| Surat-Ibrahim
14 |
| (Sura-Ibrahim Makka mai Nazil
hui, is mai bawan (52) Aayatain hain) |
| |
14.01 Alif-laam-raa!
Yeh aali shaan kitab hum ney aap ki taraf utari hai kay aap
logon ko andheron say ujalay ki taraf layen inn kay perwerdigar
kay hukum say zabardast aur tareefon walay Allah ki taraf.
14.02 Jiss Allah ka hai jo kuch aamano
aur zamin mein hai.aur kafiron kay liye to sakht azab ki kharabi
hai. 14.03 Jo aakhirat kay muqablay
mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah
say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain.
Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain. 14.04
Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein hi bheja
hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker dey. Abb Allah
Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur jisay chahaye raah dikha
dey woh ghalba aur hikmat wala hai. 14.05
(yaad rakho jabkay) hum ney musa ko apni nishaniyan
dey ker bheja kay tu apni qom ko andheron say roshni mein nikal
aur enhen Allah kay ehsanaat yaad dila. Iss mein nishaniyan
hain her aik sabar shukar kerney wlay kay liye.
14.06 Jiss waqt musa ney apni qom say kaha
kay Allah kay woh ehsanaat yaad kero jo uss ney tum per kiye
hain jabkay uss ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen
baray dukh phonchatay thay. Tumharay larkon ko qatal kertay
thay aut tumhari larkiyon ko zinda chortay thay iss mein tumharay
rab ki taraf say tum per boht bari aamaeesh thi.
14.07 Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen
aagah kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak
mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero gay to
yaqeenan mera azab boht sakht hai. 14.08
Musa (alh-e-salam) ney kaha kay agar tum sab aur ruy-e-zamin
kay tamam insan Allah ki na shukri keren to bhi Allah bey niyaz
aur tareefon wala hai. 14.09 Kiya
tumharay pass tum say pehlay kay logon ki khabren nahi aaen?
Yani qom-e-nooh ki aur aad-o-samood ki aur unn kay baad walon
ki jinhen siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi janta unn kay
pass unn kay rasool moajzzay laye lekin unhon ney apney hath
apney mun mein daba liye aur saaf keh diya kay jo kuch tumhen
dey ker bheja gaya hai hum uss kay munkir hain aur jiss cheez
ki taraf tum humen bula rahey ho humen to iss mein bara bhari
shuba hai. 14.10 Unn kay rasoolon
ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak
hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss
liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur
aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha
kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen
unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap
dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish
kero. 14.11 Unn kay payghumbaron
ney unn say kaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hi insan
hain lekin Allah Taalaa apney bandon mein say jiss per chahata
hai apna fazal kerta hai. Allah kay hukum kay baghair humari
majal nahi kay hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur emaan
walon ko sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye.
14.12 Aakhir kiya waja hai kay hum Allah
Taalaa per bharosa na rakhen jabkay ussi ney humen humari rahen
sujhaee hain. Wallah jo ezayen tum humen do gay hum unn per
sabar hi keren gay. Tawakkal kerney walon ko yehi laeeq hai
kay Allah hi per tawakkal keren. 14.13
Kafiron ney apney rasoolon say kaha kay hum tumhen
mulk badar ker den gay ya tum phir say humaray mazhab mein lot
aao. To unn kay perwerdigar ney unn ki taraf waahee bheji kay
hum inn zalimon ko hi ghaarat ker den gay. 14.14
Aur inn kay baad hum khud tumhen iss zamin mein basayen
gay. Yeh hai unn kay liye jo meray samney kharay honey ka darr
rakhen aur meri waeed say khofzada rahen. 14.15
Aur unhon ney faisla talab kiya aur tamam sirkash ziddi
log na murad hogaye. 14.16 Uss
kay samney dozakh hai jahan woh peep ka pani pilaya jaye ga.
14.17 Jisay ba mushkil ghoont ghoont
piye ga. Phir bhi ussay galay say utaar na sakay ga aur ussay
her jagah say maut aati dikhaee dey gi lekin woh marney wala
nahi. Phir uss kay peechay bhi sakhta azab hai.
14.18 Unn logon ki misal jihon ney apney paalney
walay say kufur kiya unn kay aemaal misil uss raakh kay hain
jiss per tez hawa aandhi walay din chalay. Jo bhi unhon ney
kiya uss mein say kissi cheez per qadir na hongay yehi door
ki gumrahi hai. 14.19 Kiya tu
ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin ko
behtareen tedbeer kay sath peda kiya hai. Agar woh chahaye to
tum sab ko fana ker dey aur naee makhlooq laye.
14.20 Allah per yeh kaam kuch bhi mushkil nahi.
14.21 Sab kay sab Allah kay samney roo-baroo
kharay hongay uss waqt kamzor log baraee walon say kahen gay
hum to tumharay tabeydaar thay to kiys tum Allah kay azabon
mein say kuch azab hum say door ker sakney walay ho? Woh jawab
den gay kay agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor
tumhari rehnumaee kertay abb to hum per bey qarari kerna aur
sabar kerna dono hi barabar hai humaray liye koi chutkara nahi.
14.22 Jab aur kaam ka faisla ker diya
hayega to shetan kahey ga kay Allah ney to tumhen sacha wada
diya tha aur mein ney tum say jo waday kiye thay unn ka khilaf
kiya mera tum per koi dabao to tha hi nahi haan mein ney tumhen
pukara aur tum ney meri maan li pus tum mujhay ilzam na lagao
bulkay khud apney aap ko malamat kero na mein tumhara faryad
rus aur na tum meri faryad ko phonchney walay mein to siray
say manta hi nahi kay tum mujhay iss say pehlay Allah ka shareek
mantay rahey yaqeenan zalimon kay liye dard naak azab hai.
14.23 Jo log eman laye aur nek amal
kiye woh inn jannaton mein dakhil kiye jayen gay jin kay neechay
chashmay jari hain jahan unhen hameshgi hogi apney rab kay hukum
say. Jahan unn ka khair maqdam salam say hoga.
14.24 Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa
ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik
pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan
aasman mein hain. 14.25 Jo apney
perwerdigar kay hukum say her waqt apney phal laata hai aur
Allah Taalaa logon kay samney misalen biyan farmata hai takay
woh nasheehat hasil keren. |
| |