| Surat-Raad
13 |
| (Sura-Raad Madina mai Nazil
hui, is mai taintalees (43) Aayatain hain) |
| |
13.01 Alif
-laam-meem-raa yeh quran ki aayaten hain aur jo kuch aap ki
taraf aap kay rab ki janib say utara jata hai sab haq hai lekin
aksar log eman nahi latay. 13.02 Allah
woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon kay buland ker
rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho. Phir woh arsh per qarar
pakray huye hai ussi ney sooraj aur chand ko ma-tehati mein
laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen per gasht ker raha hai
wohi kaam ki tadbeer kerta hai woh apney nishanaat khol khol
ker biyan ker raha hai kay tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen
kerlo. 13.03 Ussi ney zamin phela
ker bicha di hai aur iss mein pahar aur nehren peda ker di hain.
Aur iss mein her qisam kay phalon kay joray dohra dohray peda
ker diye hain woh raat ko din say chupa deta hai. Yaqeenan ghor-o-fikar
kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
13.04 Aur zamin mein mukhtalif tukray
aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat
hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar
aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye
jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari
detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain.
13.05 Agar tujhay tajjub ho to waqaee
unn ka yeh kehna ajeeb hai kay kiya jab hum mitti hojayen gay
to kiya hum naee pedaeesh mein hongay? Yehi woh log hain jnhon
ney apney perwerdigar say kufur kiya. Yehi hain jin ki gardano
mein toq hongay. Aur yehi hain jo jahannum kay rehney walay
hain jo iss mein hamesha hamesh rahen gay. 13.06
Aur jo tujh say (saza ki talbi mein) jaldi ker rahey
hain rahat say pehlay hi yaqeenan inn say pehlay sazayen (bator
misal) guzar chuki hain aur be-shak tera rab albata bakhshney
wala hai logon kay bey jaa zulm per bhi. Aur yeh bhi yaqeeni
baat hai kay tera rab bari sakht saza deney wala bhi hai.
13.07 Aur kafir kehtay hain kay iss
per iss kay rab ki taraf say koi nishani (moajzza) kiyon nahi
utari gaee. Baat yeh hai kay aap to sirf aagah ker denay walay
hain aur her qom kay liye hadi hai. 13.08
Mada apney shikam mein jo kuch rakhti hai ussay Allah
bakhoobi janta hai aur pet ka ghatna barhna bhi her cheez uss
kay pass andazay say hai. 13.09 Zahir-o-posheeda
ka woh aalim hai (sab say) bara aur (sab say) buland-o-bala.
13.10 Tum mein say kissi ka pani baat
ko chupa ker kehna aur ba-aawaz-e-buland ussay kehna aur jo
raat ko chupa ho aur jo din mein chal raha ho sab Allah per
barabar-o-yaksan hain. 13.11 Uss
kay pehray daar insan kay aagay peechay muqarrar hain jo Allah
kay hukum say iss ki nigehbani kertay hain. Kissi qom ki halat
Allah Taalaa nahi badalta jabtak kay woh khud ussay na badlen
jo unn kay dilon mein hai. Allah Taalaa jab kissi qom ki saza
ka irada ker leta hai to woh badla nahi kerta aur siwaye uss
kay koi bhi unn ka kaar saaz nahi. 13.12
Woh Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney
aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhari baadlon ko
peda kerta hai. 13.13 Garj iss
ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay bhi iss kay khof
say. Wohi aasman say bijliyan girata hai aur jiss per chahata
hai uss per dalta hai kuffaar Allah ki babat larr jhagar rahey
hain aur Allah sakht qooat wala hai. 13.14
Ussi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko iss kay siwa
pukartay hain woh unn (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi detay
magar jaisay koi shaks apney dono hath pani ki taraf phelaye
huye ho kay uss kay mun mein parr jaye halankay woh pani uss
kay mun mein phonchney wala nahi inn munkiron ki jitni pukar
hai sab gumrahi mein hai. 13.15 Allah
hi kay liye zamin aur aasmanon ki sab makhlooq khushi aur na
aur na khushi say sajda kerti hai aur unn kay saye bhi subha-o-shaam.
13.16 Aap poochiye kay asmanon aur zamin
ka perwerdigar kaun hai? Keh dijiye! Allah. Keh dijiye! Kiya
tum phir bhi iss kay siwa auron ko himayati bana rahey ho jo
khud apni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyar nahi rakhtay.
Keh dijiye kay kiya andha aur beena barabar hosakta hai? Ya
kiya andheriyan aur roshni barabar hosakti hai. Kiya jinhen
yeh Allah kay shareek thehra rahey hain unhon ney bhi Allah
ki tarah makhlooq peda ki hai kay inn ki nazar mein pedaeesh
mushtaba hogaee ho keh dijiye kay sirf Allah hi tamam cheezon
ka khaliq hai woh akela hai aur zabardast ghalib hai.
13.17 Ussi ney aasman say pani barsaya
phir apni apni wusat kay mutabiq nalay beh niklay. Phir pani
kay railay ney upper charhay jhaag ko utha liya aur uss cheez
mein bhi jiss ko aag mein daal ker tapatay hain zewar ya saaz-o-saman
kay liye issi tarah jay jhaag hain issi tarah Allah Taalaa haq-o-batil
ki misal biyan farmata hai abb jhaag to nakara hoker chala jata
hai lekin jo logon ko nafa denay wali cheez hai woh zamin mein
thehri rehti hai Allah Taalaa issi tarah misalen biyan farmata
hai. 13.18 Jin logon ney apney
rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin
logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin
mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi
ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin
kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht
buri jagah hai. 13.19 Kiya woh
aik shaks jo yeh ilm rakhta ho kay aap ki taraf aap kay rab
ki janib say jo utara gaya hai woh haq hai uss shaks jaisa ho
sakta hai jo andha ho naseehat to woh qabool kertay hain jo
aqal mand hon. 13.20 Jo Allah
kay ehad (o-paymaan) ko poora kertay hain aur qol-o-qarar ko
tortay nahi. 13.21 Aur Allah ney
jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai woh ussay jortay hain
aur woh apney perwerdigar say dartay hain aur hisab ki sakhti
ka andesha rakhtay hain. 13.22 Aur
woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain
aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney
unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain
aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat
ka ghar hai. 13.23 Hamesha rehnay
kay baghaat jahan yeh khud jayen gay aur inn kay baap dadon
aur biwiyon aur auladon mein say bhi jo neko kaar hongay inn
kay pass farishtay her her darwazay say aayen gay.
13.24 Kahen gay tum per salamti ho sabar kay
badlay kiya hi acha (badla) hai iss daar-e-aakhirat ka.
13.25 Aur jo Allah kay ehad ko uss ki
mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney
ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein
fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye
bura ghar hai. |
| |