 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Shooaraa
26 |
| (Sura-Shooaraa Makka mai Nazil
hui, is mai doso-sataees (227) Aayatain hain) |
| |
26.01 Tuaa-seen-meem
26.02 Yeh aayaten roshan kitab ki hain.
26.03 Inn kay emaan na laaney per shayad aap
to apni jaan kho den gay.
26.04 Agar hum chahatay to inn per aasman say
koi aisi nishani utartay kay jiss kay samney inn ki gardaney
khum ho jatin.
26.05 Aur inn kay pass rehman ki taraf say
jo bhi naee naseehat aaee yeh uss say roo-gardani kerney walay
bann gaye.
26.06 Inn logon ney jhutlaya hai abb inn kay
pass jaldi say iss ki khabren aajyen gi jiss kay sath woh maskhara
pann ker rahey hain.
26.07 Kiya enhon ney zamin per nazaren nahi
daalen? Kay hum ney iss mein her tarah kay nafees joray kiss
qadar ugaye hain?
26.08 Be-shak iss mein yaqeenan nishani hai
aur inn mein kay aksar log momin nahi hain.
26.09 Aur tera rab yaqeenan wohi ghalib aur
meharbaan hai.
26.10 Aur jabb aap kay rab ney musa (alh-e-salam)
ko aawaz di kay tu zalim qom kay pass jaa.
26.11 Qom-e-firaon kay pass kiya woh perhezgari
na keren gay.
26.12 Musa (alh-e-salam) ney kaha meray perwerdigar!
Mujhay to khof hai kay kahin woh mujhay jhutla (na) den.
26.13 Aur mera seena tang horaha hai meri zaban
chal nahi rahi pus tu haroon ki taraf bhi (wahee) bhej.
26.14 Aur unn ka meray aik qasoor ka (dawa)
bhi hai mujhay darr hai kay kahin woh mujhay maar na dalen.
26.15 Janab-e-baari ney farmaya! Hergiz aisa
na hoga tum dono humari nishaniyan ley ker jao hum khud sunnay
walay tumharay sath hain.
26.16 Tum dono firaon kay pass ja ker kaho
kay bila shuba hum rab-ul-aalamaeen kay bhejay huye hain.
26.17 Kay tu humaray sath bani israeel ko rawana
ker dey.
26.18 Fairaon ney kaha kiya hum ney tujhay
teray bachpan kay zamaney mein apnay haan nahi pala tha? Aur
tu ney apni umar kay boht say saal hum mein nahi guzaray?
26.19 Phir tu apna woh kaam ker gaya jo ker
gaya aur tu na shukro mein hai.
26.20 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jawab
diya kay mein ney uss kaam ko uss waqt kiya tha jabkay mein
raah bhoolay huye logon mein say tha.
26.21 Phir tum say khof kha ker mein tum mein
say bhaag gaya phir mujhay meray rab ney hukum-o-ilm ata farmaya
aur mujhay apnay payghumbaron mein say ker diya.
26.22 Mujh per tera kiya yehi woh ehsan hai?
Jissay tu jata raha hai kay tu ney bani israeel ko ghulam bana
rakha hai.
26.23 Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya
cheez hai?
26.24 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya
woh aasamano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon
ka rab hai agar tum yaqeen rakhney walay ho.
26.25 Firaon ney apney ird-gird walon say kaha
kay kiya tum sunn nahi rahey? |
| |
|
| |
|
| |