 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Tahaa
20 |
| (Sura-Tahaa Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-paintees (135) Aayatain hain) |
| |
20.01 Taahaa
20.02 Hum ney yeh quran tujh per iss liye nahi
utara kay tu mushaqqat mein parr jaye.
20.03 Bulkay uss ki naseehat kay liye jo Allah
say darta hai.
20.04 Iss ka utarna uss ki taraf say hai jiss
ney zamin ko aur buland aasmano ko peda kiya hai.
20.05 Jo rehman hai arsh per qaeem hai.
20.06 Jiss ki milkiyat aasmano aur zamin aur
inn dono kay darmiyan aur (kurra-e-khak) kay neechay ki her
aik cheez per hai.
20.07 Agar tu unchi baat kahey to woh to her
aik posheeda bulkay posheeda say posheeda tar cheez ko bhi ba-khoobi
janta hai.
20.08 Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood
nahi behtareen naam ussi kay hain.
20.09 Tujhay musa (alh-e-salam) ka qissa bhi
maloom hai?
20.10 Jabkay uss ney aag dekh ker apney ghar
walon say kaha kay tum zara si dare thehar jao mujhay aag dikhaee
di hai. Boht mumkin hai kay mein iss ka koi angara tumharay
pass laon yaa aag kay pass say rastay ki itlaa paon.
20.11 Jab woh wahan phonchay to awaz di gaee
aey musa!
20.12 Yaqeenan mein hi tera perwerdigar hun
to tu apni jootiyan utar dey kiyon kay tu pak maidan-e-toowa
mein hai.
20.13 Aur mein ney tujhay muntakhib ker liya
hai abb jo wahee ki jaye ussay kaan laga ker sunn.
20.14 Be-shak mein hi Allah hun meray siwa
ibadat kay laeeq aur koi nahi pus tu meri hi ibadat ker aur
meri yaad kay liye namaz qaeem rakh.
20.15 Qayamat yaqeenan aaney wali hai jissay
mein posheeda rakhna chahata hun takay her shaks ko woh badla
diya jaye jo uss ney kosish ki ho.
20.16 Pus abb iss kay yaqeen say tujhay koi
aisa shaks rok na dey jo iss per emaan na rakhta ho aur apni
khuawish kay peechay para ho werna tu halak ho jaye ga.
20.17 Aey musa terau iss dayen hath mein kiya
hai?
20.18 Jawab diya kay yeh meri lathi hai jiss
per mein take lagata hun aur jiss say mein apni bakriyon kay
liye pattay jhaar liya kerta hun aur bhi iss mein mujhay boht
faeeday hain.
20.19 Farmaya aey musa! Issay hath say neechay
daal dey.
20.20 Daltay hi woh saanp bann ker dorney lagi.
20.21 Farmaya bey khof ho ker issay pakar ley
hum issay ussi pehli si surat mein doobara laa den gay.
20.22 Aur apna hath apni baghal mein daal ley
to woh safaid chamakta hua ho ker niklay ga lekin baghair kisi
aib (aur rog) kay yeh doosra moajzza hai.
20.23 Yeh iss liye kay hum tujhay apni bari
bari nishaniyan dikhana chahatay hain.
20.24 Abb tu firaon ki taraf jaa uss ney barri
sirkashi macha rakhi hai.
20.25 Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray
perwerdigar! Mera seena meray liye khol dey. |
| |
|
| |
|
| |