 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Mominoon
23 |
| (Sura-Mominoon Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-atthara (118) Aayatain hain) |
| |
23.01 Yaqeenan
emaan walon ney falah hasil kerli.
23.02 Jo aoni namaz mein khusoo kertay hain.
23.03 Jo laghwiyaat say mun mor letay hain.
23.04 Jo zakat ada kerney walay hain.
23.05 Jo apni sharamghaon ki hifazat kerney
walay hain.
23.06 Ba-juz apni biwiyon aur milkiyat ki
londiyon kay yaqeenan yeh mala matiyon mein say nahi hain.
23.07 Jo iss kay siwa kuch aur chahayen wohi
hadd say tajawuz ker janey walay hain.
23.08 Jo apni amanaton aur waday ki hifazat
kerney walay hain.
23.09 Jo apni namazon ki nigehbani kertay
hain.
23.10 Yehi waris hain.
23.11 Jo firdous kay waris hongay jahan woh
hamesha rahen gay.
23.12 Yaqeenan hum ney insan ko mitti kay
johar say peda kiya.
23.13 Phir ussay nutfa bana ker mehfooz jagah
mein qarar dey diya.
23.14 Phir nutfay ko hum ney jama hua khoon
bana diya phir uss khoon kay lothray ko gosht ka tukra ker
diya. Phir gosht kay tukray ko haddiyan bana den phir haddiyon
ko hum ney gosht pehna diya phir doosri banawat mein uss ko
peda ker diya. Barkaton wala hai woh Allah jo sab say behtareen
peda kerney wala hai.
23.15 Iss kay baad phir tum sab yaqeenan
marr janey walay ho.
23.16 Phir qayamat kay din bila shuba tum
sab uthaye jaogay.
23.17 Hum ney tumharay upper saat aasman
banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain.
23.18 Hum aik sahih andaz say aasman say
paani barsatay hain phir ussay zamin mein thehra detay hain
aur hum uss kay ley janey per yaqeena qadir hain.
23.19 Issi pani kay zariyey say hum tumharay
liye khajooron aur angooron kay baghaat peda ker detay hain
kay tumharay liye inn mein boht say meway hotay hain enhi
mein say tum khatay bhi ho.
23.20 Aru woh darakht jo toor-e-seena pahar
say nikalta hai jo tel nikalta hai aur khaney walay kay liye
salan hai.
23.21 Tumhray liye chopayon mein bhi boht
bari bhari ibrat hai. inn kay peton mein say hum doodh pilatay
hain aur bhi boht say nafay tumharay liye inn mein hain inn
mein say baaz baaz ko tum khatay bhi ho.
23.22 Aur inn per aur kashtiyon per tum sawar
keraye jatay ho.
23.23 Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam)
ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja uss ney kaha
aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa
tumhara koi mabood nahi kiya tum (uss say) nahi dartay.
23.24 Uss ki qom kay kafir sardaron ney saaf
keh diya kay yeh to tum jesa hi insan hai yeh tum per fazeelat
aur baraee hasil kerna chahata hai. Agar Allah hi ko manzoor
hota to kissi farishtay ko utarta hum ney to issay apnay aglay
baap dadon kay zamaney mein suna hi nahi.
23.25 Yaqeenan iss shaks ko junoon hai pus
tum issay aik waqt-e-muqarrara tak dheel do. |
| |
|
| |
|
| |