 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Ahzaab
33 |
| (Sura-Ahzaab Makka mai Nazil
hui, is mai tehattar (73) Aayatain hain) |
| |
33.01 Aey nabi Allah Taalaa
say dartay rehna aur kafiron aur munafiqon ki baaton mein na
aajana Allah Taalaa baray ilm wala aur bari hikmat wala hai.
33.02 Jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf
say wahee ki jati hai uss ki tabey daari keren (yaqeen mano)
kay Allah tumharay her aik amal say ba-khabar hai.
33.03 Aap Allah hi per tawakkal rakhen woh
kaar saazi kay liye kafi hai.
33.04 Kissi aadmi kay seenay mein Allah Taalaa
ney do dil nahi rakhay aur apni jin biwiyon ko tum maa keh bethtay
ho unhen Allah ney tumhari (sach much ki) maayen nahi banaya
aur na tumharay ley paalak larkon ko (waqaee) tumharay betay
banaya hai yeh to tumharay apnay mun ki baaten hain Allah Taalaa
haq baat farmata hai aur woh (seedhi) raah sujhata hai.
33.05 Lay palakon ko unn kay (haqeeqi) baapon
ki taraf nisbat kerkay bulao Allah kay nazdeek poora insaf yeh
hi hai. Phir agar tumhen unn kay (haqeeqi) baapon ka ilm hi
na ho to woh tumharay deeni bhai aur dost hain tum say bhool
chook mein jo kuch hojaye uss mein tum per koi gunah nahi albata
gunah woh hai jiss ka tum irada dil say kero. Allah Taalaa bara
hi bakhshney wala meharbaan hai.
33.06 Payghumber momino per khud unn say bhi
ziyada haq rakhney walay hain aur payghumber ki biwiyan momino
ki maayen hain aur rishtay daar kitabullah ki roo say ba-nisbat
doosray momino aur mohajiron kay aapas mein ziyada haq daar
hain (haan) magar yeh kay tum apnay doston kay sath husn-e-salook
kerna chahao. Yeh hukum kitab (elahee) mein likha hua hai.
33.07 Jabkay hum ney tamam nabiyon say ehad
liya aur (bil-khusoos) aap say aur nooh say aur ibrahim say
aur musa say aur mariyam kay betay essa say aur hum ney unn
say (pakka aur) pukhta ehad liya.
33.08 Takay Allah Taalaa sachon say unn ki
sachaee kay baray mein daryaft farmaye aur kafiron kay liye
hum ney alamnaak azab tayyar ker rakhay hain.
33.09 Aey emaan walo! Allah Taalaa ney jo ehsan
tum per kiya ussay yaad kero jabkay tumharay muqablay ko fojon
per fojen aaen phir hum ney unn per tez-o-tund aandhi aur aisay
lashker bhejay jinhen tum ney dekha hi nahi aur jo kuch tum
kertay ho Allah Taalaa sab kuch dekhta hai.
33.10 Jabkay (dushman) tumharay pass uper say
aur neechay say charh aaye aur jabkay aankhen pathra gaen aur
kalejay mun ko aagaye aur tum Allah Taalaa ki nisbat tarah tarah
kay gumaan kerney lagay.
33.11 Yehi momin aazmaye gaye aur poori tarag
woh jhanjhor diyey gaye.
33.12 Aur uss waqt munafiq aur woh log jin
kay dilon mein (shak ka) rog tha kehney lagay Allah Taalaa aur
uss kay rasool ney hum say mehaz dhoka faraib ka hi wada kiya
tha.
33.13 Inn hi ki aik jamaat ney haank lagaee
kay aey madina walon! Tumharay liye thikana nahi chalo lot chalo
aur inn ki aik aur jamaat yeh keh ker nabi say ijazat maangney
lagi kay humaray ghar ghair mehfooz hain halankay woh (khullat
huyey aur) ghair mehfooz na thay (lekin) unn ka pukhta iradah
bhaag kharay honey ka tha.
33.14 Aur agar madiney kay aitraaf say unn
per (lashker) dakhil kiye jatay phir unn say fitna talab kiya
jata to yeh zaroor issay barpa ker detay aur na lartay magar
thori muddat.
33.15 Iss say pehlay to enhon ney Allah say
ehad kiya tha kay peeth na pheren gay aur Allah Taalaa say kiye
huyey waday ki baaz purs zaroor hogi.
33.16 Keh dijiye kay go tum maut say ya khof-e-qatal
say bhago to yeh bhagna tumhen kuch bhi kaam na aaye ga aur
uss waqt tum boht hi kum faeedah uthao gay.
33.17 Poochiye! To kay agar Allah Taalaa tumhen
koi buraee phonchana chahaye ye tum per koi fazal kerna chahaye
to kaun hai jo tumhen bacha sakay (ya tum say rok sakay?) apnay
liye b-juz Allah Taalaa kay na koi humayati payen gay na madadgar.
33.18 Allah Taalaa tum mein say unhen (ba-khoobi)
janta hai jo doosron ko roktay hain aur apnay bhai bando say
kehtay hain kay humaray pass chalay aao. Au kabhi kabhi hi laraee
mein aajatay hain.
33.19 Tumhari madad mein (pooray) bakheel hain
phir jab khof-o-dehshat ka moqa aajaye to aap enhen dekhen gay
kay aap ki taraf nazar jama detay hain aur inn ki aankhen iss
tarah ghoomti hain jaisay uss shaks ki jiss per maut ki ghashi
taari ho. Phir jab khof jata rehta hai to tum per apni tez zabano
say bari baaten banatay hain maal kay baray hi harees hain yeh
emaan laye hi nahi hain Allah Taalaa ney inn kay tamam aemaal
nabood ker diye hain aur Allah Taalaa per yeh boht hi aasan
hai.
33.20 Samjhtay hain kay abb tak lashkar chalay
aur agar fojen aajayen to tamannayen kertay hain kay kaash!
Woh sehra mein badiya nashiniyon kay sath hotay kay tumhari
khabren daryaft kiya kertay agar woh tum mein mojood hotay (to
bhi kiya?) na lartay magar baraye naam.
33.21 Yaqeenan tumharay liye rasool Allah mein
umdah namoona (mojood) hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa
ki aur qayamat kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah
Taalaa ki yaad kerta hai.
33.22 Aur emaan daron ney jab (kuffar kay)
lashkaron ko dekha (bay saakhta) keh uthay! Kay enhin ka wada
humen Allah Taalaa ney aur uss kay rasool ney diya tha aur Allah
Taalaa aur uss kay rasool ney sach farmaya aur iss (cheez) ney
unn kay emaan mein aur shewa-e-faman bardari mein aur izafa
ker diya.
33.23 Momino mein (aisay) log bhi hain jinhon
ney jo ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya
baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay kay) muntazir
hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki.
33.24 Takay Allah Taalaa sahon ko unn ki sachaee
ka badla dey aur agar chahaye to munafiqon ko saza dey ya unn
ki toba qabool farmaye Allah Taalaa bara hi bakhshney wala boht
hi meharbaan hai.
33.25 Aur Allah Taalaa ney kafiron ko gussay
mein bharay huyey hi (na murad) lota diya unhon ney koi faeeda
nahi paya aur uss jang mein Allah Taalaa khud hi momino ko kafi
hogaya Allah Taalaa bara hi qooaton wala aur ghalib hai. |
| |
|
| |
|
| |