 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Yaseen
36 |
| (Sura-Yaseen Makka mai Nazil
hui, is mai terasi (83) Aayatain hain) |
| |
36.01 Yaseen
36.02 Qasam hai quran ba-hikmat ki.
36.03 Kay be-shak aap payghumbaron mein hain.
36.04 Seedhay rastay per hain.
36.05 Yeh quran Allah zabardast meharban ki
taraf say nazil kiya gaya hai.
36.06 Takay aap aisay logon ko darayen jin
kay baap daday nahi daraye gaye thay so (issi waja say) yeh
ghafil hain.
36.07 Inn mein say aksar logon per baat sabit
hochuki hai so yeh log emaan na layen gay.
36.08 Hum ney unn ki gardano mein toq daal
diyey hain phir woh thoriyon tak hain jiss say unn kay sir uper
ko ulat gaye hain.
36.09 Aur hum ney aik aarh unn kay samney ker
di aur aik aarh unn kay peechay kerdi jiss say hum ney unn ko
dhank diya so woh nahi dekh saktay.
36.10 Aur aap inn ko darayen ya na darayen
dono barabar hain yeh emaan nahi layen gay.
36.11 Bus aap to sirf aisay shaks ko dara saktay
hain jo naseehat per chalay aur rehman say bey dekhay daray
so aap uss ko maghfirat aur baq-waqar ajar ki khushkhabriyan
suna dijiyey.
36.12 Be-shak hum murdon ko zindah keren gay
aur hum likhtay jatay hain woh aemaal bhi jin ko log aagay bhejtay
hain aur unn kay woh aemaal bhi jin ko peechay chor jatay hain
aur hum ney her cheez ko aik wazeh kitab mein zabt ker rakha
hai.
36.13 Aur aap inn kay samney aik misal (yani
aik) basti walon ki misal (uss waqt ka) biyan kijiyey jabkay
uss basti mein (kaee) rasool aaye.
36.14 Jab hum ney unn kay pass do ko bheja
so unn logon ney (awwal) dono ko jhutlaya phir hum ney teesray
say taeed ki so unn teeno ney kaha hum tumharay pass bhejay
gaye hain.
36.15 Unn logon ney kaha kay tum to humari
tarah mamooli aadmi ho aur rehman ney koi cheez nazil nahi ki.
Tum nira jhoot boltay ho.
36.16 Unn (rasoolon) ney kaha humara perwerdigar
janta hai kay be-shak hum tumharay pass bhejen gaye hain.
36.17 Aur humaray zimmay to sirf wazeh tor
per phoncha dena hai.
36.18 Unhon ney kaha kay hum to tum ko manhoos
samajhtay hain. Agar tum baaz na aaye to hum pathron say tumhara
kaam tamam ker den gay aur tum ko humari taraf say sakht takleef
phonchay gi.
36.19 Unn rasoolon ney kaha tumhari nahoosat
tumharay sath hi lagi hui hai kiya iss ko nahoosat samajhtay
ho kay tum ko naseehat ki jaye bulkay tum hadd say nikal janey
walay log ho.
36.20 Aur aik shaks (uss) shehar kay aakhri
hissay say dorta hua aaya kehney laga kay aey meri qom! Inn
rasoolon ki raah per chalo.
36.21 Aisay logon ki raah per chalo jo tum
say koi mawaza nahi mangtay aur woh raah-e-raast per hain.
36.22 Aur mujhay kiya hogaya hai kay mein uss
ki ibadat na keroo jiss ney mujhay peda kiya aur tum sab ussi
ki taraf lotaye jao gay.
36.23 Kiya mein ussay chor ker aison ko mabood
banaoon kay agar (Allah) rehman mujhay koi nuksan phonchana
chahaye to unn ki sifarish mujhay kuch bhi nafa na phoncha sakay
aur na woh mujhay bacha saken.
36.24 Phir to mein yaqeenan khilli gumrahee
mein hun.
36.25 Meri suno! Mein to (sachay dil say) tum
sab kay rab per emaan laa chuka. |
| |
|
| |
|
| |