 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Hajj
22 |
| (Sura-Hajj Madani mai Nazil
hui, is mai atthattar (78) Aayatain hain) |
| |
22.01 Logo!
Apnay perwerdigar say daro! Bilshuba qayamat ka zalzala boht
hi bari cheez hai.
22.02 Jiss din tum ussay dekh lo gay her
doodh pilaney wali apnay doodh peetay bachay ko bhool jayegi
aur tamam hamal waliyon kay hamal girr jayen gay aur tu dekhay
ga kay log madhosh dikhaee den gay halankay dar-haqeeqat who
matwalay na hongay lekin Allah ka azab bara hi sakht hai.
22.03 Baaz log Allah kay baray mein batein
banatay hain aur woh bhi bey ilmi kay sath aur her sirkash
shetan ki pairwee kertay hain.
22.04 Jiss per (qazay-e-elahee) likh di gaee
hai kay jo koi uss ki rafaqat keray ga woh ussay gumrah ker
dey ga aur ussay aag kay azab ki taraf ley jayeg.
22.05 Logo agar tumhen marney kay baad ji
uthney mein shak hai to socho hum ney tumhen mitti say peda
kiya phir nutfay say phir khoon basta say phir gosht kay lothray
say jo soorat diya gaya tha aur bey naqsha tha. Yeh hum tum
per zahir ker detay hain aur hum jissay chahayen aik thehraye
huye waqt tak reham-e-madir mein rakhtay hain phir tumhen
bachpan ki halat mein duniya mein latay hain phir takay tum
apni poori jawani ko phoncho tum mein say baaz to woh hain
jo fot ker liye jatay hain aur baaz bey gharz umar ki taraf
phir say lota diye jatay hain kay woh aik cheez say ba-khabar
honey kay baad phir bey khabar hojaye. Tu dekhta hai kay zamin
(banjar aur) khusk hai phir jab hum uss per barishen barsatay
hain to woh ubharti hai aur phoolti hai aur her qisam ki ronaq
daar nabataat ugati hai.
22.06 Yeh iss liye kay Allah hi haq hai aur
wohi murdon ko jilata hai aur woh her her cheez per qudrat
rakhney wala hai.
22.07 Aur yeh kay qayamt qata’an aaney
wali hai jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah
Taalaa qabron walon ko doobara zinda farmaye ga.
22.08 Baaz log Allah kay baray mein baghari
ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay
jhagartay hain.
22.09 Jo apni pehloo morney wala bann ker
iss liye kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein
bhi ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum
mein jalney ka azab chakhayen gay.
22.10 Yeh unn aemaal ki waja say hai jo teray
hathon ney aagay bhej rakhay thay. Yaqeen mano kay Allah Taalaa
apnay bando per zulm kerney wala nahi.
22.11 Baaz log aisay bhi hain kay aik kinaray
per (kharay) ho ker Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi
nafa mill gaya to dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi
aafat aagaee to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono
jahan ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai.
22.12 Allah kay siwa unhen pukara kertay
hain jo na unhen nuksan phoncha saken na nafa. Yehi to door
daraz ki gumrahi hai.
22.13 Ussay pukartay hain jiss ka nuksan
uss kay nafay say ziyada qareeb hai yaqeenan buray wali hain
aur buray sathi.
22.14 Emaan aur nek aemaal walon ko Allah
Taalaa lehren leti hui nehron wali jannaton mein ley jaye
ga. Allah jo irada keray ussay ker kay rehta hai.
22.15 Jiss ka yeh khayal ho kay Allah Taalaa
apnay rasool ki madad dono jahan mein na keray ga woh unchaee
per aik rassa bandh ker (apnay halaq mein phanda daal ker
apna gala ghont ley) phir dekh ley kay uss ki chalakkiyon
say woh baat hat jati hai jo ussay tarpa rahi hai?
22.16 Hum ney issi tarah iss quran ko wazeh
aayaton mein utara hai. Jissay Allah chahaye hidayat naseeb
farmata hai.
22.17 Be-shak ehal-e-emaan aur yahoodi aur
saabi aur nasrani aur majoosi aur mushtikeen inn sab kay darmiyan
qayamat kay din khud Allah Taalaa faislay ker dey ga Allah
Taalaa her her cheez per gawah hai.
22.18 Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay
samney sajday mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay
aur sooraj aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur
janwar aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain
jin per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel
ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata hai
kerta hai.
22.19 Yeh dono apnay rab kay baray mein ikhtilaf
kerney walay hain pus kafiron kay liye to aag kay kapray beywant
ker katay jayen gay aur unn kay siron kay upper say sakht
kholta hua pani bahaya jayega.
22.20 Jiss say unn kay pet ki sab cheezen
aur khalen gala di jayen gi.
22.21 Aur unn ki saza kay liye lohay kay
hathoray hain.
22.22 Yeh jab bhi wahan kay ghum say nikal
bhagney ka irada keren gay wahin lota diye jayen gay aur (kaha
jayega) jalney ka azab chakho!
22.23 Emaan walon aur nek kaam walon ko Allah
Taalaa inn jannaton mein ley jayega jin kay darakhton talay
say nehren lehren ley rahi hain jahan woh soney kay kanggan
pehnaye jayen gay aur sachay moti bhi. Wahan unn ka libas
khlis resham hoga.
22.24 Unn ko pakeeza baat ki rehnumaee kerdi
gaee aur qabil-e-sadd tareef raah ki rehnumee kerdi gaee.
22.25 Jin logon ney kufur kiya aur Allah
ki raah rokney lagay aur uss hurmat wali masjid say bhi jissay
hum ney tamam logon kay liye masavi ker diya hai wahin kay
rehney walay hon ya bahir kay hon jo bhi zulm kay sath wahan
ilhaad ka irada keray hum ussay dard-naak azab chakhayen gay. |
| |
|
| |
|
| |