 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Saba
34 |
| (Sura-Saba Makka mai Nazil
hui, is mai chavvan (54) Aayatain hain) |
| |
34.01 Tamam
tareefen uss Allah kay liye sazawaar hain jiss ki milkiyat mein
woh sab kuch hai jo aasmano aur zamin mein hai aakhirat mein
bhi tareef ussi kay liye hai woh (bari) hikmaton wala aur (poora)
khabardaar hai.
34.02 Jo zamin mein jaye aur jo iss say niklay
woh aasman say utray aur jo charh ker uss mein jaye woh sab
say ba-khabar hai. Aur woh meharbaan nihayat bakhsish wala hai.
34.03 Kuffaar kehtay hain hum per qayamat nahi
aaye gi. Aap keh dijiyey! Kay mujhay meray rab ki qasam! Jo
aalim-ul-ghaib hai kay woh yaqeenan tum per aaye gi Allah Taalaa
say aik zarray kay barabar ki cheez bhi posheedah nahi na aasmano
mein aur na zamin mein bulkay iss say bhi choti aur bari her
cheez khuli kitab mein mojood hai.
34.04 Takay woh emaan walon aur neko kaaron
ko bhala badla ata farmaye yehi log hain jin kay liye maghfirat
aur izzat ki rozi hai.
34.05 Aur humari aayaton ko neecha dikhaney
ki jinhon ney kosish ki hai yeh woh log hain jin kay liye bad-tareen
qisam ka dardnaak azab hai.
34.06 Aur jinhen ilm hai woh dekh len gay jo
kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say nazil hua hai woh
(sarasir) haq hai aur Allah ghalib khoobiyon walay ki raah ki
rehbari kerta hai.
34.07 Aur kafiron ney kaha (aao) hum tumhen
aik aisa shaks batlayen jo tumhen yeh khabar phoncha raha hai
kay jab tum bilkul hi reza reza hojao gay to phir say aik naee
pedaeesh mein aao gay.
34.08 (hum nahi keh saktay) kay khud uss ney
(hi) Allah per jhoot bandh liya hai ya ussay deewangi hai bulkay
(haqeeqat yeh hai) kay aakhirat per yaqeen na rakhney walay
hi azab mein aur door ki gumrahi mein hain.
34.09 Kiya pus woh apnay aagay peechay aasman-o-zamin
ko nahi dekh rahey? Agar hum chahayen to enhen zamin mein dhansa
den ya inn per aasman kay tukray gira den yaqeenan iss mein
poori daleel hai her uss banday kay liye jo (dil say) mutawajja
ho.
34.10 Aur hum ney dawood per apna fazal kiya
aey paharo! Iss kay sath raghbat say tasbeeh parha kero aur
parindon ko bhi (yehi hukum hai) aur hum ney iss kay liye loha
naram ker diya.
34.11 Kay tu poori poori zirhen bana aur joron
mein andaza rakh tum sab nek kaam kiya kero. (yaqeen mano) kay
mein tumharay aemaal dekh raha hun.
34.12 Aur hum ney suleman kay liye hawa ko
musakkhar ker diya kay subah ki manzil uss ki maheena bhar ki
hoti thi aur shaam ki manzil bhi aur hum ney unn kay liye taanbay
ka chashma baha diya. Aur uss kay rab kay hukum say baaz jinnat
uss ki ma-tehati mein uss kay samney kaam kertay thay aur inn
mein say jo bhi humaray hukum say sirtabi keray hum ussay bharakti
hui aag kay azab ka maza chakhayen gay.
34.13 Jo kuch suleman chahatay woh jinnat tayyar
ker detay maslan qilay aur mujassmay aur hozon kay barabar lagan
aur choolhon per jami hui mazboot deygen aey aal-e-dawood iss
kay shukriya mein nek amal kero meray bandon mein say shukar
guzar banday kum hi hotay hain.
34.14 Phir jab hum ney unn per maut ka hukum
bhej diya to unn ki khabar jinnat ko kissi ney na di siwaye
ghunn kay keeray kay jo unn kay asa ko kha raha tha. Pus jab
(suleman) gir paray uss waqt jinno ney jaan liya kay agar woh
ghaib daan hotay to iss zillat kay azab mein mubtila na rehtay.
34.15 Qom-e-saba kay liye apni bastiyon mein
(qudrat-e-elahee ki) nishani thi unn kay dayen bayen do baagh
thay (hum ney unn ko hukum diya tha kay) apnay rab ki di hui
rozi khao aur uss ka shukar ada kero yeh umdah shehar aur woh
bakhshney wala rab hai.
34.16 Lekin unhon ney roo-gardani ki to hum
ney unn per zor kay selab (ka paani) bhej diya aur hum ney unn
kay (haray bharay) baaghon kay badlay do (aisay) baagh diye
jo bad-maza mewon walay aur (ba-kasrat) jhao aur kuch bairi
kay darakhton walay thay.
34.17 Hum ney unn ki na-shukri ka yeh badla
unhen diya. Hum (aisi) sakht saza baray baray na-shukron hi
ko detay hain.
34.18 Aur hum ney unn kay aur unn bastiyon
kay darmiyan jin mein hum ney barkat dey rakhi thi chand bastiyan
aur (abad) rakhi thin jo bar sir-e-raah zahir thin aur inn mein
chalney ki manzilen muqarrar kerdi thin inn mein raton aur dino
ko ba-aman-o-amaan chaltay phirtay thay.
34.19 Lekin unhon ney phir kaha kay aey humaray
perwerdigar! Humaray safar door daraz ker day chunkay khud unhon
ney apnay hathon apna bura kiya iss liye hum ney unhen (guzishta)
fasano ki soorat mein ker diya aur unn kay tukray tukray ura
diye bila shuba her aik sabar-o-shukar kerney walay kay liye
iss (maajray) boht si ibraten hain.
34.20 Aur shetan ney unn kay baray mein apna
guman sach ker dikhaya yeh log sab kay sab uss kay tabeydaar
bann gaye siwaye momino ki aik jamaat kay.
34.21 Shetan ka unn per koi zor (aur dabao)
na tha magar iss liye kay hum inn logon ko jo aakhirat per emaan
rakhtay hain zahir ker dein unn logon mein say jo iss say shak
mein hain.aur aap ka rab (her) her cheez per nigehbaan hai.
34.22 Keh dijiyey! Kay Allah ka siwa jin jin
ka tumhen gumaan hai (sab) ko pukar lo na unn mein say kissi
ko aasmano aur zamino mein say aik zarray kay ikhtiyar hai na
unn ka inn mein koi hissa hai na unn mein say koi Allah ka madadgar
hai.
34.23 Shifaat (sifarish) bhi uss kay pass kuch
nafa nahi deti ba-juz unn kay jin kay liye ijazat hojaye. Yahan
tak kay jab inn kay dilo say ghabrahat door ker di jati hai
to poochtay hain tumharay perwerdigar ney kiya farmaya jawab
detay hain kay haq farmaya aur woh buland-o-bala aur boht bara
hai.
34.24 Poochiye kay tumhen aasmano aur zamin
say rozi kaun phonchata hai? (khud) jawab dijiye! Kay Allah
Taalaa. (suno) hum ya tum. Ya to yaqeenan hodayat per hain ya
khulli gumrahi mein hain?
34.25 Keh dijiye! Kay humaray kiye huye gunahon
ki babat tum say koi sawal na kiya jayega na tumharay aemaal
ki baaz purs hum say ki jayegi. |
| |
|
| |
|
| |