 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Zumur
39 |
| (Sura-Zumur Makka
mai Nazil hui, is mai pichattar (75) Aayatain hain) |
| |
39.01 Iss
kitab ka utaarna Allah Taalaa ghalib ba-hikmat ki
taraf say hai. 39.02 Yaqeenan
hum ney iss kitab ko aap ki taraf haq kay sath nazil
farmaya hai pus aap Allah hi ki ibadat keren ussi
kay liye deen ko khalis kerti huyey.
39.03 Khabradaar! Allah Taalaa
hi kay liye khalis ibadat kerna hai aur jin logon
ney uss kay siwa auliya bana rakhay hain (aur kehtay
hain) kay hum inn ki ibadat sirf iss liye kertay
hain kay yeh (buzurg) Allah kay nazdeeki kay martabay
tak humari rasaee kera den yeh log jiss baray mein
ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah
(khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon)
ko Allah Taalaa raah nahi dikhata.
39.04 Agar Allah Taalaa ka iradah
aulad hi ka hota to apni makhlooq mein say jissay
chahata chun leta. (lekin) woh to pak hai wo wohi
Allah Taalaa hai yagana aur qooat wala.
39.05 Nihayat achi tadbeer say
uss ney aasmano aur zamin ko banaya woh raat ko
din per aur din ko raat per lapet deta hai aur uss
ney sooraj chaand ko kaam per laga rakha hai. Her
aik muqarrara muddat tak chal raha hai yaqeen mano
kay wohi zabardast aur gunahon ka bakhshney wala
hai. 39.06 Uss ney
tum sab ko aik hi jaan say peda kiya hai phir ussi
say uss ka jora peda kiya aur tumharay liye chopayon
mein say (aath nar-o-madah)utaray woh tumhen tumhari
maaon kay peton mein aik banawat kay baad doosri
banawat per banata hai teen teen andheron mein yehi
Allah Taalaa tumhara rab hai ussi kay liye badshahaat
hai uss kay siwa koi mabood nahi phir tum kahan
behak rahey ho. 39.07 Agar
tum na-shukri kero to (yaad rakho kay) Allah Taalaa
tum (sab say) be-niyaz hai aur woh apnay bando ki
na-shukri say khush nahi aur agar tum shukar kero
to woh issay tumharay liye pasand keray ga aur koi
kissi ka bojh nahi uthata phit tum sab ka lotna
tumharay rab hi ki taraf hai. Tumhen woh batla dey
ga jo tum kertay thay. Yaqeenan woh dilon tak ki
baaton ka waqif hai. 39.08
Aur insan ko jab kabhi koi takleef phonchti
hai to woh khoob rujoo hoker apnay rab ko pukarta
hai phir jab Allah Taalaa ussay apnay pass say nemat
ata farma deta hai to woh iss say pehlay jo dua
kerta tha (ussay) bhool jata hai aur Allah Taalaa
kay shareek muqarrar kerney lagta hai jiss say (auron
ko bhi) uss ki raah say behkaye aap keh dijiye!
Kay apnay kufur ka faeedah kuch din aur utha lo
(aakhir) tu dozakhiyon mein honey wala hai.
39.09 Bhala jo shaks raaton
kay auqaat sajjday aur qayaam ki halat mein (ibadat
mein) guzaarta ho aakhirat say darta ho aur apnay
rab ki rehmat ki umeed rakhta ho(aur jo iss kay
bar-aks ho barbar ho saktay hain) batao to ilm walay
aur be-ilm kiya barabar kay hain? Yaqeenan naseehat
wohi hasil kertay hain jo aqalmand hon. (apnay rab
ki taraf say). 39.10 Kehdo
kay aey meray emaan walay bando! Apnay rab say dartay
raho jo iss duniya mein neki kertay hain unn kay
liye nek badla hai aur Allah Taalaa ki zamin boht
kushadah hai sabar kerney walon hi ko unn ka poora
poora be-shumaar ajar diya jata hai.
39.11 Aap keh dijiye! Kay mujhay
hukum diya gaya hai kay Allah Taalaa ki iss tarah
ibadat keroon kay ussi kay liye ibadat ko khalis
ker loon. 39.12 Aur
mujhay hukum diya gaya hai kay mein sab say pehla
farmabardaar ban jaon. 39.13
Keh dijiyey! Kay mujhay to apnay rab ki
na-farmani kertay huyey baray din kay azab ka khof
aata lagta hai. 39.14 Keh
dijiyey! Kay mein to khalis ker kay sirf apnay rab
hi ki ibadat kerta hun. 39.15
Tum uss kay siwa jiss ki chahao ibadat
kertay raho keh dijiyey! Kay haqeeqi ziyan kaar
woh hain jo apnay aap ko aur apnay ehal ko qayamat
kay din nuksan mein daal den gay yad rekho kay khullam
khulla nuksan yehi hai. 39.16
Unehn neechay uper say aag kay (sholay
misil)sayebaan (kay)dhaank rahey hongay. Yehi (azab)
hai jin say Allah Taalaa apnay bando ko dara raha
hai aey meray bando! Pus mujh say dartay raho.
39.17 Aur jin logon ney
taghoot ki ibadat say perhez kiya aur (hama-tan)
Allah Taalaa ki taraf mutawajja rahey woh khushkhabri
kay mustahiq hain meray bando ko khushkhabri suna
dijiyey. 39.18 Jo
baat ko kaan laga ker suntay hain. Phir jo behtareen
baat ho uss ki ittbaa kertay hain. Yehi hain jinhen
Allah Taalaa ney hidayat ki hai aur yehi aqalmand
bhi hain. 39.19 Bhala
jiss shaks per azab ki baat saabit ho chuki hai
to kiya aap ussay jo dozakh mein hai chura saktay
hain. 39.20 Haan woh
log jo apnay rab say dartay rahey unn kay liye bala
khaney hain jinkay uper bhi banay banaye bala khaney
hain (aur) unn kay neechay nehren beh rahi hain.
Rab ka wada hai aur woh wada khilafi nahi kerta.
39.21 Kiya aap ney nahi
dekha kay Allah Taalaa aasman say paani utaarta
hai aur ussay zamin ki sooton mein phonchata hai
phir issi kay zariyey mukhtalif qisam ki khetiyan
ugata hai phit woh khushk hojati hain aur aap unhen
zard rang dekhtay hain phir unhen reza reza ker
deta hai iss mein aqalmando kay liye boht ziyadah
naseehat hai. 39.22 Kiya
woh shaks jiss ka seena Allah Taalaa ney islam kay
liye khol diya hai pus woh apnay perwerdigar ki
taraf say aik noor per hai aur halaki hai unn per
jin kay dil yaad-e-elahi say (asar nahi letay bulkay)
sakht hogaye hain. Yeh log sareeh gumrahi mein (mubtila)
hain. 39.23 Allah
Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo
aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar
baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon
kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka
khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur
dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay
hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey
jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur
jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi
hadi nahi. 39.24 Bhala
jo shaks qayamat kay din kay bad-tareen azab ki
sapar (dhaal) apnay mun ko banaye ga. (aisay) zalimon
say kaha jayega kay apnay kiyey ka (wabal) chakho.
39.25 Inn say pehlay walon
ney bhi jhutlaya phir unn per wahan say azab aa
para jahan say unn ko khayal bhi na tha. |
| |