 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Anbiya
21 |
| (Sura-Anbiya Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-bara (112) Aayatain hain) |
| |
21.01 Logon
kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi woh bey khabri mein
mun pheray huye hain.
21.02 Inn kay pass inn kay rab ki taraf say
jo bhi naee naee naseehat aati hai issay woh khel kood mein
hi suntay hain.
21.03 Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn
zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa
insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein
aajatay ho.
21.04 Payghumber ney kaha mera perwerdigar
her uss baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai
woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai.
21.05 Itna hi nahi bulkay yeh to kehtay hain
kay yeh quran peraganda khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney
az-khud issay ghar liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray
samney yeh koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber
bhejay gaye thay.
21.06 Inn say pehlay jitni bastiyan hum ney
ujarin sab eman say khali thin. To kiya abb yeh eman layen gay.
21.07 Tujh say pehlay bhi jitney payghumber
hum ney bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay
thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen ilm
na ho.
21.08 Hum ney inn kay aisay jism nahi banaye
thay kay woh khana na khayen aur na woh hamesha rehney walay
thay.
21.09 Phir hum ney unn say kiye huye sab waday
sachay kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee
aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya.
21.10 Yaqeenan hum ney tumhari janib kitab
nazil farmaee hai jiss mein tumharay liye zikar hai kiya phir
bhi tum aqal nahi rakhtay?
21.11 Aure boht si bastiyan hum ney tabah ker
din jo zalim thin aur unn kay baad hum ney doosri qom ko peda
ker diya.
21.12 Jab unhon ney humaray azab ka ehsas ker
liya to lagay uss say bhagney.
21.13 Bhag dor na kero aur jahan tumhen aasoodgi
di gaee thi wahin wapis loto aur apney makanaat ki taraf jao
takay tum say sawal to ker liya jaye.
21.14 Kehney lagay haaye humari kharabi! Be-shak
hum zalim thay.
21.15 Phir to unn ka yehi qol raha yahan tak
kay hum ney unhen jarr say kati hui kheti aur bujhi pari aag
(ki tarah) ker diya.
21.16 Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan
ki cheezon ko kheltay huye nahi banaya.
21.17 Agar hum yun hi khel tamashay ka irada
kertay to to ussay apnay pass say hi bana letay agar hum kerney
walay hi hotay.
21.18 Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay
hain pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood
ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye baees-e-kharabi
hain.
21.19 Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah
ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi
kertay hain aur na thaktay hain.
21.20 Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain
aur zara si bhi susti nahi kertay.
21.21 Kiya inn logon ney zamin (ki makhlooqaat
mein) say jinhen mabood bana rakha hai woh zinda ker detay hain.
21.22 Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah
Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho
jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai
jo yeh mushrik biyan kertay hain.
21.23 Woh apney kaamon key liye (kissi kay
aagay) jawab deh nahi aur sab (uss kay aagay) jawab deh hain.
21.24 Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur
mabood bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish
kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say aglon
ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar log haq ko nahi
jantay issi waja say mun moray huye hain.
21.25 Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney
bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi
mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero. |
| |
|
| |
|
| |