 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Namal
27 |
| (Sura-Namal Makka mai Nazil
hui, is mai teranway (93) Aayatain hain) |
| |
27.01 Tua-Seen
yeh aayaten hain quran ki (yani wazeh) aur roshan kitab ki.
27.02 Hidayat aur khushkhabri emaan walon kay
liye.
27.03 Jo namaz qaeem kertay hain aur zakat
ada kertay hain aur aakhirat per yaqeen rakhtay hain.
27.04 Jo log qayamat per emaan nahi latay hum
ney unhen unn kay kartoot zeenat daar ker dikhaye hain pus woh
bhataktay phirtay hain.
27.05 Yehi log hain jin kay liye bura azab
hai aur aakhirat mein bhi woh sakht nuksan yaafta hain.
27.06 Be-shak aap ko Allah hakeem-o-aleem ki
taraf say quran sikhaya ja raha hai.
27.07 (yaad hoga) jab musa (alh-e-salam) ney
apnay ghar walon say kaha mein ney aag dekhi hai mein wahan
say ya to koi khabar ley ker ya aag ka koi sulagta hua angara
ley ker abhi tumharay pass aajaonga takay tum seenk taap kerlo.
27.08 Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay
ba-barkat hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai
woh jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano
ka palney wala hai.
27.09 Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hi Allah
hun ghalib ba-hikmat.
27.10 Tu apni laathi daal dey musa ney jab
ussay hilta julta dekha iss tarah kay goya woh aik saanp hai
to mun moray huye peeth pher ker bhagay aur palat ker bhi na
dekha aey musa! Khof na kha meray huzoor mein payghumber dara
nahi kertay.
27.11 Lekin jo log zulm keren phir uss kay
ewaz neki keren uss buraee kay peechay to mein bhi bakshney
wala meharbaan hun.
27.12 Aur apna hath apney girbaan mein daal
woh safaid chamkeela hoker niklay ga baghair kissi aib kay tu
no nishaniyan ley ker firaon aur uss ki qom ki taraf jaa yaqeenan
woh bad-kaaron ka giroh hai.
27.13 Pus jab unn kay pass aankhen khol denay
walay humaray moajzzay phonchay to woh kehney lagay yeh to sareeh
jadoo hai.
27.14 Unhon ney inkar ker diya halankay unn
kay dil yaqeen ker chukay thay sirf zulm aur takabbur ki bina
per. Pus dekh lijiye kay inn fitna perdaaz logon ka anjam kaisa
kuch hua.
27.15 Aur hum ney yaqeenan dawood aur suleman
ko ilm dey rakha thaaur dono ney kaha tareef uss Allah kay liye
hai jiss ney humen apnay boht say emaan daar bandon per fazeelat
ata farmaee hai.
27.16 Aur dawood kay waris suleman huye aur
kehney lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur
hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul khula
hua fazal-e-elahee hai.
27.17 Suleman kay samney unn kay tamam lashkar
jinnaat aur insan aur perind mein say jama kiye gaye (her her
qisam ki) alag alag darja bandi kerdi gaee.
27.18 Jab woh chewuntiyon kay maidan mein phonchay
to aik chewunti ney kaha aey chewuntiyon! Apnay apnay gharon
mein ghus jao aisa na ho kay bey khabri mein suleman aur uss
ka lashkar tumhen rond dalay.
27.19 Uss ki iss baat per suleman muskura ker
hans diye aur dua kerney lagay kay aey perwerdigaar! Tu mujhay
tofiq dey kay mein teri inn nematon ka shukar baja laaon jo
tu ney mujh per inam ki hain aur meray maa baap per aur mein
aisay nek amal kerta rahon jin say tu khush rahey mujhay apni
rehmat say nek bandon mein shamil kerlay.
27.20 Aap ney paerindon ka jaeeza liya aur
farmaney lagay yeh kiya baat hai kay mein hud hud ko nahi dekhta?
Kiya waqaee woh ghair hazir hai?
27.21 Yaqeenan mein ussay sakht saza doon ga
ya ussay zibah ker daloon ga ya meray samney koi sareeh daleel
biyan keray.
27.22 Kuch ziyada dare na guzri thi kay aaker
uss ney kaha mein aik aisi cheez ki khabar laya hun kay tujhay
uss ki khabar hi nahi mein saba ki aik sachi khabar teray pass
laya hun.
27.23 Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik
aurat ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch
diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai.
27.24 Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah
Taalaa ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney
unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah say
rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay.
27.25 Kay ussi Allah kay liye sajday keren
jo aasmano aur zaminon ki posheeda cheezon ko bahir nikalata
hai aur jo kuch tum chupatay ho aur zahir kertay ho woh sab
kuch janta hai. |
| |
|
| |
|
| |