| Surat-Yousuf
12 |
| (Sura-Yousuf Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-giyara (111) Aayatain hain) |
| |
12.01 Alif-laam-raa
yeh roshan kitab ki aayaten hain. 12.02
Yaqeenan hum ney iss quran ko arabi nazil farmaya hai
kay tum samajh sako. 12.03 Hum
aap kay samney behtareen biyan paish kertay hain iss waja say
kay hum ney aap ki janib yeh quran wahee kay zariye nazil kiya
hai aur yaqeenan aap iss say pehlay bey khabron mein say thay.
12.04 Jab kay yousuf ney apney baap
say ziker kiya kay abba jaan mein ney giyara sitaron ko aur
sooraj chand ko dekha kay woh sab mujhay sajda ker rahey hain.
12.05 Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha
piyaray bachay! Apney iss khuwab ka ziker apney bhaiyon say
na kerna. Aisa na ho kay woh teray sath koi fareb kaari keren
shetan to insan ka khula dushman hai. 12.06
Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah
keray ga aur tujhay moamla fehmi (ya khuwabon ki tabeer) bhi
sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye ga aur
yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney iss say pehlay
teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq ko bhi bhar poor
apni nemat di yaqeenan tera rab boht baray ilm wala aur zabardast
hikmat wala hai. 12.07 Yaqeenan
yousuf aur uss kay bhaiyon mein daryaft kerney walon kay liye
(bari) nishaniyan hai. 12.08 Jabkay
unhon ney kaha kay yousuf aur uss ka bhai ba-nisbat humaray
baap ko boht ziyada piyaray hain halankay hum (taqatwar) jamat
hain koi shak nahi kay humaray abba sareeh ghalati mein hain.
12.09 Yousuf ko to maar hi dalo yaa
ussay kissi (na maloom) jagah phenk do kay tumharay walid ka
rukh sirf tumhari taraf hi hojaye. Iss kay baad tum nek ho jana.
12.10 Inn mein say aik ney kaha yousuf
ko qatal to na kero bulkay ussay kissi andhay koowen (ki teh)
mein daal aao kay ussay koi (aata jata) qafila utha ley jaye
agar tumhen kerne hi hai to yun kero. 12.11
Unhon ney kaha abba! Aakhir aap yousuf (alh-e-salam)
kay baray mein hum per aitbaar kiyon nahi kertay hum to iss
kay khair khua hain. 12.12 Kal
aap zaroor issay humaray sath bhej dijiye kay khoob khaye piye
aur khelay iss ki hifazat kay hum zimmay daar hain.
12.13 (yaqoob alh-e-salam ney) kay issay tumhara
ley jana mujhay to sakht sadma dey ga aur mujhay yeh bhi khutka
laga rahey ga kay tumhari ghaflat mein issay bheyriya kha jaye.
12.14 Unhon ney jawab diya kay hum jaisi
(zor aawar) jamat ki mojoodgi mein bhi agar issay bheyriya kha
jaye to hum bilkul nikammay hi huye. 12.15
Phir jab issay ley chalay aur sab ney mill ker thaan
liya kay issay ghair abad gehray koowen ki teh mein phenk den
hum ney yousuf (alh-e-salam) ki taraf wahee ki kay yaqeenan
(waqt aaraha hai kay) tu enhen iss majray ki khabar iss haal
mein dey ga kay woh jantay hi na hon. 12.16
Aur isha kay waqt (woh sab) apney baap kay pass rotay
huye phonchay. 12.17 Aur kehney
lagay kay abba jaan hum to aapas mein dor mein lagg gaye aur
yousuf (alh-e-salam) ko hum ney asbaab kay pass chora pus ussay
bheyriya kha gaya aap to humari baat nahi manen gay go hum bilkul
sachay hi hon. 12.18 Aur yousuf
kay kurtay ko jhoot moot kay khoon say khoon aalood bhi ker
laye thay baap ney kaha yun nahi bulkay tum ney apney dil hi
say aik baat bana li hai. Pus sabar hi behtar hai aur tumahri
banaee hui baaton per Allah hi say madad ki talab hai.
12.19 Aur aik qafila aaya aur unhon
ney apney pani laney walay ko bheja uss ney apna dol latkaya
kehney laga waah waah khushi ki baat hai yeh to aik larka hai
unhon ney issay maal-e-tijarat qarar dey ker chupa diya aur
Allah Taalaa iss say ba khabar tha jo woh ker rahey thay.
12.20 Aur unhon ney issay boht hi halki
qeemat per ginti kay chand dirhamon per hi baich dala woh to
yousuf kay baray mein boht hi bey raghbat thay.
12.21 Misir walon mein say jiss ney ussay khareeda
tha uss ney apni biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay
sath rakho boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya
issay hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir
zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki tabeer
ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib hai lekin
aksar log bey ilm hotay hain. 12.22 Aur
jab (yousuf) pukhtagi ki umar ko phonch gaye hum ney ussay qooat-e-faisla
aur ilm diya hum neko karon ko issi tarah badla detay hain.
12.23 Uss aurat ney jiss kay ghar mein
yousuf thay yousuf ko behlana phuslana shuroo kiya kay woh apney
nafs ki nigrani chor dey aur darwazay band ker kay kehney lagi
lo aajao. Yousuf ney kaha Allah ki panah! Woh mera rab hai mujhay
uss ney boht achi tarah rakha hai. Bey insafi kerney walon ka
bhala nahi hota. 12.24 Uss aurat
ney yousuf ki taraf qasad kiya aur yousuf uss ka qasad kertay
agar woh apney perwerdigar ki daleel na dekhtay yun hi hua iss
wastay kay hum uss say buraee aur bey hayaee door ker den. Be-shak
woh humaray chunay huye bandon mein say tha. 12.25
Dono darwazay ki taraf doray aur uss aurat ney yousuf
ka kurta peechay ki taraf say kheench ker phaar dala aur darwazay
kay pass hi aurat ka shohar dono ko mill gaya to kehney lagi
jo shaks teri biwi kay sath bura irada keray bus uss ki saza
yehi hai kay ussay qaid ker diya jaye ya aur koi dard naak saza
di jaye. |
| |