 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Furqaan
25 |
| (Sura-Furqaan Makka mai Nazil
hui, is mai satattar (77) Aayatain hain) |
| |
25.01 Bohat
ba-barkat hai woh Allah Taalaa jiss ney apnay banday per furqan
utara takay woh tamam logon kay liye aagah kerney wala bann
jaye.
25.02 Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur
zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein
koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik
munasib andaza thera diya hai.
25.03 Inn logon ney Allah kay siwa jinhen apnay
mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay
bulkay woh khud peda kiye jatay hain yeh to apni jaan kay nuksan
nafay ka bhi ikhtiyar nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur
na doobara ji uthney kay woh malik hain.
25.04 Aur kafiron ney kaha yeh to bus khud
issi ka ghara gharaya jhoot hai jiss per aur logon ney bhi iss
ki madad ki hai dar-asal yeh kafir baray hi zulm aur sir-ta-sir
jhoot kay murtakib huye hain.
25.05 Aur yeh bhi kaha kay yeh to aglon kay
afsaney hain jo iss ney likha rakhay hain bus wohi subha-o-shaam
iss kay samney parhay jatay hain.
25.06 Keh dijiye kay issay to uss Allah ney
utara hai jo aasman-o-zamin ki tamam posheeda baaton ko janta
hai. Be-shak woh bara hi bakhshney wala meharbaan hai.
25.07 Aur enhon ney kaha yeh kaisa rasool hai
kay khana khata hai aur bazaron mein chlta phirta hai iss kay
pass koi farishta kiyon nahi bheja jata? Kay woh bhi iss kay
sath ho ker daraney wala bann jata.
25.08 Ya iss kay pass koi khazana hi daal diya
jata ya iss ka koi baagh hi hota jiss mein say yeh khata. Aur
inn zalimon ney kaha kay tum aisay aadmi kay peechay ho liye
ho jiss per jadoo ker diya gaya hai.
25.09 Khayal to kijiye! Kay yeh log aap ki
nisbat kaisi kaisi baaten banatay hain. Pus jiss say khud hi
behak rahey hain aur kissi tarah raah per nahi aa saktay.
25.10 Allah Taalaa to aisa ba-barkat hai kay
agar chahaye to aap ko boht say aisay baghaat inayat farma dey
jo inn kay kahey huye bagh say boht hi behar hon jin kay neechay
nehren lehren ley rahi hon aur aap ko boht (pukhta) mehal bhi
dey dey.
25.11 Baat yeh hai kay yeh log qayamat ko jhoot
samajhtay hain aur qayamat kay jhutlaney walon kay liye hum
ney bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai.
25.12 Jab woh enhen door say dekhay gi to yeh
uss ka gussay say bipharna aur dharna sunen gay.
25.13 Aur jab yeh jahannum ki kissi tang jagah
mein mashken kus ker phenk diye jayengay to wahan apnay liye
maut hi maut pukaren gay.
25.14 (inn say kaha jayega) aaj aik hi maut
ko na pukaro bulkay boht si ammwaat ko pukaro.
25.15 Aap keh dijiye kay kiya yeh behtar hai
ya woh hameshgi wali jannat jiss ka wada perhezgaron say kiya
gaya hai jo inn ka badla hai aur inn kay lotney ki asli jagah
hai.
25.16 Woh jo chahayen gay unn kay liye wahan
mojood hoga hamesha rehney walay. Yeh to aap kay rab kay zimmay
wada hai jo qabil-e-talab hai.
25.17 Aur jiss din Allah Taalaa enhen aur siwaye
Allah kay jinhen yeh poojtay rahey unhen jama keray ga kay kiya
meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah
say gumm hogaye.
25.18 Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai
khud humen hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna
kaar saaz banatay baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay
baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat
bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay.
25.19 To enhon ney to tumhen tumhari tamam
baton mein jhutlaya abb na to tum mein azabon kay pherney ki
taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya
hai hum ussay bara azab chakhayen gay.
25.20 Hum ney aap say pehlay jitnay rasool
bhejay sab kay sab khana bhi khatay thay aur bazaron mein bhi
chaltay phirtay thay aur hum ney tum say her aik ko doosray
ki aazmaeesh ka zariya bana diya. Kiya tum sabar kero gay? Tera
rab sab kuch dekhney wala hai.
25.21 Aur jinhen humari mulaqat ki tawaqqa
nahi unhon ney kaha kay hum per farishtay kiyon nahi utaray
jatay? Ya hum apni aankhon say apnay rab ko dekh letay? Inn
logon ney apnay aap ko ho boht bara samajh rakha hai aur sakht
sirkashi ker li hai.
25.22 Jiss din yeh farishton ko dekh len gay
uss din inn gunehgaron ko koi khushi na hogi aur kahen gay yeh
mehroom hi mehroom kiye gaye.
25.23 Aur enhon ney jo amal kiye thay hum ney
unn ki taraf barh ker enhen paraganda zarron ki tarah ker diya.
25.24 Albatta uss din jannatiyon ka thikana
behtar hoga aur khuwab gaah bhi umdah hogi.
25.25 Aur jiss din aasman badal samet phat
jayega aur farishtay laga taar utaray jayengay. |
| |
|
| |
|
| |