 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Saafaat
37 |
| (Sura-Saafaat Makka mai Nazil
hui, is mai aikso-bayasi (182) Aayatain hain) |
| |
37.01 Qasam
hai saf bandhney walay (farishton ki).
37.02 Phir poori tarah dantney walon ki.
37.03 Phir zikar-e-Allah ki tilawat kerney
walon ki.
37.04 Yaqeenan tum sab ka mabood aik hi hai.
37.05 Aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan
ki tamam cheezon aur mashriqon ka rab wohi hai.
37.06 Hum ney aasman-e-duniya ko sitaron ki
zeenat say aaraasta kiya.
37.07 Aur hifazat ki sirkash shetan say.
37.08 Aalam-e-bala kay farishton (ki baaton)
ko sunnay kay liye woh kaan bhi nahi laga saktay bulkay her
taraf say woh maaray jatay hain.
37.09 Bhaganey kay liye aur unn kay liye daeemi
azab hai.
37.10 Magar jo koi aik aadh baat uchak lay
bhagay to (foran hi) uss kay peechay dehakta hua shola lag jata
hai.
37.11 Inn kafiron say poocho to kay aaya inn
ka peda kerna ziyadah dushwaar hai ya (unn ka) jinhen hum ney
(inn kay ilawa) peda kiya? Hum ney (insano) ko less daar mitti
say peda kiya hai.
37.12 Bulkay tu tajjub ker raha hai aur yeh
maskhara pan ker rahey hain.
37.13 Aur jab enhen naseehat ki jati hai yeh
nahi mantay.
37.14 Aur jab kissi moajzzay ko dekhtay hain
to mazaq uratay hain.
37.15 Aur kehtay hain kay yeh to bilkul khullam
khulla jadoo hi hai.
37.16 Kiya jab hum mar jayen gay aur khak aur
haddi hojayen gay phir kiya (sach much) hum uthaye jayen gay?
37.17 Kiya hum say pehlay kay humaray baap
dada bhi?
37.18 Aap jawab dijiye! Kay haan haan aur tum
zaleel (bhi) howo gay.
37.19 Woh to sirf aik zor ki jhirki hai kay
yakayak yeh dekhney lagay gay.
37.20 Aur kahen gay kay haye humari kharabi
yehi jaza (saza) ka din hai.
37.21 Yehi faislay ka din hai jissay tum jhutlatay
rahey.
37.22 Zalimon ko aur unn kay humrahiyon ko
aur (jin) jin ki woh Allah kay ilawa parastish kertay thay.
37.23 (inn sab ko) jama kerkay enhen dozakh
ki raah dikha do.
37.24 Aur enhen theraklo (iss liye) kay inn
say (zaroori) sawal kiyey janay walay hain.
37.25 Tumhen kiya hogaya hai kay (iss waqt)
tum aik doosray ki madad nahi kertay. |
| |
|
| |
|
| |