 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Noor
24 |
| (Sura-Noor Madani mai Nazil
hui, is mai chonsath (64) Aayatain hain) |
| |
24.01 Yeh
hai woh surat jo hum ney nazil farmaee hai aur muqarrar ker
di hai aur jiss mein hum ney khulli aayaten (ehkaam) utaray
hain takay tum yaad rakho.
24.02 Zina kaar aurat-o-mard mein say her aik
ko so koray lagao. Inn per Allah ki shareeat ki hadd jari kertay
huye tumhen hergiz tars na khana chahaye agar tumhen Allah per
aur qayamat kay din per emaan ho. Inn ki saza kay waqt musalmano
ki aik jamatmojood honi chahaye.
24.03 Zaani mard ba-juz zaaniya ya mushrika
aurat kay aur say nikah nahi kerta aur zina kaar aurat bhi bajuz
zaani ya mushrik mard kay aur nikah nahi kerti aur emaan walon
per yeh haram ker diya gaya.
24.04 Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat
lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen assi koray
lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool na kero. Yeh fasiq
log hain.
24.05 Haan jo log iss kay baad toba aur islah
ker len to Allah Taalaa bakshney wala aur meharbani kerney wala
hai.
24.06 Jo log apni biwiyon per bad-kaari ki
tohmat lagayen aur unn ka koi gawah ba-juz khud unn ki zaat
kay na ho to aisay logon mein say her aik ka saboot yeh hai
kay char martaba Allah ki qasam kha ker kahen kay woh sachon
mein say hain.
24.07 Aur paanchwen martaba kahey kay uss per
Allah ki lanat ho agar woh jhooton mein say ho.
24.08 Aur uss aurat say saza iss tarah door
hosakti hai kay woh char martaba Allah ki qasam kha ker kahey
kay yaqeenan iss ka mard jhoot bolney walon mein say hai.
24.09 Aur paanchwen dafa kahey kay uss per
Allah Taalaa ka azab ho agar uss ka khawind sachon mein say
ho.
24.10 Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum
per na hota (to tum per mushaqqat utarti) aur Allah Taalaa toba
qabool kerney wala ba-hikmat hai.
24.11 Jo log yeh boht bara bohtan bandh laye
hain yeh bhi tum mein say hi aik giroh hai. Tum issay apnay
liye bura na samjho bulkay yeh to tumharay haq mein behtar hai.
Haan inn mein say her aik shaks per itna gunah hai jitna uss
ney kamaya hai aur inn mein say jiss ney iss kay boht baray
hissay ko sir anjam diya hai uss kay liye azab bhi boht hi bara
hai.
24.12 Issay suntay hi momin mard-o-aurton ney
apnay haq mein nek gumani kiyon na ki aur kiyon na keh diya
kay yeh to khullam khulla sareeh bohtan hai.
24.13 Woh iss per char gawah kiyon na laye?
Aur jab gawah nahi laye to yeh bohtan baaz log yaqeenan Allah
kay nazdeek mehaz jhootay hain.
24.14 Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum
per duniya aur aakhirat mein na hota to yaqeenan tum ney jiss
baat kay charchay shuroo ker rakhay thay iss baray mein tumhen
boht bara azab phonchta.
24.15 Jabkay tum issay apni zabano say naqal
dar naqal kerney lagay aur apnay mun say woh baat nikalney lagay
jiss ki tumhen mutlaq khabar na thi go tum issay halki baat
samajhtay rahey lekin Allah Taalaa kay nazdeek woh boht bari
baat thi.
24.16 Tum ney aisi baat ko suntay hi kiyon
na keh diya kay humen aisi baat mun say nikalni bhi laeeq nahi.
Ya-Allah! Tu pak hai yeh to boht bara bohtan hai aur tohmat
hai.
24.17 Allah Taalaa tumhen naseehat kerta hai
kay phir kabhi bhi aisa kaam na kerna agar tum sachay momin
ho.
24.18 Allah Taalaa tumharay samney apni aayaten
biyan farma raha hai aur Allah Taalaa ilm-o-hikmat wala hai.
24.19 Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney
kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat
mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch
bhi nahi jantay.
24.20 Agar tum per Allah Taalaa ka fazal aur
uss ki rehmat na hoti aur yeh bhi kay Allah Taalaa bari shafqat
rakhney wala meharban hai. (to tum per azab utar jata).
24.21 Emaan walo! Shetan kay qadam-ba-qadam
na chalo. Jo shaks shetani qadmon ki pairwee keray to woh to
bey hayaee aur buray kaamon ka hi hukum keray ga. Aur agar Allah
Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota to tum mein say koi
bhi kabhi bhi pak saaf na hota. Lekin Allah Taalaa jissay pak
kerna chahaye ker deta hai aur Allah sab sunnay wala sab jannay
wala hai.
24.22 Tum mein say jo buzurgi aur kushadgi
walay hain unhen apnay qarabat daron aur miskeeno aur mohajiron
ko fi sabeelillah denay say qasam na kha leni chahaye bulkay
moaf ker dena aur dar-guzar ker lena chahaye. Kiya tum nahi
chahtay kay Allah Taalaa tumharay qasoor moaf farma dey? Allah
qasooron ko moaf farmaney wala meharban hai.
24.23 Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan
aurton per tohmat lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon
hain aur unn kay liye bara bhari azab hai.
24.24 Jabkay unn kay muqablay mein unn ki zabaney
aur unn kay hath paon unn kay aemaal ki gawahee den gay.
24.25 Uss din Allah Taalaa unhen poora poora
badla haq-o-insaf kay sath dey ga aur woh jaan len gay kay Allah
Taalaa hi haq hai (aur wohi) zahir kerney wala hai. |
| |
|
| |
|
| |