| Surat-Bani-Israeel
17 |
| (Sura-Bani-Israeel Makka mai
Nazil hui, is mai aikso-gyara (111) Aayatain hain) |
| |
17.01 Pak
hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat hi raat mein masjid-e-haram
say masjid-e-aqsa tak ley gaya jiss kay aas pass hum ney barkat
dey rakhi hai iss liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney
deikhayen yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala
hai. 17.02 Hum ney musa ko kitab
di aur ussay bani israeel kay liye hidayat bana diya kay tum
meray siwa kissi ko apna kaarsaaz na banana. 17.03
Aey unn logon ki aulad! Jinhen hum ney nooh kay sath
sawar ker diya tha woh humara bara hi shukar guzaar banda tha.
17.04 Hum ney bano islraeel kay liye
unn ki kitab mein saaf faisla ker diya tha kay tum zamin mein
doobara fasad barpa kero gay aur tum bari zabardast ziyadtiyan
kero gay. 17.05 Inn dono wadon
mein say pehlay kay aatay hi hum ney tumharay muqabley per apney
banday bhej diye jo baray hi larakay thay. Pus woh tumharay
gharon kay andar tak phel gaye aur Allah ka yeh wada poora hona
hi tha. 17.06 Phir hum ney unn
per tumhara ghalba dey ker tumharay din pheray aur maal aur
aulad say tumhari madad ki aur tumehn baray juthay wala bana
diya. 17.07 Agar tum ney achay
kaam kiye to khud apney hi faeeday kay liye aur agar tum ney
buraiyan kin to bhi apney hi liye phir jab doosray waday ka
waqt aaya (to hum ney doosray bandon ko bhej diya takay) woh
tumharay chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi
masjid mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen
tor phor ker jarr say ukhar den. 17.08
Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray. Haan
agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara aisa
hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana jahannum ko
bana rakha hai. 17.09 Yaqeenan
yeh quran woh raasta dikhata hai jo boht hi seedha hai aue eman
walon ko jo nek aemaal kertay hain iss baat ki khushkhabri deta
hai kay unn kay liye boht bara ajar hai. 17.10
Aur yeh kay jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay
unn kay liye hum ney dardnaak azab tayyar ker rakha hai.
17.11 Aur insan buraee ki duayen mangney
lagta hai bilkul iss ki apni bhalaee ki dua ki tarah insan hai
hi bara jald baaz. 17.12 Hum ney
raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki
nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani
ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker
sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom
ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan
farma diya hai. 17.13 Hum ney
her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur
baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen
gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga.
17.14 Ley! Khus hi apni kitab aap parh ley.
Aaj to tu aap hi apna khud hisab lenay ko kafi hai.
17.15 Jo raah-e-raast hasil kerley woh khud
apney hi bhalay kay liye raah yafta hota hai aur jo bhatak jaye
uss ka bojh ussi kay upper hai koi bojh wala kissi aur ka bojh
apney upper na laaday ga aur humari sunnat nahi kay rasool bhejney
say pehlay hi azab kerney lagen. 17.16
Aur jab hum kissi basti ki halakat ka irada ker letay
hain to wahan kay khushaal logon ko (kuch) hukum detay hain
aur woh uss basti mein khulli na-farmani kerney lagtay hain
to unn per (azab) ki baat sabit hojati hai phir hum ussay tabah-o-barbad
ker detay hain. 17.17 Hum ney
nooh kay baad bhi boht si qomen halak kin aur tera rab apney
bandon kay gunahon say kafi khabardaar aur khoob dekhney wala
hai. 17.18 Jiss ka irada sirf
iss jaldi wali duniya (fori faeeda) ka hi ho ussay hum yahan
jiss qadar jiss kay liye chahayen sirdast detay hain bil aakhir
uss kay liye jahannum muqarrar ker detay hain jahan woh burray
halon dhutkara hua dakhil hoga. 17.19 Aur
jiss ka irada aakhirat ka ho aur jaisi kosish uss kay liye honi
chahaye woh kerta bhi ho aur woh baa eman bhi ho pus yehi log
hain jin ki kosish ki Allah kay haan poori qadar daani ki jaye
gi. 17.20 Her aik ko hum ba-hum
phonchaye jatay hain enhen bhi aur unhen bhi teray perwerdigar
kay inamaat mein say. Teray perwerdigar ki bakhsish ruki hui
nahi hai. 17.21 Dekhlay kay inn
mein aik ko aik per hum ney kiss tarah fazilat dey rakhi hai
aur aakhirat to darjon mein aur bhi barh ker hai aur fazilat
kay aetbaar say bhi boht bari hai. 17.22
Allah kay sath kissi aur ko mabood na thehra kay aakhirish
tu buray halon bey kus hoker beht rahey ga. 17.23
Aur tera perwerdigar saaf saaf hukum dey chuka hai
kay tum uss kay siwa kissi aur ki ibadat na kerna aur maa baap
kay sath ehsan kerna. Agar teri mojoodgi mein inn mein say aik
ya yeh dono burhapay ko phonch jayen to unn kay aagay uff tak
na kehna na unhen daant dapat kerna bulkay unn kay sath adab-o-ehtram
say baat cheet kerna. 17.24 Aur
aajzi aur mohabbat kay sath unn kay samney tawazo ka bazoo pust
rakhay rakhna aur dua kertay rehna kay aey meray perwerdigar!
Inn per waisa hi reham ker jaisa enhon ney meray bachpan mein
meri perwerish ki hai. 17.25 Jo
kuch tumharay dilon mein hai ussay tumhara rab bakhoobi janta
hai agar tum nek ho to woh to tujoo kerney walon ko bakhshney
wala hai. |
| |