| Surat-Nahal
16 |
| (Sura-Nahal Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-ahaees (128) Aayatain hain) |
| |
16.01 Allah
Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam
paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh
Allah kay nazdik shareek batlatay hain. 16.02
Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney bandon
mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum logon ko aagah
kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi pus tum mujh say daro.
16.03 Ussi ney aasmanon aur zamin ko
haq kay sath peda kiya hai woh iss say bari hai jo mushrik kertay
hain. 16.04 Uss ney insan ko nutfay
say peda kiya phir woh sareeh jhagraloo bann betha.
16.05 Ussi ney chopaye peda kiye jin mein tumharay
liye garmi kay libas hain aur bhi boht say nafay hain aur baaz
tumharay khaney kay kaam aatay hain. 16.06
Aur inn mein tumhari ronaq bhi hai jab chara ker laao tab bhi
aur jab charaney ley jao tab bhi. 16.07
Aur woh tumharay bojh unn shehron tak utha ley jatay hain jahan
tum baghair aadhi jaan kiye phonch hi nahi saktay thay. Yaqeenan
tumhara rab bara hi shafiq aur nihayat meharbaan hai.
16.08 Ghoron ko khacharon ko gadhon
ko uss ney peda kiya kay tum unn ki sawari lo aur baees-e-zeenat
bhi hain. Aur bhi woh aisi boht cheezen peda kerta hai jin ka
tumhen ilm bhi nahi. 16.09 Aur
Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi raahen
hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per laga
deta. 16.10 Wohi tumharay faeeday
kay liye aasman say pani barsata hai jissay tum peetay bhi ho
aur ussi say ugay huye darakhton ko tum apney janwaron ko charatay
ho. 16.11 Issi say woh tumharay
liye kheti aur zaitoon aur khujoor aur angoor aur her qisam
kay phal ugata hai be-shak unn logon kay liye iss mein bari
nishani hai jo ghor-o-fikar kertay hain. 16.12
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker
diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan
iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood
hain. 16.13 Aur bhi boht si cheezen
tarah tarah kay rang roop ki uss ney tumharay liye zamin per
phela rakhi hain. Be-shak naseehat qabool kerney walon kay liye
iss mein bari bhari nishani hai. 16.14
Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain kay tum
iss mein say (nikla hua) taza gosht khao aur iss mein say apney
pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum dekhtay ho kay kashtiyan
iss mein pani cheerti hui (chalti) hain aur iss liye bhi kay
tum uss ka fazal talash kero aur hosakta hai kay tum shukar
guzari bhi kero. 16.15 Aur uss
ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen ley ker hilay
na aur nehren aur raahen bana den takay tum manzil-e-maqsood
ko phoncho. 16.16 Aur bhi boht
si nishaniyan muqarrar farmaeen. Aur sitaron say bhi log raah
hasil kertay hain. 16.17 To kiya
woh jo peda kerta hai uss jaisa hai jo peda nahi ker sakta?
Kiya tum bilkul nahi sochtay? 16.18
Aur agar tum Allah ki nematon ka shumar kerna chahao to tum
ussay nahi ker saktay. Be-shak Allah bara bakhshney wala meharban
hai. 16.19 Aur jo kuch tum chupao
aur zahir kero Allah Taalaa sab kuch janta hai.
16.20 Aur jin jin ko yeh log Allah Taalaa kay
siwa pukartay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay
woh khud peda kiye huye hain. 16.21
Murdey hain zinda nahi unhen to yeh bhi shaoor nahi kay kab
uthayen jayen gay. 16.22 Tum sab
ka mabood sirf Allah Taalaa akela hai aur aakhirat per eman
na rakhney walon kay dil munkir hain aur woh khud takabbur say
bharay huye hain. 16.23 Bey shak-o-shuba
Allah Taalaa her uss cheez ko jissay woh log chupatay hain aur
jissay zahir kertay hain bakhoobi janta hai. Woh ghuroor kerney
walon ko pasand nahi farmata. 16.24
Inn say jab daryaft kiya jata hai kay tumharay perwerdigar ney
kiya nazil farmaya hai? To jawab detay hain kay aglon ki kahaniyan
hain. 16.25 Issi ka natija hoga
kay qayamat kay din yeh log apney pooray bojh kay sath hi unn
kay bojh kay bhi hissay daar hongay jinhen bey ilmi say gumraah
kertay rahey. Dekho to kaisa bura bojh utha rahey hain. |
| |