 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Ankaboot
29 |
| (Sura-Ankaboot Makka mai Nazil
hui, is mai unattar (69) Aayatain hain) |
| |
29.01 Alif-Laam-Meem
29.02 Kiya logon ney yeh guman ker rakha hai
kay unn kay sirf iss daway per kay hum emaan laye hain hum unhen
baghair aazmaye huyey hi chor den gay?
29.03 Inn say aglon ko bhi hum ney khoob jancha.
Yeqeenan Allah Taalaa unhen bhi jan ley ga jo sach kehtay hain
aur unhen bhi maloom ker ley ga jo jhootay hain.
29.04 Kiya jo log burayiyan ker rahey hain
unhon ney yeh samajh rakha hai kay woh humaray qaboo say bahir
ho jayen gay yeh log kaisi buri tajweezen ker rahen hain.
29.05 Jisay Allah ki mulaqat ki umeed ho pus
Allah ka theraya hua waqt yaqeenan aaney wala hai woh sab kuch
sunnay wala sab kuch jannay wala hai.
29.06 Aur her aik kosish kerney wala apnay
hi bhalay ki kosish kerta hai. Wesay to Allah Taalaa tamam jahaan
walon say bey niyaz hai.
29.07 Aur jo log emaan laye aur unhon ney mutabiq-e-sunnat
kaam kiye hum unn kay tamam gunahon ko unn say door ker den
gay aur unhen unn kay nek aemaal kay behtareen badlay den gay.
29.08 Hum ney her insan ko apnay maa baap kay
sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh
kosish keren kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka
aap ko ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna
meri hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay
thay tumhen khabar doon ga.
29.09 Aur jin logon ney emaan qabool kiya aur
nek kaam kiye unhen mein apnay nek bandon mein shumar ker loon
ga.
29.10 Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani
kehtay hain kay hum emaan laye hain lekin jab Allah ki raah
mein koi mushkil aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah
Taalaa kay azab ki tarah bana letay hain haan haan agar Allah
ki madad aajaye to pukar uthtay hain kay hum to tumharay sathi
hi hain kiya duniya jahaan kay seeno mein jo kuch hai uss say
Allah Taalaa dana nahi hai?
29.11 Jo log emaan laye Allah unhen bhi zahir
ker kay rahey ga aur munafiqon ko bhi zahir ker kay rahey ga.
29.12 Kafiron ney emaan walon say kaha kay
tum humari raah ki taby daari kero tumharay gunah hum utha len
gay halankay woh inn kay gunahon mein say kuch bhi nahi uthaney
walay yeh to mehaz jhootay hain.
29.13 Albatta yeh apnay bojh dho len gay aur
apnay bojhon kay sath hi aur bojh bhi. Aur jo kuch iftra perdaziyan
ker rahey hain unn sab ki babat unn say baaz purs ki jaye gi.
29.14 Aur hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn
ki qom ki taraf bheja woh unn mein sarhay no so saal tak rahey
phir to unhen toofan ney dhar pakra aur woh thay bhi zalim.
29.15 Phir hum ney unhen aur kashti walon ko
nijat di aur iss waqey ko hum ney tamam jahaan kay liye ibrat
ka nishan bana diya.
29.16 Aur ibrahim (alh-e-salam) ney bhi apni
qom say farmaya kay Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss say
dartay raho agar tum mein daanaaee hai to yehi tumharay liye
behtar hai.
29.17 Tum to Allah Taalaa kay siwa buton ki
pooja paat ker rahey ho aur jhooti baatein dil say gharh letay
ho. Suno! Jin jin ki tum Allah Taalaa kay siwa pooja paat ker
rahey ho woh to tumhari rozi kay malik nahi pus tumhen chahayey
kay tum Allah Taalaa hi say roziyan talab kero aur ussi ki ibadat
kero aur ussi ki shukar guzari kero aur ussi ki taraf tum lotaye
jao gay.
29.18 Aur agar tum jhutlao to tum say pehlay
ki ummaton ney bhi jhutlaya hai rasool kay zimmay to sirf saaf
tor per phoncha dena hi hai.
29.19 Kiya enhon ney nahi dekha kay makhlooq
ki ibtida kissa tarah Allah ney ki phir Allah iss ka aey-aada
keray ga yeh to Allah Taalaa per boht hi aasan hai.
29.20 Keh dijiye! kay zamin mein chal phir
ker dekho to sahi kay kiss tarah Allah Taalaa ney ibtida’an
pedaeesh ki. Phir Allah Taalaa hi doosri naee pedaeesh keray
ga Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
29.21 Jissay chahaye azab keray jiss per chahaye
reham keray sab ussi ki taraf lotaye jao gay.
29.22 Tum na to zamin mein Allah Taalaa ko
aajiz ker saktay ho na aasman mein Allah Taalaa kay siwa tumhara
koi waali hai na madadgaar.
29.23 Jo log Allah Taalaa ki aayaton aur uss
ki mulaqat ko bhulatay hain woh meri rehmat say na umeed ho
jayen aur unn kay liye dard naak azab hai.
29.24 Unn ki qom ka jawab ba-juz iss kay kuch
na tha kay kehney lagay kay issay maar dalo ya issay jala do.
Aakhirish Allah ney unhen aag say bacha liya iss mein emaan
walay logon kay liye boht si nishaniyan hain.
29.25 (hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha
kay tum ney jin buton ki parastish Allah kay siwa ki hai unhen
tum ney apni aapas ki duniyawi dosti ki bina thera li hai tum
sab qayamat kay din aik doosray say kufur kerney lago gay aur
aik doosray per lanat kerney lago gay. Aur tumhara sab ka thikana
dozakh hoga aur tumhara koi madadgaar na hoga. |
| |
|
| |
|
| |