lapettay hain woh uss
waqt bhi sab janta hai jo kuch chupatay hain aur jo kuch woh
zahir kertay hain. Bil yaqeen woh dion kay andar ki baaten janta
hai. 11.06 Zamin per chlaney phirney
walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain
wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay
sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood
hai. 11.07 Allah hi woh hai jiss
ney cheh din mein aasman-o-zamin ko peda kiya aur uss ka arsh
pani per tha takay woh tumhen aazmaye kay tum mein say achay
amal wala kaun hai agar aap inn say kahen kay tum log marney
kay baad utha kharay kiye jaogay to kafir log palat ker jawab
den gay kay yeh to nira saaf saaf jadoo hi hai.
11.08 Aur agar hum inn say azab ko gini chuni
muddat tak kay liye peechay daal den to yeh zarror pukar uthen
gay kay azab ko kaun si cheez rokay huye hai suno! Jiss din
woh inn kay pass aayega phir inn say talney wala nahi phir to
jiss cheez ki hansi ura rahey thay woh enhen gher ley gi.
11.09 Agar hum insan ko apni kissi nemat
ka zaeeqa chakha ker phir ussay iss say ley len to boht hi na
umeed aur bara hi na shukra bann jata hai. 11.10
Aur agar hum ussay koi nemat chakhayen iss sakhti kay
baad jo ussay phonch chuki thi wo woh kehney lagta hai kay bus
buraiyan mujh say jati rahin yaqeenan woh bara hi itraney wala
shekhi khor hai. 11.11 Siwaye
unn kay jo sabar kertay hain aur nek kaamon mein lagay rehtay
hain, enhi logon kay liye bakhsish bhi hai aur boht bara nek
badla bhi. 11.12 Pus shayad kay
aap iss wahee kay kissi hissay ko chor deney walay hain jo aap
ki taraf nazil ki jati hai aur iss say aap ka dil tang hai sirf
inn ki iss baat per kay iss per koi khazana kiyon nahi utra?
Ya iss kay sath koi farishta hi aata sunn lijiye! Aap to sirf
daraney walay hi hain aur her cheez ka zimmay daar Allah Taalaa
hai. 11.13 Kiya yeh kehtay hain
kay iss quran ko issi ney gharha hai jawab dijiye kay phir tum
bhi issi ju misil das surten ghari hui ley aao aur Allah kay
siwa jissay chahao apney sath bula bhi lo agar tum sachay ho.
11.14 Phir agar woh tumhari iss baat
ko qabool na keren to tum yaqeen say jaan lo kay yeh quran Allah
kay ilm kay sath utara gaya hai aur yeh kay Allah kay siwa koi
mabood nahi pus kiya tum musalman hotay ho? 11.15
Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta
hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal (ka badla) yahin
bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki
jati. 11.16 Haan yehi woh log
hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi
aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur
jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain.
11.17 Kiya woh shaks jo apney rab kay
pass ki daleel per ho aur uss kay sath Allah ki taraf gawah
ho aur iss say pehlay musa ki kitab (gawah ho) jo paishwa aur
rehmat hai (auron kay barabar ho sakta hai?). yehi log hain
jo iss per eman rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi
iss ka munkir ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai
pus tu iss mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan
yeh teray rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log
eman laney walay nahi hotay. 11.18 Uss
say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per jhoot banadhay aur
yeh log apney perwerdigar kay samney paish kiye jayen gay aur
saray gawan kahen gay kay yeh woh log hain jinhon ney apney
perwerdigar per jhoot bandha khabaradar ho kay Allah ki laanat
hai zalimon per. 11.19 Jo Allah
ki raah say roktay hain aur iss mein kuji talash ker letay hain.
Yehi aakhirat kay munkir hain. 11.20 Na
yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur na inn ka koi himayati
Allah kay siwa hua inn kay liye azab dugna kiya jayega na yeh
sunnay ki taqat rakhtay thay aur na yeh dekhtay hi thay.
11.21 Yehi hain jinhon ney apna nuksan
aap ker liya aur woh sab kuch inn say kho gaya jo enhon ney
gharr rakha tha. 11.22 Be-shak
yehi log aakhirat mein ziyan kaar hongay. 11.23
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek
kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat
mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain.
11.24 Inn dono firqon ki misal andhay
behray aur dekhney sunnay walay jaisi hai. Kiya yeh dono misal
mein barabar hain? Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay?
11.25 Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam)
ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja kay mein tumhen
saaf saaf hoshiyar ker denay wala hun. |
| |