 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Kaahaf
18 |
| (Sura-Kaahaf Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-das (110) Aayatain hain) |
| |
18.01 Tamam
tareefen ussi Allah kay liye saza waar hain jiss ney apney bandey
per yeh quran utara aur iss mein koi kasar baqi na chori.
18.02 Bulkay her tarah say theek thaak rakha
takay apney pass ki saza sakht saza say hoshiyar ker dey aur
eman laney aur nek amal kerney walon ko khushkhabriyan suna
dey kay unn kay liye behtareen badla hai.
18.03 Jiss mein woh hamesha hamesha rahen gay.
18.04 Aur unn logon ko bhi dara dey jo kehtay
hain kay Allah Taalaa aulad rakhta hai.
18.05 Dar-haqeeqat na to khud unhen iss ka
ilm hai na unn kay baap dadon ko. Yeh tohmat bari buri hai jo
inn kay mun say nikal rahi hai woh nira jhoot bak rahey hain.
18.06 Pus agar yeh log iss baat per eman na
layen to kiya aap inn kay peechay issi ranj mein apni jaan halak
ker dalen gay?
18.07 Rooy-e-zamin per jo kuch hai hum ney
ussay zamin ki ronaq ka baees banaya hai kay hum enhen aazma
len kay inn mein say kaun nek aemaal wala hai.
18.08 Iss per jo kuch hai hum ussay aik humwaar
saaf maidan ker dalney walay hain.
18.09 Kiya tu apney khayal mein ghaar aur katbay
walon ko humari nishaniyon mein say koi boht ajeeb nishani samjha
raha hai?
18.10 Unn chand no-jawano ney jab ghaar mein
panah li to dua ki kay aey humaray perwerdigar! Humen apney
pass say rehmat ata farma aur humaray kaam mein humaray liye
raah yabi ko aasan ker dey.
18.11 Pus hum ney unn kay kano per ginti kay
kaee saal tak issi ghaar mein pardey daal diye.
18.12 Phir hum ney unehn utha khara kiya kay
hum yeh maloom ker len kay dono giroh mein say uss intehaee
muddat ko jo unhon ney guzari kiss ney ziyada yaad rakhi hai.
18.13 Hum unn ka sahih waqiya teray samney
biyan farma rahey hain. Yeh chand no-jawan apney rab per eman
laye thay aur hum ney unn ki hodayat mein taraqqi di thi.
18.14 Hum ney unn kay dil mazboot ker diye
thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara
perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai
na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren
agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi.
18.15 Yeh hai humari qom jiss ney iss kay siwa
aur mabood bana rakhen hain. Inn ki khudaee ki yeh koi saaf
daleel kiyon paish nahi kertay Allah per jhoot iftra bandhney
walay say ziyada zalim kaun hai?
18.16 Jabkay tum unn say aur Allah kay unn
kay maboodon say kinara kash hogaye to abb tum kissi ghaar mein
jaa behto tumhara rab tum per apni rehmat phela dey ga aur tumharay
liye tumharay kaam mein sahoolat mohiyya ker dey ga.
18.17 Aap dekhen gay kay aftab ba-waqt tuloo
unn kay ghaar say dayne janob ko jhuk jata hai aur ba-waqt-e-ghuroob
unn kay bayen janib katra jata hai aur woh iss ghaar ki kushada
jaga mein hain. Yeh Allah ki nishaniyon mein say hai. Allah
Taalaa jiss ki raahbari farmaye woh raah-e-raast per hai aur
jissay woh gumraah ker dey na mumkin hai kay aap uss ka koi
kaar saaz aur rehnuma paa saken.
18.18 Aap khayal kertay hain kay woh beydaar
hain halankay woh soye huye thay khud hum hi unhen dayen bayen
kerwaten dilaya kertay thay unn ka kutta bhi chokhat per apney
hath paon phelaye huye tha. Agar aap jhank ker unhen dekhna
chahatay to zaroor ultay paon bhag kharay hotay aur unn kay
rob say aap per dehshat chah jati.
18.19 Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha
diya kay aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney
kaha kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney
jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney lagay
kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah Taalaa hi
ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni yeh chandi dey
ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley kay shehar ka kaun
say khana pakeeza tar hai phir ussi mein say tumharay liye khaney
kay liye ley aaye aur boht ehtiyat aur narmi barttay aur kissi
ko tumhari khabar na honey dey.
18.20 Agar yeh kafir tum per ghalba paa len
to tumhen sangsaar ker den gay ya tumhen phir apney deen mein
lota len gay aur phir tum kabhi bhi kaamyaab na hosako gay.
18.21 Hum ney iss tarah logon ko unn kay haal
say aagah ker diya kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul
sacha hai aur qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney
amar mein aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn
kay ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal
ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein ghalba
paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass masjod bana
len gay.
18.22 Kuch log to kahen gay kay ashaab-e-kahaf
teen thay aut chotha unn ka kuta tha. Kuch kahen gay kay panch
thay aur chata unn ka kuta tha ghaib ki baton mein atkal (kay
teer tukkay) chalatay hain kuch kahen gay woh saat hain aur
aathwaa unn ka kuta hai. Aap keh dijiye kay mera perwerdigar
unn ki tadaad ko ba-khoobi jannay wala hai unhen boht hi kum
log jantay hain. Pus aap inn kay muqadmay mein sirf sirsari
guftugoo hi keren aur inn mein say kissi say unn kay baray mein
pooch gooch bhi na keren.
18.23 Aur hergiz hergiz kissi kaam yun na kehna
kay mein issay kal keroon ga.
18.24 Magar sath hi inshaAllah keh lena. Aur
jab bhi bhoolay apney perwerdigar ko yaad ker liya kerna aur
kehtay rehna mujhay poosi umeed hai kay mera rab mujhay iss
say bhi ziyada hidayat kay qareeb ki baat ki rehbari keray.
18.25 Woh log apney ghaar mein teen so saal
tak rahey aur no saal aur ziyada guzaray. |
| |